Horror Char Ratein (Horror) (Completed)

.
Moderator
2,376
1,840
143
Update 06


Ahmad aur shayan ne ab ki baar khud ko ek anjaan raste par paya jahan na jane gadi road par chal rahi thi ya zameen se upper thi, albata dono taraf khtarnaak had tak andhera Chaya hua tha , Roshni kisi jugnuoun ke jhurmat ki tarah mukhtalif jaghon se ubharti aur dobti nazar aa rahi thi jis me wo bamushkil ek duste ko dekh paa rahe the , is ke alawaaa wo is jagha kuch bhi samajhne se qasir the, gadi ki raftar ek hi jagha ruk gayi thi aur gadi khud ba khud chal rahi thi

" TUM CHAHTE TO BACHAA SAKTE THE" gadi me aawaaz ubhri aur itni zoor se ke khoof ke mare un dono ki aawaz aana band ho gayi us aawaz ki goonj sunai deti rahi , gadi ek hi raftar se chalti chali jaa rahi thi , ye wahi khofnaak awwaz thi jo shayan aaj dusrii baar sun raha tha, ek lamhe ke lie bhi dono ne himmat na hari aur gadi ko morne aur rokne ki koshish me lage rahe jo ke un ke control me nahi thi

Dono ne zoor zoor khudaa se apne bachne ki duaayen maangni shuru kar di aur unhein apni mout ka poor yaqeen ho chuka tha

Ye aisi anjaan jagha thi jo un ke hisaab se koi aam rasta ya road nahi tha , kuch aisi jagha jo nakib'e bayan thi

Aur ek lamha aisa aaya jab un dono ko hi gadi ke samne ek aurat aur bachii dikhai diye , wo samne road cross kar rahe the aur gadi unhi ki taraf barh rahi thi , ahmad ne apni puri taqat se gadi ka handle ghumaya lekin gadi phir bhi un se takrati hui aage ja nikli, ye manzar shayan bhi khulli aankhon se dekh raha tha aur us ke lab sill gaye the

Is ke foran baad hi ek baar phir mukammal andhera hone laga

Ahmad ne ghar ke darwaze ke samne gadi ka break mara tha , haqeeqat me ahmad ka peer break se hata hi nahi tha aur us andhere se nikalte hi break ne kaam karna shuru kar dia tha, jabke wo raste me hone ki bajaye ab ahmad ke ghar ke samne mojood the

Shayan ab tak aawazein aur wo jagha apne ird gird mehsoos kar raha tha , achanak break lagne se dash board se takraya

Wo dono phati ankhon se ek dusre ki taraf aur kabhi samne ghar ke darwaze ko be yaqeeni ke aalam me dekhne lage , jaise wo kisi khwab se jage hoon

Dono bahut deer tak bina koi baat kiye gadi me hi bethe apni sansoon par kaboo pane ki koshish karte rahe

"ye kia huaa ahmad" shayan ki larazti aawaz ne khamoshi todi

"lagta hai koi hamara ghar me intezaar kar raha hai " ahmad ne ek gehri saans le kar kaha

Maloom hota tha wo kisi bade khatre ko mehsoos kar raha ho aur khud ko is ke lie tayar kar raha ho

Gadi se utar kar us ke darwaze ke sath khara ho gya , gehri saansoon aur dharakhte dil ke saath wo apne ghar par nazrein jamaye kisi gehri soch me duba hua lag raha tha

Wo ek khubsurat bangle numa ghar tha, darwaze se andar ghuste hi car parking ki jagha thi, ulte hath par chotta sa garden , bahar se nazar aane wali upri manzil jahan uska kamra tha aur sath balcony, us se upper chhat ji ski dewar use bahar se hi nazar aa rahi thi

Dewar par angoron ki bail charhi hui thi aur us me hare aur peele goshe latak rahe the, aaj apne ghar ko wo kuch nazron se dekh raha tha jaise koi jang ladne is ghar me dakhil hone wala ho , haqeeqat bhi kuch alag na thi, jo halaat aur waqt us ka guzar raha tha, us ke lie kisi jang se kam nahi tha

"kia soch raha hai ahmad " shayan gadi se nikal kar uske pass aa chuka tha

"yaar aaj main apne hi ghar me ghusne se dar raha hun" ahmad ki awaaz madham aur rohansi thi

"jo kuch abhi hamare sath hua hai, kia wo haqeeqat thi? Ya hamara koi weham ya khwab" shayan ne ahmad ke pass khare hote hue ghar ki taraf dekh kar pucha

"main nahi janta wo khwab tha ya hamare dimagh par kisi ka kabza , mainne ye jana ke us jagha me dakhil hone se pehle hum raste me kisi aur jagha the aur us se nikal kar mere ghar ke bahar…….." ahmad ne gehri soch ke sath mathe par bal dalte hue kaha uar us ki nazrein ab tak samne ghar par tiki hui then..

"ahmad …….." shayan ne sochte hue us ke kandhe par hath rakha tha , "hmm… ahmad ne sawalya andaz me bina us ki taraf dekhe kaha

"chal yaar wapas chalte hain, mere ghar ruk jate hain" shayan ne darte darte apne andar ka khoof bahar nikala

"kuch nahi hoga , aa jaao " ahmad ye kehta hua chalne laga

Ghar me dakhil ho kar us ne tamam lights on kar dein aur shayan ke sath mill kar Kamron me mojood cctv camra aur ki direction aur coverage ka achi tarha muaaina kia

Cctv camera ghar ke bahari hisse samet do teen khas jaghon ko cover kiye hue the

Rukne aur raat son eke lie ground floor par mojood hall numa kamre ko select kia gya , jahan camera ek khule hisse samet kichen aur dusre hisse ko bhi cover kar raha tha

"mera khyal hai ye tv lounge ki jagha theek rahe gi , jahan sofe hain , hum idhr hi raat soote hain , jis se camra ki had me rahen ge " shayan ne achi tarha sab jaghein dekh kar apna mashwraa pesh kia

"haan jagha to sahih ai lekin idhr eek sofa hain , hamein choote sofe bana kar idhr hi sone ki jagha banani ho gi " ahmad ne jagha ko dekhte hue kaha

"yaar tere ghar me koi foam ka gadda , ya bistr waghera hai to wo le aa, main zameen par use bichaa kar soo jaun ga " shayan ne ye keh kar mushkil aasan kar di

Ahmad bistr lane ke lie apne room ki taraf upper chala gya jab ke shayan idhr tv on karke sofe par paun phela kar leet gya

