Horror Char Ratein (Horror) (Completed)

.
Moderator
2,376
1,840
143
Ye akhir ho kya raha hai ahmad ke sath Pehle to khidki par ek bachi ka hath dikha but jab usne sasha ko jaga kar waha dekhne ke liye kaha to waha par aisa kuch nahi tha Phir ekbhadsa fridge ke sath bhi hogaya jo Pehle itni Jaan lagane se bhi nahi khol raha tha wo dusri baar mai aisa khola ki ahmad ko khol kar rakh diya 😅
Nind se jagne par ek aur hadsa hogaya jis table par chadata wahi pairo ke niche se gayab hogaya aur bechara gir kar apni nak tod waliya.

Ye jo koi bhi hai ahmad ke piche pada huwa hai kyunki wo sirf ahmad ko hi target jar raha hai
Ya Phir aise bhi ho sakta hai ki ye sab ahamd ke dimag ka wahem ho kyunki us accident wale hadse ke Baad se uske dimag wahi sab chal raha hai.
Overall Nice update
:thanks: for your wonderful review
 
.
Moderator
2,376
1,840
143
Update 4

us aurat aur bachhi ki mundi khudke taraf mudte dekh dono aise bhage ki :roflol:
Sorry par kya karu, bahot hanshi aa rahi hai.. :roflol:
aise bhage ki kisine dono ke pichhwaade pe fatake lagake fod diya ho :lol1:
aur wo shayan... us chutiye ko kuch zyada hi chul machi thi chan bin karne ki..
Le aur kar chan bin :roflol:
Ulta bhootni ne hi aisi bin bajayi dono ki,, aise bhage jaise hari mirch gish diye ho dono ko hi :lol:
Oh god itni heavy comedy... :laugh1:
Btw aaj agar Olympic running race pe daudte to gold medal jarur laate dono hi :D

Kehte hai kabhi kabhi insaani jigyaasa insaan ko musibat mein bhi daal sakta hai...
jaise shayan ka yun is tarah jigyaasa jaagna un dono ko dhundhne ke liye, ahmad baar baar ushe laut chalne ke liye kaha lekin shayan pe to jaise bhoot sawar ho evidence dhundhne ki,,, le evidence dhundhne ki jarurat ,khud bhootni hi dikh gayi us jungle mein :D

sochne wali baat ye hai ki ahmad ke ghar ka mahol dhire dhire badal raha hai...jaise khauf ka mahol aur dar ka sayad charo aur fail gaya ho . jaise ab waha anchahi mehmaano ka raj ho chala ho.
in fact sabse aham baat ye ki ab to ahmad kabhi kabhi khudki biwi par hi shaq karne laga hai.....Ki samne jo uski biwi hai wo sasha hai ki nahi....

Kahi aisa to nahi wo dono ruh ahmad ko uske apno se door karne ke liye aisi mayavi khel rach di ho...
Ek aur kand hua ghar ke chhath pe... waise hairaani ki baat ye hai ki sasha ko kuch sunayi nahi diya...
waise chaukidaar ko bheja tha ahmad ne chhath pe dekhne ke liye, lekin upar jaane ke baad shayad us chaukidaar ko hi kuch ho gaya ho.... warna chikhta kyun...

Teen mudde ki baatein ye hai ki
Khudki biwi se itni badi baat chupake bahot badi galti kar raha hai ahmad....
Dusri baat.... jab wo aurat aur us bachhi ye baat kahi ki ahmad chahta to un dono bacha bhi sakta tha...
Really yaar un dono ki dard ko ehsaas kar dil mein jaise ek tees si uthi ho...
undono ko bhi jeene ki chaah rahi hogi... ek khush haal jindagi rahi hogi....
Par us ahmad ki us ek galti aur us ek gunah ne dono se jaise sab kuch liya... yaha tak ki dono ki jaan bhi..
aur to aur shayad un dono ke parivaar walo ko abhi tak pata bhi na chala ho ki us aurat aur bachi ek accident chalte ,ek kamine ki galti ke chalte chal basi hai...

