Incest LAAL ISHQ - SAFAR BHAI BEHEN KA [INCEST, ROMANCE, ACTION, THRILLER]

315
400
63


Chapter 2 - The Journey

Update 15

Mega Update


Word Count: 5010
Estimated Reading Time: 00:25:00



Subabe 4 baje ke andhere me kareeb 30 Trucks jo ke Virani Industries ki the, wo Transport Vehicle Passing par khade the. Samne or kayi sare trucks the, sabko acche se check kiya ja raha tha, lekin jese hi Virani Industries ke 30 Trucks samne ate he, to Inspector barricade hata kar un sare Trucks ko jane ka saaf rasta de deta he. Wo sare Trucks pehle ek sunsas si jagah par jakar rukte he, jaha par Abdul kuch gadiyo or apne admiyo ke saath khada tha. Abdul ke admi jaldi jaldi har truck me se maal nikal lete he or apne gadiyo me bhar kar apne raste chal dete he. Truck ab apni manzil, Virani Industries ki taraf badh jati he.


"Aaj se tum log mere saath jude ho, Rana ki Darindagi ke bare me aaj takk suna he na? Ab dekho...."

Rana 3 logo ke samne apne chehre par ek mask laga kar baate kar raha tha, uska mask uski aakho se le kar naak takk ata tha. Rana apni dayi taraf khade aadmi ko kuch ishara karta he, wo aadmi ja kar ek buzurg ko ghasit te hue Rana ke samne la kar rakh deta he. Un Buzurg ki halat bahot kharab ho chuki thi, pure badan par chaku, talvaro ke nishan the. Tabhi wo Aadmi un Buzurg par petrol daal deta he. Samne khade 3 logo ki ye scene dekh kar gaand fatt rahi thi. Lekin jo aage hone tha us se to un logo ki or zyada fatni thi. Kyu ke Rana ne pehle ek cigarette ko apne muh me rakha or samne pade table par se chota sa khanjar utha kar un Buzurg aadmi ki ek ungli kaat ke apne haath me pakad li, jis se wo Buzurg kafi dard me the. Rana apni jeb se lighter nikal kar unki ungli par laga deta he, wo unglu ab jalne lagi thi, Rana usi jalti hui ungli se apni cigarette jala deta he. Or cigarette jalne ke baad wo jalti ungli ko un Buzurg ke upar fek deta he, kuch hi seconds me wo Buzurg ek behekte aag ke gole me tabdil ho chuke the.

"Rana ki Darindagi...... Dekh lo, kyu ke galati karne ke baad Rana kisi ko moka nahi deta....."
Wo un tino ke nazdeek akar kehta he, tino logo ke gote apne muh me agaye the, wo log thar thar kanpte hue haa me gardan hila dete he.


Rana us kamre se bahar akar aage badhne lagta he, Abdul bhi uske piche piche uske saath chalne lagta he.

Rana: Abdul.... Baccho ke College shuru ho gaye ya nahi?
Wo chalte hue piche mudkar Abdul se puchta he.
Abdul: abhi nahi agle hafte se shuru hone wale he...
Rana: hmm.... Badhiya... Apne bhanje ko samjha dena is baar or zyada janwar pinjare me bharne ke liye...
Abdul: Boss aap chinta matt kijiye.... Use pehle hi samjha diya he mene....
Rana: badhiya.....
Wo balcony me akar samne rakhi chair par beth te hue kehta he. Abdul uski dayi taraf akar khada ho jata he.
Rana: waise kya lagta he Abdul? Ye CBI ke pille Drugs ki Smuggling rok payenge?
Wo cigarette ki kushh lete hue Abdul se puchta he.
Abdul: Chance hi nahi he.... Itne Salo se kuch kar nahi paye, ab kya khaak kuch kar payenge....
Rana: ye bhi thik he.... fir bhi thoda chokanna rehna....
Abdul: aap fikar na kare... Me sabkuch dekh lunga....










Place: Mumbai, Maharashtra📍


Aksh apne kamre me yah se waha chakkar laga raha tha, kyu ke aaj uski zindagi ka ek sabse ehem din tha, kyu ke aaj uski meeting CBI Officer Anant se thi. Tabhi Sakshi use Breakfast karne ke liye bulane ati he, lekin Aksh ko aise kamre ke chakkar lagata dekh wo kuch samajh nahi payi.

Sakshi: Aksh.... Tu thik he na?
Wo andar akar Aksh ke samne khade ho kar puchti he.
Aksh: Ha.... Nahi.... Matlab....
Sakshi: kya keh raha he tu?
Aksh: yaar Sakshi aaj mere life ki sabse badi Deal hone wali he, shayad.....
Sakshi: Shayad kyu? Dekhna jesa tu chahta he waisa hi hoga.... Ab chal jaldi chay thandi ho rahi he....
Wo Aksh ke bahe pakad kar kehti he. Lekin Aksh muskurate hue dekhe ja raha tha.
Sakshi: kya? Aise daat kyu nikal raha he?
Aksh: tu bass tayar rehna....
Wo Sakshi ko aakh marte hue kehta he.
Sakshi: tayar? Kis liye?
Aksh: Surprise ke liye.... Agar aaj meri ye deal ho gayi na, to tere liye ek surprise he....
Sakshi: Aksh tu please mere saath ye surprise wala khel matt khel... Or chup chap bata kya surprise he?
Wo Aksh ko gusse me ungli dikhate hue kehti he.
Aksh: bhaag yaha se.... ye Surprise he....
Wo Sakshi se dur hokar kehta he. Lekin Sakshi ko pata tha, Aksh ka har Surprise use jhatka deta he, tabb Sakshi Aksh ko piche se pakad kar bed par gira deti he. Or Aksh ka collar pakad leti he.
Sakshi: Aksh tu bata raha he ya nahi?
Wo zor zor se Aksh ko jhunjlate hue kehti he.
Aksh: Ahh... Ja.... Nahi bataunga.... Jo karna he kar le.....
Wo Sakshi ke haath pakad kar apne collar se hatane ki koshish karte hue kehta he.
Sakshi: Aksh tu.....
Wo aage kuch bolne hi ja rahi hoti he ke Aksh ne use palat kar apne niche le liya, or apni ek ungli Sakshi ke honto par rakh kar use bolne se rok liya.
Aksh: Shhhh..... mene kaha na Surprise he.... Raat ko ghar akar bataunga.....
Wo Sakshi ke ekdum nazdeek akar, dhimi awaz me kehta he. Sakshi bass madhosh si wahi pade rehti he. Tabhi Radha ki awaz se wo hosh me ati he, or dono bahar hall me ajate he.


Aksh Radha or Santosh ke per chu kar ghar ke bahar agaya, or Bike start kar ke nikal hi raha hota he ke, Sakshi daud te hue bahar ajati he. Or gusse me Aksh ke samne khadi ho jati he.

Sakshi: tujhe kahi bahar jate waqt mujhse baat karna accha nahi lagta?
Wo narazgi se apna muh fulaye kehti he.
Aksh: kesi baat kar rahi he tu Sakshi?
Sakshi: to fir waise hi kyu nikal aya tu ghar se....
Aksh: accha Sorry.... Bol kya bate karni he?
Wo gadi ki chabi band karte hue kehta he.
Sakshi: Chal... Chal... Ja ab, me to bass tujhe Best Of Luck kehne ayi thi....
Wo Aksh ke samne se hatkar, ghar ke andar jate hue kehti he, lekin tabhi Aksh use rok leta he.
Aksh: oye.... Ye kesa rukha sukha Best Of Luck tha?
Uski awaz sunkar Sakshi ruk jati he or piche mudkar Aksh ke paas wapis ajati he.
Sakshi: to or kesa tarika hota he?
Wo apne dono haath kamar par rakhte hue puchti he.
Aksh: me batata hu kese hota he..
Or ye kehkar wo bike se utar kar Sakshi ka haath pakad leta he, or use kass kar hug kar leta he. Sakshi to madhoshi me aakhe band kiye, is pal ko jee rahi thi.

Aksh Sakshi se alag ho jata he, Sakshi ke chehre par to jitni muskurahat thi, uski wajah koi zindagi me nahi samajh pata.
Aksh: chal ab me nikalta hu, Raat ko aunga.... Or ha... Surprise ke liye tayar rehna...
Wo bike par beth te hue kehta he. Sakshi bass muskurate hue apna sar haa me hila deti he.










Place: CBI Headquarter, Gandhinagar, Gujrat📍

Anant ne Abhinav ko Aksh ke saath meeting ki baat bata di thi. Jise Abhinav ne pass kar diya. Anant ne Aksh or uske pariwar ki sari details Abhinav ko pehle hi de di thi, taki wo ye insure kar sake, ke kahi Aksh ka unke saath partnership karna dushman ki sazijh to nahi.

Abhinav: hmm... Ladka to puri tarah se clear he... koi aisa connection bhi nahi he uska kisi ke saath ke hum uspar shak kar sake...
Anant: ji sir.... Or uski behen ka bhi to Surat me admission hua he, to ho sakta he ke ye dono wahi par rahe....
Abhinav: ha ho sakta he.... Lekin mujhe ek baat nahi samjhi...
Anant: konsi baat sir?
Abhinav: Aksh ne Drugs ka sample kis liye manga?
Anant: mene pucha tha, to usne kaha ke us system ko configure karne ke liye Drugs ka thoda sa hi sample lagega...
Abhinav: accha? Dekhte he kesa system banaya he ladke ne.... Me ek important kaam se ja raha hu, mere ane takk Aksh ko jane matt dena, or mujhe batana ke uska System kaam karta he ya nahi...
Anant: Okay sir....



Kareeb 11 baje Aksh Gandhinagar pahoch chuka tha, usne apne saath wo system bhi laya tha, Aksh jaldi se CBI Headquarters pahoch gaya, jaha par use acche se check kiya gaya, ek peon use le kar meeting room me ajata he. Aksh waha beth kar Anant ka intezar karta he, tabhi waha Anant ajata he, use dekh kar Aksh apni jagah se khada ho jata he.

Anant: Good Morning Mr. Aksh....
Wo andar akar Aksh se haath milate hue kehta he.
Aksh: Good Morning Sir.....
Wo chair se uthkar kehta he.
Anant: please Have a seat....
Wo Aksh ko bethne ka ishara karte hue kehta he.
Anant: koi takleef to nahi hui yaha ane me?
Aksh: no sir.....
Fir wo dono kuch yaha waha ki baate karte he.
Anant: so let's come to the point..... Jesa aapne kaha ke aap apne system ke zariye Drugs Smuggling ko rokna chahte he... But Why?
Aksh: Sir is Drugs ki wajah se na jane kitno ki zindagiya barbad ho rahi he.... Most of them are Young Teenager.... Mera vision yahi he ke unko is galat addiction ka shikar hone se bajau....
Anant: So bus yahi Aapka irada he? I mean ke aap Profit ke liye ye kaam nahi karna chahte?
Aksh: aisi baat nahi he sir.... Me logo ko is galat addiction me jane se to bachana hi chahta hu, lekin me iske chakkar me khud bhi to loss nahi kar sakta na...
Usne saaf saaf apni baat samne rakhi, jis se Anant ko Aksh ka ravayya bahot pasand aya.
Anant: Good.... So aapne Mujhse kuch Drugs ke sample lane ke liye kaha tha, kyu?
Aksh: me aapko apne system ka demo dikhana chahta hu, isliye...
Anant: okay....
Fir Anant peon ko call kar ke ek chota sa packet manga leta he. Jo ki Anant ke cabin me tha. Aksh apne saath ek bag laya tha, jisme ye system tha. Aksh use nikal kar table par rakh deta he. Waise to wo ek choti si machine hi thi. Anant ko kuch samajh nahi araha tha.
Aksh: this is my System.... or ye Master AI (Artificial Intelligence) he....
Anant: so how it works?
Aksh: let me show you sir....
Fir Aksh Drugs ka bahot hi chota sa hissa us machine me daal deta he, kuch seconds me hi Aksh ka kaam ho gaya tha. Darasal ye machine Drugs ki pH level ko identify karne ka kaam karti thi.
Aksh: Sir ye Master AI ab Configure ho chuka he, ye Master AI humesha aapke paas hoga, or baki machine hum Gujrat ki sari Transport Vehicles me fit kar denge... Or sir ye machine Drugs ki pH Level ko identify karti he, jab bhi kisi Transport Vehicles me Drugs load kiya jayega tabb ye machine uski pH level ko identify karegi, or aapko us Vehicle ki sari jankari aapke Master AI dwara is computer me dikh jayegi...
Anant Aksh ki is machine ko dekh kar hakka bakka reh gaya tha.
Anant: to kya jitne bhi machine he, unme pehle ye Drugs ka sample dalna hoga?
Aksh: no sir.... Yahi to AI ki khasiyat he... Drugs kafi strong hote he, Machine me laga Filter hawa me fele Drugs ke smell ko catch karega, or AI us pH ko Master AI me configure kiye Drugs ke pH se match karega, agar wo match hota he to uski sari jankari aapko yaha par mil jayegi...
Aksh ka idea Anant ko waqayi me behadd shandar laga tha.
Anant: or iski accuracy kitni hogi?
Aksh: sir 100%.....
Anant: really Good invention.... Mujhe waqayi aapka idea pasand aya.... Great....
Aksh: Thanks Sir....
Anant: okay me bass DGP sir ko yaha bula leta hu....
Fir Anant Abhinav ko call kar ke bata deta he ke Aksh ka system lajawab he. Abhinav 1 ghante baad waha agaya tha, jabtak Aksh or Anant is bare me kuch discussion kar rahe the. Abhinav kamre me agaya tha, jise dekh kar Aksh or Anant apni chair se khade ho gaye.

Abhinav: Please Have A Seat....
Wo samne ki chair par beth te hue dono ko bethne ke liye kehta he. Fir Aksh Abhinav ko bhi sab kuch samjha deta he, Abhinav to shock me tha ke jis tarah Aksh ne Technology ko istimal kar ke wo kar dikhaya jo shayad kabhi mumkin nahi tha.
Abhinav: So Aksh.... Aapko ye Idea kese mila?
Aksh: bass sir agar Observation acchi ho to sabkuch possible he....
Abhinav: Right.... To ab mujhe lagta he Deal honi hi chahiye..... What you say Anant?
Anant: yes sir.... Mujhe bhi ye technology kafi umda lagg rahi he...
Dono ki baat sunkar Aksh bahot khush ho gaya tha.
Abhinav: lekin Aksh aapko publicly is AI ko showcase nahi karna.... Aapki company sirf ek AI based company he, aise hi show hogi... Kyu ke is kaam ko secretly karna hoga...
Aksh: yes sir... Darasal mera bhi yahi maan na tha, ye system Secret taur par hi kaam karna chahiye...
Abhinav: waise aap apni behen ke saath Surat me hi rahoge?
Aksh to Abhinav ki baat sunkar dangg reh gaya tha.
Aksh: sir... Apko....
Abhinav: Don't Forget aap CBI ke saath partnership kar rahe ho, aapki sari details hume pata he... Aapki behen ne Surat ke college me admission liya he na? To kya aap bhi wahi rehne wale ho?
Aksh: yes sir.... me uske saath hi rehne wala hu, darasal meri success ke piche sabse bada haath Sakshi ka hi he... Or wo meri strength he, uske bagair me shayad hi kuch kar pau...
Abhinav: ye to kafi acchi baat he.... bahot pyaar karte ho shayad apni behen se....
Aksh: sabse zyada sir....
Abhinav: good.... so can you tell me in which area will you stay?
Fir Aksh Karim ki behen ke ghar ka Address bata deta he.
Abhinav: See Aksh.... Aap waha nahi reh sakte...
Aksh: kyu sir?
Abhinav: Aksh ye Drug Smuggling koi chote log nahi karte.... Or aapke is system ki khabar kabhi bhi kahi bhi leak ho sakti he, even is project ke bare me sirf hum tino hi jante he... Agar ye information kisi bhi tarah leak hoti he to it will be dangerous for you as well as For CBI so... Aapki safety ka dhyan rakhte hue aapko kisi Safe jagah stay karna padega....
Aksh: okay sir.... I'll do....
Fir unme budget ko le kar bate hoti he, ab AI kafi mehengi technology hoti he or Gujrat ke sari Transport Vehicles me ise lagane me kharcha ana tha wo tha 110 crores.
Abhinav: okay... aapki Technology par mujhe pura bharosa he... Normally aise deals me Payment half half se hi milta he lekin, Kyu ke ye aapki Shuruwat he, or aapka vision bhi accha he to mai 2 din me aapko pura payment CM sahab se karwa dunga...
Uski baat sunkar Aksh ki khushi ka koi thikana nahi raha. Aaj Aksh ko Aman ki deal ko mana karne ka decision bilkul sahi lagg raha tha, tabb usne lalach nahi dikhaya, or uska fal aaj Aksh ko us deal se dugna mil raha tha.
Aksh: Thanks.... Thanks sir.....
Wo Abhinav se haath milate hue kehta he. Lekin Aksh ke haath bahot kaanp rahe the.
Abhinav: Are You Okay?
Aksh: yes sir... I'm... I'm.. fine... Wo to bass kabhi socha nahi tha ke....
Abhinav: ohh... Koi baat nahi, jinka irada nek hota he, unke saath bhi sabkuch accha hota he...
Abhinav: Btw ab aapko to is machines ko manufacture karne ke liye facility start karni hogi, kya aapne in sabki tayari ki he?
Aksh: yes sir... Mene sab soch rakha tha, mene socha tha ke agar ye deal hoti he or waha se mujhe jitna bhi payment pehle milega us se me Surat me hi ek Facility start karunga...
Abhinav: or use kitna waqt lagega?
Aksh: sir ise kam se kam ek month lagg jayega....
Abhinav: ek month..... Anant kya kehte ho?
Anant: sir ye bilkul sahi hoga, kyu ke agar humne is doran koi action liya to in Smugglers ko shak ho sakta he...
Abhinav: thik kaha tumne... Okay then, 2 din me aapko apna paisa mil jayega, or aap apne kaam par lagg jana...
Aksh: okay sir.... Btw sir meri aap dono se ek request he...
Abhinav: request...
Aksh: yes sir..
Abhinav: or wo kya he?
Aksh: sir aap mujhse kafi bade he.... Or mujhe kafi ajib sa lagta he jab aap dono mujhe Aap Aap kehkar baat karte ho.... To please mujhe Normally hi baat kijiye...
Uski baat sunkar Anant or Abhinav hass padte he.
Abhinav: thik he jesi aapki.... I mean Tumhari marzi...
Fir wo log kuch der aage ki baate karte he, kareeb 3 baje Aksh Airport chala jata he or apne ghar ane ke liye nikal jata he. Aksh ko aaj ka din aisa lagg raha tha jese wo koi sapna hi dekh raha ho, uske chehre par jitni khushi thi utni pehle kabhi nahi dikhayi di.

Sham ko Aksh ghar par ajata he, is waqt Santosh, Radha or Sakshi hall me TV dekhte hue chay pi rahe the. Doorbell bajte hi Sakshi samajh gayi ke Aksh hi bahar hoga, wo uthkar darwaza kholti he. Aksh bina der kiye wahi par Sakshi ko kas kar gale lagaye uchalne lagta he.

Sakshi: Aksh... Are.... Rukja... Aksh... Kay kartos.... Bavlat... Sod mala.... (Kya kar raha he pagal, chhod mujhe)
Dono ko dekh kar Radha or Santosh bhi waha ajate he.
Radha: Aksh.... Kya baat he?
Uski awaz sunkar kar Aksh Sakshi ko azad kar ke Radha or Santosh ke per chu leta he.
Santosh: beta bata to kya hua?
Aksh: Aai.... Baba.... Me... Me...
Wo khushi ke mare kuch bol nahi pa raha tha, or uski aakho se asu ane lage.
Radha: Aksh... Tu ro kyu raha he beta? Ha? Bolna...
Wo Aksh ka chehra apne haatho me thamkar puchti he.
Aksh: Aai.... Meri Deal ho chuki he... Or ab meri ek or company shuru hogi....
Uski baat sunkar tino kafi khush ho jate he.
Santosh: wahh.... Shabbash... Waise kitne lakh ki hui ye deal?
Wo Aksh ko Shabbashi dete hue puchta he.
Aksh: Baba... Deal pure.... Pure 110 crores ki hui he....

