Incest SAAJAN

Well-known member
3,825
7,366
143
Dosto,

Is kahani ko maine 10 chapter me devide kiya hai…..ye kahani hai……Saajan aur Divya ke agadh Sachche Prem ki, Jaha Hawas ke liye koi jagah nahi hai… Sirf aur sirf Real True Love hai, ye kisi ek janam ki prem kahani nahi hai….balki ye to dono ke pichchle lagatar saat janmo ki Love Story hai….Ye story incest based bhi hai…

Ye kahani hai pyar ki, atoot vishwas ki, dosti ki, dhokha aur nafrat ki, Sex ki…..aur hairat angej ghatnao aur kriya kalapo ki…….

Kya Saajan aur Divya ka Pavitra, Nishchhal, Nihswarth, Nishkaam Prem Safal hoga….? Kya unke is Prem ko ye samaj swikar karega…? Kiski kiski Bali chadhegi is Prem par…? Kya hoga anjam is Prem ka..?



《 INDEX 》
SAAJAN
5th Janam Ki Love Story
Update 《233》
Update 《234》
Update 《235》
Update 《236》
Update 《237》
Update 《238》
Update 《239》
Update 《240》
Update 《241》
Update 《242》
Update 《243》
Update 《244》
Update 《245》
Update 《246》
Update 《247》
Update 《248》
Update 《249》
Update 《250》
Present Time
Update 《314》
Update 《315》
Update 《316》
Update 《317》
Update 《318》
Update 《319》
Update 《320》
 
Last edited by a moderator:
Maurya ji
1,057
1,094
143
SAAJAN
UPDATE- 232


Priyamvada—tumne itna goodh gyan kaha se seekha divya…?

Divya—jab kisi se sachcha, nisswarth prem ho jata hai to vahi prem sab kuch sikha deta hai..

Chitra—tum aloukik ho divya…tumhari baate, tumhare itne uchch sanskar kisi sadharan kanya ke nahi ho sakte..tum nissandeh asadharan ho..

Vo sab abhi baate kar hi rahi thi ki tabhi…

Ab Aage..........

Hum sab bhi aa gaye, hame dekh kar vo chup ho gayi...meri nazar to divya par hi ja kar tik gayi, halanki vo bhi chori chori mujhe hi dekh rahi thi kintu mere sath me kanv rishi ke hone ke kaaran sakucha bhi rahi thi isliye vah nazre utha kar mujhe dekhti aur phir jhuka leti.

Kanv—kya baat hai putri, kisi vishay par gahan mantrana chal rahi hai kya jo hamare aate hi band ho gayi ?

Divya (sakucha kar)—nnn..nahi to pita ji...hum to bas aise hi baate kar rahi thi..

Kanv—theek hai...aao vats, andar chal kar tum bhi tanik vishram kar lo...tab tak main snan kar ke sandhya vandan karunga...

Jitu—ji, rishivar...

Uske baad kanv rishi kutiya ke bhitar ja kar apne vastra lene ke baad snan karne chale gaye aur main divya ke hasin chehre ko itminan se dekhne me leen ho gaya...mujhe apni taraf aise ektak dekhte dekh kar divya sharma gayi..uski iss ada ne to jaise uski khubsurti me aur bhi nikhaar la diya.

Chitra—aise kyon ghoor rahe ho rajkumar ?

Priyamvada—aag dono taraf barabar lagi huyi hai..hihihi...jaldi se kanv rishi se apni aur divya ki shadi ki baat kyon nahi kar lete aap ? bechari hamari sakhi piya milan ke liye tadap rahi hai..

Divya (naak ke niche ungli ghuma kar)—(priyamvada ko ghurte huye)..maar dalungi..

Jitu—samay aane par vo bhi karunga kintu abhi main jis kaam ke liye yaha aaya hu pahle usko poora karna mera pahla dharm hai...

Chitra—theek hai...main khud hi unse baat kar lungi..

Jitu—tum aisa kuch nahi karogi..

Chitra—aap shayad bhul rahe hain ki yaha divya ke alawa main bhi hu...meri taraf bhi dekhiye, akhir patni hu aapki..

Jitu—tumne apni nautanki phir se chalu kar di ?

Anusuiya—iss jhoothi ki nautanki ne to hame bhi pareshan kar diya hai..

Jitu—kyon kuch kiya kya isne ?

Priyamvada—ye itna jhooth bolti hai ki ab kya kahna...bolti hai ki iski aur aapki shadi ho chuki hai ..

