Fantasy Dark Love (Completed)

Eaten Alive
4,118
4,184
143
Update 6
waise mujhe megha ko leke zyada jigyaasa nahi hai... Kyunki ek baat to samajh chuki hun ki Sach hamesha wo nahi hota jo nazar aata hai.... Jab tak hame kisi cheez ki sachaai pata nahi hoti tab tak ham aisi hi dharnaaye banaye rahte hain. Yaha par sabse bada sawaal yahi hai ki in do saalo me megha kabhi dhruv ko nazar kyo nahi aai? Kya sach me uske dil me dhruv ke prati koi jazbaat nahi honge? Ya phir hai? Par wo majboor hai... Uski baatein bhi to badi ajeebogreeb hai ... totally out of the word :D ya phir ishi duniya ki kisi mayavi duniya se belong karti ho...
insaani bhavnayein ya ye pyar mohabbat jaise feelings ke bare mein bilkul anjaan megha jaane kis duniya se aayi hai :peep:
Well.....
In truth, story is becoming even more interesting with the increasing updates.

Keeping every aspect in mind, you are advancing the story. Along with tragic situations , thrill and suspense also have a unique confluence in story .

Keep writing like this and keep us entertained.
Brilliant story line with awesome writing skills :yourock: :yourock:
 
Eaten Alive
4,118
4,184
143
Update 7
Finally itne dino ki mehnat ya kahi jaaye intazaar jaise khatam hua hua.. Finally do saal ke ek dard se bhare intezaar ke baad Dhruv ko wo ghar mil hi gaya... Jis manjil ki chaah par wo nikla pada tha wo jaisi mil gayi ho ...aur iske sath hi megha se milne ki ek nayi umeed ki kiran bhi dikhayi dene lagi ho jaise usko... Uss ghar mein pahunchkar dhruv ko laga jaise wo usi samay mein pahunch gaya ho jaha wo saat din bitaye the megha sang... Ghar ke har cheej par jaise megha ki yaadon chapi ho aisa ehsaas ho raha tha ushe...Darwaaze , deewaron , wo bistar ya phir Teem teemati roshni de rahi wo lalten sabhi ko chu ke,dekh ke, sahlake jaise un saat dino ke yaadon ko taza kar raha tha...ab to Dhruv ki stithi bahut dekh taras aaye uspe...
waise megha bhi to dhruv ko chahne lagi thi. wo laakh koshish kar rahi thi ki wo is pyar ke moh jaal mein na fanse lekin dhruv ki sachhi mohabbat ne ushe majboor kar diya uske dil mein bhi pyar jagane ke liye...

Sidhi si baat hai megha insaan nahi, ye jaane ke baad bhi dhruv ushe apnane ko taiyar tha....
Lekin megha apna nahi sakti ushe kyunki isse dhruv ke jaan ko hi khatra ho sakta hai...
Ab yaha mudde ki baat ye hai ki pyar to hua lekin fikar ke chalte megha door bhag rahi hai ... aur dhruv pyar mein pagal uski taalash kiye jaa raha hai....

Bas ab ek haan ke intezaar mein raat yunhi guzar jaayegi,
Ab toh bas uljhan hai saath mere neend kahan aayegi,
Subah ki kiran na jaane konsa sandesh laayegi,
Rimjhim si gungunayegi ya pyaas adhuri reh jaayegi.......
Kya megha se phir se mulakaat ho paayegi..

Shaandar update, shaandar lekhni shaandar shabdon ka chayan aur sath hi dilkash kirdaaro ki bhumika bhi...

Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :clapping: :clapping:
 
Eaten Alive
4,118
4,184
143
Update 8

ek baat sau taka sahi hai.... ki dhruv ke dard aur bhavna ko aur megha ki majboori ko behad hi kadile tarif tarkike se pesh ki hai aapne...

Btw us nirjan aur sunsaan ilake mein stith us ghar mein bistar pe lete huye ye dhruv to sapna dekhne lag gaya... chalo koi na sapne mein sahi, wo sapna ushe jaise sach laga ho... jaise aakhon ke saamne ghar rahi ho ghatana...
Kya pata jo wo dekh raha tha wohi sach bhi ho ... maybe marne ke baad megha bhatakati huyi us accident ke chalte dhruv se mulakaat huyi....