Aksh ki baat kisi ko hazam nahi ho tahi thi, waha khade tino ke muh khule ke khule reh gaye the.
Radha: mera beta.... Humesha ise daant te ayi hu, tane marte ayi hu, lekin aaj... Aaj isne wo sab kar dikhaya jo padhe likhe log bhi nahi kar pate...
Wo num aakho se Aksh ko apne sine se lagate hue kehti he.
Santosh: sahi kaha.... Aksh beta... Mujhe maaf kar dena, mene kabhi tere is soch ko badhava nahi diya, ulta humesha tujhe sunate aya hu, ho sake to maaf kar dena mujhe beta......
Wo Aksh ke samne apne haath jodkar kehta he. Lekin Aksh turant uske haath niche kar ke Santosh ko gale laga leta he.
Aksh: Baba aap mujhe Sharminda matt kijiye.... sach kahu to me bhi tabb sahi raste par nahi chal raha tha, lekin aaj me jo kuch bhi hu, uski asli hakdar Sakshi he....
Wo Sakshi ki taraf dekh kar Muskurate hue kehta he. Sabki nazar Sakshi par tikk jati he.
Sakshi: me... Mene... Mene kya kiya... wo to....
Wo is se aage kuch kehti ke Aksh use hug kar leta he, Sakshi to jabb bhi Aksh ki baho me jati, wo bass usi jagah ko apni duniya maan leti. Sakshi bhi use kas kar pakad leti he.
Aksh: Thank You Sakshi..... Thank You So Much....
Sakshi: chup reh.... Ye kya thank you ki ratt lagayi he tune, Bavlat kahi ka....
Wo Aksh se alag hokar uske sar pe chapet marte hue kehti he.
Aksh: accha ek kaam kar, apne kamre me ja tu....
Sakshi: kyu?
Aksh: bhul gayi, subah kaha tha na mene ke tere liye ek surprise he...
Sakshi: yaar Aksh...
Aksh: tu ja rahi he ya nahi?
Sakshi: thik he....
Or fir Sakshi apne kamre me chali jati he.
Radha: kya surprise laya he Sakshi ke liye tu?
Aksh: kuch laya nahi hu....
Santosh: to fir?
Or Aksh dono ko sari sacchayi bata deta he ke wo kya business kar raha he, kis ke saath milkar kar raha he etc. Ye sab sunkar Radha or Santosh ko Aksh par bahot garv mehsus ho raha tha.
Santosh: bahot badhiya beta.... Mujhe tujhpe garv he...
Wo Apna sina chhoda karte hue kehta he.
Radha: sahi kaha, or ab to hume Sakshi ki koi fikar bhi nahi hogi.... Dono wahi par rahenge to...
Aksh: waise Baba, agar aapko thik lage to hum sab Surat me hi shift ho jate he....
Santosh: bilkul bhi nahi.... Me marte dum tak yahi rehna chahta hu, ye ghar sirf ghar nahi he.... Yaha meri bhavnaye judi hui he... Me chahkar bhi is ghar ko chhod kar kahi or nahi reh sakta...

Radha: thik kaha apne... Mujhme me bhi itni himmat nahi he ke is ghar ko chhod kar kahi or reh lu....
Aksh: thik he Aai Baba.... Jesa aap kahe....
Radha: chal ab ja Sakshi ko bhi bata de, wo bhi khush ho jayegi.....
Aksh: thik he...
Fir Aksh Sakshi ke kamre me chala jata he, jaha Sakshi Aksh ke surprise ke bare me hi sochte hue yaha se waha chakkar laga rahi thi. Aksh ko dekh kar wo jaldi se uske paas ajati he.
Sakshi: ab bata.... Kya surprise he? Subah se mera dimag kaam nahi kar raha... Tere Surprise matlab jhatke hi deta he tu...
Aksh: batau?
Sakshi: ha bata na....
Wo utsukta se Aksh ki bahe pakad kar kehti he.
Aksh: to sunn.... Ab tu akeli Surat me nahi rahegi...
Sakshi: kya matlab?
Wo nasamjhi ki halat me Aksh se puchti he.
Aksh: Matlab ye ke ab me bhi tere saath Surat me rahunga....
Uski baat sunkar Sakshi ke chehre ka rang hi udd jata he.
Sakshi: tu mazak kar raha he na?
Aksh: are yaar... Me mazak kyu karunga.... Darasal baat ye he ki......
Fir Aksh use sari baat bata deta he, Sakshi ko iski ummid bilkul nahi thi, jaha Aksh soch raha tha ke Sakshi khushi se jhum uthegi, lekin waha Sakshi ke to 12 baje hue the.
Aksh: kya hua Sakshi? Tu mere waha rehne se khush nahi he kya?
Sakshi: are.... Ye... Ye kesi baat kar raha he tu? Me to bass soch rahi thi ke... Ke tu ab kitne bade bade kaam karne laga he na....
Wo baat ko thoda alag track par le jate hue kehti he.
Aksh: ab sochna chhod, hum 4 din baad hi Surat jane wale he... Kal tujhe me shopping le jaunga... Okay?
Sakshi: okay...
Wo jhuti hasi apne chehre par late hue kehti he. Aksh thaka hara aya tha, to wo apne kamre me chala gaya, Sakshi uske jane ke baad turant kamre ka darwaza band kar ke wahi beth jati he.

Sakshi(mann me): Ahhhhh..... Ye kya ho raha he mere saath? Deva aise kyu kar raha he tu? Kyu meri itni mushkil pariksha le rahe ho? Yaha me Aksh ki adat se dur jana chahti hu, or..... Ahhh... Mujhe kuch samajh nahi raha me kya karu?

Sakshi kafi frustration me bethi thi, kuch der apne dil or dimag se jhunj ne ke baad Sakshi ke mann me kuch baate ajati he.

Sakshi(mann me): ek minute.... me ab jesa meri zindagi me ho raha he, usi hisab se chalungi.... Ab bass ho gaya, aise bhi to me Aksh se apne dil ki baat kehna hi wali thi na? Or waha hum dono akele honge to mujhe Aksh ke or zyada nazdeek jane ka moka milega... Me Aksh ko kisi bhi tarah apne pyaar ka ehsas karwa dungi... fir to.... Fir to wo maan hi jayega.... Ha.... Or shayad bhagwaan khud chahte he ke ye sab ho.... Thik he.... Ab me Aksh ko kisi bhi kimat par hasil kar ke rahungi.....

Or ye sab sochte hue Sakshi ka chehra kisi gulab ki tarah khil uth ta he. Ab Sakshi ke andar ek positiveness achuki thi, wo jaldi se Aksh ke kamre me chali jati he, Aksh bass nahane ke liye washroom me gaya hi tha.
Sakshi: Aksh..... Aksh.... are bahar ana jaldi....
Sakshi washroom ka darwaza pit te hue use bahar ane ko keh rahi thi.
Aksh: kya ho gaya? Rukja naha kar ata hu....
Sakshi: nahi... Tu abhi bahar aja....
Wo unchi awaz me kehti he, Aksh bhi kuch na samajhte hue bahar ajata he, wo abhi bass Shorts par tha, usne t-shirt bhi nahi pehni thi, jo dekh kar Sakshi ka chehra sharm se laal ho jata he.
Sakshi: besharam..... Ja pehle Shirt pehen le, Bavlat kahi ka.....
Wo Aksh ko washroom ke andar dhakka dete hue kehti he, or bahar se darwaza laga leti he. Aksh soch me khada tha ke ye kya kar rahi he.
Aksh: Sakshi tu pagal ho gayi he kya?
Sakshi: tu jaldi se naha kar aja... Mujhe kuch baat karni he tujhse....
Or wo kamre se bahar bhaag jati he.
Aksh: yaar ye ladki sachme pagal ho gayi he...
Fir Aksh naha kar bahar ajata he, or fir Sakshi ke kamre me chala jata he.

Aksh: ab bol.... Kya kehna tha tujhe?
Wo bed par Sakshi ke bagal me bath te hue kehta he.
Sakshi: Aksh mujhe abhi shopping karni he...
Aksh: kya? Are kal jayenge na....
Sakshi: nahi mujhe abhi jana he, isi waqt jana he....
Wo zidd karte hue Aksh se kehti he.
Aksh: thik he thik he.... jate he....
Wo Sakshi ko shant karate hue kehta he, Sakshi kati khush ho gayi thi.
Sakshi: okay.... 5 minute rukja mujhe tayar hone de...
Aksh: thik he... Jaldi ajana..
Fir Aksh bahar hall me akar Radha or Santosh ko bata deta he ke wo Sakshi ke saath bahar ja raha he.



Kuch der baad dono Sakshi ke liye kharidari karne nikal chuke the, Sakshi aaj itne dino baad khul kar hass rahi thi, jo ke Aksh ne mirror me dekh liya tha.

Aksh: waise ek baat to bata Sakshi....
Sakshi: kya?
Wo apni chin Aksh ke piche bethe bethe hi uske kandhe par rakhte hue puchti he.
Aksh: aaj tu kuch zyada hi khush lagg rahi he.... Raaz kya he iska?
Sakshi: raaz kya hoga? Me to tere liye hi khush hu, itna accha kaam karne ja raha he tu.... To me khush na hu?
Aksh: accha? Waise hume parso firse Gujrat jana hoga....
Sakshi: parso? Wo kis liye?
Aksh: are parso mujhe apna payment collect karna he, or mene 3-4 ghar dekhe the, unme se tu khud pasand kar lena kaha rehna he....
Sakshi: kya kaha? Ghar?
Aksh: ha, darasal DGP sir ne mujhe kaha tha ke hum jaha pehle rehne wale the wo jagah thik nahi hogi, to unhone mujhe kuch jagah batayi thi, unme se tu khud ek select kar lena....
Sakshi: Bavlat.... Iske liye to waha naya ghar le lega? Rent par nahi le sakta tha?
Aksh: are future me kya pata hum sab wahi par shift ho jaye, to fir ghar le kar rakhne me kya burayi he?
Sakshi: tu pagal ho gaya he.... Me nahi jaungi apni Mumbai chhod kar kahi bhi....
Aksh: accha ji? Itna pyaar he Mumbai sheher se?
Sakshi: ha to? Mumbai meri dhadkano me basti he, or meri last wish bhi yahi hogi ke me apni akhri saas bhi Mumbai me hi lu.....
Wo apni bahe felate hue kehti he, or apne dil me Mumbai se pyaar ko jatati he.
Aksh: are me sachme thodi na waha basne ki baat kar raha hu, me to mazak kar raha tha, Aai Baba bhi Mumbai se jane ke liye nahi maan ne wale... lekin fir bhi waha ek ghar to le hi sakte he na? As a Investment....
Sakshi: fir thik he....
Or aise hu bate karte hue wo dono Sakshi ke liye dher sari Shopping karne lagte he, aaj pehli baar Sakshi khud Aksh se alag alag chize lene ki zidd kar rahi thi, jis se Aksh ko bhi accha lagg raha tha. Warna humesha se Sakshi apna mann maar ke chize nahi leti thi.

Raat ke kareeb 9 baj chuke the, Sakshi or Aksh bahar hi Dinner kar lete he, or 10:30 ke kareeb dono ghar agaye the.

Sakshi apne sone ki tayari kar chuki thi, lekin use nind nahi arahi thi, usne ab apne mann me thaan liya tha ke wo Aksh ko hasil kar ke hi rahegi, is doran Sakshi ke chehre ke expression badalte ja rahe the, kabhi uske chehre par duniya bhar ki Khushi ajati, to kabhi wo pyari si sharm.


To aaj ke Update me bass itna hi, ab in dono ku zindagi ka ek or safar shuru hone ja raha tha, lekin is safar me angrezi wala Suffer bhi shamil tha, bass ab dekhna he Aksh ka society ke liye ek accha kadam aage badhana sahi tha? Wahi dusri taraf Sakshi apne mann me na jane kya kya sapne saja rahi he, Kya Sakshi ke sapne pure honge? Or jab Aman ko ye pata chalega ke Aksh uske hi sheher me akar business karne laga he to wo aage kya kadam uthayega? Jaan ne ke liye bane rahe.

Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling 😊 😊
 
315
400
63


Chapter 2 - The Journey

Update 16

Mega Update


Word Count: 2725
Estimated Reading Time: 00:15:00




Subah 8 baje Aksh or Sakshi ki Airport pahochana tha, kareeb 7 bajne aye the, Aksh tayar ho kar hall me khade Sakshi ka intezar kar raha tha. Jab Sakshi bahar nahi ati to Aksh uske kamre me chala jata he.

Aksh: yaar Sakshi chalna jaldi.... Kitni der lagayegi or?
Wo ayne ke samne khadi Sakshi ke piche khada ho kar kehta he.
Sakshi: ha ho gaya.... Bass baal to bandh lene de...
Wo apne baalo ko samet kar bandh te hue kehti he.
Aksh: yaar rehne de.... Aise khule baalo me acchi lagti he tu....
Wo muskurate hue mirror me dekh kar Sakshi se kehta he, Sakshi bhi Aksh ki baat mante hue apne baal khule hi rehne deti he. Kuch der me dono Gujrat jane ke liye nikal jate he, or kareeb 11 baje wo dono CBI Headquarter pahoch gaye the, Sakshi pehli baar aisi jagah par ayi thi, uske chehre par darr saaf saaf nazar araha tha, Aksh uska haath pakad kar use akho me hi na darne ka ishara karta he. Dono andar agaye the, tabhi Aksh ko samne se Anant ata dikhayi diya.

Anant: Good Morning Mr. Aksh....
Wo Aksh ke nazdeek akar us se haath milate hue kehta he.
Aksh: Good Morning sir....
Anant: DGP sahab tumhara hi intezar kar rahe he....
Or fir wo Abhinav ke cabin ki taraf chal padte he.
Anant: ye sir ka cabin he... Tum jao andar, me ek zaruri kaam se ja raha hu....
Aksh: okay...
Fir Aksh or Sakshi Abhinav ke Cabin me ajate he, jaha Abhinav isi project par kaam kar raha tha. Aksh ko waha dekh kar Abhinav apna kaam rok kar khada ho jata he.
Abhinav: Good Morning Aksh.... Ajao....
Aksh/Sakshi: Good morning...
Fir wo dono samne Sofe par beth jate he, Abhinav bhi un dono ke saath beth gaya.
Abhinav: to ye tumhari behen he?
Wo Sakshi ko dekhte hue kehta he.
Aksh: yes sir...
Abhinav: to kya is project ke bare me.....
Aksh: yes sir.... Sakshi ko sab kuch pata he, lekin aap chinta matt kijiye.... Ye baat kabhi bahar nahi jayegi...
Abhinav: okay Great.... So ye lo tumhara 110 crores ka Cheque....
Wo Aksh ke haath me cheque dete hue kehta he.
Aksh: thanks sir....
Abhinav: it's Okay Aksh.... Waise mene ek Builder ko select kiya he, jo tumhari facility build karega.... Darasal ye kaam secretly hona he, to isme har ek insan ki involvement mujhe pehle insure karni hogi, tum us Builder se baat kar lena....
Aksh: Okay sir me kar lunga....
Fir Aksh or Abhinav ke bich kayi bate hone lagti he, Sakshi Abhinav se thoda darr rahi thi, isliye wo chup chap bass unki baate sunn rahi thi.
Abhinav: btw Sakshi, tum thik to ho na?
Wo Sakshi ko uncomfortable dekh kar puch leta he.
Sakshi: ha.... Ha... Me... Me thik hu....
Fir Abhinav kuch der takk Sakshi se uski padhai ko le kar bate karne lagta he.
Abhinav: okay then.... Aksh, ab aap apne kaam par lagg jana, or koi bhi baat ho to mujhe call kar dena...
Aksh: okay sir... Ab hum chalte he...
Dono apni jagah se khade ho kar kehte he.
Abhinav: ek minute ruko.....
Or ye kehkar wo drawer ki taraf ja kar usme se ek car ki chabi or ek Gun nikal leta he, or use Aksh ke haath me de deta he.
Abhinav: here.... Ye Gun or car ki keys he, abse tum usi car me kahi aya jaya karoge....
Aksh: sir, ye kis liye?
Abhinav: See Aksh, me mahol gambhir nahi karna chahta, lekin ye sab tumhari safety ko dhyan me rakhte hue de raha hu, hope tum meri baat samajh rahe ho?
Abhinav Sakshi ke samne khul kar baat nahi karna chahta tha, kyu ke Sakshi ki body language se Abhinav samajh chuka tha ke Sakshi in sab se ghabra jayegi.
Aksh: yes sir... Me samajh gaya, thanks.....
Wo chabi ko Abhinav se lete hue kehta he. Fir Abhinav khud Aksh or Sakshi ko parking me us gadi ke paas le jata he. Darasal wo ek black color ki fully armed BMW thi, jisme bullet proof Glasses lage hue the. Or Ye sab Aksh ki safety ke liye tha. Sakshi ko itni security or sab dekh kar Ghabrahat hone lagi thi, wo Aksh ko ek takk dekhe ja rahi thi, or uska chehra dekh Aksh samajh gaya ke Sakshi uske liye chintit he.
Abhinav: waise tum abhi Surat ja rahe ho?
Aksh: ji sir.... Aaj ghar final karna he, 2 din baad rehne ajaunga....
Abhinav: to ek kaam karo, car se Surat jane me to kafi waqt lagg jayega, tum flight se hi chale jao. Or jo ghar tum final kar rahe ho, mujhe uski details bhej dena, me ye car waha pahocha dunga....
Aksh ko bhi Abhinav ki baat sahi lagti he. Fir Abhinav driver ko bula kar Aksh or Sakshi ko Airport ravana kar deta he, pure raste Sakshi pareshan si lagg rahi thi, Aksh uski wajah janta tha, Airport par pahoch ne ke baad Aksh Sakshi se baat karne lagta he.
Aksh: Sakshi..... yaar Chinta matt kar....
Wo Sakshi ke kandhe par haath rakhte hue kehta he.
Sakshi: Aksh lekin ye sab.....
Aksh: yaar tu darr kyu rahi he?
Sakshi: Aksh ye sab dekh kar koi bhi darr jayega....
Aksh: tu na bewajah pareshan ho rahi he Sakshi.... Ab chal chup chap....
Wo Sakshi ki bahe pakad kar kehta he. Sakshi bhi fir chup ho jati he, flight ko abhi kuch time tha, to Aksh Sakshi ko le kar Restaurant me chala jata he, dono khana kha hi rahe the ke tabhi Sakshi ko kisi ka call ajata he, usne dekha ke call karne wali Mansi he. Sakshi turant uska call pick kar leti he.

Sakshi: Hello....
Mansi: Hi Sakshi..... kesi ho tum?
Sakshi: me bilkul thik hu, tum batao?
Mansi: Gujarati always Maja Ma....
Sakshi: hahaha... To kese call kiya tumne?
Mansi: kafi dino se baate hi nahi hui humari... to mene socha call kar ke puch lu, collage start hone wale he, kab aaogi tum?
Sakshi: are me to abhi Gujarat me hi hu....
Mansi: kya sachme?
Sakshi: ha, me abhi Gandhinagar me hu, thodi der baad Surat ane wali hu ghar dekhne ke liye...
Mansi: ohh... That's Good, then mujhe inform karna Surat me akar.... Me tumhe mera Khubsurat sheher ghumane le jaungi.....
Sakshi: okay Done.... Me waha akar tumhe call karungi....
Mansi: okay....
Fir Sakshi call kaat deti he.
Aksh: kon tha Sakshi?
Sakshi: are us din hum college me gaye the na admission karane, tabb meri ek ladki se dosti ho gayi, Mansi.... usi ka call tha....
Aksh: accha.....
Sakshi: Aksh... Hume Mumbai jane me koi jaldi to nahi he na?
Aksh: Matlab?
Sakshi: darasal Mansi ne kaha ke Surat akar us se mile....
Aksh: okay, tu kahe to yahi reh lenge.....
Wo Sakshi ko aakh marte hue kehta he. Sakshi teda meda muh bana kar use chidati he.

Kareeb 2 ghante baad Aksh or Sakshi Surat pahoch chuke the, Aksh Sakshi ko 3 jagah le jata he, jo Aksh ne ghar choose kiye the, tino ghar hi behadd lajawab the, Sakshi ko dusra wala ghar kafi pasand aya tha, to Aksh use final kar leta he.

Sakshi ko wo ghar behadd pasand aya tha, uske chehre par khushi dekh kar Aksh ko kafi sukoon mil raha tha. Aksh sari formalities puri kar leta he, or usne ye ghat Sakshi ke naam par kar diya tha.



Aksh ne Abhinav ko apne ghar ka Address de diya tha, Abhinav turant kisi ko Gadi le kar waha bhej deta he. Sakshi or Aksh is waqt ek Cafe me bethe hue the. Sakshi ne Mansi ko call kar ke yaha par bula liya tha.

Aksh: Sakshi, tu apni dost se mil lena.... Me thodi der me tum logo ko join kar lunga....
Sakshi: yaar ye kya baat hui? Tu Bhi saath hi rahega mere....
Aksh: samajhne ki koshish kar Sakshi... Mujhe bass us Builder se milna he, or use kaam shuru karne ke liye kehna he, me bass ek ghante me ajaunga....
Wo Sakshi ke haath thamkar kehta he. Ab Sakshi bhi use apne kaam se rok nahi sakti thi.
Sakshi: thik he.... Lekin jaldi ana....
Aksh: me bass kuch der me ajaunga.... Teri dost ane de, fir me nikal jaunga....
Sakshi: oye... Me koi bacchi hu, jo tu mujhe akela nahi chhod raha he....
Aksh: aisa nahi he lekin....
Sakshi: Aksh chinta matt kar, Mansi arahi he na, tu chala ja.... Or jaldi ana...
Aksh: ab tu keh rahi he to.... Thik he... Me bass kuch der me ajaunga....
Wo Sakshi ke gaal khinch te hue kehta he, Or waha se chala jata he.