Upper floor par ahmad lights on karta hua store numa kamre me bistr lene ki garz se chala gya, jabke shayan niche tv dekh raha tha , store ki taraf un ka jana bilkul naa jane ke barabar tha , idhr kabhi inka kaam hi nahi parta tha, jun hi ahmad store room ki taraf barh raha tha , us ke dar me thora thora izafa hota ja raha tha m wo in halaat ke itna zer'e'asar tha ke us har lamhe apne sath kuch na kuch hota mehsoos hone laga tha

Naa jane kyun us ke kadam store room jaate jaate ruk gye

"shayan baat sun " us ne upper se hi shayan ko awaaz de kar bulaya , kuch deer me shayan us ke saath upper mojood tha

"yaar ye store room me kuch soon eke gadde aur bistr chadrein waghera hain , chal andar se nikalte hain " ahmad ne apna dar chupaate hue use apne sath lia

Shayan bhi us ke bulane ke maksad ko samajh chuka tha , bina kuch bole lekin darte darte store room ka darwaza khola , chonke wo kayi mahino se kisi ne khola tak nahi tha

Kholte hi dar ki ek lehar us ke jisam me dori, andar mukammal andhera tha , foran light ka swich dabaya, lekin wo nahi chali

"yaar ye light kharab hai, ye abhi hi nahi jal rahi " shayan ne darwaze se piche hat'te hue pucha

"kharab ho gayi hai yaar, mobile ki torch jala " ahmad ne dar par qaboo pate hue apne mobile ki torch on ki aur shayan ko bhi on karne ko kaha

Kuch koshish ke bad use shayan ki pasand ka bistr mil gya jise kandhe par lie ahmad store room se nikalne laga , jun bahar ki taraf kamad uthaya use peer me kuch bahot zoor ka chubha , jis se us ki cheekh nikal gayi

"kia hua ahmad kia hua" shayan ek dam ghabra kar light us ke peeron ki taraf ki jis me se khoon nikal raha tha

"kuxh chubh gya hai yaar" ahmad ne karrahte hue bataya, aur langdate hue chalne ki koshish ki, ke achanak us kin azar kareeb pare sheeshon par padi

Un par Roshni daal kar ghor kia to us ke zeham me khatre ki ghantiyan bajne lagi

Ye wahi kaanch ka jag tha jo chhat par chaye ke baad wo dono chor kar aaye the aur us ke tootne ki aawaz par baba ko upper bheja tha

Ahmad ne foran wo khyal pne zehan se jhatka aur aur jaldi se langdate hue wahan se foran bahar nikal gya

Zakham par patti waghera laga kar wo dono kuch time baad neeche mojood the, raat ke 11:30 baje ka waqt tha aur inka soone ka mamool ek baje se pehle ka nahi tha

Tv lounge ki jagha par choote sofe hata kar ek bistr daal dia tha aur shayan ka sofe par soone ka irada tha

Apne itmenaan ke lie dono ne cctv ki footage bhi dekh kar itmeenan kar lia ke jis jagha dono sone jaa rahe hain wo camera me ache se aa rahi hai

" perfect hai yaar , camera me to kuch bhi hoga wo nazar aaa jaye ga , lekin itna kaafi nahi hai, hamein kuch aur bhi intezaam karna chahiye ta'ke kisi tarah ke masle se bach sakein" shayan ne camra check karne ke baad ek baar phi us jagha aa kar dekha aur kuch soch kar kaha

"keh to tum theek rahe ho , lekin ham kaise bachao karein , aur aisa kia karein? " ahmad ne us ki baat par razi hote hue kaha aur dono ek baar phir jagha par ghor karne lage

"yaar aisa karte hain , hum jahan soo rahe hain us kea as pass ki cheezon ko hata dete hain aur pane ird gird kuchh aisa rakhein ki is jagha koi kadam rakhe to pata chal jaye , camra agar record karega , lekin bachaao ke lie bhi to kuch hona chahiye" shayan ne ek gehri soch ke baad mashwraa pesh kia

Kuch deer me wo sofe ka rukh camra ke samne aur bistr bhi us ke barabar daak ke dobara khare ho kar dekh rahe the,

"eek kaam aur karte hain, hamare bistr ke aas paas jo jagha hai , idhr koi cheez zameen par daal dete hain , jise choone se aawaaz paida ho aur hamari aankh khul sake "ahmad ne kamar par hath rakh kar paas khare shayan se kaha

Takreeban dedh ghanta ki mehnat ke baad unhone apni tassali ke lie bahot se intezaamat kar lie the

Soofe aur bistr ke foran baad hi zameen par chaaron taraf powder chirak dia tha jis se kisi ke chalne par us ke nishaan wazeha hona zaruri tha

Powder ke hiss eke baad zameen par plasti ke shoppin bags ek dusre se bandh kar zameen par phelaa dite the jis par peer rakhe bagher koi kadam lie bistr ya soofe tak nahi pohnch sakta tha

Sab se aakhir me patli rassiyoun ke sahare bandh kar steel ke bartan is tarah rakh die ke koi un rassiyoun ko chooye to bartan gir jayen

Apne bachaao ke lie kie gaye intezaam par sath hi wo dono hans bhi rahe the lekin khoof apni jagha par baki tha

Kuch deer tv dekhne aur batein karne ke baad unhone soone ka faisla kia , itne dino ki thakan aur hawaas par taari un dino ke waqiyaat ne ahmad ko kayi dino se theek se sone nahi dia tha

Shayan ki mojoodgi ki wajah se khoof me kisi kadar kami aa gayi thi

" chal yaar main to sooun ga ab, bahot thakan mehsoos ho rahi ha aur kayi dino se neend bhi theek se nahi ho payi" ahmad ne thaakan se choor lehje me kaha

"achaaaaaaa , tujhe neend aa jaye gi ? " shayan ne baat ko halke phulke andaazz me kaha

"lets try ," ahmad ne muskura kar kaha

Wo dono jante the ke neend aana bahot mushkil hai

Kamre me lights on thi , dono neend se bojhal aankhein lie bethe ek dusre ka sahara bane hue the

Thak kar aakhir kaar ahmad soofe par leet gya aur chadar muh tak oorh li, use dekh kar shayan ne bhi soone ka faisla kia aur Roshni ki wajah se chadar apne muh tak oorh li

