Incest SAAJAN

Well-known member
3,825
7,366
143
Dosto,

Is kahani ko maine 10 chapter me devide kiya hai…..ye kahani hai……Saajan aur Divya ke agadh Sachche Prem ki, Jaha Hawas ke liye koi jagah nahi hai… Sirf aur sirf Real True Love hai, ye kisi ek janam ki prem kahani nahi hai….balki ye to dono ke pichchle lagatar saat janmo ki Love Story hai….Ye story incest based bhi hai…

Ye kahani hai pyar ki, atoot vishwas ki, dosti ki, dhokha aur nafrat ki, Sex ki…..aur hairat angej ghatnao aur kriya kalapo ki…….

Kya Saajan aur Divya ka Pavitra, Nishchhal, Nihswarth, Nishkaam Prem Safal hoga….? Kya unke is Prem ko ye samaj swikar karega…? Kiski kiski Bali chadhegi is Prem par…? Kya hoga anjam is Prem ka..?



《 INDEX 》
SAAJAN
5th Janam Ki Love Story
Update 《233》
Update 《234》
Update 《235》
Update 《236》
Update 《237》
Update 《238》
Update 《239》
Update 《240》
Update 《241》
Update 《242》
Update 《243》
Update 《244》
Update 《245》
Update 《246》
Update 《247》
Update 《248》
Update 《249》
Update 《250》
Present Time
Update 《314》
Update 《315》
Update 《316》
Update 《317》
Update 《318》
Update 《319》
Update 《320》
 
Last edited by a moderator:
Well-known member
3,825
7,366
143
SAAJAN
UPDATE- 217
5th Janam Ki Love Story Continues....

Sainiko ne mere ghaav par haldi chandan ka lep lagaya..ghaav bahut gahra tha jise bharne me kafi samay lagega…phir main dainik kriya se mukt ho kar raat ki ghatna ke baare me hi sochne laga.

Jitu (mann me)—akhir vo vichitra sa janwar kaha chhup jata hai….? Aur iske pairo ke nishan insano ki tarah kyo hain... ? kya hai ye bala…? Koi janwar hai ya phir koi manav.... ? aisa bhi ho sakta hai ki vo nishan mere hi pairo ke ho kintu itne bade pairo ke nishan mere to kya, kisi aur manav ke bhi nahi ho sakte hain....kaash ! main uska chehra dekh pata...lekin kismat ko kuch aur hi manzur tha...mujhe apne ghaav ki fikra nahi hai..kisi bhi tarah mujhe uss katil tak pahuchna hi hoga...na jane kaha chhupa hoga vo.. ?

Dimag pareshan tha to isliye maine aaj raat phir se uss jungle me jane ka faisla kiya aur phir aashram ki oar chal pada unn rishiyo ke yagya ki suraksha ke liye.

Ab Aage......

Vaha pahuch kar maine sabhi rishiyo ko pranam karne ke uparant apne karya me tatpar ho gaya....aaj yagya karya me koi vyavdhan nahi aaya..shaam ko main vivan rishi ke sath hi unki kutiya me chala gaya...jaha ek bar phir se mujhe dekhte hi anusuiya sharma kar bhitar bhag gayi...mujhe uske iss bartaav par jyada hairani nahi huyi kintu mera mann to divya ke darshano ke liye aatur ho raha tha...meri ankhe har taraf divya ko hi talash kar rahi thi.

Vivan rishi ne mujhe bhi apne sath bhojan karne ko kaha to main unka aagrah thukra nahi saka…anusuiya bhojan paroste huye bar bar chori chupke meri taraf dekh kar mushkura deti thi…aaj uske chehre par pahle jaisi vo alhadta nahi thi balki uski jagah laaz aur sharam se lipti ek nav-youvana thi.

Bhojan karne ke pashchat vivan rishi vishram karne chale gaye..lekin meri ankho ko ab tak sheetalta pradan karne wali vo mrig nayani nazar nahi aayi thi jiski ek jhalak pane ke liye mera dil vyakul ho raha tha.

Tabhi anusuiya sugandhit paan le kar mere sammukh aa kar chupchap khadi ho gayi...maine jab uski taraf dekha to usne sharma kar apni nazre jhuka li.

Jitu—aao baitho anu.

Anusuiya (chounk kar)—anu.. !

Jitu—kyo achcha nahi laga..

Anusuiya (mushkura kar)—bahut achcha hai..

Maine use phir se baithne ko kaha kintu vo khadi rahi vaise hi to maine apna hath aage badha kar usko apne bagal me bitha liya.. bina kisi pratirodh ke vah baith gayi.

Jitu—anu, uss din jo kuch bhi hamare beech hua..uske liye main behad sharminda hu...main apni uss bhool ka prayaschit karna chahta hu..

Anusuiya (nazre jhukaye)—prayaschit...kaisa prayaschit.... ? uss din jo bhi hua usme main bhi barabar ki bhagidar thi…akele aap ki bhool nahi thi usme.

Jitu—tab to tumhe bhi prayaschit karna chahiye....bolo karogi mere sath prayaschit.... ?

Anusuiya (dhire se)—kaisa prayaschit….?

Jitu—tumhare sath vivah kar ke main apni uss bhool ko sudharna chahta hu.....kya tum meri biwi banogi anu... ? mujhse vivah karne me tumhe koi aitaraz to nahi hai.... ?

Mujhse shadi ki baat sunte hi anusuiya chounk kar meri taraf dekhne lagi....aur phir mere gale se lag kar sisak padi...main uske aise sisakne se kuch hairan jarur hua.

Jitu (pith sahlate huye)—kya hua anu...kya mera ye prastav tumhe manzur nahi hai... ?

Anusuiya—(sisakte huye mere hotho par hath rakh kar)...nahii..naii aisi baat nahi hai...main bahut khush hu...ye to khushi ke anshu hain...aap ki patni hona to mere liye kisi khwab se kam nahi hai...kintu aap to divya ko chahte hain na... ?

Jitu—prayaschit ka ye tarika bhi mujhe divya ne hi sujhaya hai...

Anusuiya (hairan)—kyaaaaaa... ! phir divya ka kya hoga... ? vo bhi to aapse bahut prem karti hai..

Jitu—divya meri ruh me samayi huyi hai...divya se alag hone ka matlab vaisa hi hai jaise sharir se aatma ka nikal jana...aur sharir se aatma ke nikal jane se sharir bejan ho jata hai...theek vahi sthiti meri bhi hai...divya ko bhool kar to main apne jeevan ki kalpana hi nahi kar sakta..

Anusuiya—to kya aap divya aur mujhse dono se vivah karenge.... ?

Jitu—isme koi pareshani nahi hai...ek raja ki kayi rani hona koi ashcharya ki baat nahi hai...main jaldi hi tumhare pita ji se vivah ki baat karunga.

Anusuiya (khushi se)—sach.. !

Jitu—haan

Anusuiya khushi se mujhse joro se lipat gayi aur chehre par chumbano ki barsat kar di...lekin agle hi kshan phir se sharam aur laaz ke stri sulabh swabhav ki lalima ne usko gher liya.

Jitu (kaan me)—aise karogi to main phir se uss din wali galti karne par vivash ho jaunga.

Anusuiya (sharmate huye)—ab to ye tan aur mann aapka hi hai..

Maine anusuiya ke chehre ko hatho se upar utha kar uske hotho par apne pyar ki mohar laga di….uss par iss adhar chumban ka aisa nasha chadha ki vo khud hi adhirta se mera sath dene lagi….dono tab tak ek dusre ke adhro se raspan karte rahe jab tak ki saabse bhari nahi hone lagi.

Jitu (kaan me)—kaho to aaj raat phir ruk jau yahi…?

Ye sunte hi vo laza kar bhitar bhag gayi…main use jate huye dekhta raha…maine uske samne vivah ka prastav rakh kar apne sath sath uske dil me ho rahi uthal puthal ko kam kar diya tha.

Anusuiya ke andar jate hi main uth kar bahar aa gaya…mere dil me divya ke ab taj na dikhne se badi bechaini ho rahi thi..tabhi meri nazar daud kar aati huyi divya par padi…usko dekh kar aisa laga jaise ki chakor ko uska chaand mil gaya ho…mere paas aate hi vo ruk kar jor jor se hanfne lagi.

Divya (hanfte huye)—Maar Dalungi !

Jitu—hum to vaise hi mar gaye.. haaye…tumhari iss ada par..

Divya (shikayat karte huye)—main kab se pushp vatika me intazar kar rahi hu…aaye kyo nahi…?

Jitu—vatika me…?

Divya—aur nahi to kya…? Mera dil kitna ghabra raha tha ki kahi vapis to nahi chale gaye mujhse mile bina hi... ? dekho abhi tak kitni jor jor se dhadak raha hai..

Jitu—jara paas aao to...main chhu kar dekhta hu...ki kitni tezi se dhadak raha hai..

Divya (naak ke niche ungli ghuma kar)—Maar Dalungi..

Jitu—tumhari yahi ada ne to hame tumhara deewana bana diya hai..
Na Dil Kyo Deewana Tumhe Dekh Kar Ho
Tumhe Kya Pata, Tum Hasin Kis Kadar Ho​
Phir main aur divya pushp vatika me aa gaye….na jane kitni der tak hum dono ek dusre ki baho me simte rahe, samay ka pata hi nahi chala…maine divya ko apne aur anusuiya ke beech huyi sari baate bata di…shaam hote hi maine usse jane ki ijazat mangi to vah tadap kar mere seene se lag gayi…tabhi uska hath mere pith me jakhm ki jagah chhu gaya jisse dard se meri karaah nikal gayi.

Divya (chounk kar)—kyaa hua…kaha chot lagi hai…?

Jitu—kuch nahi bas aise hi..

Divya (pareshan)—nahi mujhe dikhao..

Main usko mana karta raha lekin vo kuch sunne ke liye taiyar hi nahi thi….vivash ho kar mujhe apna jakhm usko dikhana pada..jise dekhte hi vo tadap kar rone lagi..

Jitu—pagal ro kyo rahi ho…? Aisi chote mote ghaav to hum kshatriyo ko lagte hi rahte hain...isme itna pareshan kya hona..

Divya (rote huye)—ye chota sa ghaav hai... ? mujhe bataya tak nahi ek bar bhi...ab kahi nahi jane dungi main..

Jitu—mera jana behad jaruri hai..

Divya—mujhe kuch nahi sunna hai..

Maine divya ko bahut samjhaya lekin vo meri baat sunne ke liye bilkul taiyar hi nahi thi..vivash ho kar mujhe hi uski baat maan kar ashram me hi rukna pada...divya ne kuch jadi butiyo ka lep mere jakhmo par lagaya...phir main anusuiya ki kutiya me ja kar so gaya.

Abhi mujhe soye huye kuch hi samay hua tha ki mujhe apne seene par kuch vajan sa mahsoos hua jisse meri neend achanak hi khul gayi...ye anusuiya thi jo pata nahi kab mere bagal me aa kar let gayi thi...uska ek hath mere dhadakte seene ke upar tha.. mujhe aisa laga jaise ki vo gahri neend me ho…bahar halki halki barish ho rahi thi…aur bijli kadakne ke sath sath tez hawa bhi chal rahi thi.

Main uska hath hatana chahta tha lekin kahi uski neend na toot jaye iss darr se nahi hataya…mujhe garmi mahsoos hone lagi thi uske aise chipakne se…mere dil ki dhadkan badhti hi ja rahi thi…main bas mann hi mann bhagwan se yahi prarthana kar raha tha ki kitni jaldi subah ho jaye…din nikalte hi mann ka sara andhakar door ho jayega.

Din nikalte hi ye andhera chhant jayega kyon ki andhera hi mann me buraiya paida karta hai…mann me paap bharta hai..iss andhere ki vajah se hi uss din hamare beech jo galti huyi thi usko main phir se vivah poorv dohrana nahi chahta tha.

Jitu (kaan me)—anusuiya…!

Anusuiya—huunhh

Jitu (fusfusate huye)—tum yaha mere paas vo bhi itne samay…?

Anusuiya (dhire se)—aap hi ne to kaha tha din me..

Jitu—vo to maine mazak me kaha tha..ye sab shadi ke baad…samjhi..

Ye sun kar anusuiya ke mann me athaah prem bhar gaya…uska ji chaha ki vo apna sarvasva apne saajan par nyochhawar kar de.. ab saajan hi to uska sab kuch hai..bhool gayi duniya ke sare rashmo reeti riwaj..apna pati maan kar vo mujhse lipat gayi aur apna sara pyar apne saajan par udelne ko aatur ho uthi.

Anusuiya beqabu nadi ki tarah sagar me vileen ho jana chahti thi…maine bhi uske prem aur samarpan ko swikar karte huye apne hoth uske hotho par rakh diye…vo kitni pyasi ho gayi thi..ki ghani pyas mann me jaag gayi thi..ek dusre me samaane ko betaab hum dono khud ko samarpit kar baithe the.

Sadiyo se daudti chali aa rahi nadi sagar me sama gayi…ek pal ko aaya tufani pal sab kuch badal kar gujar gaya...bahar bhi ab barish ruk gayi thi..na badal garaj rahe the aur na hi ab bijli chamak rahi thi…sab kuch shant au sthir ho chuka tha..ek ufaan sa aaya aur gujar gaya..tript kar gaya..shayad ye tufan bhi hame ek karne ke liye hi aaya tha.

