Ye akhir ho kya raha hai ahmad ke sath Pehle to khidki par ek bachi ka hath dikha but jab usne sasha ko jaga kar waha dekhne ke liye kaha to waha par aisa kuch nahi tha Phir ekbhadsa fridge ke sath bhi hogaya jo Pehle itni Jaan lagane se bhi nahi khol raha tha wo dusri baar mai aisa khola ki ahmad ko khol kar rakh diyaUpdate 02Ye manzar dekh kar mera dil uchal kar halaq tak aa gya aur main takreban chekh utha tha lekin meri checkh mere halaq me ghut kar reh gayi, jald ehsaas ho gya ke main kisi badi musibat me griftar ho gya hun , ye dusri bar raat ke waqt me aise halat ka samna kar raha tha.
Mera pura wajood thar'thrahat ki zad me aa gya, main bolna chah kar bhi kuch nhi bol pa raha tha.
Aankhein achi tarha mal kar dubara kholi aur ghor se dekhne ki koshis ki , ke shayd ye mera weham ho , lekin wo meri aankhon ka dhokha nahi tha.
Wo hath kisi choti bachii ka maloom ho raha tha jo kalaiyoun se kuch upper tak ka hissa khidki ke bahar latak raha tha. Goya khidhki ke aain upper ka baqi hissa moujod ho aur kuch hissa neeche latkaya hua ho. Chand lamhon me hi main puri tarha paseene main bheeg chuka tha aur wo hath musalsal usi andaz me hil rha tha , hath ki pusht khidki ki traf aise zahir thi ke chalne wali ka rukh mere dayen traf ho.
" sasha , utho please sasha…..saa saa sasha ….utho yar…"
Main dabi hui ghabrai hui awaz me us hath ki traf dekhte hue apni biwi ko jaga raha tha jo is waqt gehri neend me thi.
"Sasha aa ….. please yar utho jaldi se " use kandhe se hilate hue main badi mushkil se bol pa raha tha ,
Sasha par neend itni hawi thi ke mere jagane ka koi asar nahi ho raha tha
" Sasha uthooooo jaldi "
Is bar unchi awaz nikal kar maine sasha ko jhinjhora jo aankhein malti hui uth bethi aur is time jagane par be yaqeeni ki halat me mujhe dekhne lagi , hamna ko utha kar maine apni goad me lia aur jaldi se seene se lga lia.
"Kia hua Ahmd , kyun jgaya hai?"
Sasha uth kar puri tarah beth chuki thi aur bilkul normal andaz me mujh sepuch rahi thi.
Ankhon ke ishare se use khidki ki traf dekhneka ishara kia jahan main ek chotii bachii ke hath ka kuch hissa dayen se bayen harkat karte hue dekh raha tha .
"Kia hua…? Kia keh rahe hain…"
Wo be zariat se ek nazar meri nazar ke ta;aqub me khidki par le gayi aur wapas puchne lagi.
" wo dekho sasha samne khidki ke upper ki traf"
Darte darte us jholte hath ki traf ishara kia aur hamna ko zor se gale laga lia tha ,
"Haan dekh to rahi hun? Kia hua khidki ko…"
Usne mutmain ho kar pucha ke main samjhe bagher nahi reh sakta tha ,
"Kia us hath ko sirf main hi dekh raha hun , " khud se keh kar main sasha ki taraf herangi se dekhne laga
Mera dil itna teez dhadhak raha tha ke main bahar tak dhahdkan mehsoos kar sakta tha
"sasha wo dekho khidki se bahar" mere lehje me ab ghussa aur be'chargi umad aayi thi.
"kia hai khidki se bahar"
Sasha bed se utar kar seedhi khidki ke janib barhi
Ye ek lamhe ka waqfa tha jab maine khidki se nazar hata kar sasha ki traf dekha tha aur us ke bed se utarne ke bad dobara khidki ki traf dekha, ab wahan kuch nahi tha.
Mujhe ek bar phir herat ka jhaka laga
"kia ho gya hai Ahmad? . kia hai idhr , aap kis cheez ki baat kar rahe hain "
Sasha khidki ke samne meri traf munh karke khari mujh se swal kar rahi thi aur meri nazar us ke sir ke upper us jagha tiki hui thi jahan chand lamhon pehle ek chotii bachii ka hath latka hua , jhulta hua nazar aa raha tha .
Aain usi lamhe mere zehan me us ladki aur bachii ki ek jhalak aayi , jise maine apni gadi se udaa dua tha wo ek jhalak jo maine accident se pehle dekhi thi.
