Bahot hi acchi surwat hue hai kahani ki...aur horror ka pura tadka lagaya hai aapne...mujhe personally horror padh kar maza aata hai...aur aapki story sach mai kaafi aachi hai.
First update se agar predict karu toh lagta hai ki ye ek crime aur Vengeance par based story hai.
Ab agar story ke plot ke baare mai baat karu toh ... wo old saying hai na
"Life mai acche ho ya burre ho har karm ka bhugtaan yahi karna hota hai"
Ahmad background se kaafi rich hai and uski kaafi respect hai society mein par usski life 360 degree ka trun tab leti hai jab by mistake vo do logo ko apni gaadi se udda deta hai.
Aur phire shayad uss respect ke dar se ya kisi aur baat ke karan un dono ko ignore kar waha se chala jata hai aur yaha uske iss faisle ne do maasoom logo ki jaan le li...
Ab gunaah kiya hai to saza mileni hi thi...
Jo mile kar raheygi bhale hi sasha ko pata nahi chala par ye boj usko jeene nahin dega.
Aur dusri taraf wo aurat aur wo bachhi laut aayi hai badla lene ... now let see kya hota hai
At the last yahi kahunga ki....
Update kaafi aacha tha aur writing skill bhi shaandaar hai warna har koe horror ko acche se likh nahi pata par aapne likha jo ye show karta hai ki aap ki writing skills ka level kya hai.
Kaafi ques. hai jo time ke saath dur honge now see what happens next in this story.
ye bhootni to shayan aur ahmad ke sath us amil ki bhi khatiya ladi katne par tuli hai... aise kaleen khinchi ki pond hi tut gayi teeno ki
Lagta hai bhootni ki nazar mein weh teeno kaleen pe bhi baithne layak nahi![]()
![]()
wo amil bhi soch raha hoga ki jaane kaha un do kambakhto ke sath aake fansh gaya![]()
Awww... Kitni cute hai na dono hi![]()
Update 7
Itni heavy comedy
sabse bada comedian to wo Ahmad... waise chutiyapa first update se hi karta aa raha hai...
apni biwi aur bachi niche le aane ki bajaye upar sawal jawab kiya jaa raha tha....
Phir..Phir ..Phir...
aur uski bewakoofi to dekho, dono ko wohi upar room mein akele chhod aaya.... Kya uske dimag ye baat nahi khatki ke wo ruh phir se uski biwi pe kabza jama sakti hai...
Khair... Ahmad ke chutiyappa dastan mein ek aur karmana jud gaya
udhar niche bhootni ki bina ijajat liye uski video dekhne par bhadak gayi aur un teeno ki hi baja di..
Are kam se kam puch hi lete... aise personal cheeje kahe chedhne jaate hai log
![]()
matlab bhootni ko
Ye lo ...kar lo baat . ... matlab Ahmad ne kuch kiya hi nahi, bhootni to khali pili hukka pani leke uske piche padi hai byanj kaatke
bas uski yahi galti hai ki wo galat waqt pe,jagah jagah car drive kar raha tha...
Ahmad be like .... mere to ***lag gayewo bhi bilkul muft mein
ab ye amil kya karne ko keh raha Usko
Khair mujhe ki.. jo marzi kare
Baaki us ladki aur uski bachi ke sath jo hua sach mein hriday vidaarak tha...
Shaandaar update, shaandaar lekni aur shaandaar shabdon ka chayan...
bahot nirale aur uttejak tarike se update ko pesh kiya gaya hai..
Khair... let's see what happens next...
Brilliant update with awesome writing skills :applause: :applause
Bhootni ne aahmad ki achi wali khatiya khadi kar rakhi hai. Raat ho ya din jab bhi mauka mil rahi hai ahmad ko lapet le rahi hai.
Shain ne kuch sujahv diya hai jise mane ko taiyar hua ab wapas acdient wali jagah ja raha hai shayad kuch jankari mil jaye. Dekhte hai vahan naya kiya hota hai.
