Incest SAAJAN

Well-known member
3,825
7,371
143
Dosto,

Is kahani ko maine 10 chapter me devide kiya hai…..ye kahani hai……Saajan aur Divya ke agadh Sachche Prem ki, Jaha Hawas ke liye koi jagah nahi hai… Sirf aur sirf Real True Love hai, ye kisi ek janam ki prem kahani nahi hai….balki ye to dono ke pichchle lagatar saat janmo ki Love Story hai….Ye story incest based bhi hai…

Ye kahani hai pyar ki, atoot vishwas ki, dosti ki, dhokha aur nafrat ki, Sex ki…..aur hairat angej ghatnao aur kriya kalapo ki…….

Kya Saajan aur Divya ka Pavitra, Nishchhal, Nihswarth, Nishkaam Prem Safal hoga….? Kya unke is Prem ko ye samaj swikar karega…? Kiski kiski Bali chadhegi is Prem par…? Kya hoga anjam is Prem ka..?



《 INDEX 》
SAAJAN
5th Janam Ki Love Story
Update 《233》
Update 《234》
Update 《235》
Update 《236》
Update 《237》
Update 《238》
Update 《239》
Update 《240》
Update 《241》
Update 《242》
Update 《243》
Update 《244》
Update 《245》
Update 《246》
Update 《247》
Update 《248》
Update 《249》
Update 《250》
Present Time
Update 《314》
Update 《315》
Update 《316》
Update 《317》
Update 《318》
Update 《319》
Update 《320》
 
Last edited by a moderator:
Well-known member
3,825
7,371
143
SAAJAN
UPDATE*193

Itne me bhi vo nahi ruka usne uske sharir ko poori tarah se cheer phad diya apne nukile nakhuno se aur gardan ukhad kar alag kar di….uss pratiyogi ke sharir se khoon ka ek favvara nikla aur uss jeev ko poori tarah se rakta ranjit kar diya.

Ye bhayanak drishya dekh kar sabne darr ke maare apni apni ankhe aur kaan band kar liye the….vo jor jor se khushi me uchhalte huye apni iss jeet ka attahas karne laga kintu uski ek baat ne mujhe chounka diya.

Jeev (attahaas karte huye)—hahahahahaahhaahaha…..bhag raha tha……hahahahaha

“Mout Se Bhi Bhala Koi Bacha Hai Aaj Tak”

Usne uth kar nagriko ki taraf badhna shuru kar diya jor jor se attahaas karte huye...tabhi ek awaz ne uske kadam rok diye.

"Ruk Jaooo"

Ab Aage.......

Sara jan samudaay chakit hokar uss awaz ki disha me dekhne laga....samucha raj pariwar bhi hairan tha ki ye koun hai jisne uss khatarnak jeev ko rokne ka dussahas kiya hai....Vo jeev apni lal lal ankho se usko rukne ko kahne wali ki taraf ghurne laga.

Uss jeev ko rukne ke liye kahne wala koi aur nahi balki main khud hi tha.....vo aage badh kar kisi aur ko koi nuksan pahuchaye isse pahle hi usko rokna avashyak tha.

Payal (hath pakad ke)—rajj....ye kya pagalpan hai.....chal baith chup chaap

Raj—didi pls

Senapati—aye….murkh ladke koun ho tum…..? kya tumne pratiyogita ki shart nahi suni….? Chup chaap baith ja apni jagah par....warna rajagya ka ullanghan karne ke jurm me qaid kar liya jayega.

Raj—main koun hu ye janna avashyak nahi hai kintu pratiyogita ke naam par ye khooni khel aaj ke baad nahi hoga aur yahi avashyakta bhi hai.

Senapati dwara mujhe dhamki dene ki baat se payal didi ke tan badan me aag lag gayi....vo gusse me tamtamate huye uth khadi huyi.

Payal (khadi ho kar)—ye..chapad ganju......jyada chabad chabad ki to yahi teri gardan uda dungi.....kuch bhi bolne se pahle achche se soch lena ki tu baat kisse kar raha hai....ja kar baith apni jagah par bina chu cha kiye....

Payal didi ki baat ne jaise kohram macha diya......sab bhouchakke ho kar hamari taraf dekhne lage....sab ke mann me ye sawal uthne laga ki ye koun hain jisne raja ki agya ko manne se inkar kar diya aur unke samne hi senapti ko khari khoti suna diya....itna hi nahi uss jeev se bhi panga lene ko taiyyar hain.

Senapati—agar tujhme iss pratiyogita ko band karne ki himmat hai to aa ja maidan me aur ek pratiyogi ki tarah samna kar iske sabhi charan ka.

Senapati buri tarah se aavesh me aa gaya tha apne liye sabke samne apman janak baate sun kar.....maine didi ko hath khich kar baitha diya.

Raj—didi..baitho ...apko kya jarurat thi aise bolne ki....janti ho ki vo koun hai..... ?

Payal (gusse me)—uski himmat kaise huyi tujhe dhamki dene ki...... ? muh noch lungi uska main.

Tabhi vo jeev gusse me aa kar stage ke upar kood ke chadh gaya aur raj pariwar ki vaha baithi ek ladki ka hath pakad kar ghasitne laga…..vo jor jor se chillane lagi.

Ye awaz sunte hi main ek baar phir se uth khada hua…….aur sidhe vaha se bheed ko cheerte huye uski taraf jane laga….payal didi aur sabne mujhe rokna chaha lekin maine unhe vahi baithne ko kaha.

Mujhe raste me sainiko ne rokne ki koshish ki lekin maine unhe jhitak kar uss jeev ke samne pahuch gaya…sab achambhit the.

Raj—ladki ko chhod do…….

Maharaj—yuvak tum jante ho ki tum kya karne ja rahe ho….? Kya tumne abhi iska anzam nahi dekha kuch der pahle jo apni mout ko dawat de rahe ho….? Kya tumne uss jeev ki taqat nahi dekhi……?

Raj (jor se)—kshama kare maharaj..kintu aaj se ye khooni pratiyogita nahi hogi.

Senapati (jor se)—achcha……theek hai to vo talwar hasil kar ke dikhao……tumhe bhi phir pratiyogita ke unhi char charno se gujarna hoga…….antar sirf itna hai ki ab ki baar tumhare har charan ke pratidwandwi koun koun honge…ye talwar khud tay karegi….baki niyam vahi rahenge……agar jinda bach gaye to tumhari salah par sochenge… ....hahahaah

Raj—mujhe manzoor hai.

Vo jeev mujhe kha jane wali nazaro se dekhne laga aur jor jor se chhati thokne aur gurrane laga….aur idhar sab ke beech me kanafusi chalu ho gayi…..hum jinke sath me aaye the vo sab hamare baare me puchne lage.

Ek admi—tum log kaisi biwiya ho….apne mard ko rokti kyo nahi….? Uss jeev ko maare bina koi talwar hasil nahi kar sakta…..samjhao usko

Dusra—ab samjhane se koi fayda nahi hai…kyon ki usne ladna swikar kar liya hai.

Neha—samajh me nahi aata ki ye raj ko kya ho gaya hai…..? kya jarurat thi iss musibat me taang adane ki usko…?

Paridhi—payal tumhi kuch samjhao.

Divya—kisi ko pareshan hone ki jarurat nahi hai…..agar unhone ye kadam uthaya hai to kuch soch kar hi uthaya hoga

Neha—gudiya tu bhi…?

Saloni—mere khyal se divya theek kah rahi hai…..aur paridhi ko usne kaise theek kiya hai ye baat mat bhuliye.

Tabhi mere charo taraf ek roshni ka ghera banne laga…..ghera bante hi ajib tarah ke jeev talwar se nikal kar ghere me aa gaye aur mujhe charo oor se gher liya….unke hatho me sabke talwar aur bhala the.

Ek sath sab mere upar toot pade aur apne hathiyaro ka prayog karne lag gaye….lekin mere sharir se takrate hi unke hathiyar do tukde ho kar bikhar gaye…..sab bas hairat se ankhe phade dekh bhar rahe the.

Unke hathiyar vihin hote hi ghere ka rang badal gaya aur vo sabhi ab kushti ke yuddh ke liye mujh par jhapat pade jaise hi unn sabne mujh ko charo oor se kas ke pakda…..vaise hi maine ek jor ka jhatka diya to sab ke sab uss ghere se aadhe bahar ja gire…..unke bahar girte hi uss divya talwar ne tabhi unn sabhi ke sir kalam kar diye.

Iske sath hi agla charan start ho gaya……ab ki baar bhi vahi jahreele jeev jantu mere samne aane lage aur har taraf se mere sharir se lipat gaye.

Vo sabhi apne jahrile daanto aur nakhuno se mere sharir ko kaatne ki koshish karne lage…lekin main shant khada raha achanak unke sharir me aag lag gayi aur sabhi uss aag me jal kar swaha ho gaye.

Maharaj aur senapati samet sari janta awak, ashcharya chakit ho kar ye drishya dekhe ja rahi thi….vo sab apni upar niche hoti saanso ko niyantrit kar sakne me bhi khud ko asahaj mahsoos kar rahe the….jabki rajguru kisi gahri chinta me doob chuke the.

Teeno charan poorn hone ke pashchat main talwar hasil karne ke uddeshya se uski oor badh gaya….kintu jaise hi main talwar ke paas jane laga uski roshni teevra hone lagi…..vo jeev turant chhalang laga kar mere samne aa khada hua.

Lekin maine usko nazar andaz karte huye apne lakshya ki taraf hi badhne laga…..aur talwar se nikalne wali roshni tez, aur tez, aur tez hoti chali gayi.

Uski roshni ab bahut jyada teevra ho chuki thi….itni ki kisi ko bhi kuch dekh pane me bahut mushkil pesh ho rahi thi…...vo jeev phir se mere samne aa gaya.

Sab log iss ghatna ko bade hi acharaj se kisi tarah dekh rahe the….halanki unki ankhe ye tez bardast nahi kar pa rahi thi aur unki ankho se anvarat pani bahne laga tha….tabhi unki ankho ke samne ek hairat angej drishya dikhayi dene laga jisne sabhi ko mantra mugdh kar diya.

Achanak mere sharir se bhi saat rango ki prakash tarange utsarjit hona shuru ho gayi….aur vo lagatar badhta hi chala gaya kuch hi pal me vo itna teevra aur vrihat ho gaya ki sab uski chapet me aa gaye.

Rajguru (hairan)—asambhav…..namumkin..‼! ye kaise ho sakta hai……?

Maharaj (apni ankho ko hatho se dhakte huye)—kya baat hai gurudev….? Aap bhi itne achambhit hain…? Akhir ye ladka hai koun…..? aur ye kaisa divya chamatkar hai…..?

Rajguru—main abhi khud bhi vismit hu maharaj……ye yuvak to meri bhi samajh seema se bahar hai.

Ek baar phir se sab aapas me khusar fusar karne lage the…..ye kya ho raha hai, kyo ho raha hai..ye kisi ki samajh me nahi aa raha tha.

Ek aurat—beti tum log koun ho…..? tumhara pati koi sadharan purush nahi lagta hai.

Ek admi—haaan….kaisi divya jyoti hai ye…….? Aap log koun ho aur kaha se aaye ho…..? kahi koi devta to nahi.... ?

Neha—hum bhi apki hi tarah insan hain......iss divya jyoti ke chamatkar se to hum khud bhi hairan hain.

Dusra admi—ye bilkul vaisa hi ho raha hai jaisa hamne kisse kahaniyo me suna tha..... ? nishchit hi aaj kisi devta ke charan hamari jamin par pade hain..... ?

Teesra admi—lagta hai ki ab hamare dukho ka ant nikat hai..... ?

Vaha har taraf indra dhanush ke akaar ki akruti nirmit ho gayi aur uska satrangi prakash nazar aane laga tha……uss satrangi prakash ne sabhi ko apne dayre me aakshadit kar liya tha.

Roshni itni teevra ho chuki thi ki ab sabhi ki ankhe band ho chiki thi……kuch hi samay me ye roshni itni jyada ho gayi ki sabhi ko apni ankhe band karni pad gayi……iss satrangi prakash ne talwar se nikalne wali roshni ko apne andar samahit shuru kar diya…..aur ye roshni nirantar tez aur tez hoti chali gayi aur kuch hi kshan me usne poore uss grah ko apni roshni se prakashit kar diya.

Magar iss douran aur kya kya ghatna ghatit huyi ye koi nahi dekh saka……dhire dhire ye roshni nirantar kam hone lagi jaise hi ye roshni samanya huyi to sabne apne nayan chakshuon ko khol liya.

Vo jeev ab bhi mere samne khada tha…..agle hi pal usne apni lambi jeebh se meri gardan ko charo oor se lapet liya aur mujhe apne karib khichne laga.

Lekin uski ye koshish nakam rahi….vo mujhe apni jagah se hila tak nahi paya…..jisse uska kroadh aur badh gaya aur usne bade nakhuno ko meri chhati me aar paar karna chaha magar ye bhi nahi kar paya….kyon ki jaise hi usne jor se apne nakhun gadane ki koshish ki to chattt kar ke uske nakhun toot gaye.

Ab to uske kroadh ka koi parawar na raha……usne aaveshit hote huye mujhe utha kar door phenk diya aur jor jor se garjana karte huye ek hi chhalang me mere upar aa gaya.

Upar aate hi usne dono hatho se meri gardan dabane laga…..lekin maine apna ek pair utha kar uski gardan daboch li aur usko door phenk diya.

Sab daanto tale ungliya dabaye…..apne nakhuno ko daanto se kutarte huye badi hi utsukta se …apni saanso ko thaame huye ye vilakshan yuddh dekh rahe the…..jisme kabhi uss jeev ka palda bhari hota to kabhi mera…aise hi utha patak dono me chalti rahi.

Dwandwa yuddh me jab uska koi vash nahi chala aur mujhe koi nuksan na hota dekh vo jeev ab mere upar aag ke gole phenkne laga…aur jor jor se hasne laga.

Lekin uske dwara chhode gaye aag ke ye gole mujhse takrane ke baad vapis palat kar ulta usko hi nuksan pahuchane lage…..ye dekh kar uski hasi me lagam lag gayi.

Iske pahle ki vo koi aur vaar karta Maine jump laga kar turant uss talwar ke paas pahuch kar usko jamin se ukhad liya…..talwar ke mere hath me aate hi ek jordar bijli kadki aur sidhe aa kar talwar ke upar gir kar mere sharir me sama gayi…….sabhi log apni apni jagah se uth kar khade ho gaye aur vo jeev adrishya ho gaya.

Sab abhi bhi bina palak jhapkaye dekh rahe the…..shayad unko aaj huyi ghatnao ne behad ashcharya me dal diya tha aur vo sadme jaisi avastha me pahuch chukethe.

Rajguru (chounk kar mann me)—Saaaaajjjjaaaannnnnn……‼

Unki ye tandra tab bhang huyi jab divya, paridhi aur payal didi khushi se kilkari marte huye meri taraf bhagi….aur aate hi teeno mujhse lipat gayi.

Hosh me aate hi sabne khushi se taliya baja kar uchhalna shuru kar diya…..maharaj khud apni jaagh se khade ho kar khushi se phoole nahi sama rahe the..kintu maharani ke chehre par abhi bhi udasi ke kuch badal the.

Maharaj—aaj main behad khush hu…..jane kab se ye khooni pratiyogita chalti aa rahi hai…..na jane kitne hi log maare ja chuke hain……kitni hi ladkiya apne mata pita se door ho gayi…..lekin koi uss talwar tak nahi pahuch saka…..aaj vo intazar ki ghadi samapt ho gayi hai…..hame iss pratiyogita ka vijeta mil gaya hai…..Yuvak tum koun ho….? Apna parichay do……ya phir koi devta ho jisne hamari vinti sun kar hamare kashto ke nivaran hetu aaye hain…? sari janta aaj tumhara swagat karna chahti hai……yaha samne aa kar apna puraskar grahan karo.

Raj—maharaj main apka aur sare jan samudaay ka aabhar vyakt karta hu…..maine jo bhi kiya hai vo kisi puraskar prapt karne ki lalsa me nahi kiya hai…..balki apna farz samajh kar kiya hai.

Senapati—apna parichay do yuvak….tumne suna nahi ki maharaj ne kya kaha hai…..? aur ye talwar iss rajya ki dharohar hai..iss par sirf raja ka haq hai….atah ye talwar idhar sounp do..

Rajguru—nahi yuvak….vo talwar tumne hasil ki hai aur uss par sirf tumhara hi adhikar hai….tumhe kisi ko sounpne ki avashyakta nahi hai.

Senapati—ye kaisi baat kar rahe hain rajguru…..ye divya talwar jisme kayi chamatkarik shaktiya hain…vo ek tutchh manav kehath me….? Iss par to sirf maharaj ka hi adhikar hona chahiye.

Payal—raj….la ye talwar mujhe…pahle main iski khopdi to uda du…bahut der se ye bak bak kiye ja raha hai

Raj—cool down didi.

Raj—theek hai senapati…..ye maine talwar jamin me gaad di hai….ab aa kar le jao isko….agar le ja sakte ho to

Senapati—sainik jao..vo talwar le aao

Do sainik darte darte jaise hi talwar lene aaye aur apna hath aage kiya vaise hi uss talwar ne achanak hawa me uchhal kar dono ki gardan uda di….senapati ke hosh hi ud gaye ye dekh.

Raj—inn sainiko ko kyo bhejte ho senapati….agar tumhare andar mardangi hai to aa jao aur le lo talwar.

Senapati sabke samne khud ko namard kahe jane se tilmila kar rah gaya kintu kar to kuch sakta nahi tha…usme itna samarthya to tha nahi ki talwar ko hath lagaye kyon ki iska anzam vo dekh chuka tha.

Maharaj—vo talwar tum apne paas hi rakho yuvak…..ye pratiyogita jeetne ke phalswaroop hum tumhe vrihadpur ka qila aaj se tumhare adhikar me dete hain…..aur sath me ek vishesh puraskar bhi tumhe dene ka nirnay kiya hai hamne jiski ghosna hum kal karenge.

Raj—maharaj…aur sabhi janta se mera anurodh hai ki vo mujhe apne aap se alag na samjhe…main koi devta nahi hu sab ki hi tarah ek aam insan hu…..mujhe koi inam ki lalsa nahi hai…..mera naam Raj hai…..Thakur Raj Vardhan Singh. Main aap sabse vada karta hu ki bahut jald hi rajya se gayab huyi ladkiya apne apne mata pita ke paas phir se vapis ayengi.

Senapati—tu koi bhagwan hai jo vapis la dega.

