Thriller DARD

i ÃM ŸöÜř Đãď
492
247
43
UPDATE - 17

Jao pehele jake warmp ke liye iss ground ke 100 chakkar lagao phir tumhari baaki training shuru karte hai.

Aabbb aaagggeee...........

Maine karib aadhe ghante me 100 chakkar laga liya wo bhi kaafi easily because jab mujhe power mili thi tab uske sath hi meri physical strength, skills , knowledge aur techniques normal insaan se 1000 guna jada ho gyi thi.
Ye dekh teacher ki aakhen fati ki fati reh gyi phir bhi unhone apne facial expressions ko control kiya aur bola.
Teacher : good ab tumhari body ko har tarh ka pain diya jayega taki tum extreme se extreme condition me bhi survive kar sako.

Uske baad 6 logo ne milke mijhe har possible torture dena shuru ka diya. Pain ho raha tha par wo kafi kam tha par body damage ho rhi thi. Uske baad mijhe poison ka small dose diya taki meri body har tarah ke poison se bhi immune ho jaye. Phir martial arts hua uske baad har present techniques silhayi gyi . Aise hi raat ho gyi body pe kaafi chot ke nishan the toh teacher ne mujhe near by hospital visit karne kaha mai bhi maan gaya kyuki mai apni power use nhi karne wala tha khudko heal karne ke liye.
Abhi karib raat ke 9 baj rahe the, mai bhi city hospital pohoch gya. Jab mai doctor ke cabin me pohocha to dekha waha ek female doctor thi jisne bukha pehena tha. Usme se sirf uski khubsurat aakhen hi dikh rahi thi.


Tumblr
Maine door ko baja ke kaha.
Mai : may I come in doctor.
Doctor : yes of course .

Mai unke samne wali chair pe baith gaya .
Ek pal ke liye wo mere chehre me jaise kho si gyi phir apne aap ko kabu kiya aur Phir unhone pucha.

Doctor : ji kahiye kya taklif hai aapko.
Mai : aap Indian hai achi baat hai. sunne se acha aap dekh lijiye.
Ye bol ke maine apni shirt utar di . jaise hi maine shirt utari wo to bas phir meri body hi ghure ja rhi thi par jaise phir unka dhyaan mere body ke zakhmo pe gaya to wo shock me boli.
Doctor : itni serious chote aayi hai kya kar rhe the tum jo itni chote hai?
Mai : maine kuch bhi galat ya jhagda nhi kiya hai aur agar aapko lagta hai ke ye police matter hai to aap unhe bula sakti hai.
Doctor : nahi abhi in sab ka wakt nhi hai tumhari injuries kafi serious hai iss liye abhi inhe treat karna zaruri hai.

Iss ke sath wo mera first aid karne lagi. Wo ek baat observe kar rhi thi ke reyansh ne use najr utha ke ek baar bhi nhi dekha tha kyuki jaha ladke uske bhurkhe me rehne ke bavjud uske piche pagal the wahi reyansh use dekh bhi nhi raha tha ye uske liye kaafi surprising tha. First aid hone ke baad wo boli.
Doctor : waise aap ka naam kya hai?
Mai : REYANSH. Waise ab aap adat dal lijiye ab hamara milna roj hoga.
Doctor : kyu??
Mai : kyuki mai ek martial arts student hu aur aisi chote ab lagbhag har roj hogi to ab ata rahunga .
Doctor : ji. Waise mera naam Noor siddiqui hai.
( Noor Siddiqui : inki age abhi 22 years hai. Ye apne ammi abbu ke sath russia ke city me rehti hai. Dil se badi komal hai untni hi tan se bhi hai. Ye itni khubsurat hai ki agar koi inhe bina bhurkhe ke dekh le to pagla hi jaye par bahar inhe aaj tak kisi ne bina burkhe ke nhi dekha tha. Ye kaafi Sanskari hai. Bas ye emotional jada hai.)

Mai : maine pucha nhi tha.
Noor : so rude. Kya aapke ammi abbu ne aap ko tamiz nhi sikhayi.
Mai : (usdaas hote hue) Agar hote to shayad sikha dete .
Noor : ( nazren niche karte hue) sorry mujhe pata nhi tha aap mujhe maaf kar dijiye.
Mai : ji isme aap ki koi galti nhi hai shayad aap ke khuda ne hi meri kismat me sukh nhi likha tha. Koi baat nhi ab mai chalta hu Noor ji.
Noor : phir kal milte hai.
Mai bina piche dekhe waha se nikal gaya. Aur room pe aa ke sone ki koshish karne laga.
Aaj mujhe saima maa ki bohot yaad aa rahi thi aaj lag raha tha ki mai sach me anath hu .
Jaise taise karke mai so gaya. Agle din se mujhe practice ke sath emotions ko khatam karne ki bhi training di jane lagi par mai emotions ko control kar rha tha khatam nhi kar rha tha. Phir raat ko mai city hospital nikal pada first aid ke liye. Waha poch ke mai seedha doctor Noor ke paas chala gya. Mai Noor ke samne wali chair par baith ke shirt nikal di. Noor bhi bina kuch bole pehle first aid karne lagi. Jab wo dawai laga rahi thi usne masoom sa chehra bana ke (jo mai bhurkhe ki wajah se dekh nhi pa rha tha) sweet tone me mujhse pucha
Noor : jada dard ho rha hai.

Maine naa ke gardan hila di. Maine abhi bhi noor ki taraf nhi dekha tha iss liye ab Noor ko lag raha tha ki mai use ignore kar rha hu.

Noor : kya aap humesha se aise hi behave karte hai.
Mai : haa mai bachpan se hi aisa hu.
Noor : (halka smile karte hue) par aap ki aakhen to kuch aur hi bata rahi hai. Mai logo ki akhon me dekh ke bata sakti hu ke aadmi jhut bol rha hai ya sach.
Mai : isse aapka koi lena dena nhi hai.
Jab mai ye baat keh rha tha tab noor meri aakhon me dekh rahi thi aur jaise dekh paa rahi thi ke kitna gum maine apne andar samete rakha hai. Mujhe aaisa lag raha tha wo meri aakhon ke zariye meri rooh me jhakn rahi hai iss liye mai turant waha se uth kar nikal gaya .
Aise hi din bit rhe the aur har bitte din ke sath meri training extremely tough hoti jaa rahi thi. Ab noor bhi meri friend ki tarh ho gyi thi ab mai unse thoda khul gaya tha par mai apni personal bate avoid karta tha. Aise hi 3 mahine bit gye the. Aise hi ek din Sir Michale mere paas aaye aur bole.
Michael : Reyansh tumhari learning abilities dusro ke mukable kaafi fast hai. Iss liye aaj mai tumhare liye ek mission laya hu.
Mai : kaisa mission??
Michael : west command ke durg market ko khatam karna hai.
Mai : ( cold smile ke sath) toh aap apne competitor ko hi khatam karna chahte hai.
Michael : ye kaam ke liye tumko pay bhi kiya jaye ga.
Mai : kitna.
Michael : 50,000 dollars.
Mai : done. Bataiye kab jana hai??
Michael : tum parso nikloge west command ke liye. Aur weapons and all necessary things will be provided you tomorrow.
Mai : hmmmm ~
___________________________________
Phir raat ko Noor ke paas hospital chala gaya.
Noor : to gye janab bataiye aaj konsi nayi chot lagwa lai hai.
Mai : (smiles)
Phir noor ne meri chot clean kar first aid kar diya.
Mai : tumhare ammi abbu kaise hai.
Noor : ji khairiyat se hai aap kal unhe milne kyu nhi aate.
Mai : abhi kuch din to nhi mil paunga out of city jaa rha hu.
Noor : (udasi aur desperation se) kyuuuu???
Mai : kuch zaroori kaam niptana hai.
Noor : kitne din lagenge.
Mai : are.. are sans to lele sidha rashan pani leke chadi ja rahi ho.
Noor : pehele bataiye kitne din lagenge??
Mai : shayad 15 din legenge.
Noor : itne din?
Mai : hmmmm~
Noor : (udasi se) thik hai. Par jane se pehele kal aap mujhse milke jayege.
Mai : 😊 ok.
Phir mai room pe wapas laut aya ye din bhi aise hi bit gaya .


Aaaggeee dekhte hai kya hota hai
 
i ÃM ŸöÜř Đãď
492
247
43
UPDATE - 18

Noor : (udasi se) thik hai. Par jane se pehele kal aap mujhse milke jayege.
Mai : 😊 ok.
Phir mai room pe wapas laut aya ye din bhi aise hi bit gaya .

Aabbbb aagggggeeeee.......

