SAAJAN
UPDATE—156
Main Paridhi didi ke kamre se nikal kar maa ke paas jakar so gaya…..kintu kuch ankhe aisi bhi thi jo abhi bhi jaag rahi thi…..unme need ki khumari ka abhi tak koi asar nahi huwa tha
Sandhya apne bistar me lete huye gahri need me apne purva janam ki yaado me tairte huye gote laga rahi thi.. kabhi uske chehre par dukh ki jhalak aa jati to kabhi gusse ki aag me uska jism tapne lag jata
Tabhi vaha ek parchhayi prakat huyi aur vo dhire dhire badhte huye sandhya ke jism me sama gayi jiske phal swaroop uska badan ekdam se bistar se kuch upar uth kar punah apni jagah aa gaya aur vo shant hokar need ki agosh me chali gayi
Neha chachi apne room me leti huyi paridhi didi ki tasveer dekhte huye anshu baha rahi thi….aur mann hi mann usse baate kar rahi thi
Neha (rote huye mann hi mann)—kaisi abhagin maa hu mai bhi ki jo apni beti ki mout par khul ke ro bhi nahi sakti.. mujhe maaf kar dena meri beti mai tujhe nahi bacha saki….mai bhi kitni majboor hu ki kisi ko teri mout ki sachchayi bhi nahi bata sakti…..lekin ek maa ka hriday to phir bhi rota hi hai na
Mai to ye bhi nahi janti ki ye bimari tujhe aayi kaha se……hame aaj raj ki chinta hai…..main janti hu ki agar use teri mout ka pata chala to vo toot kar bikhar jayega aur uske tootne se ye pariwar ka har sadasya hasna tak bhul jayenge mujhe maaf kar dena beti…..mai to bas roj raat ko akele me aise hi do boond pani baha leti hu to mann ko thoda tasalli mil jati hai…warna ab need aur aram kaha rah gaya hai meri zindagi me
Chandni mitali ke sath leti huyi to avashya thi parantu uski ankho me need ka namo nishan tak nahi tha….vo khuli ankho se aaj bhi usi scene ko rewind karke baar baar soch rahi thi jab Raj ne waqt par aakar uski jaan aur aabru ki hifajat ki thi
Jitni baar vo us bure hadse ke vishay me sochti utni baar tezi se uske dil me raj ke prati ek khichav sa badhta jata aur vo usme khichi chali ja rahi thi jaise ki chumbak kisi lohe ke tukde ko apni oor akarshit kar leta hai
Chandni (mann me)—agar raj ne us din samay par pahuch meri izzat na bachayi hoti to mera kya hota…..? mai aaj kisi kothe ki shobha badha rahi hoti ya phir khudkusi kar ke apni ye daagdar zindagi ka ant kar leti…raj ne apni jaan ki parwah kiye bina hi meri laaz bacha li……didi sahi kahti hain ki raj asadharan hai….kisi ke bhi dil me apni ek kabhi na mitne wali jagah bana leta hai
Kisi ki baat kyo karu…..mai to khud hi uski is ada par mar miti hu….har samay mera dil uske hi vishay me sochta rahta hai….aisa lagta hai ki ab meri zindagi me raj ke siwa sochne aur yaad karne ke liye kuch hai hi nahi
Mai uski taraf khichi ja rahi hu.....mera dil, meri aatma tak ab mere vash me nahi rah gayi hai usme bhi raj ne apna kabza kar liya hai…..kya mai raj se pyar karne lagi hu…..?
Kya raj mere pyar ko accept karega….? Kya didi aur unke pariwar ke sadasya mujhe swikar karenge….? Aur agar aisa nahi ho paya to phir mera kya hoga…..?