Aur tabhi chatttaaakkkkkkk......sara jan samuday aur raj pariwar sakte me aa gaya ..iss aakasmik ghatna se...hua ye ki senapati ne jaise hi mere baare me bola...mere bagal me khadi payal didi bijli ki si tezi se uske paas pahuchi aur jor ka thappad jad diya uske gaalo par....senapati niche se upar tak jhanjhana gaya.

Payal (jor se)—bahut der se teri bak bak sun rahi hu.....ab agar ek shabd bhi tere muh se nikla to yaha tu nahi balki teri sar kati laash padi hogi...thuuuu

Maine jaldi se payal didi ko pakad ke apne paas kiya.....inko kahi bhi le jana bhi ek musibat hi hai...senapati apne gaal sahlata hua gusse se dekh raha tha.....aisa apmanit aaj vo pahli baar hua tha vo bhi sab ke samne.

Senapati (chillate huye)—sainiko...giraftar kar lo..iss magroor ladki ko....isne rajya ke senapati ke upar hath uthane ka jurm kiya hai....

Maharaj—ruko.....koi kuch nahi karega....galti tumhari hai senapati......aur raj ham chahte hain ki aaj tum hamare mahal me hi ruko...jisse hum tumhara samuchit swagat kar sake.

Raj—theek hai maharaj....hum kuch samay ke liye mahal chalne ko taiyyar hain kintu adhik samay tak rukne me asmarth hain...main kshama chahta hu.

Uske baad maharaj ne mujhe haar pahna kar aur vrihadpur ke qile ki ek chabi dekar sammanit kiya....senapati aag babula hota raha...iske baad hum sab rajmahal aa gaye.

Mahal kafi vishal tha......hamare liye ek kamre ka intazam kar diya gaya.....thake hone ke karan sab fresh hone lage dusri oor rajguru abhi bhi gahan chintan me doobe huye the.

Maharaj—kya baat hai gurudev..aap kisi gahri soch me hain..... ? kya koi gambhir chinta ka vishay hai.... ?

Rajguru—vishay chinta janak to nahi kintu vichar karne yogya avashya hai.

Maharaj—apka ishara kahi aaj ki ghatna aur vo yuvak raj ki taraf to nahi hai..... ?

Rajguru—main ussi vishay me vichar karne ki baat kar raha hu maharaj.

Maharaj—arthat..... ?

Rajguru—maharaj....aaj jo ghatna huyi usko dekh kar na jane kyo mujhe iss ladke me saajan ki chhavi nazar aa rahi hai....kyon ki aaj jo bhi hua vo saajan ke atirikta koi nahi kar sakta tha.....kintu main kisi niskarsh par pahuch nahi pa raha hu.

Maharaj (kuch vismit)—gurudev...kahi aap divya aur saajan ki baat to nahi kar rahe...... ?

Rajguru—haan maharaj..main ussi saajan ki baat kar raha hu.

Maharaj—gurudev..agar aisa hai to main to dhanya ho gaya.....aap jaldi se apni yog sadhna ke dwara raj ka parichay pata kariye....main aur mera rajya kritarth ho gaya aaj uske aane se.

Rajguru—main bahut prayatnn kar chuka hu maharaj....kintu main jab bhi dhyan laga kar raj ke vishay me kuch janne ka prayas karta hu to sirf ek divya aloukik prakash ke siwa kuch bhi nazar nahi aata.....meri sabhi shaktiya bahut choti nazar aane lagti hain uss tez punj ke samne.

Maharaj—tab to ye sabhi baate yahi ingit karti hain ki vo jarur saajan hi hoga jisne phir se janam liya hai....apke vichar me kya karna chahiye.... ?

Rajguru—dekhta hu.....aaj ratri me apne gurudev se baat karunga dhyan laga kar.

Hum sab poore raj pariwar ke sath baith kar shahi bhojan karne lage....maharani ke chehre par udasi abhi bhi thi bhojan ke pashchat humne maharaj se vrihadpur jane ki izajat mangi.....lekin vo mana karte rahe....kintu mere jaldi hi vapis loutne ki baat se badi mushkil se unhone jane ki ijazat di...aur sath me ye bhi bataya ki vrihadpur ka qila tilismi hone ke sath hi sath abhishapit bhi hai.

Hum mahal se nikal kar apne agle padav ki taraf badh gaye....Abhishapit aur Tilismi Vrihadpur ke Rahasyamayi Qile ki taraf......
(3363 words)
 
Well-known member
3,825
7,371
143
SAAJAN
UPDATE- 194 (A)

Hum sab poore raj pariwar ke sath baith kar shahi bhojan karne lage....maharani ke chehre par udasi abhi bhi thi bhojan ke pashchat humne maharaj se vrihadpur jane ki izajat mangi.....lekin vo mana karte rahe....kintu mere jaldi hi vapis loutne ki baat se badi mushkil se unhone jane ki ijazat di...aur sath me ye bhi bataya ki vrihadpur ka qila tilismi hone ke sath hi sath abhishapit bhi hai.

Hum mahal se nikal kar apne agle padav ki taraf badh gaye....Abhishapit aur Tilismi Vrihadpur ke Rahasyamayi Qile ki taraf......

Ab Aage.......

Mahal se nikal kar hum apne agle padav ki taraf agrasar ho chale.....vrihadpur ki seema tak ke liye maharaj ne rath aur sarthi ki vyavastha kar di thi....maine bhi unke prastav ko aswikar nahi kiya kyon ki mujhe bhi jaldi ghar bhi loutna tha.

Neha—raj...maharaj ne aisa kyo kaha ki vo mahal abhishapit hai.... ?

Raj—mujhe kya pata.... ? ab ye to vahi jane ke baad malum ho sakta hai.

Neha—to kya vaha khatra bhi ho sakta hai……?

Raj—agar vo mahal abhishapit aur tilismi hai to nishchit hi khatro ka samna karna padega vaha jane ke baad.

Payal—lekin hame vaha jane ki jarurat hi kya hai……? Tum bhi na raj.....tumhe maharaj se yaha se aur iss black hole se bahar nikalne ka upay puchna chahiye tha.....lekin nahi...janab ko to khatro me taang ghusana jyada achcha lagta hai... tere chakkar me dekh main gori se kali hoti ja rahi hu.

Raj—to theek hai...main aap sab ko yahi mahal me chhod deta hu....tab tak aap log mera yahi loutne ka intazar karna.

Payal—tu achche se janta hai ki yahi to nahi kar sakti main.

Raj—Janta hu tabhi to sath me le ja raha hu.

Neha—vaise payal ne jo pucha usme dum to hai raj...akhir uss qile me hum jaye hi kyo.... ? bina vajah khatra mol lena kaha ki akal mandi hai.... ?

Payal—vahi to...

Divya—chachi shayad aap ye bhool rahi hain ki minakshi yaha ke black hole me hi kahi qaid hai.....usko liye bina hum yaha se bahar nahi nikal sakte kyon ki uske paas jo mani hai .....uske jariye hi yaha se bahar jane ka rasta mil sakta hai.

Neha—to minakshi ki talash karo na.....iss qile me jane se kya fayda...ulta kahi koi durghatna ho gayi to mai didi ko kya muh dikhaungi..... ?

Divya—chachi minakshi ko aisi hi kisi khatre wali jagah me qaid kiya gaya hoga......warna vo kab ki azad ho chuki hoti isliye hame iss grah ki har uss jagah ko ja kar check karna hoga jaha par bhi jyada se jyada khatra ho...aur jaha koi bhi aata jata na ho.....yahi vajah hai ki hum iss qile me ja rahe hain.

Payal—ohhhh..to ye vajah hai.....lekin ye tujhe kaise malum..... ?

Divya—ye common sense hai didi…..aur shayad aap bhool rahi ho ki mai state topper hu.

Raj—wah…kya baat hai my sweet darling……uuuuummmmmm

Payal—ye bas kar…..uske gaal kha jayega kya…..ruk…main bhi hu idhar….uuummmmmmm

Jab maine divya ko kiss karne laga to payal didi beech me kood padi…unhone hoth gaal kuch bakaya nahi chhoda to bhala paridhi kaise piche rahti….vo bhi toot padi….mere gaal aur hoth daanto se kaat liye teeno ne.

Neha (sar pakad ke)—kitni besharam ho gayi hain ye ladkiya bhi na…..

Raj—thodi si chumma chati aap ke sath bhi ho jaye neha darling….

Neha (sharma kar)—chal hatt besharam....kuch bhi bol deta hai.

Raj—par main to chummi lunga…kya pata qile me jane ke baad mouka mile na mile.

Neha—nnn..nahi…rajjj nahi…….uummmmmmmmmm

Maine neha chachi ko pakad kar pahle unke gaal dhire dhire jeebh se sahlane laga….aur phir apni taraf ghuma kar unke hotho par hamla kar diya……bechari laaz aur sharam se pani pani ho gayi…..unki ankho me maine saaf mahsoos kiya ki vo thoda garam ho gayi hain….vaise yahi haal payal didi aur paridhi ka bhi tha…unki ankho me bhi lal dore utar aaye the.

Saloni yachna bhari nazaro se meri oor dekh rahi thi….use nirash na karte huye maine dhire se uske hotho ko bhi choom liya….ye to achcha hua ki payal didi kiss ki madhoshi me khoyi thi isliye unka dhyan nahi gaya.

Raj—rath wale bhai…abhi ye vrihadpur kitni door hai…..?

Sarthi—bhai….abhi thodi der me hum uski seema me pahuchne hi wale hain….

Lagbhag ek ghante baad hum vrihadpur ki seema me pahuch gaye……usne aage jane se mana kar diya….hum seema me hi utar gaye.

Sarthi—bhai iske aage main nahi ja sakta…..vaise meri baat mano to aap log bhi seema me pravesh mat karo.

Raj—kyo yaha kya hai….? Khatra to qile ke andar hai, jaisa ki maine suna hai…phir tum seema me pravesh karne se hi darr rahe ho.

Sarthi—jisne bhi iss seema ko paar kiya vo kabhi lout kar nahi aaya…..vrihadpur me admi to kya koi janwar ya pashu, pakshi tak bhi nahi milega aap logo ko……poora ka poora ye nagar hi veeran aur shapit hai…..yaha ke mousam ka koi bharosa nahi ki kab badal jaye…..kab din ho jaye aur kab raat……vrihadpur ke darr se iski seema se 200 meel tak koi abadi nahi hai…..mujhe kshama kare aur yaha se vapis jane ki anumati de….main to kahta hu ki aap bhi mere sath hi lout chalo.

Divya—lekin aisa kyo hai….? Poora vrihadpur shapit kaise ho gaya….?

Sarthi—ye to koi nahi janta…..ye sab ek rahasya ban kar rah gaya hai….na jane kya hua tha yaha…na jane kya hai iska raaz….?

Raj—theek hai bhai….aap jao….achche se jana…..hum to jab yaha aa hi gaye hain to ab bina qila ghume to nahi jayenge.

Sarthi—jaisi apki marzi bhai….main chalta hu…pranam

Raj—pranam

Sarthi ke jane ke baad hum kuch der vahi aas paas ghum kar jagah ka jayza lene lage....sarthi ne jaisa iss nagar ke vishay me bataya tha vo wakayi me hairat angej baat thi.

Neha—mujhe to abhi se darr lag raha hai.

Payal—raj...maharaj ne to hame kewal qile bhar ke baare me bataya tha....lekin ye rath wala to kuch aur hi jyada bata gaya....kya uski baate hairan karne wali nahi lagti tumhe.... ?

Raj—hairan karne wali to avasya hi hain......vahi to main bhi soch raha hu ki aisa kya hua hoga yaha ki ye poora nagar hi ujad gaya……kya hai iss vrihadpur ka itihas…..?

Payal—itihas..... ?

Raj—haan....ye Qila aur iss nagar ka rahasya janne se pahle hame yaha se juda hua itihas janna hoga....kyon ki beeta hua kal hi vartaman ka aayina hota hai.....bina yaha ka itihas jane hum qile ka rahasya nahi suljha sakte.

Neha—hame yaha ka itihas batayega koun.... ? yaha to admi to door koi janwar tak nahi hai.

Divya—Jab yaha ka itihas kisi ko pata hoga tab to koi batayega na……mujhe poora yakin hai ki itihas ka pata hame qile ke andar jane par hi kahi na kahi milega…..hame yaha ke uss itihas tak khud hi pahuchna hoga.

Raj—bilkul sahi kaha darling tumne…..to sab ready hain mout ka samna karne ke liye.

Payal—dekh hum vaise hi dare huye hain aur....... tu aur dara raha hai.

Raj—main dara nahi raha hu balki haqiqat bata raha hu.....seema ke andar pravesh karne ke baad kya pata kis jagah kiski mout likhi ho.....ye koi nahi janta.

Payal—mujhe tujh par poora yakin hai...tu mujhe kuch nahi hone dega.

Paridhi—mujhe bhi

Divya—mujhe bhi

Neha / saloni—hame bhi yakin hai.

Raj—agar aisa hai to phir chalo andar…..mout par kis ka jor chalta hai.

Sab ne apne mann ko darte huye kada kar liya aur mere sath vrihadpur ki seema me pravesh karne ke liye chal diye… lekin jaise hi hamne seema ke bhitar pahla kadam rakha hi tha ki vaha achanak tezi se aag ki lambi lambi lapte uthne lagi….to hum piche hatke seema ke bahar aa gaye.

Hamare piche hote hi vo aag shant ho gayi…..hum phir se aage badhe aur seema me apna kadam rakha kintu iss baar aag nahi jali to hum andar ghus gaye…..andar jate hi vaha ke mousam ne angdayi lena shuru kar diya.

Achanak tez hawaye chalne lagi…..vaise to sham hone me abhi kafi samay shesh tha..kintu aisa lag raha tha jaise ki shaam bas abhi hone hi wali hai.

Hum lagatar aage badhte rahe….sab ki sab darr ke mare mujhse bilkul chipak kar chal rahi thi…..thodi si bhi koi aahat hoti to turant mere upar kood ke chadh jati.

Unke aisa karne se mujhe bhi chalne me dikkat ho rahi thi…..lekin main unhe kuch kah bhi to nahi sakta tha….akhir vo sab mere hi bharose par to iss khatranak jagah par aayi thi.

Har taraf ghor sannata pasra hua tha……kahi kahi jo ped lage huye the….vo sab ke sab aag se jale huye the….ek bhi ped aisa nahi dikh raha tha jo ki hara bhara ho…sab ke sab jale huye hi mil rahe the…….

Hawa ka rukh jaise jaise hum aage badhte ja rahe the vaise vaise aur bhi tez hota ja raha tha…..na to koi janwar tha aur na hi koi pashu pakshi…agar tha kuch to sirf sannata.

Agar kuch sunayi de rahi thi to inn tez hoti hawao ki saany saany karne ki goonj..jo aise shant veeran vatavaran me kisi ka bhi dil dahlane ke liye paryapt thi.

Payal—ye mousam kaise badal gaya achanak…..?

Paridhi—lagta hai yaha ke sab log aag lagne se maare gaye honge, isliye ye shapit hua hoga….?

Neha—hawa to tez hoti hi chali ja rahi hai...kahi thodi der rukne ki jagah bhi nahi dikh rahi hai.

Saloni—ye to bilkul vaisa hi dikh raha hai sab kuch jaisa ki uss rath wale ne bataya tha.

Hum chalte huye ek basti tak pahuch gaye.....basti to bas naam ki hi thi.....vaha kayi ghar bane huye the pattharo ke kintu unme rahne wala koi nazar nahi aa raha tha.

Lekin sabse badi acharaj ki baat to ye thi ki ye sabhi ghar ek jaise bane huye the aur sabhi ko dekh kar aisa lag raha tha jaise ki inko kuch din pahle hi banaya gaya ho...dusri sabse badi baat ki kisi bhi ghar me chhat nahi thi matlab ki kewal deeware hi thi...upar se poora khula hua tha.

Maine ek ghar ko andar se ja kar dekhne ka faisla kiya aur hum ek ghar ke andar ghus gaye....lekin jaise hi andar ghuse vaise hi vaha andar ka nazara dekh kar sabhi ki cheekh nikal gayi.
(2059 words)
 
Well-known member
3,825
7,371
143
SAAJAN
UPDATE- 194 (B)

Hum chalte huye ek basti tak pahuch gaye.....basti to bas naam ki hi thi.....vaha kayi ghar bane huye the pattharo ke kintu unme rahne wala koi nazar nahi aa raha tha.

Lekin sabse badi acharaj ki baat to ye thi ki ye sabhi ghar ek jaise bane huye the aur sabhi ko dekh kar aisa lag raha tha jaise ki inko kuch din pahle hi banaya gaya ho...dusri sabse badi baat ki kisi bhi ghar me chhat nahi thi matlab ki kewal deeware hi thi...upar se poora khula hua tha.

Maine ek ghar ko andar se ja kar dekhne ka faisla kiya aur hum ek ghar ke andar ghus gaye....lekin jaise hi andar ghuse vaise hi vaha andar ka nazara dekh kar sabhi ki cheekh nikal gayi.

Ab Aage......

Andar kamre me manav ke sir kate nar kankalo ka dher laga hua tha ....jabki dusre room me unke kate huye sir latak rahe the charo taraf deewar me.

Sabse adhik bhayavah baat ye thi ki sabhi nar kankalo ki haddiyo se taaza khoon tapak raha tha…jabki unn nar kankal me maans ka ek tukda tak nahi bacha tha phir bhi khoon tapak raha tha.

Vahi unn khopdi ke muh khulte aur band ho rahe the…..ye drishya dekhte hi sab buri tarah se darr gayi aur sabki cheekh nikal gayi….badbu itni jyada thi ki vaha pal bhar rukna bhi mushkil tha.

Sab cheekhte huye kamre se turant bahar bhag kar nikal aaye….iske baad aur kisi ghar me ghus kar dekhne ki ichcha hi nahi huyi..sabne pahle se hi hath khade kar diye the.

Neha—baap re…pata nahi aur kya kya dekhne ko baki rah gaya hai….? Abhi tak mera sharir darr se kaamp raha hai kya tha ye….?

Divya—ye to trailor tha chachi…..asli picture abhi shuru hi kaha huyi hai…..vo to qile me jane ke baad hi start hogi.

Payal—chup kar….ye raj kya kam tha jo ab tu bhi darane lagi.

Divya—meri pyari didi…..main to kewal vahi bata rahi hu jo aage hone wala hai…..khair mujhe kya….mat mano meri bala se.

Paridhi—vaise raj kya tha ye….?

Raj—ye sab tilismi jaal hain.....ye to yaha pag pag par kuch na kuch ajib dekhne ko milta hi rahega.