Agle din Michael ne Reyansh Ko weapons aur sari zaruri chize provide kar di. Reyansh ne sab sahi se set kar liya kyuki kal subah hi Reyansh Ko nikal na tha . Sab saman set karne ke baad Reyansh ready hone laga noor ke ghar jane ke liye kyuki kal Reyansh Ne noor ko promise kiya tha ki wo jane se pehele usse mil ke jaye ga aur use uske ammi abbu se bhi milna tha.
Aaj Reyansh ka 20th birthday tha jo use yaad nhi tha par noor ko pta tha usne jab reyansh ko hospital ka form fill up karne kaha tha tab Reyansh ne uspe birth date bhi likhi thi jo noor ne dekh li thi. Iss liye noor Reyansh ko aaj birthday surprise dene ka plan kar liya tha jisse Reyansh anjan tha.
Reyansh phir nikal pada Noor ke ghar ki aur. Karib 18 min baad wo Noor ke ghar ke saamne khada tha. Reyansh aage badha aur doorbell bajayi tab Noor ne hi darwaja khola par aaj usne burkha nhi pehna tha . Aaj pehli baar reyansh ne noor ko bina burkhe ke dekha tha aur jab reyansh ne use dekha to ek pal ke liye use ghurne hi laga kyuki wo lag bhi asi hi rahi thi.


Meyra-stil-on-Instagram-36-44-beden-aral-Abaya-i-lik-290-TL-kargo-dahil-G-m-ve-bak-r-renk-se-enekler

Itz Anjum

Image-in-flowers-collection-by-on-We-Heart-It
Uski wo kali aakhen bina makeup wala chera uake laal honth. Wo Reyansh ko aaise ghurta dekh sharmaa gyi aur boli.
Noor : ab aise hi dekhte rahenge yaa andar bhi aayenge.
Reyansh : wo.. Wo.. Haa chalo

( ab Reyansh Ke perspective se)
Ham hall me aa gye aur usne mujhe sofe baithne ka bol ke apne ammi abbu ko bula ne chali gayi.
( Aadil Siddiqui : Noor ke abbu. 56 saal ke hai. Ye bhi peshe se doctor hai. Khush mijaz insaan hai. Apni beti se bohot pyaar karte hai.
Farha Siddiqui : Noor ki ammi. Ye 50 saal ki hai. Noor ko apni sundarta apni ammi se hi mili hai. Ye ek housewife hai. Ye bhi aone shauhar aur beti se bohot pyaar karti hai. )

Thodi der me noor apne ammi abbu ke sath hall me aagyi wo log mere saamne wale sofe par baith gye.
( noor ke dad = N dad
noir ki mom = N mom)
N dad : haan to beta tum ho Reyansh.
Mai : ji haan uncle.
N mom : Noor hamesha tumhari baate batati rehti hai.
Noor ye baat sunke sharma rahi thi.
Noor : ( dhire se) kya ammi aap bhi.

Noor reyansh ko uske birthday pe use uski pasand ki mithayi khilana chahti thi iss liye usne reyansh se poocha .
Noor : Reyansh bachpan me konsi mithayi tumhe sabse jada pasand thi.
Mai : (hichkichate hue) mujhe nhi pata
[ kyuki reyansh ne bachpan me kabhi
Mithayi nahi khayi thi to ise kaise pata
Hoga ki kausi mithayi acchi hoti hai]
Noor : are aise kaise nahi pata bachapan me to sabko alag alag mithayi pansand hoti hai.
Mai : bachapan wo kya hota hai.
Ye sab noor ke parents dhyaan se sun rhe the.
Mai : Noor ek baat puchu.
Noor : haan pocho.
Mai : tum jab choti thi tab tumhare ghar me kamata kaun tha aur khana kaun banata tha.
N mom : beta ye to sidhi baat hai iske abbu kamate tge aur mai khana banati thi.
Mai : par mere saath aisa nahi tha na mere paas mere liye kamane wala koi tha, na khana banane wala aur na hi khilane wala. Aakhir anath jo thehra. Pet ki aag shant karne ke liye kaam karta tha par itne paise nhi hote the ke kabhi mithayi kharid sako to kaise batau ki bachpan me mujhe konsi mithayi pasand thi.

Ye sunke noor aur uski mom ki aakhe bhar aayi . Use abbu bole.
N dad : he upar wale iss bachche ko itni si umer me ye sab kyu jhelna pada.
Noor : aap sab bhi kyaa baat lekar baith gaye. Aur reyansh tum apni aakhen band karo surprise hai
Mai : kaisa surprise.
N mom : are beta bol rahi hai to kar lo na.
Phir maine apni aakhen band karli. Thodi der baad noor ne mujhe aakhen kholne ko kaha.
Jaise hi maine aakhen kholi.

Sab ek sath : Happy birthday to you..... Happy birthday to you....

Sab birthday song ga rahe the sammne table pe cake rakha hua tha. Tab jakr mujhe yaad aya ki aaj mera birthday hai. Tabhi cake dekh ke mujhe kuch yaad aane laga.

FLASHBACK

Ye baat karib 9 saal pehele ki hai jab Janvi didi ka birthday tha toh ghar me bohot badi party rakhi hui thi. Mujhe us party me ana allowed nahi tha papa ne mujhe sakt kaha tha ki party me nhi ana. Mai bhi apne room me chup chap baitha tha par jab gana bajne laga mujhe bohot utsukta hone lagi ke niche kya ho raha hai ( bache to aap jante hi hai ki kaise hote hai ) is liye mai chupke se sidiyo ke paas se parde ke piche chup ke sab dekh raha tha.
Waha janvi didi ka birthday celebration ho raha tha. Mom dad unke saath cake cut karke unhe khila rahe the phir wo apne dosto se baat kar rahi thi.
Tabhi pata nhi kaise mai unhe dikh gaya aur ubke chehre ke bhav badal gye. Usne gusse ke sath meri taraf dekha aur jor se chillayi.
Janvi : ye haram ki aulad yaha kya kar rha hai. Maine kaha tha ki aaj mujhe ye dikhna nhi chahiye .
Ye bolke janvi didi mera hath pakad ke mujhe bahar nikalne lagi aur khich tan me mera hath waiter ke hath ke rakhe tray se takra gya jis karan ek juice ka glass niche gir gya aur juice fail gaya. Jiss karan janvi aur gussa ho gyi aur aag me ghi dalne ka kaam ek ladke ne kar diya janvi ko impress karne ke liye jo janvi ka dost tha.
Ladka : are are ye kya kar diya isne sara floor kharab kar diya.
Janvi : ye kya kar diya iss kutte ne sara mood kharab kar diya. Chal ab jaldi se floor saaf kar nahi to mujhse bura koi nhi hoga.

Mujhe rona aagya tha ye sab sunke mai subak raha tha par phir bhi kisi ne daya ke bhav tak na dikhaye. Maine ek baar Mummy aur papa ki taraf dekha jo shant khade the. Jab maine unhe dekha to unhone muh fer liya.
Janvi : ab dekh kya raha hai apni shirt utar aur ye sab saaf kar.

Maine rote rote apni shirt utari aur sab saaf karne laga. Sab mujhe dekh ke bas hass rahe the. Ye sab us din mere atmsamman par thes kar gaya tha.

FLASHBACK END

Noor mere samne hath ghumate hue
Noor : kya soch rahe ho.
Mai : (haklate hue) k... Kuch n.. Naahhii.
( Reyansh ko bachpan se ek problem thi jab bhi wo bura feel karta ya sad hota to wo haklata tha . Ye baat kisi ko pata nhi thi.)
Noor ne mujh ko aise haklate dekh mere kandhe pe hath rakhke puch liye.
Noor : kya hua reyansh aise hakla kyu rahe ho ?

Maine jaldi se apne aap ko control kiya aur bola.
Mai : kuch nahi.
Noor : chalo phir cake cut karte hai.
Mai : hmmm....
Phir mai cake katne hi wala tha ke noor ki ammi boli.
N mom: are beta pehle candles to bujha lo.
Mai : hmm~ wo mijhe pata nhi tha pehele kabhi birthday nhi manaya hai .

Ye sunke Noor ka chehra fika ho gya wo soch rhi thi ke
(Noor( man me) : reyansh ki mental state abhi puri tarah se sahi nhi hai usne apne life bohot bad experiences dekhe hai shayad ise ke karan ye itna shant rehta hai zada baat nhi karta)
Phir maine candles bujha ke cake cut kiya sabse pehele noor ne mujhe cake khilaya phir noor ki mom khilane lagi to meri akhon me nami si aa gyi kyuki unko dekh ke mujhe saima maa ki yaad aa gyi wo bhi mujhe aise hi apne hatho se khilati thi.
Aaj noor ke abbu air ammi noor ki harkate dekh ke thoda shock the kyuki noor kabhi ladko se jada baat nhi karti thi.
Phir ham sab ne dinner kiya phir sabko bye bol ke nikal raha tha to noor mujhe bahar tak chodne aayi. Gate ke paas aake wo boli.
Noor : aap wapas kab tak aayenge??
Mai : shayad 15 din lag sakte hai.
Noor : hhhmmmm~ koshish kijiyega jaldi aane ki.
Mai : hmmm.. Aaj ke liye shukriya.
Noor : shukriya ki jarurat nhi hai aap to waise bhi apne hai.
Mai : matlab?