Yahi sab mann me guna bhag karte huye chandni ki ankh kab lag gayi usko khud hi malum nahi chal saka…divya apne kamre me mithi need so rahi thi….khair uske bare me kya baat karna jiska koi auchitya hi nahi hai….vo to 24 ghante apne saajan me hi khoyi rahne wali saajan ki premika hai….use saajan se pyar karne ke atirikta koi dusra kaam aata hi nahi hai aur na hi vo sikhna ya karna chahti hai iske siwa
Koyi Baat hai Tujhme Ki Tu Itna Yaad Aata hai
Ek Tera Pyar hi Mujhme Umango ko jagata hai
Kayi Janmo ka Nata hai, Sada Mujhko Lage aisa
Mohabbat Warna Koyi is tarah Thodi hi Lutata hai
Mujhe Mahsus hota hai, Koyi na Jhooth hai isme
Apni Palko Pe Tu hi, Fakat Mujhko Bithata hai
Mohabbat ke Siwa main To, Tujhe Kuch de nahi Payi
Mere Nakhro ko tu hi Sada Haskar Uthata hai
Suno Ek Raaz apne Dil ka, Main Tumko batati hu
Ek Tera Khyal hi Saajan, Meri Neede Churata hai
Ruchi didi bhi apne bistar me lete huye raj ke bare me hi soch rahi hain….ye to unka roj ka hi kaam hai…jab tak raj ki tasveer ko apne sine se lagakar ek aadh ghante usse baat na kar le unke dil ko sukun hi nahi aata hai
Dusri taraf jo sabse adhik is samay vichlit thi …jiski ankho ne to jaise need shabd ko hi bhula diya tha….jane kab se uski in neeli neeli jheel si ankho ne need ka swad nahi chakha tha…vo abhi bhi ek tasveer ko bistar me lete huye apni khoyi huyi ankho se apalak nihare ja rahi thi
Malmal se jada hua dunlop ka makhmali bistar bhi Priyadarshini ki ankho me need ki halki si bhi kharish paida nahi kar saka….vo bhi bilkul dusri divya hi ban chuki hai jo har samay bas saajan saajan ke naam ki tan mann me dhuni ramaye rahti hai
Priyadarshini (mann me)—mai kab aap se milungi....ab to ye virah behad asahniya ho gaya hai.....ankho se bahte aanshu oole ki bhanti pratit hote hain….sabhi ke hriday ullas se bhare huye hain kintu mere hriday me holika jal rahi hai….ye virahagni mujhe jalakar raakh kar degi….mujhe apne is sharir ke jal jane ka koi dukh nahi….he pawan dev.. mere sharir ki raakh ko uda kar mere saajan ke marg me bichha do….raakh par chalne se mujhe apne saajan ke charan sparsh karne ka anubhav to kam se kam prapt hoga.
Hawa ki Dekh Fitrat hai Bujhati Deep Chalti Hai
Par Jyoti Tere Prem ki, Har Pal Mere Sine me Jalti Hai
Mohabbat Ho Gayi Ek Baar Phir Ye Mit Nahi Sakti
Jawani Chahe Har Ek Roj Hum Dono ki Dhalti Hai
Tere Dil se Mila Hai Dil aur Khushbu Hai Saanso Mein
Magar Baho ki Ye Doori Mujhko Hardam Hi Khalti Hai
Tadap ka Kya Kahu Tujhse, Haal Tu Dekh Le Aa ke
Aas Tujhse Milan ki, Mere is Sine Me Palti Hai
Mohabbat ki Nahi Jati Ye To Khud se Hi Hoti Hai
Ab To Need Bhi Nahi Aati, To isme Meri Kya Galti Hai
Mai maa ke paas letkar paridhi didi ke vishay me sochne laga….unke room se mujhe jo sakshya mile vo behad choukane wale hain jinhone mujhe isse judi har kadi ke bare me punarvichar karne par vivash kar diya
Raj (mann me)—mujhe ab thoda open hona padega…..ab se main har kisi ko ek ek kar ke bahar ghumane le jaunga daily…..isse mujhe unko sahi tarah se samajhne aur samjhane me madad mil sakegi….shuruwat kal neha chachi se karta hu….mujhe unke mann se dukh ka gubbar bahar nikalna hoga