Adbhut atulniya lekhan kaushal![]()
Ek alag hi darvna kissa ho gaya pahle bahut dhundha par mila nehi phir achanak ladki aur bachchi ki lash mil gaya. Phir jo bola kisi bhi dil se majbut inshan ka dil dahla de. Daar dono ke dil bakhubi baith gaya hai ab delhte hai chhat par jo kuch girne aur tutne ki avaj ahmad ko sunai diya kiya vo chaukidar ko aisa kuch dikhta hai jisse lage ki ahmad jo suna ya mahsus kiya sahi hai.
Adbhut atulniya lekhan kaushal![]()
waiting new update bhai
update posted at page 24waiting update 8
Update 05Ahmad darte darte serhiyoun ki taraf barha lekin upper charhne ki himmat na kar saka "baba….baba" wo darte darte baba ko awaz lagane laga lekin upper se koi jawab nahi aaya , us ne bamushkil himmat bandh kar upper jane wali serhiyoun ki taraf kadam rakha lekin do char kadam se zyada uoer nahi charh saka uski himmat hi na ho saki
" baba salah din baba , …….. awaz sun rahe ho meri?" ek baar phir awazein lagane laga lekin upper se mukammal khamoshi ke siwa kuch naseeb na hua, albata us ki apni awaz use jaise gunjti wapas aati sunai di jo ek ajeeb si baat thi
Ek baar phir himmat kar ke wo zara sa aur upper charha , jabke ek pori sirhi abhi baki thi jo chat se milti thi, yaka yak use ek baar phir khof ne aa ghera aur wo wapas palat gya aur neeche uterne laga, bamushkil do kadam utra hoga ke koi cheez ludhakti hui us ke peeron se aa kar takrayi jis se wo apna tawazan barqarar na rakh saka aur kamar ke bal seerhiyoun par hi gira
Wo salah din baba tha jo serhiyoun par na jane achanak kahan se ludhakta hua aakar ahmad ke peeron se takraya tha.
Salah din baba behoshi ki halat me serhiyoun se ludhakta hua neeche aaya tha lekin ahmad ko takrane se pehle us ki koi awaz yahan tak ke ludhakne ki awaaz bhi nahi aayi…
"baba,……. Baba kia hua baba uthoo" wo khud ko sambhalne me kamyaab ho gya tha, ahmad jo baba ke upper hi gira tha is lie kisi kisam ki choot se mehfooz raha tha
Baba ko is halat me dekh kar ahmad ke toote urr gaye, ek nazar upper chat ki taraf mari jahan serhiyoun par andhera aur sannata khofnaak manzar pesh kar raha tha
Ahmad foran baba ko le kar kamre ki taraf bhaga aur us par pani daal kar hosh me lane ki koshish karne laga lekin na kamyan raha
Abhi wo baba ko hosh me lane ki koshish me tha ke use nichle floor se ek zor dar awaaz sunai di, is baar awaaz par sasha bhi choonk gayi thi , us awwaz ne mahol ko mukammal tor par khof ki lapet me le lia tha
"tum ne suni ye awwaz?" ahmad na kapkapati awwaz me pucha
Sasha ne haan me sar hilaya aur sehmi hui ahmad ki taraf dekhne lagi
"sasha tum baba ko dekho , pani waghera maro aur hosh me lane ki koshish karo main check karta hun" ahmad ne himmat kar ke khare hote hue kaha
"nahi ahmad mujhe bahout dar lag raha hai , aap yahin ruken please" sasha ne ghabrahat ke mare iltaja ki
"bas do mint, main check kar ke aaya" keh kar wo kamre se nikal gya
Kamre se nikal kar phonkte hue kadam rakhta wo neeche ki taraf utarne laga
Ye serhiyan un ke hall numa kamre me ja kar utarti thin jo in ka tv longe bhi tha aur dining rom bhi
Haal ki chhat ke darmiyan me aaraish ki garz se laga hua jhilmilata hua fanoos teezi se hil raha tha , jaise wo abhi gir jaye ga
