shayanmera khayaal yeh he ke ke shadi ke liye to donon raazi hein... magar yahan keval sawaal itna sa he ke bhootni ko vidaa kon kar gaa... aur woh kis ke gale lag kar roye gee... vidaa hote samay... Ahmad ke sath...![]()
Ahmad ko darne kaa nahee he... uss ko keval iss training ke zaroorat he...Ahmad & bhootni be like...
![]()
typo mistake "salah din" baba
are wohi to keh rahi hun...sala din.....typo mistake "salah din" baba
Pehale to iss update ke baare mein specifically review likhun… mein as a writer kehanaa chaahta hun… ke… ab tak ke 5 updates padhahte hue mera focus yeh bhee raha ke kaheen mein koee aesee ghaltee dhundun… jo ke iss horror story ko generally speaking… aik buree koshish banna de… ya phir mein ne yeh bhee socha ke agar mein khud yeh story likhta to kesse likhta… konsa aesa scene likhta jo ke bahut hee shandar hota… to dost bina kissi jhijhak ke mein yeh kahun ga mujhe dono hawalon se nakaamee huee…Update 05
100% agreed...shayanwaise bhi usko kuch zyada hi chul machi rahti bhootni dekhne ki
vidayi ke bahane gale bhi mil laga
![]()
Bro… aik to aap se maafi chahungaa… ke kaam ke kaaran… samay na nikal saka… aur itana late review de raha hun…
Bro… ab tak jo 3 updates mein ne padhen un ke aadhaar par bina kissee sandeh ke mein yeh keh sakta hun ke aap aik visheshagy lekharee kee tarah se ghatanaanukram ka prabandhit kar rahe hein… saath saath kisee bhee aavashyak vivaran ko khoye bina bhayaanak ghatanaon ko vyakt kar rahe hein...
Ghatanaon ka pravaah bhee taarkik prateet he aur beech main kaheen jhol bhee nahee chodaa…
Ahmad kaa yun dar jaana aur phir uss aatma ka usse yun hawaa mein oopar uthaana… aur neeche giraa dena… naak se khun nikalna… uss ka adhik bhayabheet nazar aana… un sab ke chalte bathroom mein patni ke chehre ko iss tarah se dekhna aur uss kee oar yaun roop se aakarshit honaa… aik taraf to Ahmad ke dimaghee santolan par kayee tarah ke sawaal uthaa rahe hein aur doosree taraf yah bhe pata chal raha he ke Ahmad mukhy roop se aik tharkee mard he…
Jo Ahmad ko dikh rah ahe who Sasha ko nahee dikh rha… vyaakhya yun he ke aatma keval Ahmad ko hee target kiye hue he… Kaheen aatma ka Ahmad par dil to naheen aagayaa… yeh mahillaen bhee kahna apne dil ka haal khul kar bataeen hein… bas purush ko sataane me hee keval in ko maja aata he…
Ahmad bhee tharkee he to aatma bhee vasna kee payasee lag rahee he… (yaad rahe ke pehalee update mein Ahmad kee teesree taang ko pakad kar khencha tha aatma ne…)…
Jahan Sasha ne Ahmad ke asaamaany vyavahaar kee oar ishaara kiya Shayan ko… waheen Sasha ne iss baat ka mahatv nahin diya… ke jab who khoon saaf kar rahee the to phir aese achaanak se dher sara khoon naak se kesse nikal pada…
Shayan ke yeh baat bhee ajeeb lagee ke Sasha ne jo uss ko bataya tha who sab uss ne Ahmad ko bata diya… yaa phir lekhak yeh chahte hein ke jaisa ke Shayan ko abhee asalee baat ka kuch pata nahee he iss liye who khud bhe aspasht he…
Shayan ka apne dost ko is tarah se sham ke samay us accident waalee jagah par le jana bhee kuch samajh mein nahee aaya… Ahmad to pehle se he itnana dara hua he…
Kahanee apna andar bohat saare raaz aur rahasy aur sawaal lekar aage chal rahee he… aage dekhte hein kaya hone waala he…
Adhbut lekhni kaushal… an entertaining story…![]()
Dar aur khauf ke shadows se bhara yeh update… jis mein aik taraf to accident waalee jagah par jungle mein huee ghatanaaon ko shandar tareeke se likha… doosre lashon ke wahan hone se vaataavaran adhik daraane waala ho gya…
Lekhak ne bohat hee vivekapoorvak aur visheshagy roop se bhaavana srjan kiya lashon ke hone ka… un ke bolne ka… Ahmad aur Shayan kee pratikriya … yeh sab bilkul vaastavik laga…
Sasha kee pareshanee bhee padh rahee he… ab to watchman bhee shaamil ho gaya he… uss ka kaya pratikriya hotee he…
Chat pe ho rahe ghatanaa se Ahmad ke kahuf aavardhak ho raha he… who har aik ko sandeh kee nazar se dekh raha he…
Ahmad ke liye yeh jaan kar ke bathroom mein uss ke saath aatma thee… uss kee patni ki jagah… yeh bhee kaafi bhayanak saabit hua…
Shayan ka camera lagane ka sujhaav bahut ajeeb he…
Dekhte hein aage kaya hone waala he…
Lekhak ne kamal kar diay he… shandar plot… events ka flow bhee shandar… words… expressions… sab kuch kamal ka he… aik lagatar khauf ka maahol juda hua he kahanee ke saath…![]()