Horror Char Ratein (Horror) (Completed)

Will Change With Time
Moderator
Top Poster Of Month
8,864
17,023
143
Update 06


Ahmad aur shayan ne ab ki baar khud ko ek anjaan raste par paya jahan na jane gadi road par chal rahi thi ya zameen se upper thi, albata dono taraf khtarnaak had tak andhera Chaya hua tha , Roshni kisi jugnuoun ke jhurmat ki tarah mukhtalif jaghon se ubharti aur dobti nazar aa rahi thi jis me wo bamushkil ek duste ko dekh paa rahe the , is ke alawaaa wo is jagha kuch bhi samajhne se qasir the, gadi ki raftar ek hi jagha ruk gayi thi aur gadi khud ba khud chal rahi thi

" TUM CHAHTE TO BACHAA SAKTE THE" gadi me aawaaz ubhri aur itni zoor se ke khoof ke mare un dono ki aawaz aana band ho gayi us aawaz ki goonj sunai deti rahi , gadi ek hi raftar se chalti chali jaa rahi thi , ye wahi khofnaak awwaz thi jo shayan aaj dusrii baar sun raha tha, ek lamhe ke lie bhi dono ne himmat na hari aur gadi ko morne aur rokne ki koshish me lage rahe jo ke un ke control me nahi thi

Dono ne zoor zoor khudaa se apne bachne ki duaayen maangni shuru kar di aur unhein apni mout ka poor yaqeen ho chuka tha

Ye aisi anjaan jagha thi jo un ke hisaab se koi aam rasta ya road nahi tha , kuch aisi jagha jo nakib'e bayan thi

Aur ek lamha aisa aaya jab un dono ko hi gadi ke samne ek aurat aur bachii dikhai diye , wo samne road cross kar rahe the aur gadi unhi ki taraf barh rahi thi , ahmad ne apni puri taqat se gadi ka handle ghumaya lekin gadi phir bhi un se takrati hui aage ja nikli, ye manzar shayan bhi khulli aankhon se dekh raha tha aur us ke lab sill gaye the

Is ke foran baad hi ek baar phir mukammal andhera hone laga

Ahmad ne ghar ke darwaze ke samne gadi ka break mara tha , haqeeqat me ahmad ka peer break se hata hi nahi tha aur us andhere se nikalte hi break ne kaam karna shuru kar dia tha, jabke wo raste me hone ki bajaye ab ahmad ke ghar ke samne mojood the

Shayan ab tak aawazein aur wo jagha apne ird gird mehsoos kar raha tha , achanak break lagne se dash board se takraya

Wo dono phati ankhon se ek dusre ki taraf aur kabhi samne ghar ke darwaze ko be yaqeeni ke aalam me dekhne lage , jaise wo kisi khwab se jage hoon

Dono bahut deer tak bina koi baat kiye gadi me hi bethe apni sansoon par kaboo pane ki koshish karte rahe

"ye kia huaa ahmad" shayan ki larazti aawaz ne khamoshi todi

"lagta hai koi hamara ghar me intezaar kar raha hai " ahmad ne ek gehri saans le kar kaha

Maloom hota tha wo kisi bade khatre ko mehsoos kar raha ho aur khud ko is ke lie tayar kar raha ho

Gadi se utar kar us ke darwaze ke sath khara ho gya , gehri saansoon aur dharakhte dil ke saath wo apne ghar par nazrein jamaye kisi gehri soch me duba hua lag raha tha

Wo ek khubsurat bangle numa ghar tha, darwaze se andar ghuste hi car parking ki jagha thi, ulte hath par chotta sa garden , bahar se nazar aane wali upri manzil jahan uska kamra tha aur sath balcony, us se upper chhat ji ski dewar use bahar se hi nazar aa rahi thi

Dewar par angoron ki bail charhi hui thi aur us me hare aur peele goshe latak rahe the, aaj apne ghar ko wo kuch nazron se dekh raha tha jaise koi jang ladne is ghar me dakhil hone wala ho , haqeeqat bhi kuch alag na thi, jo halaat aur waqt us ka guzar raha tha, us ke lie kisi jang se kam nahi tha

"kia soch raha hai ahmad " shayan gadi se nikal kar uske pass aa chuka tha

"yaar aaj main apne hi ghar me ghusne se dar raha hun" ahmad ki awaaz madham aur rohansi thi

"jo kuch abhi hamare sath hua hai, kia wo haqeeqat thi? Ya hamara koi weham ya khwab" shayan ne ahmad ke pass khare hote hue ghar ki taraf dekh kar pucha

"main nahi janta wo khwab tha ya hamare dimagh par kisi ka kabza , mainne ye jana ke us jagha me dakhil hone se pehle hum raste me kisi aur jagha the aur us se nikal kar mere ghar ke bahar…….." ahmad ne gehri soch ke sath mathe par bal dalte hue kaha uar us ki nazrein ab tak samne ghar par tiki hui then..