Accident ka wo manzar meri aankhon me ek bar phir se ghoom raha tha. Sasha ab bhi wahi khari mujh se swal kar rahi thi lekin mera zehan kahin aur hi chala gya tha.
Wo wapas apni jagha par aa gyi, hamna ko mujh se wapas lia aur bed par lita kar khud bhi dusri traf rukh kar ke leet gayi,,,
"so jayen Ahmad , aap ne koi khwab dekha hai"
Main kitni hi der tak khidki ko ek tak dekhta raha, use apna weham aur khwab samajh kar khud ko tasalli deta raha. Dhadkan ab kisi kadar normal ho chuki thi aur sansein bahaal thin.
Har lamhe mujhe aise mehsoos hota jaise wo hath dubara aa kar latak jaye ga.
Subah ke 5 baj gaye the aur halki Roshni photna shuru ho gayi thi , mera zehan un tamam waqiat ko le kar khyalat ka ek majmoaa ban chuka tha. Sone ki lakh koshish ke bawajod main khud ko un khyalat se churane me na kam tha.
Pyaas ke ehsaas ne tawajja hatayi aur maine pass rakhi pani ki bottle uthai lekin wo khali thi , main uth kar kamre se nikalne hi laga tha ke ek bar phir mere zehan me raat ka wo manzar ghoom gya.
Us khyal ko jhatak kar kichen ki taraf barha , har lamhe mujhe anjana sa dar aur khoof ka ehsaas ghere hue tha . apne room se nikal kar har guzarne wali jagha ki light on karta ja rha tha aur kichen me pohnch kar sab se pehle light on ki.
Glass dhondh kar fridge ki traf barha aur use kholne ki garz se jaise hi khecha wo lock tha.
Har mamooli cheez be mujhe ab ek khatra mehsoos ho rahi thi, fridge ka darwaza aise gher mamooli tor par band hona ek bar phir mere lie ghabrahat aur dar ka sabab ban gya tha.,
Aisa kabhi nahi hua tha ke fridge ka darwaza lock hua ho , is par koi lock mojood hi nahi tha , albata kabhi kabhar fridge ek bar kholne aur foran band karne me aisi surat paida ho jati hai ke pressure se darwaza jam ho jata hai , albata kuch der thehar kar khul jata hai , jo ek aam si baat hai lekin is waqt main bahut zor laga kar bhi fridge kholne se qasir tha ,
Herangi ki baat ye thi ke fridge ko akhri dafa khole hue bhi kayi ghanta guzar chuke the aur main jitni taqat aazmai kar raha tha , fridge ko asani se khul jana chahiye tha.
Ab ki baar main glass ek traf rakh kar bahut zoor se fridge door kholne ki koshish kar raha tha , ek paun pichle hisse par tika kar peer ka zor bhi laga liya lekin darwaza na khula m mujhe dar tha ke mazeed zor lagaya to wo apni jagha se hill jaye gay a gir jaye ga.
Pareshani barh chuki thi aur me is nayi aftad(musibat) ke lie tyar nahi tha , jisam ek bar phir paseene me dobna shuru ho gya tha aur mere aisab jwab de chuke the.
Majboran thande pani ka irada tark kar ke maine jaldi se glass uthaya aur sink se pani bhar kar pe lia. Glass wapas rakh kar main kichen se bahar nikalne ko tha k eek bar phir fridge samne dekh kar us ke darwaze ke handle ko pakda, '
Darwaza is bar mamoli hath lagne se itni zor se mukammal tor par khul gya jaise kisi ne andar se bahut zoor dar dhakka dia ho, mujhe darwaza khul ke itni zor se laga ke main peeche dewar ke paas ja kar gira,
Fridge me moujood har cheez yahan tak ke darwaze par rakhi botlein bhi bilkul sahi apni jagha par then , aur itni zor se darwaza khulne se andar ki cheezein bahar nikal kar girna yaqeeni tha,
Aao dekha na taao main kichen se bahar ki traf bhaga , na light band kar saka aur na hi fridge ka darwaza aur seedha apne kamre ki traf doud lgayi.