Teesri baat.....
Ye Shayan madad karne ki bajaye ulta musibat mein daalne wala hai ahmad ko... sab kuch dekh, sun, samajh ke bhi ahmad ko ab bhi akele us cctv lage room mein sone ko keh raha hai,
jab us jungle mein itna bada evidence hath laga tha, khud apni aakhon se dekh chuka tha, apne kano se sun chuka tha to ab kahe ahmad ko akele us room sone ke liye jod de raha shayan....

Kahi ye shayan ki nazar sasha pe to nahi :gaylaugh:
matlab ki agar ahmad ko kuch hua to sasha akeli ho jaayegi..... Phir ......:hint2:

Khair ..mujhe kya... tulsi is sansaar mein bhaanti bhaanti ke story characters ... ab jo marzi kare :popcorn1:

Shaandar update, shaandar lekhni shaandar shabdon ka chayan aur sath hi dilkash kirdaaro ki bhumika bhi...


Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :clapping: :clapping:
:thanks: for your wonderful review :D
 
.
Moderator
2,376
1,840
143
Update 05



Ahmad darte darte serhiyoun ki taraf barha lekin upper charhne ki himmat na kar saka "baba….baba" wo darte darte baba ko awaz lagane laga lekin upper se koi jawab nahi aaya , us ne bamushkil himmat bandh kar upper jane wali serhiyoun ki taraf kadam rakha lekin do char kadam se zyada uoer nahi charh saka uski himmat hi na ho saki

" baba salah din baba , …….. awaz sun rahe ho meri?" ek baar phir awazein lagane laga lekin upper se mukammal khamoshi ke siwa kuch naseeb na hua, albata us ki apni awaz use jaise gunjti wapas aati sunai di jo ek ajeeb si baat thi

Ek baar phir himmat kar ke wo zara sa aur upper charha , jabke ek pori sirhi abhi baki thi jo chat se milti thi, yaka yak use ek baar phir khof ne aa ghera aur wo wapas palat gya aur neeche uterne laga, bamushkil do kadam utra hoga ke koi cheez ludhakti hui us ke peeron se aa kar takrayi jis se wo apna tawazan barqarar na rakh saka aur kamar ke bal seerhiyoun par hi gira

Wo salah din baba tha jo serhiyoun par na jane achanak kahan se ludhakta hua aakar ahmad ke peeron se takraya tha.

Salah din baba behoshi ki halat me serhiyoun se ludhakta hua neeche aaya tha lekin ahmad ko takrane se pehle us ki koi awaz yahan tak ke ludhakne ki awaaz bhi nahi aayi…

"baba,……. Baba kia hua baba uthoo" wo khud ko sambhalne me kamyaab ho gya tha, ahmad jo baba ke upper hi gira tha is lie kisi kisam ki choot se mehfooz raha tha

Baba ko is halat me dekh kar ahmad ke toote urr gaye, ek nazar upper chat ki taraf mari jahan serhiyoun par andhera aur sannata khofnaak manzar pesh kar raha tha

Ahmad foran baba ko le kar kamre ki taraf bhaga aur us par pani daal kar hosh me lane ki koshish karne laga lekin na kamyan raha

Abhi wo baba ko hosh me lane ki koshish me tha ke use nichle floor se ek zor dar awaaz sunai di, is baar awaaz par sasha bhi choonk gayi thi , us awwaz ne mahol ko mukammal tor par khof ki lapet me le lia tha

"tum ne suni ye awwaz?" ahmad na kapkapati awwaz me pucha

Sasha ne haan me sar hilaya aur sehmi hui ahmad ki taraf dekhne lagi

"sasha tum baba ko dekho , pani waghera maro aur hosh me lane ki koshish karo main check karta hun" ahmad ne himmat kar ke khare hote hue kaha

"nahi ahmad mujhe bahout dar lag raha hai , aap yahin ruken please" sasha ne ghabrahat ke mare iltaja ki