Uske jane ke kuch der baad hi waha par Mansi agayi thi.

Mansi: Hey Sakshi.....
Or wo akar Sakshi ko Hug kar leti he.
Sakshi: Hi.... Kesi ho tum?
Mansi: me to bilkul thik hu....
Fir wo dono beth jati he.
Mansi: waise Tum akeli ayi ho?
Sakshi: nahi nahi... Me to Aksh ke saath ayi hu...
Mansi: Aksh.... Boyfriend?
Uski baat sunkar Sakshi sharm ke mare laal ho gayi thi.
Sakshi: n.... Nahi.... A.... Aksh... Mera Bhai....
Mansi: ohh... I'm Sorry.... Waise kaha he wo?
Sakshi: darasal wo kuch kaam se gaya he, thodi de baad ayega....
Mansi: okay... Or batao, ghar dekh liya?
Sakshi: ha wo to ho gaya Final.... Bass 2 din baad hi hum yaha ajayenge....
Mansi: Hum.... Matlab?
Sakshi: actually Aksh or me yahi rehne wale he...
Mansi: ohh... To kya tumhara bhai bhi yahi padhai karne wala he?
Sakshi: nahi nahi.... Wo to apne business ke silsile me yaha rehne wala he...
Mansi: what..... Tumhara Bhai business karta he?
Wo Business ka naam sunkar khush hote hue kehti he.
Sakshi: ha... Usne Mumbai me bhi ek business shuru kiya tha, ab Gujarat me bhi shuru kiya he...
Mansi: wow.... That's Good.... Fir to please mujhe apne bhai se zarur milana... Jab do business karne wale apas me milenge to baate bhi us hi level ki hogi na...
Sakshi: ye bhi Kehne ki baat he, wo bass apna kaam pura kar ke hume join karega...
Mansi: then chalo me tumhe apna sheher ghumati hu...
Sakshi: okay....
Fir wo dono Mansi ki car me Sheher ghumne lagti he, Mansi ek khule mijaz ki ladki thi, jo bhi us se milta uske saath Mansi ki bahot hi acchi jamti thi. Wahi Sakshi ka bhi mijaz jesa tha, us se Mansi bhi impress ho gayi thi. Dono me kafi sari bate ho rahi thi.

Aise hi kuch der takk Mansi Sakshi ko jagah jagah par ghumane lagti he. Thodi der baad Sakshi ko Aksh ka call agaya tha, Sakshi ne Mansi ko Aksh jaha ruka he waha ka pata bata diya, wo jagah bass 15 minutes ki duri par thi.

Aksh waha khada tha, jese hi ek car me se Sakshi utri to Aksh ki nazre uspar chali gayi, lekin jese hi us car me se Mansi utri, to Aksh ki nazre Mansi par tikk si gayi thi, or use turant yaad agaya ke jabb Aksh Karim ke saath Gujarat aya tha, to unhone Mansi ki help ki thi. Aksh bass Mansi ko dekhe ja raha tha. Mansi ki nazre abtak Aksh ko nahi dekh payi thi, jab Sakshi or wo Aksh ke nazdeek ati he to Mansi ko bhi Aksh ka chehra jana pehchana sa lagg raha tha.

Sakshi: Mansi.... Ye Aksh he....
Mansi: wait.... Mene tumhe pehle bhi kahi dekha he...
Wo apne dimag par zor dalte hue kehti he. Lekin Aksh ke muh se to koi shabd nahi araha tha, wo bass Mansi ko dekhne me mashruf tha.
Sakshi: Aksh.... Tu Mansi se pehle mila he?
Aksh: ahh... Ha.... Ha... Wo me ek baar Karim chacha ke saath aya tha tabb Raat ke waqt hum mile the... Inki car ka tyre kharab hua tha tabb...
Wo hosh me akar apne aap ko sambhalte hue kehta he. Uski baat sunkar Mansi ko bhi wo pal yaad ajata he.
Mansi: ohh yeah.... Ab yaad aya.... Wow... What a Coincidence... Again thanks for that Help...
Wo apna haath Aksh ke haath se milane ke liye, aage badhate hue kehti he. Aksh bhi apne kanpte haath aage badha kar Mansi se mila leta he.
Aksh: it's... It's... Okay...
Mansi: to mujhe Sakshi ne bataya tum Business karte ho....
Aksh: ha... Sahi kaha...
Mansi: wow.... Fir to hum dono ki acchi banegi, kyu ke me bhi aage ja kar business hi karne wali hu....
Aksh: that's.... That's Good...
Fir wo tino pura Surat sheher ghumne lagte he, Aksh Mansi se baat karte waqt baar baar haqla raha tha.

Sham dhal chuki thi, or inka Surat ghumna bhi ho chuka tha.

Sakshi: Okay Mansi, aaj tumhari wajah se hume bahot maza aya, or ha... Surat waqayi me Khubsurat sheher he...
Mansi: ohh it's okay Sakshi, ab tum yahi rehne wali ho, i promise, me tumhe pura Gujarat ghumaungi.....
Sakshi: that will be fun.... Lekin a hume chalna chahiye, kafi waqt ho chuka he....
Mansi: what..... Are abtak to me tumhe apne ghar bhi nahi le gayi, or aise kese jaogi tum?
Sakshi: are ab me kuch dino me yaha ane wali hu na, tabb ghar aungi.... Lekin ab please hume jane do, ghar pe Aai Baba intezar kar rahe honge....
Mansi: yaar ye kya baat hui? Aksh tum to kuch kaho....
Wo Aksh ki bahe pakad kar uski Aakho me dekhte hue kehti he. Uske is andaz se Aksh Mansi me kho sa jata he.
Aksh: ha... Ha... Nahi... Wo... Kafi late ho gaya... He... Abhi hume jana chahiye....
Mansi: okay.... Tum kehte ho to.... Sach baat kahu.... Me na kayi sare dosto ke saath rehti hu, unme se Zyadatar business man family se hi belong karte he, lekin unme, or tum dono me zameen asman ka farak he...You Guys are very very humble.....
Aksh: nahi... Aisi koi baat nahi he, agar to log sabko apno ke nazarye se dekhe to ye 'unme or hum me" wali line hi mit jaye.......
Wo Mansi ki aakho me jhak kar, muskurate hue kehta he.
Mansi: hmm.... Bate to bahot acchi karte ho....
Mansi: you know what Sakshi, Tumhara na naseeb hi kharab he....
Sakshi: aisa kyu keh raho ho?
Mansi: kyu ke Aksh tumhe bhai ke roop me jo mila...
Wo Sakshi ko aakh marte hue shararati lehze me kehti he, uski baat dono samajh gaye the, lekin Sakshi ye sunkar puri tarah se sharma gayi thi.
Fir Mansi dono ko Airport par chhod deti he, jab Mansi jate waqt Sakshi or Aksh ko hug karti he to Aksh ki dhadkane hi tez chalne lagti he. Ab Aksh ko kya ho raha tha, ye to bhagwaan jane...

Khair, dono apni flight le lete he, or rawana ho jate he Mumbai ke liye. Aksh jabse Mansi se mila tha, uske dil me Mansi ke liye soft corner paida ho gaya tha, wo is waqt Plane ki window se bahar jhak kar kuch soche ja raha tha, Sakshi ne Aksh ko itni gehri soch me dekh liya tha.
Sakshi: kya ho gaya Aksh? Kya soch raha he?
Aksh: ha.... Nahi... Kuch nahi.... Wo to bass.. bass.. thodi thakan si lagg rahi thi...
Wo apne aap ko sambhalte hue kehta he. Sakshi Aksh ka haath apne haath me kas leti he, or uska sar apne kandhe par rakh deti he, jis se Aksh ke dimag me se Mansi, apna Business, ye duniya... In sabke khayal turant gum ho jate he, or wo bass Sukoon se apni aakhe band kar leta he.

To dosto ye tha aaj ka Update, pata he ke baki Updates se chota he, lekin aage ke scene ko acche se chalane he na, to..... Ab dekhte he Surat me dono kya ek dusre ke nazdeek ate he ya nahi. Aksh to shayad Mansi par fida hone laga tha, lekin bechari Sakshi in sabse be khabar Aksh ko hasil karne ke suhane sapne saja rahi thi. Ab inka ye safar kesa hoga? Dekhte he aage.


Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling 😊 😊
 
315
400
63
Chapter 2 - The Journey

Update 17

Mega Update


Word Count: 6655
Estimated Reading Time: 00:35:00



Aksh, Sakshi...... Akhir kya chupa hua he in dono ki kismat me? Akhir Niyati ka khel dono ko kis taraf le ja raha tha? Kya Aksh or Sakshi ki kismat me ek dusre ka saath nahi he? In sawalo se to dono hi anjan apne apne kamre me the, lekin nind is waqt dono ko nahi thi, dono hi apne dil me kayi sari bate le kar bethe the.

Sakshi(mann me): me jab bhi Aksh or mere Future ke bare me sochti hu to mujhe itna ajib sa kyu lagne lagta he? Badi hi mili juli feelings ane lagti he.... Huhhh... Lekin me kese Aksh ko apne pyaar ka ehsas karau? Ab to kal se hum dono Surat chale jayenge, bass mujhe kisi bhi tarah jitna ho sake Aksh ke close jana hoga, abhi to hum dono ke bich bhai behen wali diwar bani he, jise me kabhi laangh nahi pati... Lekin ab waqt agaya he, is se pehle ke koi or ladki Aksh ke Dil me apna ghar basa le, mujhe ye bhai behen wali diwar ko todna hi padega.... Me janti hu ke ye sab galat he, lekin ab Aksh ke bina jina mere liye namumkin he, me nahi reh pati Aksh ke bina....


Aksh(mann me): yaar kya ho gaya he mujhe? Jabse me Mansi se mila hu, uska chehra meri akho ke samne se jaa hi nahi raha.... Aksh beta, kahi pyaar vyaar me to nahi pad gaye? Nahi nahi.... Aisa nahi he.... Agar aisa nahi he to kyu har pal Mansi mujhe dikhayi deti he? Ahhh.... Mujhe in sab me nahi padna, bass apna business, or pariwar sambhalna he...... Chhodo yaar... Kal Surat jana he, so jate he chup chap....

Sakshi ke dil me Aksh ko hasil karne ki chahat, or Aksh ke dil me kisi insan ke liye ubhri nayi bhavnaye, ab kiska dil sahi he, ye to koi nahi bata sakta.

Berehaal, subah subah Joshi house me sab jaldi jaldi me the, kyu ke aaj Aksh or Sakshi Surat jane wale the, wahi par Neha, Soham or Karim bhi mojud the, Sakshi apni bag le kar hall me sabke saath bate kar rahi thi, Aksh apne kamre me phone par laga hua tha, jabse Aksh ki facility ke nirman ka kaam shuru hua tha, tabse hi Aksh kafi busy tha. Radha ke awaz dene par Aksh bhi apna bag lekar bahar ajata he.

Radha: Aksh, Sakshi lo... Safar ki Shuruwat aachi ho isliye Dahi Shakkar khao....
Wo dono ko Dahi khilate hue kehti he.
Sakshi apne Maa Baap se dur hone wali thi, jis se uske chehre par udasi chayi hui thi.
Radha: Sakshi... Tujhe kya hua? Muh kyu utra hua he tera?
Wo Sakshi ke sar par se haath ferte hue puchti he. Sakshi bina Radha ki aakho me dekhe bass apni gardan Naa me hila deti he.
Radha: hmm.. samajh gayi, Aai Baba se dur ja rahi he to isliye udas he na?
Uski baat par Sakshi kas kar Radha ko apne gale se laga leti he, or uski aakhe bhi num thi. Radha uska sar sehlate hue Sakshi ko normal karti he. Fir Sakshi, Aksh, Santosh or Radha Karim ke saath gadi me beth jate he, Soham or Neha Soham ki gadi par the. Kuch der baad sab Airport pahoch chuke the.


Is waqt Santosh or Radha dono hi num si aakhe liye khade the, kyu ke shayad pehli baar Sakshi or Aksh ko wo log akele chhod rahe the. Wahi Aksh or Sakshi ko bhi bachpan se hi Santosh or Radha se alag rehne ki adat nahi thi. Aksh or Sakshi pehle Santosh ko gale se laga lete he.
Santosh: thik se rehna waha.... Koi pareshani ho to call karna, apni padhai apna business acche se sambhalna....
Aksh/Sakshi: ho Baba....
Fir wo dono Radha se bhi akhri baar gale laga lete he.
Radha: khana sahi waqt par khana, padhai or kaam ke bich Khana bhulna matt.... Or ek baat yaad rakhna, tum dono ka phone kabhi bhi band nahi rehna chahiye.... Jabhi bhi call karungi to phone uthana, samjhe?
Wo dono ko warn karte hue kehti he. Dono apni gardan ha me hila dete he. Fir Aksh Soham se gale milta he uske baad Sakshi, lekin jab Aksh Neha se gale laga, tabb Neha use kafi kas kar apne gale se laga leti, or us se alag ho kar Aksh ke haath apne haatho me thamkar us se baat karne lagti he, Neha ki is harkat se Sakshi ke chehre par jalan ke bhav saaf saaf nazar arahe the. Wo aage badh kar zabardasti Neha ke haath Aksh se chudda kar use gale milti he. Dono karim se bhi mil lete he, ab yaha ka sara kam Karim sambhalne wala tha, Aksh har mahine Sakshi ko le kar Mumbai ane wala tha.

Jese jese Sakshi or Aksh aage badh rahe the, waise hi Radha or Santosh ke asu chalakne lagte he. Gate ke paas ja kar Aksh or Sakshi akhri baar sabko dekh kar andar chale jate he. Sakshi ab bhi kuch udas si lagg rahi thi, jo Aksh ne dekh liya. Aksh kas kar Sakshi ka haath tham kar, muskurate hue Sakshi ko dekhta he, Ab Aksh ki muskurahat to Sakshi ke liye duniya jitne jesi kimti thi, Aksh ka hasta chehra dekh Sakshi kabhi chehra khil uth ta he, or wo bhi muskurate hue apne palke jhuka kar Aksh ka haath kas kar aage badhne lagti he.

Kuch der baad plane udan bhar leta he, Sakshi window me se jee bhar kar apne Sheher ko ki khubsurti dekh rahi thi, dhire dhire Mumbai puche choot rahi thi, or kuch ghanto baad wo log pahoch gaye the Surat. Sakshi or Aksh ghar akar apna apna saman kamre me rakh dete he, lekin tabhi Sakshi dupatta apni kamar par bandh kar ghar ka kaam karne me lagg jati he.

Aksh: oye.... Kya? Aram kar le thoda....
Sakshi: are baba Aram karne nahi ayi hu me yaha, or ghar humesha thik hona chahiye...
Wo aage akar Aksh ke sar pe marte hue kehti he.
Aksh: accha? To thik he.... Me bhi haath bata deta hu tera kaam me...
Fir wo dono pure ghar ko sahi karne me lagg gaye, kareeb 2 baj chuke the, dono ke pet me ab chuhe uchal kud karne lage the. Ghar ka sara kaam bhi ho chuka tha.

Aksh: yaar Sakshi.... tune to jaan hi nikal di meri....
Wo rahat bhari saas le kar sofe pe beth te hue kehta he.
Sakshi: accha? Mere saath kaam karte hue thak gaya tu, agar biwi ke kaam me haath bata raha hota to itna nahi thaka hota tu.....
Wo Aksh ke bagal me bethkar uske khande par apni kohni rakhte hue kehti he.
Aksh: ye bhi koi baat he? Are biwi ke saath chedd khani karte hue ehsas hi nahi hoga ke kitna kaam kiya he.... To fir thakan kese ayegi?
Wo apna chehra Sakshi ke chehre ke nazdeek le jakar shararati lehze me kehta he. Uski baat par Sakshi Aksh ki kamar me ek ghusa mar deti he.
Sakshi: Bavlat.... Kuch bhi bolta rehta he....
Aksh: ahhh... Ab tune sawal kiya to uska jawab dena hi padega na....
Sakshi: accha? To fir ek or sawal ka jawab de...
Aksh: puch....
Sakshi: agar hum dono bhai behen na hokar sirf ek dost hote to?
Aksh: t.... To.... To kya.... Umm.... Bass.... Dost hote...
Sakshi ke achanak puche gaye sawal par Aksh kuch samajh nahi paya or uske paas is sawal ka koi jawab bhi nahi tha, to wo hadbadate hue Sakshi ki baat taal deta he. Sakshi ko bhi ehsas hua ke usne galat waqt par galat sawal kar liya.
Aksh: wo sab chhod.... Bhuk bhi lagg rahi he ya nahi?
Sakshi: ha..... Ha...
Aksh: to chal ab bahar hi jakar khana kha lete he, or tujhe ghar ke liye jo saman lena he wo bhi market se lete ayenge....
Sakshi: thik he.... Me ati hu kapde change kar ke.....
Fir Sakshi akar apne kamre me darwaza band kare wahi khadi ho jati he.
Sakshi(mann me): Sakshi ki bacchi..... Bavlat, na waqt na moka, kuch bhi puch leti he.... Konsi jaldi he tujhe? Aksh kaha bhaga ja raha he? Koi baat nahi, dhire dhire sab thik ho jayega.....


Aksh or Sakshi apni car me nikal chuke the, sabse pehle dono ja kar ek restaurant me khana kha lete he, or uske baad Sakshi ko ghar ke liye kafi sara saman bhi lena tha, to wo dono paas hi ke local market me chale jate he. Aise hi tehelte hue Sakshi ghar ke liye kuch sabziya bhi le rahi thi, lekin Aksh ne paya ke Sakshi to 5-5 rupay ke liye bargain kar rahi he, jis se wo thoda heran sa reh gaya tha. Sakshi jab apni deal me jeet gayi to usne sabziya le kar piche Aksh ki taraf mudi to paya ke Aksh uspar hass raha tha.
Sakshi: kya ho gaya tujhe? Hass kyu raha he?
Aksh: yaar tum ladies bhi kamal ho.... Jeb me lakho pade honge, fir bhi 5 rupay ke liye bargain karti rehti ho....
Sakshi: beta tum mardo se laakh guna zyada accha money Management hota he hum ladies ka.... Tum paisa kama sakte ho, lekin use sahi dhang se kharch sirf Ladies hi kar sakti he... Khair.... Tu kya samjhega, Bavlat jo tehra..... Huhhhh....
Ye kehkar wo aage badhne lagti he.
Aksh: argument karne me tum Ladies se kabhi koi jeeta he jo aaj me jeet lunga?
Sakshi: argument nahi.... Sacchayi he ye... Or sacchayi kadwi hoti he...
Aksh: thik he meri Maa.... Chal ab chup chaap...
Wo apne dono haath Sakshi ke samne jodte hue kehta he. Aise hi dono hasi mazak karte hue market se bahar ja rahe the, Aksh ke haath me kafi sara saman tha, or Sakshi ne sabziya pakdi hui thi, sabziya kuch zyada thi, jis se use chalne me thodi takleef ho rahi thi, tabb Aksh us se wo sari sabziya bhi le leta he, Sakshi dusre saman apne paas le rahi thi, lekin Aksh use nahi deta.


Ghar akar Sakshi or Aksh fresh hokar backyard me bethe hue baate kar rahe the.


Sakshi: waise ek baat bolu Aksh..... Tu na shadi ke baad joru ka gulam banega.....
Aksh: accha? Or aisa kyu?
Sakshi: kyu ke tu na bahot sidha he.... Or tu apni biwi ki choti choti chizo me bhi help karega.... Or log aise logo ko joru ka gulam kehte he....
Aksh: thik he na fir.... Or apni biwi ki help kar ke koi mujhe aisa bolega to mujhe joru ka gulam bann ne me koi harj nahi he....

Jaha Aksh befikar baate kar raha tha, wahi Sakshi apne aap ko us jagah imagine karne me lagi thi, waha Aksh bak bak kare ja raha tha, or Sakshi use niharne me lagi thi, tabhi Sakshi ka phone bajne lagta he, lekin Sakshi is se bekhabar Aksh ko niharne me magn thi.

Aksh: oye.... Dhyan kaha he tera? Phone baj raha he...
Wo Sakshi ki aakhe ke samne haath lehrate hue kehta he. Jis se Sakshi apni imagination se bahar ajati he.
Sakshi: ha.... Ha.... Me...
Wo hadbadahat me phone dekhti he to wo call Mansi ka tha.