Fanoos beshak bahot khubsurat aur bada sat ha , sath hi itna wazni bhi ke halki phulki hawa use hilla bhi nahi sakti thi, wo itni teezi se jhool raha tha ke jaise kisi ne use hilaya hoo
Fanoos ki jalti bujhti Roshni aur ke sheeshon ki khar'kharahat us pur'israr mahool ko aur khatarnaak bana rahi thi
"yaa khudaa …… ye kia majra hai ……….. " us ne khud se keh kar serhiyoun se neeche kadam barhana shuru kiye hi the ke wahan mojood sab ki sab lights khud ba khud off ho gun , lights band hona ahmad ke liye na hone wala waqiya tha ,
Ahmad ne wapas bhaag kar kamre ka rukh kiya aur kamre ke bahar switch board par hath mara to tamam switches off the , usne jaldi se on kar ke kamre me ghusne me hi ghanimat samjha
Baba ko ab hosh aane laga tha , sasha us se kuch fasle par khadi use aawazein de kar jagane ki koshish me lagi hui thi , ahmad ne baba ko kamar se sahara de kar bithaya aur wo bad hawasi ke aalam me idhr udhr ka jaiza lene laga
"kia hua baba" jaise hi us ko hosh aaya wo sasha ki taraf dekh kar ek dam khara hua aur darwaze ki taraf lapka
"baba kia huaa? Kahan ja rahe hoo" dono ne herangi se pucha
"hum ja raha hai , yahan kaam nahi kare ga " wo dantne ke andaaz me keh kar teezi se kamre se bahar nikla tha
Ahmad jaise hi us ke peeche jane ke lie kamre se bahar nikla ke tamam lights on dekh kar heran hue bagher na reh saka, switch board ke tamam switches bhi on the.
Ahmad bina ruke baba ke peeche peeche bhaga aur gate ke kareeb us ke mare me use rok lia
"baba kia hua , kyun bhaag rahe ho aise . upper chat par kia hua tha" ahmad ne apne hawaas par kabo pate hue puchaa
"choro hamein sahib , hum yahan kaam nahi kare ga hum jaa raha hai " wo apna zaruri saman jama kar raha tha
"are baba lekin hua kia hai ? kahan ja rahe ho , mujhe batao upper chat par kia hua " ahmad ne use rok kar kamre me mojood charpayi per bithaya
"sahib aap ne hamein upper bheja ke jao dekh kar aao kuch girah ai aawaz aayi hai, hum upper gya to begam sahiba aur human bibi upper khara hua tha"
Wo kapkapati hui awaaz me bata raha tha , ahmad ka munh ye sun kar khulaa ka khula reh gya
"phir??????????" ahmad ne foran puchaa
"sahib hum ne begam sahiba ke paas ja kar pucha ke kia hua hai to wo humein dekh kar hanstaa raha phir bolta hai , wahan kone me koi betha hua hai , ja kar dekho , humne wahan dekha to udhr kuch bhi nahi tha sirf gamle rakha hua tha, hum gamle ko dekhne wahan gya to begam sahiba ne hamein dhakka de dia , hum chat se neeche gir jata lekin lohe ka grill pakad ke hum bach gya , hum giraa nahi , phir hum khud ko sambhal ke wapas khara hua to begam sahiba ka chehra Roshni me sahi se nazar aaya , wo to koi aur tham aur humne phir dekha hamna bibi chat se neeche kudne ka koshish kar raha hai , wo dewaar par charh raha tha , hum bhaga us ko bachane ke lie , aur us ne hamara pohnchne se pehle chalang laga dia, hum foran neeche jhanka to udhar koi bhi nahi thaa, aur hamein aisa laga jaise kisi ne phir se dhakka dia ho, humne khud dubara girte girte bachaya aur wapas dekha to chat par koi bhi nahi tha , phir to hum neeche aane ke lie bhaaga to table khud ba khud hamein paun par takra gya aur hum zameen par gira, phir pata nahi kia hua, hamein kuch pta nahi hai "/…….
