Horror Char Ratein (Horror) (Completed)

.
Moderator
2,372
1,837
143
Update 01

Raat ke takreeban 3 baje ka waqt hoga jab meri aankh is ehsaas se khuli ke koi meri ek taang pakad kar zor se khench raha hai, main us ki grift apne takhno ke kareeb mehsoos kar raha tha.



Is se pehle keh achanak neend se uth kar main is sort e hal ko mukammal samajh pata us ne mujhe itna zor se ghaseetna shuru kia ke main bed se phisalata hua seedha zameen par gira aur phir ragadta hua aage khenchta ja raha tha. Main zoor zoor se chilla raha tha aur khud ko rokne ke lie har mumkn cheez ko pakadne ki koshish kar raha tha lekin be sudh raha. Ye sab itna achanak hua ke main khud ko sanbhaal hi nahi pa rha tha aur bed ke kinare ko pakadne ki koshish me apna hath bhi zakhmi kar betha .



Mujhe peer se pakad kar musalsal khicha ja raha tha aur me zero ke bulb ki is madham Roshni aur neend ki goliyoun ke asar me samajhne se qasir tha ke mujhe khenchne wala ye wajood dar asal kia hai aur kon hai, jaise hi main darwaze ke qareeb pohncha wo khud khul gya tha aur bahar andhera dekh kar mujhe apni mout samne nazar aa rahi thi , main paglon ki tarha hath peer chlane ki koshish kar raha tha aur marble ke floor par ragadte hue ek peer ke bal khincha ja raha tha is koshish me ke koi cheez hath aa jaye aur main khud ko rok sakun, bed se darwaze ka fasla koi 10 foot ke kareeb hoga aur is 10 foot ke safar me maine har mumkin cheez , jis ko choo sakta tha pakadne ki koshish ki aur khud ko rokne ke jatan karta raha , wo kia cheez thi aur kaise wajood than ahi dekh saka tha, albata us ki grift itni mazboot thi ke peer churwana mushkil hi nhi mere lie takreeban na mumkin tha.



"sashaa..ha..ha.., sashaa..ha..ha.., " main musalsal chekh raha tha lekin wo in sab baton se be khabar mazr se soo rahi thi . meri aawaz itni teez thi aur khofnak hoti ja rhi thi ke shayad agar aas pados keg har itne bade aur log padosiyoun se be khabar rehne wale na hote to shayad kai log sun kar aa jate.



Darwaze ke kareeb pohnch kar apni pori jido jehad se maine khud ko seene aue dono hathon ke sahare rokne me kamyab ho gya tha aur ab meri position aisi thi ke mera aadha jisam kamre ke dareaze se bahar , ej oeer us anjaan wajood ki grift me, dosra hath maine dar ke fold kia hua tha ke ye bhi us ke hath na aa jaye aur khud ko darwaze ki chokhat se kisi chote bache ki manind chimat kar zor se pakda hua tha, tab hi mujhe apne peer par us ki grift dheeli hotu mehsus hui..



Apne peer ko jhatke se khench kar maine jab mehsus kia ke wo aazad ho chuka hai to main foran apne pure wajod ko ghaset'te hue kamre ke andar ghus gaya aur darwaza band kia. Mere itni zor se chillane par bhi sasha aur hamna be sudh pade so rahe the. Mera dil bahut had darje rafter se dhadhak raha tha aur aisa maloom hota tha ke mera kaleja phat jaye ga. Main is khof ke asar me darwaza band karte hi zameen par gir pada.



Kamre me khidki se Roshni chalak kar aa rhi thi aur sath bahar lawn me parindon ki cheh'chi'ha'hat, meri aankh khuli to khud ko bed par apni jagha par ba dastoor lete hue paya, apni aam routine ke mutabik main bathroom jane ki garz se bed se uthna chah raha tha jab mujhe apni kamar par jalan aur jisam me kayi jagha takleef ka ehsaas hua.



Main ek dam thithak ke ruk gya aur raat wala manzar mere samne tha, lekin main apne bed par wapas kaise aur kab aaya?