Kuch der mujhse lipte rahne ke baad anusuiya apne kapde pahan kar dusre kaksh me chali gayi..uske jate hi maine dekha ki sabhi gahri neend me hain...maine yahi sahi mouka jaan kar chupchap vaha se nikal gaya aur apne shiwir me pahuch kar ghode par sawar ho ke jungle ki taraf chal diya.

Jungle me ghuste hi vichitra si gandh phir aane lagi...jo poori tarah jungle me aag ki tarah phaili thi...akhir kya rahasya tha, iss vichitra si gandh ka.. ? mujhe nahi pata ..bas itna janta tha ki ye na to insaan hai aur na hi janwar...phir koun si bala hai ye.. ?

Sawal abhi bhi khada tha mere samne jiska jawab mujhe talashna tha...raat kafi ho chuki thi aur chaand ghane badal hone ke karan nazar nahi aa raha tha...kuch der baad barish bhi hone lagi...

Maine abhi aadha rasta bhi tay nahi kiya tha...jo yeh barish tufani hawao ke sath purab se pashchim ki oar badi joro se bahne lagi..mujhe bar bar mashal jalana pad raha tha kyon ki barish aur tufan ki vajah se vo bar bar bujh ja rahi thi...

Raat ka sannata charo taraf pasra hua tha...main sidha kal wale apne raste par chalta ja raha tha ki tabhi achanak...
 
Well-known member
3,825
7,366
143
SAAJAN
UPDATE- 218
5th Janam Ki Love Story Continues...

Jungle me ghuste hi vichitra si gandh phir aane lagi...jo poori tarah jungle me aag ki tarah phaili thi...akhir kya rahasya tha, iss vichitra si gandh ka.. ? mujhe nahi pata ..bas itna janta tha ki ye na to insaan hai aur na hi janwar...phir koun si bala hai ye.. ?

Sawal abhi bhi khada tha mere samne jiska jawab mujhe talashna tha...raat kafi ho chuki thi aur chaand ghane badal hone ke karan nazar nahi aa raha tha...kuch der baad barish bhi hone lagi...

Maine abhi aadha rasta bhi tay nahi kiya tha...jo yeh barish tufani hawao ke sath purab se pashchim ki oar badi joro se bahne lagi..mujhe bar bar mashal jalana pad raha tha kyon ki barish aur tufan ki vajah se vo bar bar bujh ja rahi thi...

Raat ka sannata charo taraf pasra hua tha...main sidha kal wale apne raste par chalta ja raha tha ki tabhi achanak...

AB AAGE…..

Tabhi achanak na jane koun mere bagal wale ped se mere samne aa tapka…ye mahsoos hote hi main kuch pal ke liye aise stabdh ho gaya jaise ki meri saans atak gayi ho…vah vichitra janwar mere samne aa khada tha.

Lal chamakdar ankhe, sharir par baal hi baal, sir bhediye ka aur dhad manav ke jaise lag raha tha…hum dono ek dusre ko aise dekh rahe the jaise ki bahut saalo se bichhude huye bhaiyo ka aaj sangam hua ho.

Meri to saanse tham si gayi thi..kuch samajh me nahi aa raha tha…lekin hairani ki baat to ye thi ki vo mujh par hamla nahi kar raha tha…isse pahle ki main kuch samajh pata, usne mujhe apne sath chalne ka ishara kiya.

Main bhi jyada soch vichar na karte huye uske sath chal diya…vo mujhe dusri hi disha me le ja raha tha…mujhe mann me aisa lag raha tha jaise ki vo mujhe mere lakshya se bhatkana chahta ho.

Mere dimag me yahi sari baate ghum rahi thi ki tabhi piche se ek vichitra janwar aa gaya aur uss bhediya manav se bhid gaya.. dono lagbhag ek hi jaise dikh rahe the…kintu dono kafi alag bhi the…ye dusra vichitra janwar ke sir me badi badi seeng thi aur baki poora jism hum manav ke jaisa tha..haan, baal jarur uske sharir me bhi bahut the par ye bhediya manav to bilkul nahi tha.

Dono ladte ladte jab thak gaye to vo vichitra janwar vaha se bhag gaya…aur main phir se bhadiya manav ke piche piche chalne laga…inn dono ko dekh kar meri samajh me itna to aa gaya ki iss jungle me inn bhayanak janwar hain..ye do bhi ho sakte hain aur isse jyada bhi..

Bhediya manav mujhe ek aisi jagah par le gaya jo ki behad khubsurat thi...prakriti ka aloukik soundarya bikhra hua tha vaha par.. mashaal ki roshni me main uss jagah ki sundarta ko dekhne me hi kho gaya…koi ye soch bhi nahi sakta tha ki iss bhayanak jungle ke bhitar itni khubsurat jagah bhi ho sakti hai..

Main uss jagah ko mashaal ki roshni me achchi tarah se dekhta raha..tabhi mujhe vaha ghani ghaaso ke paas kuch ajib sa nazar aaya…paas ja kar maine dhyan se dekha to vaha ghaas ke paas patthar ki ek badi si patti rakhi huyi thi…maine uss patthar ko hataya to mujhe vaha ek surang nazar aayi…uss surang ki halat itni kharab bhi nahi thi…use dekhne par aisa lag raha tha jaise ki koi roj vaha se aata jata ho.

Uss jagah surag dekh kar maine bhediya manav ki taraf muda to chounk gaya kyon ki vo bhediya manav vaha se na jane kaha gayab ho chuka tha…maine use charo taraf nazar ghuma ka dekha lekin vo kahi nahi dikhayi diya.

Jitu (mann me)—ab ye kaha phir se achanak gayab ho gaya…? Iss surang me ja kar dekhu kya ki iske andar kaisa raaz chhupa hai.. kintu iss samay iske andar ghusna me jyada khatra ho sakta hai…kal din me hi iske bhitar jana theek rahega…subah hone me bhi jyada samay nahi hai..

Mann me ye vichar kar ke main vapis lout gaya ashram me aur chupchap let kar sone ki koshish karne laga…subah meri neend anusuiya ke uthane se khuli..uss samay vivan rishi snaan karne gaye huye the…mouka dekh kar maine anusuiya ko apne upar khich liya aur uske dono stano ko kas kas ke masalne laga…usne sharma kar mere seene me apna chehra chhupa liya…jab tak vivan rishi snaan kar ke aa nahi gaye tab tak vo mere paas hi baithe baithe apne stan masalwati rahi..vivan rishi ke aate hi vo sharma kar vaha se bhag gayi.

Uske baad maine bhi dainik kriya se mukt ho kar yagya ki suraksha ke liye chala gaya…aaj bhi koi badha nahi aayi beech me.. uske baad main divya se milne aaj uski kutiya me chala gaya…mujhe vaha dekh kar vo behad khush huyi…

Kafi samay tak main divya ke paas raha…thodi der me vaha anusuiya bhi aa gayi…dono ke sath kuch samay bitane ke baad vapis gaon lout aaya…gaon pahuchte hi mujhe kuch shor sharaba sunayi diya…maine nazar ghuma kar dekha to kuch log chillate huye ek taraf bhage ja rahe the…pata lagane ke liye main bhi unke paas pahuch gaya.

Jitu (ek admi se)—bhai kya hua…aap sab aise chillate huye kaha bhag rahe ho….?

Admi—arey bhai..kya bataye…ye gaon hi manhoos hai…iss gaon ki manhoosiyat ki vajah se vaise hi koi yaha aata nahi hai.. badi mushkil se aaj ek vyapari apna kuch samaan bechne aaya to chorni bechare ke paise loot kar champat ho gayi..

Jitu (hairan)—kyaaa..lekin hua kaise ye…?

Admi—vahi purana rona hai bhai…usne vyapari ko akela dekh kar khud ko yuvraj jitu ki biwi batate huye usko dhamkane lagi.. bechare ne darr kar usko apni kamayi de di…jab logo ko vyapari ne ye ghatna batayi to usko haqiqat malum huyi…bas ye sun kar vo uss chorni ke piche bhagne laga..to hum bhi uske sath ho liye..

Jitu—vaise kitni der pahle ki baat hai ye…?

Admi—abhi kuch der pahle hi ki baat hai…abhi vo jyada door nahi gayi hogi..

Jitu (mann me)—jungle ko baad me dekhunga pahle iss chorni ladki ko to dekhu ki koun hai jo sabse apne aap ko meri biwi kahti phirti hai…

Ye soch kar main bhi uske piche ho liya…kuch door aur bhagne ke baad vo sab vaha se vapis lout gaye kyon ki aage se jungle ke liye rasta jata tha aur uss raste me jane ki kisi ki himmat nahi thi.

Main kuch der vaha khade khade idhar udhar dekhta raha lekin jab koi nazar nahi aaya to main bhi vapis jane ke liye palat gaya magar tabhi mujhe aisa laga ki koi paas ke kisi ped se kood kar bhag raha ho.

Maine jaldi se ghum kar dekha to ek ladki kuch doori par bhagte huye ja rahi thi…main samajh gaya ki ye vahi ladki hai jiski talash sabhi kar rahe the..uske hath me ek thaila bhi tha.

Bas phir kya tha, main bhi daudne laga uske piche…jaise hi use mahsoos hua ki koi uska picha kar raha hai to vo aur tez daudne lagi…sala itna tez to ghoda bhi nahi bhagta hoga jitni tezi se vo chorni daud rahi thi.

Uske piche bhagte bhagte mere bhi pasine chhut gaye the…tabhi vo ek sunsan ghar me ghus gayi…main bhi uske piche dhire se uss ghar me chala gaya lekin darwaja andar se band tha…ye dekh kar main darwaja khatkhatane laga..kafi der baad ek surili awaz andar se sunayi padi.

Ladki—koun hai….kya chahiye….?

Jitu—main ek pardesi hu...thoda pani milega...bahut pyas lagi hai..

Ladki (sakhti se)—sharam nahi aati...ek akeli ladki ka picha karte huye... ? yaha koi pani vani nahi hai...jao yaha se..

Jitu—bina pani piye kaise chala jau..main tumhara picha nahi kar raha tha..

Ladki (gusse me)—picha nahi kar raha tha to yaha mere piche piche kaise aa gaye... ?

Jitu (darwaje ke chhed se andar jhankte huye)—vo bas…pani pine aaya tha..ji…

Main darwaje ke chhed se andar jhankne ki koshish karne laga ki uska chehra dekh saku…uska chehra to nahi dikha magar ek bark lohe ki taar jarur tezi se uss chhed se bahar nikal aayi..maine jadi se khud ko darwaje se door kar liya.

Jitu (mann me)—baap re..! ye to badi khatarnak ladki hai…achcha hua ki main jaldi hat gaya warna isne to meri ankh phod kar andha hi kar diya tha.

Ladki (gusse me)—sharam bilkul bhi nahihai kya tujhe…jo ghar me akeli ladki pa kar taak jhaank kar raha hai…? dekh jaldi se bhag ja yaha se…nahi to karagar me band karwa dungi..samajh gaya..

Jitu—karagar me..vo kyo…? Maine kya jurm kiya hai…?

Ladki—dekh mera dimag kharab mat kar...shayad tu janta nahi ki main iss rajya ke yuvraj jitu ki patni hu...agar yuvraj ko pata chala ki unki biwi ko tum pareshan kar rahe the to vo teri gardan hi kaat denge....abhi bhi waqt hai jaan bacha ke bhag ja yaha se jaldi...

Jitu—nahi..nahi...yuvraj se meri shikayat mat karna rani sahiba...main to ek gaib admi hu...agar main karagar me band ho gaya to mere bachche yatim ho jayenge aur meri biwi randawa ho jayegi.

Ladki—biwi randawa nahi hoti, admi hote hain..

Jitu—ab main to thahra anpadh admi...ye sab mujhe kya pata...main to bas pani ki talash me bhatak raha tha...lekin maine to suna hai ki yuvraj abhi tak kuware hain... ?

Ladki—haan, yuvraj mujhse bahut prem karte hain...yuvraj yaha har dus pandrah din me mujhse milne aate hain..apna bhesh badal kar....vo unhone mere sath mandir me shadi ki thi...isliye kisi ko abhi malum nahi hai...lekin jaldi hi sabko pata chal jayega..

Jitu—vo kaise... ?

Ladki—vo main yuvraj ke bachche ki maa banne wali hu na..to vo mujhe lene aane wale hain jaldi hi...

Jitu (jhatka)—hey bhagwan.. ! ye ladki to bina shadi ke hi mujhe baap banane par tuli hai...Sali jaan na pahchan, phir kahe ki biwi..

Ladki—sun ke ho gaye na hairan..ab chal bhag yaha se...kahi yuvraj na aa jaye..unke aane se pahle hi bhag ja.

Jitu—lekin main kyo bhag jau.. ? main to rajdhani ja kar yuvraj se milunga....maine suna hai ki vo sabki madad karte hain... main unse kuch dhan mangne jaunga...abhi jata hu main rajmahal...

Ladki (ghabra kar)—nahi..nahi...tumhe itne se kaam ke liye yuvraj ke paas itni door jane ki kya jarurat hai...tumhe dhan hi chahiye na to main tumhe dhan de deti hu...

Jitu—kyo...aap kyo dengi... ?

Ladki—kyon ki main yuvraj ki biwi hu...praja ka khyal rakhna mera bhi farz hai..

Jitu—theek hai..