Divya—mera khyal hai ki hame kaise bhi kar ke andhera hone se pahle pahle qile ke andar chale jana chahiye... raat hone par khatra jyada ho sakta hai vaha tak pahuchne me..aur shayad hum yaha ki bhool bhulaiya me hi bhatakte rah jaye.

Raj—hmmmm....shayad tum theek kah rahi ho......hamara sabse pahla maqsad yaha ki har ajibo garib dikhne wali baat ko nazar andaz karte huye kisi tarah qile tak pahuchna hai....kyon ki yaha hone wali inn sabhi ghatnao ka talluk kahi na kahi qile se hi juda hua hai.

Payal—haa to chalo na...maine kab mana kiya hai.....ye ghar me ghus kar dekhne ka idea bhi tumhara hi tha samjhe.. idiot.

Hum basti ko paar karte huye aage nikal aaye…..achanak phir se vahi jungle wali ghatna piche piche chalne lagi… hum aage badhte ja rahe the aur piche ghana andhera phailta ja raha tha….maine iss khatre ko bhamp liya.

Raj—thoda tez tez chalo.

Divya—ab mujhse nahi chala jayega....ab yaha se mujhe god me utha ke chalo.

Raj—theek hai.... aa ja meri jaan.

Payal—mere badan me kaante dikhte hain kya tujhe jo tere gad jayenge.... ? mujhe bhi chadhna hai teri god me

Neha—raj tu apni power ka use kyo nahi karta…? Hum jaldi pahuch sakte hain qile me usse.

Raj—chachi darling….ye tilism hai….kisi bhi tilism ko shaktiyo se nahi balki uske har step ko paar karte huye hi aage jaya ja sakta hai…..yaha se qile tak ka rasta to hame paar karna hi padega.

Maine sab ke charo taraf ek majboot suraksha kawach bana diya jisse koi bhi adrishya shakti asani se kisi ko nuksan na pahucha sake.

Paridhi—lekin raj hame jana kidhar hai….? Vo qila hai kis disha me.... ? aise to hum yahi gol gol ghumte rah jayenge.

Divya—bilkul correct sawal kiya hai aap ne...ab lagta hai ki aap meri didi ho.

Payal—ye chup kar…ek to khud upar raj ke chadhi baithi hai aur hame gyan de rahi hai…chal utar niche…ab meri bari hai.

Divya—aap badi ho…main choti hu.

Saloni—paridhi ki baat to sahi hai raj…..akhir hame sahi disha ka to pata hona hi chahiye.

Raj—mujhe lagta hai ki qila yahi aas paas hi kahi hona chahiye…..shayad uss pahadi ke piche.

Payal—kyaaa shayad…..?

Neha—main to ab thak chuki hu…mujhse nahi chala jayega.

Paridhi (darte huye)—rajjjj….piche dekho.

Raj—sab samne dekho.....piche dekhne ki jarurat nahi hai kisi ko...

Paridhi—lekin ye kaise ho sakta hai ki yaha ujala hai aur hamare piche itna andhera..... ?

Raj—yaha kabhi bhi kuch bhi ho sakta hai....bahut rahsyamayi nagar lag raha hai ye.

Chalte huye hum ek shmashan ke paas pahuch gaye.....sab kuch shant tha vaha.....charo taraf sannata aur niravta ka vatavaran chhaya hua tha.

Neha—raj, tumhare paas itni shaktiya hain...ekadh hame bhi de do to tumhara kaam kuch aasaan ho jayega.....hum bhi kuch khatro ka samna kar payenge aur tumhe apni manzil talash karne me madad mil jayegi.

Raj—aap ko kya lagta hai ki ye sab saral aur sahaj hai..... ? kaise samjhau aap ko ki ye sab siddhiya aur sadhnaye sabhi logo ke liye nahi hain....sabhi nahi prapt kar sakte, sabhi nahi kar sakte......

Payal—kyo nahi kar sakte..... ?

Raj—iske liye bahut kasht uthana padta hai…..sansarik sukh, suvidha, anand aur tamam sansarik aakarsano ki sapne me bhi kalpana nahi karni padti….moh maya se bhi door rah kar sansar me, samaz me aur pariwar me jadwat aur shashwat rahna padta hai……tabhi ja kar manvettar shakti prapt hoti hai…….tabhi sab kuch sambhav bhi hota hai…… magar phir bhi manvettar shakti prapt kar lene ke baad vyakti ussi prakar sansar, samaz aur pariwar me apne apko sahaj aur vyavasthit nahi kar pata jaise main hu…….ek vichitra aur asahaj sthiti me ji raha hu main…..meri manas chetna aur meri aatm shakti deh ki seema ko laangh kar ek aise rahasyamay kendra ki oor unnamukh ho gayi hai, jaha shunya ke siway aur kuch bhi nahi hai……ek param shunya, ek virat aur sarv vyapak shunya se bharta ja raha hai mera jeevan aur astitva…….kabristan ki sari khamoshi aur sari niravta bikhar gayi hai mere charo oor……shmashan ki sari udasi aur sara vairagya bhar gaya hai mere jeevan ke kan kan me…ek nirashrit, ekaki aur sambalheen jeevan ji rahi hai meri aatma.

Neha—teri ye baate to mere sar ke upar se nikal gayi

Payal—mere bhi……

Paridhi—kab tak pahuchenge qile tak….? Ye andhera to hamara picha hi nahi chhod raha hai….parchhayi ki tarah piche hi lag gaya hai……ab to chala bhi nahi ja raha hai.

Raj—ruko main kuch vyavastha karta hu.

Maine vaha lage ek bade se ped ko ukhad liya……usme bahut sari moti moti tahniya thi……ki agar uske upar kayi log baith bhi jaye to vo tootengi nahi.

Raj—ab sab iss ped par baith jao…….main isko khich kar le chalta hu.

Sab bina koi sawal jawab kiye turant uss ped ki ek ek daal pakad kar baith gayi……maine ped ke nichle sire ko hath se pakad kar sarpat doud laga di.

Raste me kayi vichitra ghatnaye hoti rahi lekin mere suraksha kawach ke chalte vo hamara koi ahit nahi kar payi…. Inn adbhut drishyo ko apalak niharte huye main lagatar aage badhta gaya tabhi meri nazar ek qile par padi….Antatah hum uss qile tak pahuch hi gaye.

Door se hi dikh gaya vah qila…..choti choti pahadiyo se ghira ye qila kafi rahasyamay lag raha tha…..qile ka kafi hissa khandahar ho chuka tha ….baki hissa jo bacha tha vah bhi khandahar hone hi wala tha.

Qile ke charo taraf ghani jhadiya thi….jinke bhitar jungli kide kirr kirr kar rahe the…..jamin me gire sukhe patto ki khad khadahat ke alawa aur hawa ki sansanahat ke atirikt charo taraf gahan nistabdhata thi.

Dhwast parivesh me ateet ki ek yaadgar ke roop me vo qila dhool dhusrit ho kar bhi apni bhangima se sir ooncha kiye khada tha…..

Sab taraf saany saany ho raha tha……ek vichitra si udasi, ek aboojh si khinnata parivyapt thi uss qile me…..uske charo oor oonchi oonchi ghaas ugi huyi thi…..abhi hum qile ke bahar hi khade ho kar usko nihar rahe the.

Divya—bahut purana qila lag raha hai…iski banawat dekh kar hi lagta hai ki ye apne samay me kitna bhavya aur khubsurat raha hoga.

Payal—ab bahar se hi dekhna hai ki andar bhi chalna hai iske….?

Neha—yaha saanp bichhoo to nahi honge na….?

Sabhi bahar khade khae qile ke charo taraf dekh rahe the aur mann me soch rahe the ki ab kya kiya jaye….? Samne ek bada sa gate laga hua tha jo ki band tha.

Paridhi—bada bhayanak qila dikh raha hai…mujhe to darr lag raha hai….ab yaha se vapis loutne ka matlab hai ki raat ke syah andhakar me yaha ke tilismi aur shapit rakshaso ki bhookh ke samne khud ko samarpit kar dena aur sidhe bina kisi se puche yamlok pahuch jana.

Raj—chalo sab…lekin dhyan se.

Maine uss gate ko dhakka diya lekin vo nahi khula....kahi koi lock laga bhi nahi dikh raha tha....kafi mashakkat karne ke baad bhi vo tas se mas nahi hua.

Neha—ye to khul hi nahi raha hai...ab kya kare.... ?

Payal—kyo na vahi tarika apnaya jaye jo rajgarh ki gufa me tumne kiya tha raj.

Raj—dekhta hu…shayad kaam kar jaye….?

Lekin tabhi achanak vaha raat ho gayi…..har taraf ghanghor andhera vyapt ho gaya……kuch dikhayi hi nahi de raha tha.. maine hath se tatolte huye ek jagah bane khane me vahi locket set kar diya.

Aur uss locket ke uss jagah lagate hi vo gate apne aap jordar awaz karta hua khulta chala gaya…..gate ke khulte hi phir se raat se shaam ho gayi.

Saloni—ohhh..god….ye khul to gaya….

Neha—maine raat ke baad subah hote to kayi baar dekha hai apni life me lekin raat ke baad shaam hote pahli baar dekh rahi hu.

Divya—yaha jo bhi ho jaye sab kam hi hai chachi.

Hum vilamb na karte huye gate ke andar ghus gaye aur ek baar phir se mousam ne palti khayi….aas maan me kale badal ghir aaye…..megh garjana karne lage….hawa ka rukh tez ho gaya.

Sab mujhse chipak kar chal rahi thi shayad darr ki vajah se……har taraf badi badi ghaas ugi huyi thi…..hum unke upar se gujarte huye andar badhte rahe….tabhi

Payal—aaahhhh

Raj—kyaa hua….?

Payal—vvvv..o..vo…niche…..

Maine dekha to ek saanp unke pairo se lipat gaya tha....maine uski puch pakad kar door phenk diya....aur phir se chal pade.

Hum tezi se qile ke bhitar aa gaye....yaha ke vatavaran me ek aboojh si khinnata vyapt thi....qile ke dusri taraf vishal darwaja tha….vaha pahuch kar neha chachi ne usko khat khataya, magar koi nahi aaya darwaja kholne.

Payal—kyo khat khata rahi ho chachi….bhala iss khandahar me koun rahega jo isko kholne ayega.

Tabhi ek baar phir se raat ho gayi aur andhera chha gaya….main darwaje ko kholne ki koshish karne laga….lekin vo khulne ka naam hi nahi le raha tha.

Payal (kaan me)—chachi chalo na, mujhe jor se lagi hai.

Neha (dhire se)—to thoda kinare ja kar kar le na....vaise bhi andhera hai, kuch nahi dikhta.....lekin jyada door mat jana.

Payal didi bathroom karne ke liye qile ki deewar ko tatolte huye dusri taraf nikal gayi....tabhi unki nazar ek khidki me se aati huyi halki halki roshni par chali gayi...jise dekh vo chounk gayi.

Payal (mann me)—ye roshni kaisi hai....aur iss khandahar qile me.... ? ja kar raj ko batati hu…..lekin kyon na pahle main chupke se ja kar dekhu to sahi ki ye roshni hai kaisi…..?

Payal bathroom karna bhul kar hadbadahat ke sath qile ki deewar ko tatolte huye uss khidki ke paas pahuch gayi jisme se chhan kar roshni bahar aa rahi thi.

Khidki kahne se aap jo kalpana karenge vaisi nahi thi vah khidki….ek deewar me ek char foot choude aur chhah (six) foot lambe choukhat me ek samucha shisha fit tha….shisha safed rang ka aur kafi mota tha.

Jis kamre me shishe ki vah khidki fit thi, usme kafi tez roshni ho rahi thi….tabhi payal ko uss roshni me kamre ke bhitar ek vichitra aur ashcharya janak drishya dikhlayi pada….payal ki dhadkan tez ho gayi aur vo vahi jadwat ho gayi.

Khidki ke samne wali deewar ke paas bhagwati parashakti mahakali ki ek vishal aur vikral murti thi….murti ashtabhuji thi aur vo shav par aarudh thi.

Murti ke charno ke paas ek hawan kund tha, jisme se sugandhit dhoom nikal nikal kar kamre ke vatavaran me chha raha tha….hawan kund ke charo taraf palthi maar kar padmasan ki mudra me paanch chhah admi baithe huye the.

Unn sabhi ka roop bhayanak tha…..sharir ka rang kala aur sir mundan kiye huye the….gale me bandar ki khopadiya latak rahi thi….kano me bhi kisi jeev ki haddi ka kundal jhul raha tha.

Unn sabhi ke hoth iss prakar hil rahe the jaise ki vo koi mantra padh rahe ho…..beech beech me vo hawan kund me sharab aur ghee ki aahutiya bhi chhodte ja rahe the.

Hawan kund ke paas hi ek lambe aakaar ka farsa tha aur uss farse ke paas hi char paanch varsh ka ek bachcha leta hua tha….vah nanga tha aur uske poore sharir par sindur pota hua tha….gale me jawa phool ki mala bhi padi thi.

Sahsa uss rahasyamay kamre me ek yuvti na jane kidhar se aa gayi…..yuvti ki aayu 25 varsh se adhik nahi thi…. Rang kala tha, magar dekhne me akarshak thi….uske baal khul kar pith par bikhre huye the….hoth laal the aur ankhe bhi lal ho rahi thi….mastak par sindur ka gol tika aur gale me bandar ki khopdi jhul rahi thi.

Vah sarvang nagn thi….kisi dakini shakini jaisi lag rahi thi…..aisi bhayanak stri ki koi kalpana bhi nahi kar sakta…uske upasthit hote hi hawan kund ke paas baithe huye unn vyaktiyo me se ek vyakti uth kar hath me madira patra liye uske paas pahucha aur usko thama diya.

Kaal ratri si vah bhayankar yuvti ek hi saans me gatgat kar sari madira pine ke baad vahi ek aasan par baith gayi… uss samay uski mudra aur uske chehre ka bhaav bilkul amaanviya lag raha tha.

Muh bichka kar aur hotho ko daba kar kabhi vo sote huye uss bachche ki oor dekhti to kabhi kali ki murti ki oor… yuvti ka chehra kafi bhayanak aur kafi vibhats lag raha tha.

Madira ke nashe se bojhil uski ankhe goolar ke phool ki tarah lal ho rahi thi….lal lal ankho se kabhi kabhi vah kali ki murti ki oor bhi nihar liya karti thi.

Payal (mann me)—omg….ye log kitne bhayanak hain….lekin vo sarthi to kah raha tha ki yaha koi nahi rahta to phir ye log yaha kya kar rahe hain….? Jarur yaha par sab kuch inhi logo ka kiya dhara hoga….? Pakka ye log uss masum bachche ki bali dene wale honge.

Mann me ye khyal panapte hi payal me uss shishe me jor se mukka mara, par badi ajib baat thi ki na to vo shisha toota aur na hi usme koi awaz huyi mukka maarne par….andar moujud vyaktiyo ka dhyan bhi payal ki oor nahi gaya.

Payal ne niche baith kar jamin me tatolne lagi…tabhi uske hath me patthar ka ek bada sa tukda aa gaya….usko utha kar usne apni poori taqat se kayi baar jaldi jaldi shishe ke upar vaar kiye….lekin ashcharya ki baat thi ki itni jor jor se patthar se peetne par bhi vo shisha toota nahi aur na hi koi awaz huyi.

Payal (mann me)—ab kya kiya jaye….ye to toot hi nahi raha hai.

Payal patthar ka tukda hath me liye kisi asahay ki tarah andar dekhti rahi….itne me na jane kidhar se ek lambi choudi kad kathi ka vyakti uss kamre me prakat hua.

Uski shakal bhi bahut bhayanak thi…..sir par uske jata jut tha aur lambi dadhi thi….gale me bachcho ke khopdiyo ki mala pahne huye tha…..mastak par lamba tika lagaye, kamar me lal kapde ka tukda lapete aur hath me trishul liye tha.

Kamre me uss rahasyamay aur bhayanak vyaktitva wale sadhu ke pravistha hote hi vah yuvti apne sthan se uth khadi huyi aur shraddha se jhuk kar uske charno ka sparsh kiya.

Magar sadhu ne uski oor vishesh dhyan nahi diya....vah ek baar maa mahamaya ki pratima ki oor dekh kar koi mantra budbudane laga aur ussi avastha me dhire dhire chal kar hawan kund ke samip rakhe farse ko utha liya…phir ussi prakar chal kar bachche ke paas pahucha.

Issi beech hawan kund ke nikat baitha ek vyakti utha aur bachche ko god me lekar pratima ke samne lita diya….nishchay hi uss balak ko koi dawa dekar behosh kar rakha hoga inn logo ne.

Sadhu apne dahine hath me farsa liye uss bachche ka karib pahucha aur farse ko bachche ke sir se chhula diya…. Bachche ne ankhe kholi aur darte darte visfarit drishti se uss khadagdhari aghori sadhu ki taraf dekha.

Payal (ghabrate huye)—lagta hai ye log uss bachche ko maar denge…nahi…..nahi…mujhe rokna hoga….(chillate huye)—ye rukkk jaoooo……mat marooo uss bachche ko.

Payal jor jor se chillate huye patthar ko uss shishe par jor jor se thokne lagi kintu koi fayda nahi tha….vo shisha nahi toota aur dusri tajjub ki baat ye bhi thi ki payal jor jor se chilla to rahi thi kintu uski awaz kisi ko sunayi nahi de rahi thi…gale ke andar hi andar goonj rahi thi.

Tabhi vah sadhu niche jhuka vaise hi uski nazar payal par chali gayi…..uski ankhe lal lal aur khichi khichi si thi.. naak tirchhi thi aur gaalo ki haddiya ubhari huyi thi.

Vah jab jhuk kar payal ki oor dekhne laga to payal bhi kisi aprasann vyakti ki bhanti uski taraf dekhti rah gayi…usne payal ko sir se pair tak nihara jaise theek se dekh kar usko pahchan lena chahta ho vah.

Achchi tarah se payal ko dekhne ke baad vo sadhu bachche ke samne ja kar khada ho gaya…..phir apne hath ka cham chamata hua farsa taan liya usne.

Dusre hi kshan khachch ki awaz huyi aur ussi ke sath uss bachche ki hriday vidarak cheekh bhi goonj uthi…bachche ka sir dhad se alag ho gaya tha aur kafi door tak ki vaha ki jamin uske khoon se lal ho uthi thi….bachche ka sir aur dhad thodi der tak chhat patata raha aur phir shant ho gaya.

Payal (jor se)—Raaaaaajjjjjjjjjjj……khoon…..khoon….khoon

Payal buri tarah se darr kar jor jor se raj ko chillate huye tezi se vaha se girte padte bhagi….iss baar payal ki awaz sabhi ko sunayi di.

