Horror Char Ratein (Horror) (Completed)

expectations
22,953
14,925
143
Update 03
Main ghusse me apni jagha se utha aur sasha ke pass aa kar use khidki se bahar ki traf ishara kia, wo dekho bahar ka darwaza!!

Sasha be yaqeeni ki kaifiat me us traf dekhne lagi, meri nazar ne uski nazar ka ta'aqub(peecha) kia aur darwaze ki traf dekh kar mujhe herat ka ek aur jhatka laga

" are kia dikha rahe hain Ahmad?"

Sasha ne pucha

"Kuch nahi yar mujhe laga darwaza khula reh gya hai " bahana bana kar khud ko mutmain zahir karne ki koshis karne laga

"ufff Ahmad aap ki naak se khoon beh raha hai ab bhi, ise wash karein main dawai laga deti hun " sasha ne qareeb se dekh kar pareshan kun lehje me kaha aur khud dawa lene ke lie doudi.

Main jaldi se room me mojood washroom ki traf gya aur darwaza aadh khula chor kar wash besin ke upper aayene me apne apna chehrea dekhne laga

Mere uqab me washroom ka darwaza mojood tha jo aayene se meri nazar ke hisar me tha.

Apni naak me pani daal kar maine nigah aayene par uthai aain usi lamhe darwaza ek jhatke se band hua tha . qareeb tha ke main is achanak awaz se behosh ho kar gir jata

Mere oosan khata ho chuke the , main aoni jagha se na hila , dil dheh sa gya tha , maine ankhein band karke wash basin par apna sir jhuka lia, kisi hare hue insaan ki tarha

Main khud me itni sakkat(taqat) mehsoos nahi kar raha tha ke ab is jang ka samna kar sakun

Ek ghari sans chor kar maine sir uthaya aur sheshe me apne peeche kisi ko dekh kar dehel gaya, pehli jhalak me mujhe yun mehsoos hua jaise meri biwi nahi koi aur aurat hai. Mera guman tha ke shayad ye wo ladki hai jise maine kuchal dia hai.

Main foran peche palta , ubharti sans ek dam sakin(ruki) hui thi , sasha ko samne dekh kar kuch chain mila

"tum andar kab aayi aur kaise??" mere hath abhi bhi laraz rahe the

Muh par herat ke pahad toot rahe the au sasha nihayat pur sakoon andaaz me hath me dawai aur ruuiii lie lagane ki tyari kar rahi thi

Main herat se use dekhta raha aur wo meri naak sekhoon saaf karke dawai lagane lagi,

Wo dheere dheere mujhe mohabbat paash nazron se dekhte hue mere naak ko saaf kar rahi thi

Mujhe apne wajood ki sari takleef , khof aur sari thakawat dur hoti hui mehsoos ho rahi thi.

Meri biwi ka shumar dunya ki khoobsurat aurton me hota tha , khosurat naak , Chandan roop , bhare bhare lab , muri hui palkon ke neeche dhaki hui lambi aankhein

Thori deer ke lie jaise main apne dar ko bhool kar is dilkash chehre me apna sakoon talash karne laga tha.

Us ki kamar ke gird narmi se bazoo haa'il kar ke maine use apne qareeb kia tha , us ke wajood ki narmahat aaj bhi mere andar waisa hi sakoon utar rahi thi jaise hamesha se tha .

Maine use apne seene me sameeta tha, aur bazuoun ki grift mazboot kar li thi, main us se bahot mohabbat karta tha.

Dheere se us ke hath tham kar chehre se hata kar syed par kia , hamare beech se hawa ka guzar rok dia tha , jazab ke aalam me use seene se lagaye aankhein band kar li thien dheere se us ke garadan ke dayen taraf lab rakhe the aur meri naak us ki gardan ko choo rahi thi m main sab kuch bholne ki koshish me laga tha ,

Mere dil me har lamha kuch bura ho jane ke khayalat janam le rahe the , kitne hi lamhe main ek sehme hue bachee ki tarah us ke sath chipka raha tha..

Sasha mujh se alehda hui aur muskura di ,dil ko kuch dharas bandhi thi.