Paridhi didi ke mout ke rahasya ko bhi suljhana hai…..bahar ka koun hai ye to main samajh gaya kintu isme ghar ka koun shamil hai iska pata lagana hai abhi…aisa koun hai jise paridhi didi ke secret locker ke bare me jankari hai… jisne badi hoshiyari se unki diary badal kar uske page gayab kiye
Vo locket chanchal ke paas se yaha didi ke paas kaise aaya aur unki diary chanchal ke room me kisne rakhi….? Vo jo bhi hai jarur mujh par nazar rakh raha hai
Aur sabse bada sawal aur choukane wali baat ki vo cheez jo paridhi didi ne us shakhs se chheeni thi uske paas kaha se aayi….? Mujhe uske jariye hi paridhi didi ki mout ka raaz pata chal sakta hai…..jaldi hi kuch karna hoga mujhe ya shayad kal hi mai is par amal karna shuru kar dunga
Divya ko bhi maa se milana ab bahut jaruri ho gaya hai…..ye kaam bhi jaldi hi ab karna hoga mujhe….ye sab vichar karte karte main bhi so gaya
Subah meri need kisi ke mera sar sahlane se khuli to dekha ye maa thi jo paas baith kar mere sar me hath pher rahi thi..main bhi unki god me apna sar rakh diya….tabhi maine dekha ki dusri taraf ruchi didi bhi baithi mujhe hi dekh rahi thi
Raj—g.m. didi
Ruchi—my sweet betu…g.m.
Payal (aate huye)—uth gaye laat saab….ruk main coffee bana ke lati hu
Sandhya—aap rahne do…main bana deti hu
Payal—nahi….raj ke liye to sirf main hi banaungi
Ruchi—use hi banane de sandhya….raj ka koi bhi kaam vo kisi aur ko nahi karne deti…vo khud hi karti hai…tu aa baith
Payal—haa….aur ye baat sab ko achche se samjha dena maa….baad me kisi ko bura lage to mujhe dosh na dena
Kuch der me payal didi coffee le aayi to pine ke baad main fresh hone chala gaya…uske baad sab ke sath baith kar nasta karne laga
Nani—tu ghar ka malik hai..tu samne ki chair par baitha kar
Raj—na nani....ye kaam aap ko karna chahiye
Nani—ye mujhe shobha nahi deta beta
Raj—to phir chachu vaha baithenge
Mitali—ye mardo ka kaam hai….tu hi kar samjha
Awadhesh (sakpaka kar)—ha raj….ab tu hi is ghar ka mukhiya hai
Neha—vaise bhi us chair par baithne ka haq uska hi hai jiski baat sabhi mante ho…aur vo tu hai…aaj se tu vaha baithega…samajh gaya
Payal—correct chachi
Raj—theek hai....par mere kuch niyam honge jo sabko manna jaruri honge....phir main unme laparwahi bilkul bhi bardast nahi karunga....sab achche se soch lo
Roopa—tu bol kar to dekh...jaan bhi hazir hai teri ek awaz par
Veer—raj maine chandni ka admission kara diya hai
Raj—ab is mrinal ka bhi kara de lage hath
Veer—kyaaaaa.... ? pagal hai vo
Mrinal—pagal kisko bola..... ?
Veer—mai pagal
Mrinal—ha.....phir sahi hai
Veer—mai isko padhane ke liye ghar me Teacher ka intazam kar dunga…vo shaam ko aakar mil legi
Raj—ok
Veer—shaam ko madam ayegi usse milne ko aur achche se baat karne ko bol dena ise
Mrinal (mann me)—Fatichar……lagta hai yaha padhaane wali ko Fatichar madam kahte hain
Mrinal—ha...ha...mai sab samajh gayi....mera dimag bahut tez hai...sab jaldi hi samajh jati hu main
Raj—neha chachi chalo aaj mai aur aap kahi shopping kar ke aate hain
Avni—mai bhi chalu.... ?
Diksha—bhaiya mai bhi
Raj—no....abhi sirf mai aur neha chachi
Neha—kyaaa mai..... ?
Raj—kya apko mere sath jana pasand nahi chachi..... ?