Main tezi se unki taraf gaya aur vo bhagte huye aa kar mere seene se lag kar jor jor se rone lagi..jab unka rona kuch kam hua to maine pucha.

Raj—kya hua didi….? Aap chillayi kyo….?

Payal (ghabrate huye)—vo…vo..kkk…khoon,…uss kamre me khoon

Raj—kaha…chalo jaldi…

Maine tezi se unka hath pakad kar uss kamre ki khidki tak pahucha…..lekin vaha to kuch bhi nahi tha…..siway toote foote kamre ki deewaro ke….maine shisha ko thoda sa dhakka diya to vo niche gir gaya.

Hum uss khidki se kamre me ghus gaye….maine apni mani ki shakti se kamre me roshni phaila di…..kahi kuch bhi nahi dikha jaise ki payal didi ne bataya… har taraf bade bade jaale lage huye the….poore kamre me dhool jama thi…..vo abhi bhi hairan thi aur kaamp bhi rahi thi….lekin mahakali ki pratima vaha avashya thi.

Raj—yaha to kuch bhi nahi hai.

Payal—lekin vo khoon ke nishan aur vo laash kaha gayi….? Abhi to yahi thi aur vo sab admi kaha gaye….?

Raj—didi….lagta hai ki aap bhool gayi ho ki ye Tilismi aur shapit qila hai.

Uske baad hum vapis ussi darwaje ke paas aa gaye….ab ki baar maine ankhe band kar ke apni shaktiyo ko jagrit kiya aur phir jaise hi darwaje par hath rakha vo aise khul gaya jaise ki kabhi band hi nahi tha.

Kamre me ghuste hi kisi ke payal ki awaz vaha goonjne lagi….payal ki chhan chhan karti awaz ne ham sabhi ko hairat me daal diya.

Paridhi—ye payal ki awaz kis ki hai….?

Divya (jor se)—koun hai yaha….?

Lekin koi awaz nahi aayi....hum aage chalne lage kamre me....tabhi phir se kisi ke chhan chhan karti payal ki awaz aane lagi...ab ki baar aisa laga ki koi bilkul mere karib se gujra hai.

Payal ki awaz ab kabhi idhar se to kabhi udhar se goonjne lagi....aisa lag raha tha ki jaise koi athakheliya kar raha ho har baar mujhe aisa mahsoos hota jaise koi mere paas khada hai.

Raj (chillate huye)—koun hai.... ? samne kyo nahi aati.... ?

Aur tabhi vaha ek madhur geet goonj utha jise sunte hi hum chounk gaye.....

“Upar Ambar Niche Dharti, Beech Me hain Dil Ke Afsaane...
Afsaano Me Dard Hai Kitna, Pyar Ke Dushman Ye Kya Jane”
(3877 words)
 
Well-known member
3,825
7,371
143
SAAJAN
UPDATE- 195 (Revised)

Payal ki awaz ab kabhi idhar se to kabhi udhar se goonjne lagi....aisa lag raha tha ki jaise koi athakheliya kar raha ho har baar mujhe aisa mahsoos hota jaise koi mere paas khada hai.

Raj (chillate huye)—koun hai.... ? samne kyo nahi aati.... ?

Aur tabhi vaha ek madhur geet goonj utha jise sunte hi hum chounk gaye.....

“Upar Ambar Niche Dharti Beech Me hain Dil Ke Afsaane
Afsaano Me Dard Hai Kitna, Pyar Ke Dushman Ye Kya Jane”

Ab Aage……

Ye geet ke bol sunte hi hum sab chounk gaye….geet me dard bahut tha….maine kayi baar awaz lagayi ki koun ga rahi hai..samne aaye kintu vo idhar se udhar ghum rahi thi.

Payal (shocked)—ye to vahi shayari hai…jiske piche hum yaha aaye hain.

Neha—lagta hai ki minakshi idhar hi hai…ab yaha kahi vo mombatti aur mil jaye to uss sawal ka jawab poora ho jayega aur hum minakshi tak pahuch jayenge.

Achanak vo geet band ho gaya aur payal ki jhankar andhere me chhan chhan kar aati rahi…har baar mujhe aisa mahsoos hota jaise ki koi mere bilkul paas me khada hai.

Neha (cheekh kar)—aaahhhhh

Raj—kya hua….?

Neha—kisi ne mere piche jor se nakhun se chimti kaati.

Paridhi—aap bhi na mummy...ek to vaise hi hum iss bhutiya qile me darr rahe hain aur aap aur bhi dara rahi ho.

Payal—aaaaaaa

Raj—ab kya hua...... ?

Payal—kisi ne jor se mere kaan marode.

"S....a...a...j...a....n" kisi ne mere kaan me dhire se kaha to main bhi chounk gaya aur jaise palta to vaha koi nahi tha.. par nazar koi na aaya.

Aur ek baar phir se payal ki chhan...chhan karne ki awaz vaha goonjne lagi....tabhi vo chhan chhan ki awaz karib aati gayi aur jaise hi mujhe laga ki vo ab mere bagal me hi hai to turant maine usko pakadne ke liye hath badhaya ki vo awaz mujhse door ho gayi.

Hum kafi der tak uska picha karte huye bhatakte rahe....lekin kuch fayda nahi hua.....akhir me maine achanak se apni mani ka prakash vaha phaila diya....

Prakash phailte hi hum sab chounk gaye.….hum jaha khade the vaha phool hi phool bikhre huye the....main abhi kuch aur sochta ki achanak payal didi jor se cheekh uthi.

Payal (jor se)—rajjjjjj...vo...v..o

Raj—kya hua ab.... ?

Payal (darte huye)—maine...abhi vaha...ussi ladki ko dekha....vaha....vo yahi hai....

Sab ke sath main bhi chounk gaya...lekin phir jyada dhyan nahi diya ye soch kar ki aisi jagaho par iss tarah ki ghatnao ka hona koi hairat ki baat nahi hai.

Raj—come on didi....maine pahle bhi bataya hai na ki ye jagah kaisi hai.... ? phir usme itna pareshan kyo ho rahi ho aap.... ? balki main to khush hu ki uske geet se mujhe meri manzil karib nazar aane lagi hai.

Neha—vo kaise….?

Divya—vo aise chachi ki…iss shayari aur mombatti ka aapas me gahra sambandh hai…ye geet yaha sunayi diya iska matlab ki minakshi tak pahuchne ka rasta yahi se ho kar niklega aur shayad iss tilism ko todne ke baad hi hame vo rasta milega.

Raj—par hame iss tilism ko todne ka rasta to talash karna hoga…..lekin mujhe lagta hai ki sabse pahle hame yaha se juda itihas janna chahiye …bina uski jankari ke tilism ko tod pana bahut mushkil hoga.

Saloni—to chalo..apni talash aage badhate hain.

Raj—hmmmm…chalo…inn sidhiyo se chalte hain…dekhte hain kya milta hai….?

Dhool se sani tuti footi sidhiya chadhte samay dahshat se par fadfadate huye hamare kano ko chhu kar koi nikal gaya jisse sab darr se ghabra gayi.

Uss mlaan nistabdh qile me mujhe vichitra anubhuti ho rahi thi….dhool se bhare pade, patthar aur toote phoote sidhiyo par ghumte huye har kshan yahi lag raha tha ki rundhi huyi hawa ke beech koi dhire dhire hamare sath chal raha hai aur ateet ke jeern sheern kale parde ko ughar dega …..aur sahaj hi me iss darawne andhiyare vatavaran me mann prano ko ek bargi stambhit kar dega,

Abhi hum qile ke aangan me ghum rahe the ki tabhi meri nazar kisi gupt tahkhane me jane ke liye ek chote se darwaje par padi.

Raj—lagta hai ki yaha koi tahkhana hai….chalo dekhte hain

Neha—mujhe to darr lag raha hai

Payal—to aap yahi ruk kar hamare vapis loutane tak intazar karo.

Neha—nnn..nahi…nahi…main bhi sath me chalungi.

Hum darwaje ke andar aa gaye…vaha niche jane ke liye chakkar daar sidhiya thi….pahle niche utarne me sab ko darr avashya laga lekin mere utarte hi sab sahas kar ke fatafat mere piche piche utarne lagi.

Karib 8-10 sidhiya utarne ke baad mujhe kafi lamba chouda ek kamra mila….main dekhne ke liye uss kamre me ghus gaya…seelan aur badbu se bhara tha poora kamra.

Divya (naak daba ke)—kitni badbu hai yaha….

Payal—chal jaldi bahar niklo yaha se nahi to iss badbu se hi marr jayenge.

Raj—sab naak band kar lo ya kuch der bahar wait karo…main thodi talashi to le lu iss kamre ki…sab darwaje ke paas ja kar khadi ho gayi.

Main kamre ko bariki se dekhne laga….ek kone me lohe ka ek sandook rakha hua tha….lagbhag saat foot lamba, char foot ooncha aur lagbhag utna hi chouda tha vah….usme lock laga tha.

Maine gour se uss lock ko dekha to usme chabi se kholne ke liye koi jagah nahi thi…maine kayi prayas kiye kintu kamyabi nahi mili….akhir me maine mani ki shakti se uss lock ko tod diya.

Na jane kis prerna ke vashibhut ho kar maine uss box ka bhari bharkam dhakkan khol diya maine…..dhakkan khulte hi badbu ka ek tez jhonka bahar nikal kar phail gaya…uss badbu se sab ka jee machla utha to darwaje se bahar ho gayi.

Payal—uuuu….ye kya haiii…..?

Neha—mujhe to ulti hone wali hai

Divya—yahi bahar se dekhte hain…andar rukne ki himmat nahi hai ab.

Maine uss box ke andar dekha to usme taambe aur pital ki lagbhag do foot ki teen char pipes thi…..unn pipes me dhakkan lage huye the.

Unn dono pipes ko maine utha liya aur bahar aa kar khola to dekha ki usme kagaz jaise patle tambe ke patro par kisi agyat bhasa me koi pandu lipi thi….kul mila kar usme tamra patro ki sankhya chalis thi.

Neha—ye kya hai…?

Divya—chachi inko tamra patra kahte hain…..pahle ke jamane me inke upar hi likha jata tha kuch bhi.

Payal—par inme likha kya hai…? Koun si bhasa hai ye….?

Raj—yah kafi mulyavan aur ati durlabh sampatti hai.....ye pali bhasa se ek milti julti ek vishesh bhasa hai, inn pandu lipiyo ki aaj se lagbhag 500 varsh pahle ek prantiya bhasa thi.

Paridhi—kya likha hai inme..... ?

Raj—aayurved tantra ke antargat ras rasayan ke anek durlabh siddhanto aur unn siddhanto ke aadhar par anek rasaynik prayogo ka savistar varnan kiya gaya hai.

Payal—inme khas baat kya hai…..?

Raj—ab ye to inko padhne ke baad hi malum chalega…..ab chalo aur aage chalte hain

Hum vaha se aage badh gaye….kuch sidhiya aur niche utarne par do kamre dikhayi diye vaha….maine ek kamre ko chun kar uske andar ghus gaye…aur chalte chalte ussi kamre me pahuch gaye jaha kuch der pahle payal didi ne vo drishya dekha tha.

Payal—arey…ye to vahi kamra hai….?

Raj—hmmmmm

Tabhi maine nazar ghuma kar piche ki taraf khidki me dekha to vaha vo shisha phir se apni jagah par fit ho gaya tha jisko ki kuch der pahle maine niche gira diya tha.,,magar kuch dekh kar main chounk gaya.

Khidki ke bahar tez roshni thi……jaise ki din hi ho aur tez roshni me mujhe khidki se bahar thode se fasle par ek vistrat maidan dikhalayi diya.

Maidan ke ek oor kayi tope, jinka muh akash ki oor tha, ek katar me rakhi huyi thi……magar unn topo ko dagne ke liye vaha koi nahi tha…magar kuch hi pal ke baad vo tope swayam apne aap hi aag ugalne lagi.

Unme se kala sa dhua nikal kar maidan ke charo taraf phail gaya......thodi der baad hi maidan ke paas ki oonchi imarto me ek visfot hua aur aag tatha neele ranga ka dhua akash me chha gaya.

Phir achanak tope shant ho gayi aur vo dhua bhi adrishya ho gaya……aur uss maidan me antariksh se ek badi si hilti dulti vartulakar tashtari aati dikhayi dene lagi.

Pahle to main ye samajh hi nahi paya ki ye udan tashtari hai…..neele aas maan me ek lal taare jaisi dikhayi de rahi thi vo……bilkul mangal tare jaisi.

Pahle yahi vichar mere mann me aaya, par jab vah paas aane lagi to yakin ho gaya ki vah mangal tara nahi hai…aur nazdik aane par main samjh gaya ki ye udan tashtari hai.

Vah tashtari kuch hi kshan me maidan me utar kar sthir ho gayi……vo neele rang ki thi….samne ki oor ati tivra gati se ek pankha chal raha tha, jisme se aag ki halki halki lapte hawa ke sath nikal rahi thi…achanak uske bagal ka darwaja khula aur usme se jo nikla usko dekh kar main hairan rah gaya…..shakal itni bhayanak ki agar koi dekh le to vaise hi bina poison piye hi mar jayega.

Kisi bhi jivit prani se uski koi samanta nahi thi…..kaddu jaisa gol aur bada sa matha, kafi ooncha lalat, teen badi badi ankhe, ek lalat me aur do agal bagal thi.

Naak to thi hi nahi….ekdam sapat tha, mathe ke niche ka hissa…..sirf ek muh tha aur vo bhi ek lambe faank jaisa… kano ki jagah do bade bade nariyal lage huye the….aur unhi ke paas se foot dedh foot lambe baalo ki jataye upar ki oor nikli huyi thi….bilkul kisi jhingur ke muchho ki tarah.

Gala nahi tha balki gale ki jagah ek hath hi tha…..uske agal bagal hatho ke panjo me barah barah ungliya thi…..aur kafi lambe lambe nakhun the.

Uss vilakshan prani ke sharir par kapde the ya nahi ya uske sharir ka gathan hi iss prakar ka tha, yah samajh pana kathin hi tha…karan ki yadi vah kapde pahne tha to uske kapde uske badan se ekdam chipte huye the.

Chhati aur pet ka aakaar nagade jaisa tha…..aur teen pair the uske….piche ke ek pair par khade ho kar samne ke dono pair utha kar usne ek chhalang li to 40 – 50 foot ka fasla paar kar liya.

Ek chhalang le kar aur pichla pair tek kar usne phir se chhalang lagayi..iss tarah vah poore maidan me koodta phirta raha.

Iske baad vah sidhe meri taraf aaya aur pahle apni dono ankho se mujhe dekhta raha….phir mathe par ka teesra netra khula uska….atyant tivra prakash ki kiran jaisi nikli uski teesri ankh se….aur phir meri ankho ke samne andhera chha gaya.

Tad tad aur phir jhann ki awaz huyi…mere seene me dard sa uthne laga aur phir cheekh maar kar main behosh hota chala gaya.
 
Well-known member
3,825
7,371
143
SAAJAN
UPDATE- 196

Iske baad vah sidhe meri taraf aaya aur pahle apni dono ankho se mujhe dekhta raha….phir mathe par ka teesra netra khula uska….atyant tivra prakash ki kiran jaisi nikli uski teesri ankh se….aur phir meri ankho ke samne andhera chha gaya.

Tad tad aur phir jhann ki awaz huyi…mere seene me dard sa uthne laga aur phir cheekh maar kar main behosh hota chala gaya

Ab Aage……..

Mere behosh hote hi mani ki roshni bhi band ho gayi….sath hi mere behosh hone ke karan unke upar mere dwara banaya gaya suraksha kawach bhi khandit ho gaya…..uss kamre me ek baar phir se andhera chha gaya…mere aise cheekh kar behosh ho jane se sab ghabra gayi…upar andhere aur anjan jagah ka darr alag.

Payal (ghabrate huye)—rajjj….kya huaaa….? Tujhe kya hua….uth na….rajjj….tu cheekha kyo….? Ye andhera kyo ho gaya…? Doctor dekho na…kya ho gaya hai mere raj ko….? Rajjj uth na.

Divya (hilate huye)—saajann…kyaaa huaaa…utho naaa…kisne kiya hai ye….samne kyo nahi aata…bujdil kahi ka….? Saajan utho…kya maine sadiyo se isliye intazar kiya hai ki har baar tum mujhe chhod kar chale jao…? Iss baar main aisa nahi hone dungi……samajh gaye na…..tumhe meri khatir uthna hoga…..saajan tumhe apni divya ke liye uthna hoga.

Paridhi (nam ankho se)—rajjj…kya ho gaya…mummy dekho na mere rajj ko kya hua hai…ye kuch bol kyo nahi raha hai….kya meri qurbani bekar chali jayegi….? Nahi..nahi..aisa nahi ho sakta

Neha—rajj…kya hua beta….uth na….dekh agar tu hi aise karega to hum sab ka kya hoga…..koun sambhalega hame yah hame to sirf tera hi bharosa hai.

Saloni—aap log shanti rakho…raj ko kuch nahi hoga….dekhna jaldi hi uthega vo…raj ko maarna itna asan nahi hai kisi ke liye…shayad thakan ke karan aisa hua hoga

Sabhi buri tarah se ghabra chuke the….unki ankho me nami utar aayi thi….lekin sabse jyada ghabrahat payal didi aur paridhi ko ho rahi thi……neha bhi pareshan thi…..halanki ghabra to divya bhi gayi thi kintu jaise hi usko guru maa aur devi laxmi ki baate smaran huyi to uski ghabrahat kuch kam ho gayi thi lekin phir bhi raj ko dard me mahsoos kar ke uske seene me bhi taklif ho rahi thi.

Tabhi neha chachi jor jor se cheekhne lagi…..ek baar phir se vahi payal bajne aur kisi ladki ke hasne ki awaz aas paas me sab ko sunayi dene lagi….sab darr se kampne lagi.

Neha (cheekhte huye)—aaaaaaaaa….bachaooooo….rajjjjjj…..aaaaaaaa…….koi mere pair pakad ke mujhe ghasit raha hai…aaaaaaaaa

“Chhan….chhan…chhan…..chhan……hihihihihihihi”

Paridhi—mummyyyyy…..aap kaha hoooooo…..?

Payal—chachiiiiiii……?

Divya—chachiiiii…..aap bolti kyo nahiiiiiiii……..?

Neha—(koi jawab nahi)

Sab ne aas paas tatol kar dekha lekin neha ka kahi koi pata nahi tha……ab to sab ki halat bahut jyada kharab hone lagi thi……sab rajjjjj….rajjjj…chillate huye andhere me mujhe tatolne lagi.