Anusuiya—aur to aur..bolti hai ki aapse iske darzan bhar bachche hain vo bhi hamare jitne bade.. hihihihi..jhoothi kahi ki...

Chitra (tunak kar)—ye ..jhoothi kisko boli ? ruk abhi teri jeebh kaat deti hu...kaha gayi meri kulhadi ? ruk batati hu abhi tujhe...

Tunak kar chitra apni kulhadi dhoondne lagi aur phir milte hi unn dono ki taraf daudi to maine jaldi se uska hath pakad kar apne paas kheench liya.

Jitu—ye kya pagalpan hai ?

Chitra (gussa dikhate huye)—haan to inki himmat kaise huyi mujhe jhoothi kahne ki ?

Jitu—theek hi kahti hain dono..tum ho hi ek number ki jhoothi..ye jhooth nahi to aur kya hai jo sabse kahti phirti ho ki tum meri biwi ho aur hamare darzan bhar bachche hain..

Chitra—haan to isme jhooth kya hai ? shadi to hamari honi hi hai aur jab shadi hogi to bachche bhi to honge hi kam se kam darzan bhar...

Jitu (sir pakad kar)—ufff..ye ladki bhi na..poori pagal hai..

Chitra—haan lekin sirf aapke pyar me..

Anusuiya—itni der se ye aise hi hamara bhi dimag chaat rahi thi..

Chitra (aankhe dikha kar)—ek to raat ke andhere me mere pati ke sath apna munh kala karne ke baad unhe majboor kar diya ki vo tujhe swikar kar le....ab jyada juban chalayi to juban hi kaat dungi teri..

Divya—priyamvada, anusuiya...shant ho jao dono..kyon pareshan kar rahi ho chitra ko ?

Priyamvada—hum kaha kuch bol rahi hain sakhi..yahi ulta hame dhamkaye ja rahi hai tab se..

Chitra—main dhamki de rahi hu ? aur tu badi sharif hai jo andar hi andar rajkumar ke sath iss anusuiya ki tarah munh kala karne ka khwab dekh rahi hai..

Jitu—chitra, ye kya anaap shanaap bak rahi ho, hosh me to ho na ?

Chitra—main jhooth nahi bol rahi...sach yahi hai ki ye bhi aapke sath munh kala karne ki soch rahi hai....aur divya ne to isko bhi aapki patni banane ka vachan de diya hai..yakeen nahi ho to khud divya se hi puch lo aap ...

Jitu (hairan)—kyaaa ?

Divya—vo baat ye hai ki priyamvada bhi mann hi mann me aapko chahti hai...aur phir ye dono meri bachpan ki sakhiya hain isliye maine socha ki jab anusuiya ko aapne swikar kar liya hai to isko bhi apna pyar mil jaye...aisa hone se hum teeno ka sath hamesha bana rahega..

Chitra—kaha main soch rahi thi ki divya aur sirf main hi aapki biwi banengi lekin yaha aa kar to do se chaar ho gayi....aise hi agar aap yaha vaha rajya bhar me ghumte rahe to na jane kitni aur ho jayengi....? lekin ab isse jyada ek bhi nahi..agar ab koi aur bhi aayi to main apni kulhadi se uski gardan hi kaat dungi..kyonki divya ko to apna pyar kisi se baantne me koi taklif nahi hoti, magar mujhe hoti hai, main divya ki tarah mahan nahi hu..ab aap hi divya ko kuch samjhao na .

Jitu—agar divya ne vachan de diya hai to phir main uske vachan ka samman karunga..aur kya ye sach hai priyamvada ?

Priyamvada ne koi jawab nahi diya aur sharma kar vaha se bhag gayi...aise hi kafi der tak hamari baate chalti rahi, phir kanv rishi ke aane ke baad hum kutiya ke bhitar aa gaye.

Kal ka din yagya anushthan ka antim din hai, jaisa ki kanv rishi ne bataya ki antim din danvi utpat ki sambhavna adhik hai, to main bhi aane wale kal ke baare me soch vichar karte huye bhojan karke so gaya.

Agle din subah jaldi uth kar dainik kriya se nivratt ho kar kanv rishi ke sath unke yagya ki raksha ke liye chal pada...unka yagya shuru hote hi main uske charo taraf sajagta se pahra dene me lag gaya.

Kafi samay beet jane ke baad bhi abhi tak koi apriy ghatna nahi ghati thi aur yagya bina kisi vighn badha ke apni samapti ki oar badh raha tha....par achanak tabhi....
Zabardast update Sir ji waiting for next update...
 

Top