Wo muskura kar ek bar phir meri naak se riste khoon ke qatree saaf karne lagi

Maine sir upper ki janib kar ke aankhein mond lein , ke achanak us ke hath ka nakhun ya koi bahot nokili cheez meri naak me lag gayi, main chilla utha aur dard se kar'rahne wo khoon dekh kar darwaze ki traf lapki aur kuch lene ki gharz se bahar ki janib doud lga di…main takleef se karrahne laga , wo nokili cheez meri naak ki haddi par chubhi thi aur khoon tezi se riste hue meri shirt par tapak raha tha , main dobara wash besin ki taraf jhuk gya aur naak par pani marne laga , khoon rukne ka naam hi nahi le raha tha, main foran palta aur toliya utha kar naak par rakh ke bahar ki taraf doura , washroom se bahar nikla hi tha ke sasha kamre ka darwaza kho kar andar dakhil hui

Khoon tezi se behta ja raha tha aur gulabi toliya laal ho raha tha, sasha mujhe dekh kar pareshan ho gayi , us ke hath me first aid box tha

" ye kia lag gya, kya kia tha tumne ?" maine use dekhte hi be saktha swal kia

Meri nazar us ke hath par padi aur us ke nakhun hamesha ki tarha chotte the , main be yaqeeni ke andaz me kabhi us ki traf jwab talab nazron se dekhta to kabhi us ke hath ki traf

"Kia matlab? Maine kia kar dia? Aur ye itna sara khoon kaise behne laga? Wo tezi se behta aur laal toliya dekh kar pareshan ho gayi thi, aur meri naak ka jaiza lene ki garz se use chonaa chahti thi

Maine jhatke se us ka hath hataya , sasha ki baat sun kar mujhe chakkar aane lage aur mere hossh jate rahe

*****************************************



Ahmad ne apne sath hone wali har baat ko shuru se lekar ab tak shayan ko bta di thi, shayan ye sab batein sun kar gehri soch me doob gya , wo dono is waqt Ahmad ke room me mojoud they.



Ahmad ki behoshi ke kuch der baad hi shayan wahan pohncha tha aur shayan ne sasha ki hi madad se use utha kar room me bed par lita dia tha.

"yar tujhe pata hai jab main tujh se milne tere ghar aaya to sasha ne kia kaha mujh se " shayan ne nazrein utha kar kaha

"kia kaha " Ahmad ne jawab talab nazron se puchaa

"sasha ne btaya ke ye kuch din se ajjeeb batein kar rahe hain aur in ka rawayya bhi kuch na samajh aane wala hai , mujhe dare dare se lagte hain aur hum dono se bhi zyada batein nahi kar rahe m ek do bar mujhe kamar par choot ke Nishan dikhaye lekin kuch bhi nahi tha , phir abhi aap ke aane se pehle bhi bahar gate ki taraf kuch dikha rahe the lekin wahan kuch nahi tha , aur phir in ka aise table se gir jana aur khoon ka itna zyada barh jana kuch samajh nahi aa raha"

Shayan ne wo tamam batein Ahmad ko bta dein jo sasha ne us se kahein thien

"lekin ek mint " shayan ne kuch soch kar ek dam ruka tha aur ungli apni thodi par rakhte hue bola

"kia hua" Ahmad ne pucha

"tumhare mutabiq pehli raat ko jab tumhein kisi ne kamre se bahar khenchne ki koshish ki to tumhare chekhne chillane par sasha aur hamna nahi uthi? Right" shayan ne wazahat talab ki

"haan exactly main chekhta raha aur wo dono nahi uthi , aur subah us ne btaya ke meri koi aawaz us ne suni hi nahi" Ahmad ne dimagh par zor dete hue btaya

"aur phir ek bar aur jab raat me tum kichen me gaye tab bhi tumhare sath jo kuch hua , fridge ka achanak Khulna aur tumhein lagna aur in sab baton ka shoor wagheraa , sasha ne kuch nahi suna ?" shayan ne guthi suljhane ki koshish karte hue pucha

"haan yar us roz bhi mere sath jo hua inhein kuch pata nhi aur na hi maine btaya, main use pareshan nahi karna chahta tha" … Ahmad ne tafseel se btaya

"lekin" Ahmad kuch soch kar mathe par gehre bal dalte hue bola

"kia hua" shayan ne pucha

"yar us roz maine sari lights on ki then aur wapas jate hue band nahi ki to kia jab sasha ne subah dekha hoga to note nahi kia hoga , ke kafi lights on hain jo wo khud raat ko sone se pehle band karti hai"

Ahmad ne shayan ke samne khud se swal kia

"agar to subah sasha ke uthne tak sari lights on rahi hain to wo zarur pochti tum se , kia khyal hai " shyan ne kaha

"mera khayal hai ….. tu ek kam kar " shayan ne ab ki bar kuch soch kar mashwra kun andaz me alfaz jorte hue kaha

"tere sath do bar raat me ye ajeeb waqiya pesh aaya hai, aur din me to kuch aisa khaas nahi hota na" shayan ne swal kar ke jawab talab nazron se Ahmad ki taraf dekha

"han" Ahmad ne bujhe hue lehje me jawab dia , jaise in waqiat ko soch kar us ki rooh chalni ho gayi ho,

" to phir tere ghar me common room me ya jis bhi jaghe cctv camera laga hua hai tu raat ko usi jagha per sona shuru kar de , aur khuda na kare aisa kuch waqiaya pesh aata hai to hum check kar sakte hain ke wo kia cheez hai jo tujhe tang kar rahi hai , itna to mujhe andaza ho gya hai ke wo jis ladki ko tune mara tha in sab cheezon ka us se zaroor koi taaluq hai"

