SAAJAN
UPDATE- 253
Friendship Day, Naag Panchmi & Raksha Bandhan Special
Iske aage usne padhna band kar diya aur diary ko band kar ke phir se bed ke niche chhupa diya….ab tak unki ankhe gusse se ekdam lal ho chuki thi.
Payal didi ne ek baar mujhe check kiya aur phir dhire se bed ke niche hath daal ke apni kulhadi nikal kar chupchap kamre se bahar nikal ke darwaja band kar diya aur ek kamre ki taraf badh gayi.
Agle hi pal haweli me kuch dardnak jordar cheekhe goonj uthi jisne poori haweli ko hila kar rakh diya……….
Ab aage……
Cheekh sunte hi meri aur baki sab ki need turant khul gayi….maine jaise hi bagal me dekha to vaha payal didi ko na pa kar fatatat kisi anhoni ki ashanka se darwaje ki taraf tezi se bhaga….lekin ye kya darwaja to bahar se band tha
Maine adrishya ho kar usko bahar se khol diya aur bhaga vidhya ke room ki oor….tab tak baki sab bhi jaag chuke the main jaise hi vidhya ke room me pahucha to dekhte hi dang rah gaya…..vaha ka scene dekhte hi sab ki ruh kaamp gayi.
Mamta (jor se)—vidhyaaaaaaaa
Avni (chillate huye)—mummyyyyyyyy
Samne farsh par vidhya khoon se lathpath halat me padi thi….uske dono hath aadhe kate huye alag pade the aur jeebh kati huyi jamin par padi thi…..vidhya dard se chhatpata rahi thi.
Abhi hum kuch samajh pate ki tabhi ek aur cheekh ne hame dusri taraf bhagne ko vivash kar diya….iss baar awaz nani ke room se aayi thi….sab tezi se unke kamre ki oor bhage magar tab tak jo hona vo ho chuka tha.
Yahi dasha nani ki bhi thi….fark sirf itna tha ki unka ek hath salamat tha,…baki ek hath aur jeebh ke kate huye tukde door pade huye the……unka haal bhi dard se behal tha.
Mamta (jor se rote huye)—maaaaaaa…
Rupaly—maaaaa jiiiiiiii
Sab bahut darr chuke the….kisi ko kuch samajh me nahi aa raha tha ki ye kya achanak ho gaya…aise me sab ka dhyan sidhe payal didi par gaya….ki ho na ho ye uska hi kaam hai.
Madhu (rote huye)—ye sab payal ne hi kiya hai……hame aana hi nahi chahiye tha yaha par.
Geeta (rote)—hum to raj ko apna hi beta mante the isliye uske ek baar kahne par sab kuch chhod kar yaha uske paas aa gaye….magar hame kya malum tha ki yaha aisa kuch hoga….?
Rupaly (rote)—akhir apna khoon apna hi hota hai….ye baat hame aaj samajh me aa gayi….payal ye tumne theek nahi kiya.
Ruchi—lekin payal hai kaha…..?
“Main yaha hu…..itna jor jor se kyon payal payal chilla rahe ho….” Tabhi payal ne apne room se bahar aate huye kaha.
Raj (shocked)—abhi to didi room me nahi thi jab main utha tha tab…phir….?
Avni (rote huye)—lo aa gayi…isne hi mara hai meri mummy ko…..mummyyy
Madhu (rote huye)—akhir tumhe kya mila…maa ji ko maar kar….? Akhir unhone to sab ke samne apni galti maan kar mafi bhi maang li thi.
Payal (shocked)—kyaaaaa…..teri mummyyy aur nani marr gayiii….? (muh banate huye)--Chalo achcha hi hua...lekin ye dono to abhi bhi hil dul rahi hain.....yaha koi bada sa patthar nahi hai...? dono ke sir me patak deti hu to dhang se marr hi jaye.
Ruchi (jor se)—payalllllll……ye kya tarika hai baat karne ka….? Itni bhi akal nahi hai tere me…..?
Payal (jor se)—ssssshhhhhhhh……awaz niche kar ke baat kijiye didi….mujhe oonchi awaz me baat sunna bilkul pasand nahi hai phir chahe vo meri sagi badi bahan hi kyo na ho….samajh gayi aap…(ungli dikhate huye)….isliye aayinda dhyan rakhna.
Raj (chillate huye)—payal dididiii
Payal (jor se)—haaaa…tu bhi chilla mere hi uparrr….aur kisi ko kuch kahne ke liye to tere paas juban hi nahi rahti….. puch jara apni iss badi bahan se ye tab kaha thi jab itne sare log mil ke ek masum ko khanjar se maar maar ke uske seene ko chhalni kar diya tha….? Kaha thi vo bahan jab hospital me sab ke samne uske bhai ko ye vidhya jaan se maarne ki dhamki de rahi thi….? Tab inko gussa nahi aaya…lyo…?
Payal (chillate huye)—aur tumne kya kaha mami abhi abhi….? Raj ko tum logo ne apna beta samjha tha…? To mujhe bataogi jara ki tab vo maa kaha gayi thi….jab uske iss bete ko jaan se maarne ki baate ho rahi thi….? Tab to jara bhi gussa nahi aaya hoga…agar aaya hota to aaj ye nahi kahti ki apna khoon apna hi hota hai….aapne bilkul sahi kaha hai..ki apna khoon apna hi hota hai…tabhi to jis nani ne apke ussi bete ko jaan se maarne ke liye sazish rachi tab apko gussa nahi aaya lekin jab aaj usko apne kiye ki saza mili to aap logo ko gussa aa gaya kyo….? Agar samay par bechari paridhi ne apni jaan ki parwah kiye bina raj ki jaan na bachayi hoti to shayad aaj vo jinda bhi nahi hota….Kyon ki vo apki apni sagi saas hai isliye na aur raj kisi aur ka beta hai isliye…..tum logo ne ye sabit kar hi diya ki akhir apna khoon apna hi hota hai.