Ispe wo kuch bhi nhi boli aur blush karte hue wapas andar bhag gyi. Mai iss baat pe jada dhyaan na dete hue car me baith ke nikal gaya room ki taraf .

Wahi usi din subah Mr. Raghuveer Rajput ke Yaha

Sab log breakfast ke liye baithe the dinning table pe sivaye swara ke wo iss wakt Reyansh ke room me baithi thi. Swara dinner, lunch yaha tak breakfast bhi reyansh ke room me hi karti thi.
Sabhi breakfast kar rahe the tabhi mr. Raghuveer ka phone baja. Unhone call uthaya.
Raghuveer : hello.
Samne se : Sir ek aadmi ka pata laga hai jo reyansh ke bare me janta hai
Raghuveer : wah kya khabar sunayi hai. Jald se jald us aadmi ko lekar mere mansion me aa jao .
Samne se : jii sir.


Aaagggeeee dekhte hai kyaaa hotaa haaiiii....
 
Newbie
15
6
3
UPDATE - 2


Khuch din bad dadaji ne pandit ji ko aane ka nyota diya namkaran ke liye. Sab kuch hasi khushi chal rha tha par meri zindagi ka kala din bhi aagya jab se mera aur "DARD" ka nata jud gya..........

Ab aage..

2 din baad pandit ji ko naam karan ke liye bulaya gya. Us din hamare ghar ko dulhan ki tarah rajaya gya tha. Achcha hamara ghar banglore se thoda bahar sabse shant aur posh area me hai. hamare ghar ko ghar kahana galat hoga kyuki ye to pura bangla tha. 3 floor ka tha niche hall, kitchen, aur dining room tha. Uper mummy papa , chachi chachi aur didi ka kamra tha uske bagal me dadaji ka kamra tha. Baaki kamre band the jab koi rishtedaar ata to unke liye khulwa diya jata.


Mega-Mansion


Chalo ab story pe ate hai..

To pandit ji bhi aagye phir puja shuru hui phir wo bole.
Pandit: Mata Pita apne bacche ke sath puja me bethe.
Mom dad puja me baith gye mom ki god me mai soya tha phir jaisa jaisa pandit bolta gya waise waise mom dad karte gye. Jab pandit me hawan me aahuti dene ko kaha, jaise hi papa ne aahuti di achanak aag ki lapte bhadak gyi. Jise dekh pandit ji chouk gye aur bole.
Pandit: ye thik nhi hua ye kisi anishth ka sanket hai.
Dad: aree panditji aap kuch jada hi soch rahe hai.
Dad ne iss chiz ko nazar andaz kiya kyuki wo insab chizo vishwas nhi rakhte the par maa ke chehre pe pareshani ki lakire zaroor thi par unhone kuch zahir nhi kiya itne logo ke samne Aakhir mere gharwalo ke rutube ka sawal tha jise wo log kisi bhi insan se upar rakhte the chahe wo mai hi kyu na hu. To puja phir khatam hui phir pandit ji ne mujhe god me liya aur dekhne lage tab meri aakhe bad thi par jaise hi pandit ne mere hath ko chua mai aakhen khol use dekhne lga unhe aashcharya hua par badme mujhe maa ki god me dekar wo kundali banane lage. Wo jaise jaise kundali bana rhe the waise waise unki aakhen badi hoti ja rhi thi aur maathe per chinta ki lakire badh rhi thi. Kuch der bad wo maa se bole.

Pandit : putri balak ka janm sthan aur samay batao.
Mom: pandit ji mere bete ka janm isi sheher ke sabse bde hospital me raat ke thik 12 baje hua hai.
Pandit: ye thik nhi hua bachche ka jamn subh samay ke viprit samay par hua hai. Bachcha hamesha kali shaktiyo ki chatra chaya me rahega.
Mom ne bas itna suna aur pandit ko paise dekar bahar nikal diya. Unke hisab se agar ye baat kisiko pta chalti to unka naam kharab ho jata.
Dad ne is baat ko itna serious nhi liya. Unke liye itna hi kafi tha ki unhone ek waris de diya baki unko mujhe se zaada matlab nhi tha wo business ko hi apna sab kuch mante the.
Par dadaji mujh par jaan chidakte the tab us samay maa ko bhi mujh se lagav tha par meri janm kundali wali baat unhe kahi na kahi khatakti thi.

Khair 2 saal aaise hi nikal gaye. Is beech choti moti baate kahe ya durghatna hoti rahi jo sab nazar andaz kar dete par chachi hamesha mujhe manhus kah kar sab mere uper dal deti. ab mai 2 sal ka tha aur janvi didi 3 saal ki thi hum sath khelte par mere aajane se unhe pyaar thoda kam milta toh wo mujh par gussa utar diya karti ( ab aap bachcho ko to jante hi hai kaise hote hai) mom phir se pregnant thi. Kuch hi din me hamare ghar meri pyari princess Swara aayi mere bachpan ka khilona bankar. Mai khud to bachcha tha par iska khayal mai khud rakhne ki koshish karta. Ab papa bhi ghar aur hum par dhayan dene lage the. Chachi ka ravayaiya abhi bhi vaisa hi tha. Dada ji bhi khush the bhara pura pariwar dekh kar.

Aise hi kuch mahine bit gaye. Mai to apni princess me hi magan rehta. Didi ko bhi ab maa papa ka pyaar barabar mil rha tha phir bhi hamari zyada nhi banti this.

Aaj sunday tha dad bhi aaj ghar pe the. Sab kahana kha rahe the tabhi dad ka pgone baja.

Dad: hello
Samne se : ....................
Dad : kya baat kar rhe ho.
Samne se : ....................
Dad: aisa nhi ho skta.
Samne se : ....................
Dad : nhiii.........
Isi le sath dad ne phone diwar par phek mara aur sar pakad kar baith gye. Jisse dekh kar mom, chacha aur dadaji ghabra gye. Mom ne phucha.

Mom: kya hua aap aise kyu sar pakad rkha hai. ?
Dad : sab barbad ho gya.
Mom: kya hua hai bataiye.
Dad : jewelry ke showroom me aag lag gyi hai.
(dadaji, mom, chacha, chachi ek sath): kya?
Mom ne dad ko paani diya aur boli.
Mom: shaant ho jaiye. Sab thik ho jaiga.
(Itne me chachi bhi bol uthi wo kaha piche rehne wali thi. )
Chachi : Ab khuch this nhi hoga sab iss manhus ki wajah se hua hai.
Dadaji : (gusse me) bahu apni zuban sambhal kar.
Chachi : aaj nhi babuji ab paani sar se upar nikal chuka hai.
Dad: aaj pehli baar mujhe kamya ki baat sach lag rhi hai jab se aya hai nuksaan ho rga hai.
Mom: aaj to mujhe bhi iss baat par yakin jo gya ki ye manhus hai.

Ye bolkar mom ne mere pass se meri princess Swara ko utha liye aur use room me le gyi. mai rone laga par kisine dhyaan nhi diya.
Dadaji mhuje gle laga kar mera sar sehlane lage aur bole.
Dadaji : koi kuch bhi bole par mujhe pta hai ki mera pota mahus nhi hai balki ek acha aur sachcha bachcha hai.
Dadaji mujhe god me liye aise hi selhlate rhe jab tak mai so nhi gya. Aur mujhe bed per lita diya.




Aaage dekhte hai kya hota hai........
Dukan kahi oor jqli and ilzaam bache par daal diya wah
 
Newbie
15
6
3
UPDATE-3

Dadaji mujhe god me liye aise hi selhlate rhe jab tak mai so nhi gya. Aur mujhe bed per lita diya.

an aageee........

Jab mai utha mujhe meri princess ke pass jana tha par jaise hi mai Mom ke room me princess ke sath khelne ke liya bda mom ne mujhe phiche jhatak diya aur boli.
Mom: dur hat manhus meri beti se. Apne baap ka business to kha hi gya hai ab meri choti beti ko to chod de.

Mujhe kuch samaj to nhi aya par mom ke dhakka dene ki wajah se mai gir gya to mujhe rona aa gya aur mai uth kar papa ke pass jane laga par jaise hi papa ki godh me chadha papa ne bhi mujhe dur hata diya aur bole.
Dad: dur reh mujhse manhus pehele hi mujhe barbad kar chuka hai.

Mujhe ab kuch samaj nhi aa rha tha mai bas roye jaa rha tha. Dadaji ne bhi ye baat sunli. Wo jaldi se mere paas aaye aur godh me utha liya aur dad se bole.
Dadaji: pagal ho gya hai kya, ek chota sa bachcha ue sab kaise kar sakta hai.
Dad: babuji aap bich mat boliye. Aap jante bhi hai kitna nuksan hua hai??
Dadaji: kitna bhi hua ho par mere liye kuch mere pote se jada to nhi hai .
Dad : poore 630 karod ka nuksaan hua hai.
Dadaji : beta paise wapas bhi kamaye jaa sakye hai par rishte nhi.
Dad : kaisa rishta?? Aajse mera air iska koi rishta nhi hai.