Kamre ke darwaze par pohanch kar maine jaise hi lock ki taraf hath barhaya, main do teen kadam peeche kheench gya ,
Mujhe kisi ne nahi pakda than a hi kisi ne mujhe peeche dhakela tha
Ab ki baar main apne pure hosh o hawaas me ye khichao mehsoos kar raha tha, aur mujhe pora yaqeen ho gya tha ke mere sath koi anjaan taqat moujood hai jo sirf meri had tak ki hi mehdood hai, jo sirf mujhe hi dikh ya mehsoos ho rahi hai,
Dobara teezi se kadam barha kar lock ko thama aur jaldi se ghuma kar kamre me dakhil ho gya. Ye sab kuch itna aanan fanan hua ke main kichen se paglon ki tarha bhaga tha aur koi light bager band kiye seedha kamre me ghus gya,
Bed par meri biwi aur beti pur sakoon andaaz me soye hue the aur main ek qurb aur aazab se guzar raha tha .
Main bed par leet kar ek baar phir un khyalate ki nazar ho gya tha. Accident se lekar kadam peeche khicnh jane tak aur pichle dinoo ke gher mamooli waqiat sab mujhe usi accident ki wajah mehsoos ho rahe the lekin ab kia ho sakta hai, kaise main in khyalat par kaboo paaun, kaise main khud ko aru apne ghar ko in cheezon se bachaun, bahut deer tak yahi sab sochte hue najane kis waqt meri aankh lag gayi thi.
Qareeban subah 11:00 baje ke waqt mere mobile par musalsal bajti bell se meri aankh khuli.
Dusri traf mera office collegue shayan tha jo ab tak office na pohnchne ki wajah poch rha tha
"yar aaj main nahi aa sakun ga , tabiyat thek nahi hai "ye keh kar maine jaan churani chahi.
"kia hua tujhe bhai aaj kal tu kuch ajeeb hi behave kar raha hai pehle to maine hi ye baat mehsoos ki thi lekin abhi tera zikar hua to eek do aur logon ne bhi aisa hi kaha hai"
Wo meri pareshani ki wajah janna'na chahta tha,
Shayan mera purana dost aur office me bhi sath kam karta tha aur main apni har baat hi us se share karta tha , lekin na jane kyun ab tak ye baat main us se share nahi kar saka tha
"yaar tu aaj office ke baad mere pass chakkar laga , kuch baat karni hai zaruri"
Meri awaz neend me doobi hui thi , shayan ne bhi zyada swal nahi kie aur aane ka keh kar phone band kar dia.
***********************************
Dopeher ka time tha main room me betha laptop par office ki emails check kar raha tha , achanak ek zoor dar awaz se main chonk kar reh gya , awaz bahar ki traf se aayi thi aur kisi lohe ki cheez se takrane ki maloom hoti thi , main harbara kar uth betha aur andaze ke mutabiq bayen traf khidki ki janib barha , awaz chonke bayen traf se aayi thi aur mojoda kamre se bahar ka darwaza bayen traf wali khidki se nazar aata tha , kamre me mojood khidki se bahar ka jaiza lene ki koshis karne laga lekin bahar khidki se bahar peed ki wajah se mukammal tor par nahi dekh pa rha tha.
Qareebi table ko pass khech kar is pr khade hokar khidki k eek kinare se dekhne ki koshish ki, meri nazar bahar ke gate par padi, to jaise ek dhachka sa laga ho ,
Meri gadi jo ghar ke andruni hisse me park hoti thi , gate ke sath bahar se takrayi hui thi aur darwaza kisi had tak andar ki traf juk gya tha , wo lohe ka ek bada aur mazboot gate tha jo bina kisi badi cheez ke takrane se aise nahi toot sakta tha , darwaza andar jhukaa hua aur gadi bahar us se lagi hui dekh kar mujhe andaza hua ke gadi bahar ki traf se gate se takrai hai hai. Main table par uchak kar dekhte hue surte haal ko samajhne ki koshish kar raha tha aur neeche ja kar dekhne ka irada kia hi tha ke apne peeche kisi ki aahat mehsoos hui, be sakhta palat kar dekha to koi bhi mojood na tha.
Jaldi se table se utarne ki garz se neeche nigah ki to mere lie dusra jhatka tha, main hawa me khara tha aur table apni wahi purani jagha par mojood thi , is se pehle ke main sambhal pata aur us table se utarne ki koshis karta jis par main tha hi nahi, chalang lagani chahi lekin
Kadam zameen par lagte hi larkhara gaye aur main sambhal na saka , munh ke bal zameen par gira ji ski wajah se sir zoor se zameen se takraya tha aur naak se khoon nikalne laga.
Mere lie ab in halat ka muqabla karna na mumkin ho gya tha , shayan ne sham ko aana tha aue main ghar se abhi hi bhaag jana chahta tha …….
"sasha…..sashaa."