"ahmad …….." shayan ne sochte hue us ke kandhe par hath rakha tha , "hmm… ahmad ne sawalya andaz me bina us ki taraf dekhe kaha

"chal yaar wapas chalte hain, mere ghar ruk jate hain" shayan ne darte darte apne andar ka khoof bahar nikala

"kuch nahi hoga , aa jaao " ahmad ye kehta hua chalne laga

Ghar me dakhil ho kar us ne tamam lights on kar dein aur shayan ke sath mill kar Kamron me mojood cctv camra aur ki direction aur coverage ka achi tarha muaaina kia

Cctv camera ghar ke bahari hisse samet do teen khas jaghon ko cover kiye hue the

Rukne aur raat son eke lie ground floor par mojood hall numa kamre ko select kia gya , jahan camera ek khule hisse samet kichen aur dusre hisse ko bhi cover kar raha tha

"mera khyal hai ye tv lounge ki jagha theek rahe gi , jahan sofe hain , hum idhr hi raat soote hain , jis se camra ki had me rahen ge " shayan ne achi tarha sab jaghein dekh kar apna mashwraa pesh kia

"haan jagha to sahih ai lekin idhr eek sofa hain , hamein choote sofe bana kar idhr hi sone ki jagha banani ho gi " ahmad ne jagha ko dekhte hue kaha

"yaar tere ghar me koi foam ka gadda , ya bistr waghera hai to wo le aa, main zameen par use bichaa kar soo jaun ga " shayan ne ye keh kar mushkil aasan kar di

Ahmad bistr lane ke lie apne room ki taraf upper chala gya jab ke shayan idhr tv on karke sofe par paun phela kar leet gya

Upper floor par ahmad lights on karta hua store numa kamre me bistr lene ki garz se chala gya, jabke shayan niche tv dekh raha tha , store ki taraf un ka jana bilkul naa jane ke barabar tha , idhr kabhi inka kaam hi nahi parta tha, jun hi ahmad store room ki taraf barh raha tha , us ke dar me thora thora izafa hota ja raha tha m wo in halaat ke itna zer'e'asar tha ke us har lamhe apne sath kuch na kuch hota mehsoos hone laga tha

Naa jane kyun us ke kadam store room jaate jaate ruk gye

"shayan baat sun " us ne upper se hi shayan ko awaaz de kar bulaya , kuch deer me shayan us ke saath upper mojood tha

"yaar ye store room me kuch soon eke gadde aur bistr chadrein waghera hain , chal andar se nikalte hain " ahmad ne apna dar chupaate hue use apne sath lia

Shayan bhi us ke bulane ke maksad ko samajh chuka tha , bina kuch bole lekin darte darte store room ka darwaza khola , chonke wo kayi mahino se kisi ne khola tak nahi tha

Kholte hi dar ki ek lehar us ke jisam me dori, andar mukammal andhera tha , foran light ka swich dabaya, lekin wo nahi chali

"yaar ye light kharab hai, ye abhi hi nahi jal rahi " shayan ne darwaze se piche hat'te hue pucha

"kharab ho gayi hai yaar, mobile ki torch jala " ahmad ne dar par qaboo pate hue apne mobile ki torch on ki aur shayan ko bhi on karne ko kaha

Kuch koshish ke bad use shayan ki pasand ka bistr mil gya jise kandhe par lie ahmad store room se nikalne laga , jun bahar ki taraf kamad uthaya use peer me kuch bahot zoor ka chubha , jis se us ki cheekh nikal gayi

"kia hua ahmad kia hua" shayan ek dam ghabra kar light us ke peeron ki taraf ki jis me se khoon nikal raha tha