Itna bole dad waha se chale gye. Dadaji mujhe leke apne kamre me aagye. Par koi ye sab hote hue dekh rha tha. ye koi aur nhi kamya chachi thi , aaj wo bohot jada khush tji aakhir unki man ki muraad jo puri ho rhi thi.

Khair 2-3 ghante to dadaji ke sath nikal gye par baad me mujhe bhuk lagne lagi ( mai 2 saal ka tha par abhi tak meri maa ka dodh pine ki aadat nhi chuti thi) to mai rone laga dadaji ko samajne me der nhi lagi ki mujhe bhuk lagi hai to dadaji mujhe mom ke paas le gye aur bole.

Dadaji : Bahu lo reyansh ko bhuk lagi hai ise doodh pila do.
Mom ne saaf mana karte hue kaha.
Mom: maaf karna babuji par mai iss manhus ko dudh nhi pila sakti.
Dadaji : bahu ye kaisi baate kar rhi ho. Kya maa hote hue bhi tumhe apne bachche ki bookh nhi dikhai deti??
Mom : aaisa mahus mera beta ho hi nhi sakta.

Ye keh kar maa swara ko godh me liye janvi ka hath pakad kar room se bahar nikal jati hai aur chod jati hai piche ek bhook se tadapta apna bachcha . Aaj dadaji aasoo bhate hue khud ko bohot bebas mehsoos kat rhe the ye soch kar ki wo apne pote ki bookh tak shaant na kar sake.

Tabhi mera rona sun waha saima ( hamare ghar me kaam karne wali maid) waha aa gyi
Aur mujhe bookh me rota dekh uska dil pasijh gya aur wo boli.

Saima : bade sahab agar aap ijazat de to mai chote baba ko doodh pila du.
( saima ki bhi 1 saal ki bachi hai isi liye use bhi doodh ata tha)
Uski baat sun dadaji sochne lage kyuki wo ek nichi jaat ki aurat thi aur ham rajput par mere bhook ki tadap ke aage wo haar gye aur saima ke godh meujhe dene ke baad hath jod ke bole.

Dadaji : danya ho tum beti mai tumhara ye karz jindagi bhar nhi chuka paaunga.
Saima : aap mujhe beti bhi kehete hai karz ki baate karte hai.

Dadji ab chup ho gye aur saima mujhe kamre me le jake doodh pilane lagi.
( aaj saima maa ne mujhe doodh pila kar meri zindagi khareed li thi. Isliye mai unhe saima maa kehta tha)
Doodh pila ne ke baad saima ne mujhe dadaji ke paas dediya.

Aaise hi din nikalye gye. Jab bhi mai maa ya papa ke paas unka naam apni tutlati jubaan se lete hue jata to wo mujhe dat dete, dhakka de dete ya kabhi kbhi to maar bhi dete. Ye sab wo dadaji ke phiche karte the kyuki wo unke saamne karne ki himmat nhi rakhte the. Chachi ko to waise bhi mujhse koi khaas lagav nhi tha to unhe insab se koi farak nhi pda. Chacha ko mere liye dukh hota par wo dad aur chachi ke laran kuch bol nhi pate par akele me thoda bohot pyaar kar liya karte. Janvi didi ko farak nhi pda kyuki ab maa hi unhe mujh se door rahane ke liye kahati.

Chachi bhi pregnant thi khuch hi din me hamare yaha ek aur gudiya aa gyi divya. Chachi to mujhe divya ke ass pass bhi bhatakne deti thi.

Aab to dadaji aur saima maa hi meri zindagi ban gye the . Aise hi din bitne lage.
Ek din mai dadaji ke laye hue khilono se khel rha tha tabhi janvi didi aa gyi aur mere khilone todne lagi to mai rone laga . Mere rone ki awaj sun kar maa aur chachi aa gyi. Par maa ne meri taraf dekha bhi nahi aur didi ko puchne lagi.

Mom : kya hua meri rani beti ko kahi iss manhus ne kuch kiya toh nhi.
Janvi didi : ( jhut bolte hue) haa maa isne mujhe dhakka de diya.
Mai : nhi maa maine kuch nhi kiya.
( totli juban me)
Chaataakkkk....
Jaise hiaine ye bola maa ne mujhe thappad mar diya aur boli.
Mom: himmat kaise hui mujhe maa kehne ki. Teri aukat ek kutte ki bhi nhi hai aur teri himmat kaise hui meri beti ko dhakka dene ki.
Chachi : bhabhi ye lato ka bhut hai aise nhi manega.
Isi ke sath
Chaataakk. ...chaataakkk..... Chataaakkkk.
7-8 thappad mare. Mai bas rota ja rha tha mere muh se shabd nhi nikal rhe the. Aree bolna to dur mujhe meri galti bhi samaj nhi aa rhi thi. Mere gaal tamatar ki tarah laal ho gye the kyuki mera rang bohot gora tha. Chachi ye sab dekh ke muskura rhi thi aur janvi bhi khush thi. Tabhi waha saima maa aa gyi aur boli.
Saima maa : mem sab chod dijiye bachcha hai galti ho gyi.
Maa : tu yaha ki naukar hai to aukat me reh. Ye sunke saima maa chup ho gyi.
Achanak pta nhi kaha se dadaji bich me aa gye aur mujhe maa se dur kar apne godh me le liya. Aur maa chachi par bhadak gye.
Dadaji : himmat kaise hui tum doni ki mere pote ko hath lagane ki. Dur ho jao tum dono meri nazaron se.

Maa, chachi aur janvi didi dadaji ki dahad se dar kar ghar ke andar chale gye. Aaj mujhe itna "DARD" ho rha tha ki mai baya nhi kar sakta tha kyuki ye thappad sidha mere dil par lage the. aaj mere chehere pe ki masoomiyat kahi gum ho gyi thi aur uski jagah darr ne leliya tha. Darr ek maa ki mamta na milne ka darr, ek baap ka pyaar na milne ka darr, akele pad jane ka darr.

Aise hi samay bitta gya ab janvi didi school jane lagi thi. Maa ki maar chalti rehti thi unhe maa pukarne pe aur chachi aur janvi mujhe paresha karti rehti par dadaji ke piche. Mai ye sab dadaji ko nhi batata tha kyuki mai nhi chahta tha ki mere karan dadaji ke rishte kisise kharab ho.




Dekhte hai aage kya hota haii.........
Bare ghatiya log he
 
Newbie
15
6
3
UPDATE-4


Aise hi samay bitta gya ab janvi didi school jane lagi thi. Maa ki maar chalti rehti thi unhe maa pukarne pe aur chachi aur janvi mujhe paresha karti rehti par dadaji ke piche. Mai ye sab dadaji ko nhi batata tha kyuki mai nhi chahta tha ki mere karan dadaji ke rishte kisise kharab ho.

Abb aggeeee.......

Aise hi din bite, mahine bite aur saal bita. Mujhe jada kuch to samaj ta nhi tha par maar ke karan maa ke pass jane se darta tha isiliye mai jadatar dadaji ke kamre me rehta tha taki kisi ke samne na jana pade aur bina wajah dhulayi na ho jaye. Jab mai maa aur papa ko janvi didi aur swara ko pyaar karte Dekh ta to mera bhi mann hota ki wo mujhe bhi pyaar aur dulhaar dihaye par aisa nhi hota .ab saima hi mere liya maa thi aur dadaji bhi bohot pyaar karte the.

Abb mai 3 saal ka ho chuka tha, abb bari aayi mere school jane ki to papa ne saaf keh diya ki unke pass kisi aur ke liye koi paise nahi hai. Dadaji pass bhi jada paise nhi the aur na hi unke naam pe jamin jayejad thi siway ek khet ke. Jaise taise unhone mera admission janvi didi ke school me karaya kyuki unka manna tha ki abb mai sirf achche se padhne likhne ke baad hi apni jindagi sudhaar sakta hu . Admission to unhone karra di par ab sawal tha ki mai jaunga kaise kyuki school harare ghar se karib 5 km dur thi to saima maa ne kuch paise de kar mujhe bus lagwa di.

Kal mere school ka pehla din tha mai bohot jada khush tha. Mai soo gaya, agli subah muhje dadaji ne uthaya. Mai jaldi se taiyar hone gaya par jab mai uniform pahenne laga tab mujhe tie bandhna nhi aa rha tha to mai dadaji ke pass jane laga tabhi janvi didi dikhi to maine socha inhi se pooch loo .