"bas do mint, main check kar ke aaya" keh kar wo kamre se nikal gya

Kamre se nikal kar phonkte hue kadam rakhta wo neeche ki taraf utarne laga

Ye serhiyan un ke hall numa kamre me ja kar utarti thin jo in ka tv longe bhi tha aur dining rom bhi

Haal ki chhat ke darmiyan me aaraish ki garz se laga hua jhilmilata hua fanoos teezi se hil raha tha , jaise wo abhi gir jaye ga

Fanoos beshak bahot khubsurat aur bada sat ha , sath hi itna wazni bhi ke halki phulki hawa use hilla bhi nahi sakti thi, wo itni teezi se jhool raha tha ke jaise kisi ne use hilaya hoo

Fanoos ki jalti bujhti Roshni aur ke sheeshon ki khar'kharahat us pur'israr mahool ko aur khatarnaak bana rahi thi

"yaa khudaa …… ye kia majra hai ……….. " us ne khud se keh kar serhiyoun se neeche kadam barhana shuru kiye hi the ke wahan mojood sab ki sab lights khud ba khud off ho gun , lights band hona ahmad ke liye na hone wala waqiya tha ,

Ahmad ne wapas bhaag kar kamre ka rukh kiya aur kamre ke bahar switch board par hath mara to tamam switches off the , usne jaldi se on kar ke kamre me ghusne me hi ghanimat samjha

Baba ko ab hosh aane laga tha , sasha us se kuch fasle par khadi use aawazein de kar jagane ki koshish me lagi hui thi , ahmad ne baba ko kamar se sahara de kar bithaya aur wo bad hawasi ke aalam me idhr udhr ka jaiza lene laga

"kia hua baba" jaise hi us ko hosh aaya wo sasha ki taraf dekh kar ek dam khara hua aur darwaze ki taraf lapka

"baba kia huaa? Kahan ja rahe hoo" dono ne herangi se pucha

"hum ja raha hai , yahan kaam nahi kare ga " wo dantne ke andaaz me keh kar teezi se kamre se bahar nikla tha

Ahmad jaise hi us ke peeche jane ke lie kamre se bahar nikla ke tamam lights on dekh kar heran hue bagher na reh saka, switch board ke tamam switches bhi on the.

Ahmad bina ruke baba ke peeche peeche bhaga aur gate ke kareeb us ke mare me use rok lia

"baba kia hua , kyun bhaag rahe ho aise . upper chat par kia hua tha" ahmad ne apne hawaas par kabo pate hue puchaa

"choro hamein sahib , hum yahan kaam nahi kare ga hum jaa raha hai " wo apna zaruri saman jama kar raha tha

"are baba lekin hua kia hai ? kahan ja rahe ho , mujhe batao upper chat par kia hua " ahmad ne use rok kar kamre me mojood charpayi per bithaya

"sahib aap ne hamein upper bheja ke jao dekh kar aao kuch girah ai aawaz aayi hai, hum upper gya to begam sahiba aur human bibi upper khara hua tha"

Wo kapkapati hui awaaz me bata raha tha , ahmad ka munh ye sun kar khulaa ka khula reh gya

"phir??????????" ahmad ne foran puchaa

"sahib hum ne begam sahiba ke paas ja kar pucha ke kia hua hai to wo humein dekh kar hanstaa raha phir bolta hai , wahan kone me koi betha hua hai , ja kar dekho , humne wahan dekha to udhr kuch bhi nahi tha sirf gamle rakha hua tha, hum gamle ko dekhne wahan gya to begam sahiba ne hamein dhakka de dia , hum chat se neeche gir jata lekin lohe ka grill pakad ke hum bach gya , hum giraa nahi , phir hum khud ko sambhal ke wapas khara hua to begam sahiba ka chehra Roshni me sahi se nazar aaya , wo to koi aur tham aur humne phir dekha hamna bibi chat se neeche kudne ka koshish kar raha hai , wo dewaar par charh raha tha , hum bhaga us ko bachane ke lie , aur us ne hamara pohnchne se pehle chalang laga dia, hum foran neeche jhanka to udhar koi bhi nahi thaa, aur hamein aisa laga jaise kisi ne phir se dhakka dia ho, humne khud dubara girte girte bachaya aur wapas dekha to chat par koi bhi nahi tha , phir to hum neeche aane ke lie bhaaga to table khud ba khud hamein paun par takra gya aur hum zameen par gira, phir pata nahi kia hua, hamein kuch pta nahi hai "/…….