"kuxh chubh gya hai yaar" ahmad ne karrahte hue bataya, aur langdate hue chalne ki koshish ki, ke achanak us kin azar kareeb pare sheeshon par padi

Un par Roshni daal kar ghor kia to us ke zeham me khatre ki ghantiyan bajne lagi

Ye wahi kaanch ka jag tha jo chhat par chaye ke baad wo dono chor kar aaye the aur us ke tootne ki aawaz par baba ko upper bheja tha

Ahmad ne foran wo khyal pne zehan se jhatka aur aur jaldi se langdate hue wahan se foran bahar nikal gya

Zakham par patti waghera laga kar wo dono kuch time baad neeche mojood the, raat ke 11:30 baje ka waqt tha aur inka soone ka mamool ek baje se pehle ka nahi tha

Tv lounge ki jagha par choote sofe hata kar ek bistr daal dia tha aur shayan ka sofe par soone ka irada tha

Apne itmenaan ke lie dono ne cctv ki footage bhi dekh kar itmeenan kar lia ke jis jagha dono sone jaa rahe hain wo camera me ache se aa rahi hai

" perfect hai yaar , camera me to kuch bhi hoga wo nazar aaa jaye ga , lekin itna kaafi nahi hai, hamein kuch aur bhi intezaam karna chahiye ta'ke kisi tarah ke masle se bach sakein" shayan ne camra check karne ke baad ek baar phi us jagha aa kar dekha aur kuch soch kar kaha

"keh to tum theek rahe ho , lekin ham kaise bachao karein , aur aisa kia karein? " ahmad ne us ki baat par razi hote hue kaha aur dono ek baar phir jagha par ghor karne lage

"yaar aisa karte hain , hum jahan soo rahe hain us kea as pass ki cheezon ko hata dete hain aur pane ird gird kuchh aisa rakhein ki is jagha koi kadam rakhe to pata chal jaye , camra agar record karega , lekin bachaao ke lie bhi to kuch hona chahiye" shayan ne ek gehri soch ke baad mashwraa pesh kia

Kuch deer me wo sofe ka rukh camra ke samne aur bistr bhi us ke barabar daak ke dobara khare ho kar dekh rahe the,

"eek kaam aur karte hain, hamare bistr ke aas paas jo jagha hai , idhr koi cheez zameen par daal dete hain , jise choone se aawaaz paida ho aur hamari aankh khul sake "ahmad ne kamar par hath rakh kar paas khare shayan se kaha

Takreeban dedh ghanta ki mehnat ke baad unhone apni tassali ke lie bahot se intezaamat kar lie the

Soofe aur bistr ke foran baad hi zameen par chaaron taraf powder chirak dia tha jis se kisi ke chalne par us ke nishaan wazeha hona zaruri tha

Powder ke hiss eke baad zameen par plasti ke shoppin bags ek dusre se bandh kar zameen par phelaa dite the jis par peer rakhe bagher koi kadam lie bistr ya soofe tak nahi pohnch sakta tha

Sab se aakhir me patli rassiyoun ke sahare bandh kar steel ke bartan is tarah rakh die ke koi un rassiyoun ko chooye to bartan gir jayen

Apne bachaao ke lie kie gaye intezaam par sath hi wo dono hans bhi rahe the lekin khoof apni jagha par baki tha

Kuch deer tv dekhne aur batein karne ke baad unhone soone ka faisla kia , itne dino ki thakan aur hawaas par taari un dino ke waqiyaat ne ahmad ko kayi dino se theek se sone nahi dia tha

Shayan ki mojoodgi ki wajah se khoof me kisi kadar kami aa gayi thi

" chal yaar main to sooun ga ab, bahot thakan mehsoos ho rahi ha aur kayi dino se neend bhi theek se nahi ho payi" ahmad ne thaakan se choor lehje me kaha

"achaaaaaaa , tujhe neend aa jaye gi ? " shayan ne baat ko halke phulke andaazz me kaha

"lets try ," ahmad ne muskura kar kaha

Wo dono jante the ke neend aana bahot mushkil hai

Kamre me lights on thi , dono neend se bojhal aankhein lie bethe ek dusre ka sahara bane hue the

Thak kar aakhir kaar ahmad soofe par leet gya aur chadar muh tak oorh li, use dekh kar shayan ne bhi soone ka faisla kia aur Roshni ki wajah se chadar apne muh tak oorh li