"sahib humne apni zindgi me bahot kuch dekha hai , hamein dar nahi lagta kisi se lekin ye hamein maar de ga , begam sahiba pehle hum se baat kar ke hamein wahan bheja phir un ka chehra badal gya,,, hamein marna chahta tha" baba ne ghabrate hue ukhri sanson ke sath sara qissa sunaya aur wapas apna saman jama karne laga
"achaa baba tum ruko , subah chale jana be shak" ahmad ne baba se rukne ki ilteja ki
"hum ja raha hai abhi yahan se , tum bhi jaao idhr se tumhara ghar me kuch hai" wo saaman utha kar bahar nikal gyaa
Ahmad ko yak dam sasha ka khyal aaya aur wo doud kar ghar ke andar ki taraf bhaga aur andar pohanch kar idhr udhr dekhe binaa foran upper ka rukh kia, kamre me sasha ko pa kar sakoon ka sans lia aur us ke barabar me ja kar beth gya…..use mehsoos hua sasha ek taraf kuch ghor ghor kar dekh rahi hai
Baba ke bare me puchne ki jaga ye kia dekh rahi hai ? ahmad ek zehan me khyal aaya aur us ne sasha ke kandhon se pakad kar harkat di " sasha …? Kia hua ? kia dekh rahi ho " ahmad ne kareeb hote hue pucha..
" TUM CHAHTE TO BACHAA SAKTE THE " ek wehshat bhari awaaz ahmad ke kanoo se takrayi , jo uski biwi ke muh se nikli thi, ankhein khoon ki tarah surkh aur chehra kayi dino ka thaka hua lag raha tha, us ne ahmad ki taraf gardan mor kar kaha
Awaz me kadre bhari pan tha , ye awwaz us awwaz se mukhtalif ne thi jo us ne jhariyoun me suni thi
Ahmad ko yun laga jaise us awaz ne use dur dhakeel dia hoo, aao dekha na taao foran darwaze ki taraf lapka aur use junhi kamre ka lock ghumaya wo band tha, ahmad zoor lagane laga ,
Usi kashmakash me uski ek nazar sasha par padi jo bahot pareshan pareshan aur ghabrai hui use dekh rahi thi , nazrein milte hi baba ke bare me puchne lagi
"kia hua tha baba ko , ahmad " ahmad ko uski asli awaaz aur chehre ke taasrat se ehsaas hua ke ye ek lamhe pehle wali sasha nahi hai m
"chalo yahan se chalte hai" ahmad ne sasha ka hath pakda aur dobara darwaza khola jo foran khul gya
**********************
Kych der me wo log sasha ki mama ke ghar ke bahar khare the , jahan human pehle se ruki hui thi….
Raste bhar sasha puchne ki koshis karti rahi lekin ahmad teezi se gadi chalata raha aur kuch bhi bolne se mana karta raha
"sasha meri baat suno, goor se ," ahmad ne hidayat karte hue baat shuru ki
"main tumhein ammi ke ghar choor raha hun , ho sakta hai ek do din tumhein yahin rukna pade , mere saath ghar me kuch ajeeb waqiyat ho rahe hain aur us ke peeche ek bahi wajah hai jo maine tumse baad me share karun ga , tumhein apna aur hamna ka khyal rakhna hai aur me in cheezon se nimat kar tumhein wapas le luun ga" ahmad ne ek hi saans me mukhtasar qissa keh dala aur sasha hakka bakka us ka chehra dekhti rahi
"tum andar jaao ab me tum se phone par rabte me rahunga " ahmad ne use gadi se utarne ka ishara karte hue kaha , aur sakht lehje mi hidayat ki
"ahmad please aap bhi yahin ruk jayen , mat jayen wahan, mera dil doob raha hai, mujhe bahot khoof aa raha hai …….please ahmad" sasha ne fikar mandi se guzarish ki
"nahi me shayan ko le kar ghar jaun ga , tum fikar na karo, jao ab andar" ahmad ne chehre par jhooti muskurahat late hue kaha, sasha gadi se utar kar ghar ke andar chali gayi
Ahmad gadi wapas mod kar ghar ki taraf jaa raha tha, ye wahi rasta tha jise ahmad ne us accident ke baad aane jaane ke lie use kar raha tha, aur dusra rasta wo kab kaa chor chuka tha
Gadi dourate hue achanak ek moqe par ahmad ko ye ehsaas hua ke gadi ki pichli seat par koi mojood hai , us ne back mirrior me dekh kar tasalli kar li , wahan koi nahi tha , albata us ka khoof ko khatam hua hi nahi tha ab mazeed barh chuka tha
Gadi ki speed bahot teez ho gayi aur ahmad dil hi dil me apni kheriyat se ghar pohnchne ki duaa magne laga , sath sath wo back mirror me pichli seat ki taraf dekhta jata aur gadi ki andar ki light bhi on kar di..