Mai : didi kya aap mujhe bataingi ki tei kaise bandhte hai? (totli awaj me)
Jaise hi didi ne mujhe uniform me dekha usne mummy ko awaj lagayi.
Janvi didi : mummmyyy.... Mummmyyyt..
Mom: kya hua beta? Kyu chilla rhi hai?
Janvi didi : Mom kya ye kutta bhi mere school me jaega?
Mom : haa beta pta nhi kyu tumhare dadaji iss manhus per paisa kharch kar rhe hai.
(Janvi phir meri taraf gusse se dekhte hue)
Janvi didi: sun kutte tu mere school to aa rha hai per mujhe didi mat kehena nahi baat krna.
Mai : par didi mai to aapka chota bhai hu na.
Janvi didi : tu aur mera bhai teri aukat to ek kutte ki bhi nhi hai.
(didi ne bhi aaj whi kaha jo aksar mummy ya chachi mujhe kehti thi)
Meri aakhen bhar aayi thi mai roote hue dadaji ke kamre me bhaga.
Dadaji ne mujhe roote dekh pucha.
Dadaji : kya hua beta kyu roo rha hai.
Phir maine dadaji ko sab roote hue bta dia. Dadaji ko bhi kaafi bura laga par mujhe sambhalne ke liye wo bole.
Dadaji : beta aukat paidaishi nhi milti use banana padta hai. Isi liye maine tumhara naam bade school me dala taki tum padh likh kar bade aadmi bano.
Mai : bada aadmi kyu dadaji? ( utsukta se)
Dadaji : beta kyuki bade aadmi ke bhut dhan sampatti hoti hai aur uske saamne sab jhukte aur uska samman karte hai.

Mai bas unhe chup chap dekh rha tha. Dadaji phir bole.
Dadaji : beta meri ek baat hamesha yaad rakhna " Is duniya mei aadmi se jada kimat paiso ki hai ".

Dadaji ki ye baat mere zehen me ghar kar gyi aur maine kaise bhi bas bada admi banne ki thani.
Khair dadaji ne phir mujhe tie bandhna sikhaya phir mai bus me baithkar school ke liye nikal gya. Kuch der me Bus school pahuch gyi, Jab mai bus se utra aur school ke gate tak pahucha tabhi mere dad ki car aayi aur usme se janvi didi utri. Mai unhe dekhte hi unki baat yaad aa gyi to mai jaldi se apni class me bhag gya jab mai class me pahucha to mujhe sirf ek jagah khali dhikhi to mai waha baith gya. Mere sath ek ladka baitha tha par mujhe usse baat karne jhijhak ho rhi thi. Mai soch hi rha tha tabhi wo bola.

Ladka : hello mera naam amit hai? Tumhara naam kya hai.
Mai : hii, mera naam Reyansh hai.
Amit: kya tum mujhse doati karoge.
Mai : haa bilkul aaj se hum dost. ( totli awaj)
Amit : are ye kya tum to tutlate ho.
Mai : haa bachpan se mai aise hi bolta hu.
Amit : koi baat nhi tum dhire dhire sahi bolna sikh jaoge.
Phir teacher aagye phir padhai shuru ho gyi. Mai mann laga kar padh rha tha kyuki ab mujhe bada aadmi banna tha. Phir aise hi school khatam ho gya mai ghar wapas aa gya. Aaj mai bohot khush tha kyuki aaj maine ek dost banaya tha jiske sath mai baat kar skta tha khel sakta tha.

Aaise hi samay nikalne laga. Iss beech meri aur amit ki dosti badhti gyi .mai ab 6th class me tha aur janvi 7th me. Janvi jada baat nhi karti thi. Aur abb meri princess swara aur chachi ki beti divya bhi badi ho gyi thi wo bhi hamate sath school jati thi. Maa mujhe swara se dur rakhti thi, kabhi kabhi maa se chup ke uske sath baat kar liya karta tha. Chachi to bachpan se divya ko sikha rahi hai ki mai manhus hu mujhse dur rhe to wo to mujhse waise bhi dur rehti thi.
( aap to jante hi hai ki bachcho ki soch bachpan me kaisi hoti hai jaisa akar use do waisa wo banjati hai.)
Chacha ko mujhse bohot humdardi thi par wo papa aur chachi ke saamne kuch nhi kar sakte the. Maa to jaise bhul hi gyi thi ki unka koi beta bhi hai jise maa ki mamta ki jaroorat hai , par unki nazar me haisiyat ek kutte se bhi kam thi Yaha tak ki wo mujhe kisise beta kehkar bhi nhi milwati thi jise pata na ho ki mai kon hu. Jab koi ghar ata aur puchta ki mai kon hu to wo bolti ki " ye hamare ghar kaam karne wali naukrani ka beta hai " ye unke dil me DARD to hota tha par ye kafi had tak sach bhi tha kyuki unhone mujhe sirf janam diya tha par saima maa ne mujhe apna doodh pilaya tha jab maa ne pilane se mana kar diya tha aur unhone mujhe pal pos kar bada kiya.

Khair ab samay badal gya tha ab mai 4th me tha to mere padhai ka kharcha badh gya tha to dadaji ne bus band karwa di thi ab mai school paidal jaya karta tha. Kabhi kabhi school pohochne me late ho jata to teacher dat deti thi par teacher ko bhi pta tha ki mai paidal ata hu to jada kuch nhi bolti thi.

Jab kabhi bhi parents teacher meeting hoti to sab ke parents aate par mere sath sirf dadji aate ye dekh mujhe dukh hota kyuki janvi didi aur swara ke sath mom dad aate the par mere sath nhi. Maa baap ke pyaar ki kami ke karan kabhi kabhi dukh hota to mai akele me baith kar ro liya karta tha.

Jaise taise din kat rhe the phir ek din mai school se wapas aya tab dadaji kahi bahar gye the. Mai saima maa ke pass jakar baith gaya aur unse baat karne laga.
Mai : maa aaj school me mujhe amit ne laddo khilaya. Sach me bohot hi achchi tha. Aaj maine pehli baar khaya.
Saima : beta ek din aisa aayega mai tujhe dher sare laddo khilaungi..
( ye kehte hue saima rone lagi. Wo soch rhi thi kaise maa baap hai itne masoom aur pyaare bachche ko maa baap hote hue bhi anath ki jindagi jine ke liye majboor kar diya hai.)
Mai : maa aap roo kyu rhi hai.
Saima : kuch nhi beta meri aankh me kuch chala gya tha. Tu yaha baith mai tere liye khana lekar aati hu.
(ek baat batana chahunga maa ko lagta tha mai manhus hu isliye unhone mera khana apni rasoyi me banwane se mana kar diya tha. Is wajah se saima maa mere liye apne ghar se khana bana kar lati thi.)
Saimaa maa khana le aayi phir mai kahana khane laga.
Mai : maa apke hath ki daal bohot achi lagti hai mujhe.
Saima maa : beta har roj ek hi dal kahata hai aur roj yehi kehta hai aisa kyu?
Mai: kyuki aap isme dher sara pyaar dalti ho.
Unhone mujhe apane sine se laga liya.
( wo man me boli : dhanya ho gyi mai aisa beta mujhe mila hai. Ek garib ke ghar ki dal roti kha kar bhi roj kehta hai ki "isse tasty kuch bhi nhi ho sakta". )
Aise hi khana khatam ho gya phir mai bhar khelne chala gya. Shaam ko jab wapas aya to dekha dadaji abhi bhi nhi aaye the. Mai jaise hi apne room me jaane laga dad gate se andar aaate dikhe.kafi gusse me dikh rhe the. Wo mummy ke room me gye.
Mummy : kya hua bohot pareshan dikh rahe hai?
Dad: meri important deal cancel ho gyi.
Mummy : kyaa?
Dad : haa , mujhe pakka yakeen hai ye us manhus ke karan hua hai.
Chachi bahar khadi ye baat sun rhi thi . Tabhi aag me ghi dalne ke liye wo boli.
Cahchi : haa bhai sahab mujhe bhi yahi lagta hai ki ye zarur usi ke karan hua hai.
Dad: hai kaha wo manhus aaj koi use mujhse nhi bacha skata.
Dad bahar aaaye aur mujhe doodhne lage.



Aage dekhte hai kya hota haiiii.. ....
What deal ka bache se kya lena dena
 
Newbie
15
6
3
UPDATE - 5

Dad: hai kaha wo manhus aaj koi use mujhse nhi bacha skata.
Dad bahar aaaye aur mujhe doodhne lage.

Abb agggeee.........

Mai bhi apne room me hi jaa rha tha tabhi dad ki nazar mujh par padi . dad mera naam chillate hue meri aur doude.

Dad: Reyanshh...
Mai dad ki jordar awaj sun kar darr gaya. Dad mere pass pohoche aur
Chaataakkkk..
Mai dar gya aur pucha
Mai : kkkya hhua dad.? (haklate hue)
Dad : mat le mera naam apni gandi zubaan se. Aaj teri manhusiyat ki wajah se meri ek important deal cancel ho gyi.