"sahib humne apni zindgi me bahot kuch dekha hai , hamein dar nahi lagta kisi se lekin ye hamein maar de ga , begam sahiba pehle hum se baat kar ke hamein wahan bheja phir un ka chehra badal gya,,, hamein marna chahta tha" baba ne ghabrate hue ukhri sanson ke sath sara qissa sunaya aur wapas apna saman jama karne laga

"achaa baba tum ruko , subah chale jana be shak" ahmad ne baba se rukne ki ilteja ki

"hum ja raha hai abhi yahan se , tum bhi jaao idhr se tumhara ghar me kuch hai" wo saaman utha kar bahar nikal gyaa

Ahmad ko yak dam sasha ka khyal aaya aur wo doud kar ghar ke andar ki taraf bhaga aur andar pohanch kar idhr udhr dekhe binaa foran upper ka rukh kia, kamre me sasha ko pa kar sakoon ka sans lia aur us ke barabar me ja kar beth gya…..use mehsoos hua sasha ek taraf kuch ghor ghor kar dekh rahi hai

Baba ke bare me puchne ki jaga ye kia dekh rahi hai ? ahmad ek zehan me khyal aaya aur us ne sasha ke kandhon se pakad kar harkat di " sasha …? Kia hua ? kia dekh rahi ho " ahmad ne kareeb hote hue pucha..

" TUM CHAHTE TO BACHAA SAKTE THE " ek wehshat bhari awaaz ahmad ke kanoo se takrayi , jo uski biwi ke muh se nikli thi, ankhein khoon ki tarah surkh aur chehra kayi dino ka thaka hua lag raha tha, us ne ahmad ki taraf gardan mor kar kaha

Awaz me kadre bhari pan tha , ye awwaz us awwaz se mukhtalif ne thi jo us ne jhariyoun me suni thi

Ahmad ko yun laga jaise us awaz ne use dur dhakeel dia hoo, aao dekha na taao foran darwaze ki taraf lapka aur use junhi kamre ka lock ghumaya wo band tha, ahmad zoor lagane laga ,

Usi kashmakash me uski ek nazar sasha par padi jo bahot pareshan pareshan aur ghabrai hui use dekh rahi thi , nazrein milte hi baba ke bare me puchne lagi

"kia hua tha baba ko , ahmad " ahmad ko uski asli awaaz aur chehre ke taasrat se ehsaas hua ke ye ek lamhe pehle wali sasha nahi hai m

"chalo yahan se chalte hai" ahmad ne sasha ka hath pakda aur dobara darwaza khola jo foran khul gya

**********************

Kych der me wo log sasha ki mama ke ghar ke bahar khare the , jahan human pehle se ruki hui thi….

Raste bhar sasha puchne ki koshis karti rahi lekin ahmad teezi se gadi chalata raha aur kuch bhi bolne se mana karta raha

"sasha meri baat suno, goor se ," ahmad ne hidayat karte hue baat shuru ki

"main tumhein ammi ke ghar choor raha hun , ho sakta hai ek do din tumhein yahin rukna pade , mere saath ghar me kuch ajeeb waqiyat ho rahe hain aur us ke peeche ek bahi wajah hai jo maine tumse baad me share karun ga , tumhein apna aur hamna ka khyal rakhna hai aur me in cheezon se nimat kar tumhein wapas le luun ga" ahmad ne ek hi saans me mukhtasar qissa keh dala aur sasha hakka bakka us ka chehra dekhti rahi

"tum andar jaao ab me tum se phone par rabte me rahunga " ahmad ne use gadi se utarne ka ishara karte hue kaha , aur sakht lehje mi hidayat ki

"ahmad please aap bhi yahin ruk jayen , mat jayen wahan, mera dil doob raha hai, mujhe bahot khoof aa raha hai …….please ahmad" sasha ne fikar mandi se guzarish ki