Neha—arey nahi pagle…..mai to bahut khush hu ki mere bete ne aaj pahli baar mujhe ghumne le chalne ki baat ki hai
Geeta—kabhi mujhe bhi ghumane le chal
Raj—sabko le chalunga roj one by one....aaj neha chachi.....kal nani
Nani—jio mere lal
Neha—kab chalna hai….?
Raj—aap ready ho jao…abhi chalte hain
Payal (dhire se)—vaha kisi ke sath nain matakka mat karne lag jana nahi to teri tange tod dungi samajh gaya na
Raj (dhire se)—haaye…dil karta hai abhi apko chum lu
Payal (dhire se)—mai to teri hi hu...jo chahe kar
Thodi der baad neha chachi ready hokar aa gayi to main unke sath ghumne nikal gaya…..maine kuch khane pine ka saman liya aur ek sundar si ekant jagah par aa gaya
Neha—kitni sundar jagah hai...wow...thank you raj beta
Raj—isme thanks ki kya baat hai….jaise mere liye maa hai vaise hi aap ho
Neha—mai janti hu….mujhe naaz hai apne bete par
Raj—kitni shant jagah hai
Neha—aur beautiful bhi….abhi tak mujhe pata hi nahi thi ki yaha aisi sundar jagah bhi hai kahi….tujhe ye kaise malum huyi
Raj—mai ek baar paridhi didi ke sath yaha aa chuka hu…unhone hi mujhe bataya tha…(jhuth)
Paridhi didi ka jikra aate hi chachi ka chehra murjha gaya….na chahte huye bhi unki ankhe nam ho aayi lekin unhone jaldi se muh dusri taraf ghuma kar apni ankho me aa rahe pani ko saf kar liya…par main ye sab bade dhyan se gour kar raha tha
Raj—paridhi didi kab ayengi chachi…mujhe unki yaad aati hai
Neha (udas)—aa jayegi….chal ab chalte hain
Raj—chachi paridhi didi kaha gayi hain.... ?
Neha—bahar kahi tour par gayi hai....ab ghar chal
Raj—mujhe unka contact no. do ya phir unka address…mujhe baat karni hai
Neha—mujhe nahi malum…..ab koi sawal nahi…sidhe ghar chal jaldi se
Neha chachi ab hadbadane lagi thi…..unki ankho me baar baar pani aa raha tha….unhe darr tha ki kahi jis baat ko vo mujhse chhupana chahrahi hain vo unke anshu jahir na kar de….chachi uth kar chal di
Raj—aap ko pata nahi hai ya aap mujhe batana nahi chahti…..? vaise mujhe sab pata hai
Chachi ke aage badhte kadmo par jaise kisi ne lohe hi bediya daal di achanak se unke kadam apni jagah par ruk gaye meri baat sunte hi….apni ankhe pochh kar vo dhadakte dil ke sath palat kar mujhe dekhne lagi
Raj—haan…mujhe sach pata hai
Neha (darte huye)—kkkkyyyaaaa pata….haiii…tujheee….?
Raj—vohi jo aap mujhse chhupana chahti ho
Neha—mai kuch…nahhhii…chhupppaaa…raaahiii aur bhala main tujhse kya aur kyo chhupaungi
Raj—to mere sar me hath rakh ke kah do ek baar ki aapne abhi paridhi didi ke bare me jo kuch kaha vo sab sach tha
Neha—mujhe koi hath nahi rakhna bas…ghar chal
Raj—samajh gaya….sab ki tarah aapne bhi mujhe dhokha diya…..mere vishwas ka gala ghonta…..aap se theek to meri paridhi didi thi jinhone meri jaan bachane ki khatir apni qurbani de di
Neha (shocked)—tumhari jaan bachane ki khatir…….?
Raj—haan….mujhe pata hai ki aap unki mout ke bare me mujhe nahi batana chahte…lekin ye to mujhe yaha aate hi malum ho gaya tha
Neha (ghabrate huye)—kkkisne kaha tumse…..?