Sakshi: Hello.... Ha Mansi kaho....
Mansi: tum agayi ya nahi Surat?
Sakshi: wo to hum din me hi agaye the, lekin yaha akar ghar ke kaam me itna busy ho gayi ke tumhe call karna bhul gayi.... so sorry...
Mansi: ohh... Koi baat nahi, to chalo kahi ghumte he...
Sakshi: ahh... Aaj to nahi Mansi.... Kyu ke din bhar kaam kar ke thak chuki hu, kal jayenge.....
Mansi: okay.... Ye thik rahega... To tum Dinner ke liye mere ghar to ajao....
Sakshi: Mansi please sorry lekin fir kabhi zarur aungi, lekin ab ghar se bahar jane ka bilkul mann nahi kar raha he.... Ek kaam karo na, tum hi ajao yaha.... Saath milkar Dinner karte he...
Mansi: Sounds Good.... Thik he me ajati hu....
Sakshi: okay... Me wait kar rahi hu....

Fir wo dono call kaat deti he.

Sakshi: Aksh.... Me khane ki tayari karti hu, Mansi bhi arahi he yaha....
Aksh: kya? Wo arahi he..... Th..... Thik he....
Mansi ka naam sunte hi Aksh ke tevar badal jate he. Sakshi uthkar Kitchen me chali gayi. Aksh bhi andar akar Sakshi ke kaam me haath batane lagta he.

Kuch der baad Mansi tayar ho kar apne kamre se niche Living Room me agayi thi, jaha Aman or Kiran bethe hue the.

Mansi: Mom Dad me thodi der baad ghar ajaungi.... Bye....
Wo dono ko piche se hug karte hue kehti or darwaze ki taraf daud padti he.
Kiran: Mansi.... Come back.... Kaha ja rahi ho?
Wo Mansi ko rokte hue puchti he. Mani bhi piche mudkar Kiran ki taraf badh jati he.
Mansi: hmm... Actually me Date par ja rahi hu, koi problem?
Aman: Arere... Kon he wo badkismat?
Wo Mansi ka mazak udate hue kehta he.
Mansi: haaa..... what you mean by Badkismat?
Wo aakhe badi karte hue Aman se puchti he.
Kiran: are tum mujhe batao kiske saath ja rahi ho?
Mansi: me? Me ja rahi hu insaan ke saath....
Kiran: Mansi..... Mazak band kardo tumhara....
Wo Mansi ka kaan pakadte hue kehti he.
Mansi: ahhhh..... kya Mom aap bhi? Janwar ke saath thodi na kahi jaungi me.....
Kiran: to sidha sidha batati kyu nahi....
Mansi: actually me apni friend ke ghar ja rahi hu, wo aaj se Surat me rehne ayi he.... To socha milkar ajau...
Kiran: accha? Abhi to keh rahi thi Date par ja rahi ho...
Mansi: me to mazak kar rahi thi, aap janti ho na mujhe is pyaar vyaar ke chakkar me bilkul nahi padna....
Aman: beta tumhari problem kya he is pyaar se?
Mansi: are Dad.... Dekhiye na aaj kal ke ye Couple.... Mujhe to unpar bahot taras ata he.... Kya pata mera bhi haal kal ko waisa hi ho jaye, fir Virani Industries ko kon sambhalega? Isliye me to in sab se dur hi rehna chahti hu....
Aman: accha? Fir tumhari Maa se pyaar kar ke bhi to mene itna bada business khada kar diya, wo kese?
Mansi: Dad.... Aapke waqt ki baat alag he, or waise bhi aap samajhdar the na....
Aman: ye bhi thik kaha tumne....
Kiran: ek minute..... Samjhdar the? To me kya bewakuf thi?
Wo Aman ke samne gusse me kamar par haath rakh kar puchti he.
Aman: wo..... M.... Mera Matlab waisa nahi tha...
Kiran: to kya matlab tha?
Aman: yaar meri baat to suno....
Wo khade ho kar Kiran ka gussa shant karate hue kehta he. Lekin mahol ab shant nahi hone wala tha, Kiran Aman par gussa karne lagi thi, Mansi to aag laga kar or ye halat dekh jaldi se bhaag jati he.

Waha Aksh or Sakshi ne milkar sabkuch ready kar liya tha, Sakshi table par khana laga rahi thi or tabhi ghar ki doorbell bajti he. Aksh khud darwaza open karne ke liye chala jata he. Jese hi usne darwaza khola to Samne Mansi ka hasta hua chehra uski nazro ke samne agaya, jise dekh kar Aksh ki dhadkane badh gayi thi, or wo ek takk Mansi ko dekhe ja raha tha.

Mansi: Hi Aksh......
Aksh: H..... Hi....
Wo apne hosh sambhalte hue kehta he.
Mansi: to kya me andar asakti hu?
Aksh: ha.... Ha.... Aao....
Wo darwaze se hatkar Mansi ko andar ane ke liye jagah dete hue kehta he. Mansi andar akar Sakshi se bhi mil leti he. Kuch der takk tino milkar baate karne lagte he, or badme khana kha kar backyard me beth jate he.

Mansi: by the way ghar bahot hi shandar he....
Sakshi: thanks.....
Mansi: accha Aksh mujhe ek baat bataoge?
Aksh: ha kaho?
Mansi: mene tumhari car dekhi, or ye car fully Armed car he, jo ke Government officials, ya fir kisi aise insan ko di jati he jo Government ke liye bahot important hota he.... Kya tum Government Officials ke saath jude hue ho?
Uske sidhe sawal se Sakshi or Aksh heran se reh jate he. Aksh ke paas to is sawal ka koi jawab nahi tha.
Mansi: ohh... Don't worry me janti hu Kayi kaam secret taur par hote he, so don't be serious.....
Aksh: aisi baat nahi he.... Wo to bass AI based company he meri, jo Government Offices ke liye Software Development ka kaam karti he... So....
Mansi: ohh.... That's Good....
Sakshi: kya Mansi tum bhi..... Ye ladka kam tha jo ab tum bhi business business le kar beth gayi?
Mansi: ohh I'm sorry....
Wo apne kaan pakad kar kehti he. Uske baad kafi der takk Sakshi or Mansi baate kar rahi hoti he, Mansi ki hasi Mano Aksh ke kano me shehed si ghul rahi thi, Mansi ka wo har baat par khil khila kar hasna mano Aksh ki zindagi ka ek ehem hissa bante ja raha tha.

Thodi der baad Mansi apne ghar chali jati he, Aksh or Sakshi ghar pe Santosh or Radha se kafi der takk baate karte he, or ja kar apne apne kamre me so jate he. Lekin nind dono ki aakho se dur thi, Aksh baar baar karvate badal badal kar sone ki koshish kar raha tha ke tabhi Sakshi uske kamre me ajati he, jise dekh kar Aksh uthkar beth jata he.

Aksh: kya hua Sakshi? Tu soyi nahi abtak?
Sakshi: wo.... Darasal.... Baat.....
Aksh: kya hua? Saaf saaf bolna....
Wo uthkar Sakshi ke samne khade hote hue kehta he.
Sakshi: wo Aksh.... Mujhe apne kamre me sone se darr lagg raha he...
Aksh: kya? Darr lekin kyu?
Sakshi: ye kamra kitna bada he.... Humare ghar mera kamra itna bada thodi na he.... Or ab Mujhe yaha kafi darr lagg raha he....
Wo kisi chote bacche ki tarah bahot masumiyat se kehti he. Use dekh kar Aksh ko bahot hasi arahi thi, lekin wo janta tha ke agar wo galati se bhi hasa to uski khair nahi he. Isliye wo kisi tarah apni hasi daba leta he.
Aksh: yaar Sakshi tu bhi na..... Itni badi ho gayi he or akele sone me darr lagg raha he tujhe?
Sakshi: to kya hua badi ho gayi to? Ab darr lagta he to lagta he...
Aksh: thik he..... To ab tu kya chahti he?
Sakshi: me..... Me yahi so jau tere saath?
Aksh: ye koi puchne wali baat he.... So ja....
Fir Sakshi akar bed par let jati he, Aksh bhi uske bagal me apni aakhe band kiye leta hue tha. Sakshi ki nazar to Aksh par hi tiki hui thi, uska dil kar raha tha ke wo Aksh se lipat kar soye, lekin use Aisa karne me thodi jhijak ho rahi thi. Kayi baar Ha Na karne ke baad Sakshi ne faisla le hi liya, or apna sar Aksh ke sine par rakh diya, or apne haath Aksh ke aas paas dal kar apni aakhe band kar li. Aksh ki aakhe ab bhi band thi, lekin jese hi use apne sine par apni dhadkano se bhi zyada kimti insan ka ehsas hua to Aksh ke chehre par bhi ek muskurahat agayi, or wo apne dayne haath se Sakshi ki zulfe sehlane laga, jis wajah se Sakshi ki saase tez hone lagi. Lekin sacchayi ye thi ke use to puri zindagi kuch isi tarah se guzarni thi. Pata nahi kyu lekin Sakshi ki aakhe num ho gayi thi. Ab ye asu khushi ke the ya Aksh ko khone ke khayal ke the, ye to Sakshi khud jane.

Bairehaal..... Jo silsila Aksh ke saath hote araha tha, wo ab bhi jari tha, yani ke jab bhi wo Sakshi ke kareeb hota to use na hi is duniya ki fikar rehti, or na hi kisi dusre insaan ke khayal. Wo bass is pal ko jine lagta, kuch der baad hi dono ko sukoon bhari nind ajati he.










Subah Subah Shahid apni Bag me Drugs ki kuch pudiya bhar raha tha. Kareeb 50-60 choti choti pudiya Shahid ne apni bag me rakh li thi, or wo nikal gaya aaj College ke pehle din par. Shahid Second year me tha, Matlab kehne ko wo Senior tha or Senior ka college me pehle din hota he Juniors ki class lena.


Waha Sakshi subah subah tayar ho chuki thi, or Bhagwaan ki murti ke samne khade ho kar aaj ka din accha jaye, iske liye prarthana kar rahi thi. Aksh uske kamre me aya to wo Sakshi ko bass dekhta hi reh gaya. uska wo sadharan sa Salwar Kameez, khuli zulfe Or mathe par chota sa tika, uski khubsurti ko char chand laga raha tha.

Sakshi apni prarthana puri kar ke darwaze ki tarag mudti he to pati he Aksh waha pehle se hi khada he.

Aksh: kya bate hue bhagwaan se?
Wo andar akar Sakshi ke samne khada ho kar puchta he.
Sakshi: hmmm..... Wo humari secret bate he.... Tujhe us se kya Matlab?
Aksh: ohh.... To ab mujhse secret rakhne lagi tu?
Sakshi: tu na kabhi bahot pitega mujhse dekh lena.... Mazak kar rahi hu na?
Wo gusse me aage akar Aksh ki collar pakad kar kehti he.
Aksh: are yaar tu to maar pitai par agayi.... Me bhi mazak hi to kar raha hu....
Sakshi: jhuta..... Darr ke mare apna bayan badalne laga....
Wo Aksh ko dhakka dete hue kehti he.
Aksh: darr...... Or wo bhi tujhse? Hahaha....
Sakshi: ab hasna band kar..... Bandar kahi ka.....
Aksh: thik he..... Teri college jane ki tayari ho gayi?
Sakshi: ha, bass nikal hi rahi hu...
Aksh: chal me chhod deta hu tujhe...
Sakshi: tujhe koi kaam nahi he aaj?
Aksh: ha bass construction dekhne ja raha hu kesa chal raha he, tujhe college chhod kar chala jaunga...
Sakshi: okay....

Fir wo dono gadi me bethkar nikal jate he Sakshi ke college ki taraf. Kuch der baad Aksh Sakshi ke college ke samne car rok deta he.

Aksh: me lene ajaunga tujhe..... Chali matt jana akele....
Sakshi: Aksh tu apne kaam par dhyan de.... Me chali jaungi ghar....
Aksh: are me waha construction site par pura din kya karunga? Me to improvement dekhne ja raha hu, or bass thoda kaam he... College ki chutti hone takk me free bhi ho jaunga....
Sakshi: thik he Dada ajana.... Ab me chalti hu...
Fir Sakshi gadi se utar kar college ke andar chali jati he or Aksh apne kaam par.

Sakshi badi utsuk thi college ke pehle din par halaki wo bhi second year me thi, lekin is college me Sakshi ka pehla din tha. Sakshi andar achuki thi, tabhi ground me bike laga kar bethe Shahid ki nazar uspe padd jati he, or use turant Admission wala din yaad ajata he, jab Sakshi ki wajah se use Mansi ne thappad lagaya tha. Shahid ke saath 3 ladke or 2 ladkiya bhi thi, jo milkar kuch freshers ki ragging kar rahe the.

Shahid: ohhhh.... Priyanka.... Wo dekho, samne wo ladki arahi he na, uski bhi class lete he...
Wo apne saath khadi ladkiyo me se ek jiska naam Priyanka tha, us se kehta he.
Priyanka: oye.... Sanskaro ki murat..... Kaha ja rahi ho, apne Senior ko good morning bhi nahi kahogi.....
Uski baat sunkar dari sehmi Sakshi dhire dhire apne kadam unlogo ki taraf badha rahi thi. Jab Sakshi un sabke samne khadi hoti he to Shahid or uske dost Sakshi ko upar se niche takk gandi nighao se ghurne lagte he. Jis se Sakshi ko bahot bura lagg rah tha, wo apna dupatta thik karne lagti he. Shahid apni bike se uthkar Sakshi ke kareeb ane lagta he, jise dekh Sakshi ki dhadkane hi badhne lagti he.

Shahid: Priyanka.... Tumne galat kaha, Sanskaro ki murat nahi, ye to Khubsurti ki murat he....
Wo Sakshi ko niche se upar takk dekhte hue kehta he. Uske aisa dekhne se Sakshi ko ghin arahi thi. Tabhi Priyanka bhi Sakshi ke paas ajati he.
Priyanka: are wo to he... Naam kya he tumhara?
Sakshi: S...... Sakshi.....
Priyanka: konsi stream me ho?
Sakshi: Second.... Second Year Computer Science...
Shahid: Second Year? First Year me to kabhi dekh nahi tumhe?
Uski baat ka Sakshi koi jawab nahi deti.
Priyanka: are..... Senior kuch keh rahe he tumse, jawab nahi dene ata?
Sakshi: me.... Me Mumbai se hu, or... Or mene First Year wahi se kiya he.....
Priyanka: thik he.... Waise darr kyu rahi ho tum? Koi baat nahi, tumhari ragging nahi hogi... Lekin uske liye meri ek baat maan ni padegi....
Sakshi: kya?
Priyanka: Shahid Senior he tumhare, to Senior ko ek kiss kar ke khush kar do, fir tum yaha se ja sakti ho....
Uski baat sunkar Sakshi ka matha ghum jata he, or wo bina der kiye Priyanka ko zordar thappad laga deti he.
Sakshi: apni hadd paar matt karna..... Warna ye to sirf ek thappad tha, aage se kabhi mujhse battamizi karne ki koshish bhi ki na to..... Dekh lena....
Wo gusse me gurra kar Sabko ungli dikhate hue kehti he. Lekin tabhi Priyanka aage badh kar Sakshi ko marne arahi hoti he ke Sakshi ke piche kisi ko khada dekh kar sabki fatt ke haath me ajati he. Sakshi piche mudkar dekhti he to wo or koi nahi Mansi thi. Halake Mansi bhi First Year me hi thi, lekin use yaha lagbhag har koi jata tha, or kisi ki himmat nahi thi ke wo Mansi ke samne kuch bol de.

Mansi: kya hua? Ruk kyu gayi? Uthao Sakshi par haath.....
Wo aage akar Priyanka ke samne khadi hokar kehti he. Lekin Priyanka sehmi hui apni nazre nichi kar leti he. Tabb Mansi Shahid ke samne khadi ho jati he.
Mansi: kehte he kutte ki doom kabhi sidhi nahi hoti, lekin kutte ko maar maar kar uski doom sidhi ki ja sakti he, lekin tum konsi prajati ho kutto ki, jo apni doom apne hi pichwade me ghused raha he?
Uski baat par aas paas khade students ki hasi chhut jati he, lekin is baat se Shahid ki buri tarah se jalne lagti he.
Mansi: aakhe kya dikha raha he? Dafa ho ja warna ek or thappad mujhse padega tujhe....
Wo apne sunglasses hata kar gusse me Shahid se kehti he. Shahid firse apni bezzati karwake waha se chala jata he, or uske piche piche uske paltu bhi.
Mansi: dekha.... Aise nikalte he in logo ki akad.....
Sakshi: thanks Mansi....
Mansi: kya tum ate hi Thanks ki pipudi bajane lagi...... Chalo canteen me pehle, me apni friends se tumhe milwati hu....
Sakshi: okay.... Chalo...
Fir wo dono baate karte hue Canteen ki taraf chal padti he. Sabki nazar Sakshi or Mansi par tiki hui thi, kyu ke ek taraf Mansi thi jisne ek Short Dress pehni thi or usme wo kafi jach bhi rahi thi, wahi dusri taraf Sakshi is Salwar Kameez me bhi Keher dha rahi thi.
Mansi: waise ek baat puchu Sakshi?
Sakshi: ha pucho na...
Mansi: tum sirf Aise Salwar Suit type kapde hi pehenti ho?
Sakshi: ha waise ghar ke bahar jate waqt to yahi pehenti hu, ghar me halke fulke hi rehte he....
Mansi: no.... I mean Western Dress, Jeans Tops, ye sab nahi pehenti tum?
Sakshi: ohh.... Nahi.... Me nahi pehenti....
Mansi: kyu?
Sakshi: kyu Matlab?
Mansi: yaaf itna Qaatil Figure he tumhara, or un kapdo me to or bhi zyada Qaatil lagogi tum....
Wo aakh marte hue Sakshi se kehti he, jispar Sakshi ka chehra Sharm se laal ho jata he.
Sakshi: k..... Kya tum bhi Mansi.... Kuch bhi bolti ho...
Mansi: ab adat daal lo aisi baate sunn ne ki....
Wo Sakshi ki kamar pe chimti kaat te hue kehti he, aise hi hasi mazak karte hue dono canteen me pahoch gayi, jaha Diksha or Kavita bethi Mansi ka intezar kar rahi thi.

Mansi: Good Morning.....
Diksha/Kavita: Good Morning....
Mansi: Remember Her? Sakshi..... Us kutte Shahid ka ghinona Kand bataya tha.....
Diksha: Yeah..... Yaad he, How Are You Sakshi?
Wo Sakshi ko hug karte hue kehti he.
Sakshi: me bilkul thik hu....
Kavita: hi....
Wo jhuti smile dete hue Sakshi se haath milati he, Sakshi bhi use haath milakar Chair par beth jati he. Kuch der sab apas me baat kar rahe the. Pata nahi kyu lekin Sakshi ko Kavita ka Behavior bilkul accha nahi lagg raha tha.

Berehaal.... Kuch der baad sabki class ka waqt ho gaya tha, Diksha, Kavita or Mansi Sakshi ko bye kehkar nikal hi rahe the ke Mansi wapis akar aage jati hui Sakshi ko rok leti he.

Mansi: Sakshi... Wait....
Sakshi: kya hua?
Mansi: College ke baad sidha ghar matt chali jana, tumhare liye shopping karne jana he....
Sakshi: mere liye?
Mansi: ha, aaj me tumhare liye ekdum hot kapde kharidungi.....
Sakshi: Mansi me.....
Mansi: OMG mujhe kuch sunayi nahi de raha, bye me ja rahi hu or tum class ke baad mili nahi to me baat nahi karungi tumse....
Wo Sakshi ki baat bich me kaat kar waha se bhagte hue chilla kar kehti he.
Sakshi: Mansi.... Mansi.... Ruko to....
Wo Mansi ko rokne ki koshish karti he lekin Tabtak Mansi bhaag chuki thi.
Sakshi: ye sachme pagal ladki he.... Koi baat nahi, baadme baat karti hu....



Yaha college building ki chatt par Shahid Kavita ka intezar kar raha tha, tabhi Kavita waha ajati he.

Kavita: kya hua Shahid.... Tumne mujhe yaha kyu bulaya?
Shahid: tumhari dost Mansi humesha meri bezzati karti rehti he..... Aaj bhi usne sabke samne meri Gaand Maar li....
Wo gusse me aag babula hokar Kavita se kehta he.
Kavita: sabse pehli baat.... Wo Slut meri koi friend nahi he.... Ayenda use meri dost kehne ki galati matt karna...
Shahid: galati mene kar di he tumhe apni Girlfriend bana kar..... Bhenchod Mera crush pehle se Mansi he, lekin tumhari wajah se.....
Kavita: Shahid tumhe apni aag mitane se Matlab he..... To fir Mansi or mujhme kya farak he?
Shahid: accha? Tumne abtak pucha aaj kya hua?
Kavita: I'm sorry.... Please ab batao na...
Fir Shahid use subah wali baat bata deta he, jis se Kavita ko bahot gussa araha tha.
Kavita: is Mansi ko chhodungi nahi me.... Tum bass sahi moke ka intezar karo Shahid....
Shahid: wahi to kar raha hu itne waqt se....
Kavita: bass kuch waqt or, uske baad us Mansi ki puri Life barbad kar dungi....
Uske baad Kavita Shahid se thodi der takk baat karti he or jese hi wo firse apni class jane ke liye piche mudi to Shahid ne use pakad liya.