Ladki—ye lo…aur jao yaha se..

Tabhi usne thoda sa darwaja khol kar apna ek hath bahar nikala jisme kuch swarn mudraye thi, mujhe dene ke liye…maine jaldi se dhakka de kar poora darwaja khol diya …darwaja khulte hi vo dhadam se niche ja giri…niche girte hi usne turant apni kamar me phansa bada sa chaku nikal kar mere upar jhapti lekin maine beech me hi uska hath pakad liya…tab pahli bar meri nazar uske chehre par padi jise dekhte hi main buri tarah chounk gaya….

Jitu (chounk kar)—tummmmmm...
 
Well-known member
3,825
7,366
143
SAAJAN
UPDATE- 219
5th Janam Ki Love Story Continues....

Tabhi usne thoda sa darwaja khol kar apna ek hath bahar nikala jisme kuch swarn mudraye thi, mujhe dene ke liye…maine jaldi se dhakka de kar poora darwaja khol diya …darwaja khulte hi vo dhadam se niche ja giri…niche girte hi usne turant apni kamar me phansa bada sa chaku nikal kar mere upar jhapti lekin maine beech me hi uska hath pakad liya…tab pahli bar meri nazar uske chehre par padi jise dekhte hi main buri tarah chounk gaya….

Jitu (chounk kar)—tummmmmm...

Ab aage……

Ladki (chounk kar)—kkkk….koun ho tummm….iss badsaluki ke liye tumhe mrityu dand dilwaungi yuvraj se….?

Ye ladki aur koi nahi balki chitralekha thi, jisse ki abhi main kuch din pahle hi mila tha hamirpur aate huye….usko yaha dekh kar aur vo bhi iss roop me..mera chounkna swabhavik hi tha…kyon ki jaha tak maine use jana aur samjha tha, vo ek behad hasin yuvti hone ke sath sath sanskaro se paripurna thi…lekin mere iss samay badle huye bhesh ke karan shayad chitra ne mujhe pahchana nahi tha ki main hi yuvraj hu.

Jitu (hairan)—achcha....to yuvraj se saza dilwayengi aap mujhe... ?

Chitra (gusse me)—jarur dilwaungi….main kahti hu ki hath chhod mera....

Jitu (mushkurate huye)—ulta kahi aisa na ho jaye ki yuvraj tumhe hi karagar me dalwa de…? Shayad tumhe pata nahi ki main yuvraj ka dost hu….main unhe tumhari sari kartoot bata dunga.

Chitra (ghabra kar)—kkkk…kya…tummm…matlab ki aap yuvraj ke dost ho….?

Jitu—jee haan….ab sach sach bata do ki loot ka maal kaha hai…?

Chitra—ll..loot ka maal…? Koun sa loot ka maal….?

Jitu—vahi jo abhi aap uss bechare vyapari ko loot kar layi hain...

Chitra—main kisi vyapari ko nahi janti..aur mere paas koi loot voot ka maal nahi hai…

Jitu—wah..! ek to chori, upar se seena jori….ab to yuvraj ko sab batana hi padega lagta hai..?

Chitra—are ja..ja…bata de….main bhi dekhti hu ki yuvraj apni biwi ki baat mante hain ya tumhari…

Jitu—biwi ..kaha ki biwi...kaisi biwi... ? uss bechare ki to ab tak shadi hi nahi huyi..

Chitra—dekh..main akhiri bar kahti hu..mera hath chhod de...mera gussa bahut kharab hai...kaat ke phenk dungi...

Jitu—kaise kategi...iss chaku se.... ? ye to ab mere paas hai...hihihi…haan, agar tu apne inn hasin hotho ki ek chummi de de to main tujhe chhod sakta hu…

Chitra (gusse me)—sale harami..kya kaha tune….?

Chitra ne gusse me mujhe jor se dhakka de kar tezi se andar bhagi aur phir turant hi ek kulhadi le kar mere paas aate hi usne mujh par vaar karne ke liye apne hath upar kiye..vaise hi maine apne naqli dadhi moonch aur baal nikal kar vastavik roop me aa gaya....mere chehre par nazar padte hi vo chounk gayi aur uske hath se kulhadi chhut kar uske hi pair me gir padi jisse uske gale se aaahhh nikal gayi...vo langdi ghodi ki tarah ek pair se uchakne lagi.

Chitra (chounk kar)—Yuvrajjjjj....aaappppp... ?.....aaaahhhh....uuuueee..maaaa...marr gayiiii..

Jitu—kya hua... ? are sambhal ke...

Maine uth kar usko pakadna chaha lekin uske pahle hi chitra lahrati jhumti mere upar hi gir padi…uske upar girte hi main phir se jamin par let gaya…vo apna dard bhul kar mere seene me apna sir rakh ke chupchap leti rahi.

Jitu—lagi to nahi chitra…?

Chitra—(chup)

Jitu—chitraaaaa...utho bhi ab...ya phir aise hi mere upar padi rahne ka irada hai ab... ?

Ye sunte hi vo sakpaka kar jaldi se khadi hone ko huyi to ladkhada kar phir se mere upar hi ludhak gayi...iss bar maine khud hi sahara de kar usko khada kiya.

Jitu—ye sab kya hai chitra.... ? jitni hairan tum mujhe dekh kar ho rahi ho, usse kahi jyada hairani to mujhe tumko iss roop me dekh kar ho rahi hai...akhir kyo kiya tumne aisa.... ?

Chitra (nazre jhukaye)—vo...vo...mujhe maaf kar dijiye yuvraj....ya phir jo chahe saza de dijiye...

Jitu—ye mere prashn ka uttar nahi hai chitra....main janna chahta hu ki jis sundar, sushil, vidusi chitra ko maine dekha tha..kya ye vahi hai... ? akhir aisa badnami aur jurm ka kaam kyo kiya tumne... ?

Chitra (sir jhukaye)—vo...main vivash thi...

Jitu (hairan)—vivash thi... ? main samjha nahi…tumhe to mukhiya ji ne apni putri ki tarah pala hai..unke paas to dhan sampatti sab kuch hai…phir kya vivashta aa gayi thi jo tumne ye rasta chuna... ?

Chitra (ankhe jhukaye)—main apne dil ke hatho vivash thi...yuvraj

Jitu (hairan)—dil ke hatho…! Main kuch samjha nahi…jara khul ke batane ka kasht karengi…?

Chitra—vo ek bar pita ji (mukhiya) ne guru ji se mere vivah ke baare me pucha tha..to unhone kaha tha ki kisi rajkumar se hogi. Jab pita ji uss rajkumar ka naam pucha to unhone kaha ki uska sparsh hote hi mujhe pata chal jayega…uss din jab mere ghar aaye to apko pani dete samay apke hatho ka sparsh mere hatho me ho gaya…uss samay na jane mujhe kya hua jaise ki dil me hazaro ghantiya baj uthi ho..mera rom rom pulkit hone laga tha…phir jab aap vaha se chale gaye to aisa laga ki apne sath aap mera sukh, chain, meri ankho ki neend sab kuch le gaye ho..mera dil aapse milne ke liye tadapne laga…tab mujhe samajh me aaya ki yahi to pyar hai…bas dil ke hatho vivash ho kar yaha khichi chali aayi…

Jitu (hairan)—agar aisa tha to tumne uss din mujhe ye kyo nahi bataya…? Aur iska chori karne se kya sambandh hai…?

Chitra—kaise batati..aap to thahre yuvraj…aur phir uss samay to main khud bhi nahi janti thi ki mujhe kya ho gaya hai..jab pata chala to aap yaha aa chuke the..yaha aane ke baad maine apko bahut talash kiya magar aap nahi mile…milte bhi kaise..? aapne to apna huliya hi badal liya tha jo…main apki khoj me bhatak hi rahi thi ki tabhi ek dhani admi ko maine gaon ki ek ladki ke sath jabardasti karte dekha,..maine kisi tarah se usko uske changul se bachaya..tab uss ladki ne kaha ki ye aaye din ka kaam ho gaya hai…ye dhani log apne dhan la lalach de kar hum garibo ki izzat se khelte hain…tabhi se maine aise logo ko lootna shuru kar diya aur loota hua maal unn garibo me baantne lagi.

Jitu—chalo..ye baat to samajh me aa gayi…par tumne sabse apne aap ko meri biwi kyo kaha…?

Chitra—to kya dusre ki biwi kahti..? jab pyar aapse karti hu to aapki hi biwi bataungi na..aur aisa karne se koi mujhe pakadta bhi nahi tha..aur ye janne ke baad koi dusri ladki aapke paas nahi ayegi….hihihi

Jitu—aisa kahne se kya fayda hua..akhir badnami to tumhari hi huyi na…? aur ye bachche ka kya lafda hai..?

Chitra (ghurte huye)—kyo, to kya aap mujhse shadi nahi karoge…?

Jitu—kyo koi jabardasti hai…?

Chitra—dekhiye yuvraj...main bataye deti hu...shadi to aapko mujhse karni hi padegi....nahi to main kaha jaungi... ? maine to pita ji ko bhi bata diya hai..

Jitu (chounk kar)—kya bata diya hai tumne mukhiya ji ko... ?

Chitra—yahi ki uss din aapne akele me mujhse gandharv vivah kiya tha aur phir..

Jitu (hairan)—aur kya... ?

Chitra (sharmate huye)—vo..vivah ke baad pati patni kya karte hain...vahi kiya tha aapne mere sath...

Jitu (sir me hath rakh ke)—satyanash ho tera... ! vaha ghar me to kitni sidhi aur bholi dikhti thi…ye to poori jwalamukhi hai..

Chitra—ye sab jhuth to maine sirf aapko paane ke liye bola hai…

Jitu—ho gaya na…chalo ab jao apne ghar..

Chitra—pahle bataiye ki hamari shadi kab hogi…?

Jitu—kabhi nahi..

Chitra—phir to lagta hai ki mujhe rajmahal ja kar maharani ji se hi baat karne jana hoga...

Jitu—kya baat karogi maa se... ?

Chitra—ek prem ki mari dukhiyari apna dukhda rone ke siwa aur kar bhi kya sakti hai...bas unhe itna bataungi ki main yuvraj ke bachche ki maa banne wali hu...mujh par na sahi to kam se kam apne hone wale pote par to daya kare..

Jitu (chounk kar)—kkkk....kyaaaaa..... ?
Last me meri ek chhoti si rachna......

Suraj Ne Phir Ankhe Kholi,

Ye Dharti Tab Usse Boli,
Bahut Roshni Phailate Ho,
Khud Hi Khud Me Itrate Ho,
Unke Ghar Bhi Lao Savera,
Jinko Andhiyaro Ne Ghera,
Jisne ghar Ke Diye Bujhaye,
Unko Praatah Kaal Mubarak,
SabKo Naya Saal Mubarak.
Siski Bharti Ankh Bechari,
Khoob Bhari Isme Lachari,
Khwab Hamare Toot Gaye Sab,
Apne Saare Rooth Gaye Sab,
Jinki Baate Khoob Nirali,
Unke Hatho Jahar Ki Pyali,
Hum Uttar Hi Khoj Rahe Hain,
Bheje Koi Sawal Mubarak,
Sab Ko Naya Saal Mubarak.

Aapas Me Ho Bhai Chara,
Prem Ki Bahti Rahe Ye Dhara,
Khushiyo Se Bhi Yaari Ho,
Aur Mohabbat Saari Ho,
Hum Nafrat Ko Jaye Bhool,
Ban Jaye Upwan Ke Phool,
Har Mushkate Gaal Par Jo,
Lag Jaye Gulaal Mubarak,
Sab Ko Naya Saal Mubarak.


SABHI KO NAYE SAAL KI HARDIK SHUBH KAMNAYE.
HAPPY NEW YEAR 2020
 
Well-known member
3,825
7,366
143
SAAJAN
UPDATE- 220
5th Janam ki love story continues...

Chitra—phir to lagta hai ki mujhe rajmahal ja kar maharani ji se hi baat karne jana hoga...

Jitu—kya baat karogi maa se... ?

Chitra—ek prem ki mari dukhiyari apna dukhda rone ke siwa aur kar bhi kya sakti hai...bas unhe itna bataungi ki main yuvraj ke bachche ki maa banne wali hu...mujh par na sahi to kam se kam apne hone wale pote par to daya kare..

Jitu (chounk kar)—kkkk....kyaaaaa..... ?

Ab aage…….

Chitra—agar aap mujhse shadi karne ko taiyar nahi honge to mere paas dusra koi rasta bhi to nahi hai na…

Jitu—main to tumhe kitni achchi ladki samajhta tha…magar tum to…

Chitra—main to ab bhi bahut achchi hu yuvraj….agar aap ko yakin na ho to kamre ke andar chal ke sir se pair tak mera ang ang dekh lijiye..aapko kahi koi kami nazar nahi ayegi..aaiye andar main apki khushi ke liye ye karne ko bhi taiyar hu…

Jitu—chhee…chheee….mujhe to tumhare dimag me hi kharabi lagti hai…

Chitra—haan, ye to aapne sach kaha….vo kya hai na ki..jab se maine aapko dekha hai…bas tabhi se mera dimag kharab ho gaya hai…aur mera dil mere paas nahi raha….aap chahe to hath laga ke khud hi dekh lijiye, apko pata chal jayega ki mera dil sach me mere paas nahi hai….main jhuth to bilkul bhi nahi bolti..