Payal (rote huye)--Aur kya kaha aapne ki unhone mafi maang li hai…? Maafi maang li hai to kya koi ehsaan kar diya tha kya uss budhiya ne….? apni ankho ke samne apni mout ko dekh kar usne mafi mangi thi kisi pashchatap me nahi.. samjhi. Aur uss budhiya ke mafi maang lene se uska gunah kam nahi ho jayega…..uske mafi maangne se kya vo samay phir se lout sakta hai…? Inn dono ke gunahoki vajah se ham apne bhai ka bachpan nahi dekh sake…uska jimmedar koun hai..? agar vo samay vapis nahi aa sakta to phir inko mafi milne ka bhi koi haq nahi hai…? Tum sab ne bhale hi maaf kar diya ho lekin main kabhi maf nahi karungi..kyon ki raj hi mera sab kuch hai….uske bina maine kaise jindagi gujari hai ye sirf main hi janti hu….
Payal (rote huye jor se)—sab ke sab matlabi hain….tum me se har koi sirf apne swarth aur matlab ke liye yaha rahne aaye the…isliye mujhe aaj tak nafrat rahi hai sabse….yahi vajah hai ki mujhe kisi ka bhi raj ke aas paas aana tak pasand nahi hai……aur haan…agar sab ko lagta hai ki maine inn dono ko mara hai…to theek hai….main kubul karti hu ki haa…maine hi inn dono ko mara hai….bhijwa do mujhe jail..mujhe koi gum nahi….lekin jo bhi mere raj ki taraf buri nazar uthayega uska yahi anzam hoga……
Payal didi ki baato ne sab ko jhak jhor kar rakh diya andar tak…..gusse me rote rote vo bahut kuch kadwa sach bol gayi…..ab koi bhi kuch aage nahi bol raha tha….tabhi vidhya phir se dard se karah uthi.
Payal (gusse se)—ye chudail abhi tak jinda haiii…..ruk abhi kulhadi lati hu…..jab tak iski gardan nahi kategi ye aise hi hilti dulti rahegi.
Payal tezi se apne room ki oor kulhadi lene bhagi to maine doud kar jaldi se usko pakad liya…..naina ne hospital saloni ko call kar diya…thodi hi der me ambulance aa gayi to dono ko hospital bhej diya…baki sab bhi apni apni gadiyo se hospital chale gaye.
Kewal ruchi didi, divya, chanchal, sandhya, paridhi, diksha, mala, shikha, munni, mrinal, priyadarshani aur maa hi rah gaye ghar me mujhe aur payal didi ko chhod kar…..maa ko maine hi rok ditha jane se unki tabiyat theek na hone ke karan…..ruchi didi ko payal ki baato se kafi dukh laga tha to vo sidhe apne room ke ghus gayi andar se band kar ke….sab ke sab mere sath mere hi room me aa gaye.
Maa (sisakte huye)—beta jo kuch hua vo theek nahi hua…..aisa nahi hona chahiye tha.
Raj—aap tension mat lo maa…sab theek ho jayega….main hu na
Maa (sisakte huye)—ab kya theek hoga beta…..jo anhoni honi thi vo to ho hi gayi…..dono lakh buri sahi lekin thi to vo meri maa aur bahan hi….
Maa ki iss baat par payal didi phir se kuch bolne hi wali thi kyon ki gussa to unka abhi thanda hua nahi tha…..lekin tabhi maine unko naa me ishara kar ke rok diya to vo chupchap ja ke bistar me chadar taan kar let gayi….maa baar baar hospital jane ki jid par adi thi to mujhe bhi ok kahna pada.
Maine baki sab ko ghar me rahne aur sone ko bol diya….maa divya, aur priyadarshani ke apne room me chali gayi… main bhi ready hone ke liye kapde nikalne laga tabhi…mujhe almari ke piche se khoon bahta hua dikhayi diya… to maine jhuk kar dhyan se dekha to vaha payal didi ki kulhadi rakhi huyi thi jis par taza khoon laga hua tha jo bahte huye bahar farsh tak aa gaya tha.
Khair maine apni rumal se farsh ko saf kiya aur khoon ke vo dhabbe mita diye….meri nazar didi par gayi to vo mere apni taraf palatate hi apna muh ghuma li dusri taraf turant…..
Raj—didi….didi…chalo utho…main hospital ja raha hu….taiyar ho jao…chalna nahi hai kya…..?
Payal (sisakte huye)—nahi tu ja….mujhe need aa rahi hai.
Raj—didi…aapne aisa kyo kiya….?
Payal (sisakte huye)—maine kuch nahi kiya
Raj—to phir apki iss kulhadi par khoon kis ka hai….?
Payal (sisakte huye)—unhi dono randiyo ka
Raj—phir bhi kahti ho ki aapne nahi kiya….?
Payal (sisakte huye)—jo sach hai vo maine bata diya….baki teri marzi hai jo manna hai maan…….tere chahne wale to bahut log hain…mere jane ya na jane se tujhe kya farak padega….? Lekin mera to tere siwa koi bhi nahi hai…main kya karu….tu hi bata de….?
Raj (baho me le kar)—phir kabhi aisi baat mat karna....aap ke aur divya ke bina mere jeevan ka koi arth, koi wajood hi nahi hai....baki sab se to mere ek ya do hi rishte hain kintu aapse mere kayi rishte hain...aap meri maa bhi ho aur pahli guru bhi, meri bahan bhi ho aur kal ko meri biwi bhi banogi....itne sare rishto se nata nahi toot sakta.
Payal (rote huye)—to phir tune mujhe kyo daanta...... ? duniya mujhe kuch bhi kahe mujhe koi parwah nahi hai…lekin jab tune bhi unn sab ka paksh liya to jarur mujhe bura laga.
Raj—bhala main apni jaan ko kabhi daant sakta hu……ummmmmmm…ab ready ho jao.
Payal—nahi…tu ja…mujhe kuch kaam hai…..