Kavita: kya hua?
Shahid: kuch der pehle hi kaha na tumne ki mujhe to sirf apni Garmi nikalni he, to fir chalo meri garmi kam kardo....
Wo Kavita ko apne se sata kar kehta he.
Kavita: accha? To kya khule me apni garmi kam karni he?
Shahid: tum chinta matt karo....
Fir Shahid apne dost ko call kar ke piche hostel room ka jugad kar leta he. Dono waha ja kar apni pyas mitane lagte he.





Suhana: I'm Sorry Sir..... Mene apni puri koshish kar li lekin Mumbai me hum fail ho gaye.....
Is waqt Suhana Aman ke cabin me apni mazre jhukaye khadi thi or Aman se mafi maang rahi thi.
Aman: isme tumhari galati nahi he, ladke ka naseeb accha he..... Lekin problem ab or badh gayi he....
Wo window me khada ho kar Suhana se kehta he.
Suhana: me kuch samjhi nahi.....
Aman: mujhe pata chala he ke Aksh ab Surat me aya he or yaha ek AI company start kar di he.....
Suhana: what.....
Aman: ha..... Wo ab mujhe compete karne ke liye Surat agaya he..... pehle to us Mantri ka galat kaam saath na chahte hue bhi dena pad raha he... or ab ye Aksh......
Aman ko jabse Aksh ki company ke bare me pata chala, tabse wo kafi Frustrate tha, wajah ye nahi thi ke kahi Aksh use hara na de, kyu ke kuch bhi ho Aman Gujrat ka sabse bada Business man he, use harana kafi mushkil he, Aman ko to kuch or hi chinta khaye ja rahi thi.
Suhana: sir if you don't mind kya puch sakti hu ke aap itne pareshan kyu he..... Kyu ke itne salo me hazaro Business Gujrat me shuru hue band hue, lekin aap kabhi itne pareshan nahi lage.... Or aaj.....
Aman: Suhana..... Kuch purane raaz he, jinse parda sirf or sirf Aksh utha sakta he..... Agar jo me soch raha hu waisa hua to kahi me.... kahi me Mansi ko humesha ke liye.....
Aman aage kuch bol hi nahi pata or uski aakho se asu behne lagte he, or to or Aman ki dhadkane tez hone lagi. Ye sab Dekh kar Suhana achambhit reh gayi thi, Aman ka Blood Pressure badhne laga tha, Suhana use chair par bitha kar pani de deti he.
Suhana: Sir me abhi Doctor ko bulati hu....
Aman: nahi.... Rehne do, Me thik hu....
Suhana: but sir....
Aman: Suhana......
Wo Suhana ki baat kaat kar use chup kara deta he.
Suhana: Sir me.....
Aman: me janta hu tum kya kehna chahti ho....
Wo Suhana ki baat bich me kaat te hue kehta he.
Aman: Suhana, itne salo se tum is company se judi ho, or tumhara judav sirf company takk nahi he, tum bhi mere pariwar ka hi hissa ho, or is business me mujhe sabse zyada bharosa sirf tum par he.... Or shayad ye Raaz tumhe bhi jaan na banta he....
Suhana Aman ki baat sunkar kafi tensed ho gayi thi, kyu ke aaj se pehle usme Aman ko itna pareshan nahi dekha tha.
Aman: Suhana.... Ye baat aaj se kareeb 40 saal pehle ki he, darasal..........

Waha aman Suhana ko sare raaz bata raha tha, jise sunkar Suhana ko yakeen nahi ho raha tha, uske haath pair kanp ne lage the.

Suhana: S..... Sir...... Ye...... Me..... K..... Kyu....

Suhana Aman ki baat sunkar itni darr gayi thi ke us se apni baat bhi puri nahi ho pa rahi thi.
Aman: Ha..... Mujhe bhi bass isi baat ka darr he kahi.....
Wo apni adhuri baat kar ke matha pakad kar wahi beth jata he. Kuch der takk us cabin me sirf sannata chaya raha.




Waha college ki chutti ho chuki thi, Sakshi Mansi ka intezar kar rahi thi ke tabhi samne se use Mansi ate hue dikhayi deti he.

Mansi: thank God tum gayi nahi, mujhe laga tum waise hi ghar chali jaogi....
Sakshi: kese ghar jati, Aksh lene ane wala he mujhe....
Mansi: bechara Aksh.... Yaar Sakshi jaldi se koi boyfriend dhund lo, or bechare Aksh ko is duty se free kar do....
Sakshi: Mansi tum na bahot zyada bolti ho, agar aisa he to tum kyu abtak Single ho?
Mansi: yaar mujhe mere Dad ka business sambhalna he, or agar me relationship me ajati hu to Business par dhyan kon dega?
Sakshi: Tumhara business or tum.... Pagal.....
Wo Mansi ke sar pe halke se marte hue kehti he.
Sakshi: waise Kavita or Diksha kaha he?
Mansi: Diksha to uski ek friend ke saath andar hi he, wo dono saath hi jate he na ghar.... or Kavita to pata nahi kuch urgent kaam he bolkar gayi to wapis ayi hi nahi...
Sakshi: okay.... Waise Mansi agar tumhe bura na lage to ek baat keh sakti hu?
Mansi: Sakshi tum bhi kya? Me kyu bura mannungi tumhari baat ka? Please be jhijak kaho...
Sakshi: dekho Mansi mujhe na Kavita kuch thik ladki nahi lagti, uska swabhav tumhare prati kuch alag sa lagg raha he.....
Mansi: Sakshi he tum kya keh rahi ho hum.......
Sakshi: me janti hu Mansi ke tum Kavita ko bahot pehle se janti ho, or me koi nahi hoti uske bare me aisi baat karne wali, lekin Mansi ek baat me tumhe bata du, tum bachpan se aise mahol me ho jaha zyada log tumhare aspas nahi he, or me ek moholle me pali badi hu, waha rehkar insan ki parakh karna bakhubi ata he mujhe.....
Uski baat to Mansi ko bhi sahi lagg rahi thi.
Sakshi: dekho Mansi me ye nahi keh rahi hu ke Kavita buri ladki he, lekin uska behavior tumhari taraf khuch fake sa dikhta he....
Mansi: ha Sakshi.... Ye baat to mene bhi kayi baar notice ki he, lekin me humesha is baat ko taal te ayi hu...
Sakshi: chalo ab chhodo us baat ko, me bass tumhe agha karna chahti hu.... me nahi chahti ke tum jesi ladki ke saath kuch galat ho...
Wo Mansi ke khando par haath rakhte hue kehti he.
Mansi: Thanks Sakshi..... Thanks....
Wo Sakshi ko tightly hug karte hue kehti he.
Sakshi: kya tum bhi ye thanks ki pipudi bajane lagi?
Wo Mansi ko subah ki baat yaad dilate hue kehti he. Tabhi gate ke bahar Aksh ajata he, wo Sakshi ko call kar deta he, Sakshi ne Aksh ko gate ke bahar khada dekh liya.

Sakshi: okay Mansi me chalti hu.... Aksh bhi agaya...
Mansi: oye... Ek minute.... Mene kaha na Shopping par jana he...
Sakshi: Mansi Try to understand, me waise kapde nahi pehenti....
Mansi: kyu? Parents ne mana ki he?
Sakshi: nahi....
Mansi: to Aksh ne? Wait abhi uski khabar leti hu....
Or ye kehkar wo gate ke bahar khade Aksh ke paas chal padti he.
Sakshi: Mansi..... Ruko.... Are ruko....
Wo bhi Mansi ke piche piche gate ke bahar ajati he.

Aksh ne jab dekha ke Mansi samne arahi he to uske saath firse wahi sab hone laga jo abtak hota arah tha. Wo bass Mansi me kho sa gaya, lekin waha Mansi ekdum gusse me akar Aksh ke samne khadi ho gayi.

Mansi: Aksh.... Tum na bahot galat kar rahe ho..... Ye bilkul bhi thik nahi he....
Aksh: k.... Kya..... Mene... Mene kya kiya?
Mansi: tum Sakshi ko short kapde pehen ne se kyu mana karte ho?
Aksh: kya? Lekin mene aisa kab kaha?
Wo bechara nasamjhi ki halat me Mansi se kehta he.
Sakshi: are Mansi.... Chup.... Kya kar rahi ho?
Mansi: ek minute Sakshi....
Mansi: to mujhe ek baat batao Aksh.... Kya tumhe Sakshi ke Western type kapde pehen ne se koi etraz he?
Wo apne dono haath kamar par rakhte hue Aksh se puchti he. Or uske piche khadi Sakshi ishare se Aksh Haa kehne ko bolti he, lekin Aksh ab Sakshi ko fasana chahta tha.
Aksh: mujhe etraz kyu hoga? Me to kitni baar keh chuka hu us se ke ye sab pehen ne me koi burayi nahi he, lekin wo hi nahi manti to me kya karu?
Wo Mansi ki aakho me aakhe dalkar kehta he, jise sunkar Sakshi ka muh khula ka khula reh gaya.
Mansi: ab bolo Sakshi, kya kehna he tumhara?
Sakshi: Bavlat..... Besharam.....
Wo bahot hi gusse me Aksh ko kha jane wali nazro se dekhte hue kehti he. Jispar Aksh ki hasi chutt jati he.
Mansi: kya? B..... Bavl.... Bavlat.... Ye kya hota he?
Sakshi: Bavlat yani ye.... Pagal....
Wo Aksh ki tarag ungli karte hue kehti he.
Mansi: bavlat wo nahi tum ho.... Ab chalo shopping ke liye jate he....
Sakshi: Mansi please.....
Mansi: Aksh please ise kuch kaho na.....
Wo Aksh ki bahe pakadte hue kehti he, lekin Aksh firse usme hi kho sa jata he.
Mansi: Aksh.... Kaha kho gaye? Bolo na ise kuch...
Aksh: ha..... S... Sakshi.... Maan jana... Kya ho jayega agara waise kapde pehen liye to?
Sakshi: Tu....
Aksh: yaar meri baat bhi nahi manegi ab tu?
Ab Sakshi dono taraf se ghir chuki thi, or ab use bahar ane ka koi tarika nahi dikh raha tha. Akhir kaar use dono ki zidd ke aage jhukna pada. Fir wo tino Aksh ki gadi me hi Sakshi ke liye kapde kharidne nikal jate he.


To Be Continued.......

To dosto ye tha aaj ka Update, i know bahot late ho gaya ye Update... Lekin kya karu, jabb mann hi udas tha to kya likh pata me? Lekin ab apna 100% de dunga Updates jaldi jaldi post karne ke liye. Stay Tuned And Keep Supporting ❤❤

Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling 😊 😊
 
315
400
63


Chapter 2 - The Journey

Update 18


Mega Update



Word Count: 3390
Estimated Reading Time: 00:18:00




Suhana: lekin sir aapko Aksh ke bare me kab pata chala?
Aman: darasal kuch dino pehle mujhe ye jaan ne mila ke ek nayi company ka construction ho raha he and all... Or jab mene inquiry ki to pata chala ye company Aksh ki he, or jab mene Aksh ke bare me pata lagana chaha or uske family ke bare me pata chala, tabb ye raaz mere samne aya....
Suhana: mujhe lagta he ke aapko Mansi ko out of country bhej dena chahiye.... Warna....
Aman: wo nahi manegi Suhana.... Mansi apna sheher chhod kar kahi nahi jayegi....
Suhana: lekin wo yaha rahi to fir Aksh se unki mulaqat hone ke pure chances he...
Aman: wahi darr mujhe khaye ja raha he.... Lekin mushkile yahi khatam nahi ho rahi.....
Suhana: me kuch samjhi nahi....
Aman: is raaz me sabse ehem kadi Aksh ki behen, Sakshi he..... Or mujhe pata laga he ke Aksh ki behen bhi usi college me padh rahi he jaha Mansi he....
Suhana: OMG.... Sir ye situation to batt se battar ho rahi he....
Aman: sahi kaha.... Mujhe ek hi darr khaye ja raha he ke is raaz ko samne lane me na jane kitni jane jayengi.....


Sakshi, Mansi or Aksh milkar Sakshi ke liye naye kapde kharidne ja rahe the, lekin Sakshi Aksh par bahot hi zyada gussa thi, kyu ke usne Aksh ko Mana karne ke liye kaha tha, lekin Aksh ne uski baat nahi mani. Isliye Sakshi Aksh ke baju me apna muh fulaye bethi hui thi, Aksh ko to Sakshi ka aisa haal dekh kar bahot maza araha tha. Or piche bethi Mansi ki bakbak chalu hi thi, lekin Aksh ko uski bakbak sunn ne me kafi accha lagg raha tha. Kareeb 20 minutes ke baad sab ek Mall pahoch gaye the, Sakshi fatak se utar kar Mansi ke saath aage badhne lagi, Aksh bhi aage akar Sakshi ka haath pakad leta he, jis se Sakshi ka sara gussa ek second me thanda ho gaya.

Mansi dono ko ek bahot hi shandar shop ki taraf le ja rahi thi, Sakshi to bahar se hi un kapdo ko dekh kar shock ho gayi thi.

Sakshi: Mansi..... Please meri baat suno, mujhe nahi accha lagta aise kapde pehen na....
Wo Mansi ka haath pakad kar roti shakal banate hue kehti he. Mansi bass ek dafa Aksh ki taraf dekhti he.
Aksh: Sakshi ab tu zyada kar rahi he..... yaar kya afat agayi isme?
Sakshi: Aksh tu to chup hi reh..... Mene is se pehle kabhi nahi pehne aise kapde to aaj kese.....
Mansi: okay.... Matt pehen na ye sare kapde.... Lekin me bhi iske aage kabhi tumse baat nahi karungi....
Wo apna daav fekte hue kehti he.
Sakshi: ye kya baat hui? Tum to sidha sidha blackmail karne lagi....
Mansi: waisa hi samjh lo..... Ab jaldi batao kya karna he tumhe? Mujhse Friendship khatam karni he ya aise kapde pehen na shuru karna he?
Ab Aksh or Mansi ke bich Sakshi lachar thi, Sakshi bina koi jawab diye Store ke andar jane lagti he. Uske maan jane se Mansi Aksh ko taali deti he, lekin Aksh Mansi ka haath anjane me pakad leta he. Mansi ispar zyada dhyan na dete hue Aksh ka haath thame Store ke andar chal padti he.

Khair.... Mansi ek ke baad ek kapdo ko reject kar rahi thi, use Sakshi ke liye best se best Dress chahiye tha. Akhir kaar Mansi ko ek dress pasand aahi jata he.

Mansi: yess..... Dekho ye kitna accha dress he...
Wo dress ko Sakshi ke samne dikhate hue kehti he, us dress ko dekh kar to Sakshi ki saase hi atak jati he.
Sakshi: Mansi please tum dusra koi choose kar lo, lekin ye nahi....
Mansi: kyu? Ye kyu nahi, kitni acchi lagg rahi he...
Sakshi: Mansi please try to understand..... Iska gala kitna open he....
Wo Mansi ke nazdeek ja kar kafi dhimi awaz me kehti he, kyu ke waha Aksh bhi khada tha.
Mansi: Aksh..... Tumhe kesi lagi ye dress?
Aksh: bahot acchi.....
Mansi: Sakshi par jachegi na ye.... Batao use....
Aksh: yaar uspar to koi bhi kapde jachte he....
Aaj Sakshi ko Aksh par "beinteha Gussa" araha tha, wo Aksh ko kha jane wali nazro se dekhne lagti he.
Aksh: h.... Hello... Ha....
Wo Sakshi ka gussa dekh kar apni jeb se phone nikal kar jhut mut baat karne lagta he or dusri taraf chala jata he.
Mansi: chalo jaldi se ise try karo.....
Sakshi: Mansi tum maan jao na.....
Mansi: Sakshi bass karo ab.... Aaj kal to ye fashion he... Or ab tumne zyada notanki kari to me chali jaungi or kabhi tumse baat nahi karungi....
Wo narazgi se Sakshi ko ungli dikhate hue kehti he. Ab Sakshi bhi kya karti, usne Mansi se wo dress le liya or Changing Room me chali gayi, wahi Mansi Aksh ke saath milkar Sakshi ke liye roz marra kaam aye, waise kapde dekhne lagti he. Sakshi ne dress pehen liya tha, jisme wo katayi keher dha rahi thi, Mansi ja kar changing room ke paas ati he or Sakshi ko bahar ane ko bolti he, lekin Sakshi ko kafi sharm arahi thi. Mansi ki zidd par wo bahar ajati he, use dekh kar Mansi or Aksh dono hi use takte reh gaye the, Sakshi uske hatho se apne aap ko chupane ki nakam koshish kar rahi thi, jese hi uski nazar Aksh par gayi to Aksh use aakh maar kar muskurata he, Sakshi turant us se nazre fer leti he.
Mansi: wow My Hottie..... You look so Hot....
Uski baat par Sakshi Mansi ko gusse se aakhe dikhane lagti he, or turant andar chali jati he.
Mansi: yaar Aksh.... Tumhari behen sachme bahot sharmati he...
Aksh: sahi kaha tumne....
Fir Mansi apne liye bhi kapde lene lagti he, is waqt Sakshi changing room me hi apne dusre kapde try kar rahi thi, or yaha Mansi apne liye jo dress pasand ata use apne badan se laga kar Aksh se puchti ke wo kesi lagg rahi he, tabb Aksh bass muskurate hue use ishare kare ja raha tha ke wo acchi lagg rahi he. Waise Mansi bhi Aksh se kafi khul kar pesh arahi thi, wajah thi dono ki soch.

Khair, sabki shopping ho gayi thi, wo log bahar ek acche se restaurant me lunch bhi kar lete he, is doran Sakshi ne ek baar bhi Aksh se nahi mazre milayi, na hi us se koi baat ki, Aksh samajh gaya tha ke Sakshi uspar gussa he. Tino Restaurant me lunch karne ke baad car me beth gaye the, Aksh Mansi ko firse College ke paas hi drop karta he, kyu ke Mansi ki car College me hi thi.

Mansi: okay Guys.... Me chalti hu, or ha aaj raat ko Dinner ke liye mere ghar ana he tum dono ko....
Sakshi: okay hum ajayenge....
Mansi: okay then, or ha.... Sakshi jo mene dress pasand kiya tha, wahi pehen na....
Sakshi: thik he...

Fir Mansi college ke andar chali jati he, or Aksh gadi apne ghar ke raste chalane lagta he, is bich Sakshi Aksh ko bahot gusse bhari nighao se dekhne lagti he.

Sakshi: Aksh gadi rok.....
Wo sapat lehze me Aksh se kehti he.
Aksh: kya hua?
Sakshi: mene kaha gadi rok....
Uski baat par Aksh gadi rok deta he, Sakshi apni seat belt hata kar sidha Aksh par tut padti he.
Sakshi: besharam..... Tujhe samajh nahi ata, mene kaha tha na mana karde, lekin tu to..... Bavlat.....
Wo gusse me Aksh ka gala dabate hue Kehti he. Aksh uske haath pakad kar apne se dur karne me laga tha.
Aksh: ahh...... Ya... Yaar.... Ye kya baat hui.... Ahh... Gala Chhod to sahi Sakshi..... Ahhh......
Fir Sakshi Aksh ko azad kar ke apna muh fulaye beth jati he.
Aksh: yaar... Yaar isme itna gussa hone wali konsi baat he?
Sakshi: mujhe nahi accha lagta waise kapde pehen ne.... Or upar se tu.... Meri baat ka saath dene ki bajaye tu Mansi ke saath hi mil gaya....
Wo roti hui shakal bana kar Aksh se kehti he, uspar Aksh Sakshi ka haath kas kar pakad leta he.
Aksh: ab mazak band..... Dekh Sakshi, agar tu ye sab kapde pehenti bhi he to koi problem nahi he.... Tu na bewajah pareshan ho rahi he... kya afat ajayegi is se?
Sakshi: lekin..... Mene pehle kabhi....
Aksh: to ab pehen na shuru kar de, ek hi to baat he na?
Wo Sakshi ki baat ko kaat te hue kehta he.
Aksh: ab zyada sochna chhod.....
Fir wo dono apne ghar nikal jate he.

Waha College hostel ki chatt par 5-6 ladke khade hue the, or un sabki umar 18-20 ke bich thi, tabhi waha Shahid apne chelo ke saath ajata he.