Kamre me mojood cheezon aur bed sheet ka jaiza li to wo sab bilkul sahi jagha par thin, jisne mujhe mazed hairani me mubtla kar dia.



Doud kar washroom gya aur apni shirt utar kar dekhat to kamar par jagha jagha mamoli ragad magar wazeh Nishan nazar aa rahe the , maine trouser ka paincha upper kar ke peer ki traf dekha jis par laal Nishan moujood the , sedhe hath par badastoor takleef ka ehsaas ho rha tha.

In sab nishanat ke sath meri tawaja dusri traf kamre ki wahi mamool ke mutabiq halat par gayi jo badastoor waisi hi thi.



To kia ye ek khwab tha?



Agar khwab tha to to mere jisam par Nishan kaise hain?

Mera dimagh mukammal tor par band ho chuka tha aur main ye sab samajhne se qasir tha, na jane kitni der tha main khud ko sheshe main dekhta raha aur in sab cheezon ke bare me sochta raha.

"Ahmad ….." Sasha ki awaz par main chonka aur apne khyalon se bahar aaya .

"Han sasha kia hua.?" Maine andar se hi pucha

"kia ho gya aapko itni der washroom me? Pichle 20 mint se wait kar rahi hun aur is se pehle hi aap gaye hue hain" sasha ki awaz ayi jis par main chonk gya aur fatafat apni shirt pehn kar bahar nikla



Sasha ko ab tak maine in tmam baton se la ilm rakha hua tha jo mere sath pichle kuch dino se pesh aa rhi then.

Albata ghar me kuch gher mamoli chezein sab hi mehsoos kar rahe the jaise kichen se barton ka gaib ho jana aur bad me wapas apni purani jagah par milna, aur mez per rakhi hui cheezon ka neeche gir jana ya jagah tabdeel kar lena.

Ye sb cheezain kisi ki nazron ke samne nahi hui thi lekin jo aaj mere sath hua wo na kabile yaqeen aur na qabile bayan tha .


Ye khubsurat aur khusho khurm gharana hum teen logon par mushtamil tha , main(Ahmad) meri pyari biwi Sasha aur meri ** saala beti hamna .

Zindgi ki har mumkin aasaish mere pass moujood thi aur ye zindgi ba-dastoor aise hi khushiyon se bhara tokra lie apni choti si family ke sath chal raha tha .



Mera ghar sehar se kuch door ek pur sakoon rihaishi elaaqe me rehta tha jahan zyada tar hakumti afsran aur govt. se ta'auluq rakhne wale afrad rehte the.


Raat 2:30 baje ka waqt tha jab main ek dost ke ghar shadi ke function se wapas aa raha tha k eek sunsaan si sadak par gadi ke samne achanak ek aurat bachi ka hath pakad kar road cross karti nazar aayi , wo achanak sarak ke kinare ke sath road ke us paar jane lagi, lekin aise achanak us ke samne aa jane se main bokhla sa gya aur gadi ko foran apne ulte hath par ghumaya jis se wo bach sakte the lekin agle hi lamhe mujhe ehsaas hua ke gadi ji simt ja mud rahi hai , jald hi darakhton me ja takraye gi ya kam az kam road se utar kar be kaboo ho sakti hai.



Maine asteering wapas teezi se sedhi taraf ghumaya ye jante hue bhi ke wo aurat abhi adhe road par hi mojood hai, main apni biwi aur bachi ke sath darakhton me aur road se neeche utarne ka risk nahi le sakta tha .

Agle hi lamhe wo dono meri gadi ki zad me the aur takra kar seedhe hath par moujood darakhton me taqreeban urte hue ja gire the. Main gadi ki speed is tmam surte haal me kam karne ki jaga barhata ja raha tha aur ek lamhe pehle jo takrao meri gadi ke sath hua wo ruk kar dekhne aur madad karne ki himmat bhi kho chuka tha. Main itna khud garz kabhi na tha lekin aisa kyun kia is ka jawab main kabhi khud ko nahi de paya … sab itna achanak hua ke us ladki jo ek jhalak dekhne se mujhe koi 28-29 saal ki maloom hoti thi aur bachi ki umar saat ya aath saal se zyada nahi hogi , unko main bachane ki koi tadbeer nahi kar paya tha, albata ruk kar inhein dekhna mere hath me tha lekin mere zehan me police case aur qareebi basti ke logon ka dar achanak umad aaya aur maine gadi ki raftaar aur teez kar di.