Shayan ne qareeb ho kar Ahmad ko cctv ke alawa kuch cheezon ka mashwra dia

"waise tune bahot hi ghalat kia yaar, tune logon ke dar se aur police case se bachne ke lie us aurat aur bachii ke bare me dobara kuch jaan'ne ki koshish bhi nahi ki …"shayan ne afsoos ka izhar karte hue kaha



"chal ek kaam karte hain, dono wahan chalte hain aur wahan ka jaiza lete hain aur agar koi us ilaqe me nazar aaya to un se pata karne ki koshis karte hain" shayan ne maini'khez nigahein Ahmad ki traf uthate hue kaha

"nahi nahi , waha nahi jana , ek to kisi se puchen ge to ulta hum par shak kare ga, dusta us jagha se mujhe waise hi dar lagne laga hai" Ahmad ne saaf inkar karte hue kaha

"ooh yaar kuch nahi hota, to chal to sahi ,mere sath , mujhe asal jagha maloom hoti to main akela hi ja kar dekh aata , lekin tera sath aana zaruri hai , abhi waise bhi shaam ka waqt hai, hum ja kar dekhte hain"

Shayan ne zoor dete hue kaha , jis per Ahmad kisi had tak razi ho gya tha.

"chal to phir jaldi kar ' maghrib(shaam) se pehle wahan dekh kar aate hain " Ahmad ne fori tor per apna dar zahir karte hue kaha

Kuch der me dono gadi me mojood the aur gadi us sadak ki traf doud rahi thi

Ahmad ke zehan me ek baar phir se wahi manzar ghumne laga, uske chehre per khoof aata ja raha tha , aur paseena uske mathe se sarakne laga tha

Aain usi jagha per ahmad ne apne andaze aur aas pass ke darakht dekh kar gadi rukwai aur wo dono us jagha ki traf barhne lage jahan Ahmad ke andaze ke mutabiq wo aurat aur bachii us ki gadi ki takkar se ja kar gire the. Ahmad ke chehre par ab bhi khoof ke badal nazar aa rahe the aur dil ki dhadhkan be kaboo ho chuki thi ……………….




Continued………….

Give your reviews here.......
:reading:

Update 04


Maghrib ka waqt kareeb tha aue Roshni madham hoti jaa rahi , Ahmad apne anadaze ke mutabiq shayan ke sath us jagah pohanch chuka tha

"yar mera khyal hai yahi jagha ho sakti hai, meri gadi ne jab unhein hit kia tha wo log us traf ja kar gire the" Ahmad ne hath se road se thoda andar ki traf ishara kia

Ahmad ki btayi hui jagha ke kareeb pohanch kar wo dono jagha ka muaa'ina karne lage lekin unhein wahan aisi koi cheez ya suragh nazar nahi aa raha tha

Unhein waha khoon ke dhabbe nazar aane ki umeed thi ji ski koshis me aas pass ki jaghon ko bahot kareeb se aur dhyan se tatool rahe the , ghane darakht aur jhariyoun ki mojoudgi me us jagha par un ka chalna kafi dushwar tha. Ye road ke kinare aisi jagha thi jahan kachii zameen aur jhariyan har taraf pheli hui the.

"yaar shayan idhr to kuch bhi nahi hai , chal yaar ghar chalte hain " Ahmad ne teez dharakte dil ke sath kaha aur shayan ki traf be charge se dekhne laga

"ruk to ja yar , sahih se dekh to lene de shayad koi Nishan , ya khon kuch to nazar aaye ga, is jagha se logon ka guzar mushkil hi hota ho, to phir wo dono accident ke bad yahan se kaise aur kahan gaye?" shayan ne pur'israr andaz se swal kia

"yaar to chor ye investigation please , mujhe waise hi dar lag raha hai , chal yar wapas chalte hain" Ahmad ne badastoor us ka hath tham kar kaha, wo dono is talaash me road se kafi andar ki traf aa chuke the, jahan darakhton ke saye ki wajah se Roshni mazeed kam ho gayi thi. Shayan ke lie ye sab ek adventure se kam nahi tha kyun ke wo bahut nidar qisam ka insan tha jabke Ahmad ke sath ye sab hota aa raha tha , aur wo intehai khoof ke zer'e' asar tha

"yaar dekh tere mutabiq gadi ne samne road par us jagha unhein hit kia tha aur wo dono takra kar …." Shayan Ahmad ko hath ke ishare se jagha bata kar sahi jagha ki Nishan dehi karne ki koshis kar raha tha.

Ahmad ek dam jhatke se chonka , aur palat kar peeche ki janib dekhne laga

Ahmad ki is harkat par shayan apni baat kehte kehte ek dum rum gya, herat se Ahmad kin azar ka taa'uqub karne laga….