Shahid: or batao.... Kesa raha aaj ka din?
Wo un sab ladko ke samne khada ho kar puchta he. Sablog uski baat ka jawab dete he ke badhiya.
Shahid: koi pareshani ho to batao mujhe.... Apna bada bhai samajhna mujhe...
Ladka: bhai me garib ghar se aya hu yaha padhne, agar ho sake to mera kuch kharch nacha dijiye...
Shahid: hmm..... Chal ek kaam kar, Canteen me tere se koi bhi khane ka paisa nahi lega.... Jab bhi dil kare chale Jana me waha bata dunga ke tere se paise na le.... Tabb to kuch kharch bach jayega na?
Ladka: ha bhai bahot kharch bach jayega.... Thank You bhai thank you.....
Wo ladka khushi se apne haath jodkar kehta he.
Shahid: are ye thanks rehne de, mene kaha na apna bada bhai samajhna mujhe....
Fir baki ladke bhi apni apni pareshani bata dete he, jise Shahid asan kar deta he. Kuch der baad Shahid apne kaam par lagg jata he, matlab wo apni jeb se Drugs ka packet nikal leta he, jise wo sare ladke badi herani se dekh rahe the.
Shahid: are dekh kya rahe ho? Ajao ek ek shot laga lo....
Ladka: bhai kya ye drugs....
Shahid: ha bhai.... Ye drugs he.. chal aja, maza ayega....
Ladka: na.... Nahi bhai.... Me.....
Shahid: are darr matt.... Bahot maza ata he isme...
Ladka: nahi.... Bhai....
Shahid: yaar ye to galat he na? Mene tum sabke liye itna kuch kiya, or tum log meri baat nahi maan rahe? Bhai ki baat nahi manoge?
Wo sab ladko ko Emotionally blackmail kar raha tha, ab wo ladke apni pareshniya dur hone se khush the, or uski wajah Shahid tha, to wo log Shahid ki baat maan kar Drugs lene ke liye razi ho jate he. Shahid bhale hi dusro ko Drugs ki latt lagvata tha, lekin wo khud kabhi Drugs nahi leta. Wo sirf samne wale ko bewakuf bana ne ke liye jhut mut ki acting kar leta. Is baar bhi usne bass acting ki drugs lene ki, or baki ladko ko sachme Drugs de diya. Pehli baar drugs ka nasha un ladko ko satve asman par le gaya tha. Un ladko ko kuch samajh hi nahi araha tha. Tabb Shahid apne chelo se kehkar un ladko ko apne apne rooms me le jane kehta he, kr saath hi un sabko kuch drugs bhi de deta he.

Shahid ka ek kaam ho gaya tha, ab wo college ke rayis ladke ladkiyo ko drugs bechne nikal jata he. In sabka funda clear tha, ke garib ladko ke paas to Drugs kharidne ke paise hote nahi, to unko is drugs ki addiction lagva kar Rana ke hawale kiya jaye, or jo rayis log hote unko drugs bechkar munafa kamaya jaye. Matlab ke koi bhi tarah se Rana apna ghata nahi karvata tha. Or Shahid ye nahi janta tha ke Abdul kiske saath juda hua he, usne kabhi Rana ko nahi dekha tha, wo to bass Abdul ke kehne par har ek chiz karta.


Waha dopehar ke waqt Anant or Abhinav ke bich koi baat chal rahi thi.

Abhinav: Anant mujhe lagta he ke hume Aksh se kehkar is system me thode ferbadal karne chahiye...
Anant: Ferbadal? Matlab kis tarah sir?
Abhinav: dekhi Anant, filhal ye system kese kaam karta he, ke ye drugs ko detect kar ke us truck ki information hume dega, lekin me kya soch raha hu ke is system me GPS tracking bhi lagayi jaye, jis se hum sidha in Drug Smugglers ki location jaan payenge....
Anant: yes sir.... Ye bilkul thik kaha aapne, or kya pata in sab ke bich Rana bhi ho sakta he....
Abhinav: Exactly Anant...... Mujhe pura yakeen he ki Rana bhi isme include hoga...
Anant: right sir.... Me Aksh se is bare me baat kar lunga...
Abhinav: nahi.... Me abhi Surat hi ja raha hu kuch investigation ke liye, to wahi par Aksh se milkar sari baate kar lunga...
Anant: okay sir....



Waha Sakshi kamre me bethe padhai kar rahi thi, or Aksh bhi uske saath hi uske kamre me betha hua Sakshi ko nihar raha tha. Pata nahi Aksh ke dimag me kya ajata he, wo sidha uthkar Sakshi ke paas agaya or Sakshi ke haath se kitab le kar use table par rakh diya, Sakshi to kuch samajh nahi payi, lekin tabhi Aksh ne uske haath pakad kar Sakshi ko khada kar diya or zor se Sakshi ko hug kar liya. Aksh ke is humle se Sakshi puri tarah dher ho gayi, uske aakhe bass band si hone lagi or haath apne aap Aksh ko kasne lage. Kuch seconds takk ek dusre ki baho me rahat milne ke baad Aksh Sakshi se alag ho jata he.

Sakshi: k...... Kya... Kya hua Aksh?
Aksh: kuch nahi.... Bass bethe bethe soch raha tha ke agar tu meri life me na hoti to aaj me is jagah na hota....
Wo Sakshi ka chehra apne haatho me thamkar kehta he.
Sakshi: mene pehle bhi kaha tha na tujhse.... agar me na hoti to koi or hota... Kyu ke jo log kisi ka bura nahi chahte unke saath bhi kabhi kuch bura nahi hota....
Aksh: nahi Sakshi..... Agar tu na hoti to or koi bhi meri life me aisa na hota.... Sach keh raha hu Sakshi, teri jagah meri life me koi bhi nahi le sakta... Kisi bhi kimat par nahi le sakta....
Sakshi: or mene bhi tujhe kaha tha, ke me apni jagah kisi ko nahi dungi, kisi bhi kimat par nahi dungi.....
Uski baat par Aksh muskura deta he. Tabhi Aksh ko Abhinav ka call ajata he, jise dekh Aksh thoda heran sa reh gaya.
Aksh: hello.....
Abhinav: hello Aksh.... Kese ho bhai?
Aksh: sir me bilkul thik hu, aap bataye kese call kiya?
Abhinav: tumhe ye batane call kiya ke aaj shaam 7 baje takk me ek case ke silsile me Surat araha hu, or tumse kuch baat bhi karni thi, to socha ye accha moka he...
Aksh: okay sir.... To ghar par ajaye na aap.....
Abhinav: ghar par nahi Aksh.... Me tumhe adress bhej dunga wahi milte he....
Aksh: okay sir, jesa aap kahe.....
Abhinav: thik he to fir.... Sham ko milte he...
Aksh: okay sir...
Uske baad Aksh call kaat deta he.
Sakshi: kya hua Aksh?
Aksh: are yaar Abhinav sir ka call tha, wo sham ko Surat arahe he kisi kaam se, to mujhe unse milne jana padega....
Sakshi: accha? Fir hume Mansi ke ghar bhi jana tha Dinner ke liye....
Aksh: ohh... Yaar mujhe to nahi lagta me apaunga.... Tu akeli chali jana...
Sakshi: akeli? Is se accha fir kabhi chale jate he....
Aksh: nahi aisa accha nahi lagega.... Usne apne ghar bhi bataya hoga, tu chali ja.. me Mansi se maafi maang lunga....
Sakshi: thik he fir.......



Mansi: Mom..... Mom......
Wo Kiran ke kamre me daud te hue use pukar rahi hoti he.
Kiran: yahi hu beta.... Kya hua?
Mansi: are Mom...... Aaj na meri friend or uska Bhai Dinner ke liye ane wale he, me to aapko batana hi bhul gayi thi...
Kiran: konsi friend he?
Mansi: mene nahi bataya tha meri dost jo yaha padhne ke liye ayi he... To wahi arahi he Dinner par....
Kiran: thik he beta......
Mansi: waise Dad abtak kyu nahi aye?
Kiran: tumhare Dad to keh rahe the kuch important kaam he unhe....
Mansi: kya? Family se zyada important kya ho gaya unhe? Ruko abhi call kar ke puchti hu....
Or wo apne phone se Aman ko call kar deti he.

Waha gehri soch me betha Aman jab Mansi ka call dekhta he to use firse bure khayal ane lagte he, or wo kisi tarah call pick kar leta he.
Aman: h.... Ha... Mansi.... Bolo...
Mansi: aap itne busy kabse ho gaye jo time se ghar ana dhyan nahi raha aapko?
Aman: sorry beta.... Kaam me busy ho gaya....
Mansi: wo me nahi janti.... Thodi der me aap ghar ane chahiye....
Aman: okay beta.... Me bass kuch der me ajaunga....
Mansi: hmm... Yahi thik hoga aapke liye...
Fir Mansi call kaat deti he.



Shaam ke 7 bajne ko aye the, Sakshi apne kamre tayar ho rahi thi, usne wahi dress pehni thi jo Mansi ne aaj uske liye liya tha. Waise to Sakshi khud maan rahi thi ke wo is dress me jach rahi he, lekin aaj wo pehli baar in kapdo me ghar se bahar kadam rakhne wali thi. Aksh bhi Abhinav se milne ke liye tayar ho chuka tha, or wo ja kar Sakshi ke kamre me chala jata he. Lekin jese hi Aksh ne Sakshi ko dekha to wo bass use dekhte hi reh gaya. Aksh ke aise dekhne se Sakshi sehem jati he. Or apne aap ko cover karne lagti he, Aksh muskurate hue Sakshi ke samne akar uske haath thame aakho me aakhe dale khada ho jata he.

Aksh: sahi kaha tha Mansi ne..... You Look So Hot....
Aksh ke muh se is tarike ki baat sunkar Sakshi to heran si reh gayi thi, uska muh khula ka khula reh gaya. Wo apne haath Aksh se chhuda kar uska collar pakad leti he.
Sakshi: besharam..... Bavlat... K.... Kya... Keh raha he tu?
Wo gusse me Aksh ko jhunjlate hue kehti he.
Aksh: yaar ye kya baat hui? Tu khud mujhse sawal karti he ke agar hum Bhai Behen na ho kar sirf dost hote to? Or jab me Dosto ki tarah baat karne laga to gussa kar rahi he mujhpar....
Ab ye baat sunkar Sakshi chup ho jati he or Aksh ka collar chhod kar dusri taraf muh kar ke khadi ho jati he.
Aksh: Sakshi.... Please yaar samajh baat ko, tu sachme in kapdo me bahot Khubsurat dikh rahi he....
Wo piche se Sakshi ke kandho par haath rakhte hue kehta he. Is baar Sakshi sharma jati he.
Aksh: chal ab.... Tujhe waha drop kar ke me nikal jata hu...
Fir wo dono hi gadi me bethkar nikal jate he. Ab jo dress Sakshi ne pehna tha, wo uske ghutno takk tha, or jab wo car ke andar bethi thi to uske per kafi hadd takk exposed the, or wo baar baar apna dress sahi kar rahi thi, uski is harkat par Aksh mann hi mann has raha tha. Kuch der baad Aksh Sakshi ko Mansi ke. Ghar ke bahar chhod deta he.
Aksh: accha Dinner ke baad mujhe call karna... Me lene ajaunga.....
Sakshi: thik he...
Wo itna kehkar jaldi se car ke bahar utar jati he, or tezi se ghar ke gate ke andar dakhil ho jati he.

Aksh: mujhe Bavlat kehti he.... Khud pagal he yaar Sakshi tu....
Fir Aksh bhi Abhinav ki batayi jagah par chala jata he.

Waha Sakshi ka intezar Mansi door par khade hokar kar rahi thi.
Mansi: Hi Sakshi.... Aksh kaha he?
Sakshi: sorry Mansi lekin use bahot important kaam agaya to wo nahi apaya.... Uski taraf se me maafi chahti hu...
Mansi: please maafi mangne ki koi zarurat nahi he....
Mansi: waise Sakshi.... Shukar karo me ladki hu, agar me ek ladka hoti to pata nahi tumhare saath kya kar deti....
Wo ek shaitani hasi ke saath Sakshi ki butt par haath marte hue kehti he.
Sakshi: Mansi tum.....
Wo gusse me aakhe badi kar Mansi ke haath par thappad marte hue kehti he.
Fir Mansi use ghar ke andar le jati he, jaha Kiran or Aman saath me bethe hue the.

Mansi: Mom... Dad..... Miliye meri best friend se, Sakshi......

Jese hi Aman piche mud kar Sakshi ko dekhta he to uske pero tale se zameen hi khisak jati he.

To Be Continued.......
 
315
400
63


Chapter 2 - The Journey

Update 19


Mega Update


Word Count: 4190
Estimated Reading Time: 00:20:00



Sakshi ko dekh kar Aman ke hosh ud gaye the, use ab kuch samajh nahi araha tha.

Kiran: Sakshi..... Kafi accha naam he,
Wo Sakshi ke samne khadi ho kar uske sar se haath ferte hue kehti he.
Kiran: waise ek baat bolu.... Tum na hu ba hu meri choti behen Ritu ki tarah dikhti, kyu Aman.....
Aman: ha..... Ha thik..... Thik kaha tumne....
Kiran: Mansi tum to keh Rahi thi Sakshi apne Bhai ke saath arahi he, kaha he wo?
Sakshi: wo darasal baat ye he ke use suddenly ek important kaam agaya, to wo nahi apaya... uski taraf se I'm sorry....
Kiran: isme sorry bolne ki koi baat nahi he.... Ab to ana jana laga hi rahega....
Pata nahi kyu lekin Kiran ke dil me Sakshi ne pehle hi nazar me ek acchi chabi bana li thi. Kuch der takk sab log milkar baate karne lagte he, lekin Aman ka darr ab hakikat me tabdil ho raha tha. Use pata tha ke Mansi or Aksh ki mulaqat to zarur hui he. Or ab Aman ko aage ka darr lagne laga tha.


Waha Aksh Sakshi ko drop kar ke 10-15 minutes baad Abhinav ki batayi jagah par pahoch gaya.

Aksh: Good Evening Sir.....
Abhinav: ohh... Aksh..... Good Evening, aao betho....
Wo Aksh se haath milate hue kehta he. Kuch der dono yaha waha ki baate karne lagte he.
Abhinav: to Aksh mujhe tumse ek zaruri baat karni thi...
Aksh: ji sir kahiye na...
Abhinav: Aksh me chahta hu ke jo system hum Transport Vehicles me lagane wale he, usme ek GPS tracking bhi lagg jaye.... jis se hum un gadiyo ki location jaan sakte he, ke wo akhir kaha se ati he or jati kaha he....
Aksh: umm..... Okay sir.... Ye bhi ho jayega...
Wo kuch soch kar kehta he.
Abhinav: okay then.... Mujhe tum iska Estimated Cost bata dena, me cheque tumhare paas pahocha dunga....
Aksh: sir GPS tracking Technology zyada mehengi nahi he, aap uski chinta matt kijiye.... Me is GPS tracking ka No Profit Base par budget aapko bata dunga...
Abhinav: nahi Aksh.... Aisa matt karna, tum business kar rahe ho, to bass business ke hisab se chalo, or iska budget, apne profit ke saath batana....
Aksh: okay sir.... Jesa aap kahe....
Abhinav: waise Aksh mujhe tumse ek baat puchni thi....
Aksh: ji sir puchiye na...
Abhinav: Sakshi abhi Computer Science kar rahi he na?
Aksh: ha thik kaha..
Abhinav: to kya Sakshi CBI join karna chahegi?
Uski baat sunkar Aksh heran sa reh jata he.
Aksh: CBI..... me.... Me kuch.....
Abhinav: darasal kya he na Aksh, jab me Sakshi se mila tha tabb mene use dekhte hi samajh liya ke wo technical field me bahot hoshiyar he..... Itne salo me insaan ko pehchan ne me kabhi galti nahi ki he mene or Sakshi ke andar mujhe wo baat dikhi he.....
Aksh: lekin mujhe nahi lagta wo in sab ke liye..... I mean wo in sabse kafi darr jati he to...
Abhinav: darna to lazmi hota he Aksh..... Khair.... Ab me chalta hu, baki tum us kaam par lagg jana...
Aksh: chaliye sir me aapki Airport takk chhod deta hu...
Abhinav: thik he.....
Fir Aksh Abhinav ke saath Airport chala jata he.




Waha Mansi ke ghar pe Dinner ke baad sablog milkar baate kar rahe the, Kiran ko Sakshi ka mijaz bahot hi pasand aya tha, wo to jese Sakshi ko jane hi nahi dena chahti thi. Kafi der baad Sakshi Kiran se ijazat le hi leti he.

Kiran: waise tum ghar kese jaogi?
Sakshi: me Aksh ko call kar ke bula lungi....
Kiran: use pareshan matt karo, me Driver se keh deti hu tumhe ghar drop karne ke liye...
Sakshi: uski zarurat nahi he... Me chali jaungi....
Kiran: beta time kafi ho gaya he, or Aksh ko aise bich kaam me kyu disturb karna....
Mansi: Ha Sakshi..... Ab maan jao...
Sakshi: thik he.....

Uske baad Sakshi apne ghar nikal padti he, or usne call kar ke Aksh ko bata diya tha ke yaha ane ki zarurat nahi he.

Kiran: Mansi.... Mujhe sach me Sakshi se milkar bahot accha laga.....
Mansi: or wo kyu?
Kiran: wo ladki sachme bahot decent he.... Aaj kal ki ladkiyo ki tarah bilkul bhi nahi.... Or to or dikhne me bhi kitni pyari he...
Mansi: wo to sahi kaha aapne... Lekin aapko pata he, Sakshi to Western dress nahi pehenti thi, wo to meri zidd ki wajah se usne aaj waisa dress pehna....
Kiran: accha? Lekin sachme, wo kese bhi kapde pehne, uspar sabkuch accha lagega.... Or Mansi tum us se koi aisa waisa mazak matt karna, me tumhari shararto se waqif hu...
Mansi: Mom... Mazak to me uske saath bhi karungi hi, lekin mujhe pata he kiske saath kesa mazak kare, aap na mujhe bacchi hi samajhti ho....
Kiran: ha bahot badi jo gayi na tum.....
Wo Mansi ka kaan khinch te hue kehti he. Tabhi Mansi ki nazar chup chup bethe Aman par padti he.
Mansi: Dad.... Aap kyu itne chup ho? Kya baat he?
Wo Aman ki godd me jakar beth te hue kehti he. Bhale hi Mansi badi ho gayi ho, lekin uska bachpana apne parents ke samne khulkar bahar ata tha.
Aman: kuch nahi beta.... Accha Mansi, yaha Samne betho, mujhe tumse ek bahot zaruri baat karni he....
Fir Mansi Aman ke samne sofe par beth jati he. Kiran bhi uske saath beth gayi.
Mansi: kahiye....
Aman: Mansi ab tumhare test ki bari he...
Mansi: test.... Kesa test?
Aman: test tumhare Business Knowledge ko azmane ka....
Mansi: me kuch samjhi nahi....
Aman: dekho tum aage ja kar Virani Industries ko sambhalna chahti ho na, to tumhe uski tayari abhi se karni hogi... Me tumhe ek project de raha hu, agle 3 saal takk tumhe use sambhalna he, or agar tum usme pass hui to fir Virani Industries ki sari zimmedari usi waqt se tumhari ho jayegi....
Uski baat sunkar Mansi ki khushi ka thikana nahi raha.
Mansi: what..... Okay Dad I'm Ready....
Aman: lekin tumhe us project ko USA me rehkar sambhalna hoga.....
Ab Aman ne apna daav to fek diya tha, jise sunkar Mansi ke chehre se sari khushi ek pal me hawa ho jati he.
Kiran: wait.... Kya kaha Aman tumne? USA me rehkar? That Means Mansi waha akeli rahegi?
Aman: ha tabhi to Mansi ki Ability samne ayegi....
Kiran: lekin.....
Mansi: No Dad..... Mana ke mujhe business karne me kafi interest he, lekin uske liye me Parents or is sheher se dur nahi reh sakti....
Aman: lekin ye sab to me sirf tumhari ability dekhne ke liye kar raha hu, me dekhna chahta hu ke tum akeli sabkuch kese sambhal pati ho.....
Mansi: Dad.... Aap mujhe Virani Industries ki zimmedari do ya na do..... Lekin me yaha se or kahi nahi jane wali....
Wo narazgi se kehti he or uthkar apne kamre me chali jati he.

Kiran: dekha.... Naraz kar diya na use? Lekin ye kya naya drama he ke Mansi ko yaha se kahi or bhejna....
Aman: Kiran me kaha use humesha ke liye bhejna chah raha hu..... Or...
Kiran: wo me kuch nahi janti, Mansi hume chhod kar kahi nahi jane wali bass.....
Wo Aman ki baat kaat te hue kehti he or apne kamre me chali jati he. Fir Aman Mansi ke kamre me chala jata he uski narazgi dur karne ke liye.