********************

Abhi un dono ki aankh lage kuch waqt hi guzra tha ke achanak ahmad ko ahsaas hua ke jaise kisi ne use buri tarha jakra hua ho , use laga jaise wo kisi tang jagha me phansa hua ho, aur wahan us ka dam ghut raha ho , seene par bhari pan mehsoos ho raha tha, aur wo chah kar bhi khud ko hilla nahi pa raha tha, dil ki dhadkan teeez ho gayi thi aur sansein kareeb mojood shayan tak ja rahi then , yaka yak usne pane peeron ko jhatka dia jo soofe se bahot zoor se takraya aur us ki aankh khul gayi aur usne use khwaab samajh kar sakooon ka sans lia

Chadar chehre se hat chuki thi jo is ne ek bar phir lene ki garz se pakdi hi thi ke samne lagi tv screen par nazar padi

Tv chal raha tha aur black khali screen mojood thi m ye dekh kar us ke maathe par bal umad aaye, sir utha kar shayan ki taraf dekha to wo soo raha tha, ahmad uth kar beth gya tha aur idhr udhr tv ka remote dekh raha tha, shayan se kuch door bistr par hi use tv remote nazar aa gya jise dekh kar us ne ek gehri saans li aur ye soch kar ke shayan ke paas pada hua remote ka button us se neend me dab gya hoga, wo remote utha kar off karne laga

Ek lamhe ke lie use mehsoos hua ke screen par koi sunsaan sadak nazar aayi ho , sath hi tv se koi aawaz bhi, ahmad ke dil ki dharkan mazeed teez ho gyi lekin agle hi lamhe use apna weham samajh kar wo remote rakh chuka tha , screen ab off thi

Ahmad ne aas paas ka mukammal jaiza lia aur zameen par mojood powder ab bhi waise hi tha

Ek bar phir wo chehre tak chadar oorh kar leet gya

Ab ki baar use shayan ke kharate ki awaaz aa rahi thi jo use kuch pareshan karne lagi, us ne karwat badal kar apna rukh soofe ki back ki taraf kar lia

Abhi wo halki neend me gya hi tha ke us apne peer ki taraf se chadar uth'ti mehsoos hui, is ka ehsaas use thandi hawa lagne se hua jo us hall me mojood ac kit hi aur us se pehle chadar ki wajah se apne peer par mehsooos nahi ho rahi thi

Ahmad ne jaise sar utha kar dekha , chadar neeche ho gayi aur ye ek gher yaqeeni cheez thi, kyuki na hi kamre me hawa ka koi guzar tha aur na hi ac ki hawa se chadar uth sakti thi

Neend ab us ki ankhon se jati rahi

Ek baar phir use khoof mehsoos hone laga

Kuch deer soone ki koshis kar ke wo ek bar phir utha aur zameen par mojood powder ko khare ho kar dekhne laga , lekin wo waisa hi tha , jaisa inhone zameen par dala tha, jis se use tasalli hui wur wo ek bar phir soone ki koshish karne laga

Kareeban adha ghanta guzra hoga aur wo puri tarha neend me gyaa bhi nahi tha ke use ghar ke bahar se gadi ke achanak zordar break lagne aur tyre scratching ki aawaz aayi , ye aawaz use apne ghar ke bahar se aayi thi aur itni teez thi ke wo chonk kar uth gya

" shayan uth yaar , shayaan jaldi kar, uth please, mujhe koi aawaz ayi hai " wo shayan ko jagane laga jo be sudh soo raha tha , achanak har bara kar uth betha

" abee kia hua ahmad" wo garbara kar apna sar khujate hue puchne laga

"yaar koi aawaz aayi hai bahar se gadi ki chal yaar dekhte hain , mujhe lag raha hia hamare ghar ke bahar se aayi hai " ahmad ne pareshani ke aalam me kaha

"soo ja yaar kuch nahi huaa" shayan jo gehri neend se jaga tha keh kar dobara leet gya

"chal yaar please shayan kuch to hua hai ……dekhte hain chal kar gadi ko, uth please" ahmad us ki minnat kar raha tha lekin is baar shayan ki taraf se koi jawab nahi aaaya

"ahmad khud ko jhuti tasalli dete hue dobara leet gya, bahar akele jaane ki himmat na thi