"yaar tune awaz suni?" Ahmad ne larazti awaz aur kapkapate labon ke sath pucha aur shayan ke bilkul qareeb ho kar us se jur ke khara ho gya,

''yaar chal yaar yahan se mera dil doob raha hai , please shayan chal yar yahan se " ahmad ne use khenchne ki koshish ki

"abe hue kia achanak? Konsi awaz aayi hai " shayan ne use rokte hue achanbhe se pochaa

"mujhe aisa laga jaise road ki taraf se koi awaz aayi hai aur phir semane us taraf kuch aa kar gira ho "

Ahmad ne us jagha ishara karte hue kaha jahan wo dekh raha tha

Shayan us ka hath pakad kar us taraf barhne laga ahmad peeche peeche dara hua kapkapte peeron ke sath aa raha tha

Andhera barh chuka tha ,is janib darakht kam aur jangli jhariyan bahut zyada then,

Dono ne apne mobile ki torch on kar len aur dheere dheere jhariyoun se bachte bachate us jagha ke kareeb hote ja rahe the , us jagha ke kareeb pohnch kar jo manzar unhone dekha us manzar ne dono ke hosh udaa diye, dono ne hawaas bakhta ho kar ek dusre ki traf dekha , ahmad aur shayan ki chehra ek dam sufed par chuka tha , awaz halaq me hi dabi reh gayi aur aisa maloom hota tha jaise kisi ne pure badan se khoon ka eke k qatra nichor lia ho

Samne hi wo bachii aur aurat jo shayad maa aur beti thii , bahut buri haalat me jhariyoun ke beech padi hui thin un ke jisam se khoon aise beh raha tha ke mano abhi abhi accident hua ho , peer ,ghutno se mude hue the jaise ke tangon ki hadiyan toot chuki hoon

Dono ka chehra un dusri traf muda hua tha , ye dakh kar ahmad ki halat aur patli ho gayi

Shayan ne himmat kar ke unhein hilla kar dekhna chaha , jaise hi us ne hath un ki traf barhaya , achanak hi dono laashon ne chehra ghumaa karun ki taraf kar lia aur ankhein khol lein jo bilkul sufed then jaise un me zindgi ki koi nishani mojood hi na ho

Aur wo dono ahmad ki traf dekh kar kehne lagin"tum chahte to bacha sakte the". Ye awaz itni dehshat naak thi ke sannate ko cheerti hui kano me dakhil hui thi

Ye manzar dekh kar dono ka kaleeja halaq ko aa gya

Wo dono yak dam mud kar wapas road ki janib sar pat doude, ahmad ko mehsoos ho raha tha jaise us ka peer pakad kar peche ko khench raha ho, wo apni puri taaqat aur rafter se bhagne ki koshis ke bawajood bhi shayan se peeche hota ja raha tha , raste me jhariyoun me ulajhte peer, chubte kante aur kapdon ko chalni karti hui jahriyan unhein ek pal ke lie mehsoos nahi hui…

Bil akhir shayan ke chand lamhon baad ahmad bhi gadi tak pohnchne me kamyab ho gya ,shayan gadi start kiye hue tha

Dono ke peer kafi had tak zakhmi the

Sare raste dono ne bar bar back mirror me piche dekhte rahe , ghar se us jagha ka fasla kuch der pehle inhone 20 mint me teeh kia tha lekin shayan ki gadi ab ki bar 10 mint me ahmad keg har ke bahar mojood thi, raste bhar wo dono nae k lafz keh sake aur na koi baat ki

"yaar main tujh se phone par baat karta hun" ahmad ke gadi se utarte hi shayan ne ye keh kar gadi aage barha di

Ahmad kichen me dakhil hua jahan sasha pehle se kuch kaam me masroof thi, wo mushkil se chal pa raha tha

"sasha" ahmad ne ghabrai hui dheemi si awaz me sasha ko awaz lagai , jo chulhe par kuch paka rahi thi aur peth ahmad ki taraf thi , ahmad larkhrata hua us ki tara barh raha tha aur nazrein bar bar apne zakhmi peeron ki taraf ja rahi thi

"sasha , yaar idhr baat suno" wo kehta hua sasha ke qareeb pohncha hi tha ke use ek bar phir wahi lehja aur aawaz apni peth peche se sunai di

"tum chahte to bacha sakte the"

Wo ghabra kar ek dam se peche palta aur peeron par zakham ki wajah se apna balance na rakh saka aur sasha se takrata hua neeche gir kar beth gya

Sasha ne foran palat kar use ba'mushkil sambhala aur us ki aisi halat dekh kar saktee me aa gayi