Kafi mashakkat ke baad akhir kaar Aman ne Mansi ki narazgi dur kar hi di. Lekin ab bhi Aman dara hua tha aage ki soch kar.

Bairehaal.... Sakshi Aksh se pehle hi ghar pahoch gayi thi, wo sabse pehle naha leti he, wo bahar akar closet se apne liye kapde nikal rahi thi. Ab shayad Sakshi ko ye sab kapde pehen ne me koi zyada badi baat nahi lagg rahi thi, usne ek T-shirt or Night pant nikal kar pehen li, or apne baal sukhane lagi.

Raat ke kareeb 10 baj gaye the, lekin Aksh abtak ghar nahi lauta tha, Sakshi ne use call kiya to usne kaha ke use or kuch waqt lagg jayega ghar ane me. Ab Sakshi ko uske siwa nind nahi arahi thi. Kafi der takk karvate badal badal kar Sakshi thakk chuki thi, is waqt wo Aksh ke hi kamre me leti thi, lekin jab use nind nahi ati to wo uthkar beth jati he, Or bass Aksh ki yaado me gum ho kar gaana gun gunane lagti he, or sirf gana gun guna ti nahi, balki ayne ke samne khade ho kar uspar jhumne bhi lagti he.


"Baksha gunaho ko, sunke duao ko,

rabba pyaar he.. Tune sabko hi de diya....
Meri bhi aaho ko sun le duao ko,
Mujhko wo dila, mene jisko he dil diya.....
Wo jo mujhe dekh ke hase
Pana chahu raat din jise..
Rabba mere naam kar use...
Tennu dil da wasta......
Manga jo mera he, jata kya tera he
Mene konsi tujhse jannat mang li....
Kesa khuda he tu bass naam ka he tu...
Rabba jo teri itni si bhi na chali....

Chahiye jo mujhe kar de tu mujhko wo ata...."

Ab Sakshi ka waqt shayad thik nahi tha, kyu ke jese hi wo gana gun guna na shuru karti he to Aksh ghar agaya, use laga ke Sakshi so rahi hogi, isliye usne dusri chabi se darwaza khol liya, lekin jese hi wo ghar ke andar aya, to use Sakshi ke gane ki awaz ajati he, wo apne kamre me dekhta he to samne Sakshi madhoshi me gana gaa rahi he, use dekh kar Aksh ki hasi chutt jati he. Lekin wo chupke se Sakshi ko apna gana gane deta he, or khud use niharne lagta he. Jabb Sakshi apna gana khatam karti he to uski nazar room ke door par jati he, jaha Aksh adha darwaza khole use jhank raha tha, Suddenly waha kisi ko khada dekh Sakshi darr ke mare chilla padti he. Uske chillane se Aksh jaldi se andar akar use Sambhal leta he.

Aksh: oye... Chilla kyu rahi he? Koi chor nahi hu me...
Wo andar akar Sakshi ke muh par haath rakhte hue kehta he.
Sakshi: tu..... Tu pagal he.... Ghar aya to.... To bata to dena tha.... Aise choro ki tarah jhank kyu raha tha... Meri to dhadkane hi tez ho gayi he....
Wo hadbadate hue apne dil par haath rakh kar kehti he.
Aksh: accha? Dekhu to.....
Sakshi ki baat par Aksh uska ka haath hata kar khud apna haath uske dil par rakh kar Sakshi ki dhadkane sunn ne lagta ne. Lekin Aksh ki is harkat se Sakshi to sharm se pani pani ho jati he. Wo jaldi se Aksh se alag ho kar khadi ho gayi.

Aksh: waise bade hi madhoshi me gane gaa rahi thi tu to....
Sakshi: na..... Nahi... Wo to me..... Me bass... Aise hi....
Wo bina Aksh se nazre milaye sharmate hue kehti he.
Aksh: sachme bahot accha gati he yaar tu to.....
Sakshi: ab chup.... Chup... Kar....
Aksh: are yaar aise kese chup kar..... Dekh me nahi janta tu ye gana kiske liye ga rahi thi lekin me tere liye ek gana bolna chahta hu, jo ke sachme meri Zindagi ki reality se mel khata he....
Sakshi: konsa?
Fir Aksh Sakshi ke haath thamkar muskurate hue uski aakho me dekhne lagta he.

"Me to yu khada kis, soch me pada tha....

Kese ji raha tha me diwana...
Chupke se ake tune, dil me sama ke tune...
Chedd diya kesa ye fasana....
Muskurana bhi tujhi se sikha he....
Dill lagane ka tu hi tarika he...
Aitbar bhi tujhi se hota he...
Aau na hosh me, me kabhi...
Baho me he Teri zindagi...
He nahi tha pata, ke tujhe maan lunga khuda....
Ki teri galiyo me is kadar aaunga har peher....
Sunn mere husafar, kya tujhe itni si bhi khabar....
Ki teri saase chalti jidhar,
Rahunga bass wahi umr bharr....

Rahunga bass wahi umr bharr...."

Waise to Aksh kafi besura tha, lekin aaj Aksh ke sur Sakshi ke kano me shehed se ghul rahe the. Wo bass ek takk Aksh ko dekhe ja rahi thi.

Aksh: dekha kitna mel khata he gana.... pehle me to jese ek andhere me ji raha tha, jaha se mujhe tune hi bahar laya.... muskurana, wo to me bhul sa gaya tha, fir se muskurana bhi tune hi sikhaya.... Or ab meri to jese zindagi hi tujhme basti he....
Wo Sakshi ka chehra apne haatho me thamkar kehta he, or uske mathe ko chumkar bed par beth jata he. Sakshi ko to in sab se itna sukoon mil raha tha ke jiska koi thikana na tha. Lekin jo Aksh aage bolne wala tha us se Sakshi ke to tote hi udd jane the.

Aksh: waise Sakshi, tune mujhse usdin ek sawal pucha tha, ke agar hum dono Bhai Behen na hote to? To fir me na abtak tere pyaar me majnu bann gaya hota....
Aksh ki baat sunkar Sakshi ki sharm ka koi thikana nahi rehta, or ab us se yaha khada bhi nahi hue ja raha tha.
Sakshi: me...... Me sone ja rahi hu....
Wo aage badhte hue kehti he.
Aksh: kya? Tujhe to akele sone se darr lagg raha tha na, to ab?
Uski baat sunkar Sakshi ko yaad ata he ke use pyaar ke saath saath akele sone ka darr bhi tha, tabb wo jate hue ruk jati he or piche mudkar apni gardan jhukaye bed par akar let jati he. Sakshi ke aise behavior par Aksh apni hasi nahi rok pata or Sakshi ke upar akar use kas kar apni baho me jakad leta he.
Aksh: yaar Sakshi tuna sachme bahot sharmati he.....

Fir Aksh jakar fresh ho jata he kr change kar ke Sakshi ke bagal me akar let jata he, dono kafi der takk baate karte rehte he, or akhir inki is pyaar bhari dastan me sukoon se bhari nind bich me ajati he.



Subah subah Sakshi jaldi uthkar apna roz ka kaam karne lagti he, or kuch der baad college jane ke liye tayar ho jati he. Aaj usne ek Jeans or jacket pehna hua tha, jisme wo bijliya barsa rahi thi. Aksh ne bhi uski kafi tarif ki, or waise bhi in deep down Sakshi ko bhi aise kapde aache lagg rahe the. Bass farak yahi tha ke Mumbai me rehkar usne kabhi ye sab try nahi kiya. Or aaj use Mansi jesi ladki mili jisne Sakshi ko majbur kar diya tha ye sab pehen ne ko.

Aksh Sakshi ko college drop kar ke Construction Site par chala gaya tha. Kaam bilkul sahi chal raha tha, or tabhi Aksh ko kisi ka call ajata he. Aksh call pick kar leta he.

Aksh: Hello.......
Aman: Mr. Aksh Joshi..... Me Aman.... Aman Virani baat kar raha hu.....
Uski awaz sunkar Aksh dang reh jata he.
Aksh: ji.... Ji Uncle, kahiye... Kese call kiya?
Aman: kuch nahi bass mujhe pata chala tha ke tumne Surat me bhi business shuru kar diya he....
Aksh: ji... Thik suna aapne....
Aman: great, to bass tumhe badhayi dena chahta tha... Kya mujhse abhi mil sakte ho...
Aksh: ahh.... Ji me ajata hu, aap bataye kaha ana he....
Aman: thik he.... Virani Industries me ajao, mere Office me beth kar kuch baate karte he...
Aksh: thik he.... Me ajata hu.....
Fir wo call kaat deta he.
Aksh(mann me): yaar inhone mujhe milne ke liye kyu bula liya? Kahi firse mere saath koi Deal ki to nahi soch rahe? Chalo, dekhta hu wahi jakar....
Fir Aksh chala jata he Aman se milne. Waha jakar ek peon use Aman ke cabin takk le ata he. Aksh ko dekh kar Aman uske paas ajata he.

Aman: Aao Aksh.... Please have a seat...
Wo Aksh ko chair par bithate hue kehta ne. Or khud uske samne beth jata he.
Aman: sabse pehle to tum kuch loge?
Aksh: nahi me....
Aman: please mana matt karo, ek kaam karte he, shubh kaam ki Shuruwat mithe se hoti he na, to mitha ho jaye.... Or badhayi tumhe mere sheher me akar mujhe defeat karne ki tayari ke liye...
Aksh: uncle aap galat samajh rahe he.... Me yaha na to aapko harane aya hu, na hi aap se competition karne.... Business ko kese run karte he, ye to aap mujhse behtar jante ho... Or mujhe pura yakeen he ke aap kabhi bhi is field me haroge nahi.... Mera maksad sirf apne dil ki sunna he, jo mera dil kehta jayega, wo me karta jaunga....
Aman: hmm.... Chalo koi baat nahi, humari Nakam deal ko side me rakh kar, me tum jese ek Emerging Businessman ko congrats karna chahta hu...
Aksh: thanks Uncle.... Lekin me apne aap ko Businessman nahi manta me apne aapko Entrepreneur manta hu.... Kyu ke Businessman kabhi extra risk nahi leta, wo bass calculated risk par kaam karta he... wahi Entrepreneur ke liye calculetad risk naam ki koi chiz nahi hoti.... Jaha businessman ek ya kayi sare businesses ko or behtar karta jata he, wahi Entrepreneur apne khud ke dreams ko reality me badalne ki koshish me rehta he....
Aksh ki baate sunkar Aman bhi ek pal ke liye soch me pad gaya tha.
Aksh: Or Uncle, please meri baat ka bura matt maniyega... Lekin aap na to Businessman baniye, or na to Entrepreneur baniye.... Rather than aap ek Leader baniye.... Or Leader kabhi bhi criticize nahi karta, balki wo to apna haath deta he... Unko, jisko uski zarurat hoti he, or saath me aage badhta he... Or ho sakta he, ke samay ke chalte, aapki awaz ko duniya mitane me kamyab ho jaye, lekin wo har dil jinme sapno ki chingari thi, jinki aapne madat ki thi, unme aap humesha zinda rahoge....
Wo ek badi si muskurahat ke saath Aman ki aakho me dekhte hue ye sab kehta he. Aman ko aaj aisa lagg raha tha ke usne bhale itna bada business khada kar diya tha, lekin Aksh ne dusri baar Aman ko apne vision se maat de thi.
Aman: dekho Aksh.... Har insan me koi na koi kamiya hoti he.... Me bhi manta hu ke mujhme bhi kami he... Lekin me ye baat pakke taur par keh sakta hu ke jo tum apni zindagi me achieve karne wals ho, wo sab shayad hi kisi ne achieve kiya hoga.... Or me pure dil se tumhare liye accha chahta hu....
Aksh: Thanks.... Thank You So Much Uncle....
Aman: waise tum Mansi ko jante ho?
Ab Mansi ka naam sunte hue Aksh ke tote udd jate he.
Aksh: Mansi.... Ha.... Me wo....aapko kese....
Aman: darasal Mansi meri beti he.....
Ye baat sunkar Aksh ke to hosh hi udd gaye.
Aman: darasal kal tumhari behen Sakshi ghar par ayi thi, tabb mujhe pata chala....
Ab Aksh ko thoda uncomfortable sa feel hone laga tha.
Aman: dekho Aksh... Ab humari purani baate bhul jao, jo bhi baate thi, wo bass atit tha.... Agar tumhe kabhi bhi meri zarurat pade to be jhijak mujhe batana....
Aksh: ji me to wo baat usi din bhul gaya tha.....
Fir kuch der takk dono aise hi business ke baare me baate karne lagte he, kayi sari aisi baate thi, jis dono ko kuch alag sikhne mil raha tha, ek taraf Aman ko Aksh ke extraordinary vision se kuch sikh mil rahi thi, wahi Aksh ko Aman ke itne salo ke business experience se kuch sikh mil rahi thi. Ab Aman ke dil me aage ki kya soch thi ye to bass Aman hi janta tha.



Waha College me break ho gaya tha. Kavita, Diksha or Mansi is waqt Canteen me thi. Lekin Mansi ki nazre kisi ko dhund ne me lagi thi.

Kavita: kya hua Mansi? Kise dhund rahi ho?
Mansi: are yaar me Sakshi ko dekh rahi hu, call bhi nahi lagg raha he uska....
Wo Canteen ke gate par apni nazre gadhaye kehti he.
Kavita: kya baat he Mansi.... Aaj kal Sakshi se kafi close ho rahi ho tum?
Mansi: ha to? Wo bhi meri Best friend he....
Kavita: or hum kya he fir?
Mansi: yaar mene kya kaha? Wo bhi.... Matlab tum dono ke alawa Sakshi bhi meri best friend ki list me shamil he.
Kavita: yaar mujhe na wo ladki bilkul thik nahi lagti.... Wo na tumhare Rutbe ka fayda uthana chahti he....
Mansi: Shut Up Kavita.....
Wo kafi gusse me or unchi awaz me kehti he.
Mansi: ye kya behuda baat kar rahi ho? Kehte he na ke agar insan kisi ke bare me accha na bol sake to bura bhi nahi bolna chahiye.... Or tum kya janti ho Sakshi ke bare me?
Diksha: Mansi Calm Down....
Mansi: yaar Kavita ko samjhao.... Bewajah kisi ko bhi kuch bhi bolne lagti he....
Diksha: Ha Kavita.... Mansi bilkul thik keh rahi he.. or sach kahu to mujhe bhi Sakshi bahot acchi ladki lagti he... She is real, dusre logo ki tarah koi fake Personality nahi he uski.....
Wo indirectly Kavita ko tana marte hue kehti he. Lekin tabhi waha Sakshi ajati he.
Sakshi: hi....
Mansi: yaar Tum kaha thi Sakshi?
Sakshi: sorry... Sorry.... Darasal Class me kuch students ki help kar rahi thi studies me, to time dekha hi nahi...
Wo Mansi ke bagal me beth te hue kehti he.
Break ke dauran Diksha, Mansi or Sakshi kafi frankly baate kar rahi thi, lekin Kavita ko is se kafi jalan ho rahi thi, wo ghar se phone ane ka bahan bana kar waha se chali jati he. Lekin uski jalan or badh jati he jab Diksha or Mansi me se koi bhi use rukne ke liye force nahi karta.



Aksh: okay Uncle... Mujhe ab nikalna chahiye... Sakshi ka college bass chuttne hi wala hoga....
Aman: okay then.... Or ghar bhi ana...
Aksh: ji zarur....
Fir Aksh Aman se ijazat le kar nikal jata he Sakshi ko lene.

Aman(mann me): ab kya hoga? Kaha me soch raha tha ke Mansi ki mulakat Aksh ya uski behen se na ho, lekin yaha to....... Mujhe kuch karna hoga, in sab me sirf Mansi hi nahi, Aksh or Sakshi ko bhi khatra he..... Bhale hi Aksh se meri koi Deal na hui thi, lekin wo or uska pariwar begunah he... Isme unlogo ka koi kasur nahi he.... Ye raaz meri aakhri saas takk sirf mere bhitar hi rahega.... Kyu ke iske samne ane me sirf khun hi khun bahega.... Hey bhagwaan, aapse haath jod kar bhik mangta hu ke in sab baccho ko sahi salamat rakhna..... Bhale meri jaan chali jaye lekin.... Lekin in sabko kuch matt hone dena.....

Aman kafi gehri soch me apni aakho se asu baha raha tha. Ab shayad usne waqt ke hisab se hi chalna behtar samajh liya tha. Kyu ke jitna wo is situation ko thik karne jayega, utna hi mushkile badhti jane wali thi.


Waha College ki chutti ho gayi thi, Mansi or Sakshi parking takk agayi thi.

Mansi: chalo Sakshi me tumhe ghar drop kar deti hu...
Sakshi: are nahi... Tun kyu pareshan ho rahi ho? Aksh ka message aya tha, wo bass kuch hi der me araha he...
Mansi: okay then... Me rukti hu tabtak yaha...
Sakshi: Mansi please tum chali jao....
Mansi: lekin...
Sakshi: Mansi har baar tumhari mann mani nahi chalegi... Meri bhi baate suna karo....
Wo Mansi ko bich me kaat te hu kehti he.
Mansi: Okay My Hottie.... Jesa tum kaho.....
Wo Sakshi ki butt par haath marte hue kehti he.
Sakshi: Mansi tum na sabse pehle ye harkat band karo, or mujhe he Hottie bolna band karo....
Wo gusse me Mansi ko aakhe dikhate hue kehti he.
Mansi: ye to possible nahi he.... Meri harkate koi bhi rok nahi sakta, Samajhi? Kal milte he....
Fir Mansi apni gadi me bethkar nikal jati he, uske jane ke kuch minutes baad hi Aksh waha ajata he. Sakshi uske saath bethkar chali jati he.

Sakshi: accha Aksh.... Market se hokar lena, kuch saman lena he mujhe....
Lekin Aksh ka dhyan uski baat par nahi tha.
Sakshi: Aksh... Kaha kho gaya tu?
Wo Aksh ke khande par haath rakh kar use hilate hue kehti he. Fir Aksh ise Aman se milne wali baat bata deta he, jis se Sakshi bhi heran si reh gayi thi. Lekin use ek baat ka accha laga ke dono me koi anbann nahi he.


Thodi der baad dono market pahoch gaye the, or har bari ki tarah aaj bhi Aksh ne sara saman pakad liya tha. Sakshi use hazar baar kehti ke uske paas bhi kuch saman de de. Lekin Aksh nahi manta.

Khair.... Raat ho chali thi, har roz ki tarah aaj bhi Sakshi Aksh ke saath hi uske kamre me Aksh se lipat kar gehri nind me soyi thi.

To bass yahi tha Aaj ka Update, ek Raaz... Or us se judi ye kahani... Akhir ye kis disha me mod lene wali thi? Akhir kya baat thi jo Aman apni jaan dene ke liye bhi tayar tha, lekin us raaz ko samne nahi lana chahta tha? Ab ye to ane wala waqt hi batayega.


Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling 😊 😊
 
315
400
63

Chapter 2 - The Journey

Update 20


Mega Update



Word Count: 3520
Estimated Reading Time: 00:17:00



Ye tha 80s ka dashak, Bhopal me ek janleva hadsa hua tha, darasal sheher ki ek Factory me Gas leak ho chuki thi, jiske chalte hazaro logo ne apni jaan gava di thi. Is waqt 3 log ek sunsan ilake me khade the, unme se 2 log umar se bade the, or ek 6 saal ka baccha tha.

"Bahot badi kimat chukani hogi is galati ki, koi nahi bachega, koi bhi nahi....."
Ek Aadmi apni num aakho se apne samne khade aadmi ko keh raha tha.
"Hahaha..... Kyu bakwas kar rahe ho? Aaj 2 saal se zyada ho gaye, lekin abtak me sahi salamat hu...."
Samne khada aadmi uska mazak udate hue uspar hass raha tha.
"Hahaha..... Aise kese? Is galati ki saza yu kuch salo me nahi milegi, 42 saal...... 42 saal baad dekhna, jinke liye ye sab tum kar rahe ho na, sabki saase tham kar rahegi...... Tum to shayad wo sab dekhne ke liye is duniya me nahi rahoge, lekin ye ladka.... Ye ladka wo sab apni aakho ke samne dekhega......"
Wo aadmi samne khade aadmi ke bacche ki taraf ishara karte hue kehta he, wo baccha is se kafi darr sa gaya tha, or wo apne baap ki piche chupne lagta he.
"Me tumhari in khokli dhamkiyo se darne wala nahi hu, or jo kuch mene tumhare saath kiya tha, shayad wo bilkul sahi tha... kyu ke Tum jese darinde ke saath... Ahhhhhhhh"



suddenly Aman apni nind se jaag jata he, lekin uska to chehra pasine se tarr batar ho raha tha, uski saase kafi tez ho chuki thi. Jo kuch abhi dikh raha tha wo Aman ke sapne me tha, ab ye sapna akhir kehna kya chahta tha, wo to shayad khud bhagwaan janta ho. Khair... Aman uthkar pani ko apne sukhe pade gale ke niche utarne lagta he. Aman kafi der takk sone ki koshish kar chuka tha, lekin jo kuch abhi usne dekha, us se Aman ki nind udd chuki thi.