" Kia hua Ahmad,,, ye achanak kaisa jhatka laga tha?... " sasha ne harbara kar uthte hue pocha jo gadi ki takar se jaag chuki thi , lekin wo manzar na dekh payi. Hamna uski goad me neem draz ho kar leti hui soo rahi thi ,

Us ke swal par maine herangi se us ki traf dekha jaise us se puch rha hun tum ne nahi dekha ,kia hua?.



Wo ab bhi herat se meri traf dekh rahi thi aur meri pareshani bhanp gayi thi

"Ahmad kia hua tha , achanak koi jhatka laga tha, gadi ko kuch takraya hai?, " us ki matlashi nazrein back mirror aur side mirror se peeche road ka jaiza lene kii koshish kar rahi then, lekin jo cheez road par aayi thi use to maine gadi ki takkar se door uda kar phenk dia tha.

Us ke swal par maine tasalli kar li ke wo be khabar hai aur bahana kar ke use taal dia.

"kuch nhi yar yahan basti ke log pata nahi kia kia daal dete hain , road par achanak ek drum type ki koi cheez aa gayi thi samne , us se takrai hai gadi thodi si "



Maine ba mushkil alfaz jama kar ke baat bnayi aur hamna ki traf dekha jo ab bhi soo rahi thi .



" soo jao sasha tum bhi, " maine jhuti muskurahat saja ke khud ko normal zahir karne ki koshish ki aur sasha ke balon me ungli pher kar use sone ka kaha,

Sadak pa ab bhi pehle ki tarha sannata aur andhera tha aise me sirf wo cheezain hi nazar aa rahi the jin par meri gadi ki light pad rahi thi.

Mujhe har lamhe mehsoos ho raha tha ke ab koi achanak samne aa jaye ga , dil buri tarah se dhadak raha tha jaise abhi nikal ke bahar aa jaye ga aur aur gadi chalana mushkil ho raha tha , main sasha ke samne khud ko pareshan zahir nahi karna chahta tha is lie baat shuru ki.

Wo ab tak mujhe hi dekh rahi thi jaise mere jawab se mutmain na hui ho

"yaar aaj maza bahut aaya lekin bahut deer ho gayi na, " maine apne oosan bahal karte hue vaat shuru ki.

" Ji aur main to shukar kar rahi hun ye takreebat khatam hui, aakhir rozana der ho jati hai aur hamna subah school ke lie uthne me nakhre karti hai "



Sasha ke sath baton ka ye silsila shuru hua aur kuch der me gadi ek khuli aur pur ronak ilaqe se guzar rahi thi , ab jahan ek do dukane ab bhi khuli thin aur us sunsan ilaqe se guzar jane ka itmenan bhi tha . kuch der me hum ghar pohnch gaye..

Wo manzar meri aankhon me bar bar aa raha tha aur main use zehn se jhatakne ki har mumkin koshish kar raha tha . bister per leet kar main taqreeban puri raat karwatein badalta raha , lekin wo chand lamhe main bhula nahi paya tha. Sasha aur hamna kab ki soo chuki thin aur neend meri aankhon se koson door thi .


Us waqie ko guzre ek hafta guzar gya tha aur ye baat maine kisi se bhi share nahi kit thi, yahan tak ke sasha se bhi nahi . main nahi chahta tha wo is baat ko jaan kar kisi pareshane me mubtla ho . ya mujhe wahan ja kar dekhne aur un logon ki koi kher khabar lene ka kahe ,

Apne aane jane ke lie maine dusra rasta ikhtyar karna shuru kar dia tha aur us raste ko din ya raat kisi waqt bhi ikhtyar nahi karta tha , halan'kii wo mera mustakil rasta tha aur dusre raste ke muqable kafi kam bhi tha. Us raat ke baad wahan se guzarne ki meri himmat nahi hui……



Nashte ki meez par mujhe sochon me gum dekh kar sasha ne pucha

"Kia baat hai , aap kin khyalon me khoye hue hain.?"