Jitu (mann me)—meri biwi aur mere bachche ki maa banne ka itna bada jhuth poori duniya me bolti ghum rahi hai..phir bhi kahti hai ki main jhuth kabhi nahi bolti….jhuthi kahi ki..

Main abhi ye soch hi raha tha ki chitra mera hath pakad ke andar kab le aayi mujhe pata hi nahi chala…vo to jab andar se darwaja band karne ki awaz suni to mera dhyan bhang hua…aur apne aap ko uske sath kamre ke bhitar dekh kar main chounk gaya.

Jitu (chounk kar)—ye..ye…kyaaa..hai….?

Chitra (darwaje ki kundi lagate huye)—aap hi to dekhna chahte hain na ki main achchi hu ya nahi…ab dekh lijiye jee bhar ke.. shayad tabhi aap ko vishwash hoga ki main sach bol rahi hu..

Jitu (ghabra kar)—ye..ye..kundi kyo laga di…?

Chitra—to kya poore gaon ko dekhne du ki main kitni achchi hu…? Mujhe dekhne ka adhikar sirf aap ko hai..

Jitu—jab se jhuth par jhuth bole ja rahi hai…phir bhi kahti hai ki main sach bol rahi hu…jhuthi kahi ki..

Chitra—main kabhi jhuth nahi bolti…

Jitu—ye sab jhuth nahi to aur kya hai…?

Chitra—maine kaha na ki main jhuth nahi bolti…main ye sabit kar sakti hu..

Jitu—achcha...tum sabit kar sakti ho.. ? kaise... ?

Chitra meri taraf badhne lagi to Main jaldi se darwaja kholne ke liye udhar jane laga…magar usse pahle hi vo mere samne aa kar khadi ho gayi…main abhi kuch samajh pata ki usse pahle hi vo mere gale me apni baahe daal ke uchak kar mere upar jhul gayi aur phir meri kamar ke charo taraf apne pair lapet liye…jisse main sakpaka gaya.

Chitra—aise...

Jitu—ye kya badatmizi hai..chitra... ? janti ho, mere sath aisi harkat karne ke liye tumhe karagar me bhi daal sakta hu main... ?

Chitra—ye badatmizi thodi na hai…ye to aap ka apni biwi ke liye pyar hai…aap bas mujhe aise hi pyar karte rahna aur main aap ke liye bachche paida karti rahungi…aur ek din hamare itne bachche ho jayenge ki ek naye rajya ki praja taiyar ho jayegi..

Jitu (shocked)—kyaaaaa…?

Chitra—aur nahi to kya…? Main jhuth thodi hi kabhi bolti hu…chahe to abhi aajma kar dekh lijiye…

Jitu—chalo utro mere upar se…aur mujhe bahar jane do..

Chitra—pahle aap bataiye ki hamari shadi kab hogi…?

Jitu—kabhi nahi…main kisi aur se prem karta hu…samjhi..aur main use dhokha nahi de sakta…

Chitra (shocked)—kyaaaa...aap kisi aur se prem karte ho.... ? koi baat nahi..main aap ke pyar ki khatir ek soutan bhi bardast kar lungi...mujhe aur usko mila kar ab aap ki do biwiya ho jayengi...uske sath din me rasleela rachana aur raat me mere sath sona.

Jitu—aisa kuch bhi nahi hoga..mujhse shadi ke sapne dekhna chhod do..

Chitra—to iska matlab...aap mujhse shadi nahi karoge.... ?

Jitu—hargij nahi..

Chitra (chillate huye)--haaye, ! main lut gayi, barbad ho gayi…..gaon walo…dekho…yuvraj ne mere sath prem ka natak kiya… aur jab main unke bachche ki maa banne wali hu to ye mujhse shadi nahi karna chahte…

Jitu (muh band kar ke)—ye..chup….ye gala phad phad ke chilla kyo rahi hai…?

Chitra—ab kya apni fariyad gaon walo ko bhi sunana gunah hai..? ek abla nari chillaye nahi to kya kare…? Main sab gaon walo ko apni dukh bhari kahani bataungi…

Jitu—hihihihi….aur tujhe lagta hai ki gaon wale teri jhuthi baato par vishwash kar lenge..?

Chitra— jab ek akeli ladki ko ek band kamre ke bhitar payenge aur aap ko use apni god me aise taange huye dekhnege..kya tab bhi vishwash nahi karenge..? sab ko malum hai ki main jhuth nahi bolti..

Jitu (shocked)—aaaa…..ye to maine socha hi nahi…chal chal utar jaldi…(mann me)..meri mati mari gayi thi jo jungle me uss gufa ka rahasya pata karne jane ki jagah iss chorni ko pakadne chala aaya…ek udhar vo anusuiya bin bulaye mehman ki tarah jabran meri jholi me tapak gayi..aur idhar ye chotti jabardasti mere gale pad rahi hai…main bechari divya se kya kahunga..? agar gaon walo ne mujhe iske sath aisi halat me dekh liya to sab iski baat ko hi sach maan lenge.. kyon ki main iss samay apne asli yuvraj ke roop me hu….aur agar galti se bhi ye baat rajmahal tak pahuchi to maa meri shadi iss chotti se karne ka farman jari kar dengi..

Udhar aryan jab rajmahal pahucha maa ne uske sath mujhe na dekh kar usse mere baare puchna shuru kar diya ki main kyo nahi aaya..aryan ne maa ko vahi bataya jo maine usko samjhaya tha…ye sab sun kar maa bahut udas ho gayi…uss samay maa ke kaksh me badi chachi gomti aur unki putri vinita bhi vahi baithi huyi thi.

Deep mala—tum jitu ko apne sath le kar kyo nahi aaye…? Uske bina mujhe ye mahal veerana sa lagta hai…kya use apni maa ki yaad kabhi nahi aati…? Uske mann me tanik bhi ye khyal nahi aaya ki uske bina uski maa kis tarah rahti hogi…? Use apni maa se adhik vo khatarnak jungle pyara hai..?

Aryan—aap vyarth me hi chinta kar rahi hain rani maa…yuvraj ko jungle ki jagah ek ashram me jyada dilchaspi ho gayi hai iss samay..jab dekho tab ashram ke hi sapne dekhte rahte hain..

Deep mala (hairan)—ashram…? Kyo, aisa kya hai uss ashram me..aur koun sa ashram…?

Aryan—uss ashram se hi to dil laga baithe hain yuvraj..maharani maa..

Gomti—kis ka ashram hai vo..? koun rahta hai vaha…?

Aryan—rahta nahi badi rani maa balki rahti hai...

Deep mala (hairan)—rahti hai.. ! kya matlab…koun rahti hai…?

Aryan—divya…ji haan, rani maa…mera mitra yuvraj jitu uss rishi kanya divya ko dekhte hi apna dil haar baithe hain…jab se uss rishi kanya divya ko yuvraj ne dekha hai tab se na to unhe bhookh lagi hai aur na hi pyas….yaha tak ki raat ko sote bhi nahi hain.. bas jab dekho tab ashram jane ki jaldi machi rahti hai unko…isliye to mujhe yaha bhej diya apni jagah..

Deep mala (shocked)—kyaaaaa….?

Gomti (khush ho kar)—mubarak ho deep mala..mere bete ne hamare liye bahu dhoond li hai…

Jaha bahu ki baat sun kar maharani deep mala aur gomti ke dil me ek khushi ki sihran daud gayi to vahi vinita ko ye sun kar ek jhatka sa laga…uski ankhe akasmat hi bhar aayi aur vo turant hi vaha se uth kar apne kaksh me aa kar deewar par lagi yuvraj ki tasveer ko utar kar apne seene se laga liya…uski ankhe motiyo ki mala pirone lag gayi thi.
 
Well-known member
3,825
7,366
143
SAAJAN
UPDATE- 221
5th Janam Ki Love Story Continues.....

Aryan—divya…ji haan, rani maa…mera mitra yuvraj jitu uss rishi kanya divya ko dekhte hi apna dil haar baithe hain…jab se uss rishi kanya divya ko yuvraj ne dekha hai tab se na to unhe bhookh lagi hai aur na hi pyas….yaha tak ki raat ko sote bhi nahi hain.. bas jab dekho tab ashram jane ki jaldi machi rahti hai unko…isliye to mujhe yaha bhej diya apni jagah..

Deep mala (shocked)—kyaaaaa….?

Gomti (khush ho kar)—mubarak ho deep mala..mere bete ne hamare liye bahu dhoond li hai…

Jaha bahu ki baat sun kar maharani deep mala aur gomti ke dil me ek khushi ki sihran daud gayi to vahi vinita ko ye sun kar ek jhatka sa laga…uski ankhe akasmat hi bhar aayi aur vo turant hi vaha se uth kar apne kaksh me aa kar deewar par lagi yuvraj ki tasveer ko utar kar apne seene se laga liya…uski ankhe motiyo ki mala pirone lag gayi thi.

Ab aage……

Vinita (nam ankhe)—akhir tumne kisi aur ko apne dil me jagah de hi di na jitu….jab hum bachpan me ek sath khelte the tab tumne khel khel me hi mujhse shadi ki thi…yaha tak ki meri maang me sindoor bhi bhara tha tumne…tumne hi to tab kaha tha na ki vinita didi, aaj se aap meri patni ho…? Tum to bade ho kar isko gudde gudiyo ka mahaj ek khel samajh kar bhul gaye kintu maine to ussi samay hi tumhe apna sach much ka hi pati apni antar atma se swikar kar liya tha.
"Mana Ki Kismat Par Mera Koi Jor Nahi,
Par Ye Sach Hai Ki Mohabbat Meri Kamjor Nahi,
Tere Dil Me, Teri Yaado Me Koi Aur Hai, Lekin,
Meri Har Saans Me Tere Siwa Koi Aur Nahi."​
(Vinita vahi ladki hai jiska jikra piche update 216 me kiya ja chuka hai)

Jaha mahal me kuch logo ke chehro par khushi angadayi le rahi thi to vahi vinita ka dil dard se tadap raha tha ...kintu inn sab ke alawa bhi kuch log aise bhi the jinke bhawan me ek alag hi manzar tha....khardusan apne kaksh me apni dharm patni bulbul ke sath baithe huye hain..dono ke chehro par chinta ki rekhaye spast taur par jhalak rahi thi...tabhi vaha unka putra vish dhar (vishraj) kuch pareshan aur uddwign avastha me pravesh karta hai.

Vish dhar (pareshan)—pita shri...kuch suna aapne... ?

Bulbul—kya hua putra…?

Vish dhar—mata shri..aap to hamesha apne kaksh me hi ghusi raho…bahar kya kya ho raha hai..aap ko to kuch pata hi kaha rahta hai…

Khardusan—akhir baat kya hai…?

Vish dhar—pita shri…uss jitu ko kisi ladki se prem ho gaya hai…kal ko unki shadi bhi ho jayegi…kaha aap usko khatam karne ki yojna bana rahe the aur kaha vo apne vivah ki taiyari karne me laga hua hai…

Khardusan—yahi vishay par to main bhi soch raha hu…

Vish dhar—aap bas sochte hi rahenge…aapne to kaha tha ki ye safar jitu ke jeevan ka antim safar hoga lekin ab tak vo jivit hai aur vaha prem leela kar raha hai..uska vivah ho gaya to jaldi hi maharaj bhi ban hi jayega vo…

Khardusan—mere hote huye aisa kadaapi nahi ho sakta….main aisa kabhi nahi hone dunga…vrihadpur ke raj singhasan par tum hi baithoge putra…phir chahe iske liye mujhe khoon ki holi hi kyo na khelni pade..jaise ki maine apne bade bhai ko raste se hataya tha vaise hi jitu ko bhi hata dunga….vo jis din uss kali pahadi par gaya, samajh lo vo din jitu ki jindagi ka akhiri din hoga kyon ki vaha jane wale ko sirf mout hi milti hai

Vish dhar (hairan)—kyaaa…? Lekin tau ji to raj paat chhod kar kahi chale gaye the na…?

Khardusan—hahaha…sab yahi samajhte hain ki vo kahi chale gaye hain…lekin sach to ye hai ki maine unhe khatam karwa diya tha…

Vish dhar—phir aapne maharaj shailendra ko kyo jivit chhod diya…?

Khardusan—kyon ki unke koi santaan hi nahi thi aur bhavishya me hone ki sambhavana bhi nahi thi…uss sthiti me tumhara hi yuvraj banna nishchit tha…parantu unke maharaj banne ke kuch varsh baad na jane ye jitu kaha se aur kaise paida ho gaya…? Aur meri sari yojna vifal ho gayi.

Vish dhar—agar aap uss samay hi jitu ko khatam karwa dete to aaj uski jagah main yuvraj hota…

Khardusan—koshish to maine bahut ki magar har bar maharani deep mala uski dhaal ban ke use bacha leti thi…kintu ab use koun bachayega…?

“Bilkul sahi kaha pita ji aapne....lekin hum aapse bahut naraz hain” Tabhi vaha rajkumari rati ne pravesh karte huye kaha.

Khardusan—kaha se aa rahi hai hamari beti... ?

Rati—shikar par gayi thi pita ji..

Vish dhar—koi shikar mila bhi ya nahi...hahaha... ?

Rati—mera shikar to vo jitu hai....meri ek hi khwahish hai use kutte ki mout maarna...

Vahi dusri taraf…..