Raj—ok…aram karo
Payal (sisakte huye)—aur haan.....uss chanchal ko bhi le jana....nahi to phir kahoge ki aisa kyo kiya.... ? aur haa.. maine unn dono ko nahi mara….samajh gaya
Maine unko baho me thaam kar samjhata raha…jab vo kuch shant ho gayi to mujhe ruchi didi ka khyal aaya ki vo ab tak andar hi hain apne room me.
Raj (mann me)—pakka ro rahi hongi didi andar….?
Main vaha se sidhe ruchi didi ke room ke paas ja kar darwaja knock karne laga….lekin koi prati kriya nahi huyi…to maine naam le kar pukarne laga….tab kahi unhone jawab diya
Raj—ruchi didii…..darwaja kholiye.
Ruchi—betu…abhi mujhe need aa rahi hai….subah baat karungi..pls
Raj—theek hai didi….lekin mujhe ek baar aap ke gale lagna hai pls..didi
Ruchi—uffff betu jid mat kar…subah mil lena mujhse..abhi ja yaha se.
Raj—nahi..main aap se mile bina nahi jaunga….aap abhi mujhse nahi milna chahti to theek hai…main tab tak yahi darwaje ke bahar hi jamin par let kar subah hone ka intazar karunga.
Ruchi (turant darwaja kholte huye)—uffff…betu..tu bhi na…! arey ye niche kyo let gaya….? chal uth, aa ja andar
Raj—aap darwaja nahi khol rahi thi to main kya karta…..?
Ruchi (muh dusri taraf ghuma ke)—mujhse kya kaam hai tujhe….? Ja apni ussi payal ke paas…..main to teri dushman hu na.
Maine unko pakad ke apni taraf ghumaya…unka poora chehra anshuo se bhiga hua tha….mujhe pata hai ki mere jane ke baad iss pariwar ko tootne se bachane ke liye unhone kitni qurbaniya di hain….unhone apne apko kathor tak bana liya…..ruchi didi ki ankho me anshu mujhe bilkul bhi pasand nahi hain…maine apne hotho se unke anshuo ko pine laga.
Raj—didi….mere liye jaisi payal didi hain vaisi hi aap ho.....payal didi ki taraf se main aap se kshama mangta hu... unka swabhav to apko pata hi hai ki kaisa hai.
Ruchi (sisakte huye)—usne theek hi to kaha mere baare me….phir mujhe itna bura kyo lag raha hai…?
Raj—kyon ki vo aap se chhoti hai…isliye unki baat buri lagi…..unko maaf kar do didi…kya meri baat bhi nahi manogi aap…?
Ruchi (sisakte huye)—main bhi tujhe utna hi chahti hu betu…jitna ki payal……..lekin uska pyar sab ko dikhta hai aur main nahi dikha pati sab ko.
Raj—main janta hu didi….main jab sabse door tha aur tanhayi me rota tha to…apki bahut yaad aati thi.
“Jab Bhi Pochhe Hain Hatho Se Ye Anshoo Apne
Aapke Daaman Ke Kinaro Ki Bahut Yaad Aayi.”
Ruchi didi mujhse lipat gayi…..hum ek dusre ko samjhate rahe….tab tak maa ready ho gayi thi….maine didi ko bhi ready hone ko kaha aur sath me chanchal ko bhi…..kyon ki main ab koi naya lafda nahi chahta tha.
Raj—divya tum aur priyadarshini jara dhyan rakhna sab ka.
Mrinal—main aap ke sath chalu khatfataal (aspatal)….?
Raj—theek hai chalo….aur usko khatfataal nahi balki aspatal ya hospital kahte hain…matlab ki dawakhana.
Mrinal—ohhhhhh…ab samjhi…..daba ke khana……lekin main to khana kha chuki hu….ab daba ke kaise khaungi…..?
Mamta (apna sir pakad ke)—raj iss akal ki dushman ko tu apne hi sath le kar aana…..main chanchal aur ruchi ke sath ja rahi hu.
Maa ke jate hi main bhi piche piche nikal pada…mrinal meri gadi me baith gayi….gadi me baithte hi uski bakbak phir chalu ho gayi aur mera bhi bheja khane lagi.
Raj—arey yaar ab mera bheja to mat khao…
Mrinal—lekin aap ne abhi kuch bheja hi kaha hai jo main kuch khaungi……? Kya bheja hai aap ne khane ko….?
Raj—ohhhh….mera sir
Mrinal—chheeee….vo main nahi khati…..main poor (pure) bajetarian (vegetarian) hu.
Raj—achcha vo sab chhodo..aur ye batao ki kya kahna chahti thi tum mujhse….?
Mrinal (serious)—asal me rajj..vo meri saheli hai na..vo priyadarshini…vo bahut achchi ladki hai….vo na..aap se..matlab saajan..se..
Raj—hmmm…. bolti jao main sun raha hu
Mrinal—asal me vo priyadarshini hai na vo asal me……kaise kahu….? Kya pata aap meri baat par yakin karenge ki nahi..? aap bhi mujhe pagal samajhne lagenge….lekin uski halat ab mujhse dekhi nahi jati…
Raj—kyo kya hua priyadarshini ko….theek to thi abhi…?
Mrinal—ab apko kaise samjhau apni baat ko…ki priyadarshini asal me,,,,,vo…vo…
Raj—yahi kahna chahti ho na ki priyadarshini ek dev kanya hai aur tum ek yaksh kanya……dono swarg lok se yaha mujhe dhoondte huye aayi ho…kyon ki tumhari saheli priyadarshini, saajan se prem karti hai.
Mrinal (shocked)—aap…ko…ye sab….kaise pata chala…..? jarur kisi ne hamari jasusi ki hai aur meri aur priyadarshini ki chhup kar baate suni hongi aur aap ko bata diya hoga usne….?
Raj—vo sab chhodo…..vaise yahi kahna tha na tumhe….?