"sasha idhr aao jaldi se" zoor se awaz laga kar sasha ko bulaya
Sasha meri awaz sun kar jaldi se kamre me aayi " aree ye kia hua hai? Aap ki naak se khoon kyun beh rha hai" sasha ne mujhe zameen par is halat me dekhte hi pucha
"gir gya tha yaar" maine bebasi ke andaaz me kahaa
"bahar dekho zara ghar ke gate ko" khidki ki traf ishara karte hue sasha se kaha jo apna dupatta lie meri naak se khoon saaf kar rahi thi.
"Kia hua bahar ke gate ko?" sasha khidki se bahar khank kar boli
"kia matlab tumhara? Gate ko dekho bahar ke aur meri gadi ko "
Maine gadi aur gate par zoor dete hue kaha
Wo ek baar phir jhank kar meri traf swaliya nazron se dekhne lagi.
Pata nahi meri aankhon par khof ki patti bandhi thi jo mujhe ye sab hote hue nazar aa raha tha ya phir kuch ho hi nahi raha tha aur ye sirf mera khyalat hon jo mujhe aisa dekhne par majbooor kar rahe hon ya phir sasha ki aankhon par patti bandhi thi jo use na to kuch dikhayi de raha tha aur na hi usne wo shor ki awazein suni thi aur na gadi ka gate se takrane ki aawaz…………….
Continued.......
please Give your review here.![]()
ahmad aur us bhootni ki shaadi kab hogi![]()
Horror - Char Ratein (Horror) (Completed)
INDEX Char Ratein Update 01 Update 02 Update 03 Update 04 Update 05 Update 06 Update 07 Update 08 Update 09 Char Rateinlustyweb.live
Meko to horror kahaniya raat mein comedy aur din mein turu lob story lage....![]()
pyaar wali kahani bhi likh raha hun jald hi aap use bhi parho ge , filhal is ka maza leinPehle to janab Prince ye bataiye ke Payaar ke mahine "February" mein horro genre par hee story likhne ka kahaayl kyun aayaa…
Sahee kaam Ghalat samay par… kesse ho gayaa… kaheen iss ke peeche bhee wohee chudail to naheen…
Kahir phutee hamaree kismet ke "Valentine" ke mahine mein "Halloween" story…
Ab jhelnaa to pade gaa…![]()
2nd update…
Prince Bro… aik baar phir se wahee dehsaht ka saa maahol banna hua he… balki yun kahen to theek hoga ke adhik badh chuka he aur "khauf" kee stithi se nikal kar baat "aatank" tak aagayee he…
Ahmad ko jo kuch dikh raha he who sab Sashaa ko naa dikhna asvaabhaavik lagne kee jagah theek sa lag raha he… kyun ke pati aur patni ko sab kuch alag hee dikhtaa he… to iss mein kessi pareshanee… (By the way… mein abhee vivahit nahee hun… keval… avalokan bhee koee cheez hotee he… kripya forum kee mahillayen niraash naa hon… I am still available…)
Bhai baat yeh he ke…. Achha lagaa ke har aik cheez ko writer sahib bohat ache se aur sookshmata se varnan kar rahen hein… magar iss chudail sahiba ko kyun saat pardon mein chhupaya hua he… dekhte hein iss haseena ke rukh se nakaab kab hate gaa…
Kaya khub likha he… raat ka manzar… khidkee ke paas haath… padhte padhte mujhe yun laga jesse haath computer kee screen par ho… magar phir apne badakismat hone par vishvaas karate hue hakeekat kee duniya mein lot aaya… phir yeh sochaa ke aesee khushnaseebee bass Ahmad ko naseeb ho…
Adbhut lekhan shailee...vaastav mein bhayaavah maahaul bana diya he... har chhotee-chhotee baat ko uchit anupaat ke saath varnit kiya he... naa kam naa zyaada...
Ab dekhana hoga ki Ahamad kee kahaanee par shayaan kee kya pratikriya hotee he... vah apnee patnee ko kaise battata he... aage kya hone waala hai...
are aise nahi kehna tha , asal maza to raat me padhne ka aata hai, jab ghoor sannata ho aur banda akela kamre medoston ko chetaavanee...
krpaya is kahaanee ko raat mein na padhen...
naheen to parinaam ke liye aap svayan jimmedaar honge...![]()
bilkul bro... kono chintaa nahee... sjo likhen ge sab sach hee likhen ge... pooree imaandaree ke saath...rusty bro for such a wonderful review , and jab koi cheez ghalt nazar story me to mujhe btana, i will try to cope with that in next upcomings
once again thanks