Chitra— jab ek akeli ladki ko ek band kamre ke bhitar payenge aur aap ko use apni god me aise taange huye dekhnege..kya tab bhi vishwash nahi karenge..? sab ko malum hai ki main jhuth nahi bolti..

Jitu (shocked)—aaaa…..ye to maine socha hi nahi…chal chal utar jaldi…(mann me)..meri mati mari gayi thi jo jungle me uss gufa ka rahasya pata karne jane ki jagah iss chorni ko pakadne chala aaya…ek udhar vo anusuiya bin bulaye mehman ki tarah jabran meri jholi me tapak gayi..aur idhar ye chotti jabardasti mere gale pad rahi hai…main bechari divya se kya kahunga..? agar gaon walo ne mujhe iske sath aisi halat me dekh liya to sab iski baat ko hi sach maan lenge.. kyon ki main iss samay apne asli yuvraj ke roop me hu….aur agar galti se bhi ye baat rajmahal tak pahuchi to maa meri shadi iss chotti se karne ka farman jari kar dengi..

Maine usse jyada bahas na karne ka faisla kar ke darwaja khol kar bahar aa gaya aur shiwir ki taraf chal diya…vo bhi mere daud kar mere bagal me aa gayi aur mera hath pakad kar chalne lagi…maine apna hath chhudana chaha to usne aur bhi kas ke pakad liya…gaon me pahuchte hi sab hairani se dekhne lage…kuch hi der me mere gaon aane ki khabar aag ki tarah phail gayi poore gaon me….lekin sabse jyada hairani unhe chitra ko mere sath dekh kar huyi.

Ek admi—(hairan)..ye kya..ye chotti to yuvraj ke sath hai…?

Dusra admi—bhai..mujhe to lagta hai ki ye sach hi bol rahi thi…avashya hi yuvraj iss chotti se prem karte honge..

Jab ye baat uss vyapari ko malum chali to vah daudta hua aa gaya…

Vyapari—achcha hua yuvraj ki aapne iss chotti ko pakad liya…isne sab ka jeena haraam kar rakha tha..

Chitra (gusse me)—ye chotti kis ko bola re tune…? Tere baap ka maal churaya hai maine…? Jyada chabad chabad ki na to ye kulhadi dekh raha hai…yahi kaat dungi …apni hone wali maharani se baat karne ki bhi tamiz nahi hai tum logo ko..aur gaon walo ab to tum sab ko yakin aa gaya na ki main sach bol rahi thi…main yuvraj ki patni hu…(dhire se)..aap inn sab se bol do ki main apki patni hu..nahi to mujhe mahal me maharani ke paas jana padega.

Jitu (mann me)—are yaar ye kaisi musibat mere gale pad gayi hai..

Main abhi kuch bolta ki tabhi kisi ke cheekhne ki awaz mere kano me sunayi padi to main uss disha me chal pada jidhar se ye awaz aayi thi…aage jane par mukhiya ke ghar ke samne kuch log jama the…mere vaha pahuchte hi sab ne jhuk kar mujhe pranam kiya aur kinare khade ho gaye.

Jitu—kya hua…kaisi cheekh thi ye….?

Ek admi—achcha hua yuvraj..! aap aa gaye..mukhiya ji ke ghar ke andar se hi cheekhne ki awaz aayi thi…

Ye sunte hi maine daud kar uss ghar ke darwaje ko kholna chaha lekin vo bhitar se band tha to maine jor se dhakka de kar use tod diya…darwaja tod kar jaise hi main andar gaya vaise hi kisi ki laash mere upar aa giri…ye dekh mere dil ki dhadkan saham si gayi…maine dekha to ye mukhiya ke patni ki laash thi.

Kuch pal ke liye samay jaise ruk sa gaya…mere thoda piche hat-te hi vo laash jamin par aa giri…unki ankhe abhi bhi khuli huyi thi…darr aur ummid ki kiran unki ankho se saaf jhalak rahi thi..unki ankho me main kuch der yu hi jhankta raha…choukane wali baat to yeh thi ki kukhiya ki patni ki laash par kahi koi chot ka nishan nahi tha…bas khoon hi khoon..

Jitu—ye sab kisne kiya hoga…?

Ek aurat—ye sab to roj ka hi kaam ho gaya hai yuvraj..

Dusra admi—hum sab ka jeevan to nark se bhi badtar ho chuka hai…

Thode hi samay me vaha lagbhag poora gaon ekattha ho gaya…jinke jinke bachche aur ghar wale gayab huye the..vo sab mere aage phoot phoot kar rone lage…sabse jyada hriday vidarak drishya to unn maao ka tha jinke bachche gayab huye the…maine unhe santwana de kar jaldi hi iss samasya ko door karne ka vada kiya.

Jitu—main aap sab ko vachan deta hu ki jitne bhi log gayab huye hain agar vo jivit hain to main dhoond nikalunga..phir chahe unhe pataal me hi kyo na chhupa kar rakha gaya ho…main aaj hi uss jungle me ja kar sab ka pata lagane ki koshish karunga.. jo bhi inn sab ke piche hoga, use uchit dand bhi dunga.

Main sab se vada kar ke shiwir me aa kar jungle jane ke liye apna ghoda mangwaya….mujhe jungle me jate dekh chitra bhi sath jane ki jidd karne lagi.

Jitu—vo koi khel ka maidan nahi hai jaha tum jane ki jid kar rahi ho…? akhir kyo mere piche padi huyi ho…?

Chitra—main aapse prem karti hu...jeete ji to main picha nahi chhodne wali..

Ankho Ne Aap Ko Dekha Aur Dil Ne Aap Ko Pasand Kiya,
Aap Hi Batao, Apni Ye Ankhe Nikaal Du Ya Phir Seene Se Dil.

Jitu—dekho chitra...ye majaak ka samay nahi hai...jungle me jana khatre se khali nahi hai..

Chitra—chahe kuch bhi ho..main aap ko akele uss manhoos jungle me nahi jane dungi...aap apne sath nahi le jaoge tab bhi main piche piche aaungi...

Maine chitra ko bahut samjhaya lekin vo nahi mani to maine vivash ho kar usko bhi piche ghode par bithaya aur jungle ki taraf chal diya...ghoda jungle ke bahar hi chhod kar jungle me paidal hi chalne lage.

Jungle me ghuste hi vahi purana nasha phir se chhane laga...kuch door chalne ke baad achanak se vaha kaante wali taar mili jo ki kisi ko jungle me aage jane se rokne ke liye lagi thi shayad.

Jitu (mann me)—ye taar achanak kaha se aa gayi... ? kal raat me to nahi thi...ya phir shayad main rasta bhatak gaya hu... ?

Ab mere upar mere sath ek aur jaan (chitra) ki jimmedari thi….kuch samajh me nahi aa raha tha ki inn taaro ko kaise paar karu..? main nirasha ke karan kuch soch nahi pa raha tha..ki tabhi chitra ne apni kulhadi ki madad se unn taro ki neev ko hi ukhad diya…main ye drishya dekh kar hairat me pad gaya.

Jitu (mann me)—akhir kaar ye main kyo nahi soch paya…? Kewal taaro ko hi to katna tha..

Chitra meri taraf dekh kar mujhe andar chalne ka ishara kar rahi thi…aur main bewaqoof sharmindgi ke karan ankhe chura raha tha…magar kuch bhi ho, iss ghatna se mera anubhav jo kahta tha ki ladkiya aadhe dimag ki hoti hain, vah galat sabit ho chuki thi.

Jungle me Kafi der tak chalne ke baad akhir hum uss surang tak pahuch hi gaye…magar vah surang jaisi maine pahle raat me dekhi thi, vaisi vo ab nahi thi…uski jagah badal chuki thi….vah surang ab pedo ke paas thi…jo saaf saaf kisi ke bhi nazro me aa jaye…ye kya locha tha, kuch samajh nahi aaya.

Maine iss par jyada dhyan nahi diya aur mashaal jala kar hath me pakad ke uss andheri surang me hamne apne kadam rakh diye....hamare pairo ki chahal kadmi ki awaz hame saaf saaf sunayi de rahi thi..hame kya, uss jagah agar koi bhi hota to usko bhi ye awaz jarur sunayi deti…veeran andhera charo taraf pasra hua tha.

Abhi hum kuch hi aage gaye honge ki tabhi surang ka darwaja ekdam se band ho gaya…vaise manzar to darawana tha lekin isme main kuch nahi kar sakta tha..main janta tha ki aisa hi kuch hone wala hai yaha…chitra darr ke karan kamp kapa rahi thi.

Jitu—kyo ab darr lag raha hai…? Maine pahle hi tumhe yaha aane se mana kiya tha..

Chitra—vo sab chhodiye..ye bataiye ki ab kya hoga…? Ye surang ka dwar to apne aap hi band ho gaya…ab yaha se hum bahar kaise nikalenge…?

Jitu—daro mat…mere hote huye kuch nahi hoga..

Maine apne aas paas nazar daudayi to samajh me aaya ki hum bahut badi musibat me phans chuke hain…

Jitu (mann me)—ho na ho, ye jaal mujhe phansane ke liye hi banaya gaya hai…lekin kisne ye jaal bichhaya, mujhe phansane ke liye…? Kya vahi bhediya manav…? Nahi..vo nahi ho sakta…aur ho bhi sakta hai…agar vo janwar nahi to phir koun…?

Hum abhi surang me hi the ki tabhi jiska mujhe darr tha..akhir vahi hua….
 
Well-known member
3,825
7,366
143
SAAJAN
UPDATE- 222
5th Janam Ki Love Story Continues....

Maine apne aas paas nazar daudayi to samajh me aaya ki hum bahut badi musibat me phans chuke hain…

Jitu (mann me)—ho na ho, ye jaal mujhe phansane ke liye hi banaya gaya hai…lekin kisne ye jaal bichhaya, mujhe phansane ke liye…? Kya vahi bhediya manav…? Nahi..vo nahi ho sakta…aur ho bhi sakta hai…agar vo janwar nahi to phir koun…?

Hum abhi surang me hi the ki tabhi jiska mujhe darr tha..akhir vahi hua….

Ab Aage…….

Tabhi pata nahi vo bhediya manav achanak kaha se aaya aur chitra ko ghayal kar ke phir gayab ho gaya….chitra dard se cheekh uthi..ye dekh main hadbada gaya aur iss hadbadahat me mere hatho se mashal chhut kar niche gir gayi aur bujh gayi…chitra dard se tadap rahi thi.

Achanak huye iss hamle se mera dil thamne laga..kuch samajh me nahi aa raha tha aur andhera hone ke karan kuch nazar bhi nahi aa raha tha…

Tabhi uss surang me achanak hi apne aap hi roshni hone lagi…charo taraf prakash hi prakash phail gaya…main ye dekh kar hairan tha…phir maine chitra ki taraf dhyan diya to ye dekh kar chounk gaya ki ab vo ek sundar bistar par leti huyi thi…uski ankho me dekhne par mujhe vaisa hi mahsoos hua jaisa ki mukhiya ki biwi ki laash ko dekhne par hua tha.

Jitu—chitra, tum theek to ho na…? maine tumhe isliye hi yaha aane se mana kiya tha, lekin tum kisi ki baat manti kaha ho….khair, himmat rakho…main yaha se bahar nikalne ka koi na koi rasta khojta hu…

Chitra (dard me)—aaaaaahhh…main..theekkk…huuuu.

Main abhi chitra se aage kuch kahne hi wala tha ki tabhi vo bhediya manav apna darawana chehra le kar phir se mere samne aa kar khada ho gaya….lekin hairani ki baat to ye thi ki iss bar vo nanga nahi tha balki pata nahi kaha se aur kaise, uske jism par kapde aa gaye the…?

Vo bhediya manav mujhe dekh kar mushkurane laga jabki main use dekh kar hairan tha…kuch der aise hi hamare naino ka milap hota raha kintu uski agli harkat ne phir se mujhe chounka diya.

Bhediya Manav—ab aapki halat kaisi hai yuvraj …?

Jitu (shocked, mann me)—ye sala goonga janwar to bolta bhi hai…! Aur aaj to nanga bhi nahi hai..kapde pahan rakhe hain…

Jitu—theek hi hu..

Magar vo abhi bhi mujhe dekh dekh kar mushkuraye ja raha tha…uski mushkurahat mujhe kuch jani pahchani lag rahi thi, magar kiski…? Ye dimag me nahi aa raha tha.

Chitra—meri jaan inhone hi bachayi hai..

Jitu (shocked)—inhone…? To phir tumhare upar hamla kisne kiya tha…?

Bhediya Manav—vo hamla maine nahi kiya tha..

Jitu—na kyon..mujhe aisa lagta hai jaise ki main tumhe janta hu…..?

Bhediya Manav—Jarur jante honge…kyon ki main hi gaon ka vo mukhiya hu jiski talash me aap kal raat jungle me aaye the..

Jitu (shocked)—kyaaaaa…..? lekin maine to kal aap ki sir kati laash dekhi thi…phir ye kaise sambhav ho sakta hai…? Tum achanak apne ghar se gayab kaise huye the…? Iske piche kis ka hath hai…?

Ye raaz sun kar main aur chitra ekdam shocked rah gaye ki ye bhediya manav aur koi nahi balki gaon ka vahi mukhiya hai jiski kal raat maine sir kati laash dekhi thi aur aaj uski patni ki laash dekhne ke baad yaha chitra ke sath aaya tha.