Aur phir isi ke sath
Chaataakkk.. Chatakkk....
3-4 thappad pad gye mujhe. Phir bhi dad ka gussa kam nahi hua toh belt nikal kar shuru ho gye. Wo bas bina ruke maare jaa rhe the. Meri aakhon se bass aasoon nikal rahe the. Maa, chachi, janvi waha khade the par koi kuch nhi bol rha tha. Meri bhi bass aassoon aur chikhe nikal rhi thi.
(Dadaji ghar par nhi the tab)
Mai : aahhhh... Nhhhiii... Papa... Maine. Kkkuch nhii kiyyaa.. Dadajiii..
Tabhi waha saima maa aagyi wo dad aur mere beech me aake boli
Saima maa : sahab ruk jaaiye bachcha hai
Kuch ho jayega.
Dad : naukar hai to apni aukat yaad rakh aur nikal yaha se nhi to tujhe bhi aaj hi naukri se nikal dunga.
Saima maa bichari majbur hokar waha se nikal gyi kyuki gareeb thi uska pura pariwar uske bharose tha kyuki uska pati iss duniya me rha nhi.
Dad tab tak mujhe belt sw marte rhe jabtak unka gussa thanda nhi ho gya. Mai tab tak behosh ho chuka tha. Mera pura sharir dukh rha tha har taraf se chamdi udhad chuki thi usme see khoon aa rha thaa.
Gussa thanda hone ke baad Dad, mom, chachi bina meri taraf dekhe apne room me chle gye . Unko jata dekh saima maa meri taraf aai jaise hi unki nazar meri taraf gyi unhone tezzi ke saath rona shuru kar diya.
Unhone bhaag kar mera sar apni godh me rakha aur badbadane lagi.
Saima maa : kitne nirdayi log hai mere bachche ki mar mar kar kya halat kar di. Bahgwaan kare inhe narak me bhi jagah na mile.
Phir saima maa mujhe uthake jaise taise mere room me le gyi aur mujhe bed pe ulta lita diya aur mere loya malham lene bazar chali gyi. Par koi aur bhi tha jo ye sab hote hue dekh rha tha aur roo rha tha ye aur koi nhi balki Swara thi.

Saima maa ke jaane ke baad wo chupke se kamre me aa gyi. Aur jaise hi usne mere kandhe pe hath rha mere dard ke mare chikh nikal gyi.
Mai : aaahhhhh.. Nhii... Mai ne kuch nhi kiya
Mai bad badane laga. Meri aisi halat dekh Swara ka dil roo rha tha aur apne maa baap se ghinn aa rhi thi. Wo boli
Swara : bhaiyaa apko ab koi nhi marega mai hu naa.
Swara ki awaj sun maine uss ki taraf dekha meri aakhon se aasoon nikalne lage mai bolna chah rha tha par dard ke karan meri awaj bhi nhi nikal rahi thi.usne mere aasoon ponche aur boli.
Swara : bohot dard ho rha hai kya bhaiyaa.
Mummy papa sach me bohot gande hai unhone aap ko mara. Tabhi saimaa maa aa gyi aur swara ko dekh kar boli.
Saima maa : beta aapko yaha nhi ana chahiye nhi to apko malkin daatengi aur naa hi phir reyansh ke liye achcha hoga.
Wo jana nhi chahti thi par mere bare me sunn kar chali gyi kyuki wo apne maa baap ka bartav mere sath dekh chuki thi.
Saimaa maa ne phir malham lagana shuru kiya jissee meri chikkhe nikal ne lagi par roo saima maa rhi thi. Bada hi ajeeb rishta tha unka aur mera jab sab ne aur apno ne thukra diya toh unhone apnaya aur aaj zakhm mere hai aur " DARD " unhe ho rha tha.

Unhone to har zakhm par dawa laga di par aaj zakhm sirf jism par nhi hue the aaj dad ne mere rooh par zakham kiye hai. Unhone aaj unhone meri masoomiyat ko maar dala tha.
Aaj meri jine ki ichcha hi khatam si ho gyi thi , aaj mai bas mar jana chahta tha, mai chahta tha ki ab bass hameshake liye geheri neend me chala jau. Saima maa bhi mujhe dekh kar samaj chuki thi ki ye zakhm aage chal kar nasur hone wale hai.

Dadaji bhi thodi der me aa gye saima maa ne unke jaane ke baad jo kuch hua wo sara haal keh sunaya. Phir jo dadaji dhadte hue dad ke room me pahuche aur phir karib 1 ghante tak dad aur dadaji ki behes aur jhagda hua. Phir dadji mujhe dekhne chale aaye. Mujhe dekhte hi unki aakhon me assoon aagye.
(mai tab soo rha tha)
Dadaji : maaf karde mujhe mere bachche mai kuch kar na saka, aaj mujhe khud se ghinn aa rhi hai ki maine ek aisi aulad paida ki hai jise ek masoom bachche asoon nhi dikhte, uska dard nhi dikhta.
Dadaji waise hi baith ke bohot der tak rote rhe .
Us din ke maar ke baad mai 3 din tak room se bahar nhi nikla tha.
Samay apni raftar se chalne laga. Swara ko bhi mere liye kaafi bura lagta aur uska lagav mere prati badhta hi jaa rha tha. Mujhse baat karne ke liye wo mom ki maar bhi kha leti.
School me bhi kuch ladko ko pta chal gya tha ki janvi mujhse nafrat karti hai iss liye usse impress karne ke liye wo mujhe tang kiya karte par janvi ko farak nhi padta wo muh pher kar chali jati.
Aaise hi samay bit raha tha abb mujhe dadaji , saima maa aur swara ko chod kar kisi se koi matlab nhi reh gya tha kyuki divya toh waise bhi baat nhi karti thi wo sach me mujhe naukar ki aulad samajti thi. Par mere dil me aaj bhi un sab ke liye soft corner tha. Par samay ke sath dadaji ki tabiyat unka sath chod rhi thi Ab wo jadatar bimar hi rehte the . Mera samay bhi nikal jata tha school , dadaji ki sewa phir khana pina aur sona . Aise mai 10th me pahuch gaya tha.

Phir wo din bhi aa gya jab dadaji mujhe iss narak me akela chod kar chale gaye. Mai school se wapas aa rha tabhi maine dekha ghar me logo ki bhid lagi hui thi mai adar gaya aur dekha dada ji ko safed chadar oudhaye litaya gya tha . Mai ye dekhte hi zinda laash ki tarah gir gya aur behosh ho gya. Saima maa ne mujhe sambhala aur hosh me laya. Hosh me aate hi mai dadaji ki taraf dauda aur unse lipat kar rone laga aur badbada rha tha.
Mai : ye kya ho gya dadaji, aap mujhe akele yaha kyu chod kar chale gye, ab mai kiske sahare jiyunga.
Tabhi mujhe papa ne ghasit kar dadaji se alag kiya aur bole.
Dad : aaj tu mere baap ko bhi khaa gya aur jhute aasoon baha rha hai dur hat jaa mere babuji ke pass se.
Saima maa ye sun kar mujhe waha se alag kiya par mai to jaise laash hi ban gaya tha na mujhe kuch sunayi de raha tha nahi kuch dikhayi se rha tha.
Wo mujhe jaise taise waha se le gyi. Mujhe dadaji ki arthi tak ko hath nhi lagane diya gya us din dad ke liye man se bad dua nikli thi. Aise hi dadaji ka antim sanskar bhi ho gya. Mai to bas dadaji ki kursi ke pass niche baitha rehta, mujhe kuch hosh hi nhi tha.


Aage dkhte hai kya hota hai... .......
Kya ghatiya family mili he riyansh ko
 
Newbie
15
6
3
UPDATE - 6

Aise hi dadaji ka antim sanskar bhi ho gya. Mai to bas dadaji ki kursi ke pass niche baitha rehta, mujhe kuch hosh hi nhi tha.

Aabb aaggeeee............

Saimaa maijhe aisi halat me dekh nhi paa rhi thi tabhi use yaad yada ji dadaji ne use ek letter diya tha aur kaha tha ki mere marne ke baad Reyansh ko de dena. Wo jaldi se dadaji ke room me gayi aur wo letter nikal kar mere pass kar mujhe diya aur boli.
Saima maa : Reyansh mere bachche aise rote nahi agar tum aise hi asoon bahaoge to upar tumhare dadaji ki atama ko taklif hogi.
Mai : mai kya karoo maa mujhe unki bohot yaad aati hai .
Saima maa : par kya aise roone se aur yaad karne se wo wapas aa jayenge?
Mai : kaash aisa hota toh mai jindagi bhar ke liye inn asoon aur "DARD" ko kabul kar leta.
Saimaa maa : aise nhi bolte beta chal asoon poch aur ye le tere dadaji kaha tha ki mai tujhe ye tab du jab wo iss duniya me na rahe aur kaha tha ki use ye akele padhne ko kehena.

Mai ye sunte hi assoon ponche aur wo letter leliya. Aur bhaag kar apne room me chala gaya. Aur room ka darwaja lock kar diya aur dadaji ki chair ke pass baith gaya aur wo letter khola.