Mrinal (shocked)—hmmmmm…….priyadarshini sadiyo se apki hi talash me iss lok se uss lok bechari dar dar ki mari bhatak rahi thi…..aur jab usko uska saajan mil gaya to bechari apne prem ka izhar bhi nahi kar pa rahi hai…aap se prem ka rasta usko mata gouri ne dikhaya tha….hame ab swarg lok bhi jaldi loutna hai…vaha sab hamari talash kar rahe hain……maharaj ne uska swayambar aayojit kar rahe hain……apne prem ka izhar na kar pane se aur aap se door jane ke darr se vo bahut dukhi hai…..akele me har samay roti hi rahti hai……meri yahi vinti hai ki meri saheli ke prem ki laaz rakh lijiye saajan ji.
Raj—hmmmmm….main ek baat saaf bata du..ki saajan ke hriday aur jism ke rom rom me kewal aur kewal divya hai.. divya meri ruh hai…aatma hai vo meri…..isliye apni saheli se kahna ki vo pahle divya ke samne apne prem ka izhar kare….aur agar divya ne haan kar di aur priyadarshini ka prem sachcha hai to usko kahna ki vo meri pratiksha kare main uske swayambar me avashya aaunga usko lene…
Mrinal—lekin koi manav jivit swarg nahi ja sakta….? To phir aap kaise ayenge vaha.... ?
Raj—vo sab tum mere upar chhod do…..agar mujh par yakin nahi to kam se kam maa bhagwati gouri maa par to vishwash banaye rakho apna.......jab unhone khud priyadarshini ke liye mujhe chuna hai to kyo aur kaise ka hal bhi vahi dikhayengi.
Tab tak hospital aa gaya to hamne apni baato ko vahi viram de kar gadi park kar ke andar chale gaye...... vidhya aur nani ko andar VIP cabin me rakha gaya tha jaha dono ka treatment chal raha tha…to main sidha veer ke paas aa gaya jaha soniya aur naina ke sath sath dono bua bhi thi…..aur vahi takla doctor veer ko check kar raha tha….uske takle ko dekhte hi mrinal ke hatho me phir se khujli chalu ho gayi.
Mrinal—chattttttttt......takle...tune to kaha tha ki subah tak isko hosh aa jayega.....abhi tak ye hosh me aaya kyo nahi... ?
Mrinal ne uske bina baalo ke sir par itne jor ka hath mara ki vo bechara doctor muh ke bal sidha jamin me gir pada.. aur vo doctor apne sir par huye iss hamle se gusse me tezi se sidha khada hua lekin jaise hi mrinal ko dekha to vaha se bhagne laga ye dekh kar mrinal ne paas ki table me rakhe lock ko utha kar jaldi se darwaje ke samne bhag ke khadi ho gayi.
Mrinal (jor se)—takle dhokk tarrrrr…bhagta kaha hai….? Jaldi se usko hosh me la nahi to ye loha maar maar ke tera takla phod dungi.
Raj—mrinal shant raho…..doctor aap apna ilaz jari rakhiye.
Doctor (hath jod ke)—mujhe yaha se jane dijiye raj sir…..lagta hai ki apke pariwar me sab ke sab WWF wale log hi rahte hain…..pahle ye ladka mere sir ke piche pada tha….phir iss ladki ne medical store wale ladke ko mara, phir iss ladki ne uss ladies doctor ke sath ….bechari vo aaj hospital hi nahi aayi, phir dusri ladki vo kya naam tha..haa..payal ne kal ek ka sir patak ke cabin ka kaanch tod diya, ghar jate hi kisi ne aaj do ladies ke hath pair kaat diye aur ab ye ladki mere sir ke piche padi hai……mujhe maaf kariye…main aaj se balki abhi se hi chhutti par ja raha hu.
Raj—doctor…suniye to sahi…..rukiye to sahi...
Lekin vo phir vaha nahi ruka aur bhag gaya….sab ne apna sir pakad liya mrinal ko phir se yaha dekh kar…..maine dusre doctor’s se baat ki lekin sab vaha aane se darr rahe the…..vo to achcha hua ki tab tak saloni aa gayi…
Aur vo veer ko check karne lagi….tabhi ek nurse vaha se nikli kuch marizo ka khana le kar….jis par mrinal ki nigah pad gayi to usne usko rok kar trolly me rakhi sabhi 8-10 khane ki thali utha kar chair par baith gayi.
Nurse—ye tum kya kar rahi ho…..?
Mrinal—ye chup ….ye khana mere liye bheja hai raj ne…..usne kaha tha mujhse daba ke khane ko….chupchap yahi khadi rah
Ruchi (jor se)—ye pagal ye kya kar rahi hai….?
Sab usko ankhe phade dekhte rahe….chair me baith kar usne jaldi jaldi khana shuru kar diya .aur usne paanch minute me sabhi thaliyo ka khana chatt kar diya.
Mrinal—abhi daba ke khana nahi hua…..ye moti aur hai kya….?
Itna sunte hi vo nurse trolly ko vahi chhod ke aise bhagi jaise usne koi bhoot dekh liya ho……sab hairat se mrinal ko hi dekhne me lage the.
Meera—veer sahi kahta tha ki raj pata nahi koun se jungle se isko pakad laya hai.
Raj—ab kya batau..? khair chhodo…doctor ab unn dono ki halat kaisi hai….?
Saloni—unn dono ki bhi bahut buri halat hai…….jisne bhi ye kiya hai usne bahut hi buri tarike se hath aur jeebh kaati hai dono ki…..vo jo bhi hai bahut hi khatarnak hai…..anyway maine dono ka treatment to kar ke dono ki jaan to bacha li hai…recover hone me samay lagega dono ko…..bina jeebh aur hath ke pata nahi ab kaisi zindagi hogi dono ki….?
Aise hi baato baato me raat gujar gayi…kisi ne palak tak nahi jhapkaya….aaj itni ghatnaye ho chuki thi ki need aati bhi to kaha se….? aur tabhiiiii…….