Use dar mehsoos hone laga jis wajah se us ne chehre tak chadar eek baar phir oorh li thi

Us ne mehsoos kia ke bahar kutton ke bhonkne ki aawazein aana shuru ho gayi hain , us se pehle tak ye aawaz eek do bar aa rahi thi lekin ab wo aawazein teez aur musalsal aa rahi then

Ek anjaana khof use khaye ja raha tha

Ahmad ek baar phir uth kar beth gya aur kamre me dekhne laga , khoof use khaye jaa raha tha lekin us ke paas koi chara na tha siwaye wapas son eke

Wo ek baar phir leet gya

Kareeban 10 min t guzre honge ke use apne peer par kisi ke choone ka ehsaas hua, us ne chonk kar apna peer khench lia aur us taraf dekhne ko tha hi ke kisi ne use zor se pakad kar shayan ki taraf kheencha , wo lurakhta hua seedha shayaan ke upper gira aur bad hawasi se dekhne laga

Yaka yak use dusra jhatka laga aur use peer se itni zor se kheencha gya ke wo shayan ke upper se hota hua zameen par ragadta hua jaane laga

"shayaan bachaa mujhe shayaan …………n……n……….n…….. rok mujhe shayan bachaaa le shayaan" wo zor zor se chilla kar shayaan ko pakadne ki koshis karne laga lekin is se pehle ke shayan is mamle ko samajh pata ahmad kheencta hua us ki pohnch se door nikal chuka tha

Shayan us ke girne se garbara kar uth gya tha lekin sambhal nahi paya tha

Ahmad ko wo taqat buri tarha kheechte hue le jaa rahi thi , wo zameen par mojood powder se guzarta hua shopping bags par aur us ke baad seedha darwaze ki taraf kheechta chala ja raha tha

Herat angez tor par us se zameen par mojood powder aur shopping bags bikhr gaye the , jabke aakhir me mojood rassi jo zameen se upper thi hilli bhi nahi, na hi ghaseetne me ahmad ka hath barh ka us tak pohancha tha

Kamre ka darwaza khud ba khud khul gya tha aur ahmad darwaze se bahar ki taraf be dardi se kheenche ja rha tha

Wo musalsal chilla raha tha , aur usi doran shayan apni jagha se uth kar peeche bhaga tha

"shayan bachaa le mujhe please shayaan ….shayaan" wo buri tarha chilla raha tha aur shayan us ka naam leeta hua us ki taraf bhaag raha tha

Ahmad apni har mumkin koshish ke bawajood khud ko nahi rook par raha tha , ghar se nikal kar dakhli raste se hota hua wo bahar ki taraf kheencha ja raha tha, us ki dil larza dene wali cheekhein door door tak sunayi de rahi hon gi

Shayan ne kamre se nikal kar teezi se bhaag kar ahmad ka hath akhir kar tham hi lia tha aur be rouni darwaze se kuch fasle par use rokne me kamyaab ho gyaa

Ahmad ke peer se grift ab dheeli ho chuki thi aur wo khud uthne ki koshish karne laga , sath hi shayan ne use seene aur kamar se pakad kar apni taraf kheenchna shuru kar dia

Raat ke 4:30 ka waqt ho raha tha aur sannate ne mahol ko apni lapet me lia hua tha , is sab ke dooran kutton ke bhonkne ki aawazein eek bar phir bahot barh gayi then

Shayan palat palat kar peeche dekhta raha aur use sahara deta hua ghar me jaldi se dakhil hua aur use soofe par la kar bitha dia, sath hi darwaza dobara band kar dia

Is sab ke doran shayan ke takrane se bartan apni jagha se neeche gire hue the

Ahmad ka jisam aur chehra zakhmi ho chuka tha aur jagha jagha se guzarne ragadne ki wajah se khoon beh raha tah

"chal shayan …..chal …. Yahhan se chal yar" ahmad ne mushkil se bolne ki koshish ki lekin uski halat use ijazat nahi de rahi thi,kuch deer sans bahal karke dono ne upper kamre me jaane ka faisla kia , ahmad shayan ki madad se bamushkil chalta hua upper aaya tha aur shayan ne use bed par litaa dia

Ahmad ke kapde jagah jagha se phat chuke the , us tamam waqiye me shayan ne puri himmat se kaam lia aur shayan ka bharpoor sath dia