Hamare dimag me tarah tarah ke sawal kud rahe the…main bhediya manav se apne sabhi sawalo ke jawab janna chahta tha.. isse pahle ki main usse kuch puch pata, ki tabhi kahi se ek teer tezi se aa kar uski chhati me ghus gaya…teer lagte hi vo dard se karahne laga…main aur chitra ek bar phir se chounk gaye..vo dard se tadapte huye niche girne hi wala tha ki maine usko pakad liya…maine charo taraf dekha kintu koi nazar nahi aaya.

Jitu (pakad kar)—tum theek to ho…? Ye teer kisne mara…? Aur koun hai yaha…?

Bhediya Manav (dard me)—saajannnnnn….

Marte marte uske muh se bas ek hi shabd nikla ‘saajan’ aur phir kuch hi samay me uss bhediya manav ki mrityu ho gayi...aur saare raaz uski mout ke sath hi dafan ho gaye.

Abhi gaon se logo ke gayab hone ke rahasya par se parda utha bhi nahi tha ki ye bhediya manav ka ek naya rahasya aur samne aa gaya..mere paas koi upay nahi tha jisse iss raaz ka pata laga saku.

Jitu (mann me)—Agar ye haqiqat me gaon ka vahi mukhiya hi tha to ye bhediya manav me parivartit kaise hua…? Aur yadi mukhiya jinda tha to phir vo laash kis ki thi jise main mukhiya ki laash samajh raha tha…? Akhir kya rahasya hai iske piche…?

Mere samne kayi uljhe huye sawal the aur manzil ka kuch pata nahi tha…chitra ka jhakhm abhi bhi taza tha…maine chitra ko sahara de kar khada kiya aur dhire dhire surange me aage chalne laga kyon ki surang ka vo dwar jisse ki hum andar aaye the, vo pahle hi band ho chuka tha..isliye uss surang me aage badhne ka alawa mere paas dusra koi rasta nahi tha.

Surang me ab andhera nahi tha…charo taraf roshni jagmaga rahi thi…magar phir bhi aisa lag raha tha jaise ki ye roshni bhi mujhse kuch kahna chahti ho…?

Abhi hum uss surang me thoda aage hi gaye honge ki vaha surang ke bhitar hi ek choti surang aur nazar aayi…jo na jane kaha jati thi….main vahi khada ho kar use dhyan se dekhne laga.

Chitra (hairan)—ek aur surang…? Surang ke andar surang…? Main nahi jane wali iske andar...

Jitu—theek hai tum yahi ruko…main andar ja kar dekhta hu…

Chitra—nahi..main yaha akeli nahi rukungi….aapke andar ghuste hi kahi iss surang ka dwar bhi band ho gaya to…? Aur yaha kisi ne phir se mujh par hamla kar diya to….?

Jitu—ajib musibat hai....to phir chalo sath me..

Mere itna kahte hi vo dard se karahte huye kud kar mere gale me baahe daal kar meri kamar me chadh gayi…uske achanak aisa karne se main girte girte bacha.

Jitu—ye kya hai..? chalo utro niche…

Chitra—mujhe chot lagi hai...upar se main aapki patni hu...aap ki patni ghayal avastha me kaise chalegi...patni ki sewa karna to har pati ka param dharm hai...aisa karne se bahut punya milta hai..

Jitu—are kaha ki patni aur kaisi patni... ? aur tune ye kaha padha hai ki patni ki sewa karna pati ka dharm hai... ? jabardasti ki patni...

Chitra—mere guru dev bhi to apni patni ki roj sewa karte the…maine unko dekh kar hi sab samajh gayi thi...ki patni ki sewa karna pati ka dharm hai......

Jitu—mujhe tera gyan nahi sunna...chal utar niche aur paidal chal..

Chitra—main paidal nahi chal sakti...aap dekhte nahi ki mujhe kitni chot lagi hai...kahi paidal chalte samay kisi ne mujhe bhi teer se maar diya to... ? aur ek bar to vo mujhe pahle hi maarne ki koshish kar chuka hai...nahi, main niche nahi utarungi..

Jitu (apna sir pakad ke)—kaha se ye jabardasti ki musibat mere gale pad gayi hai... ?

Chitra—main musibat nahi hu..main to aapki raksha karungi har musibat se...

Jitu—tum musibat se meri raksha karogi jo khud ek sabse badi musibat hai... ?

Chitra—haan, main sach kahti hu….main jhuth kabhi nahi bolti….jo bhi musibat aap ki taraf ayegi, usko main aap ki god me chadhe chadhe hi apni kulhadi se kaat dungi..

Jitu—tujhse badi jhuth bolne wali maine aaj tak nahi dekha...

Chitra—main jhuth kabhi nahi bolti...apni patni ko jhuthi bolte huye aap ko sharam nahi aati... ?

Jitu (shocked)—kyaaaa....mujhe sharam aani chahiye... ?

Chitra—haan, jarur sharam aani chahiye…akhir aap mere pati ho..aap ko sharam nahi ayegi to kya padosi ko ayegi…?

Jitu—chal utar…utar niche..nahi to yahi patak dunga…

Chitra—dekhiye main janti hu ki aap mere sath suhagrat manane ke liye mujhe niche patakna chahte hain..lekin ye jagah vo sab karne ke liye theek nahi hai…

Jitu (shocked)—kyaaaa….suhag..raat….? hey bhagwan…!

Chitra—iss kaam me bhagwan ko beech me nahi bulana chahiye….paap lagta hai…

Jitu—tum utarti ho ya nahi…ki patak du niche…?

Chitra—nahi, main nahi utar sakti...mujhe bahut jyada chot lagi hai...niche utar kar main aap ko paap me nahi daal sakti..

Jitu—pata nahi aaj subah kis ka muh dekh kar utha tha..

Chitra—aapne apna hi muh dekha hoga subah...lekin aap aisa kyo bol rahe hain... ?

Jitu—tumse to baat karna hi bekar hai..

Main aise hi chitra ko taange huye uss choti surang me pravesh kar gaya….aur phir kuch der ghum phir kar hum vahi aa gaye, jaha se hamne shuruwat ki thi…vo jagah badi hi uljhi huyi bhul bhulaiya lag rahi thi.

Chitra—are..hum to phir se vahi pahuch gaye…

Jitu—phir dekhta hu..

Kafi der chakkar katne ke baad akhirkar hame uss surang me ek bada sa kamra mila…jisme darwaja laga hua tha…uss darwaje ko kisi suraksha kawach se rakshit kiya gaya tha.

Jaise hi hum uss darwaje ke paas pahuche to uss darwaje me lagi ghanti jor jor se bajne lagi….aur ghanti bajte hi kamre ke charo taraf lal roshni jagmagane lagi…jo ki kuch galat hone ka sanket kar rahi thi…lal rang vaise bhi khatre ka pratik mana jata hai.

Mere kuch samajh me nahi aaya ki ye sab kya chakkar hai…? Abhi main ye sab soch hi raha tha ki tabhi chitra ne jaise hi uss darwaje par hath rakha to vaise hi..
 
Well-known member
3,825
7,366
143
SAAJAN
UPDATE- 223
5th Janam Ki Love Story Continues....

Kafi der chakkar katne ke baad akhirkar hame uss surang me ek bada sa kamra mila…jisme darwaja laga hua tha…uss darwaje ko kisi suraksha kawach se rakshit kiya gaya tha.

Jaise hi hum uss darwaje ke paas pahuche to uss darwaje me lagi ghanti jor jor se bajne lagi….aur ghanti bajte hi kamre ke charo taraf lal roshni jagmagane lagi…jo ki kuch galat hone ka sanket kar rahi thi…lal rang vaise bhi khatre ka pratik mana jata hai.

Mere kuch samajh me nahi aaya ki ye sab kya chakkar hai…? Abhi main ye sab soch hi raha tha ki tabhi chitra ne jaise hi uss darwaje par hath rakha to vaise hi..

Ab aage.....

Chitra ke uss darwaje par hath rakhte hi vo password mangne laga..jo ki hum dono me se kisi ko bhi pata nahi tha...maine bahut se shabd daal kar prayas kiye kintu koi bhi shabd sateek nahi nikla...hum dono kafi uljhan me aa chuke the.

Chitra—ye to khul hi nahi raha hai...ab kya kare...apni kulhadi se tod du kya ye darwaja.... ?

Jitu—chup kar...tu aur teri kulhadi, apne paas hi rakh...ye tilismi surang hai...teri kulhadi se kuch nahi hone wala, ulta kisi nayi musibat me phansa degi..

Chitra—main aap ko musibat lagti hu... ? apni biwi ko musibat kahte huye aap ko sharam nahi aati... ?

Jitu—huuhh...jabardasti ki biwi kahne se tu meri biwi thodi hi na ban jayegi...tera ye sapna, bas sapna hi rahega..main kisi aur ko chahta hu...

Chitra—haan to kya hua...pahli biwi main aur vo dusri ban jayegi...lekin ab hum dono biwiyo ke alawa kisi teesri ke baare me sochna bhi mat...warna main uski gardan kaat dungi...haaaan...main jhuth kabhi nahi bolti..bataye deti hu..

Jitu—sir se le kar pair tak jhuth hi jhuth ki bani hai...aur kahti hai ki main kabhi jhuth nahi bolti..

Chitra—ab yaha se nikalne ke baad main sidhe mahal me maharani aur maharaj se milne jaungi..

Jitu (chounk kar)—vo kyo... ?

Chitra—kyo ka kya matlab…mahal me ja kar maharaj aur maharani ko apna phoola hua pet dikha kar aap ki kartoot bataungi aur kya.... ?

Jitu (sakpaka kar)—kkk....kyaaaa.... ? magar ye to sarasar jhuth hai..

Chitra—haan to kya hua...jab sidhi ungli se ghee na nikle to ungli tedhi karni hi padti hai...aur vaise bhi ishq aur jung me sab jayaz hai...rahi baat jhuth ki to sab jante hain ki chitra kabhi jhuth nahi bolti...main maharani ko sach sabit kar ke dikhaungi apni baat...aur phir poore gaon wale bhi to mere paksh me gawahi denge jinhone ek akeli jawan ladki ko band kamre ke andar aap ki god me dekha hai...

Jitu (sir me hath rakh)—(mann me)—ye to badi chalu ladki hai….iska kya bharosa, mujhe sahi me hi maa ke samne phansa na de ye…?

Chitra (chipakte huye)—kis soch me doob gaye mere patidev…? Kahi meri chummi lene ka mann to nahi kar raha…? (sharmane ka natak karte huye)…Agar kar raha hai to le lo..main rokungi thodi hi aap ko…aap ki biwi jo thahri…

Jitu (hadbada kar)—ye kya kar rahi hai…? Chal door hat…door hat…(mann me) maine bahut badi galti kar di uss din barish me iske ghar ja kar…na iske ghar jata aur na ye musibat mere gale padti..

Chitra—ye sab gandi baate sochna chhodo…aur iss darwaje ko kholne ke baare me kuch socho…main kahi bhagi nahi ja rahi hu.. baad me jitni chummi chahiye le lena…

Jitu—jab tum kuch sochne dogi tab na sochunga…itni der se dimag ka dahi jamaye padi hai…

Chitra (gale lag kar)—itna pyar karte ho mujhse....

Jitu—arey chup...chhod mujhe..aur kuch sochne de...

Chitra—haa..haan, to socho na..main to kab se bole ja rahi hu...magar aap hi ho ki itni der se meri chummi lene ke piche pade huye ho...jaldi se socho kuch...

Maine ek bar ghur kar chitra ki taraf dekha to usne mushkura kar ankh maar di..maine jaldi se uski taraf se dhyan hata kar paasword ke baare me sochne laga...kuch aur shabd bhi maine try kiye lekin koi bhi paasword sahi nahi nikla..tabhi mujhe marte marte mukhiya ke dwara kahe gaye antim shabd ‘saajan’ yaad aaya to main darwaje par lage screen par ye shabd type kar diya...

Saajan shabd likhte hi agle hi pal hi darwaja khul gaya….ye dekh kar chitra khushi se uchhalte huye phir se mere gale me jhul gayi aur jaldi jaldi usne teen chaar chumban le liye mere gaal aur hoth ke..ye sab itna akasmat hua ki mujhe kuch samajhne ka mouka hi nahi mila....jaise ki vo bas kisi aise hi mouke ki talash me thi.

Maine chitra ko apne se thoda alag kar ke darwaje ke andar dekha to vaha sirf andhera hi andhera dikhayi diya...main darwaje ke andar jane laga to chitra phir se jaldi se kood kar meri god me chadh gayi...shayad vo darr rahi thi.

Jitu—ye kya hai...chalo utro niche... ? mujhe ghoda samajh rakha hai kya ..jab dekho uchhal kar mere upar chadh jati ho... ?

Chitra—apni biwi ko aise me akeli chhod kar jane se paap lagta hai...aur vaise bhi main aap ki ardhangani hu...abhi main aap ke upar chadh rahi hu..baad me aap bhi to uchhal uchhal kar mere upar chadhoge na...to hisab barabar ho jayega..samajh gaye aap.. ?

Jitu—tumse baat karna to deewar me apna sir patakne jaisa hai..

Main phir se chitra se baato me ulajhna nahi chahta tha isliye vaisi hi avastha me darwaje ke andar pravesh kar gaya..andar ghuste hi jaise chamatkar hi ho gaya…darwaje ke bhitar jo ghanghor andhera chhaya hua tha achanak hi vaha charo taraf tez roshni jagmagane lagi…poora kamra roshni se bhar gaya.