“Rajjjjjjjjjjjjj…..” naina didi ne chillate huye kaha
Unke chillane se hum sabhi chounk gaye.....dekha to veer ke muh aur sir se khoon bah raha tha.....uski halat phir se bigad gayi thi.
Raj—doctorrrr
Saloni—nurse jaldi se inhe OT me le chalo
Veer ko phir se jaldi jaldi operation theatre me le jaya gaya.....yaha ek baar phir hum sab behad pareshani me idhar se udhar ghum rahe the...kuch hi der me saloni bahar aayi....
Saloni—rajjj.....veer ki halat bahut critical hoti ja rahi hai....agar jaldi hi kuch na kiya gaya to phir uska bachna namumkin hai.
Raj (jor se)—doctorrrr....hoshhhh me rah kar baat karooo.....veer sirf mera dost hi nahi hai....vo mere jism me bahta hua lahoo hai voo.....usse kuch bhi hona nahi chahiyeee.....kuch bhi karooo...lekin usse bachaoooo
Saloni—main ek injection likh kar de rahi hu....isko jaldi se kahi se bhi le aao....yaha hospital me ye nahi hai...hamne lagbhag har jagah pata kar liya, par kahi nahi hai...kewal ye injection hi ab veer ki jaan bacha sakta hai....
Raj—jaldi se do mujhe.....
Saloni—ye lo...
Mrinal—main bhi sath me chalti hu...
Saloni ne mujhe ek injection ka naam likh kar diya to main tezi se bahar nikal gaya.....mrinal bhi mere hi sath aa gayi ….abhi itni subah subah...lagbhag sabhi medical store band hi the....main ek ghante tak sab jagah bhatakta raha lekin vo injection mujhe kahi nahi mila idhar veer ki saanse ab rukne lagi thi kyon ki uska khoon bahna hi band nahi ho raha tha.
Mrinal—ab kya kare…?
Raj—pata nahi
Main nirash ho kar ek jagah railway station ke bahar paan ki dukan ke paas rakhi chair par baith gaya… samajh me nahi aa raha tha ki kya karu.... ?
"Arey sir aap yaha...." ek aurat ne mujhe dekh kar nazdik aate huye kaha.
Raj—kya aap mujhe janti hain..... ?
Vo—kaisi baat karte hain sir.... ? bhala apko koun nahi janta.... ? sir main vahi nurse hu jisne apke ghar me rah kar mamta madam ka ilaz kiya tha jab vo coma se bahar aayi thi.....meri ladki ki padhayi ke liye aap ne hi to paisa diya tha...kyon ki uss samay mere paas uski fees jama karne ke liye paise hi nahi the....main bhala kaise apko bhul sakti hu.
Raj—ohhh..sorry mujhe dhyan hi nahi tha.
Vo—koi baat nahi sir.....lekin aap yaha road ke kinare kyo baithe hain..... ?
Raj—ye injection dhoond raha hu kahi mil hi nahi raha hai……
Vo (slip dekhte huye)—hmmmm....iss injection banane wali company me pichle dino aag lag gayi thi…jisse poori company hi jal ke rakh ho gayi….kafi log maare bhi gaye….iska production band ho jane se ye injection bhi milna band ho gaya......vaise mere paas ek injection rakha hua hai agar uski date expire nahi huyi hogi to usko le lijiye aap
Raj—chalo jaldi chalo phir....
Mrinal—haa...haa..jaldi chaliye....hame vo unjuction (injection) bahut jaruri jai
Andha kya chahe do ankhe.....aur doobte huye ko tinke ka sahara bhi mil jaye to kaffi hota hai.....maine usko gadi me baitha kar turant uske ghar pahuch gaya jo ki adhik door nahi tha.....kafi der tak dhoondne ke baad usko vo injection akhir mil hi gaya....uski date expiry me abhi ek mahine ka samay tha.
Maine uska shukriya ada kar ke jaldi se vo injection le kar hospital ke liye nikal gaya....hospital pahuchte hi main gadi park kar ke jaise hi andar jane ko hua ki tabhi meri nazar deewar ke kinare baith kar roti huyi ek budhiya par chali gayi...uske paas teen char ladkiya bhi baithi ro rahi thi.....na jane mujhe kya sujhi ki mere kadam apne aap hi uski taraf badh gaye.
Raj—kya hua maa ji....aap ro kyo rahi hain..... ?
Aurat (roti huyi)—kya karoge jaan kar beta.... ? main to bas apni kismat par ro rahi hu.....hum garibo ki pukar to bhagwan bhi nahi sunta.
Raj—aap bataye to sahi ki akhir kya hua…shayad main kuch apki madad kar saka to mujhe behad khushi hogi.
Aurat (roti huyi)—ab kya batau beta……meri aur meri 9 jawan betiyo ki zindagi ka ek hi sahara mera beta hai....uski kamayi se hi ghar ka kisi tarah se daal roti chal rahi thi ki bhagwan se vo bhi nahi dekha gaya….aaj vo mera beta bahut bimar hai aur doctor kahte hain ki agar ye injection (parchi dikhate huye) jaldi usko nahi lagaya gaya to vah marr jayega…..maine apna khet girwi rakh ke uska ilaz kara rahi thi…sab jagah dhoond liya lekin ye injection kahi nahi mil raha hai…ab mera beta …mere budhape ka sahara ….ek maa ke liye iss badi dukh ki baat kya hogi ki iss umar me uska jawan beta uski ankho ke samne marr jaye….meri betiyo ka kya hoga ab….mera kya hoga…..? isiliye ro rahi hu aur kar bhi kya sakti hu….?
Ek ladki (roti huyi)—maa ab hamara kya hoga….? Jab bhaiya hi nahi rahenge to hum kis ko rakhi baandhengi… koun hamari har musibat me raksha karega…..?
Unka rona aur taklif sun kar meri bhi ankhe bhar aayi…maine dekha to uss parchi me ussi injection ka naam likha hua tha jo main abhi abhi veer ke liye le kar aaya tha.