********************

Abhi un dono ki aankh lage kuch waqt hi guzra tha ke achanak ahmad ko ahsaas hua ke jaise kisi ne use buri tarha jakra hua ho , use laga jaise wo kisi tang jagha me phansa hua ho, aur wahan us ka dam ghut raha ho , seene par bhari pan mehsoos ho raha tha, aur wo chah kar bhi khud ko hilla nahi pa raha tha, dil ki dhadkan teeez ho gayi thi aur sansein kareeb mojood shayan tak ja rahi then , yaka yak usne pane peeron ko jhatka dia jo soofe se bahot zoor se takraya aur us ki aankh khul gayi aur usne use khwaab samajh kar sakooon ka sans lia

Chadar chehre se hat chuki thi jo is ne ek bar phir lene ki garz se pakdi hi thi ke samne lagi tv screen par nazar padi

Tv chal raha tha aur black khali screen mojood thi m ye dekh kar us ke maathe par bal umad aaye, sir utha kar shayan ki taraf dekha to wo soo raha tha, ahmad uth kar beth gya tha aur idhr udhr tv ka remote dekh raha tha, shayan se kuch door bistr par hi use tv remote nazar aa gya jise dekh kar us ne ek gehri saans li aur ye soch kar ke shayan ke paas pada hua remote ka button us se neend me dab gya hoga, wo remote utha kar off karne laga

Ek lamhe ke lie use mehsoos hua ke screen par koi sunsaan sadak nazar aayi ho , sath hi tv se koi aawaz bhi, ahmad ke dil ki dharkan mazeed teez ho gyi lekin agle hi lamhe use apna weham samajh kar wo remote rakh chuka tha , screen ab off thi

Ahmad ne aas paas ka mukammal jaiza lia aur zameen par mojood powder ab bhi waise hi tha

Ek bar phir wo chehre tak chadar oorh kar leet gya

Ab ki baar use shayan ke kharate ki awaaz aa rahi thi jo use kuch pareshan karne lagi, us ne karwat badal kar apna rukh soofe ki back ki taraf kar lia

Abhi wo halki neend me gya hi tha ke us apne peer ki taraf se chadar uth'ti mehsoos hui, is ka ehsaas use thandi hawa lagne se hua jo us hall me mojood ac kit hi aur us se pehle chadar ki wajah se apne peer par mehsooos nahi ho rahi thi

Ahmad ne jaise sar utha kar dekha , chadar neeche ho gayi aur ye ek gher yaqeeni cheez thi, kyuki na hi kamre me hawa ka koi guzar tha aur na hi ac ki hawa se chadar uth sakti thi

Neend ab us ki ankhon se jati rahi

Ek baar phir use khoof mehsoos hone laga

Kuch deer soone ki koshis kar ke wo ek bar phir utha aur zameen par mojood powder ko khare ho kar dekhne laga , lekin wo waisa hi tha , jaisa inhone zameen par dala tha, jis se use tasalli hui wur wo ek bar phir soone ki koshish karne laga

Kareeban adha ghanta guzra hoga aur wo puri tarha neend me gyaa bhi nahi tha ke use ghar ke bahar se gadi ke achanak zordar break lagne aur tyre scratching ki aawaz aayi , ye aawaz use apne ghar ke bahar se aayi thi aur itni teez thi ke wo chonk kar uth gya

" shayan uth yaar , shayaan jaldi kar, uth please, mujhe koi aawaz ayi hai " wo shayan ko jagane laga jo be sudh soo raha tha , achanak har bara kar uth betha

" abee kia hua ahmad" wo garbara kar apna sar khujate hue puchne laga

"yaar koi aawaz aayi hai bahar se gadi ki chal yaar dekhte hain , mujhe lag raha hia hamare ghar ke bahar se aayi hai " ahmad ne pareshani ke aalam me kaha

"soo ja yaar kuch nahi huaa" shayan jo gehri neend se jaga tha keh kar dobara leet gya

"chal yaar please shayan kuch to hua hai ……dekhte hain chal kar gadi ko, uth please" ahmad us ki minnat kar raha tha lekin is baar shayan ki taraf se koi jawab nahi aaaya

"ahmad khud ko jhuti tasalli dete hue dobara leet gya, bahar akele jaane ki himmat na thi

Use dar mehsoos hone laga jis wajah se us ne chehre tak chadar eek baar phir oorh li thi

Us ne mehsoos kia ke bahar kutton ke bhonkne ki aawazein aana shuru ho gayi hain , us se pehle tak ye aawaz eek do bar aa rahi thi lekin ab wo aawazein teez aur musalsal aa rahi then

Ek anjaana khof use khaye ja raha tha

Ahmad ek baar phir uth kar beth gya aur kamre me dekhne laga , khoof use khaye jaa raha tha lekin us ke paas koi chara na tha siwaye wapas son eke

Wo ek baar phir leet gya

Kareeban 10 min t guzre honge ke use apne peer par kisi ke choone ka ehsaas hua, us ne chonk kar apna peer khench lia aur us taraf dekhne ko tha hi ke kisi ne use zor se pakad kar shayan ki taraf kheencha , wo lurakhta hua seedha shayaan ke upper gira aur bad hawasi se dekhne laga

Yaka yak use dusra jhatka laga aur use peer se itni zor se kheencha gya ke wo shayan ke upper se hota hua zameen par ragadta hua jaane laga

"shayaan bachaa mujhe shayaan …………n……n……….n…….. rok mujhe shayan bachaaa le shayaan" wo zor zor se chilla kar shayaan ko pakadne ki koshis karne laga lekin is se pehle ke shayan is mamle ko samajh pata ahmad kheencta hua us ki pohnch se door nikal chuka tha

Shayan us ke girne se garbara kar uth gya tha lekin sambhal nahi paya tha

Ahmad ko wo taqat buri tarha kheechte hue le jaa rahi thi , wo zameen par mojood powder se guzarta hua shopping bags par aur us ke baad seedha darwaze ki taraf kheechta chala ja raha tha

Herat angez tor par us se zameen par mojood powder aur shopping bags bikhr gaye the , jabke aakhir me mojood rassi jo zameen se upper thi hilli bhi nahi, na hi ghaseetne me ahmad ka hath barh ka us tak pohancha tha

Kamre ka darwaza khud ba khud khul gya tha aur ahmad darwaze se bahar ki taraf be dardi se kheenche ja rha tha

Wo musalsal chilla raha tha , aur usi doran shayan apni jagha se uth kar peeche bhaga tha

"shayan bachaa le mujhe please shayaan ….shayaan" wo buri tarha chilla raha tha aur shayan us ka naam leeta hua us ki taraf bhaag raha tha

Ahmad apni har mumkin koshish ke bawajood khud ko nahi rook par raha tha , ghar se nikal kar dakhli raste se hota hua wo bahar ki taraf kheencha ja raha tha, us ki dil larza dene wali cheekhein door door tak sunayi de rahi hon gi