Lekin TheBlackBlood ji ke style mei... Sochne wali baat ye hai ki us accident mein megha ki jaan bachane ke chakkar mein khud ka nuksaan kar baitha dhruv, kya mahaz isliye wo uski seva karti rahi...
lekin mujhe nahi lagta ki baat bas itni si hai.... are megha ki jaan kya bachana, uske andar jaan hai hi nahi :dazed:
Jarur koi na koi gehra nata hai dono ke bich... maybe at it mein...
Shayad is sapne ka arth ye bhi ho ki dooriyaan khatam ka ab waqt aa gaya hai, ab samay phir bichhde huye se milne ki..
Ya phir ye bhi ishara ho sakta ki...
Are chhodo...
aage ke update read karti hun :bat:
Andaza laga laga ke pak chuki hun...
Hey TheBlackBlood ji... kahe tadpa rahe hai dono ko... :bat:

Shaandar update, shaandar lekhni shaandar shabdon ka chayan aur sath hi dilkash kirdaaro ki bhumika bhi...

Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills... :clapping: :clapping:
 
Bᴇ Cᴏɴғɪᴅᴇɴᴛ...☜ 😎
1,621
5,929
143
Aaj se balki abhi se reading suru...
Waise jitna main jaanti hun us hisaap se kahani shubham aka TheBlackBlood ji ki hai aur most importantly genre fantasy hai to samajh jana chahiye readers ko kahani mein jarur kuch paranormal activities aur supernatural powers ke sath sath dard se bhara romance ka tadka bhi hoga...dard se bhara isliye... kyunki lekhak bada maja aata hai kirdaaro ki aisi ki taisi karke :D
Dard likhne me zyada maza aata hai and ye easy bhi lagta hai :D
 
Bᴇ Cᴏɴғɪᴅᴇɴᴛ...☜ 😎
1,621
5,929
143
love the problems are never enough...
In love you have to bow your head...
You have to laugh when in pain..
Why do people add poison in their life
Those who go down the steps of love.. They neither drown nor float :popcorn:
By Naina​
Ye wodka pi ke to nahi likha tha na :D
Btw :claps:
 
Bᴇ Cᴏɴғɪᴅᴇɴᴛ...☜ 😎
1,621
5,929
143
Update 1

love the problems are never enough...
In love you have to bow your head...
You have to laugh when in pain..
Why do people add poison in their life
Those who go down the steps of love.. They neither drown nor float :popcorn:
By Naina
kaafi dilchasp lekin dard se bharpoor suruvaat huyi hai kahani ki....

dhruv jo is kahani ka nayak hai, wo aksar dukhi aatma banke bhatakta rehta hai, specially ghanghor jungle mein bina dare bina hichkichaye....
Kyunki ushe taalash hai apni chaaht, apne pyar ki ..jise dilo jaan se mohabbat ki usne.... megha , jo uski berang aur andhkaar jindagi mein ek incident ya accident ke chalte ek diya banke aayi thi roushni bikhadne... jo kuch din uske sath reh ke phir jaane kaha chali gayi dhruv ka phir se tanha chhodke....
aise dhruv ki jindagi mein kayi gum aur dukh hai, lekin megha ka yun jaana jaise sabse bada jhatka tha uske liye...
Megha ke yun achanak ushe chhod jaane ke baad wo is kadar bechain ho gaya ki ab megha ke mana karne ke baad bhi pichle do saal se ushe dhundhne ki koshish kar raha hai... lekin aaj tak mili nahi...