Raj—maa ji, bhagwan kabhi kisi ki madad karne khud nahi aate lekin kisi na kisi ke madhyam se vo sachche logo tak apni madad pahucha dete hain….aap rona band kijiye aur ye lijiye vo injection….aur ja kar apne bete ki jaan bachaiye.
Mrinal—ye kya kar rahe hain…? Pagal to nahi ho gaye aap kahi…? Ye unjuction (injection) to veer ki jaan bachane ke liye bahut mushkil se dhoonda hai hamne.
Raj—veer ke marne se kewal ek hi jaan jayegi lekin yaha dus dus jaan ka sawal hai….main ek ki jaan ke liye itne logo ki jaan ki qurbani nahi de sakta.
Aurat (rote huye)—lekin beta main ye kaise le sakti hu.... ? tumne bhi to kisi ki jaan bachane ke liye hi ye laye hoge ek jaan bachane ke liye main kaise kisi aur maa ki god suni kar sakti hu.... ?
Raj—bas itna samajh lijiye ki bhagwan ne shayad apki madad ke liye hi mujhe yaha bheja hai....aur jaha tak rahi dusri maa ke god ujadne ki baat to jis upar wale ne jaise apki madad ke liye mujhe bhej diya vaise hi aage kaise madad karni hai ye sochna bhi uska hi kaam hai.....ye aap rakh lijiye.
Aurat (rote huye)—jug jug jiyo beta.....tum nahi nahi jante ki tumne aaj sirf ek admi ki nahi balki hum dus dus maa betiyo ki jaan bhi bachayi hai ye ehsaan kar ke......agar duniya me sach me koi bhagwan hai to ek dukhiyari maa ke dil se nikli ye dua hai ki zindagi ke kisi bhi yuddh me kabhi tumhari haar na ho.....tumhe hamesha kewal jeet hi nasib ho.
Raj—bas maa ji...aap ne itna kah diya....samajhiye mujhe sara jahan mil gaya....agar ye sch hi ki aatma me hi parmatma ka vaas hota hai to .kisi ke sachche hriday se nikli duao me ussi parmatma ki ichcha shakti shamil hoti hai aur unn duao ki taqat, kisi devi devta ke vardan ki taqat se kam nahi hoti..ab aap jaiye
Dusri ladki—sahab hum apka ye karz kabhi nahi chuka payenge marte dum tak...
Raj—maine koi ehsaan nahi kiya....bhala koi bhai bhi bhi apni bahno par koi ehsaan karta hai....ye lo mera card... kabhi bhi kisi bhi cheez ki jarurat ho mujhe call kar lena....
Teesri ladki (gale lag kar)--bhaiyaaa ...aaj se aap bhi hamare bhaiya ho
Raj—ab jao..der karna theek nahi....aur haa…..isse ek bhai ki taraf se Raksha Bandhan ka gift samajh lena.
Sab ladkiya—ye ab tak ka hamare jeevan ka sabse anmol gift hai, bhaiya
Aurat—jug jug jiyo beta
Mrinal (mann me)—tum sach me mahan ho saajan….aaj mujhe samajh me aa gaya ki kyon maa gouri ne meri saheli ke liye teeno loko me se sirf tumhe uske kabil chuna hai….? Aaj mujhe apni saheli ki taqdir par garv hai….Main tumhe aaj pranam karti hu saajan….
Unn sab ke jate hi main bhi andar ki oor chal diya….mere mann me ab kuch halkapan tha….main tez kadmo se sab ke paas pahuch gaya jaha rona dona chalu tha
Raj—kya hua..aise kyo ro rahe ho sab……?
Ruchi (sisakte huye)—betuuu…vo veer ki halat bahut jyada jharab hai…..doctor ne kaha hai ki ab koi chance nahi hai
Raj (jor se)—aise kaise chance nahi hai…? Doctor koi bhagwan hai kya...ki jo usne kah diya vahi hoga.... ?
Main tezi se operation theatre me gusse se ghus gaya...jaha veer ki halat dekhte hi mera sara gussa ekdam se thanda ho gaya.
Saloni (mayus nam ankhe)—ab der ho chuki hai rajjj.....veer ki saanso ki ulti ginti chal rahi hai ab.
Raj (jor se)—doctor---aise kaise ulti ginti chalu ho jayegi.....abhi main jinda hu......tum apna kaam chalu rakho aur main apnaa
Main tezi se cabin se bahar nikal ke hospital me bane ground ke shiv mandir me aa gaya..aur shiv ji ko pranam kar ke..vahi gade trishul se apne hath ki nas kaat di.....khoon ka favvara nikalne laga.
Raj (mann me)—prabhu...aaj naag panchmi hai.....lekin aaj main apka abhishek doodh se nahi balki apne rakta se karunga.....aur ye rakta tab tak karta rahunga jab tak ki aap mere dost ko jeevan daan nahi de dete....uske badle aap meri jeevan bali swikar kare.
Maine apna hath shiv ling ke upar kar diya….hatho se aviral bahte rakta ki dhara se unka abhishek hone laga…poora shiv ling kuch hi second me rakta ranjit ho gaya.
Udhar ghar me....
Divya (chilla kar)—saajannnnnnnnnnnnnn
Uske aise jor se chillane se sab uth gaye,,,kyon ki sabhi ek hi room me the.....payal bhi apne room se nikal ke aa gayi..divya ki awaz sun kar..
Payal—gudiya kya hua..... ? tune chillaya kyo….?
Divya (pasine se bhiga chehra)—didi kuch to gadbad haiii…..mujhe abhi hospital jana hoga turant…
Iske baad divya kisi ki baat sune bina tezi se bahar nikal kar hospital ke liye nikal gayi…usko aise jate dekh bakiyo ke mann me bhi ashanka paida ho gayi to vo bhi rawana ho gayi.