Shayan ne kamre se nikal kar teezi se bhaag kar ahmad ka hath akhir kar tham hi lia tha aur be rouni darwaze se kuch fasle par use rokne me kamyaab ho gyaa

Ahmad ke peer se grift ab dheeli ho chuki thi aur wo khud uthne ki koshish karne laga , sath hi shayan ne use seene aur kamar se pakad kar apni taraf kheenchna shuru kar dia

Raat ke 4:30 ka waqt ho raha tha aur sannate ne mahol ko apni lapet me lia hua tha , is sab ke dooran kutton ke bhonkne ki aawazein eek bar phir bahot barh gayi then

Shayan palat palat kar peeche dekhta raha aur use sahara deta hua ghar me jaldi se dakhil hua aur use soofe par la kar bitha dia, sath hi darwaza dobara band kar dia

Is sab ke doran shayan ke takrane se bartan apni jagha se neeche gire hue the

Ahmad ka jisam aur chehra zakhmi ho chuka tha aur jagha jagha se guzarne ragadne ki wajah se khoon beh raha tah

"chal shayan …..chal …. Yahhan se chal yar" ahmad ne mushkil se bolne ki koshish ki lekin uski halat use ijazat nahi de rahi thi,kuch deer sans bahal karke dono ne upper kamre me jaane ka faisla kia , ahmad shayan ki madad se bamushkil chalta hua upper aaya tha aur shayan ne use bed par litaa dia

Ahmad ke kapde jagah jagha se phat chuke the , us tamam waqiye me shayan ne puri himmat se kaam lia aur shayan ka bharpoor sath dia

Dono subah ka intezar kar rahe the , take kisi hospital ja sakein , shayan ne halki phulki first aid de di thi , jis se ahmad ab thora behtar mehsoos kar raha tha

Subah saat baje tak wo dono wahin bethe rahe aur jab munasib Roshni hone ke baad hospital jane ka faisla kia

Shayan kapde change kar ke tayar ho chuka tha , jabke ahmad abhi tak bed par hi leta hua tha

"chal yaar ahmad himmat kar thori , change kar phir chalte hain"shayan ne khidki se bahar jhank kar kaha jahan se ab puri Roshni kamre me dakhil ho rahi thi

Ahmad kohniyoun , ghutnon par takleef ki wajah se, jo use kamre se bahar nikal kar serhiyoun par ragadne aur takrane se ho rahi thi , mushkil se chal pa raha tha

Washroom ka darwaza lock kiye bina hi wo band kar ke andar gya tha , kapde badal kar wo ab bathroom me mojood aayena dekh raha tha

Itna sab kuch hone ke bawajood wo zinda tha jis par dil hi dil me shukar kar raha tha , chehra kayi jagha se chill gaya tha aur zakham ke Nisha wazeh the , wo khud ko bahot ghor se dekh raha tha

Chehra aayene ke kareen kar ke us me kabhi apne mathe aur ankhon ke gird zakham dekhta to kabhi apni kohniyoun par lage zakham aur kabhi shirt upper kar ke kamar par dekhne ki koshis karta

Isi lamhe use aisa mehsoos hua jaise bathroom me koi aur bhi mojood hai

Wo ek lamhe ke lie sochne laga , lekin phir palat kar darwaza check kia jo khula tha

Wo ek bar phir aayene me apna chehra dekhne raha tha m jo choton ke alawa thakan aur neend ke pure na hone par murjhaya hua maloom ho raha tha

Us ne apne chehre par pani dala aur ek zakham use kuch gehra maloom hona laga, pani aur hath lagane par us se halka sa khoon nikalne laga, ahmad ne hath laga kar check kia aur jaise hi apne hath par nazar padi wo heran reh gya

Uska hath khoon se bhara hua tha

Ahmad ke hosh ye dekh kar urr gaye

Aayene me dekha to wahan ek mamoli sa khoon mehaz usi jagha tak mehdood tha

Ahmad ne apna hath ek baar phir dekha aur us ka dil dehal kar reh gya , us ka hath khoon se bhara hua tha aur neeche gir raha tha , jaise hath se khoon nikal kar ris raha ho

Ek baar phir aayene me nazar dorai aur use apna chehra kuch alag sa lagne laga

Ahmad ne kareeb ho kar dobara khud ko dekha

Aayene me mojood us ka aks ab ek jagha ruk gya tha , wo na samjhi ki kaifiyat me dobara peeche hata, aur dobara chehra kareeb kia, magar us ka aks eek jagha tham kar use hi dekh raha tha

Ahmad ne mazeed ghor karna shuru kia aur apna chehra samne dekhte hue idhr udhr hilaya lekin aayene me mojood wo aks us ka kuch der pehle ka tha , jab wo ek munasib doori se khud ko dekh raha tha , be sakhta uski nazar apne hath par padi aur us par khoon mojood na tha, ek bar phir us ne nazar uthha kar aayena dekha

Us ka aks use hi dekh kar muskura raha tha …………..




Continued…………

****************************

Give your reviews here …………..
 
Eaten Alive
4,118
4,183
143
Update 6

Sirf Jurm karne wala hi gunehgaar nahi hota balki uske sath dene wala ya ye jaante huye bhi ki samne wale ne jurm kiya hai, phir bhi usko bachane koshish karne wala bhi gunehgaar hai....
Yaha is kahani mein Ahmad dwara kiye gaye us galti aur us gunah ke baare mein jaante huye bhi shayan ne uski madad kar raha tha, ... isliye wo dono aatma ya ruh ahmad ke sath sath shayan ko bhi had se zyada daraya car se ghar aate waqt. ..Maybe dono ko ushi jagah mein le gayi thi jaha accident hua tha, ..... khaufzyada karne mein koi kami nahi chhodi . ..

waise Ahmad aur shayan karna kya chaahtein the ghar aakar ... yahin naa ki kaise bhi karke video footage nikal le un do aatamo ki CCTV ke jariye...
lekin ye to sarasar bewakoofi huyi na...kya bhoot ko camre mein kaid kar sakte hai kya...
aur ye kya powder polithin failaa diya floor pe, :roflol: kya Ahmad aur shayan ye soch raha tha ki wo dono aatma chal ke aayenge unke paas :roflol:
stupidity ki bhi had hoti hai yaar... :sigh:

waise bhootni bhi kamal ki hai... chaadar sahit Ahmad ko nahi ghaseeta balki chaadar uske badan se haataake usko ek per pakad ke ghaseet te huye le gayi..
btw lagta us bhootni Ahmad ke per se kuch zyada hi lagav hai.. jab dekho pakad kar ghaseetne lag jaati hai :roflol:
wo to sukar hai shayan ne samay rehte ushe bacha liya.. Lekin bhootni baar baar kyun chhod deti hai Ahmad ko.... Mana ki shayan help ke liye Ahmad ke sath tha.. Par isse to us aatma ko koi fark nahi padta.. are wo ch aahe to dono hi ushi waqt maar sakti hai... To phir wajah kya hai..
shayad aasan maut nahi dena chahti ho... aur abhi jo kuch ho raha hai ushe dekh ke to yahin lage ki..tadpa tadpa ke maarna chaahti hai Ahmad ko...
Shaandar update, shaandar lekhni shaandar shabdon ka chayan aur sath hi dilkash kirdaaro ki bhumika bhi...

Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :yourock: :yourock:
 
.
Moderator
2,376
1,840
143
Update 6

Sirf Jurm karne wala hi gunehgaar nahi hota balki uske sath dene wala ya ye jaante huye bhi ki samne wale ne jurm kiya hai, phir bhi usko bachane koshish karne wala bhi gunehgaar hai....
Yaha is kahani mein Ahmad dwara kiye gaye us galti aur us gunah ke baare mein jaante huye bhi shayan ne uski madad kar raha tha, ... isliye wo dono aatma ya ruh ahmad ke sath sath shayan ko bhi had se zyada daraya car se ghar aate waqt. ..Maybe dono ko ushi jagah mein le gayi thi jaha accident hua tha, ..... khaufzyada karne mein koi kami nahi chhodi . ..

waise Ahmad aur shayan karna kya chaahtein the ghar aakar ... yahin naa ki kaise bhi karke video footage nikal le un do aatamo ki CCTV ke jariye...
lekin ye to sarasar bewakoofi huyi na...kya bhoot ko camre mein kaid kar sakte hai kya...
aur ye kya powder polithin failaa diya floor pe, :roflol: kya Ahmad aur shayan ye soch raha tha ki wo dono aatma chal ke aayenge unke paas :roflol:
stupidity ki bhi had hoti hai yaar... :sigh:

waise bhootni bhi kamal ki hai... chaadar sahit Ahmad ko nahi ghaseeta balki chaadar uske badan se haataake usko ek per pakad ke ghaseet te huye le gayi..
btw lagta us bhootni Ahmad ke per se kuch zyada hi lagav hai.. jab dekho pakad kar ghaseetne lag jaati hai :roflol:
wo to sukar hai shayan ne samay rehte ushe bacha liya.. Lekin bhootni baar baar kyun chhod deti hai Ahmad ko.... Mana ki shayan help ke liye Ahmad ke sath tha.. Par isse to us aatma ko koi fark nahi padta.. are wo ch aahe to dono hi ushi waqt maar sakti hai... To phir wajah kya hai..
shayad aasan maut nahi dena chahti ho... aur abhi jo kuch ho raha hai ushe dekh ke to yahin lage ki..tadpa tadpa ke maarna chaahti hai Ahmad ko...
Shaandar update, shaandar lekhni shaandar shabdon ka chayan aur sath hi dilkash kirdaaro ki bhumika bhi...

Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :yourock: :yourock:
:thanks: for beautiful review, ab tak jo bhi aapki bhutni ke lie raaye rahi hai, aur jo bhi aapne ahmad ke lie socha wo shayab is update ko padh kar badal jaye, stay tuned :D
aur aapne abhi tak ye nahi btaya ke main horror scenes likhne me kitna kamyab raha hoon :D be honest
 
.
Moderator
2,376
1,840
143
Update 07


Ahmad chand lamhon tak be yaqeeni ke aalam me use hi dekhta raha, mukhtlif angle badal kar aur jisam ko harkat de kar samne dekhta raha lekin us ka aks ek hi andaaz me use dekh kar muskura raha tha, us ki muskurahat khof se bharpor thi.

"tum chahte to bachaa sakte the" dekhte hi dekhte aayene me mojood ahmad ne zuban kholi aur aawaz wahi wali thi

Ahmad ek cheekh ke sath teezi se bahar ki taraf dora aur seedha kamree me mojod shayan ke pass pohncha , wo ahmad ki cheekh se jaag chuka tha

" kia hua ahmad?" us ne ghabra kar tajassus se pucha

"yaar phir koi hai wahan bathroom me" ahmad ne darte darte bataya

Mahol ek baar phir our israar aur khoof ki lapet me tha

Shayan ne dabee kadmon bathroom ki taraf rukh kia

Dhakka de kar darwaza khola aur samne manzar dekh kar dono ke hosh gum ho gaye

Wash besin ke upper mojod aayena toota hua tha aur us par "TUM CHAHTE TO BACHAA SAKTE THE" ke alfaaz khoon se likhe the

Ye manzar ahmad ne bhi door se dekha aur dono sar par bahar ki taraf dore

Gadi hospiteal ke bahar ruki thi aur wo deono nange peer gadi se utar kar andar dakhil ho gaye

Hospital me mojood log herat se unhein aur wo dono khoof se logon ko dekh rahe the

Hospital me mojood doctor ko accident ka bahana kar ke treatment li aur kuch ghanto me dono shayan ke ghar me usi ke kamre me mojood the

"tu aisa kar kuch din mere hi ghar thehr ja, aur hum kisi aamil se rabtra karte hain, take is mushkil ka koi hal nikal sake" shayaan ne kamre me tehlte hue kaha

Ahmad soch me dooba bed par betha tha , mehaz sar hilla kar reh gya

**************************



Shaam ke kareeb dono ek aamil ke sath ghar ke bahar mojood the, ghar me dakhil hote hi un ki herat ki intehaa na rahi jab neeche lounge me har cheez apni purani jagha par mojood thi

Ahmad aur shayan ko herat ka ek jhatka laga

Idhr tamam cheezein bilkul pehle jaisi then na to koi powder, na plastic bags , na rassi , soofe pani pehle wali jagha par mojood the

Shayan aur ahmad herat se ek dusre ka muh takne lage

Isi doran ahmad ko upper kichen ki taraf se kisi aawaz ne mutawajja kia

"tune suna, kuch aawaz aa rahi hai upper se" ahmad ne shayan ke kareeb ho kar kaan me sargoshi ki

"haan , lag to mujhe bhi aisa hi raha hai lekin …….." shayan itna keh kar khamosh ho gya

Ek lamhe ke lie wo dono ruk kar upper se aane wali awaz par ghor kar hi rahe the ke sasha ki aawaz sunai di , wo hamna ko pukar rahi thi