Ek lamhe ke lie us ki nazar apne mobile par padi aur ke zehan me shayan ka khyal aaya, dusre chand lamhon me wo shayan ke sath line par tha
"shayan, main tujhe lene aa raha hun , jaldi se tyar ho ja, aaj mere ghar par rukna hai tujhe mere sath " ahmad ne jaldi se baat mukammal ki
" abe kia ho gya hai ? is waqt ? " shayan ne chonk kar puchaa , lekin agle hi lamhe call disconnect ho gayi…
Shayan ke ghar pohnchne se 2 mint pehle use call ki aur gate par aane ka bol dia
" kia ho gya bhai ? ab kia masla ho gya hai yaar " shayan ne ahmad ke pohnchte hi swal dag dia aur gadi me beth gya
"kia ho gyaa? Abe ye puch kia nahi huaaa!!" bhai puch mat kia kia ho raha hai, chowkidat baba bhag gya hai, lights khud on ho jati hain, kabhi off ho jati hain, fanoos hill raha hai, kabhi sasha apna roop badal rahi hai to kabhi lag raha hai gadi me piche koi betha hua hai , bas bahot ho gyaa, yaar ab kuch karna hi pare ga mujhe" ahmad ne tilmilaa kar sari baat sunayii aur ghusse me gadi teezi se bhagata raha
"oo bhai ! zyada jazbati mat ban, aqal se kaam lee aqal se , wo koi pehlwan nahi jis se tu is tarah ladne ja raha hia!!" shayan ne samjhane wale andaaz me kaha aur sath hi peche mud kar seat ko check karne laga
" abe yaar to main kia karun, ye mere peeche pad gayi hai, tum chahte to bachaa sakte the, tum chahte to bachaa sakte the , abe kahaan se bachata main, apni biwi aur bachi ko le kar un darakhton me ghussaa deta gadi? Accident kar deta gadi ka ? tu khud bata yaar tu meri jagha hota to kia karta ? yaar maine kia ghalat kia hai? " ahmad ne taqreban rohansi hote hui ghusse bhari awaaz me kaha
" bhai main samajh sakta hun, teri ghalti nahi hai , magar, use tu samjha sakta hai ye baat? " shayan ne ye keh kar ahmad ke hont siil diye…..aur sawalaya nazron se ahmad ko dekhne laga
Ahmad tezi se gado bhaga raha tha afsurda chehra bna kar gadi ki speed kuch kam kar di
" nahi yaar ……… lekin ab kia hal hai is masle ka shayan… kia karna chaiye hamein? Un Cameron ki madad se hum kia karen ge, sirf recording na? lekin hum kuch nahi kar paye to kal ko log camera ki recording me ye dekhen ge ke mujhe aa kar kisi ne maar dia phir? Kia faydaa" ahmad ke sawal ne shayan ko bhi sochne par majboor kar dia
Un ki baat cheet ke doran gadi ki speed kuch slow ho gayi thi m ahmad kin azar samne road par aur shayan back mirror me pichli seat par ghor kar raha tha, yaka yak ahmad ko aisa lagaa jaise samne andheraa chaa gya ho, windo screen par kale kapre numa kisi cheez ne samne ka manzar oojhal kar dia tha
Yaka yak gadi ka handle bayen taraf khud muda aur isi doran inhone mehsoos kia ke wo kisi andhere wali jagha me dakhil ho rahe hain
"shayan , gadi khud chal rahi hai , main kuch nahi kar paa raha " wo chilla chilla kar bol raha tha, aur break par zoor zoor se paun maar raha tha
"gadi rook ahmad ,,,, gaadi roooo, rooooook ahmad gadi rooook " shayan chilla raha tha
"shayaaan nnnn kuch kar yaar gadi khud chal rahi hai I I I I I ……. Shayaaa ………nnnn nnn " ahmad ki chekhein goonj rahi then
Dono buri tarah chilla rahe the aur sath hi mil kar handle ko morne ki koshish to kabhi darwaza kholne ki koshish karne lage, lekin kuch na kar sake………………………………….
*********************
Continued……………………
Give your reviews here……….![]()