"ahmad ye kia hua ahmad ?ye sab kia hai ? " us ke peeron se ghutno tak jagha jagha chilla hua tha aur zakhmon se khoon beh raha tha jise dekh kar sasha ne pareshani me pucha

"room me chalo" ahmad ne itna keh kar ankhein band kar lein

Sasha ne badi mushkil se use sahara de kar kamre tak pohnchaya aur bed par litaa dia

"aap yahan leten , main first aid box le kar aati hun" sasha ne ahmad ko bed par thek se lita kar jate hue kaha

"nahi , sasha nahi , ruko, meri baat suno" ahmad ne ghabra kar teez aawaz me kaha jis par sasha ke qadam herat se wahin ruk gaye

"are kia hua ? main kuch le kar aati hun aap ke zakham saaf karne hain, phir aap change kar len " sasha ne fikar mandi ka izhar karte hue kaha

"wo samne toliya hai na, use geela kar yahin washroom se aur usi se saaf kardo" ahmad ne hukam dete hue kamre me mojood toliye ki traf ishara kia

Sasha kuch na samajhte hue toliya le kar use geela karne chali gayi, ahmad kin azar musal'sal us par tiki hui thi jo bathroom me ghusi thi , aur chand lamhon me geela toliya le kar wapas aa gayi

Ahmad ghor se sasha ko dekh raha tha aur us har andaaz note kar raha tha us ke zehan me wahi manzar jo wo dekh kar aaya tha aur wahi aawaz jo abhi kichen me dusri baar suni thi, goonj rahi thi

Sasha se bhi use dar mehsoos hone laga tha , lekin ye baat us ne sasha ke samne zahir nahi hone di

Sasha pent ke painche upper karke toliye se khoon saaf kar rahi thi us ka chehra neeche ko jhuka huaa tha aur mathe par lehrate baal chehre ko kisi had tak dhanpe hue the

Ahmad ko ek anjana sa khoof tha ke kahin sasha phir se gehra zakham na mar de lekin aisa kuch nahihua , sasha bahut narmi aur aaram se achi tarha dono peeron se khoon saaf kar rahi thi

"ahmad ye hua kia hai? Aap shayan ke sath kahan gaye the? Sasha ne khamosi ki dewaar girayi aur ahmad se is sab ki wajah puchi

"sasha me tumhein sab kuch bataun ga lekin mujhe is se pehle kuch cheezein jaan'ni hain , jin ke intezar me main hun, please tum tab tak is bare me baat nahi karo gi"

Ahmad ne sasha ko yaqeen dilate hua kaha

"lekin…….. ahmad main aap me kuch din se ajeeb tabdeeli dekh rahi hun , please mujhe batayen aakhir baat kia hai, aap kin masloon me phanse hue hain,main apni har mumkin koshish karke aap ko khush rakhna chahti hun aur itne din se aap ke badle hue rawaye ko dekh rahi hun lekin kuch keh nahi rahi , lekin ab rooz rooz aapke kahein na kahein zakham aur nidhal nazar aate hain , ye sab kia hai , aap thek to hain na?."sasha ko jaise apne dil ki baat kehne ka moka mil gya tha , wo phat padi thi aur apni pareshani zahir kar dali .

"main thek hun sasha bas thora ek masla chal raha hai, jo main tum se zaroor share karon ga lekin abhi nahi , please……." Ahmad ke samjhane par sasha maan gayi aur dheemi si muskurahat us ke chehre par umad aayi..

"chalein aap change kar lein , ye kapde, main khana tyar kar loon, chulha band karke aayi thi"sasha ne uthte hue kaha

Pichle kuch dino se ahmad note kar raha tha ke sasha chup chup hai aur uske table se girne ki wajah se naak par chot lagne par bhi koi khaas herat zahir nahi ki, na us ki pichle kuch dono ki baton par herat ka izhar kia, aur phir bathroom me hone wala waqiya…..kia ye sasha hi hai……………

Ab use yaqeen ho gya tha ke ye us ki biwi sasha hi hai jo us ka khyal rakhne ki garz se aur use zehni uljhan se door rakhne ke lie ye sab batein ignore kar rahi thi

"magar bathroom me jis ne mari naak se khoon saaf kia wo……"

Ahmad ye soch kar dehel kar reh gya , us ke jisam me ek dar ki leher doud gayi, wo uth kar kapde change karne chala gya

"chalein aaj chat(roof/teracee) par chaye peete hain aur walk karte hain" sasha ne khane ki table par ahmad ko khamosh dekh kar baat shuru ki

"nahi yaar mera mood nahi hai aaaj, phir kisi din ….. " ahmad ne nazrein utha kar us ki traf dekhte hue kaha aur dobara apne khane me masroof ho gya

"chalein na kafi din ho gaye hain , humne chat par chaye nahi pee, aura ap ka dipression bhi door hoga" sasha ne ab israar kia, jispar ahmad mana nahi kar saka aur garden hila kar hami bhar li.