Wo chaye ka ghont pi rahi thi jab us ki baat par maine uski traf dekha aur apni chaye ka khyal aaya.

Cup utha kar ek ghont bharte hue maine sasha ki aankhon me jhankte hue kaha

"raat ko pata nhi kahan se bahut shor ki aawazein aa rhi thin ,"

Main sasha ki traf dekh kar jawab talab nazron se dekh raha tha

"acha? Kis time ? kaise shor ki aawazein ?"

Sasha ne mukammal la ilmi ka izhar karte hue kaha , ye mere lie ek bahut hi heran kun baat thi ke wo dono meri itni zor dar chekhon se be khabar so sakte hain .

"yahi koi shayad raat ke do ya teen baje hon ge , kahin se bahout zoor se chillane ki awazein aa rhi thin"



"phir aap ne dekha nahi kahan se aa rahi hain aur kis ki awazein hain"



Sasha ne tajasaus se pucha , jis par main jhijhak kar reh gya.

Kya waqai in logon ne wo awazein nahi suni hain? Maine khud se pucha

"pata nhi kahan se aa rhi thin shayad aas pados se aa rhi hon"

Keh kar main chaye me masroof hogya

Moqa milne par maine hamna se bhi alag se pucha lekin wo bhi is baat se bekhabar thi

Mujhe pura yakeen ho gya ke inhein is baat ka ilm nhi hai, phir ye Nishan kaise aa gye agar wo mera khwab tha….



Dopehr me ek bar phir maine apni shirt utar kar apni kamar par wo Nishan check kiye sath hi hath me takleef jari thi jo bed pakadne ki koshish me ragad lagne se ho rhi thi aur albata peer par mojoud wo Nishan kisi kadar halka ho gya tha , taqreeban mit jane ke, jis par mujhe herangi thi.



Main takleef aur pareshani me dusri kayi ratein theek se soon nahi saka tha aur raton ko uth uth kar dark e mare beth jaya karta tha , biwi bachii ke chehre par wahi itmenan tha aur wo meri andruni pareshani se bekhabar maze se thee. Us waqiye ke bad maine kabhi sasha aur hamna se kisi cheez ke gum hone ya jagha badalne ki shikayat nahi suni….


Raat ke takreeban sadhe teen baje ka waqt tha jab meri aankh samne mojoud khidki par padi, chand ki Roshni kamre me dakhil ho rahi thi aur parde dono taraf se khule hue the , aur khdiki ke upar wale hisse par ek hath jo dekhne me kisi bachii ka lagta tha latak kar aise hil raha tha jaise chalet hue hathon me khud ek harkat paida ho jati hai aur wo aage aur peeche hota hai,

Uska hath aik pendulum ki tarah jhul raha tha.
 
.
Moderator
2,372
1,837
143
"Chaar Ratein"... title kaafee hat kar he... aur oopar se horror genre... story kaa.... kuch to alag he kahanee mein... chalen dekhte hein kayaa he lekhak kee pitaree mein...
update posted , dekh li jiye kia nikalta hai pitare se
 
expectations
22,461
14,689
143
Huum wo dono ma beti bhut ban gayi sayad marke aur ab is aadmi ko pareshan kar rahi waise ye aadmi bahut tez dimag ka hai matlab secondon me faisla badal liya warna hota yahi hai ki log khud mar jate dusron ko bachane me yahi hota hai..ab jab usne durghatna kar diya to wapas palat kar kaun dekhne ki himmat kar pata hai yaar ki kya hua piche gadi nikal gayi to wo bhi nikal gaya lekin us gunaah ka bhut na uske piche pad gaya..dekhte ab kya hoga
 

Top