pyar karo, lekin usse jo jinda hai ya jo aapke saamne hai...
usse nahi jo murda hoke jinda dikhayi de rahi hai, :👻 :D
btw is dhruv ka akal ghas chadhne gaya tha kya...
megha starting se hi kehti aa rahi thi ki wo pehli dafa insaan ke sath waqt bita payi hai..
us dhruvo ko ushi waqt samajh jana chahiye tha ki saamne jo ladki hai wo koi insaan hai nahi 👻 :roflol:
Stupidity ki bhi had hoti hai yaar wo baar baar samjhane pe bhi samajhne ki koshish nahi kar raha tha dhruv...
Bichari megha bhi kya karti... isliye ant sab kuch saaf saaf bata di,,jishe sun dhruv upar se niche daaye baayen sab jagah se hil gaya...
Maybe megha vampire ho ya phir koi chudail ya koi dayan :dazed:

Khair..... SOCHNE WALI BAAT YE HAI KI sachhayi jaanne ke baad dhruva aaj bhi megha ko dhundh raha hai har raat...
Waise us jungle mein uski paas se itni speed mein koun bhag ke gaya tha.... Koi jaanwar ya koi bhoot 👻

jo bhi ho lekin main to yahi kahungi ki ab bhi waqt hai , megha ko dhundne ki koshish chhod de to hi behtar hai dhruv ke liye....


Shaandar update, shaandar lekhni shaandar shabdon ka chayan aur sath hi dilkash kirdaaro ki bhumika bhi...

Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :yourock: :yourock:
Shukriya mohtarma is Khubsurat sameeksha ke liye. Pyar me pagal ho chuke insaan ko na to koi dusra samjha sakta hai aur na hi wo kuch aur sochna chahta hai. Uske bare me bas yahi kaha ja sakta hai ki ab to iska bhagwan hi maalik hai :lol1:
 
Eaten Alive
4,118
4,184
143
Shukriya mohtarma is Khubsurat sameeksha ke liye. Pyar me pagal ho chuke insaan ko na to koi dusra samjha sakta hai aur na hi wo kuch aur sochna chahta hai. Uske bare me bas yahi kaha ja sakta hai ki ab to iska bhagwan hi maalik hai :lol1:
kyun na is kahani mein pratima ji aa jaaye.. Are tel lene gayi megha ...
pratima ji bhere r ju... :peep:
Pratima ji aake dhruv ke tute huye dil ko sambhal legi..wo usko apni style mein sikhayegi ki pyar kis chidhiya ka naam hai :D
 
Eaten Alive
4,118
4,184
143
Update 9

Jindagi mein kabhi kabhi akasmaat aise bhi mod iska andaaja laga pana insaan ke liye shayad namumkin ho...
sapna hi sahi lekin kya kabhi dhruv ne socha tha ki aisa bhayanak manjar dekhne ko milega, jo ki sau pratishat vaastavik lage...
Shayad sapne vaastavik lag rahaa hai isliye chaahe girkar khudka hi sar fodke ho ya phir us viran ghar pe ho, janab bas sapne hi dekhte jaa rahe the :D
Btw Pehle wale sapne jitna bhayaavah tha,...uske ulat behosh hone ke baad dikhne wala sapna kaafi khubsurat aur haseen tha :D
Jaha pehle wala sapna dekh banda pehle to khudkhushi karne amada tha lekin akal thikane aayi to megha ke kaatil ko hi maarne aatur ho gaya...
Wohi behosh hone ke baad jo sapna dekha usme kaafi achha time bitaya megha sang usne... megha ne bhi kayi saare jaadu tona bhi karke dikhya ushe ... waise is wale sapne jo scenery the wo behad khubsurat the... Bilkul sapno lok ki tarah...
Waise mujhe shubham ji ki lekhni mein yahi khashiyat sabse zyada pasand hai .. weh kahani mein background drishya ko bhi behad khubsurati ke sath varnatmak aur rachnatmak tarike se pesh karte hai.. jo sach mein kabile tarif hai...

Khair..... waise main ne kayi baar ye baat kahi hai aur ab bhi keh rahi hun ki ye megha ho na ho koi chudail ya vampire hai... aage update bina padhe bhi isliye itni siddat se kehne ki wajah ye hai ki shubham ji zyada suspense nahi rakhte story pe.. :D

Shaandar update, shaandar lekhni shaandar shabdon ka chayan aur sath hi dilkash kirdaaro ki bhumika bhi...

Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :yourock: :yourock:
 

Top