Ahmad khane se farigh ho kar chat par ja chuka tha aur sasha kichen me chaye bnane me masroof thi , ahmad ki aadat thi ke wo khane ke foran baad chala jata tha aur jab tak sasha na aa jaye wo walk kar aur mobile use karta tha , phir sasha ke aane par dono sath chaye peete aur walk karte hue batein karte ,,,,

Ahmad ko aaj na jaane kaise kaise khyalaat aa rahe the aur apne hi ghar ki chat par khof mehsoos ho raha tha, ghar ki chat bahut khuli thi jism eek traf kayi kisam ke gamle rakhe hue the aur Khushboo dar phool bhi,

Char soo andhere ka raaj tha jabke ikka dukka gharon ki lights on nazar aa rahi then, ahmad mobile istemal karne ki jagha aaj bechaini se sasha ka intezar kar raha tha aur us ki nazrein ek anjaane khoof ko samoye hue aas paas har jagha bhatak rahi then

Kuch der me sasha hath me tray lie hue serhiyoun se upper aati nazar aayi jis par ahmad ne sakoon ka sans lia aur kursi le kar beth gya

Wo dono chaye peene me masroof ho gaye aur sath sath batein bhi karne lage , "chalein walk karte hain" sasha ne kuch der me walk karne ka irada zahir kia , jis par dono apni jagha se khare ho kar walk karne lage, wo dono kursiyoun par ek dusre ke samne bethe hue the aur beech me table par pani ka jag aur ek glass para tha

"sasha ek baat btao mujhe " ahmad ne ek jagha par nigah jamate hue chaye ka ghont bhar kar kaha

"ji pochen " wo jo ahmad ke sath kadams se kadam mila kar chat par ek taraf se dursri taraf walk kar rahi thi swaliya nazrein uthate hue pocha

"us rooz jab meri naak se khoon beh raha tha aur tum mere lie dawa lene gayi thi to tumhein itni deer kyun lag gayi thi aate hue" ahmad ka kadam apne sawal ke sath ruk gaye the aur wo sasha ki traf munh karke mutwajja ho gya tha

"are haan , main jab neeche first aid boz lene gayi to wo apni jagha par tha hi nai,mujhe dhondhne me bahot time lag gya tha , phir wo mujhe kafi deer baad dining table par samne hi rakha hua nazar aaya" sasha ne tasalli se jawab dia jis par ahmad "hmmm" karke reh gya

Ahmad apni biwi ki traf se tasalli aur dusri taraf se khoof dono ke saye me tha jis se wo ajeeb si kashmakash ki shikar tha , kabhi to wo bahot dara hua aur kabhi bilkul pur sakoon ho jata tha.. use yaqeen tha ke uski biwi us ke sath mojood hai aur bathroom me jise usne gale lagaya tha wo uski biwi nahi thi

"kia hua ahmad? Kia soch rahe hain?" sasha ke swal par wo ek dam sochon se bahar aaya aur zehan jhatak kar sasha ki traf dekha , na jane kyun use chand ki madham si chamak apni biwi ke chehre par parte hue kuch khoof sa mehsoos ho raha tha.

"kuch nahi yaar ……. Bas…….." wo itna keh kar chup ho gya

Sasha bhi uski khamoshi par kuch na keh saki aur ahmad ke hamrah ek bar phir qadam uthne lage.

Ahmad, sasha ke sath chat ke ek kone par tha , jab wo palat kar dusri janib chalne laga use mehsoos hua , uski kursi ab us jagha nahi hai, jahan wo pichle 15 mint se walk karte hue dekh raha tha.

Pehle pehal use apna weham mehsoos hua kyuki us ne walk karte hue kursiyoun ki position par kuch khas ghor nahi kia tha lakin ab us ne ghor karna shuru kia to use yaqeen ho gya….

"uthte waqt main sasha ke samne betha hua tha aur meri kursi samne thi ab table ki dusri side par….." ahmad ne khud se swal kia , us ka zehan ulajh kar reh gya tha , wo ek baar phir chat ke beech me mojood un kursi table ke pass se guzar kar dusru taraf gya tha, ke ab ki bar use kursi sirakne ki awaz aayi, palat kar dekha to wo kursi pehle wali kagha par thi jahan us ke andaze ke mutabiq honi chahiye thi

"sasha chalo neeche.."wo sasha ka hath pakad kar teezi se serhiyoun ki taraf barha aur serhiyan utarne laga..

"kia hua ahmad?...." sasha us ke achanak badalte hue rawaye par heran 'o' pareshan reh gyi, ahmad bagher kisi jawab ke uska hath thame tezi se neeche utar raha tha

Abhi mushkil se char panch serhiyan hi utre the ke ek zor dar awaaz aayi jis ke baad kursiyoun ke girne aur kanch ke jag ke tootne ki awaz sunayi di..