Dusri aawaz hamna kit hi , jise sun kar ahmad ne upper ki taraf dooud lagayi aur seedha kichen ki taraf bhaga jahan light jal rahi thi

Sasha udhr pehle se mojood kuch kaam kar rahi thi , ahmad ko dekh kar palti

"tum yahan kaise? Aur kab aayi ho ? ahmad ne sasha ko dekhte hi sawal dag dia

" main kab aayi hun? Hain, kia ho gya ahmad!!" sasha ne jawab herangi se dia

"haan tum! Tum idhr kab aur kis ke sath aayi ho sashaa" ahmad ke zehan ko khayalaat k eek naye toofan ne apne lapeet me le lia tha

" kia ho gy hai ahmad, aap hi ne bulwaya hai, dopehr ko , hammad ke sath aayi hun , aur ab aap ye kaise sawaal kar rahe hain" sasha ne maathe par bal dalte hue btaya

"maine bulwaya hai?" ahmad ne ghoor se sasha ki aankhon me jhankte hue pucha

"ji, aap hi ne to phone kia tha ke ghar aa jao " sasha ne hathon ko hawa me utha kar baat par zor dete hue kaha

"maine bulwaya??????????? " ahmad ne sawal par zor dala

" aap ne dopehr ko phone kar ke bulaya than a" sasha ab ki baar ahmad ke is tarha puchne par kuch pareshan nazar aayi thi

"idhr aao" ahmad us ka bazoo pakad kar kamre ki taraf teezi se barh gya , kamre me hamna pehle se mojood apne tablet se kheel rahi thi, ye dekh kar ahmad par herat ka ek pahad toot para

Ahmad sasha ko kamre me ek taraf hamna se door le kar gya aur us se puch guch karne laga

"sashaa! Mujhe puri baat batao, kab bulaya, kia huaa , kis ke saath aayi ho tum, eek eek baat" ahmad ne herat ko dhakel kar intehai pareshani ke sath pucha

" dopehr ko aapn ne bulaya tha aur main hammad ke sath idhr aa gayi" sasha ne apne makhsoos andaaz me jawaab dia

"nahi sasha , mujhe eek eek baat batao , word to word, phone aane se ab tak" ahmad ne kaha

"aap ne dopehr ko phone kia than a, phir kyun puch rahe hain?" sasha ne na samajhte hue kaha

"sasha main koi phone nahi kia tumhein, tumhare paas kia phone aaya tha, kia baat hui mujhe batao" ahmad ne nihayat sanjeedgi se pucha , aur sasha ke chehre par dar mandlane laga tha

"matlab wo phone aapne nahi kia tha,sasha ne ghabrate hue pucha

"tum us ko choro, kitne baje phone aaya tha , kia baat hui, phir yahan aa kar kia hua mujhe sab batao sasha please for god sake" ahmad ne jhunjhulate hue pucha tha

"aap ki 12:30 baje call aayi thi, aur aapne kaha sasha tum kisi ke sath aa sakti ho, mainne aap se pucha kyun , to aap ne kaha meri tabiyat kuch khrab ho rahi hai , tum jaldi se aa jao, maine aap se pucha tabiyat ka lekin aap ne kaha bas tum ghar wapas aa jo aur main phir hamna ko le kar wapas aa gyi" sasha rawani se bata kar ruki

"phir aap hi ne btaya ke tabiyat theek nahi hai , sir me dard hai aur ghabrahat mehsoos ho rahi hai" sasha ne btaya

"phir,,,,rrr, rr rr" ahmad ne foran pucha

sasha herangi se use dekhne lagi

"yee aap ko kia ho gya hai… aap kyun puch rahe hain ahmad . kaise behave kar rahe hain"sasha ne pareshan hote hue kaha

"sasha dekho , maine tumhein chorte hue kaha btaya thaa, kuch masle ho rahe hain- aur abhi bhi hum masle ki zad me hain, tum aage btao , eek eek baat jo tumhari mujh se hui hai dopehr se ab tak" ahmad mathe par paseena lie hue puch guch kar raha tha

Ek dam kisi ka khyal ate hi bathroom ki taraf gya aur andar aayene ko jhanka , aur wapas aa gya

Aayena bilkul sahi tha

"kia hua" sasha ne herangi se pucha

"phir kia hua, hamari baat hui thi?" ahmad ne apna sawal dohraya

"ahmad……… dekhein mujhe dar lag raha hai, please mujhe btayen kia hua hai, aap aise kyun behave kar rahe hain, abhi aadhe ghanta pehle tak to theek the na aap….." sasha ne darte hue thora piche hat kar kaha

"aadhe ghanta pehle!!!" ahmad ne herangi se alfaaz par zor dete hue kaha

"ji aadhe ghante pehle to aap theek the aur zaruri kaam ka keh kar gaye the" sasha ne darte darte btaya

Ahmad ne apne sar par hath mara aur bed par ja kar beth gya, aankhon par hath rakhe sar neeche jhukaa kar wo kuch der tak aise hi betha raha

"sasha tumhare ghar aane se ab tak , tumhari mujh se jo jo baat hui hai aur jo jo hua hai wo btao mujhe" ahmad ek baar phir ghabrayi hui sasha ke pass wapas aaya aur use dono bazoo se pakad kar apne kareeb kar ke sargoshi ke andaaz me swal kia

"main ghar par wapas aayi , to aab bed par lete hue the , phir aap ne kaha sar me dard ho raha hai aur ghabrahat ho rahi hai to maine aap ko tablet di aur sone ka kaha" sasha dari sehmi ahmad ko btane lagi

"phir… phir … phir" ahmad ne tajassus aur herangi se jaldi se pucha

"phir aap so gaye aur eek do ghanta baad uthe" sasha ne btaya

"phir phir?" sari baat btao, eek eek lafaz ba lafaz (eek eek shabd)ahmad ne zoor dete hue kaha

"jab aap uthe the maine khane ka pucha aur aap ne mana kar dia , phir maine aapki tabiyat puchi to aapne kaha behtar lag raha hai, phir aap se khane ka pucha, aap ne kaha bhook nahi hai , phir maine aapse pucha ke aap ko kia ho gya hai, kia ho raha hai aap ke sath.."sasha btate btate eek dam ruki

"ahmad mujhe dar lag raha hai.please btayen ,aap kyun puch rahe hain, kis ne mujhe phone kia tha? Aur aap ko kia hua hai, hamare bich hue batein hi wapas kyun puch rahe hain…" sasha ne pareshan hote hue puchaa