Raj—chachi…shayad aap bhul rahi ho ki mera naam Raj kyo rakha gaya tha…..? Raj Ek Raaz hai
Neha chachi akhir toot gayi aur vahi dhadam se niche baith kar dahad maar maar ke rone lagi…..maine unhe rone diya.. unke mann ko halka karna jaruri tha warna unke sine me daba ye dukh aur anshu unhe andar hi andar khokhla kar dete
Neha (rote huye)—mai apni beti ko nahi bacha saki…..raj beta mai teri paridhi didi ko nahi bacha saki…..vo mujhe akela chhod ke chali gayi
Raj—didi ne jo qurbani di hai vo aaj ke samay me koun deta hai is matlabi rishto ki duniya me…..aaj jaha har khoon ka rishta sirf ek fareb hai….aaj har rishta bemani hai…bhai ka bhai dushman, baap khud apni betiyo ko hawas ki aag me jhok dete hain, beta apni maa bahan tak ko nahi chhodta, aaj samaj ka har rishta sirf daulat aur hawas ka rah gaya hai….vahi paridhi didi ki qurbani ek adarsh hai…..anshu baha kar unki qurbani ka niradar mat karo chachi
Neha (hairan)—kaisi qurbani…..? mujhe bata..tujhe meri kasam raj…mujhe sab bata
Raj—aap ko pata hai didi ko cancer ki bimari kaise huyi…..?
Neha—nahi….mujhe jab pata chala tab bahut der ho chuki thi….aur us samay ilaz ke liye hamare paas paise bhi nahi the…to jyada ilaz bhi nahi ho paya uska….aur jab paise aaye to vahi chali gayi….mujhe sach bata raj
Raj—unhe ye bimari meri vajah se huyi ……?
Neha (shocked)—tumhari vajah se....par kaise..... ? tum to yaha abhi aaye ho 16 saal baad..jabki cancer to use pahle hi ho chuka tha tumhare aane se pahle
Raj—aane se pahle nahi balki mere yaha se jane se pahle bachpan me hi.....jab unhone meri mout ko khud apne upar le liya
Neha (hairan)—teri mout ko...... ? mujhe poori baat bata raj….akhir aisa kya raaz hai…jo aaj tak kisi ko nahi malum…?
Raj—to suno…..
Phir maine unko paridhi didi ki diary wali likhi ghatna chachi ko bata di……jise sun kar unke pairo tale se jamin khisak gayi…..maine didi ki diary apni jeb se nikal kar unke hath me rakh di….use padhte hi unki ankho se anshu kisi jharne ki tarah jhar jhar bahne lage
Vo diary padhti gayi aur roti gayi….kuch der tak rone ke baad vo uth kar khadi huyi aur mujhe jor se apne sine se laga liya…aur mere mathe ko chumne lagi
Neha (sisakte huye)—aaj mujhe apni beti par fakra hai....aaj tak mai uski mout par chhup chhup kar anshu bahati rahi lekin ab nahi….usne to qurbani di hai…mari nahi hai vo….meri beti to amar ho gayi hai….mujhe garv hai uski maa hone par
Raj—ha chachi…didi bahut mahan hain....aap ko maine kayi baar akele me rote dekha hai jo mujhe apni didi ka apman lagta tha…isliye aaj main apko yaha lekar aaya hu ki unka apman mat karo
Neha (ankh pochh kar)—nahi ab nahi roungi kabhi main apni beti ke liye…..lekin vo hain koun jisne hamare hi ghar me rah kar itna sazish racha tujhe maarne ki….? Ek to pakka jeth ji rahe honge….dusri vo aurat koun hain…? Mujhe bata main uske tukde kar dungi jisne tujhe maarne ki koshish ki…..bata mujhe
Raj—sachchayi shayad aap na sun sako…isliye jane do
Neha—nahi mujhe janna hai….tujhe maine kasam di hai yaad rakh
Raj—theek hai to suno….unme se ek apke pati uday chachu the jinhone mujhe marna chaha….yahi nahi meri bahno aur chandni par apni gandi nazar dali
Neha (jor se)—raaaajjjjjjj……..…….ye jhuth hai……aisa ho hi nahi sakta…..jarur tujhe galat fahmi huyi hai
Raj—kash ki ye jhuth hota to chachu aaj jinda hote
Neha (shocked)—kkkkyyyaaa kahaaa…..tune…..?