Tabhi ek baar phir se vahi payal ki goonj sunayi dene lagi…..payal aur paridhi ek dusre se chipak gayi darte huye… kyon ki andhera hone ke karan mujhe dhoondh hi nahi pa rahi thi….lekin main unhe kahi nahi mila…to unki dasha par kate pakshi ki tarah ho gayi.

“Chhan….chhann…chhan…chhann…chhannn”

Paridhi (darte huye)—kkkkkk…..koun hai yaha…….?

‘’Hihihihihihihihihihihi......chhan......chhann...chhan...chhan’’

Paridhi (chillate huye)—aaaaaaaaaaaa.......raajjjjjjjjjj......mummyyyy.......rajjjjj...bachaaoooooo....koi mujhe bhiii pair pakad kar ghasit raha hai......aaaaaaaa.....raaajjjjjjjj

Payal (jor se)—paridhiiiiiiiiiiiii.......rajjjj uthooooo......nahi to hum sab maare jayenge yahaaaa....paridhiiiii

Divya—didiiiiiiiiiiiii

Paridhi—(no response)

‘’Chhan...chhan....chhan...hihihihihihi’’

Payal (rote chillate)—raaaaajjjjjjj.......bachaaaooooooooo......raaaajjjjjjjjjj.....aaaaaaaa.....koi mujhe bhi ghasit raha hai...rajjj

Divya—didiiiiiiiiii.......saajannnnn....uthoooooo....saajannnnnn

Saloni—payallllllll

Payal ka bhi koi jawab nahi aaya.....ab to divya aur saloni bhi buri tarah se dahshat aur khauf ke saaye me doob chuki thi....dono baar baar sabhi ko awaz laga rahi thi lekin kisi ki taraf se koi bhi prattuttar nahi aa raha tha.... agar kuch sunayi de rahi thi to sirf kisi ke payal ki ghungharoo ki awaz aur uski dil dahla dene wali bhayanak hasi.

Jaise hi ye awaz paas aane lagi to divya aur saloni bhi ghabra kar yaha vaha andhere me bhagne lagi....divya mera naam lekar chillaye ja rahi thi to saloni bhi.....par dono ko ye pata nahi tha ki vo ek hi jagah par bhag rahi hai... ek kadam bhi vaha se nahi bhag payi thi jabki unhe lag raha tha ki vo bhagte huye door nikal aayi hain kamre se.

‘’Hihihihihi.....bhago....aur tez....aur tez.....hihihihihihihi....Ek baar aane ke baad koi yaha se kahi nahi bhag sakta...hihihi’’

Divya (chillate huye—saajaannnnnnnn

Saloni—rajjjjjjjj.....aaaaaa......mujhe bhi koi ghasitttt raha haiiii....aaaaaaaa

Par ab ki baar kuch alag hua......saloni ki cheekh ke sath ek cheekh aur bhi vaha goonj uthi....dusri cheekh uski thi jo saloni ko ghasit raha tha ya rahi thi.

Aur dusri cheekh ki vajah ye thi ki jo bhi saloni ko ghasit rahi thi....dard se cheekhte huye achanak saloni ki ankho se aag nikalne lagi....jaise hi vo aag ghasitne wale ke upar padi to uski bhi cheekh nikal gayi jabki divya ye dekh kar stabdh rah gayi.

Divya (shocked)—koun ho tum.... ? tum doctor nahi ho sakti... ? koun ho…?

Saloni—mere baare me saajan ko pata hai…pahle isse to nipat lu.

‘’Ohhhh...to tu mujhe takkar dena chahti hai…..ab dekh main tera kya haal karti hu’’

Saloni (jor se)—koun hai tu...... ?....baki logo ka kya kiya tune....jaldi bata warna tere liye achcha nahi hoga

Magar jawab dene ki jagah usne bhi aag ka jawab aag se dena shuru kar diya...lekin uss aag ki roshni me jo chehra nazar aaya vo bada hi bhayanak tha...divya ke to hath pair hi dheele pad gaye.

Lekin saloni bhi jyada der tak uska samna nahi kar payi.....aur akhir kuch der baad uski bhi cheekhe goonjne lagi aur uska bhi vahi haal hua jo baki ka hua tha.

Divya akeli asahay saajan ko ghabrate huye phir se tatol tatol kar andhere me khojne lagi aur sath me roti bhi ja rahi thi...tab tak saloni ko thikane lagane ke baad vo phir se payal chhankati huyi uske hasne ki awaz paas me sunayi dene lagi.

‘’Hihihihihi...chhan...chhan....chhann....ab tu bhi cheekh....bachaoo...bachaaooo....cheekh...hihihihihihi’’

Divya (darr se chillate huye)—dekho...mere paas nahi aana....door raho mujhse.....saajan tumhe chhodega nahiii

‘’Saajannnn....hhihihihihi...vo to kabbbb kaa marrr chukaaa...hihihihi...ab teri bari hai’’

Divya (chillate huye)—saajan ko maar sake aisi teri aukat nahi.

Aur agle hi pal kroadhit ho kar usne jaise hi divya ko ghasitne ke liye usko hath lagaya hi tha ki usse aisa jabardast jhatka laga ki vo uss aakashiya bijli ke jhatke se phisalti huyi aur dard se cheekhti na jane kaha aur kitni door ja kar giri.

Divya andhere me mera naam le kar har taraf mujhe dhoondhne lagi.....idhar mere behosh hone ke baad meri ankho ke samne kuch drishya baar baar jhilmilane lage.

Meri ankho ke samne ek kamra dikha jisme bahut sara saman rakha hua hai, uske baad raj sabha ka drishya dikhayi diya.....sabha ke beecho beech latakta hua ek tarazu nazar aaya aur phir uske baad mata mahakali ki ek pratma dikhayi dene lagi.

Ye sab drishya meri ankho ke samne baar baar jaldi jaldi ghum aur badal rahe the...ant me ek tahkhana nazar aaya aur uss tahkhane ke andar ek darwaja dikha....jaise hi vo darwaja khula ki tabhi.......
******​

Dusri taraf yaha ghar me mamta ko hosh to aa gaya tha lekin vo phir se jaldi hi behosh ho gayi thi dubara...aise me doctors ne unhe hospital me admitt karne ke liye kaha.

Doctor—dekhiye...ye abhi hi to coma se bahar aayi thi...aise me kisi bhi tarah ka sadma inko phir se coma me le ja sakta hai...inka baar baar behosh hona theek nahi hai....behtar yahi hoga ki mrs. Thakur ko hospital me rakha jaye jaha 24 hrs. Doctors ki nazar rahegi inki condition par.

Veer—theek hai doctor...jaisa aap theek samjhe

Mamta ko turant hospital admitt kar diya gaya….ghar ke lagbhag sabhi log hospital me moujud the…..siwaye vidhya aur chanchal ke.

Vidhya to uske baad se apne room se bahar hi nahi nikli thi, pata nahi kis soch me doobi huyi thi jabki chanchal mamta ke hospital le jate hi sidhe ek mandir ke bahar dharne par baith gayi thi.

Halanki Raat hone ki vajah se mandir ke darwaje band the….tathapi vo bahar hi baith kar upar wale se prarthana karne me lag gayi thi.

Chanchal (rote huye mann me)—hey bhagwan….meri maa ko theek kar do…..ye sab mere hi paapo ka dund hai jo aaj unhe bhugatna pad raha hai….mere hi kadam manhoos hain….mujhe paida hi kyo kiya bhagwan tune….? Mere kadam uss mandir me padte hi vaha gum ke badal chha gaye hain….bas ek baar meri maa ko theek kar do bhagwan aur mere raj ko jindagi ki har khushi dena….main aaj ke baad kabhi apni manhoos shakal kisi ko nahi dikhaungi…bahut door chali jaungi sab ki zindagi se.

Vahi hospital me doctor barabar mamta ka check up karne me lage huye the…mamta ko VIP ward me shift kiya gaya tha…doctor ke mana karne ke bavjud sab andar ghus gaye the…..jo doctor chair par baithe huye mamta ko check kar raha tha uske sir me baal nahi the ye dekh kar mrinal ke hath me khujli hone lagi thi…jo ki doctor se thoda hat ke khadi thi.

Doctor ke agal bagal ruchi aur veer khade the..veer ke baju me mrinal khadi thi….usne ek baar sab ki taraf dekha aur phir piche se hath le ja kar chatttt se doctor ke sir me maar diya.

Mrinal (mann me)—hmmmmm…..bajta hai….maza aa gaya….ek baar aur baja kar dekhti hu.

Iss achanak maar se doctor chakra gaya aur usne charo taraf dekha lekin sabhi ka dhyan mamta ki oor tha….usne ek baar veer ko ghur kar dekha aur phir se ilaz karne me lag gaya apne sir me hath ferte huye.

Jaise hi usne sir se hath hataya vaise hi mrinal ne ek baar phir se uske takle par chatt se maar diya lekin ab ki baar jara jor se hath pad gaya…jiski awaz bhi sab ko sunayi de gayi.

Doctor apne takle ko sahlate huye baukhla kar khada ho gaya aur veer ko gusse se dekhne laga…
 
Well-known member
3,825
7,371
143
SAAJAN
UPDATE-197

Doctor ke agal bagal ruchi aur veer khade the..veer ke baju me mrinal khadi thi….usne ek baar sab ki taraf dekha aur phir piche se hath le ja kar chatttt se doctor ke sir me maar diya.

Mrinal (mann me)—hmmmmm…..bajta hai….maza aa gaya….ek baar aur baja kar dekhti hu.

Iss achanak maar se doctor chakra gaya aur usne charo taraf dekha lekin sabhi ka dhyan mamta ki oor tha….usne ek baar veer ko ghur kar dekha aur phir se ilaz karne me lag gaya apne sir me hath ferte huye.

Jaise hi usne sir se hath hataya vaise hi mrinal ne ek baar phir se uske takle par chatt se maar diya lekin ab ki baar jara jor se hath pad gaya…jiski awaz bhi sab ko sunayi de gayi.

Doctor apne takle ko sahlate huye baukhla kar khada ho gaya aur veer ko gusse se dekhne laga…

Ab Aage……..

Hua ye tha ki jaise hi doctor ke takle par phali baar mrinal ne tabla bajaya to doctor ghabra kar iss akasmat huye apne takle par hamle se idhar udhar sab ko dekhne laga ki ye kis ki harkat hai….? Sabhi ka dhyan mamta ki taraf tha unhe pata hi nahi chala ki abhi kya hua hai.

Tabhi mrinal ne jab dekha ki doctor uski taraf dekh raha hai to usne apni ungli se veer ki taraf ishara karne lagi… bas phir kya tha, doctor veer ko ghurte huye phir se ilaz me vyast ho gaya.

Lekin mrinal ke hath ki khujli to abhi miti hi nahi thi, balki usko to doctor ke takle par tabla bajane se jo awaz uttapann huyi usse sun kar bahut maza aaya.

Doctor ke phir se ilaz me vyast hote hi mrinal ne sab ki nazar bacha kar dhire se apne hath ko veer ke piche se le ja kar phir se doctor ke takle par chatt se maar diya, kintu iss baar hath jara jor se pad gaya jiski awaz ki goonj lagbhag sabhi ko sunayi de gayi.

Doctor ka to poora dimag hi ghoom gaya aur chakkar aane lag gaya….vo baukhla kar chair se uth khada hua…aur apne takle ko hatho se sahlate huye veer ko gusse se ghurne lag gaya.

Doctor (gusse se)—Ye kya badatzmizi hai mr. veer…..? apko sharm aani chahiye aisi ghatiya harkat karte huye.

Ruchi—lekin hua kya doctor….? Kya kiya hai veer ne….?

Doctor—ye to aap inse hi puchiye ki kya harkat ki hai inhone mere sath…….raj sahab ka dost aur aisi harkate….? Maine to kabhi socha bhi nahi tha.

Veer—dekhiye doctor, shayad apko koi galat fahmi huyi hai

Doctor—ji nahi, mujhe koi galat fahmi nahi huyi hai…..main ab aur yaha nahi ruk sakta…sorry main kisi dusre doctor ko bhejta hu.

Sab usko samjhane ki koshish karte rahe lekin vo nahi mana aur bahar jane ke liye darwaje tak pahucha hi tha ki chakkar kha kar niche gir gaya….ye to hona hi tha, akhir ek yaksh kanya ka hath jo pad gaya tha sir me.

Jaldi se staff ke log aa kar uss doctor ko uth le gaye…..doctor ke jate hi sab mrinal ki oor ghur ghur ke dekhne lage kyon ki sab samajh gaye the ki ye harkat iske siwa koi nahi kar sakta.

Mrinal—meri taraf sab aise mat dekho…..aap logo ne suna nahi ki uss takle dok dhar ne kya kaha tha…? Ki sab kuch iss balatkari ne kiya hai.

Veer—chup kar…..iss pagal ko yaha lane ki kya jarurat thi…..? aur tu meri maa, mere piche kyo shani ban kar piche pad gayi hai…..?

Ruchi—ab maa ka ilaz koun karega….? Main baat karti hu head doctor se.

Veer—apko pareshan hone ki jarurat nahi hai didi…main baat karta hu.

Veer doctor’s se baat karne chala gaya….idhar priyadarshini ne mrinal ka mamla handle kar liya…..kuch der baad dusri ladies doctor aa gayi aur mamta ka check up karne lagi..

Mitaly—doctor….iss ladki (mrinal) ke liye bhi kuch dimag theek karne ki koi dawayi likh dena.

Doctor—ok…..ye lijiye ja kar counter se le lo ye dawayi.

Mrinal—theek hai.

Mrinal dawayi lene ke liye….vo jhumte huye apni mastani chaal me chalte huye beech me kisi nurse se takra gayi…mrinal ka to kuch nahi hua par uss nurse ki kamar ki haddi toot gayi takra kar girte hi…mrinal ne usko chaar baate suna kar aage badh gayi aur vo bechari nurse dard se chillane lagi.

Magar iss chakkar me vo dawazi ka kagaz vahi gir gaya…..counter par pahuch kar vo kagaz dekhne lagi ki kaha gaya par vo nahi mila.

Mrinal (mann me)—vo kagaz kaha gaya jo uss dok dhar ne likha tha….? Chalo koi baat nahi….dawayi to dawayi hoti hai….koi bhi le le lungi.

Asal me mrinal ko dawayi ka matlab hi malum nahi tha kyon ki dev lok me dawayi ko ausadhi ke naam se jana jata hai....usne ye shabd hi pahli baar suna tha....counter par ek ladka tha.

Mrinal—Ye kabutar.......mujhe dawayi chahiye.....jaldi se de.....

Ladka—koun si dawayi chahiye..... ?

Mrinal (ankhe dikhate huye)—koun si matlabbbb...... ? achchi wali dawayi chahiye.....

Ladka—arey madam....vahi to puch raha hu ki koun si dawayi chahiye..... ?

Mrinal (dukan ko dekhte huye)—hmmmm…..jo khoob meethi ho…..aur jisse taqat khoob aati ho.

Ladka—ye lo...ye goli le lo.

Mrinal—kyaaaa tu mujhe goli (ullu banana) de raha hai.... ? ruk tujhe abhi batati hu....main dawayi maang rahi hu aur tu .mujhe goli de raha hai......thahar.

Bas phir kya tha....mrinal ne samjha ki vo ladka usko bewkoof banne ki koi cheez de raha hai dawayi ke badle me to usne counter ko jump kar ke dukan me ghus gayi aur uss ladke ki jam kar pitayi kar di...bechara vo dukan chhod kar kisi tarah apni jaan bacha kar bhaga vaha se.

Tab tak shor sharaba ki awaz sun kar achchi khasi bheed jama ho gayi thi vaha par.....veer bhi pahuch gaya aur mrinal ko vaha dekhte hi apna sir peet liya.

Guard aur public police ko bulane ki baat karne lage...magar veer ne jaise hi bataya ki ye pagal hai to poori bheed turant titar bitar ho gayi....sab ye soch kar bhag liye ki ek pagal ka kya bharosa...kisko thok de.... ?

Veer—tu yaha kya kar rahi hai.... ? chal yaha se jaldi.... ?

Mrinal—ruk main dawayi to le lu.

Mrinal fatafat do polythene me 30-40 dawayi ki shishi bhar ke vahi sab ke paas aa gayi….itni dawayi dekh kar sab ke sath doctor bhi chakra gayi.

Vahi dusri taraf meri jab ankh khuli to unhi drishyo ke baare me hi sochne laga…..phir mujhe baki sab ka khyal aaya to maine apne aas paas kisi ko na pakar soch me pad gaya….maine sab ka naam lekar pukara par koi jawab na milne par maine ankhe band kar li.

Maine apni kundalini shakti jagrit kar ke jab apni ankhe kholi to khud ko qile ke bahar leta hua paya….tabhi mujhe behosh hone se pahle ki ghatna dhyan aate hi maine apne charo taraf nazar ghuma kar dekha to vaha koi maidan nahi dikhayi de raha tha…..isko tilism ka ek khel samajh kar main turant uth kar khada hua aur andar ghus gaya qile ke.

Kundalini shakti ke jagrit ho jane se mujhe ab raat me bhi din ke saman hi dikhayi de raha tha….mujhe bakiyo ki chinta hone lagi thi…isliye maine sidhe uss kamre me vahi khidki ke jariye jaldi pahuchna sahi samjha.

Main bahar ke raste se hi vaha khidki tak pahucha to vaha vahi shisha laga hua tha….maine andar jhank kar dekhne ki koshish ki sab kya kar rahe hain….to vaha mujhe koi nahi dikhayi di….? Ab to meri chinta aur bhi badh gayi.

Raj—kaha gayi ye sab…..? mere behosh hone ke baad kahi kuch hua to nahi inke sath…..?

Aur tabhi maine jaise hi uss shisha ko todne ke liye hath uthaya to ye dekh kar dang rah gaya ki ab kamre ke andar sabhi moujud thi aur main behosh pada tha…..

Uske baad vaha jo kuch hua tha vo sab drishya ek ek kar ke mujhe dikhayi dene lage…maine turant uss shisha ko dhakka dekar niche gira diya aur kamre ghus gaya…maine uss khidki ki oor palat kar dekha to vo shisha phir se khidki par fit ho chuka tha.

Uss shishe ke uss paar phir se mujhe ek scene dikhayi dene laga jisko dekh kar main bhi chounk gaya….aur iska sara rahasya bhi shayad meri samajh me ab aa gaya tha.

Philhal ke liye abhi maine uss baat ko dar kinar karte huye uss kamre se andar ja kar sab ko talash karne laga… naam se awaz lagate huye.