Ahmad ne apni raftar teez kar di aur wo dono kareeban bhaag kar neeche floor par pohnche , ahmad use lekar seedha kamre me ghus gyaa…

"ahmad , ahmad hua kia hai , akhir aap kyun bhaage hain chat se" sasha ki herat tamam bulandiyoun ko choo rahi thi

Ahmad ne kamre me mojood intercom uthaya aur ghar ke chowkidar ko upper aane ka hukam dia……..

Ahmad ki sans ukhri hui thi aur wo sasha ki kisi baat ka jawaab die bagher be'chaini se kamre me chakkar lagane laga.

Kamre ka darwaza baja tha, jab uske kadam yak dam ruke …."kon hai" andar se hi puchaa

"sahib aap ne bulaya tha , salah din hun" bahar se awaz aayi

Ahmad ne thora sa darwaza khol kar tasalli ki , ke bahar uska chowkidar hi hai ……..

"baba upper se abhi kuch girne aur tutne ki aawaz aayi hai,zara chat par ja kar dekho kia girah hai" ahmad ne use hukam de kar darwaza wapas band kar dia

"ahmad kia hua? Kuch to btayen , kaisi awaz aayi hai aap ko? Please ab bahot ho gya , ab mujhe batayen aakhir chal kia raha hai ye sab" sasha ne pareshani me ghussa apnate hue pucha

"ruk jaaao" ahmad ne roub dar awaz me jawab dia aur ungli se chup rehne ka ishara kia

Mobile ki bell baji aur ahmad ne ruk kar charging par laga mobile nikal kar kaan se lga lia, dusri traf shayan line par tha,,,,,

"ahmad tujhe yaad hai na , kia kaha tha maine? Kia karna hai aaj tune….." shayan ki awaz aayi

"haan yaar yaad to hai lekin main sasha ko in sab cheezon ki kia wajah btaun ga , use maine abhi tak kuch nhi btaya" ahmad ne tehlte hue kamre se bahar nikal kar dheemi awaaz me jawab dia……

Yaar tu bol de kuch bhi, use sambhal le kisi tarah bhi , lekin aaj karke zarur dekh, maine jab se us ladki aur bachi ko dekha hai , yaqeen maan meri haalat abtar ho gyi hai , us ki wo awaaz mere kanoon me reh reh kar goonj rahi hai" shayan ne apne khoof ka izhar kia jispar ahmad ke bhi paseene chotne lage

"bol raha tha , tujhe main, mat chal us taraf , tun ahi mana , aur soch main kaise ye sab jheel raha hun … meri kia halat hogi, abhi abhi phir ek masla hua hai" ahmad ne mooka pate hi apne dil ki bhadas nikali aur sara ilzaam shayan ki taraf thop dia.

"kia matlab? Ab kia hua hai?." Shayan ne chonkte hue sawal kia

"kuch nahi baad me btaun ga " ahmad bechaini se kamre ke bahar tehlte hue baba ke wapas aane ka intezar kar raha tha , us ki nazrein bar bar upper jane wali serhiyoun ki taraf thin

"achaa yaar baat sun , ye bata hum ne jo ladki aur bachii jhariyoun me dekhi then ye wahi thin a? " shayan ne darte darte sawal kia

"bhai 100 percent wahi dono then, aur main yaqeen se keh sakta hun , humne jinhein dekha ha wo ………" ahmad itna keh kar chup ho gya

"haan yaar tu sahi keh raha hai , usne puri gardan ghuma kar kaha tha " , "tum chahte to bacha sakte they" aur ye kisi insaan ke lie mumkin nahi, na wo dehshatnak awaz kisi insaan ki thi , dosri baat wo bilkul aise lag rahi thi jaise abhi abhi accident hua hoo…… yar kaise ho sakta hai yee……. Main……….." shayan ne apna shak zahir kia aur dono taraf ek lamhe ke lie khamoshi chaa gayi.

"chal yaar main phone rakh raha hun, tu aaj zarur camra ke mojoudgi me sona aur jaise maine btaya hai wo sab zarur karna"

"chal thek hai yaar, duaa kar, kuch ulta seedha na hoo" ahmad ne iltaja ki aur phone band kar dia

Us ki nazrein serhiyoun ki janib lagi hui then jahan se achanak ek cheekh sunayi di , us aawaz ko sun kar ahmad ko aisa laga jaise us ka dil pasliyan tod kar bahar aa jaye ga……




Continued……………..