"nahi me shayan ko le kar ghar jaun ga , tum fikar na karo, jao ab andar" ahmad ne chehre par jhooti muskurahat late hue kaha, sasha gadi se utar kar ghar ke andar chali gayi

Ahmad gadi wapas mod kar ghar ki taraf jaa raha tha, ye wahi rasta tha jise ahmad ne us accident ke baad aane jaane ke lie use kar raha tha, aur dusra rasta wo kab kaa chor chuka tha

Gadi dourate hue achanak ek moqe par ahmad ko ye ehsaas hua ke gadi ki pichli seat par koi mojood hai , us ne back mirrior me dekh kar tasalli kar li , wahan koi nahi tha , albata us ka khoof ko khatam hua hi nahi tha ab mazeed barh chuka tha

Gadi ki speed bahot teez ho gayi aur ahmad dil hi dil me apni kheriyat se ghar pohnchne ki duaa magne laga , sath sath wo back mirror me pichli seat ki taraf dekhta jata aur gadi ki andar ki light bhi on kar di..

Ek lamhe ke lie us ki nazar apne mobile par padi aur ke zehan me shayan ka khyal aaya, dusre chand lamhon me wo shayan ke sath line par tha

"shayan, main tujhe lene aa raha hun , jaldi se tyar ho ja, aaj mere ghar par rukna hai tujhe mere sath " ahmad ne jaldi se baat mukammal ki

" abe kia ho gya hai ? is waqt ? " shayan ne chonk kar puchaa , lekin agle hi lamhe call disconnect ho gayi…

Shayan ke ghar pohnchne se 2 mint pehle use call ki aur gate par aane ka bol dia

" kia ho gya bhai ? ab kia masla ho gya hai yaar " shayan ne ahmad ke pohnchte hi swal dag dia aur gadi me beth gya

"kia ho gyaa? Abe ye puch kia nahi huaaa!!" bhai puch mat kia kia ho raha hai, chowkidat baba bhag gya hai, lights khud on ho jati hain, kabhi off ho jati hain, fanoos hill raha hai, kabhi sasha apna roop badal rahi hai to kabhi lag raha hai gadi me piche koi betha hua hai , bas bahot ho gyaa, yaar ab kuch karna hi pare ga mujhe" ahmad ne tilmilaa kar sari baat sunayii aur ghusse me gadi teezi se bhagata raha

"oo bhai ! zyada jazbati mat ban, aqal se kaam lee aqal se , wo koi pehlwan nahi jis se tu is tarah ladne ja raha hia!!" shayan ne samjhane wale andaaz me kaha aur sath hi peche mud kar seat ko check karne laga

" abe yaar to main kia karun, ye mere peeche pad gayi hai, tum chahte to bachaa sakte the, tum chahte to bachaa sakte the , abe kahaan se bachata main, apni biwi aur bachi ko le kar un darakhton me ghussaa deta gadi? Accident kar deta gadi ka ? tu khud bata yaar tu meri jagha hota to kia karta ? yaar maine kia ghalat kia hai? " ahmad ne taqreban rohansi hote hui ghusse bhari awaaz me kaha

" bhai main samajh sakta hun, teri ghalti nahi hai , magar, use tu samjha sakta hai ye baat? " shayan ne ye keh kar ahmad ke hont siil diye…..aur sawalaya nazron se ahmad ko dekhne laga

Ahmad tezi se gado bhaga raha tha afsurda chehra bna kar gadi ki speed kuch kam kar di

" nahi yaar ……… lekin ab kia hal hai is masle ka shayan… kia karna chaiye hamein? Un Cameron ki madad se hum kia karen ge, sirf recording na? lekin hum kuch nahi kar paye to kal ko log camera ki recording me ye dekhen ge ke mujhe aa kar kisi ne maar dia phir? Kia faydaa" ahmad ke sawal ne shayan ko bhi sochne par majboor kar dia