Vahi neha kisi andheri jagah me idhar se udhar rajj aur baki sab ka naam chillate huye darte darte bhatak rahi thi ki achanak vaha roshni jhil milane lagi.

Roshni ke aise achanak aane se vo aur bhi ghabra gayi aur cheekhne hi wali thi ki uska muh khula ka khula rah gaya…cheekh bhi nahi payi vo kyon ki uske samne koi aurat uski taraf pith kiye khadi thi.

Jaise hi vo aurat palti to uska chehra samne aa gaya….chehra dekhte hi neha ki ruh kaamp gayi…darr aur khauf se uska poora sharir thar thar kampne laga.

Kyon ki uska aurat ka chehra bahut hi bhayanak tha…..aadha jala hua chehra jispe khoon riste huye niche gir raha tha aur dekhte hi dekhte vo jali huyi parat chehre se utarti huyi niche gir gayi.aur usme se khoon ki dhara bahne lagi.

Neha ke muh se koi bol hi nahi phoot rahe the…..cheekhna to bahut door ki baat hai….vo apni jagah par khadi khadi buri tarah kaamp rahi thi….badi mushkil se uske muh se cheekh nikal payi.

Neha (cheekhte huye)—aaaaaaaaaaaaaa……..raaaaaaajjjjjjjjjj…….bachaaaaooooooo

Vo jor se chillate cheekhte huye piche ki taraf bhagi lekin darr aur khauf se thar thar kampte uske pair bhagne me uska sath nahi de paye jisse vo piche ki taraf dhadam se gir gayi…..niche girte hi uska sir kisi nukili cheez se takra gaya….ek baar phir se vo dard aur khauf se cheekh uthi.

Neha (dard se cheekhte huye)—aaaaaaaaaaaaa……..marrrrr….. gayiiiiiii ……. raaaajjjjjjj……bachaooooooo

Usne turant apne hath ko sir me dard wali jagah par lagaya….aur dard se phir chilla uthi…..dard se karahte huye usne apna hath aage kiya to uska hath khoon se sana hua tha.

Neha ne dard bhare chehre se darte darte apni nazar ko utha kar samne dekha to chounk gayi...kyon ki kuch der pahle jaha ek bhayanak aurat khadi thi, ab vaha par koi nahi tha.

Idhar main sabhi ko awaz lagata hua har jagah qile me talash karne laga ki tabhi meri ankho ne kuch aisa dekha ki main usko dekhte hi chounk gaya.
 
Well-known member
3,825
7,371
143
SAAJAN
UPDATE-198

Vo jor se chillate cheekhte huye piche ki taraf bhagi lekin darr aur khauf se thar thar kampte uske pair bhagne me uska sath nahi de paye jisse vo piche ki taraf dhadam se gir gayi…..niche girte hi uska sir kisi nukili cheez se takra gaya….ek baar phir se vo dard aur khauf se cheekh uthi.

Neha (dard se cheekhte huye)—aaaaaaaaaaaaa……..marrrrr…..gayiiiiiii…….raaaajjjjjjj……bachaooooooo

Usne turant apne hath ko sir me dard wali jagah par lagaya….aur dard se phir chilla uthi…..dard se karahte huye usne apna hath aage kiya to uska hath khoon se sana hua tha.

Neha ne dard bhare chehre se darte darte apni nazar ko utha kar samne dekha to chounk gayi...kyon ki kuch der pahle jaha ek bhayanak aurat khadi thi, ab vaha par koi nahi tha.

Idhar main sabhi ko awaz lagata hua har jagah qile me talash karne laga ki tabhi meri ankho ne kuch aisa dekha ki main usko dekhte hi chounk gaya.

Ab Aage…….

Meri ankho ke samne vaisa hi ek kamra dikhayi diya jaisa ki maine behosh hone ke dauran dekha tha….main ab iss asmanjas me fas gaya ki pahle iss kamre ko check karu ya phir sab ko talash karne ka kaam karu…?

Raj (chounk kar mann me)—Ye kamra to bilkul vaisa hi hai…..akhir ye kamra mujhe behosh hone ke baad kyo dikhayi diya tha….? Kuch na kuch raaz to avashya hi hai iss kamre ke andar…..to kya vo sabhi drishya jo bhi mujhe behosh hone ke baad dikhayi diye hain, unn sabhi ka kuch rahasya hai….? Kya vo sabhi iss tilismi jagah se hi sambandhit hain….? Vo ajib sa dikhne wala bhayanak jeev koun tha…..? kya usne mujhe sirf yahi dikhane ke liye hi behosh kiya tha ya phir ye sab koi tilism ka mayajaal hai…..? kya karu, pahle iss kamre ki talashi le kar iska raaz janne ki koshish karu ya phir sab ki khoj karu……? Pahle sab ko dekh leta hu…kahi kisi badi musibat me na phans gayi ho…?

Maine sabko pahle bachane ka faisla kar ke unki talash karne me jut gaya…..uss kamre ko ek nazar dekhte huye main aage badh gaya….main ghum phir kar ussi sidhi ke paas pahuch gaya jaha par uss kamre se mujhe kuch tamra patra mile the aur niche utarne par hum shisha lagi khidki wale room me pahuch gaye the.

Iss baar main yaha vaha mudne ki bajaye sidhe unn sidhyo se hote huye niche utarta gaya….lagbhag 50 sidhiya utarne ke pashchat mujhe ek kund dikhayi diya.

Dhyan se dekhne par maine jana ki isme bhi niche jane ke liye sidhiya bani huyi hain….main savdhani se uss kund ki sidhiya utarne laga.

Mera khyal tha ki yaha bhi vaise hi badbu bhara vatavaran hoga, garmi aur har oor dhool ki parat jama hogi aur ho sakta hai ki vo jagah kide makodo se bhi bhari padi ho.... ?

Magar mere iss khyal ke vipreet jaise hi niche pahucha to vaha ek dam saaf safayi thi, jaise ki uss jagah par koi rahta ho, dhool ka kahi namo nishan tak nahi tha aur na hi hawa band jaan padti thi....haa, andhakar jarur itna gahra tha ki vaha ki kisi bhi cheez ka dikhayi dena lagbhag namumkin tha...lekin meri kundalini jagrit hone ki vajah se koi dikkat pesh nahi aa rahi thi kuch bhi dekhne me...vaha ka farsh ek dam saman aur bilkul saaf suthra tha.

Vaha bana ek kamra jo niche se upar tak chikne pattharo se bana hua tha, aur jiski lambayi choudayi bahut kam thi upar mile kamro ki tulna me.

Main charo taraf ghum ghum kar dekhne laga ki vaha kaha kya hai.... ? purab taraf ke kone me pahucha to vaha chhat ke sath latakti huyi ek zanjeer dikhayi di, jiske sath lal kapde me bandhi huyi ek gathri latak rahi thi…..uttar ki taraf lakdi ke bane do bade bade box rakhe dikhayi diye....pashchim taraf ke kone me kamre ki satah me kuye ki tarah ka ek gaddha sa nazar aaya, jiske upar jaal pada hua tha.

Aur dakshin ki taraf ghum kar deekha to deewar ke sath safed patthar ka ek singhasan nazar aaya, jis par baithi aadam kad ki murti ko gaur se dekhne ke liye jaise hi uske karib pahucha to chounk gaya.

Kyon ki jisko maine murti samjha tha vo koi patthar ki murat nahi balki ek jeeti jagti nazuk aurat thi, jo apni badi badi ankho se ek tak mujhe hi dekhe ja rahi thi.

Aisi sunsan,sab taraf se band, shapit aur tilismi jagah me kisi aurat ki moujudgi hairat aur choukane wali baat to thi hi jabki iss jagah to koi darr aur khauf se kabhi aata jata bhi nahi hai.

Raj—ye, tum koun ho..... ?

Ek gamgeen hasi uske patle hotho par doud gayi...kintu usne mere sawal ka koi jawab nahi diya.....balki jawab dene ki jagah ulta apna sawal daag diya.

Vo—kahiye saajan, kya aap ko mujhse kuch kahna hai..... ?

Mera to dimag hi chakra gaya....iss vichitra jagah me koi aurat dekhne ko milegi, pahle to yahi asha nahi ho sakti thi… upar se vah meri jani pahchani hogi ya mera naam le kar pukaregi, ye aur bhi achambhit karne wali baat thi...main itna tajjub me dooba hua tha ki muh se koi awaz hi nahi nikal rahi thi lekin phir kisi tarah se khud ko sambhala maine.

Raj—tum koun ho aur kis liye yaha baithi ho.... ? aur tumne mera naam kaise jana..... ?

Mere sawal par Vo pahle ki hi tarah sookhi sookhi hasi hasne lagi….mujhe to ab ye pagal lagne lagi thi ya phir mujhe banane ki koshish kar rahi hai, yahi sochne laga main.

Vo—main chahe koi bhi hu....aap meri fikra chhod dijiye saajan aur aap ko yaha jo kaam hai, usko jaldi hi poora kar daliye...kyon ki agar der karenge to vah kam phir nahi ho sakega jiske liye aap yaha aaye hain.

Raj (shocked)—kya tum janti ho ki hum yaha koun se kaam ke liye aaye hain...... ?

Vo—hmmmm....bahut achchi tarah.

Aur phir vo iss tarah upar ki oor dekhne lagi jaise ki usko upar se kisi tarah ki koi aahat mili ho…..aur tabhi sach much mujhe bhi upar aati huyi kuch awaz sunayi padi.

Maine aati huyi unn awazo par gaur kiya to aisa mahsoos hua jaise ki kayi log aapas me baatcheet kar rahe hain... mujhe ashcharya hua to thoda piche hat kar sidhi ke paas ja kar main upar ki oor dekhne laga.

Magar siway kuch logo ke chalne phirne ki aahat ke aur kuch bhi sunayi nahi diya...ye dekh mera ashcharya aur bhi badha aur kuch ashanka bhi hone lagi to maine uss aurat ki fikra chhod kar sidhiyo par chadhte huye upar ki oor badh gaya.

Jis samay akhiri sidhi tay kar ke maine kund ke bahar apna sir nikala to yeh dekh mujhe ashcharya hua ki vaha to koi bhi nahi tha.

Raj (mann me)—kahi vo payal didi vagairah to nahi thi jo mujhe khojte huye yaha tak aayi ho.... ? itna jaldi vo awaze kaha gayab ho gayi.... ? lekin itne andhere me didi vagairah ka yaha tak aana lagbhag namumkin hi lagta hai... ? ab pahle iss aurat ko hi dekh leta hu ki ye vastav me hai koun…..?

Jab upar aane par mujhe koi dikhayi nahi diya to main vapis pahle ki tarah sidhya utar kar kund ke andar aa gaya jaha singhasan par baithi uss aurat ne mujhe tajjub me daal diya tha.

Magar yaha aa kar to mera ashcharya aur badh gaya, kyon ki ab vo singhasan khali tha…..aur uss aurat ka vaha koi naamo nishan tak nahi tha.

Raj (mann me)—iss charo taraf se band jagah se koi admi kis tarah aur kaha gayab ho sakta hai... ? kahi yaha par koi chhipi huyi surang ya phir koi gupt rasta to nahi hai....jisse vo aurat yaha se bhag gayi ho.... ?

Ye khyal mann me panapte hi maine har taraf dhyan se dekhna shuru kar diya....aur mera ye khyal sahi nikla bhi... uss singhasan ki bagal ki deewar me mujhe ek bahut hi chhoti surang ka nicha sa muhana nazar aaya jo iss tarah se bana hua tha ki singhasan par baithne wala vyakti sahaj hi uss raste se utar kar ja sakta tha.

Patthar ki ek silli (tiles jaisi) apni jagah se hat kar niche ki taraf jhooli huyi thi.....aur vaha ek tang (sankra) rasta dikhayi pad raha tha.

Raj (mann me)—iss surang me ghus kar dekhu kya ki andar ab kya naya tamasha yaha dekhne ko milta hai….? Lekin pahle apni sab dilrubao ki khoj khabar to le lu…pata nahi kaha bhatak rahi hain ye….? Ye qila waqayi me bahut rahasyamayi hai.

Issi tarah ki baate mann me sochte vicharte huye main palat kar kund ki sidhiya chadhte huye upar ki oor chal diya… magar akhiri sidhi par pahuchne se pahle hi mujhe punah ruk jana pada…..kisi ki chhaya mujhe uss kund par dikhayi di thi aisa jaise ki koi jhuk kar niche ki taraf dekh raha ho.

Waqt jaise jaise badh raha tha, vaha ka vatavaran utni hi tezi se badal raha tha….qile ke bahar aas maan me jor jor se bijli kadak rahi thi…’’kadddd-kadddddd……..kaddd-kadddddd’’…

Aapas me milte badal raat ke andhere me roshni bichhate huye yahi darsha rahe the ki jald hi koi toofan yaha kadam rakhne wala hai.

Vahi ek andhere kamre me neha idhar se udhar bhatak rahi thi….kisi bachche ki tarah ro rahi thi vo….tabhi usse raj ki yaad aate hi vo aur bhi jor jor se phoot phoot ke rone lagi….ankho me aaye anshu ko kisi tarah se saaf karte huye vo khadi huyi

Neha (rote huye)—raaajjjjjjjj………..raaaajjjjjjjjjj

Neha cheekhti rahi lekin uss band andhere kamre me uski ye awaz goonjti rahi …..jise sunne ke liye raj vaha tha hi nahi……lekin neha ko ye kaha pata tha ki uske theek piche koi khada hua hai….jise neha ke dil me aisa darr aur khauf dekh kar behad khushi ho rahi thi.

Neha besudh hoti huyi poori ankhe khol kar anjne me hi uski taraf palat kar aage badhne lagi aur phir uske kano me kisi ke fusfusane ki awaze sunayi dene lagi.

Kisi ki awaz sunte hi uske dil me darr aur badh gaya…..tabhi vo awaz itni nazdeek aa gayi ki usko aisa lagne laga ki koi uske kaan me kuch kah raha hai.

Chalte chalte vo phir se kisi cheez se takra kar niche uske upar gir gayi….tabhi ek baar phir se kamre me roshni phail gayi aur jaise hi neha ki nazar apne samne padi cheez par gayi to uski ruh kaamp gayi.

Kyon ki vo iss samay jiske upar giri huyi thi vo ek taza kshat vikshat laash thi kisi ki….jiski ek ankh, aadhi naak, ek kaan, ek hath aur ek pair kata hua vahi pada tha….pet ka maans poora bahar nikla hua tha….jise ki kisi ne usko abhi abhi noch noch ke khaya ho.

Neha (cheekh kar)—aaaaaaaaa,,,nahiiiiiiiiii……raaaajjjjjjjjjjjjj

Neha uske upar se uth kar haal behaal ho kar bahar ki taraf bhagi aur idhar uss laash ne apni ankhe khol di..aur uth kar neha ke piche chal diya ek pair se hi.

Vahi hospital me doctor ne veer ko dubara se dawayi ki parchi likh kar diya aur sath hi unn medicines ko jo mrinal samet layi thi unko vapis counter par loutane ko kaha.

Veer—ok thanks doctor…main abhi aaya

Mrinal—ye balatkari, ruk main bhi chalti hu….tera kya bharosa vaha pahuchte hi kisi ka balatkar karne lag gaya to…?

Veer—nahi koi jarurat nahi hai tumhe jane ki…yahi ruko..main lata hu

Lekin mrinal kaha manne wali thi…vo veer ke piche piche chal di….sanyog se vahi doctor raste me dikh gaya aur shayad usne bhi dono ko dekh liya tha….dekhte hi vo turant palat ke andar cabin me ghus gaya.

Mrinal (mann me)—maine itni mehnat se achchi achchi dawayi layi thi aur ye dok ghar ne unko vapis kar diya…khud ko bahut hoshiyar samajhti hai ye…..isko maza chakhana padega.

Counter par pahuchte hi veer ne unn dawayi lo return kar diya aur naya parcha pakda diya…lekin jaise hi dukan wale ne veer ke sath mrinal ko dekha to turant chair se uth kar hath jod liya.

Vo—madam jo bhi chahiye…aap nikal lo….aap ke liye sab free hai.

Mrinal (ankhe dikhate huye)—kya kaha tune….? Mujhe farri (free) hai ….? Gaali deta hai…ruk abhi batati hu tujhe.

Veer (sir pakad ke)—hey bhagwan…ye ladki bhi na….! ye…mrinallll nahiii..rukkk jaa….nahiii

Mrinal turant counter kud kar andar ghus gayi aur veer ke mana karte karte usne dukan wale ki gardan pakad ke ghasit liya….vo usko kaan ke niche bajane hi wali thi ki tabhi veer ne jaldi se usko pakad liya aur ek kaand hote hote rah gaya.

Mrinal (kuch utha kar)—ye kya hai….?

Vo—ye fevi quick hai.

Mrinal—achcha achcha, samajh gayi…..ye fuyi quyi hai….

Veer—chal ab yaha se..

Mrinal—thoda ruk na.....ye kabutar.....ye fuyi quyi ko kaise khate hain.... ?

Vo (shocked)—ye kuch bhi chipkane ke kaam me aata hai.

Mrinal—isse sab kuch chipak jayega na….?

Vo (picha chhudane ke liye)—bilkul

Mrinal—to phir theek hai…..chal balatkari….(mann me)—ab batati hu uss dok tarrrr ko.

Vahi mandir me chanchal abhi bhi rote huye bhagwan se vinti karne me lagi huyi thi jabki vidhya band kamre me akeli baithi anshu baha rahi thi...

Achanak uski nazar samne rakhe dressing table ke kaanch par gayi to uski dhadkan hi jaise rukne ko ho gayi…kaanch par kuch dhundhla dhundhla sa jhil mila raha tha…..aur bhi achanak uss mirror me ek chehra ubharne laga dhire dhire……..jaise hi vo chehra spast naar aaya jo ki bahut hi bayanak chehra nazar aa raha tha…..usko dekhte hi vidhya ki jor se dahshat ke maare cheekh nikal gayi…..vo jo bhi tha shayad iss samay uske piche khada tha.

Ye ehsaas hote hi uski ruh andar tak kaamp gayi…..vidhya ke poore jism me darr aur khauf se sihran doud gayi…uske hath pair thar tharane lage.

Darte darte usne kisi tarah himmat kar ke apni gardan ko piche ghumane lagi…….
Friends, Tilism ek makdi ke jaal ki tarah hota hai, ki agar uss jaal me koi jeev fas gaya to itni jaldi nahi nikal sakta...vo agar ek jaal se niklega to turant dusre jaal me fas jayega...aise hi karte huye vo faste nikalte, faste nikalte huye hi uss jaal se bahar aa sakta hai..ek dam se bahar nahi nikal sakta.