Dono subah ka intezar kar rahe the , take kisi hospital ja sakein , shayan ne halki phulki first aid de di thi , jis se ahmad ab thora behtar mehsoos kar raha tha

Subah saat baje tak wo dono wahin bethe rahe aur jab munasib Roshni hone ke baad hospital jane ka faisla kia

Shayan kapde change kar ke tayar ho chuka tha , jabke ahmad abhi tak bed par hi leta hua tha

"chal yaar ahmad himmat kar thori , change kar phir chalte hain"shayan ne khidki se bahar jhank kar kaha jahan se ab puri Roshni kamre me dakhil ho rahi thi

Ahmad kohniyoun , ghutnon par takleef ki wajah se, jo use kamre se bahar nikal kar serhiyoun par ragadne aur takrane se ho rahi thi , mushkil se chal pa raha tha

Washroom ka darwaza lock kiye bina hi wo band kar ke andar gya tha , kapde badal kar wo ab bathroom me mojood aayena dekh raha tha

Itna sab kuch hone ke bawajood wo zinda tha jis par dil hi dil me shukar kar raha tha , chehra kayi jagha se chill gaya tha aur zakham ke Nisha wazeh the , wo khud ko bahot ghor se dekh raha tha

Chehra aayene ke kareen kar ke us me kabhi apne mathe aur ankhon ke gird zakham dekhta to kabhi apni kohniyoun par lage zakham aur kabhi shirt upper kar ke kamar par dekhne ki koshis karta

Isi lamhe use aisa mehsoos hua jaise bathroom me koi aur bhi mojood hai

Wo ek lamhe ke lie sochne laga , lekin phir palat kar darwaza check kia jo khula tha

Wo ek bar phir aayene me apna chehra dekhne raha tha m jo choton ke alawa thakan aur neend ke pure na hone par murjhaya hua maloom ho raha tha

Us ne apne chehre par pani dala aur ek zakham use kuch gehra maloom hona laga, pani aur hath lagane par us se halka sa khoon nikalne laga, ahmad ne hath laga kar check kia aur jaise hi apne hath par nazar padi wo heran reh gya

Uska hath khoon se bhara hua tha

Ahmad ke hosh ye dekh kar urr gaye

Aayene me dekha to wahan ek mamoli sa khoon mehaz usi jagha tak mehdood tha

Ahmad ne apna hath ek baar phir dekha aur us ka dil dehal kar reh gya , us ka hath khoon se bhara hua tha aur neeche gir raha tha , jaise hath se khoon nikal kar ris raha ho

Ek baar phir aayene me nazar dorai aur use apna chehra kuch alag sa lagne laga

Ahmad ne kareeb ho kar dobara khud ko dekha

Aayene me mojood us ka aks ab ek jagha ruk gya tha , wo na samjhi ki kaifiyat me dobara peeche hata, aur dobara chehra kareeb kia, magar us ka aks eek jagha tham kar use hi dekh raha tha

Ahmad ne mazeed ghor karna shuru kia aur apna chehra samne dekhte hue idhr udhr hilaya lekin aayene me mojood wo aks us ka kuch der pehle ka tha , jab wo ek munasib doori se khud ko dekh raha tha , be sakhta uski nazar apne hath par padi aur us par khoon mojood na tha, ek bar phir us ne nazar uthha kar aayena dekha

Us ka aks use hi dekh kar muskura raha tha …………..




Continued…………

****************************

Give your reviews here …………..
Ahmad ek aise jurm ki saja bhukat raha hai. Kiski vajh sirf aur sirf ahmad khud hai. Ahmad chahta to rook kar dekh sakta tha par ahamd ne aisa kuch bhi nehi kiya. Theek mana ko bacchi aur ladki hawa ke jhoke ki tarh achanak samne aa gaya aur unhe accedent hone se bachaya nehi ja sakta tha par bad me rookkar unhe hospitals to pahuchaya ja sakta tha par ahmad ne aisa kuch bhi nehi kiya.

Ab kaun ahmad ke saath aisa kar raha hai ye janne ke liye5 ahamad aur shayan ne milkar itna tam jham kiya par hua kiya sab dhara ka dhara rah gaya aur bhootni ne jo karna tha kar diya ahmad ko acha khasa chot pahucha diya. Us wakt jo drishy ghata bada hi darwana aur khaufnak tha.