"sasha meri baat gor se suno, maine tum se ye sab is lie puch raha hun, ke wo main nahi tha jis ne tumhein bulaya hai, aur jo yahan tha, main shayan ke sath us ke ghar par tha aur abhi hum eek aamil ko le kar aaye hain" ahmad ne tassalli se sasha ko bed par bithate hue btaya

"k k kia matlab, wo aap nahi the to kon tha…" sasha ne larazti aawaz me pucha

"wo sab tumhein bta dun ga, tum aage btao jo jo baat huu" ahmad ne use tassali dene ki koshish karte hue pucha

"phir maine pucha kia ho rha hai aap ke satha to aap ne kaha mujhe psycological masla ho gya hai, main zehni dabao(depression) ka shikar hun aur mujhe illaj karwana pade ga, phir wo aap washroom chale gye aur main kichen me, phir main khana waghera bana ya aura ap ko dobara bulane aayi to aap phir se soo rahe the, phir abhi aadha ghanta pehle uthe aur kisi kaam ka keh kar bahar chale gye, aur ab aap wapas aakar aisi batein puch rahe hain" sasha ne takreeban rone ke andaaz me ye sab btaya

"achaa theek hai , mere sath koi aisa masla nahi hua , albata kuch andekhi cheezein mujhe tang kar rahi hain, aur ye sab ek accident ki wajah se ho raha hai" ahmad ne use tasalli di aur accindent se ab tak ki tamam baat keh sunayi

Sasha butt bani us ki taraf dekhti rahi aur us ki baat sunti rahi

Chalo tum ab kamre me betho, main neeche jaata hun aur btata hun kia karna hai

Ahmad sasha se milte hi niche ki taraf douda aur apna phone dhondhne laga jo use neeche table par nazar aaya

"kia hua ahmad ? upper kon tha" shayan ne uske aate hi pucha

"sasha hai" itna keh kar wo phone me kuch dekhta hua bahar nikal gya

"hello , ammi jan, ahmad bol raha hun"

"ji beta kia hua, kaisi tabiyat hai aapki? Sab kheriyat hai na…" dusri taraf se uski saas mojod thi

"jo ammi jan , tabiyat theek hai abm sasha se baat ho jate gi?" ahmad ne pucha

"sasha se? beta use to aapne bulaya tha wo chali gyi thi hammad ke sath " dusri taraf se saas ki aawaz pareshan si sunayi di

"ji ji ammi wo aa gyi hai main bas…. Chalein baad me baat karta hun? Ahmad ne un se confirm kia ke jo ghar par mojood hai us ki biwi hi hai

"beta kia hua aap ne khud bulaya tha aur wo to kab ki chali gyi hai, phir aap kyun puch rahe hain"

"nahi ammi wo bas ……wo bas aise hi….. yahi puch raha tha , main ghar par nahi tha , abhi to wapas aa kar dekha wo nahi thi ghar par , to socha aap se puch loon agar waha aayi ho to…." Ahmad ne hichkichate hue baat bnayi aur apni saas ko tasalli de kar phone band kar dia

Shayan aur aaamil abhi tak andar bethe us ka intezaar kar rahe the

"kia hua bhai???? Sab kher to hai na? sasha kis ke sath aayi hai" shayan ne wapas andar aate hi us par sawalon ki bochar kar di

Ahmad ne un ke sath beth kar sasha wali sari baat tafseel se unhein btayi

Aamil ne tamam batein ghor se sun kar ahmad se ghar ko dekhne ki ijaazat chahi

Kuch der me wo log chatt aur store room samet tamam Kamron, bathroom waghera ko dekh kar wapas usi jagha par mojood the

"main wo video footage bhi dekhna chahun ga jo aap ne kal raat record kia hai" aamil ne wapas usi jagha ka ek bar phir se ghoor se jaizaa lia aur kaha

"ooo, haan ,shayan wo to hum check karna hi bhool gye" ahmad ne chonkte hue kaha

Wo log neeche mojood us kamre me mojoodd the jahan tamam Cameron ka control system aur computer waghera mojood tha

Ye ek darmiyane size ka kamra tha, jo neechle floor par tha, jahan computer table ke sath ek kursi aur ek taraf kitabon ke lie makhsoos chotta sa shelf tha

Kamre me computer table ke alawaa bethne ki aur koi cheez mojood na thi

Ahmad ne pichli raat ki video recording wahan se start ki jab wo neeche hall me bethe khana khaa rahe the, tamam recordin sahi thi, wo log ek hi screen par 6 mukhtalid Cameron ki recordin dekh rahe thejo cotte size me nazar aa rahi the

"yaar is ko fast forward me chala de, kahein kuch nazar aayega to rok lein ge"shayan ne mashwra dia

Shayan aur wo aamil ahmad ki kursi ke dayen bayen piche hath tika kar khare video dekh rahe the

"yaar ruk ruk ruk , ek mint ye camera 3 ko bara kar" shayan ne ek dam screen par ishara kia

Ahmad ne camera 3 ko full screen kar ke ab phir kuch peeche ki recording se start kia

Raat ke 10:12 ka waqt camera me nazar aa raha thajab achanak recording me kursiyan hilti julti nazar aayen

Ye dining table ke gird mojood kursiyaan then

Ahmad aur shayan us manzar ko dekh kar khoofzada hue bagher na reh sake, jabke aamil ke chehre par koi tabdeeli ke aasar nahi the

Kuch deer tak video me kursiyan thodi thodi der baad yunhi harkat karti nazar aayen lekin achanak tamam kursiyan ek taraf phisal kar table se takrayen aur sath hi fanoos zoor zoor se hilne laga, is manzar ne dono ki dhadhkan barha di thi, wo abhi is manzar ko ghor se dekh hi rahe the ke piche se aane wali eek aawaz par buri tarha chonk gaye

Kitabon ke shelf se kuch kitabein neeche giri then

Teeno ne chonk kar wahan dekha lekin koi mojood na tha

Video ab bhi chal rahi thi aur us me kursiyoun ki harkat nazar aa rahi thijo chand hi lamhon me wapas apni jagha par aa gayi hten, un teeno ka dhyan ab video se hat kar peeche lag gya tha

Ahmad ne video rok kar us taraf jaane ki himmat ki hi thi ke aamil ne use hath se rok dia

Wo zer'e' lab kuch parhta hua nazar aa raha tha

Kamre me khoof aur sannata chaa gya tha, wo teeno book shelf ki taraf tawaja diye hue the aur aaamil kuch parhne me masroof tha

Shayan aur ahmad ko andaza ho chuka tha ke un teeno ke alawa koi aur bhi mojood hai