Jaisa ki aap sabhi jante hain ki ye Qila Tilismi hone ke sath hi sath abhishapit bhi hai..qile se sambandhit nagar aur uss nagar ke aas paas tak insan aur janwar to kya koi ped poudha tak jivit nahi hain...Sadiyo se vo nagar veeran hai...jaha koi jane ki sochta bhi nahi, uss nagar ke paas se bhi nahi gujarta....agar aise me hero is tilism ko itna jaldi tod dega to qile ke baare me kahi gayi baate galat sabit ho jayengi....vo ek dusre ko charitarth nahi karengi. aisa lagega jaise ki tilism bahut kamjor tha jisko raj ne ek jhatke me hi tod diya...agar aisa ho jata hai tab to qila aur vo nagar aaj tak veeran nahi hona chahiye tha.

Anyway, ye sab maine isliye kaha hai kyon ki kayi mitro ka sochna hai ki main qile ke matter ko lamba khich raha hu...lekin aisa karna kahani aur uss vishay me kahe gaye vaktavya ko charitarth karne ke uddeshya se hai.

Agle do teen updates me Qile se jude sabhi rahasyo se parda uth jayega...Tab tak mera sabhi se anurodh hai ki vo apne antah sthal me dhairya aur dheeraj banaye rakhe.

"Dhanyawad...Shubh Ratri"
 
Well-known member
3,825
7,371
143
SAAJAN
UPDATE-199

Achanak uski nazar samne rakhe dressing table ke kaanch par gayi to uski dhadkan hi jaise rukne ko ho gayi…kaanch par kuch dhundhla dhundhla sa jhil mila raha tha…..aur bhi achanak uss mirror me ek chehra ubharne laga dhire dhire……..jaise hi vo chehra spast naar aaya jo ki bahut hi bayanak chehra nazar aa raha tha…..usko dekhte hi vidhya ki jor se dahshat ke maare cheekh nikal gayi…..vo jo bhi tha shayad iss samay uske piche khada tha.

Ye ehsaas hote hi uski ruh andar tak kaamp gayi…..vidhya ke poore jism me darr aur khauf se sihran doud gayi…uske hath pair thar tharane lage.

Darte darte usne kisi tarah himmat kar ke apni gardan ko piche ghumane lagi…….

Ab aage......

Vidhya ne jaise hi kampte huye palti to ye dekh kar hairan ho gayi ki vaha koi nahi tha.....uske saanso ki speed rajdhani express ki tarah tez chal rahi thi....poora sharir darr aur khauf ki vajah se pasine se tar batar ho gaya tha.

Vidhya (hairani se)—Yaha to koi nahi hai... ! Lagta hai mera vaham tha...din me bhi baithe baithe sapne dekhne lagi hu main.....omg...kitna darawana aur bhayanak dikhta tha uska chehra....abhi tak darr se mere hath pair kaamp rahe hain. Shukra hai ki ye sirf ek khwab tha warna main to dahshat me hi marr jati aaj.

Vidhya ek lambi saans khich kar sari se chehre par aaye pasine ko pochte huye jaise hi samne ki oor mudi to uske dill ka khauf jo uske khwab samajhne se kuch kam ho gaya tha achanak vo khauf aur darr pahle ki tulna me duguna ho gaya.

Uske samne vahi dressing table tha, vo bhi apni jagah par kintu usme laga hua mirror gayab tha….ek baar phir se uske hath paon phool gaye...

Usne turant piche palat ke dekha to phir chounk gayi..kyon ki vo mirror piche ki deewar par latak raha tha…usne phir se samne palat ke dekha to ab ki bar mirror dressing table me apni jagah par laga dikha.

Usne ye dekh kar jaldi se palat ke deewar ki taraf dekha to vaha ab vo shisha nahi tha….turant samne palti to phir se chounk gayi kyon ki iss baar to vo dressing table hi apni jagah se gayab ho chuka tha…..vidhya ki halat dekhne layak ho gati thi….jis ghatna ko vo kuch der pahle tak apni jeeti jagti ankho ka ek bahut hi bura khwab samajh rahi thi, ab uska vahi khwab haqiqat ka roop le kar phir se uske samne aa kar khada ho gaya tha.

Vidhya ke jism me darr aur dahshat iss kadar haavi ho gaya ki ab uska dimag hi karna band kar diya tha…room ki khidki aur darwaje par lage huye parde jor jor se hilne lage…..jab hamare dil aur dimag ke andar darr apna darr ghar kar leta hai, uss samay hone wali kisi ped ke toote huye patte ki aahat bhi chati huyi dhadkano ko band karne ke liye paryapt hoti hai.

Yahi manodasha iss samay vidhya ki ho chuki thi….darr ki vajah se uska poora jism pasine se bhig chuka tha…ki tabhi vo dressing table apne khisak kar uski taraf aane laga….vidhya turant piche ki taraf gir gayi, mud kar vaha se bhagne ke chakkar me.

Lekin phir jaldi hi khadi ho kar darwaje tak pahuch ke room se bahar nikalne ke liye usko kholne ki koshish karne lagi par jaise aaj vo darwaja bhi uski jaan ka dushman ban gaya tha, usne bhi khulne se inkar kar diya aur lakh koshish karne ke bavjud bhi vo nahi khula to vidhya jor jor se cheekhne aur chillane lagi apni madad ke liye, magar uski madad karne ke liye aata bhi to koun…? Ghar me to uske khud ke akele ke alawa sabhi to hospital gaye huye the.

Vidhya (cheekhte huye)—koi darwaja kholo…….koi bachaooooo……..arey koiii tooooo darwaja khollll doooooo….

Akhir pareshan ho kar usne doudte huye apni pistol utha li aur charo taraf ghum ghum kar jorr jor se chillane lagi shayad vo pistol ko hi iss samay apna asli madadgar samajh rahi thi….ho bhi kyo na, akhir pistol aur khanjar ne hi to aaj tak uske manshubo ko poora karne me uski madad ki thi.

Vidhya (chillate huye)—kkkkkkkk…..kounnnn haiiiii yahaaa…..? dekhoooo tummmm jo bhiii hoooo….samne aa jaoooo, warna main goli chala dungiiii.

Aur bhi vo hua jiske baad to vidhya ki saanse hi halak me atak gayi…..uska pistol hatho se chhut kar door ja gira… kyon ki uske goli maarne ki dhamki dete hi ek chehra vaha achanak uss mirror se nikal kar bahar aa gaya…poora sharir ekdam kala, sir ke baal charo taraf se jamin tak latak rahe the, ek ek hath jitne lambe hath aur pairo ke nakhun the…aur ankhe bilkul ugte huye suraj ki tarah lal thi.

Ye bhayanak chehra dekhte hi vidhya ka poora sharir kaampne laga…..uski jeevan bhar ki sathi pistol ne uska sath chhod diya…..darr aur khauf ne usko poori tarah se apni giraft me le liya….uske muh se shabd nahi phoot rahe the… uski saanso ki gati rukne lagi aur vo dhammm se niche gir gayi, badi mushkil se uske muh se kuch yhar thare bol nikle aur phir dhire dhire uski ankhe band hoti chali gayi..

Vidhya (kaampte huye)—kkkkkkkkk…kounnnnnn hoooooo tummmmmm……..?
Y…..A…..M…..R…..A…..J

******

Udhar hospital me veer, mrinal ka hath pakad kar counter se bahar nikal ke vapis aa gaya sab ke paas…mamta ko bhi hosh aa gaya tha phir se, lekin usne apni ankhe band kar rakhi thi.

Uski dono ankho ki core se ris ris kar aanshu ab bhi bah rahe the….shayad vo abhi bhi apne dil me ho rahi pida ko sahaj nahi kar payi thi…ruchi unke bagal me baith kar bahte un anshuo ko pochh rahi thi halanki ankhe to uski khud ki bhi nam thi.

Veer ne vaha aate hi vo medicines doctor ko check kara kar mrinal ko pakda di….doctor ne unn medicines ko kab aur kaise khana hai, ye bhi bata diya.

Jab doctor usko medicines ke baare me bata rahi thi to mrinal uski chair se bilkul chipak kar khadi ho gayi…aur jaldi se fevi quick uski chair aur sari par gira diya dhakkan nikal ke….choonki doctor samne ki taraf jhuki huyi thi jisse poora fevi stick uski hips me chipak gaya baki jo bacha vo chair par lag gaya.

Doctor jaise hi sidhi huyi to uski hips ki sari chair se chipak gayi…..mrinal ne sab ki oor dekha ki kisi ne usko dekha to nahi aisa karte huye…..aur phir jaldi se fevi stick ko veer ko pakda diya…veer ko to kuch samajh aaya nahi lekin phir bhi usne bina kuch kahe pakad liya….mrinal ne to ye suna hi nahi tha ki doctor ne medicines kab khane ko kaha hai uska dhyan to apni nayi shararat ko anzam dene me laga hua tha….veer ko fevi stick thamane ke baad vo ja ke priyadarshini ke bagal me khadi ho gayi.

Doctor (haste huye)—maine jaisa bataya hai vaise hi medicine khana….kasam se tum bhi na kamal ki ladki ho…..hihihi…?

Mrinal—Jyada hihihihi mat karo….tumhare Jhaant (daant) dikh rahe hain sab ko.

Mrinal ki baat se sab chounk gaye….Doctor to ekdam se sakpaka gayi…..uska hasta hua chehra yakayak sikud kar tension me ho gaya….aur vo turant jhatke se khadi ho gayi….aur tabhi

Charrrrrrrrrrrrr…….ki awaz ke sath hi uske hips ke upar ka kapda bhi phat kar chair me hi chipak kar rah gaya….uska poora pichhwada bina kapdo ke sab ke samne aa gaya…..sabhi ki ankhe shock se aur choudi ho gayi….sab se jyada buri halat to veer ki huyi iss samay kyon ki vo doctor ke theek piche hi khada tha…uski ankho ne to ye scene dikhte hi palak jhapkna hi bhul gayi thi….jabki mrinal tali maar maar ke hasne lagi.

Doctor ne jaldi se apna hath piche le ja kar tatola to abhi kya hua sara mazra uski samajh me aa gaya….vo fatafat turant chair par baith gayi….usne apna coat utar ke kamar me lapet liya aur gusse se sab ko dekhne lagi.

Doctor (gusse se)—ye behuda harkat kis ki hai…..?

Mrinal (haste huye)—arey…veer tumhare hath me kya hai ye…..?

Doctor aur baki sab palat ke veer ko dekhne lage…veer ne chounk kar jab apne hath me fevi stick dekhi to jaldi se phenk diya jise sab ne dekh liya.

Doctor (gusse me)—apko sharam aani chahiye mr. veer, aisi giri huyi harkat karte huye…..agar mujhe raj sir ki izzat ka khyal nahi hota to main police complain karti apke khilaf.

Veer (gusse se mrinal ko ghurte huye)—apko kuch galat fahmi huyi hai doctor…..maine aisa kuch bhi nahi kiya hai.

Sab ne mil kar doctor ko kisi tarah samjhaya….vo bhi samajh chuke the ki ye harkat bhi jarur mrinal ne hi ki hogi doctor, kisi aur doctor ko bhejne ko bol kar apne coat hips me lapete vaha se bhag gayi.

Sabne mrinal ko khub sunaya, lekin priyadarshini ne kisi tarah aage aa kar mamla shant kiya….vaise bhi kisi ne raat me dinner tak nahi kiya tha paridhi ki tabiyat jyada kharab ho jane ki vajah se.

Veer—main sab ke liye kuch nasta le kar aata hu.

Ruchi—mere liye mat lana, baki jisko jo khana hai puch lo aur le aao.

Kajal—aise kaise nahi khayegi, veer tu sab ke liye le aa.

Mrinal—ruk...ruk..main bhi chalti hu sath me, teri madad ke liye

Veer—tu kaisi madad karti hai...vo main achchi tarah se dekh chuka hu....jab se aayi hai tab se meri izzat do koudi ki kar di hai tune....tujhe fasane ke liye main hi milta hu hamesha.....main tere aage hath jodta hu, mujhe baksh de... pata nahi raj ne africa ke kis jungle se tujhe yaha pakad laya hai.

Veer ne usko mana kar ke bahar nikal gaya….mrinal bhi uske piche piche bhagi….lekin tab tak veer gadi le kar chal diya tha….mrinal nirash ho kar loutne hi wali thi ki tabhi uski ankho ne kuch aisa dekha ki vo chounk gayi…vo tezi se bhagne lagi veer ki taraf….shayad usne kuch apratyashit bahut bada khatra bhamp liya tha.

Mrinal (chillate huye)—nahii…veerrrrr…vapis lout aaoooo…..matttt jaooooooo

Lekin veer to uski pahuch se door nikal chuka tha….akhir me mrinal adrishya ho kar tezi se veer ki taraf badhne lagi…. Idhar veer iss baat se anjan tha ki ek bahut bada khatra badi tezi se uski taraf badh raha hai.

Veer apni hi dhun me gadi chala raha tha ki tabhi uss road ko ek bahut bade sher ki parchhayi ne gher liya…
******

Vahi dusri taraf uss grah me uss rajya ke rajguru dhyan mudra me baith kar apne guru ka dhyan laga rahe the kuch der baad hi unke guru samne prakat ho gaye aur yaad karne ka karan pucha.

Guru—kaho vats, kaise yaad kiya mujhe….?

Rajguru (RG)—gurudev….mere mann me ek shanka uttapann ho rahi thi, jiske nivaran hetu main apka marg darshan chahta hu.

Guru—kaisi shanka putra….?

RG—gurudev, jaisa ki aapne kaha tha ki uss talwar ko vahi hasil kar sakta hai jiski vo talwar hai ya phir koi maha parakrami yoddha….aaj huyi uss khooni prati yogita me maine aise hi ek maha parakrami yoddha ko dekha hai..usne na kewal uss pratiyogita ko jita hai balki uss taqatwar jeev ko parajit kar ke uss talwar ko bhi hasil kar liya.

Guru—ye to bahut hi achchi baat hai….phir tumhe shanka kis baat se hai…?

RG—meri shanka ka karan hai vahi ladka….na jane kyo mujhe uski veerta dekh kar aisa lagta hai jaise ki vo saajan ho aapne mujhe jaisi veerta saajan ke vishay me batayi thi, vaise hi gun mujhe uss ladke raj ke andar nazar aaye hain to kya raj hi saajan hai…..? aap ne ek baar kaha bhi tha ki vo phir se janam lega aur yaha jarur ayega, usko abhi yaha ke bahut se adhure kaam poore karne hain.

Guru—tumhari shanka niradhar nahi hai vats, saajan hi raj hai.

RG—iska matlab ab iss rajya me chhaye dukh aur taklif ke badal hat jayenge….har oor khushi aur ullas ka vatavaran hoga…..kya vrihadpur aur uska qila bhi shrap aur tilism se azad ho payega gurudev….? Akhir kya raaz hai vrihadpur aur uske qile ka….? Maine jab bhi raj ke baare me janne ke liye dhyan me baitha to kamyabi nahi mili, aisa kyo…?

Guru—tumhare sawal ka jawab to mere paas bhi nahi hai putra….isko samay ke upar chhod do….raj ke vishay me ya to khud raj janta hai ya phir uski guru maa….isliye kitna bhi dhyan lagaoge uske vishay me janne ke liye, kamyabi nahi milegi…ataiv uss baare me mat socho.
******

Idhar qile me vo laash ek pair ke sahare kud kud kar neha ke piche bhagne lagi….bechari ki halat adhmari jaisi ho chuki thi darr ki vajah se…uski saanse phool chuki thi aur sharir me itni bhi jaan nahi bachi thi ki vo chilla bhi sake, bhaga tak nahi ja raha tha usse.

Akhir me thak haar kar vo baith gayi aur rone lagi…uske sir se khoon bhi nikal raha tha jisse dard ho raha tha… neha lagbhag behosh hone ki kagar par pahuch chuki thi….tab tak vo laash bhi uske paas pahuch ke khadi ho gayi aur uski halat par usko hasi aane lagi….uss laash ne vahi pada hua ek bada sa patthar hawa me utha liya aur uska nishana neha ke sir ki oor mod diya.

Vo patthar neha ke sir se takrata ki uske pahle hi achanak uski disha badal gayi aur vo vapis tezi se palat kar uss laash se ja takraya….laash uchhal kar door ja giri…lekin turant khadi ho kar usne udhar dekha to use apne samne saloni khadi dikhi.

Ye saloni hi thi jisne uss patthar ki disha ko mod diya tha aur neha ki jaan jate jate bach gayi thi….idhar main yaha se vaha ghumte huye akhir me phir se ussi kamre me pahuch gaya jaha vo shisha ki khidki lagi thi.

Raj—ye kaisa chakra vyuh hai….? Kahi se bhi jata hu lekin ghum phir kar issi kamre me pahuch jata hu…aise kaam nahi banega…..ab mujhe pahle iss tilism ko todne ki koshish karni padegi…isko tode bina kuch bhi maqsad poora nahi hone wala

Main vahi khade ho kar uss murti ko dhyan se dekhne laga aur phir uss kamre se nikal kar aage badhne ke liye kadam uthaya hi tha ki jaise mujhe kuch yaad aaya aur main vapis uss kamre me aa gaya.

Maine ek baar phir se dhyan de kar uss murti ko dekhna chalu kiya…..aur achanak ek jagah par ja kar meri nazar tham gayi aur main kuch sochne par vivash ho gaya.

Maine dekha ki uss murti ke baki sabhi saat hatho me koi na koi hathiyar avashya tha sirf ek hath aisa tha jo ki bilkul khali tha…lekin uss hath ki ungliya mudi huyi thi.

Raj (mann me)—ye murti khandit kyo hai….? Baki sabhi hatho me kuch na kuch hathiyar hain to ye khali kyo hai…? Koun sa hathiyar hona chahiye iss hath me…..? chakra bhi hai, trishul, gada, dhanush, chabuk, khopdi, khappar, ye sabhi hain…..haan talwar nahi hai……

Maine turant uss talwar ko yaad kiya aur agle hi pal vo mere hatho me aa gayi…..maine mata rani ko pranam kar ke vo talwar unke uss khali hath me pakda di……aur phir tabhi….
 
Well-known member
3,825
7,371
143
SAAJAN
UPDATE- 200

Maine dekha ki uss murti ke baki sabhi saat hatho me koi na koi hathiyar avashya tha sirf ek hath aisa tha jo ki bilkul khali tha…lekin uss hath ki ungliya mudi huyi thi.