Darwaje ke bhitar ghuste hi hum kisi alag hi duniya me pahuch chuke the…maine kamre me har taraf nazre daudayi to vaha mujhe kamre ke andar ek chota kamra aur dikhayi diya.

Main chitra ko apni kamar ke latkaye huye hi uss chote kamre me ghusa to vaha kaanch ke chote chote bartano me kuch taral padarth rakhe huye dikhayi diye…aur uske sath janwaro ki laash aur ek kone me manav ka sharir pada tha jiska sir nahi tha aur dusri taraf janwar ki laash jiska ki dhad nahi tha..ye sab dekh kar chitra cheekhne hi wali thi ki maine uska muh band kar ke shant rahne ka ishara kiya…jabki hairan to khud main bhi tha.

Maine ek kaanch ke bartan ko dhakka diya to vah gir kar toot gaya jisse usme bhara hua taral padharth vaha bahne laga… aur tabhi uss kamre me kisi ki bhari bharkam awaz goonj uthi.

Uss kamre me kisi ki awaz sunte hi hum chounk gaye..main har taraf ghum kar dekhne laga ki ye kis ki awaz hai magar koi nazar nahi aaya…maine turant talwar apne hath me majbooti se pakad kar kisi akasmik khatre se nipatne ke liye savdhan ho gaya.

Jitu (hairan)—koun hai yaha….samne aao….?

‘’Hahahahahaaha......hahahahahaha......hahahahahaha’’ mere sawal ke jawab me kisi ke jor jor se hasne ki awaz aayi.

Bhayanak hasi ki awaz sunte hi chitra ghabra gayi aur meri god se utar kar bahar bhagne lagi magar uske piche mudte hi darwaja dhadam se band ho gaya...aur vaha par rakhe kaanch ek ek kar ke tootne lage..aur phir ekdam se andhera chha gaya....hum ab uss kamre me phans chuke the...vo vapis aa kar meri god me chadh gayi jaldi se.

Jitu—tum jo bhi ho...samne aao.

Andhere me ab kuch bhi nazar nahi aa raha tha..ki tabhi phir se ek chamatkar hua...hamare samne na jane kaha se ek darwaja aa gaya jisme se ki bahut tez roshni aa rahi thi...uss roshni ke karan hamari ankhe chakachoundh hone lagi..tabhi ek bar phir se vahi awaz goonjne lagi.

‘’Main iss tilismi darwaje ka rakshak hu...agar tum iss darwaje ke andar pravesh karna chahte ho to tumhe meri teen paheliyo ke jawab sahi sahi dene padenge.’’ Iss baar jor jor se hasne ki bajaay usne apna parichay dete huye kaha.

Chitra—hame koi jawab nahi dena aur na hi uss kamre me jana hai…bas hum yaha se bahar jana chahte hain..samjhe..

‘’Iss tilismi kamre me pravesh karne ke baad sirf aage badha ja sakta hai..piche jane ka rasta band ho chuka hai.’’ Usne chitra ki baat ka jawab diya.

Chitra—aise kaise nahi khulega bahar jane ka rasta…tu ek bar samne aa to main teri gardan kaat dungi apni kulhadi se..

‘’Hahahahahaha…..haahahahahahaha…..jaldi bolo…tumhe meri shart manzur hai ya nahi…? ya phir yahi marne ka irada hai..?’’ usne aage kaha.

Jitu—theek hai..mujhe manzur hai...tum sawal pucho..

‘’Ek baat aur bata du tumhe ki agar tum logo ne paheli ka jawab galat diya to tum dono me se kisi ek ko apni jaan gawani padegi….jawab dene ka sirf ek hi mouka milega’’ usne chetavani dete huye kaha.

Chitra (ghabra kar)—ye kaisi ajib shart hai…? Yuvraj, mujhe abhi marna nahi hai…mujhe to abhi tumhare bahut saare bachcho ki maa banna hai ..bahut soch samajh kar hi jawab dena..

Jitu—ab tum mera dimag mat chato yaar…bhai tum paheli pucho…

‘’Theek hai..ye raha pahla sawal…’’ usne sawal puchte huye kaha.

‘’Baap Bhi Kahe Mama, Maa Bhi Kahe Mama, Mama Bhi Kahe Mama Aur Mami Bhi Kahe Mama.’’
 
Well-known member
3,825
7,366
143
SAAJAN
UPDATE- 225
5th Janam Ki Love Story Continues....

Hum ek magar machchh ko insaani bhasa bolte dekh kar hairan rah gaye…chitra to ye dekh kar behosh hote hote bachi..hamari samajh me ye hi nahi aa raha tha ki ek magar machchh hamari juban me kaise bol sakta hai..? magar agle hi kshan usne dubara kaha to vishwash karna hi pada.

“Aaiye aap dono ka hardik swagat hai.” Magar machchh ne apna bada sa muh phailate huye kaha.

Magar tabhi ek aur awaz ne hame chounka diya..

Ab Aage.....

"Aap dono iske paas mat jana, warna ye ek minute me dono ko kha pi kar hazam kar jayega." Vahi paas se awaz aayi.

Awaz sunte hi hum chounk kar charo taraf dekhne lage magar koi dikhayi nahi diya siaye kinare par baithe huye ek medhak ke.. usko bhi insani bhasa bolte dekh chitra ki halat aur bhi patli ho gayi..ek taraf magarmachch hame apni taraf bula raha tha to vahi dusri taraf medhak hame uske paas jane se rok raha tha.

Hame aisi dayniya halat me dekh kar vaha pedo par baithi huyi chidiya jor jor se khila khila kar hasne lagi…unko haste dekh kar chitra ghabra kar kood ke meri god me chadh gayi.

Jitu—chal utar niche..ye kya kar rahi hai…?

Chitra—nahi, main niche nahi utarungi..mujhe darr lag raha hai…aur bhukh bhi bahut lagi hai..mujhse ab chala nahi jayega..

Jitu—ufff..kya musibat hai…

Maine vaha rukna theek nahi samjha aur vaha se aage badh gaya...thodi door jate hi samne se chaar mahilaye aati huyi dikhayi di...unke hatho me choti choti potaliya thi...hairani ki baat ye bhi thi ki vaha par kafi matra me roshni thi.

Chitra—mere patidev, unn mahilao ke paas jo potaliya hain, jarur unme khane ka kuch bandha hoga..chalo na unse puch kar dekhte hain..

Jitu—pahle to mujhe patidev mat bolna samajhi..aur dusra unke paas khana hoga bhi to tujhe kyo dengi... ?

Chitra—pahli baat to main bilkul nahi manungi..aur rahi dusri baat to main unse khud baat kar lungi..aap chalo to udhar.. agar main bhukh se mar gayi to patni hatya ka paap aap ko lagega..jo main nahi chahti..

Jitu—tere bolne se tu meri patni ho gayi kya…? Jabardasti ki patni...

Chitra—ab chahe jabardasti ki mano ya jaise bhi mano...ab main hu aapki patni to hu...

Main usko le kar unn striyo ke paas pahuch gaya...hame dekh kar vo bhi ruk gayi...ya shayad vo hamari bhasa samajh sakti thi isliye hamari awaz sun li ho jo chitra ne unhe lagayi thi.

Chitra—dekhiye, ye mere pati hain aur main inki patni hu...mere pati ne pichle ek saal se anaj ka ek dana bhi nahi khaya hai.. dekhiye kitne duble ho gaye hain...yaha tak ki inse chala bhi nahi ja raha hai...agar aap ke paas kuch bhojan ho to hame de dijiye jisse main inhe khila saku..aap ki badi meharbani hogi..

Chitra ki baat sunte hi vo charo badi hairani se ek dusre ka muh dekhne lagi..jabki main mann hi mann chitra ko kosne laga uski iss bewaqoofi par..

Jitu (mann me)—kitna bada safed jhuth bolti hai ye jhuthi..mere upar chadhi hai phir bhi bolti hai ki maine saal bhar se kuch nahi khaya…?

Aurat 1—badi ajib baat hai...god me tum apne mard ke upar chadhi ho..aur vo bechara tumhe apne upar taange ghum raha hai. Aur kahti ho ki isne saal bhar se kuch nahi khaya.. ? jabki tum kahti ho ki ye bahut dubla aur kamjor ho gaya hai...phir uski god me tum kyo chadhi ho... ?

Chitra—nahi, abhi tum samjhi nahi...pahle aap khana do..phir main samjhati hu..thoda inko khana khila du..

Aurat 2 (potli kholte huye)—theek hai..ye lo..khila do..inko..

Aurat 3—lo ye bhi le lo..hamara ghar paas me hi hai..kam padega to aur le ayengi hum..

Unn charo mahilao ne apni apni potli me bandha hua khana de diya...khana dekhte hi chitra meri god se utar kar khane par toot padi aur jaldi jaldi khane lagi..charo aurate ek bar phir se ankhe phade hairani se chitra ko dekhne lagi..kuch hi minutes me chitra ne poora khana chatt kar liya.

Aurat 1 (shocked)—tum to bol rahi thi ki tumhare pati bahut bhukhe hain aur unhone saal bhar se kuch nahi khaya...aur to aur tumne khana to apne pati ko khilane ke liye maanga tha..lekin tumne unhe to kuch khilaya hi nahi...

Chitra—main abhi khilaungi na apne pati ko khana..main kha thodi rahi thi..bas khana check kar rahi thi....(meri taraf dekh kar)..aapne nahi khaya kuch bhi... ? chaliye khana kha lijiye..

Jitu (mann me)—tera sir kha lu...jab kuch bachaya hi nahi hai tune to... ? sab to kha gayi...ab kahti hai lo khana kha lo..bhukhkhad kahi ki..

Aurat 4 (haste huye)—vo bechara kya khayega ab , jab tumne uske liye kuch bachaya hi nahi hai to... ? ab main samjhi ki bechare ne saal bhar se khana kyo nahi khaya... ? jab usko khane ke liye tumse kuch bachta raha hoga, tab na khata bechara...hihihihi

Aurat 1 (haste huye)—koi baat nahi, mere paas bas ek phal bacha hai, ye apne pati ko khila do...khud mat kha lena..

Chitra—ek aur nahi hai...vo kya hai na ki bechare bahut bhukhe hain na.. to isliye...

Aurat 1—nahi, ab to nahi hain kuch bhi hamare paas...

Chitra (mayus)—theek hai..yahi khila deti hu…(mujhe dete huye)..lijiye khaiye..

Jitu (khate huye)—phal kafi mitha hai..

Chitra—(hotho par jeebh pherte huye)…aap ke paas pani hoga na..dijiye thoda pani…

Aurat 2—hmm..ye lo pani..

Chitra—chaliye ab thoda pani pi lijiye..ek phal se pet nahi bharega aap ka…

Chitra ne mujhe pani pakdaya to main pani pine me lag gaya..itne me chitra, mere hath ka phal lapak kar jaldi se kha gayi..sab use ghur kar dekhti rah gayi…yaha tak ki unke paas ka bacha hua sara pani bhi gatak gayi.

Uske baad vo striya vahi hamare paas baith kar baate karne lagi…baat karte karte achanak hi hum dono ka sir chakrane laga aur phir kuch hi pal me main aur chitra behosh hote chale gaye…uske baad kya hua, hame kuch pata nahi chala..?

Kintu jab mujhe hosh aaya to khud ko ek saje sajaye vishal aalishan shahi mahal ke behad khubsurat kaksh me sungandhit phoolo se saje huye palang par paya…kaksh me vibhinn prakar ke abhusan, vastra aur khadya samagri rakhi huyi thi..poora kamra khubsurat phoolo se saja hua tha..

Khud ko itne vishal aur khubsurat mahal me dekh kar main chounk gaya..maine apne dimag par jod dala to kuch samay pahle ki ghatna yaad aane lagi…

Jitu (shocked,mann me)—main yaha kaise aa gaya…? Koun si jagah hai ye…? Jaha tak mujhe dhyan hai main to chitra ke sath uss veeran jagah par tha..aur unn mahilao se baate kar rahe the hum dono...phir uske baad kya hua, yaad kyo nahi aa raha.. ? chitra..chitra kaha hai... ?

Chitra ka khyal aate hi main chintit ho kar idhar udhar dekhne laga...tabhi kisi ki awaz ne mujhe chounka diya..
"Swagat hai mere mehboob...mere saajan...swagat hai…..Baharo phool barsao, mera mahboob aaya hai…..Badi der se dar pe ankhe lagi thi, Badi der kar di huzoor aate aate..”

Maine chounka kar charo taraf dekhne laga kintu koi nazar nahi aaya..aur na hi chitra mujhe kahi dikhayi padi...jisse mere mann me chitra ki suraksha ko le kar chinta hone lagi..

Jitu (pareshan)—kkk...koun hai yaha... ? aur ye koun si jagah hai... ?

Tabhi ek bar phir se vahi madhur awaz kamre me goonj uthi..
"Mera Dard Bhi Tum, Meri Dawa Bhi Tum,
Meri Ibadat Bhi Tum, Mera Khuda Bhi Tum,
Maine Chaha Bhi Tumko Aur Paya Bhi Nahi,
Mere Sath Bhi Tum Aur Mujhse Juda Bhi Tum."