Aamil ne un dono ko zameen par wahin apne sath bethne ka ishare se kaha aur khud bhi bethne laga, abhi teeno theek se beth bhi na paye the ke kamre ka darwaza bahot zoor se puri tarha khul kar dewar se takraya aur samne kitabon ke shelf me hull chal mehsoos huim ahmad bethte hye kursi ka sahara le raha tha ke use laga kursi apni jagha se khisak kar door ho rahi hai

Shayan ki nazrein jaise hi computer screen par padi wo off thi , us ne ahmad ko ishare se us taraf mutwajja kia

Abhi wo log bethe hi the ke zameen par un ke neeche wali kaleen bahot zor se dusri taraf se khincha gya jis se wo teeno buri tarha kamar ke bal gir gaye

Aamil jald hi uth kar unhein apne sath bethne ka kehne laga , shayan to foran sambhalta hua paas aa kar beth gya, ahmad utne hi paya tha ke computer ki chair , jo office chair ki tarah ghoomne aur tyre wali thi, yaka yak gol ghumi aur teezi se aa kar aamil se takrayi, wo is ke lie tayyar nahi tha, kursi lagne se ek baar phir dayen taraf gir gya

Apna hath aur kandha sehlata hua wo dobara utha aur teezi se kuch parhne laga aur teeno ke gird ungli se dayera(circle) bnane laga

Us ki parhne ki raftar teez hoti ja rahi thi

Kamre me us doran ek halchal si thi aur har cheez gaahe bagahe harkat me aati aur thamti rahi

Kuch deer baad dheere dheere har cheez mukammal tor par tham gayi thi aur shayan , ahmad ne aamil ko sir jhuka kar kuch parhte hue paya

Wo do no ek dusre se chipak kar bethe the

Kabhi wo kamre me chaaron taraf dekhte kabhi aamil ko , jo rawani se koi cheez parh raha tha

Eek jhatke se wo kuch parh kar ruka tha aur paseene se bheeg chuka tha, ahmad ne pani la kar pilaya

"aap se jis ladki aur bachii ka accident hua hai wo, wo haqeeqat me tum se nahi hua,balke kisi aur se hua tha" aamil ne uth kar bahar jate hue btaya aur un dono kok sath aane ka ishara kia

Wo bahar hall me aakar beth gye gya tha, aur samne ahmad aur shayan bhi

"ki matlab, haqeeqat me hua tha??" shayan ne besabri se herat ka muzahira kia

"matlab ye ke, wo ladki aur bachii usi jagha kisi se accident me mare gaye the, jis se unka accident hua, wo bhi aapki tarah un ki madad ko nahi ruka aur bhaag nikla, wo kayi ghanton wahan tadapti rahi aur apni bachii ko apni aankhon ke samne marte dekha, tab se wo wahan bhatakti rehti haim aur jis ne unhein mara tha use katal kar chuki hai , lekin wo dono ab aksar logon ko wahan nazar aate hain, aur guzarne wale ko mushkil me daal dete hain, agar us ne apni gadi ko khatre me daal kar inhein bacha alia, phir to theek hai warna wo un ke peeche pad jati hai" aamil ne kuch ruk ruk kar btaya

"aur phir?????" ahmad ne jhat se swal kia

"phir wo un logon ko maar kar hi dam leti hai" aamil ne soofe par peeche teek lagate hue btaya

Shayan aur ahmad ne ek gehri saans chori thi, jiske sath un ke khoof me izaafa hota chala gya

Mahool par yaka yak sannata chaa gya, ahmad kabhi shayan ki taraf dekhta to kabhi aamil ki taraf

"aap ko us ke lie kuch karna hoga" aamil ne gehri saans le kar kaha , aur video mat chalaye ga

"matlab? Kahein mujhe kabristaan me chilla katne , ya kisi jungle me ja kar koi amal karne ka to nahi kehne wale hain?????" ahmad ne chonk kar swal kia

" nahi nahi aisa koi amal nahi haim aap ko mehaz chand duaayein parhni hain, apni aur apne ghar ki hifazat ke lie aur ghar me hi parhna hoga" aamil ne intehai itmenan se muskura kar jawab dia..



Continued………………



******************************

:announce: >> Ab tak aapne is story me 3 raaton ka zikar parha hai, chothi raat ab bhi baaki hai, to mera ek swaal hai, kya jo aamil ne kaha hai aisa karne se wo bala tal jaye gi, ya nahi,


******************************



Give your reviews here……………………



 
expectations
22,955
14,927
143
Bahot hi acchi surwat hue hai kahani ki...aur horror ka pura tadka lagaya hai aapne...mujhe personally horror padh kar maza aata hai...aur aapki story sach mai kaafi aachi hai.
First update se agar predict karu toh lagta hai ki ye ek crime aur Vengeance par based story hai.
Ab agar story ke plot ke baare mai baat karu toh ... wo old saying hai na
"Life mai acche ho ya burre ho har karm ka bhugtaan yahi karna hota hai"
Ahmad background se kaafi rich hai and uski kaafi respect hai society mein par usski life 360 degree ka trun tab leti hai jab by mistake vo do logo ko apni gaadi se udda deta hai.
Aur phire shayad uss respect ke dar se ya kisi aur baat ke karan un dono ko ignore kar waha se chala jata hai aur yaha uske iss faisle ne do maasoom logo ki jaan le li...
Ab gunaah kiya hai to saza mileni hi thi...
Jo mile kar raheygi bhale hi sasha ko pata nahi chala par ye boj usko jeene nahin dega.
Aur dusri taraf wo aurat aur wo bachhi laut aayi hai badla lene ... now let see kya hota hai
At the last yahi kahunga ki....
Update kaafi aacha tha aur writing skill bhi shaandaar hai warna har koe horror ko acche se likh nahi pata par aapne likha jo ye show karta hai ki aap ki writing skills ka level kya hai.

Kaafi ques. hai jo time ke saath dur honge now see what happens next in this story.
Ek point aur hai mai sonch raha hun wo ye ki agar maan lo wo ruk jata aur bachane ki kosish karta to wo log jaruri nai bach jate aur gar bach jate apahij ho jate to fir uske baad case banta alag se matlab bahut problem honi thi okay upar se family sath thi..ab point ye hai ye dono bhutni inko na unna raat me sadak par khir hogi koi majburi unki lekin ab jab mar gaye to jinna hain unko to jine do :verysad: aisa nai hai ki meko unse sahanbhuti nai hai lekin unka Jo hona wo ho gaya ab Jo jinna hai unko bachana hai
 

Top