Aur idhar lakh koshisho ke baad bhi veer ki hriday gati achanak band ho gayi....sab doctors ne nam ankho se uske upar kafan daal kar bujhe mann se bahar jane ke liye mude hi the ki akasmat tabhi veer ki saanse tezi se chalna chalu ho gayi......jiski dhwani computer screen par sunayi dene lagi.
Sabhi doctor’s saloni sahit chounk kar palat gaye aur hairani se kabhi screen to kabhi veer ko dekhne lage...saloni ke murjhaye chehre par to jaise ummid ki kiran jaag uthi...usne turant bhag kar veer ki saanso ki gati ko control kar ke normal karne ki koshish karne lagi...baki doctor bhi kaam me phir se jut gaye.
Divya hospital pahuchte hi bhagte huye sab ke paas pahuchi aur sab baat pata chalte hi turant andar cabin me jabardasti ghus gayi.....jaha saloni ne usko sab bataya...
Itna sunte hi vo phir tezi se hospital ke bahar ki oor bhagi....usko aise bhagte dekh sab chounk kar uske piche bhage divya ko jaise ki pata tha ki main kaha milunga vo sidhe ussi mandir me pahuch gayi.
Divya---saajaannnnn.....ye kya kar rahe ho.... ?
Tab tak sab vaha aa gaye aur samne ka scene dekhte hi sab buri tarah se ghabra gaye…..mandir ka poora farsh mere khoon se lal ho gaya tha….aur main shiv ling ke upar hi hath rakhe chipak ke ankhe band kiye baitha hua tha.
Mamta (jor se)—rajjjjjjj
Payal—rajjjjjjj
Ruchi—betuuuuuuu
Sab meri taraf mujhe pakadne ko doude to maine sab ko hath ke ishare se andar aane se mana kar diya….lekin divya nahi ruki aur vo mujhse aa kar lipat gayi….baki sab bhi nahi maane aur mere paas aane ke liye aage badhe magar tabhi pata nahi kaha se ek bada kala naag vaha aa gaya..jisko dekhte hi sab darr ke piche hat gaye.
Vo naag mere paas se hote huye ja kar shiv ling se lipat gaya…tabhi ek nurse ne aa kar bataya ki veer ab khatre se bahar hai aur doctor saloni ne mujhe bulaya hai.
Ye sunte hi maine bhagwan shiv ke charno me pranam kiya….divya ne apna dupatta phad ke mere hath me baandh diya jaha se khoon nikal raha tha….khoon kafi nikal jane ki vajah se mere hath pair bhi ladkhada rahe the.
Sab ko rote dekh main unke paas aa gaya, divya ki madad se….sabse pahle maine maa ko shant karne ki koshish ki….phir baki sab ko priyadarshini ki ankho me maine ek dard mahsoos kiya…aaj pahli baar maine apni baahe uske aage khol di..vo rote huye mere seene se lag gayi.
Priyadarshini (mann me)—mujhe kab tak tadpate rahoge saajan….? Kab samjhoge mere pyar ko….?
Raj (mann me)—mainto samajhne ko taiyar hu lekin tum samjhati hi kaha ho….?
Priyadarshini chounk kar mujhe dekhne lagi aur main sirf mushkura kar aage badh gaya..apni phoolan devi ke paas jo muh phulaye dusri taraf khadi thi.
Raj—aap mere gale nahi lagogi didi….lagta hai mujhe phir se dusre hath ki nas kaatni padegi ab.
Payal (rote huye)—chattaaakkkk…..muh tod dungi tera…..kya jarurat thi ye sab karne ki….? Agar tujhe kuch ho jata to mera kya hota…..? sab meri hi galti hai, mujhe akele chhodna hi nahi chahiye tha tujhko.
Mamta—isko jaldi andar doctor ke paas le chalo
Ek thappad lagane ke baad payal rote huye mujhse lipat gayi…..lekin unke thappad me bhi pyar chhupa hua tha…unhe chup karane ke baad sab andar aa gaye.
Raj—kahiye doctor…kaisi hai ab veer ki tabiyat….?
Payal—doctor pahle iska ilaz karo….baki sab baad me
Saloni—inhe andar le aao
Andar aate hi sabne pakad ke bed par lita diya…saloni ne jaise hi mere hath par bandha divya ka dupatta khola to sab chounk gaye….kyon ki ab mere hath me koi ghaav nahi tha….yaha tak ki dupatte me bhi khoon ka ek katra tak nahi laga hua tha.
Mamta (shocked)—ye kaise ho sakta hai….?
Ruchi—ghaav kaha gaya…abhi to tha….?
Neha—vo sab jane do…sab bhagwan bhole nath ki maya hai.
Mrinal (mann me)—sakhi tumhara saajan anmol hai.
Main abhi kuch kahne hi wala tha ki tabhi….
“Rajjjjjjjjjjjjjj” OT room se kisi ke chillane ki awaz sunte hi saloni vaha se chali gayi aur thodi der baad hi vo bahar aayi.. usne jo bataya , uske baad mera mann khushi jhum utha.
Saloni—rajjj…veer ko hosh aa gaya haiii…vo tumhe pukar raha hai…
Raj—kyaa sach me….mera yaar theek ho gaya…….
Main turant uske paas aa gaya aur mere piche piche baki sab bhi pahuch gaye….maine turant usko apne gale se laga liya….vo bhi lipat gaya….veer ki bahki bahki baato se sab chounk gaye….
Raj (nam ankho se)—tu theek ho gaya mere dost….tune mujhe pahchan liya….?
Veer (anshu bahate huye)—tu to mere rom rom me basa hai raj….main sab ko bhool sakta hu lekin tujhe aur tere dushmano ko kabhi nahi bhool sakta….marne ke baad bhi nahi…..tu theek to hai na…rajjj……tujhe kuch hua to nahi na….tu chinta mat karna….main ek ek ko maar dunga….jis jis ne bhi tujh par hath uthaya hai na….sab ko dekh lunga main…..