Waqt kafi tezi se beet raha tha, din par din nikalte ja rahe the, or baat kare Sakshi ki to uske dil me Aksh ke liye pyaar hadd se zyada badhte ja raha tha. Wo ab kafi hadd takk Aksh se khul chuki thi, uski baate, uska behavior Aksh ke liye ek behen se alag ho gaya tha. Wahi baat kare Aksh ki to wo bhi kisi alag hi disha me chal pada tha. Uski feelings Mansi ke liye kafi possessive hote ja rahi thi. Wahi Mansi to Aksh ke saath bilkul ghul mil chuki thi. Use bhi Aksh ke saath rehna, baat karna accha lagta tha, Aksh ne ab soch liya tha ke wo jald hi Mansi ko apne dil ki baat bata dega. Wahi Sakshi ne bhi soch liya tha ke wo bhi apne pyaar ka izhar Aksh se jald se jald kar hi degi.

Dusri taraf Aman apni taraf se ji jaan laga raha tha us Raaz ko nist nabud karne ki. Lekin jitna wo situation ko thik karne jata, utna hi Situation or bhi zyada bigadne lagi thi. Waise to ab Aman ke mann me Aksh ke liye koi gussa ya nafrat nahi thi, saath saath ab Aksh or Aman ki baatchit hote rehti thi, Sakshi or Aksh jese Virani Family ka ek hissa bante ja rahe the. Humesha unka ghar ana jana lag rehta tha. Aman Mansi or Aksh ke bich arahi nazdekiya dekh chuka tha, lekin wo janta tha ke Mansi to in sab chakkaro me nahi padegi, lekin Aksh se uski dosti Aman ki chinta badhaye ja rahi thi.

Aksh ki AI Manufacturing Facility bann kar tayar ho chuki thi, Aksh ne is system me thode badlav kar ke waha ek GPS tracking bhi add karva di thi. Ab in System ka manufacture shuru ho chuka tha. First batch sirf 2 dino me bann kar tayar hone wali thi. Aksh ab wahi zyada tar waqt guzarne laga tha. Uske saath Mansi ko jab bhi moka milta wo bhi Aksh ke saath ajati thi. Lekin Aksh ki feelings se bekhabar Sakshi to thann kar bethi thi ke wo ab kuch hi dino baad Aksh se apne pyaar ka izhar kar ke rahegi.

Wahi college me ab Mansi me Kavita se baat karna kafi kam kar diya tha, or wo Zyadatar Sakshi ke saath hi rehna pasand karti thi, jis wajah se Kavita ko Sakshi par bahot zyada gussa araha tha, usne or Shahid ne milkar tay kar liya tha ke pehle is Sakshi ko raste se hatana hoga.

Ab Aksh or Sakshi Surat me rehte 1 mahine se ho gaya tha. Wo dono Mumbai Radha or Santosh se milne jane wale the, lekin Santosh or Radha ne un dono ko mana kar diya ye kehkar ke wahi log Surat ana chahte he. Fir yahi tay ho jata he, Santosh ne dono ko surprise dena tha, isliye unhone Sakshi or Aksh ko galat tarikh bata di ane ki. Or wo uske 2 din pehle hi ane wale the.




Aaj tha Sunday, har koi aram se bina kisi kaam ki tension liye apne bistar me soya hua tha. Is waqt Sakshi or Aksh ek dusre ki baho me jakde so rahe the. Sabse pehle Sakshi ki aakh khul jati he, aakhe khulte hi usne apne aap ko har roz ki tarah Aksh ki baho me jakda paya.

Sakshi(mann me): hmm..... Aksh, ab dekhna.... Kuch hi dino me mera tujhpar pura haqq hoga.... Tabb me bina kisi darr ke tujhpar apna pyaar nisar karungi.... Me janti hu tu maan jayega.... Tujhe maan na hi padega... Uske baad hum fir se Mumbai chale jayenge.... or dekhna.... Me Khud Aai Baba se humare is rishte ke bare me bata dungi.... Wo hum par gussa karenge, shayad ye gussa kafi aage bhi badh jaye... Lekin me nahi reh sakti tere bina.... Mene kabhi nahi socha tha ke me tujhse Aai Baba se badhkar pyaar karne lagg jaungi.... Me janti hu ke me bahot zyada galat kar rahi hu, lekin kayi baar kisi insan ki jaan is Galat se kayi zyada upar ho jati he... Kyu ke agar mujhe tu hasil nahi hua, to meri jaan hi chali jayegi... Or kya tu mujhe aise marte hue dekh payega? Nahi na? To Hum dono ki bhalayi isi me he ke hum ek dusre ko isi rishte me accept kar le.... Kyu ke me janti hu jese me tere bina nahi ji paungi, thik usi tarah tu bhi mere bagair nahi reh pata.... Hum dono ki khushi bass ek dusre se hi judi hui he.... Please Aksh, please tu ye sab baate samajh jana....

Sakshi Aksh ko kas kar apne aap se hi baate kare ja rahi thi, or is apsi bato me Sakshi apne asuo ko rok nahi pati or bass Aksh se lipte hue rone lagti he. Jabb use Aksh ki halchal mehsus hoti he to wo jhatt se Aksh se alag ho kar dusri taraf chehra kar ke chadar apne upar odh leti he. Aksh piche se hi Sakshi ko kass kar apni baho bhar leta he, is se Sakshi ki sari taklife ek pal me hawa ho gayi, or wo bass is lamhe ko apni yado me sametne lagti he.


Subah ke kareeb 10 baje hue the, Aksh or Sakshi ne breakfast kar liya tha or dono is waqt apne backyard me bethe hue the.

Aksh: chal Sakshi kahi ghum kar ate he.....
Sakshi: ghum kar? Lekin kaha?
Aksh: yaar bass aise hi bahar nikal jayenge.... Rasta chalte chalte mil hi jayega....
Sakshi: accha? Thik he.... Ab tu keh raha he to... Chalte he...
Aksh: okay... Me Mansi ko bhi call kar deta hu....
Sakshi: thik he...
Fir Sakshi uthkar apne kamre me jane lagti he or Aksh apna phone nikal kar Mansi ko call karne ko hota he ke tabhi Sakshi wahi ruk jati he.
Sakshi: waise ek baat to bata Aksh.....
Aksh: konsi baat?
Wo apni nazre mobile par gadhaye kehta he.
Sakshi: aaj kal Mansi ke saath kuch zyada milna julna ho raha he tera? Kya chakkar he ye?
Wo apne mann ki uljhan ko Aksh se puchti he. Jispar Aksh hadbada jata he.
Aksh: n.... Nahi.... To.... Wo to... Wo to bass... Tum dono.. itni acchi dost ho to.....
Sakshi: thik he... tu kehta he to maan leti hu...
Wo kuch rukhe swar me kehti he.
Fir Aksh ne Mansi ko call kar diya.

Mansi: Good Morning Aksh.....
Uski utsukta bhari mithi awaz sunkar Aksh ka chehra muskurahat se khil jata he.
Mansi: Hello.... Aksh are you there?
Aksh: ha.... Ha... Mansi kaho....
Mansi: what..... Tumne call kiya na? To fir tum kaho...
Aksh: ohh... Ha... Darasal wo... Me or Sakshi kahi ghumne jane ka soch rahe the, to mene yahi puchne ke liye call kiya tha ke kya tum free ho?
Mansi: ahh.... Aksh I'm sorry, lekin me aaj nahi asakti, darasal me apni friend ke saath bahar ayi hui thi....
Aksh: ohh... It's okay... Koi baat nahi...
Mansi: again Sorry Aksh, or Sakshi ko bhi meri taraf se sorry keh dena...
Aksh: are isme sorry kehne wali konsi baat he? Enjoy your day.... Bye..
Mansi: Bye....
Ab Mansi ke na ane se Aksh ka mood thoda sa off ho gaya tha.
Aksh: kya yaar? Mansi bhi saath hoti to or bhi zyada maza aya hota... Khair.... Sakshi he na.... Half Girlf.....
Wo muskurate hue apne aap se kehta he, lekin jese hi use ehsas hota he ke wo kya keh raha he to uski bolti band ho jati he.
Aksh: Ahhh.... Fuck.... Ye kya gandi soch ho rahi he meri?
Wo apne sar pe marte hue kehta he or ghar ke andar ajata he.

Waha Mansi Diksha ke saath thi, jab wo call kaat kar rakh deti he, to Diksha use muskurate hue ghure ja rahi thi.
Mansi: kya hua? Aise ghur kyu rahi ho?
Diksha: ek baat to batao Mansi.... Akhir te chakkar kya he?
Mansi: chakkar? Kesa chakkar?
Diksha: aaj kal tum Sakshi ke Bhai ke saath bahot nazar arahi ho, baat kya he?
Mansi: bass aise hi.... Me Aksh ke saath uski company me jati rehti hu, tum janti ho na mujhe Business karna kitna pasand he....
Diksha: sirf Business hi pasand he na? Ya fir uske saath saath Aksh bhi pasand ane laga he tumhe?
Wo Mansi ko tease karne ke liye kehti he, lekin is se Mansi ke chehre par sharm ke bhav ajate he.
Mansi: ye..... Ye... Tum kya.... Kya keh rahi ho Diksha?
Wo apni nazre Diksha se churate hue kehti he.
Diksha: OMG dekho to kese sharma rahi ho tum.... Matlab meri baat sach nikli, he na?
Mansi: nahi... Aisi... Aisi koi bhi baat nahi he...
Diksha: ab mujhse kyu baat chupane lagi Mansi tum? Bata bhi dona Sach kya he....
Mansi: dekho Diksha.... Ab sach kahu to.... to mujhe Aksh ke saath rehna accha lagta he... uske saath baate karna, apna waqt bitana mujhe accha lagta he... Lekin.....
Diksha: lekin kya Mansi? Iska matlab tumhe Aksh se pyaar ho gaya he...
Mansi: Nahi Diksha, ye nahi ho sakta....
Diksha: kyu nahi ho sakta?
Mansi: Diksha mujhe bass business par dhyan dena he, na ki is pyaar vyaar ke chakkar me pad kar sabkuch bigad dena he....
Diksha: c'mon yaar Mansi.... Ye na tumne apne mann me baat bana li he ke pyaar vyaar sab dhoka he... Aisa nahi he yaar....
Mansi: aisa hi he Diksha.... Tum dekhti nahi in couples ko, inki harkate dekh kar mujhe to bilkul mann nahi pyaar ke chakkar me padne ka....
Diksha: lekin Mansi tumhare or Aksh me aisa kuch nahi hoga.... Kyu ke wo bhi to khud business karta he na.... Ulta tum dono ki soch bilkul milti he... Ab batao...
Ab Mansi ki bolti band ho gayi thi, use ab kuch samajh nahi raha tha.
Diksha: dekho Mansi zyada socho matt.... Yahi sacchayi he, or tumhe ise maan na hi hoga....
Mansi: lekin Aksh...... Kya Aksh ke bhi dil me mere liye koi feeling hogi?
Diksha: ab ye to tumhe khud hi pata karna hoga....
Fir Mansi kuch soch me padd jati he. Use ab bhi samajh nahi raha tha ke use kya karna chahiye. Kyu ke wo bhi janti thi ke is pyaar ne kayi sari zindagiya barbad ki he, to kayi sari zindagiya sawar bhi di he.


Yaha Sakshi tayar ho kar agayi thi, dono bass ghar se nikalne hi wale the ke tabhi Doorbell bajti he. Sakshi ja kar darwaza kholti he to samne Santosh or Radha khade the. Dono ko dekha kar Sakshi ke hosh ud jate he, wo fatt se dono ke gale milti he. Fir waha Aksh bhi ajata he. Wo bhi Santosh or Radha ko dekh kar bahot khush tha.

Sakshi: Aai Baba..... Aap to 2 din baad ane wale the na?
Radha: wo to humne jhut kaha tha, surprise jo dena tha dono ko....
Wo Aksh or Sakshi ke sar pe haath ferte hue kehti he. Lekin tabb Radha gaur se Sakshi ka dress dekhti he, jo ke uske ghuto takk araha tha.
Radha: kya baat he Sakshi? Yaha akar to tune apne kapde pehen ne tarika hi badal diya.....
Uski baat pat Sakshi apna nazre nichi kar leti he.
Santosh: are koi baat nahi.... Acchi to lagg rahi he ye...
Radha: to me konsa mana kar rahi hu? Sach me Sakshi Bahot hi zyada acchi lagg rahi he tu....
Wo Sakshi ka matha chumte hue kehti he.
Aksh: aap dono andar to ayiye..... Badme dekh lena aapki Khubsurat beti ko....
Fir wo charo andar akar baate karne lagte he, Aksh or Sakshi to itne waqt baad Santosh or Radha se milkar bahot khush the.





Yaha Rana akela ek kamre me dakhil ho jata he, us kamre me sirf or sirf calendar lage hue the, jo ke pichle 40 saalo se yaha the. Un sab calendar par har din pe red Marker se cross kiya hua tha. Waha ab 2 calendar aise the jo pure bhare nahi the, jo ek calendar tha wo kareeb kareeb bhar hi gaya tha un crosses se. Or jo ek akhri calendar tha uspar abhi tak koi cross nahi tha. Rana akar us aadhe bhare hue calendar par aaj ke din par cross maar deta he.

Rana is waqt waqt bahot hi gusse tha, uski aakhe mano gusse se laal ho gayi thi.

Rana: bass dedh saal..... dedh Saal bache he.... Tabb ja kar wo badla pura hoga.... Kisi ko zinda nahi rakhunga me.... Kisi ko nahi....

Fir Rana waha bane ek kamre me chala jata he, jaha ek 80 saal ke Buzurg bed par soye hue the. Rana unke paas bethkar unke sar pe haath ferta he.
Rana: Bauji..... Bauji....
To jo Buzurg yaha soye the wo the Rana ke pita "Mahendra Pratap Rana"
Apne bete ki awaz sunkar Mahendra Rana ki aakhe khul jati he, or wo uthkar bethne lagta he, Rana use uthkar bethne ke liye madat karta he.
Rana: Bauji.... Khana kha lijiye....
Wo paas me padi plate ko apne haath le kar niwala M. Rana ke aage karte hue kehta he. Kyu ke Mahendra Pratap Rana ki ab kafi umar ho gayi thi, to Rana use khana khila deta he. Khane ke baad Rana ne use firse bed par lita diya. Or jab wo waha se jane laga to M.P. Rana ne uska haath pakad liya. Rana piche mudkar use dekhne lagta he.
M. Rana: a...... Apn.... apne andar... Ki... Aag... Aag ko... Bhujne matt.. dena....
Wo apni ladkhati awaz me kehta he.
Rana: bilkul nahi... Ye aag to tabhi bujhegi jab wo Badla pura hoga....
Wo M.P. Rana ka haath pakad kar kehta he, or waha se chala jata he.



Waha ghar pe sablog khush the, Sakshi ne Mansi ko bhi Santosh or Radha se milne bula liya tha. Mansi bhi Diksha se kehkar Sakshi ke ghar ane ke liye nikal jati he. Kuch der baad Mansi waha agayi thi.

Mansi: Namaste Uncle Aunty.....
Wo andar akar Radha or Santosh ke pair chute hue kehti he.
Sakshi: Aai.. baba... Ye meri sabse acchi dost he, Mansi.....
Mansi: hmm... Sakshi apne parents ke samne yahi kapde pehen liye?
Wo Sakshi ka dress dekh kar kehti he. Darasal Sakshi ne apna dress change kar liya tha or waise hi kapde pehen liye jo wo Mumbai me rehkar pehen rahi thi, kyu ke use Radha or Santosh ke samne aise kapdo me accha nahi lagg raha tha.
Mansi: Uncle... Aunty, you know aapki beti itni acchi lagti he modern kapdo me ke me kya hi batau? Shayad aap dono ki wajah se isne firse aise kapde pehen liye...
Wo Radha ke paas bethkar kehti he.
Radha: are beta humne subah hi dekha Sakshi ko un kapdo me... Sach me acchi lagti he wo....or tum bhi bahot Khubsurat ho.....
Wo Mansi ke sar pe haath ferte hue kehti he.
Kafi der takk sablog apas me baat kar rahe the. Aaj Mansi ne Aksh se zyada baat hi nahi ki thi.

Khair... Waha Kavita or Shahid uske ghar pe the.

Kavita: Shahid, humara kaam bigadta ja raha he... Us Sakshi ki wajah se Mansi to ab mujhse bhi zyada baat nahi kar rahi he...
Shahid: is Sakshi ne bich me akar sara khel hi bigad diya....
Kavita: mujhe lagta he sabse pehle is ladki ko hi sabak sikhana hoga....
Shahid: or wo kese....
Kavita: me janti hu uske saath kya karna he....
Wo kafi gehrayi se sochte hue kehti he.
Shahid: mujhe bhi batao kya karna he?
Fir Kavita Shahid ko apna plan samjha deti he. Jo sunkar Shahid ke chehre par shaitani hasi ajati he.
Shahid: bahot badhiya plan he ye to...
Kavita: sahi kaha.... Kayi baar badnami hi insan ki jaan le sakti he.... Ab bass dekhna Sakshi, tumhare saath kya karti hu me....


Radha or Santosh 2 din yahi rehne wale the, Aksh unhe pura Surat ghuma deta he, Mansi bhi har baar unke saath thi, usne bhi Radha or Santosh ko apne ghar walo se milaya tha. In short har kisi ki zindagi bass khushiyo se bhari hui thi. Or in khushiyo ke bich ye din kese nikal gaye pata hi nahi chala. Aaj Santosh or Radha bhi Mumbai wapis chale gaye the. Aksh ki Company me us AI ki First Batch bann kar tayar ho chuki thi. Aaj se har roz ek batch Manufacture honi thi. Waha Gujrat ke CM ke dwara har Transport Vehicles me ye machine lagana Anivarya bann chuka tha, waise Publicly is machine ko bass kuch Data Etc. Ke liye use karne ki baat thi. Lekin asliyat sirf CBI CM or Aksh jante the.


Aaj ka din sabke liye bahot busy tha, Aksh Gandhinagar, CBI Headquarter me Abhinav ke saath hi tha. Aaj hazaro Transport Vehicles me in machine ko fit kiya ja chuka tha. Gujrat ke har Transport Vehicles me is system ke lagne me kareeb hafta 2 hafta lagg jana tha.




Waha college me Shahid ek Teacher se kuch baat kar raha tha, or Shahid ki baat sunkar Teacher ghabra jata he.

Teacher: l.... Lekin in sab me to.. Me khud fass jaunga... Meri bhi to badnami hogi.... Upar se job chali jayegi uska kya?
Shahid: hmm... Yaha salary kitni he Sir ji aapko?
Teacher: 70,000
Shahid: thik he.... aapko is se bhi bade college me nokri dilva dunga... Or salary 90,000 plus dilwa dunga.... Ab kaho....
Ab aisi deal sunkar Teacher soch me padd jata he.
Shahid: soch lijiye.... Izzat se badhkar Paisa bhi he, or waise bhi agar aap ye nahi karte to yaha aapka rehna mushkil ho jayega....
Shahid ki sidhi sidhi dhamki sunkar Teacher kya karta, or waise bhi paiso ka lalach to insan se har chiz karwa sakta he.
Teacher: thik he.... Lekin, in sabme agar Police ayi to.....
Shahid: uski chinta aap na kare.... Bass jesa mene kaha he wahi hona chahiye...
Teacher: thik he.....

Fir Shahid waha se bahar ajata he. Or Kavita ko call kar ke ye sab bata deta he.


Shahid(mann me): ab maza ayega..... aise khel khelne me bahot maza ata he.... Hahahah


To Be Continued......

To aaj ke Update me bass itna hi, aaj humne dekha kese Mansi ke dil me bhi koi na koi feeling thi, jise wo shayad maan na nahi chahti thi. jaha Aksh ne thaan liya tha ke wo Mansi ko kuch hi dino me Propose karega to Wahi Sakshi bhi mann hi mann soch bethi thi ke wo bhi jald hi Aksh se apne pyaar ka izhar kar degi. Lekin sabse badi baat to wo raaz hi he, akhir Aman ke sapne me aya wo pal kya darshana chahta tha? Or Rana ka is raaz me kya haath tha? Uske Baap ne aisi konsi Aag ki baat ki jo bhujni nahi chahiye? Ab in sabka jawab to waqt ane par hi milega.


Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling 😊 😊
 

Top