Adbhut atulniya lekhan kaushal:clapclap::clapclap::clapclap:
 
Eaten Alive
4,118
4,183
143
shayad ek aur galti ho gayi lekin isbaar galti karne wale ahmad wo chuninda dost the... naa weh log un video footage ko dekhne ki zid karte aur na hi aaj ahmad ya uski family ke sath ye bhayanak hadsa hota jiske chalte ahmad aur uski biwi sasha ko maut mili.... In fact sasha to pregnant bhi thi...
Khair... Kahani ka ant kuch negative impact chhod ke gaye hai... Khaskar sasha aur uske hone wale bachhein ki maut ki khabar...
Is kahani mein villain koun thi ye faisla karna todi muskil hai lekin haan us aurat aur uski beti ki aatmao ne jo kiya ant mein wo sarasar galat tha... sasha aur us ajanme bache ka bhala kya kasoor jo un dono ko maut ke ghaat utar di..
waise gaur ki jaaye to ahmad kasoorwar hai bhi aur nahi bhi...
Ek tarah se wo dono aurat aur bachhi bahut pehle hi mar chuki thi.. to is tarah se ahmad ki koi galti nazar nahi aati..
Lekin dusre tarike se gaur kare is mamle ko to agar wo dono jinda bhi hote aur ahmad ki car se accident bhi hoti, tab bhi to ahmad un dono yun marne ke liye chhod ke chala jata waha se ... jaise us insaan kiya tha ...
well... galti ch aahe ho ya na ho lekin jo hua ahmad aur uski family ke sath ant mein , wo bahot hriday vidaarak tha... kam se kam ye expect na ki thi ki sasha aur uske hone wale bachhe ki jaan yun chali jaayegi..
waise hai to ek horror based kahani ... aur buri shaktiyo aur ruhani taakato se bharpoor jaha insaan ki jindagi ke sath khilwaad kiya jata hai..
Shayad achhi aur buri shaktiyo mein yahi farak hai ki jaha achhi shaktiya daya dikhati hai wohi iske ulat shaitani buri taakate krurta ka charam seema paar kar deti hai...
us aurat aur bachhi ki atmaye bhi pret banke buri taakate ban chuki thi.. unse koi daya maafi ki umeed hi kiya ki jaa sakti hai... Natiza ahmad aur uski family ko jaan deke chukani padi wo bhi bina koi gunah ke....

Khair.. Shaandaar update ,shaandaar lekhni ,shaandaar shabdon ka chayan...

Brilliant story line with awesome writing skills :yourock: :yourock:
 
.
Moderator
2,375
1,840
143
Ek ke bad ek update aage bad raha hai aur story aor jayada darwna hota ja raha hai aor kitna darana chate ho HAKIMHAKIM's icon ji.

Diwal par inshan chal raha chera automatic badal ja raha hai. Sala darawna scen bhootiya filmes jaisa ho raha. Shukr hai bhootiya film dekhne ka chaska varna iss story padhte padhte kahi mera hart uri baba bolke bahar nikal aata phir log mujhe kahte bina heart wala vahiyat inshan:lotpot:

Adbhut atulniya lekhan kaushal:clapclap::clapclap::clapclap:
:thanks: for your review
 
.
Moderator
2,375
1,840
143
Ahmad ek aise jurm ki saja bhukat raha hai. Kiski vajh sirf aur sirf ahmad khud hai. Ahmad chahta to rook kar dekh sakta tha par ahamd ne aisa kuch bhi nehi kiya. Theek mana ko bacchi aur ladki hawa ke jhoke ki tarh achanak samne aa gaya aur unhe accedent hone se bachaya nehi ja sakta tha par bad me rookkar unhe hospitals to pahuchaya ja sakta tha par ahmad ne aisa kuch bhi nehi kiya.

Ab kaun ahmad ke saath aisa kar raha hai ye janne ke liye5 ahamad aur shayan ne milkar itna tam jham kiya par hua kiya sab dhara ka dhara rah gaya aur bhootni ne jo karna tha kar diya ahmad ko acha khasa chot pahucha diya. Us wakt jo drishy ghata bada hi darwana aur khaufnak tha.

Adbhut atulniya lekhan kaushal:clapclap::clapclap::clapclap:
:thanks: for your review. story completeho chuki hai aage bhi padhein
 

Top