IN LETTER
(ab mai dadaji ki taraf se bolunga)

Mera pyare pote Reyansh agar tum ye letter padh rahe ho to mai iss duniya mai nhi raha hounga. Mujhe andaza tha meri halat ka, pta tha ki ab kuch hi din ka mehman hu . Mujhe mout ka dar nhi hai mujhe dar hai ki mere jane ke bad tera kya hoga kyuki mujhe pta hai bakiyo se tere rishte sirf naam ke hai ek sirf saima hai jo tujhe samajti hai par wo bakiyo ke bich kuch bol nhi sakti isliye mai chahta hu ki ab tu khud ko badal le kyuki
" Anyay karna jitna bada paap hai usse bada paap Anyay sehna hai " .tujhe meri kasam ki aaj ke baad royega nhi. Janta hu tu bachcha hai aur mai tujhe ladakpan me Mard bana rha hu par ye zaruri hai kyuki ye duniya achche logo ko chain se jine nhi deti. Mai tujhe kuch na de saka iska afsoos mujhe marne ke baad bhi rahega par ek baat hamesha yaad rakhna ki tu ek Rajput hai aur Rajput kabhi nhi harte.
Aakir me bas ek baat kahunga ki agar tu mera pota hai to tu ek din inn sabko jinhone tujhe thukraya hai unhe aisa karara jawab dega ki wo marte dum tak yaad rakhenge.

(Letter end)

Aaj akhri baar mai roya tha, jee bhar ke roya tha par uske bad kabhi apne aasun chalak ne nhi diye.

Dadaji ke jane ke baad ab akele saima maa ke liye school ka karch uthana mushkil ho rha tha to maine ek coffee shop me part time job shuru kar di. School ka kharcha bhi nikal jata aur kuch paise bacha kar gym bhi ahuru kar di thi abb school me jab bhi koi mujhe pareshan karta to mai bhi uske pura dum laga kar marta isske karan abb wo log bhi mujhse dur rehte pta nhi kaise janvi didi ko pta chal gya ki mai coffee shop pe kam karta hu wo ek din janvi didi chachi ki beti Divya ko lekar waha pohoch gyi.

Janvi didi : waiter.. Waiter

Mai waha order lene poch gaya. Jaise hi maine janvi didi aur divya ko waha dekha mai samaj gya ye yaha meri bejjati karne aayi hai.

Divya : ek garib order likh.. Ek Cappuccino Aur ek latte.
Janvi didi : aur ha ye ganda table poch.
Mai bina kuch bole chala gya aur wapas aake order serve kiya. Phir mai dusre order lene chala gya. Wo cooffe pee chuke the phir mai bill leke waha gya. Unhone paise diye , mai bache hue paise wapas de hi rha tha ki wo bole.
Janvi : are waiter keep the change.
Divya : haa waise bhi hamare yaha garibo me dan karte rehte hain infact humne to wk garib ghar me bhi pal rakha hai.
Mai : janvi didi aur divya itna bhi niche naa giro ki khud ki nazron me hi uth na sako.
Mai uski baat samajh gya. Mujhse waha aur ruka nhi gaya iss liya mai chala gya. Mere dimaag me bus ek hi baat chal rhi thi ki " haa mai garib hu, par kya garib insan nhi hote ya unhe kuch mehsus nhi hota" . Ye sab richa bhi dekh rahi thi
(richa mere sath kaam coffee shop me kaam karti thi wo mujhe se 5 saal badi thi)
Wo mere paas aayi aur pucha.
Richa : kon thi ye Reyansh ? tumhe itna jalil kyu kar rahi thi aur tum sun kyu rahe the.
Mai : kya karu richa kisamat ke hatho majbur hu garib jo thehra agar kuch use bol deta toh wo owner ko bolti aur wo mujhe yaha se nikal deta?
Richa : par thi kaun wo?
Mai : wo ladki wo hai jiske ghar mai rehta hu.
Richa : matlab tumhari family .
Mai : mujhe jaise garib ki kahe ki family.
Richa : oye tu koi garib nhi hai tu to sabse aamir hai kyuki tera dil bada hai tu dil ka sabse amir hai samjha.
Mai: haa samajh gaya par aab kaam karo agar us budhhe ne dekh liya to nikal dega kaam se.

Abb life todha track par chal rhi thi agale mahine meri 10th ki board exam thi to sirf padai aur kaam hi shuru tha. Padhai me mai amit ki madat kar diya karta tha aakhir wo mera pehla aur aakhri dost tha kyuki school me janvi didi ne ye baat faila di thi ki mai manhus hu iss liye koi mujh se dosti nhi karta par amit ko iss baat se koi farak nhi pada.
Aise hi ek mahina nikal gaya. Maine board ke exam de diye aur result ka wait kar rha tha. Mujhe result ki tension nahi thi kyuki mai shuru se topper tha har subject me.
Ek din mai amit ke ghar gya tha hum baat kar rhe the.
Amit : aur ladke kaha maje kar raha hai aaj kal.
Mai : behenchod yaha kaam se fursat nhi milti aur tu maje ki baat kar rha hai.
Amit : bhai gussa kyu kar rha hai mai to aise hi puch liya.
Mai : bhai tujhe sab pata to hai mere baare me phir bhi maje aur kush rehene ki baat karta hai baar baar.
Amit : maaf karde yaar mai tera dil nhi dukhana chahta tha..
Mai : chal chod iss baat ko sale baat baat par senti kar deta hai . Chal abb mai bhi ghar jaa rha hu shaam ho gyo hai. Bye
Amit : bye.
Mai ghar aa rha tha. Tabhi mujhe ek khambe ke paas se dabi hui chikh sunayi di maine waha jakar dekha to jo ladke mujhe school me tang karte the unhone janvi didi ko pakad rakha tha muh band karke. Mai bhagte hue waha pohocha aur bina soche jis ladke ne janvi didi ko pakda tha us ke lund pe mukka de mara wo sidha chillate hue niche baith gaya aur janvi didi aake kaske mere sine se lag gyi. Wo 3 ladke the ek to gaya tha kaam se abb yani bache do. Unme se ek bola.
1 : reyansh chod de ise kyu bacha rha hai ye to tujhe waise bhi jalil karne me koi kasar nhi chodti.
Mai : abe oo randi ki aulad wo jaisi bhi hai meri behan hai.
Ye bol ke maine didi ko apne piche kiya aur pass me padi eet utha ke dhar diya uske sar pe dusra ye dekh ke dar gya aur undono ko wahi chod kar bhag gya. Phir mai didi se bas itna bola aur chal pada

Mai : chalo ab ghar.
Wo bhi piche piche sar jhuka kar aa rahi thi aab unke dimag me bas mere wo shabd ghum rahe the " itna bhi niche naa giro ki khud ki nazron me hi uth na sako" aur unki aakhon se asoon ane lage. Phir hum ghar pohochne wale the to mai bola.
Mai : waise ye hua kaise.
Janvi : wo main apni friend ke yaha gyi thi aur gadi kharab ho gyi to driver ise thik karne laga to mai chalte hue aane lagi par jaise hi mai pole ke pass se gujri un ldko ne pakad liya par isse aage wo kuch karte tum waha pohoch aye aur aage tumhe pta hi hai..
Ye bolke wo chup ho gyi aur aasoo bahane lagi par ab inn asoon ka mol mujhe nhi rha tha. Phir mai bola.
Mai : thik hai par ab apna huliya sudharo aur ghar me ye baat mat batana.
Janvi didi : thik hai.

Unhone apna huliya sudhara aur hum ghar gye. Mai thodi der baad gya agar unke saath jata to ghar me bakheda khada ho jata.
Mai apne room me gya aur fresh ho kar niche baith gya kyuki mere room me koi bed ya sofa nhi tha ab mai baitha hi tha ki meri princess Swara dodte hue aai aur meri godh me baith gayi. ( tab swara aur divya 8 th me thi aur janvi 11th me) aur mere gal chumte hue boli.
Swara: bhaiya aaj kal meri yaad nhi aati kya aap mujhse baat hi nhi karte.
Ye bol ke usne muh fulla liya.
Mai : are meri princess naraj hai apbe bhaiya se. Par meri bhi to majburi thi kyuki meri exam chal rahi thi aur uake baad ghar me mummy bhi to rehti thi.
Swara : bhaiya aap tension bohot lete ho agar mummy kuch bolti to mai unhe keh deti ki mai aapse baat karne aai thi.
Mai : aur maar khati.
Swara : haa apke liye ye bhi sahi par mai apko maar khate nhi dekh sakti. Dekhna jab mai badi ho jaungi na tab aap ko iss ghar se bhaga le jaungi.

Mujhe uski baat pe khushi bhi ho rahi thi ki ye mujh se kitna pyaar karti hai aur haasi bhi aa rahi thi ki aapne bhai ko bhaga le jaegi.
Mujhe hasta dekh usne pucha.
Swara : bhai hass kyu rahe ho?
Mai : kyuki tu apne bhai ko bhaga le jana chahti hai... Ha... Hahaha..
Swara : to kya hua app mere ho aur aap pe sabse jada hak mera hai samjhe.
Ye bol usne mere gaal ko chumke bhaag gyi aur mai sar khujlata rha.