Raj (rote huye)—main janta hu dost….jiska tere jaisa dost mil jaye use aur kya chahiye……hum baar baar paida hote hain aur marte hain, phir paida hote hain….lekin har janam me hame baki sabhi rishte mil jate hain kintu sachcha pyar aur ek sachcha dost lakho baar janam lene ke baad bhi kisi kisi ko hi nasib hota hai.
Veer (shocked)—main to road me bhag raha tha….yaha kaise pahuch gaya….? Aur main itna bada kaise ho gaya…? Tu bhi bada ho gaya….? Ye sab log koun hain, raj……? Aur ye sab ro kyo rahe hain….?
Veer ki baato ne sab ko chounka diya....vo mujhe chhod kar kisi ko nahi pahchan raha tha.....lekin do log aise bhi the jinki ankho ke anshu thamne ka naam hi nahi le rahe the.
Veer—raajj.....meri dono didi ka kuch pata chala.... ? kaha hain vo…..?
“Veerrrrr…mere bhaiiiii” aur phir jor se chillate rote huye soniya aur naina didi bhag kar veer se lipat gayi aur rone lagi… sab ek baar phir se shocked rah gaye.
Raj (nam ankho se)—le mil le apni dono didi se…yahi hain dono ye soniya didi aur vo naina didi.
Veer (rote huye)—tum dono kaha chali gayi thi didi.... ? unn logo ne maa ko bhi maar diya….aur ye kya..tum dono bhi itni badi ho gayi..mere aur raj ki tarah….?
Soniya (rote huye)—haa..mere bhaii….hamne bhi tujhe bahut dhoonda….hame maaf kar de bhai….aaj tak hum dono teri talash me tadapte rahe….jabki tu hamare samne hi tha…par kabhi pahchan hi nahi paye.
Naina (rote huye)—rajj..tumne hame pahle kyo nahi bataya… ki veer hi hamara bhai hai…..?
Raj—bata ke fayda kya hota jabki uski yaad dast hi ja chuki thi…..isliye samay par chhod diya….ye meri taraf se aap dono ke liye Raksha Bandhan ka advance tohfa hai.
Soniya—hum dono iss tohfe ko pa kar bahut khush hain.
Raj—aur tujhe bhi mere dost…Friendship day par apni dono bahan milne ka gift mubarak ho.
Veer—rajj..mere bhaii…main apni khushi bayan nahi kar sakta.
Ruchi (shocked)—kya veer ki yaad dast ab louti hai….?
Raj—hmmmm
Neha (shocked)—iska matlab ki vidhya veer ki maa nahi thi….?
Raj—vo devki to nahi lekin yashoda jarur thi.
Veer—raj..tune bataya nahi ki ye sab koun hain….?
Naina—main batati hu.....ye sab raj ki family hai.
Mamta—raj ki family nahi..balki tum sab ki bhi family hai...aur main tum teeno ki maa hu...samajh gaye
Phir naina di ne veer ka sab se parichay karwaya….veer bhi sab se mil kar bahut khush hua….maa ne usko kah diya ki ab se vo hi teeno ki maa hai .. jisse teeno bhavuk ho gaye.
Veer (bhavuk)—shukriya raj...aaj tune mujhe meri maa se mila diya....sath hi itna bada pariwar aur bahne pa kar main bahut khush hu aaj....shukriya mere bhai.
Raj (mann me)—mujhe kshama karna mere dost……tum teeno ko milane me mujhe itna waqt lag gaya….maine hamesha hi tere mann me anath hone ki bhavna aur dard ko mahsoos kiya hai…sath hi soniya aur naina didi ke dilo me tujhse milne ki tadap ko mahsoos karta aaya hu…..
“Dost Wo Hi Jo Apko Apna Maan Sake
Apke Har Gum Ko Bin Kahe Jaan Sake
Aap Chal Rahe Hon Tez Barish Mein
Magar Pani Mein Bhi Apke Aanshoo Pahchan Sake..”
Mrinal—ye balatkari….mujhe bhi nahi pahchanta kya….? (ek doctor ka collar pakad kar)… Ye…baal wale dokk tarrrr…vo takla kaha hai…..? bula usko jaldi se abhi uska takla bajati hu…..sala vo takla kal bol raha tha ki ye subah tak theek ho jayega….? Subah hote hi theek hone ki jagah ulta isne mujhe pahchanna hi band kar diya….! Bulao uss takle ko nahi to main tujhe hi takla kar ke tera takla bajaungi.
Doctor (darte huye)—mujhe maaf kijiye madam…..main baal bachche wala admi hu.
Mrinal—vohi to…..ab se tu baal bhool ja….kewal bachche wala admi rahega.
Veer (hairan)—arey rajjj, ye phuljhadi koun hai….?
Raj—ye vahi hai jisne teri jaan bacha kar tujhe nayi zindagi di hai…..haan, thodi shararti to hai, kintu dil ki bahut achchi hai….bas kabhi kabhi sir vagairah phod deti hai..baki sab theek hai
Veer (shocked)—kyaaaaaa….? Isko tu..thodi si shararat kahta haiiii….?
Mrinal—ye balatkarii…kya bolaaa….?
Veer (saham kar)—nahii…nahii maine kuch nahi kaha….(mann me)—baap re….ye to badi hi khatarnak item lag rahi hai.
Priyadarshini ne mrinal ko pakad liya warna vo sach me uss doctor ko bajane hi wali thi….Tabhi saloni ne mujhe bataya ki police aati hai vidhya aur nani ke case ki jaanch padtal karne to main aur ruchi didi ja kar unse baat karne lage...maine unko kisi tarah taal diya vaha se.
Ruchi (dhire se)—betu…maine ghar me lage sabhi cctv ki footage check ki thi…..unn dono ko payal ne hi mara hai.
Raj (hairan ho kar mann me)—ye kaise ho sakta hai.... ? jabki payal didi ne to mujhse kaha ki unhone inn dono ko nahi mara….aur payal didi mujhse kabhi jhuth nahi bolti……to agar inn dono ko payal didi ne nahi mara to phir mara kisne…..?
(Update Size : 7227 Words)