Raj—ha….uday chachu ab is duniya me nahi hain…….maine unhe maar diya jaan se
Neha (chillate huye)—raajjjj…chatttaakkkkk…….chatttttaaaakkkkkk….. chatttaaakkkkk…….chaattttaaakkkkk…..kah de ki ye sab jhuth hai
Raj—ye sach hai..chachi
Neha (rote huye)—mat bol mujhe apni gandi juban se chachi……achcha sila diya tune mere pyar ka…….meri mamta ka badhiya mazak udaya…..akhir apna khoon apna hi hota hai……tune ek bahan ke balidan ka achcha karz ada kiya hai uske baap ko maar kar….uski maa ko vidhwa bana kar…..dur ho ja meri nazro se…….aaj ke baad mujhe apni shakal bhi mat dikhana…..mar chuka hai tu mere liye….chala ja yaha se
Raj—ye baat mujhe uday chachu ne hi batayi thi…..aur phir bhi aap ko mujh par bharosa nahi hai to aap mitali chachi aur chandni se puch lo jiske sath unhone ye wahiyat harkat karne ki koshish ki thi jiske karan chandni mousi yaha rukna nahi chahti thi…agar maine samay par pahuch kar unhe bachaya nahi hota to aaj vo bhi mar chuki hoti
Raj—chaho to veer se puchh lo…..mere kahne par usne chachu ko chhod rakha tha warna kab ka khatam kar deta vo
Neha (rote huye)—mujhe teri kisi bhi baat ka bharosa nahi
Raj—chachu ne mujhe ye bhi bataya ki aap abhi tak kuwari ho
Neha—ooohhhh to isliye teri niyat kharab ho gayi mere upar isliye yaha akele me lekar aaya hai…..ab to mujhe lagne laga hai ki meri beti ke sath bhi tune hi kuch kar ke mar diya hoga
Raj (chillate huye)—chachiiiiiiiiiii…..aap tab se anap shanap bake ja rahi hain aur main sunta ja raha hu lekin mere swabhiman ke sath khilwad nahi karna kabhi…..main har cheez bardast kar lunga lekin swabhiman par aanch tak nahi
Neha (rote huye)—mujhe ghar chhod de
Raj—aur haan…..jo main batane yaha apko laya tha ki……paridhi didi jinda hain……jaldi hi main unhe apke paas le aunga
Neha (sisakte huye)—aur kitna jhuth bolega tu……hamne apne samne use marte huye dekha hai….uski chita jalte dekhi hai maine..samjha
Raj—mujhe jo kahna tha maine kah diya……aaj jitni taklif mujhe apki bato se huyi hai utni to mujhe tab bhi nahi huyi thi jab sab apno ne mere sine ke aar paar khanjar ghopa tha…..theek hai aaj ke baad meri shakal apko dekhne ko nahi milegi….chaliye….aur maine jo kaha vahi sach hai
Mera mood kharab ho chuka tha to main uske baad chup chap unhe lekar ghar chhoda aur phir bahar nikal gaya….Vahi dusri taraf
TBM—hahahaha……dekhi hariya hamre makadjal me kitna dum hai
Hariya—ha sarkar….aap to bhesh badalne me mahir hain….kya jaal bichhaya hai aapne…..lekin Trikal ko kyo marwaya aapne….? Vo to apne kaam aa sakta tha
TBM—tu budbak ka budbak hi rahega sala chutiya……vo Trikal sasura hamse jyada taqatwar huyi gawa raha…..kabhi bhi khatra ban sakat raha hamre liye….isliye vo jhaantu ko hum marwaye diye…
Hariya—par usse raj ka ek majbut dushman to khatam ho gaya na…..?