==============================



Give your Reviews here …………………………
:reading:
 
.
Moderator
2,376
1,840
143
Baat urdu hindi pashto ki nahi ho rahi hai balki baat ho rahi hai....ki agar uska dil seene se nikal kar halak mein jaake atak gaya tha to..... seene ki us khali jagah mein kounsa sarir ka ang aake fit hua..:D. Liver, gurda ya stomach :?:
baat wahi hai, ke khoof ke ehsaas ko likhne k lie , rongte khare ho gye dil halak ko aa gya (sans band ho gya) waghera waghera baki uski jagha aap kuch bhi fit kar lo :D
 
.
Moderator
2,376
1,840
143
Update 3

ek ke baad ek ghatanaayen ghat ti jaa rahi hai Ahmad ke sath... kya din aur kya raat... wo bhootni barabar uski band bajati jaa rahi hai...
Ab jaisi karni, waisi bharni....
waise washroom mein usne jisko gale lagaya tha wo sasha thi hi nahi balki wo to bhootni thi...
Saza dene anokha style.... Pehle Ahmad ki naak se behta khoon saaf kiya, phir pyar jatane ke bahane se uske naak pe naakhun chubho di, jisse aur zyada khoon bahne laga aur dard..wo to beintahaa :roflol:
bahar aake jab pata chala ki gale lagne wali uski biwi thi hi nahi to uska chitti pitti hi gul ho gaya...

Waise hosh aane ke baad shayan ko saari baatein bata di...
shayan bhi pareshan ho gaya tha...
lekin usne ek idea lagaya ... agar Ahmad CCTV lage room mein soye to un logo ko pata chal jayega ki akhir ye sab kar kaun raha ya rahi hai...
Lekin shayan bhool gaya hai ki wo dono ruh hai.. bhala cctv camera mein un dono ki video footage kaha se capture hogi... :D
haan itna jarur ho sakta hai ki Ahmad ko hawa mein hi ghasitne wale scene dikh sakta hai..
Well ye shayan ushe waha pe kyun le jaa raha hai.... kya us aurat aur us bachhi ki khoj kabhar leke un dono ke ghar jaane wala hai,
Shayad ab jaake pata chale ki us aurat aur us bachi ka naam kya tha..
Waise shayan bhi thodi bahot nazar hai Ahmad dwara kiye us gunah se... Wo bhi yahi keh raha tha ki aise accident ke baad yun bich raaste mein marne ke liye chhod ke aana bahot badi galti thi Ahmad ki...

khair... ek baat to tay hai... wo dono hi ruh Ahmad ke sath abhi khel rahi hai... jaise billi apne shikaar ke sath khelti hai... Lekin ant mein maut hona to tay hai... Wo bhi dardnaak tarike se..
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :clapping: :clapping:
:thanks: for your wonderful review
 
.
Moderator
2,376
1,840
143
Update 1
First of all congrats for new story HAKIMHAKIM's icon
Shuruat hi ek bhayanak hadse se huwi ahmad jo ki apni choti se family ke sath zindagi guzar raha hai uske sath achanak aise raat ko hadse hone ki wajah kahi wahi aurat aur bachi hi to nahi jinhe us raat ahmad ne apni gadi se thok diya tha
Ahmad ka yu unhe gadi se thokna jayaz tha ya nahi ye nahi Keh sakte kyunki uske sath uski biwi aur beti bhi thi aise mai usne Pehle unki safety dekhi jo shayad uske hisab se sahi bhi thi
But jab usne us aurat aur bachi ka accident kiya to shayad tab hi usey rok kar unhe dekhna chahiye tha kya pata wo log us halat mai they honge jaha unhe jald se jald medical treatment ki zarurat hogi.
But ahmad ke sath huwe hadse se ye to lagta hai ki wo jo koi bhi hai usne ab tak sasha aur hamna ko koi nuksaan na pahunchaya.
Dekhte hai akhir ye sirf ahmad ke dimag ka daar hai jo usey us raat ke Baad se hone laga ya Phir sach mai hi koi hai jo ahmad ke piche pada huwa.
Overall Awesome Update Pehle update se hi samajh agaya ki kahani intresting hogi aur sath hi apki writing skills bhi kamal ki hai.
:thanks: bro for your wonderful review, new update post kar dia hai ,
 
expectations
22,953
14,925
143
Galti ka ahsas karana chahti ya isko maarna chahti hain agar marna hota to ab tak maar diya hota ab dekhna hai akhir hota kya hai
 
.
Moderator
2,376
1,840
143
بھائی جیسی کی آپ کے پہلے اپڈیٹ سے ہی مالوم پڈ گیا کی ڈار کیا ہے وہ آپ نے دوسری اپڈیٹ میں بھی اسے ڈار کو کیم رکھا ہے مجھے سب سے اچھی بات یہ لگی کی اسمین کہی بھی یا کچھ بھی بے فالتو جیسا بھائی مجھے دوگاؤں مکمل جائزہ ابھی کے لیے بس تم
:thanks: bhai, hinglish parh leta hun main, lekin dewangiri nhi, aur aisa is lie kaha tha ke pic me dewangri likhi thi :D
 

Top