Un ki baat cheet ke doran gadi ki speed kuch slow ho gayi thi m ahmad kin azar samne road par aur shayan back mirror me pichli seat par ghor kar raha tha, yaka yak ahmad ko aisa lagaa jaise samne andheraa chaa gya ho, windo screen par kale kapre numa kisi cheez ne samne ka manzar oojhal kar dia tha

Yaka yak gadi ka handle bayen taraf khud muda aur isi doran inhone mehsoos kia ke wo kisi andhere wali jagha me dakhil ho rahe hain

"shayan , gadi khud chal rahi hai , main kuch nahi kar paa raha " wo chilla chilla kar bol raha tha, aur break par zoor zoor se paun maar raha tha

"gadi rook ahmad ,,,, gaadi roooo, rooooook ahmad gadi rooook " shayan chilla raha tha

"shayaaan nnnn kuch kar yaar gadi khud chal rahi hai I I I I I ……. Shayaaa ………nnnn nnn " ahmad ki chekhein goonj rahi then


Dono buri tarah chilla rahe the aur sath hi mil kar handle ko morne ki koshish to kabhi darwaza kholne ki koshish karne lage, lekin kuch na kar sake………………………………….



*********************

Continued……………………

Give your reviews here………. :D
 
Well-known member
1,890
5,090
145
Update 03
Bro… aik to aap se maafi chahungaa… ke kaam ke kaaran… samay na nikal saka… aur itana late review de raha hun…
Bro… ab tak jo 3 updates mein ne padhen un ke aadhaar par bina kissee sandeh ke mein yeh keh sakta hun ke aap aik visheshagy lekharee kee tarah se ghatanaanukram ka prabandhit kar rahe hein… saath saath kisee bhee aavashyak vivaran ko khoye bina bhayaanak ghatanaon ko vyakt kar rahe hein...
Ghatanaon ka pravaah bhee taarkik prateet he aur beech main kaheen jhol bhee nahee chodaa…
Ahmad kaa yun dar jaana aur phir uss aatma ka usse yun hawaa mein oopar uthaana… aur neeche giraa dena… naak se khun nikalna… uss ka adhik bhayabheet nazar aana… un sab ke chalte bathroom mein patni ke chehre ko iss tarah se dekhna aur uss kee oar yaun roop se aakarshit honaa… aik taraf to Ahmad ke dimaghee santolan par kayee tarah ke sawaal uthaa rahe hein aur doosree taraf yah bhe pata chal raha he ke Ahmad mukhy roop se aik tharkee mard he…
Jo Ahmad ko dikh rah ahe who Sasha ko nahee dikh rha… vyaakhya yun he ke aatma keval Ahmad ko hee target kiye hue he… Kaheen aatma ka Ahmad par dil to naheen aagayaa… yeh mahillaen bhee kahna apne dil ka haal khul kar bataeen hein… bas purush ko sataane me hee keval in ko maja aata he…
Ahmad bhee tharkee he to aatma bhee vasna kee payasee lag rahee he… (yaad rahe ke pehalee update mein Ahmad kee teesree taang ko pakad kar khencha tha aatma ne…)…
Jahan Sasha ne Ahmad ke asaamaany vyavahaar kee oar ishaara kiya Shayan ko… waheen Sasha ne iss baat ka mahatv nahin diya… ke jab who khoon saaf kar rahee the to phir aese achaanak se dher sara khoon naak se kesse nikal pada…
Shayan ke yeh baat bhee ajeeb lagee ke Sasha ne jo uss ko bataya tha who sab uss ne Ahmad ko bata diya… yaa phir lekhak yeh chahte hein ke jaisa ke Shayan ko abhee asalee baat ka kuch pata nahee he iss liye who khud bhe aspasht he…
Shayan ka apne dost ko is tarah se sham ke samay us accident waalee jagah par le jana bhee kuch samajh mein nahee aaya… Ahmad to pehle se he itnana dara hua he…
Kahanee apna andar bohat saare raaz aur rahasy aur sawaal lekar aage chal rahee he… aage dekhte hein kaya hone waala he…
Adhbut lekhni kaushal… an entertaining story…
:superr:
 

Top