TBM—sasur ke nati…jab tu paida huwa raha tab kukuriya tohre sar ma tang uthaye kar moot di rahi kaa..... ? Raj ka ek dushman kam huyi gawa to ukhri jagah ma Pari to azad huyi gayi na…..ab vo dekhna kaisan sab ki chaddi utaregi
Hariya—pahle aap Uday ka roop bana ke uske ghar ma ghuse….aur sara ilzam us uday par aa gaya…maan gaye guru apki roop badalne ki kabiliyat ko…koi nahi pahchan saka aaj tak apko
TBM (mann me)—budbak ….jab hum tera hi roop bana kar tohri lugayi ko din dahade pel aata hu to vo tak nahi pahchan pati hai ki hamra admi ragad raha hai ki koi aur to sala vo uday koun sa khet ka muli tha…hahaha
TBM—bas ab tamasha dekha….dur baith ke….hum kaisan apna hisab kitab karta hu ab
Udhar dophar me veer ne kisi madam ko mrinal ko padhane ke liye baat kiya to vo milne ke liye haweli aa gayi…. Veer ne use mrinal ke room ke paas chhod kar chup chap khisak liya jaldi vaha se
Teacher—excuse me…..aap me se mrinal koun hai…..?
Mrinal—mai hu mrinal…..kahiye kya kaam hai……?
Teacher—ji mai ek teacher hu….mujhe veer ne apko padhane ke liye bheja hai
Mrinal—achcha….achcha…..namaste Fatichar madam……
Teacher (shocked)—whattttt…..? ye kya badatmizi hai…..?
Mrinal—achcha apko bhi bada tamizi hua lagta hai….
Teacher—ye kya tarika hai baat karne ka….?
Mrinal—mai samajh gayi ki aap hi vo Fatichar madam ho….mujhe us balatkari ne sab bata diya tha
Teacher—koun balatkari….hai yaha……?
Mrinal—arey vahi….veer….vo bahut bada balatkari (chamatkari) hai…..tumhare sath bhi balatkar (chamatkar) kar dega vo…. Usi mutra ne bataya ki tum hi Fatichar madam ho…aao yaha baitho
Teacher—nahi…nahi….theek hai…mai chalti hu……mujhe bahut jaruri kaam hai
Vo teacher jaise aayi thi vaise hi mrinal ki bato se darr kar ulte paon haweli ke bahar bhag gayi….mrinal use rukne ko chillati rah gayi lekin vo ab kaha rukne wali thi
Mai ghar se nikal kar ek sunsan jagah par jakar baith gaya…….aaj neha chachi ki baato se mere dil ko gahri thes pahuchi thi….mai vahi baith kar khud ko normal karne laga
Jane kitni der tak mai vahi baithe baithe so gaya….jab need khuli to surya asta hone chala tha….vaha se uth kar main chanchal ke paas chala gaya
Mere aane se chanchal behad khush ho gayi…..aaj lunch nahi kiya tha to uske sath restaurent me jakar khana khaya…..kuch samay uske sath bitane ke baad mai saloni ke hospital chala gaya….
Raj—ek baar mujhe vo body dikhaiye
Saloni—aa jao
Main saloni ke sath us room me chala gaya jaha paridhi didi ki body ko bade hi secret taarike se rakha gaya tha ki koyi aagantuk agar use dhoodna chahe to na khoj paye….main bade dhyan se body ka nirikshan karne laga
Saloni—aise kya dekh rahe ho itne gaur se ek dead body ko…..? she is dead raj…..paridhi mar chuki hai
Raj—nahi…paridhi abhi bhi jinda hai
Saloni (shocked)—whatttt.... ? ye kaise ho sakta hai.... ? jabki dead body tumhare samne hai…
Raj—theek vaise hi jaise ki paridhi ki ek dead body ka pahle antim sanskar ho chuka hai
Saloni—to kya vo paridhi ki body thi….? To phir ye koun hai….?
Raj—na to vo paridhi thi aur na hi ye paridhi didi ki body hai
Saloni (shocked)—kyaaaa….? To paridhi kaha hai….?
Raj—baat asal me ye hai ki…….
( Current Update Size : 4186 Words )
Next update….Rajgarh ka Raaz