Vahi dusri taraf ashram me divya ka mann aaj bahut vyakul ho raha tha…kshan kshan badhti uski ye vyakulta uske dil me tarah tarah ki ashankaye vyapt kar rahi thi…hriday me bechaini nirantar badhti hi ja rahi thi..
 
Well-known member
3,825
7,366
143
SAAJAN
UPDATE- 226
5th Janam Ki Love Story Continues...

Tabhi ek bar phir se vahi madhur awaz kamre me goonj uthi..

"Mera Dard Bhi Tum, Meri Dawa Bhi Tum,

Meri Ibadat Bhi Tum, Mera Khuda Bhi Tum,

Maine Chaha Bhi Tumko Aur Paya Bhi Nahi,

Mere Sath Bhi Tum Aur Mujhse Juda Bhi Tum."

Vahi dusri taraf ashram me divya ka mann aaj bahut vyakul ho raha tha…kshan kshan badhti uski ye vyakulta uske dil me tarah tarah ki ashankaye vyapt kar rahi thi…hriday me bechaini nirantar badhti hi ja rahi thi..

Ab aage......

Divya bechaini se karwat badal rahi thi..neend thi ki aane ka naam hi nahi le rahi thi...hriday me barambar saajan ki chhavi ubhar rahi thi..uska mann abhi issi waqt saajan ki ek jhalak paane ke liye vyakul ho raha tha.

Divya (mann me)—aaj hi to mili saajan se phir bhi mera mann usko dekhne ke liye itna vyakul kyo ho raha hai... ? kyo mere hriday me ek anjana sa darr gahrata ja raha hai..kahi saajan kisi musibat me to nahi hai... ? kahi vo uss manhoos jungle me to nahi chale gaye... ? hey eshwar.. ! mere saajan ki raksha karna..

Divya raat bhar baithe baithe upar wale se saajan ki salamati ke liye prarthana karti rahi....vahi dusri taraf uss mahal me dubara kisi ki awaz sun kar main hairan tha.

Jitu—dekho, tum jo koi bhi ho..samne aao...akhir mujhe yaha laane ke piche tumhara maqsad kya hai....koun ho tum... ?

"Kya ab bhi tumne apni pari ko nahi pahchana... ? Itna jaldi bhul gaye saajan mujhe... main tumhe kab se bula rahi thi.. akhir aaj tumhe mere paas aana hi pada saajan....?" dubara awaz aayi.

Ji haan, ye awaz kisi aur ki nahi balki pari ki thi, vahi pari jisne iss kahani ki neev daali..vahi pari jo saajan se be-intaha mohabaat karti hai to utni shiddat se nafrat bhi .

Jitu (hairan)—Pari.. ! koun pari.. ? dekho main jab kisi pari ko janta hi nahi to use bhulne ka sawal hi paida nahi hota.. aur mera naam saajan nahi hai..mera naam jitendra singh hai..log pyar se mujhe jitu kahte hain..

“Naam badal gaye…janam badal gaye..jagah badal gayi yaha tak ki tum bhi badal gaye lekin agar kuch nahi badla to vo thi sirf pari jo aaj bhi tumhara intazar unti hi shiddat se aaj bhi karti hai jitni shiddat se pahle karti thi..sadiya gujar gayi lekin na to pari ka pyar badla aur na hi nafrat kam huyi..” pari ne adrishya avastha me hi kaha.

Jitu uski baate sun kar hairan tha..kyon ki vo apne liye ye saajan naam ka sambodhan pichle kayi din se sunta aa raha tha..lekin use kuch bhi dhyan nahi tha..vo to ye bhi nahi samajh pa raha tha ki log usko saajan kyo kah rahe hain…?

Jitu (shocked)—nafrat..! kaisi nafrat..? main to tumhe janta tak nahi, phir nafrat kis baat ki…? Tumhari baate meri to samajh me hi nahi aa rahi hain…aur tum samne kyo nahi aa rahi….?

“Apne saajan ka hukum kaise taal sakti hu.” Pari ne kaha.

Aur phir uske baad vaha kamre me dhire dhire ek akriti ubharne lagi jaise hi uss akriti ka chehra saaf hua to use dekhte hi jitu chounk gaya….kyon ki uske samne youvan se bharpoor ek asim roop sundari khadi thi…jitu ki nazar jaise vahi uske chehre par hi thahar kar rah gayi.

Jitu (shocked)—tumm..to…vahi..ho…jo mujhe mere sapno me dikhayi deti thi…aur..aur..bahut dard bhari baate kiya karti thi…‼ lekin ye kaise ho sakta hai….? Ek sapna haqiqat ka roop kaise le sakta hai…?

Pari—chalo shukra hai..tumhe kuch to yaad aaya..mere mehboob…haan, vo main hi thi..jo tumhare sapno me aa kar tumhe bulati thi..timhare samne gidgidati thi..aur aaj mera dard tumhe mere paas khich hi laya saajan..

Jitu (hairan)—tum mujhse kya chahti ho…? Kya dard hai tumhe…? Main to yaha apne rajya se gayab huye logo ki talash me aaya tha ki iss tilism me phans gaya…kya unn sab ko kya tumne hi gayab kiya tha…? Main yaha kaise pahucha…? Aur mere sath jo ladki thi, vo kaha hai…? Dekho, use kuch mat karna…

Pari (mushkurate huye)—kyo mohabbat ho gayi hai usse…?

Jitu—nahi..lekin vo ladki mujh par vishwash kar ke mere sath aayi thi…isliye uski hifazat karna mera farz hai…

Pari (dard)—ohhh..to usse pyar nahi karte tum…sirf usse khel rahe ho…dhokha dena ye to tumhari purani adat hai…khubsurat aur bholi bhali ladkiyo ki bhavnao se, unke jism se aur unke dil se khelna aur phir jab mann bhar jaye to kachra samajh ke utha ke bahar phenk dena..hai na saajan…?

Jitu—ye kya kuch bhi bakwas kiye ja rahi ho tum…? Maine kisi ko dhokha nahi diya...aur na hi kabhi kisi ki bhavnao se khela hai…samjhi tum…jarur tumhe galat fahmi huyi hai…mere sawalo ka jawab dene ki bajaye mujh par hi mithya aarop lagane lag gayi…

Pari (tezi se)—door jane ki jarurat nahi saajan, tumhare dkokhebaziki shikar huyi ladki ka sabse bada udaharan to tumhare samne hi hai saajan…haan, saajan..main khud, pari tumhare dhokhbazi ka shikar ho chuki hu… ( itna bolte bolte achanak pari ki awaz me itna dard, utar aaya ki uske dard ki dastan sun kar patthar ka seena bhi chhalni ho jaye, uska gala bhari ho gaya aur ankhe anshuo ki mala pirone lagi.?..jis pari ne tumhe apna sab kuch mana, apna eshwar, apna bhagwan, apna khuda..sab kuch mana, tumhari pooja karti rahi..vo bholi bhali bina maa ki ladki pari tumhe aur tumhare pyar ko hi apni duniya samajhne lagi…tum jo kah dete use vo apne bhagwan ki aagya samajh kar poora karti rahi, tumhare liye usne duniya aur samaaj ke banaye niymo ki bhi kabhi parwah nahi ki…tumhari bar baat par ankh band kar ke vishwash karti chali gayi..tumhara har adesh jaise uske liye bhagwan ke adesh se kam nahi tha…tum jaha bulate, jab bhi bulate..vo bechari tumhare prem me pagal bina kuch soche vaha tumhare kahe samay par pahuch jati…tum din ko kah dete ki ye raat hai to raat maan leti, agar tum kah dete ki ye suraj nahi chaand hai to vah use chaand maan leti….lekin tumhe to usse kabhi pyar tha hi nahi, tumhe to bas uska jism chahiye tha..uss bechari ne tumhe apna jism bhi bina kisi virodh ke sounp diya…phir jab tumhara mann usse bhar gaya to tumne usse apna muh mod liya..kyon ki tumhe dusri khubsurat ladki jo mil gayi thi divya…

Pari (rote huye jor se)—bolo saajan, kya kasoor tha mera…? Kya ye ki maine tumhe apne dil ki gahraiyo se bhi badh kar chaha..? ya phir ye ki main garib thi... ? ya phir ye ki maine tum par vishwash kar ke, tumhe apna bhagwan maan kar tumko apna koumarya, apna sab kuch sounp diya... ? akhir kya kami thi mere pyar me saajan jo tumne mujhe ped se toote patte ki tarah apne aap se alag kar diya... ? lekin yahi sila tha mere prem, mere vishwash ka... ? tum apne prem me mujhe chhalte rahe aur main chhali jati rahi..uss divya ke liye tumne mujhe chhod diya...maine phir bhi tumse koi shikayat nahi ki...na to mujhe tumhara raajpaat chahiye tha aur na hi mujhe maharani banne ka koi shouq tha...bas tumhare dil me thodi si jagah hi to chahti thi main...maine to divya ko bhi swikar kar liya tha tumhari khushi ki khatir...yaha tak ki main to tumhare paas mahal ki daasi ban kar rahne ko bhi taiyar thi...lekin tumne vo bhi gawara nahi tha...kitna royi, kitna gidgidayi main tumhare samne, tumhari poori praja ke samne.. lekin kisi ko mujh par taras nahi aaya...maine to ye bhi tumhe bataya ki main tumhare bachche ki maa banne wali hu....ulta tumne mujhe bhari darbar me be-izzat kar ke laat maar ke bahar nikal diya...mere pita jo ki tumhare guru bhi the, tumne unko bhi maar diya...itne me bhi tumhara dil nahi bhara to tumne mere pet me pal rahe apne bachche ko bhi maar diya....bolo saajan, kyo..akhir kyo... ? kya kasoor tha mera... ? tum ek bar to kah dete ki pari tumhari ye galti hai, tumhari kasam main apni vo galti sudhar leti aur agar nahi sudhar pati to kam se kam ye dard to mujhe nahi jhelna padta, mann me mere ye santosh to hota ki meri iss galti ki vajah se tumne mujhe swikar nahi kiya..lekin tumne to meri galti tak nahi batayi..

Pari (roti huyi)—aur tum kahte ho ki tumne kisi ko dhokha nahi diya... ? aur puchte ho ki main tumse nafrat kyo karti hu... ? haan, main tumse karti hu nafrat..bahut nafrat karti hu tumse main....iss baat ko sadiyo ho gaye..lekin mera dil aaj bhi uss dard me tadap raha hai...aaj taki main uss dard ko jhel rahi hu...sadiya par sadiya gujarti rahi..tum janam par janam lete rahe..aur main aise hi tumhare diye dard me tadapti rahi...tumhare pyar ki ek boond paane ki lalach me bhatakti rahi...ye soch kar ki shayad kabhi to tumhe mere pyar par taras ayega..kabhi to mere dard ko samjhoge...kabhi to mere sath insaaf karoge...kabhi to mujhe tumhara pyar milega...lekin nahi, har bar tumne mujhe dhokha diya...har bar tumne uss divya ke liye mere pyar ko thukra diya.....main nafrat karti hu tumse aur sabse jyada uss divyaaa se...maine to apni nafrat me tumhe maarne ki bhi koshish ki kayi bar..lekin maar nahi payi...tumhare paas jate hi mere hath kaampne lagte the...maarti bhi to kaise maarti..kaise maarti uss shakhs ko jisko maine apne dil me basa rakha tha, jo meri har saans me samaya hua tha...mere dil , meri aatma, meri rag rag me basa hua tha..jiske alawa maine kabhi kisi aur ke baare me kuch socha hi nahi...aur jisse main toot kar mohabbat karti thi.. to bhaa kaise maarti uss shakhs ko... ? tumne bhale hi mere sath pyar ka khel khela tha, lekin maine to sach me hi tumse mohabbat ki thi...phir bhala kaise maar deti apni mohabbat ko... ? lekin main aaj tak nahi samajh pa rahi hu ki akhir mujhme ya mere pyar me koun si kami rah gayi thi, jo saajan ne bina bataye hi mujhe chhod diya... ? kyo..akhir kyo..saajan..kyo... ?

Pari rote rote mere samne ghutno par baith gayi aur dono hatho se chehra chhupa kar fafak fafak kar rone lagi...uski aap beeti sun kar meri ankhe bhi ro padi...halanki mujhe aisa kuch yaad nahi tha jaisa ki pari mere baare me bata rahi thi..lekin phir bhi na jane kyo uske iss dard ne mere dil me pari ke liye ek lagaav sa paida kar diya tha.

Pari (anshu bahate)—bas tab se aaj tak main ussi dard me tadapte huye bhatak rahi hu...na to tumhe hasil hi kar pa rahi hu aur na hi tumhe bhul pa rahi hu...tumhari mohabbat aur nafrat ke beech phans kar rah gayi hu...na to mujhe tumhari mohabbat hi nasib huyi aur na hi main tumhe maarne ki himmat kar pa rahi hu...tum mujhe bhale hi bhul gaye hoge saajan lekin ye pari aaj bhi tumhe nahi bhuli..main aaj bhi kuch nahi bhuli hu..


“Kabhi Ro Ke Mushkuraye, Kabhi Mushkura Ke Roye,

Jab Bhi Teri Yaad Aayi, Tujhe Bhula Kar Roye,

Ek Tera Hi To Naam Tha, Jise Hazar Bar Likha,

Jitna Likh Ke Khush Huye, Usse Jyada Mita Ke Roye.”
 
Last edited:

Top