Raj (mann me)—ye murti khandit kyo hai….? Baki sabhi hatho me kuch na kuch hathiyar hain to ye khali kyo hai…? Koun sa hathiyar hona chahiye iss hath me…..? chakra bhi hai, trishul, gada, dhanush, chabuk, khopdi, khappar, ye sabhi hain…..haan talwar nahi hai……

Maine turant uss talwar ko yaad kiya aur agle hi pal vo mere hatho me aa gayi…..maine mata rani ko pranam kar ke vo talwar unke uss khali hath me pakda di……aur phir tabhi….

Ab aage…….

Murti ke khali hath me talwar pakdate hi vo talwar roshni se chamakne lagi….uski chamak samne khidki me lage shishe par padne lagi aur paravartit hone lagi shishe me takrane ke baad……(theek vaise hi jaise ki surya ki roshni me agar kisi kaanch ko rakh diya jaye to vo bhi roshni bikherne lagta hai) ….shishe me se roshni ke paravartit hote hi murti apni jagah se ghumne lagi.

Murti ke ghumte hi mujhe mata rani ke pairo ke paas jo jagah murti hatne se khali huyi vaha par kuch nazar aaya… maine paas ja kar dekha to vaha se kisi tahkhane ka rasta dikhayi diya…..maine uth kar ek nazar uss khidki me lage shishe aur phir uss murti ki taraf dekha…aur talwar ko nikal liya murti ke hath se.

Talwar nikalte hi jaise uss shishe ki roshni uss jagah par padni band huyi vaise hi vo murti ghum kar phir se pahle jaisi position me aa gayi aur vo tahkhane ka rasta murti ke pairo ke niche band ho gaya.

Maine ek bar phir se talwar murti ke hatho me thama di aur phir vaise hi hua jaise pahle hua tha….main jyada der na karte huye uss tahkhane me andar ghus gaya….andar jate hi mujhe ek button dikhi jise press karte hi murti phir se ghum kar yathavat avastha me aa gayi aur tahkhane ka dwar band ho gaya.

Andar bahut andhera tha lekin mujhe vaha dekhne me koi pareshani pesh nahi ho rahi thi….niche utarne ke liye sidhiya bani huyi thi….main unke sahare niche utarta chala gaya.

Jaise hi main jamin par pahucha to vaha par mujhe ek surang nazar aayi….main uske andar ghus gaya….mujhe ab tak koi nahi mila tha….shayad tahkhana band hone ki vajah se yaha koi aa hi nahi paya, kyon ki tahkhane ko kholne ki chabi matlab vo talwar kisi ke hath lagi hi nahi thi.

Khair maine inn vicharo ko tyag kar nirantar uss surang ke andar badhta chala gaya….na jane kitni der chalne ke baad mujhe vaha do raste nazar aaye…kuch pal ruk kar main yahi sochta raha ki pahle koun se raste par jau…kya pata koun sa rasta kitna lamba hai….?

Phir mann me nirnay kar ke ek raste me chal pada…..kuch door jane par hi mujhe ek kamra mila…..maine usko kholne ki koshish ki lekin vo nahi khula…..akhir me maine usko tod diya.

Lekin jaise hi kamre ke andar kadam rakha to vaise hi kisi ne mujhe lapet liya……maine dekha to ye ek vishal paanch fano wala naag tha, jisne darwaje ke andar aate hi mujh par hamla kar diya tha….main lagatar khud ko uske changul se chhudane ki koshish me laga hua tha aur vo dhire dhire apna muh philata ja raha tha mujhe dasne ke liye.

Usne jaise hi jor se fufkar marte huye mere sir me hamla kiya to maine apne sir ko tirchha kar liya….isliye uska vaar khali gaya…lekin vo gussa ho kar apne paancho muh se hamla karne laga…mere hath pair usne jakad rakhe the jiski vajah se main kewal apna sir hilane ke siwa kuch bhi nahi kar pa raha tha.

Magar sir bhi kab tak idhar udhar karta jabi vo jaldi jaldi apne sabhi fano se lagatar hamle kar raha tha….lihaja maine apni ankhe band kar li aur shant ho kar sidha khada ho gaya….vo lagatar hamle karta raha par ab uske vaar ka mujh par koi asar nahi ho raha tha….dhire dhire mera sharir badhne aur phailne laga jisse uski pakad dheeli hoti gayi. Aur phir mere jism se aag ki lapte nikalne lagi.

Aag ki lapte jaise hi mere jism se nikalna shuru huyi to vo jaldi se mujhe chhod kar door ho gaya lekin ye aag itni tez ho chuki thi ki uski lapte poore kamre me har kone tak ja rahi thi...vo iss aag me jhulasne laga aur bachne ke liye idhar udhar bhagne laga kintu ab uske yaha se bhagne ka koi marg shesh nahi tha kyon ki darwaje ke paas to main hi khada hua tha.....antatah vo iss aag me jal kar bhasm ho gaya aur uske jalte hi ek roshni uske andar se nikal kar mere jism me sama gayi aur vo jalkar rakh ka dher ban gaya.

Uske bhasm hote hi maine apne sharir ko normal kar liya.....ab vo kamra anekanek ratnabhusno se prakashit ho raha tha....akoot khazana bhara pada tha uss kamre me.....heere, jawahraat, sona, chandi, mani, manikya aur bhi na jane kitne hi prakar ke ratna aur abhusan ka bhandar laga hua tha.

Maine ek bar phir se ankhe band kar ke apna ek hath aage kiya to mere hath se roshni nikalne lagi jo uss khazane ke upar ja kar padne lagi aur phir vapis mere hatho me sama gayi.....ab vaha koi bhi khazana nahi tha...maine usko apne andar samahit kar liya tha.

Ab mera uss kamre ka kaam khatam ho chuka tha to vapis vaha se lout kar dusri surang me ghus gaya.....kafi door tak jane ke baad vaha mujhe ek darwaja nazar aaya...jo mere hath lagate hu khul gaya....lekin uske andar mujhe kuch nahi dikha to main vapis loutne ke liye palta hi tha ki tabhi meri nazar kisi aisi cheez par padi ki main bhi dekh kar chounk gaya.

Maine uske karib ja kar dhyan se dekha to vo ek bahut chota locket tha….shayad dhool mitti me vo daba hua tha lekin mera pair padne se uske upar ki parat hat gayi hogi jisse vo thoda thoda chamakne laga tha…bilkul jugnu ki tarah.

Maine usko hath me utha liya aur jab khola to dang rah gaya....kuch der tak main vaha vaise hi ankhe band kiye khada raha aur phir vapis lout aaya...surang se bahar nikal maine tahkhane me hi lage deewar me se ek jagah ke patthar ko khiskaya to vaha ek khidki dikhne lagi...maine uske andar ghus kar uss khidki ko band kar diya.

Idhar saloni ne jaise hi uss laash ko door phenka to vo bhayanak ladki phir se saloni ke samne aa gayi aur kuch budbudane lagi...magar isse pahle hi saloni ne ek maha pret ko uske upar chhod diya jisne uss ladki ko utha kar patak diya...apne samne maha pret ko dekh kar vo bhayanak ladki adrishya ho gayi...uske adrishya hote hi maha pret bhi gayab ho gaya.

Lekin agle hi pal vo ladki phir se aa gayi, shayad uska mantra poora ho chuka tha aur agle hi kshan ek maha pishash ne saloni ko piche se aa kar daboch liya..saloni uski pakad se bebas ho chuki thi..vo pishach uska bhakshan karne hi wala tha ki tabhi ek thappad uske gaalo par jor se pada aur vo udte huye deewar se ja takraya...saloni aur uss ladki ne chounk kar udhar dekha to vaha mujhe khade huye paya.

Vo ladki—oohhhh..tummm...lekin tummm jindaa kaisee hoo sakte ho.... ? aur yaha tak pahuche kaise... ?

Raj—mujhse bhidne se pahle mere baare me jaan lete to achcha hota.....koi baat nahiii, ab achche se jaan jaogee

Saloni—rajjjjj tumm aa gaye...shukra hai.

Ladki (gusse me)—achcha hua ki tum khud hi yaha aa gaye....ab tumhe koi nahi bacha sakta.

Raj—theek hai...lekin jara jaldi karna..mere paas time nahi haai teri inn bakwash baato ke liye...isliye tere paas jitni bhi shaktiya hain unhe ek baar me hi jagrit kar le.....main tujhse vada karta hu, jab tak tu vaar karte karte thak nahi jayegi main tujh par koi vaar nahi karunga..aur jab karunga to kewal ek hi vaar karunga dusra nahi.

Ladki (jor se)—maha pishach utho...apne lakshya ko poora karo...jao..khatam kar do usko

Raj—vo ab kabhi nahi uthega...pret yoni se mukt ho gaya hai vo ab..kewal haddiyo ka dhancha bacha hai...kisi aur ko bula jo isse bhi jyada taqatwar ho.

Ladki—ab dekh tu tera kya haal karti hu main...

Agle hi pal usne ek brahma rakshash ka smaran kiya aur vo kuch hi der hi attahas karta hua vaha prakat ho gaya.. usne usko meri taraf jane ka ishara kar diya...vo ishara milte hi tezi se meri oor aaya aur phir beech raste se hi jitni tezi se aaya tha uski double tezi se vapis lout kar gayab ho gaya....ye dekh kar vo hairan rah gayi ki aisa kaise ho sakta hai kyon ki kisi brahma rakshash ko siddh karna aur usko harana bahut badi baat hai.

Uske paas jitni bhi shaktiya thi lagbhag sabhi ka usne aahvahan kar liya lekin koi kuch nahi kar saka...bhoot, pret, chudail, dakini, shakini, betal, pishach, maha pret, mashan, brahma betal.aadi.....aadhe se jyada se mujhe dekhte hi vapis bhag gaye aur jo paas aaye vo mere thappad ki maar kha kar uss yoni se mukt ho ke yamlok pahuch gaye.

Raj—bas ab tera kaam khatam.....ab vaar karne ki bari meri.

Ladki (ghabra kar)—kkk...koun ho tummm..... ? meri koi bhi shakti tumhe nuksan kyo nahi pahucha saki….? Mujhe maaf kar do... ?

Raj—maine tumhe pahle bhi kaha tha ki mere baare me jaan lete to achcha hota.....ab der ho chuki hai.

Saloni—saajannn…hum isse yaha ke bare me jankari hasil kar sakte hain.

Raj—koi jarurat nahi hai…….iska samay khatam hota hai ab.

Vo ladki (shocked)—kyaaaaaa…? Tummmm saaajjjjjaaann hoooo…..?

Aur maine apna hath aage kar diya aur agle hi pal mere hatho se aag nikalne lagi jisne uss ladki ko apne ghere me le liya aur phir uski dardnak cheekhe vaha goonjne lagi…..in cheekho ki awaz sun kar neha bhi hosh me aa gayi aur jaise hi usne uss aag ki roshni me mujhe dekha to uth kar turant mujhse chipak kar rone lagi.

Neha (rote huye)—rajjj…isne mujhe bahut mara….dekh khoon bhi bah raha hai.

Raj—koi baat nahi…ab vo khatam ho chuki hai….sab theek ho jayega.

Maine apna ek hath unke sir par rakh diya aur agle hi pal unka ghaav bharne laga tezi se aur kuch hi kshan me vo poori tarah se theek ho gayi.

Neha (hairan)—arey…ye itna jaldi kaise theek ho gaya….?

Raj—vo sab chhodo aur chalo yaha se ab

Saloni—lekin baki logo ko hum kaha talash karenge.... ?

Raj—chalo...mujhe pata hai vo kaha milenge.

Main dono ko sath lekar ussi kund ke paas aa gaya.....jaha mujhe kisi ki parchhayi dikhi thi....main vaha ek disha me chalne laga...dono mera hath pakad kar chal rahi thi..kuch door chalne ke baad hame kisi ke aane ki aahat sunayi di to main udhar mud gaya....tabhi mujhe dusri taraf se divya aati huyi dikhi...mere awaz dete hi vo bhag kar aayi aur mujhse amarbel ki tarah lipat gayi.

Divya (sisakte huye)—mujhe laga tha ki kahi phir se na kho du tumhe.... ? kya karu doodh ka jala chhachh ko bhi phoonk phoonk kar pita hai na.

Raj—tumhare rahte bhala mujhe koi maar sakta hai....chalo aao

Neha—payal aur paridhi jane kaha hongi.... ?

Raj—samne wale tahkhane me...chalo dono vahi milengi

Hum chalte huye samne ek chote se tahkhane jaise kamre me aa gaye…jaha dono ek kone me behosh padi thi…bandhi huyi….maine dono ko jaldi se khol kar seene se lagaya….mere seene se lagte hi dono ko hosh aa gaya..maine roshni phaila rakhi thi jisse vo turant mujhe dekhte hi chipak ke rone lagi..badi mushkil se dono ko samjha kar shant kiya maine.

Raj—tum dono yaha kaise….?

Payal (sisakte huye)—pata nahi kisi ne hame yaha la kar patak diya andhere me.....hamne ek bar yaha se bhagne ki koshish ki to kisi ne phir se hame ghasit kar baandh diya aur phir pata nahi kaise hum behosh ho gayi.

Raj (mann me)—ohhh..to inn dono ki parchhayi dikhi thi mujhe uss kund se upar aate samay.

Raj—khair ab main aa gaya hu...chinta ki koi baat nahi hai.

Payal (sisakte huye)—tu kaha chala gaya tha, mujhe chhod kar...agar tujhe kuch ho jata to..ab hum yaha nahi rukenge

Raj—bina iss tilism ko tode hum yaha se bahar nahi nikal sakte.

Payal—kyo nahi nikal sakte....vo darwaja ya phir uss khidki se bahar ja sakte hain.

Raj—tilism me kewal andar aane ka rasta hota hai, usko tode bina bahar jane ka koi rasta nahi hota...sab raste band hote chale jate hain, jaise jaise hum andar jate jate hain uske.

Neha—to phir kaise tootega ye tilism….?

Raj—chalo mere sath….mujhe pata hai ki ye kaise tootega…..? lekin usse pahle mujhe minakshi tak pahuchna hoga.

Divya—minakshi kaha hai….?

Raj—chalo dekhte hain usko bhi…

Main sab ko lekar uss kund me dhire dhire utarne laga……jaise hum niche pahuche to sab hairan rah gayi….main singhasan ke karib pahuch kar niche bane tahkhane me sab ke sath jane laga ab.

Neha—iss qile me kitne tahkhane hain baap re….?

Andar utarte huye akhir hum niche pahuch hi gaye…..tabhi meri nazar ek kamre par gayi…ye vahi kamra tha jisko maine behoshi ke dauran dekha tha kintu iske andar kya hai ye dikhayi dene se pahle hi mujhe hosh aa gaya tha.

Main jaise hi uss kamre ke karib pahucha to…achanak vahi madhur geet phir se mujhe sunayi dene laga

Upar Ambar Niche Dharti, Beech Me Hain Dil Ke Afsaane
Afsaano Dard Hai Kitna, Pyar Ke Dushman Ye Kya Jaane

Payal—ye to phir se aa gayi yaha bhi gana gaate…picha hi nahi chhod rahi hai, kalmuhi…. meri kulhadi ghar me bhool gayi warna isko batati…..mujhe ghasit rahi thi, tabhi gardan kaat deti iss karamjali ki

Maine ankhe band kiya to ek hath me mombatti aur dusre hath me machis aa gayi……maine usko jalakar divya ko pakda diya….vo geet vaha goonjta raha.

Raj (jor se)—Rajlaxmi samne aa jaooo

Neha (shocked)—ye rajlaxmi koun hai..... ?

Raj—vahi jo payal chhankate huye gaana ga rahi hai…..Rani Rajlaxmi

Aur phir payal ki chhan…chhan karti awaz paas me aane lagi……aur phir vo hamare samne aa gayi…ye vahi aurat hai jisko maine singhasan par baithe dekha tha.

Rajlaxmi—to aapne mujhe akhir pahchan hi liya saajan

Payal—tum isko kaise jante ho….? Kab mile the tum isse….? Kya rishta hai tumhara iss kalmuhi se…?

Raj—didi..shantt…..sab samajh jaogi……aur vo sirf ek aatma hai

Neha (shocked)—kyaaaa…? Ye chudail hai…..?

Raj—ab aap shuru mat ho jana….yaha jis kaam ke liye aaye hain pahle vo karne do mujhe

Maine dhire se uss kamre ka darwaja khol diya…aur aage badhne laga…..kuch door jane par ek karagar dikhayi diya.. jaise hi main karagar ke karib pahucha to meri nazar salakho ke andar qaid bediyo se jakdi huyi ek ladki par padi jo apna sir jhukaye huye baithi thi…..karagar ke charo taraf mombatti jal rahi thi….charo deewar aur jamin par bas ek hi baat likhi huyi thi…vahi geet ke bol….jo shayad minakshi ne hi likhe the.

Raj (dard)—Minakshiiiiiiiiii

Meri awaz sunte hi vo turant apna sir upar ki aur phir vo mujhe dekhte hi chounk gayi….idhar ye sab bhi buri tarah se chounk gayi minakshi ko dekh kar (divya aur saloni ko chhod) kyon ki uski shakal aur paridhi ki ek jaisi thi.

Neha (shocked)—ye to paridhi ki hamshakal hai

Paridhi (hairan)—ye to mainnn hii huuu

Divya—haa didi…aap hi minakshi ho…lekin apne pichhle janam me

Minakshi kuch der tak aise hi mujhe ghurti rahi aur phir jor se cheekh maar kar rone lagi aur uth kar bhagne ki koshish ki to zanzeer me bandhi hone ke karan vahi dhadam se gir gayi.

Minakshi (cheekhte huye)—saajannnnnnnnnnn

Raj—minakshiiiii

Main jaise hi uss karagar ko kholne ke liye hath lagaya to kisi adrishya shakti ne mujhe piche dhakel diya..maine teen char baar prayas kiya lekin har baar asafal hi raha.

Raj (jor se)—koun hai …samne aao….?

"Hahahaha.....swagat hai saajannnn....akhirrr tummm aa hi gayeeee....mujheee ish din ki kab se pratiksha thiii..hahaha" aur phir vahi bhayanak sadhu hamare samne aa gaya jisko payal didi ne dekha tha.

Payal (bhag kar mujhse chipak ke)—rajjjj...ye....ye....ye...to vahiii sadhuuu haiii...jisko..maine uss bachche ki hatya karte huye dekha thaa.

"Haaaaa...vo main hi thaaaa....abbbb mainnn tummm sabkiiii baliii dungaaaa....hahahahaha .... aaj meraaa intazarrr khatam huaaa"
(3032 words)
 

Top