Wahi Janvi didi ke kamre me wo bed me sar dabaye roo rhi thi aur soch rahi thi.
Janvi didi ( man mai) : mai kitni galat thi ki mai use manhus samajhti thi wo toh itna achcha hai mai use jalil karne ke liye kya kya nhi kiya yha tak ke use pitwaya bhi phir bhi usne meri ijjat bachali. Mai usse kal maffi mang lungi apne har galti ke liye chahe mujhe uski maffi ke liye kuch bhi karna pade.

Ye soch te hue uske aakhon ke saamne wo sab chal raha tha jo usne mere sath kiya aur meri wo baat uski dimag me gunj rahi thi ki
"itna bhi niche naa giro ki khud ki nazron me hi uth na sako".
Wahi chachi ke room me kuch baat chal rhi thi.
Chachi : bhabhi bhaisahab kabtak us manhus ko iss ghar pe paloge ab to bauji bhi nhi rahe.
Maummy : par kya kare agar use ghar se nikal diya to samaj hamipe thukega.
Chachi : mai to kehti hue zeher de kar maar do uss mahus ko..
Mummy : nhi nhi mai kisi ki jaan nhi le sakti bhale hi mai use pyaar nhi karti par hai to wo mera beta hi.
Papa : mujhe lagta hai ki Kamya ( chachi) thik keh rahi hai agar hamne use zeher de kar maar diya to bahar ye keh sakte hai ki saanp ke katne se mar gya.
Chacha : chii.. Kitni nich sooch hai aap logo ki ek bachche ko marna chahte hai mai isme kabhi aap ka sath nhi doonga.
Papa : soch samajh ke bol chote. Agar sath nhi dena chachta to chup chap reh.
Pgir waha ye tey ho gaya ki kal mujhe zahar de kar mar diya jaaye.
Bahar darwaje par khada mai ye sab sun raha tha ( actually mai bahar jaa rha tha par dad ke room se apne naam ki awaj aati dekh mere kaan khade ho gye aur mai sunne laga)
Mai ye sun raha tha meri aakh me aasoon the oar maine unhe rok liya kyuki kasam khai thi. Mai bhi sochne laga kal dekh hi leta hu ki ye log kitna niche gir sakte hai..



Dekhte hai aagee kya hota hai.....
Nice update
 
Newbie
15
6
3
UPDATE - 7

Mai ye sun raha tha meri aakh me aasoon the oar maine unhe rok liya kyuki kasam khai thi. Mai bhi sochne laga kal dekh hi leta hu ki ye log kitna niche gir sakte hai..

Abb ageee............

Mai waha se apne room me aa gya aur soch raha tha ki pichle janam me maine aise kaunse paap kiye jo aise maa baap mile hai .
Phir socha aaj saimaa maa aur Swara se jee bhar kar baat kar leta hu pata nhi kal ke baad rahu na rahu kyuki mujhe yakin hai ki kal wo log mujhe zeher khila hi denge. Phir mai utha aur saima maa ke pass chala gya aur jate hi unhe gale laga liya. Wo iss tarah achanak aate hi mere gale laga ne se chintit ho gyi aur pucha
Saima maa : kya hua beta. Kisine kuch kaha kya.
Mai : nhi maa.
Saima maa : phir aaise kyu gala laga hai
Mai : lag lene do maa kal kisne dekha hai kya pata hum rahe na rahe.
Saimaa maa : pagal kuch bhi bolta hai bhagwan kare tujhe meri bhi umar lag jaye.
Mai chup ho gya phir thodi der unse baat karke Swara ke room me chala gya.
Mai waha pocha aur darwaja khat khataya. Unsne darwaja khola aur mujhe dekh ke boli
Swara : aaj suraj kaha se nikla hai jo raja ji iss garib ke yaha padhare.
Mai : aree rani sahiba hum to aapke gulam hai aur aap aisi baate kar rhi hai.
Swara : anadar ayenge yaa darwaje par hi baat karenge.
Phir mai andar aa gya aur niche jamin pe baith gaya.
Swara : aree niche kyu baith gye
Mai : wo mujhe sofe pe ya bed pe baith ne ki adat nhi hai iss liye .
Ye sunke wo udas ho gayi par agle hi pal meri god me aake baith gayi
Mai : arree mere godh me kyu bith gayi
Swara : (ghur ke) meri marji .
Mai : achcha , mujh se promise kar mai tere pass rahu na rahu par tu aise hi khush rahegi.

Ye sunke use gussa aur aakhn me pani aa gya . Wo mera collar pakad kar mera muh apne paas le aayi aur meri aakhon me dekhte hue boli.
Swara : ye apne bola bhi kaise ki mai apke bina khush rahu. Jis din aap na rahe samaj lena ki maine bhi apna nata iss jindagi se tod liya.
Mai usse dur hua aur mahol halka karne ke liye bola.
Mai : kuch bhi bolti hai. Mujhe to dar lagta hai ke lahi to physco to nhi ho gyi.
Swara : aapne mujhe physco kaha

Aise hi kuch der halki fhulki baate hui phir mai apne kamre me aake let gaya aur kal ke baare me sochne laga. Kush tha agar kal mar gaya to kamse kam 2 log to yaad karenge hi.
Aise hi nind aagyi. Sabere utha to dekha ghar me sab taiyari kar rahe the aur aaj saima maa bhi nhi aayi thi. Mai naha do ke taiyaar ho gaya or bahar aa gya . Mujhe Swara dikhai nhi di wo dost ke yaha gyi thi.

Mai abhi bahar aya hi tha ki aaj pehli baar maa (shikha Rajput) ne mujhe awaj di.

Mom : Reyansh..
Mai : ji kahiye kya kaam hai
Mom : hum sab bahar ja rahe hai hamare jane se pehle ye khir kha lo..
(mai man me : chalo kuch bura hi sochkar aapne naam to liya mera)
Mai jaan gaya tha ki is khir me jahar milaya gaya hai phir bhi maine keh diya
Mai : thik hai

Mom waha se jaa hi rahi thi ki mai bola.
Mai : kya pehla niwala aap khila dengi.
Mom ke muh se koi shabd nhi nikal rahe the wo waha se apne room me chali gyi chachi bhi unke piche ho li.

In room

Chachi : kya hua bhabhi usne khir khayi ya nhi?
Mom : wo chahta hai ki mai use apne hath se khir hilau.
Chachi : to khila dijiye na konsi badi baat hai.
Mom: nhi ye mujhse nhi hoga mai apne haath se use zeher nhi de sakti
Chachi : agar aapne aisaa nhi kiya to plan fail ho jayega aur bhaisahab aap pe hi gussa honge.
Mom kuch nhi boli aur mere paas aakar chair pe baith gayi aur boli.
Mom : chola mai khila deti hu.
Mai : ji.
Mom ne khir se bhara chamach apne kapte hue hath se uthaya aur mujhe khilane lagi.
Mere aakhon me nami aa gyi kyuki aaj pehli baa mom mujhe apne hath se khila rahi thi zeher hi sahi par khila rahi thi. Mai ne asoon ko chalakne nhi diya aur khir khatam kar di phir sab jaldi se kahi bahar chale gaye.

Mai chupchap dadaji ke khursi ke paas jakar baith gaya aur ab apni maut ka intajar karne laga. Mujhe khushi thi kamse kam abb iss narak se azadi milegi aur mai apne dadaji se mil sakunga.
Thodi der baad mujhe pet me dard hone laga aur aakhon ke saamne andhera chane laga mai wahi zamin pe gir gaya mere muh se jhaag aane laga.
Tabhi Swara jo abhi dost ke yaha se lauti thi abhi upar apne room me hi jaa rhi thi uski najar mujhpe padi. Wo daudte hue mere paas aayi aur boli.
Swara : bhaiya kya ho gya aapko uthiye.... Uthiye na
Mai uth nhi rha tha ye dekh kar wo dar gyi aur jor jor se rone lagi. Achanak use kuch dhayan aya aur usne meri saans check ki saans abhi bhi chal rahi thi.
Usne jaldi se ambulance ko phone kiya. Thodi der me ambulance aagyi aur usme mujhe le jaya gaya sawara bhi sath hi aayi . raste bhar wo roye ja rahi thi aur bhagwaan se dua maang rhi thi ki mai bach jau.
Swara : aap mujhe chod ke nhi jaa sakte....
Aur rone lagi. Phir mujhe operation theater me le jaya gaya. 2 ghante ke baad doctor aaye aur bole
Doctor : shukr hai aap inhe sahi time pe le aaye nhi to ye bach nhi pate kyuki inhe bohot poisonous zeher diya gya tha.
Swara ye sunkar shock ho gyi phir boli
Swara mai kabtak unse mil sakti hu.
Doctor : Aap unse 2 ghate me mil sakti hai .
Swara : thank you Doctor so much.
Doctor : koi baat nhi ye to hamara kaam hai par inhe poison diya kaise gaya aur kisne diya.
Swara : pata nhi doctor
Swara ne bhi iss baat per abhi dhyaan nhi diaya tha phir wo kuch sochne lagi...


Dekhte hai aage kya hota haiii......
Nice yaar achi kahani likhte ho
 

Top