Horror Char Ratein (Horror) (Completed)

LEGEND NEVER DIES................................
Moderator
17,457
29,376
173
:thanks: , aur ye pata nhi kia likha hai , :dontknow:
بھائی جیسی کی آپ کے پہلے اپڈیٹ سے ہی مالوم پڈ گیا کی ڈار کیا ہے وہ آپ نے دوسری اپڈیٹ میں بھی اسے ڈار کو کیم رکھا ہے مجھے سب سے اچھی بات یہ لگی کی اسمین کہی بھی یا کچھ بھی بے فالتو جیسا بھائی مجھے دوگاؤں مکمل جائزہ ابھی کے لیے بس تم
 
LEGEND NEVER DIES................................
Moderator
17,457
29,376
173
Aakhir ye ho kya raha hai.... iska dil hai jumping ball, :D kabhi uchal ke halak mein chala jata hai to Kabhi niche dheh jata hai :D
Ye Bhootni ushe darane aayi hai ya uske dil ke sath khilwaad karne...
Rahul Badshah Khan Destiny
Ye to sochne wali baat hai,,,, nahi :akshay:
dil ab dil kaha raha ab to wo football ho gya hai accident hone ke baad se :akshaysmile2:
 
LEGEND NEVER DIES................................
Moderator
17,457
29,376
173
Baat urdu hindi pashto ki nahi ho rahi hai balki baat ho rahi hai....ki agar uska dil seene se nikal kar halak mein jaake atak gaya tha to..... seene ki us khali jagah mein kounsa sarir ka ang aake fit hua..:D. Liver, gurda ya stomach :?:
:blink:
 
.
Moderator
2,376
1,840
143
Update 04


Maghrib ka waqt kareeb tha aue Roshni madham hoti jaa rahi , Ahmad apne anadaze ke mutabiq shayan ke sath us jagah pohanch chuka tha

"yar mera khyal hai yahi jagha ho sakti hai, meri gadi ne jab unhein hit kia tha wo log us traf ja kar gire the" Ahmad ne hath se road se thoda andar ki traf ishara kia

Ahmad ki btayi hui jagha ke kareeb pohanch kar wo dono jagha ka muaa'ina karne lage lekin unhein wahan aisi koi cheez ya suragh nazar nahi aa raha tha

Unhein waha khoon ke dhabbe nazar aane ki umeed thi ji ski koshis me aas pass ki jaghon ko bahot kareeb se aur dhyan se tatool rahe the , ghane darakht aur jhariyoun ki mojoudgi me us jagha par un ka chalna kafi dushwar tha. Ye road ke kinare aisi jagha thi jahan kachii zameen aur jhariyan har taraf pheli hui the.

"yaar shayan idhr to kuch bhi nahi hai , chal yaar ghar chalte hain " Ahmad ne teez dharakte dil ke sath kaha aur shayan ki traf be charge se dekhne laga

"ruk to ja yar , sahih se dekh to lene de shayad koi Nishan , ya khon kuch to nazar aaye ga, is jagha se logon ka guzar mushkil hi hota ho, to phir wo dono accident ke bad yahan se kaise aur kahan gaye?" shayan ne pur'israr andaz se swal kia

"yaar to chor ye investigation please , mujhe waise hi dar lag raha hai , chal yar wapas chalte hain" Ahmad ne badastoor us ka hath tham kar kaha, wo dono is talaash me road se kafi andar ki traf aa chuke the, jahan darakhton ke saye ki wajah se Roshni mazeed kam ho gayi thi. Shayan ke lie ye sab ek adventure se kam nahi tha kyun ke wo bahut nidar qisam ka insan tha jabke Ahmad ke sath ye sab hota aa raha tha , aur wo intehai khoof ke zer'e' asar tha

"yaar dekh tere mutabiq gadi ne samne road par us jagha unhein hit kia tha aur wo dono takra kar …." Shayan Ahmad ko hath ke ishare se jagha bata kar sahi jagha ki Nishan dehi karne ki koshis kar raha tha.

Ahmad ek dam jhatke se chonka , aur palat kar peeche ki janib dekhne laga

Ahmad ki is harkat par shayan apni baat kehte kehte ek dum rum gya, herat se Ahmad kin azar ka taa'uqub karne laga….

"yaar tune awaz suni?" Ahmad ne larazti awaz aur kapkapate labon ke sath pucha aur shayan ke bilkul qareeb ho kar us se jur ke khara ho gya,

''yaar chal yaar yahan se mera dil doob raha hai , please shayan chal yar yahan se " ahmad ne use khenchne ki koshish ki

"abe hue kia achanak? Konsi awaz aayi hai " shayan ne use rokte hue achanbhe se pochaa

"mujhe aisa laga jaise road ki taraf se koi awaz aayi hai aur phir semane us taraf kuch aa kar gira ho "

Ahmad ne us jagha ishara karte hue kaha jahan wo dekh raha tha

Shayan us ka hath pakad kar us taraf barhne laga ahmad peeche peeche dara hua kapkapte peeron ke sath aa raha tha

Andhera barh chuka tha ,is janib darakht kam aur jangli jhariyan bahut zyada then,

Dono ne apne mobile ki torch on kar len aur dheere dheere jhariyoun se bachte bachate us jagha ke kareeb hote ja rahe the , us jagha ke kareeb pohnch kar jo manzar unhone dekha us manzar ne dono ke hosh udaa diye, dono ne hawaas bakhta ho kar ek dusre ki traf dekha , ahmad aur shayan ki chehra ek dam sufed par chuka tha , awaz halaq me hi dabi reh gayi aur aisa maloom hota tha jaise kisi ne pure badan se khoon ka eke k qatra nichor lia ho

Samne hi wo bachii aur aurat jo shayad maa aur beti thii , bahut buri haalat me jhariyoun ke beech padi hui thin un ke jisam se khoon aise beh raha tha ke mano abhi abhi accident hua ho , peer ,ghutno se mude hue the jaise ke tangon ki hadiyan toot chuki hoon

Dono ka chehra un dusri traf muda hua tha , ye dakh kar ahmad ki halat aur patli ho gayi

Shayan ne himmat kar ke unhein hilla kar dekhna chaha , jaise hi us ne hath un ki traf barhaya , achanak hi dono laashon ne chehra ghumaa karun ki taraf kar lia aur ankhein khol lein jo bilkul sufed then jaise un me zindgi ki koi nishani mojood hi na ho

Aur wo dono ahmad ki traf dekh kar kehne lagin"tum chahte to bacha sakte the". Ye awaz itni dehshat naak thi ke sannate ko cheerti hui kano me dakhil hui thi

Ye manzar dekh kar dono ka kaleeja halaq ko aa gya

Wo dono yak dam mud kar wapas road ki janib sar pat doude, ahmad ko mehsoos ho raha tha jaise us ka peer pakad kar peche ko khench raha ho, wo apni puri taaqat aur rafter se bhagne ki koshis ke bawajood bhi shayan se peeche hota ja raha tha , raste me jhariyoun me ulajhte peer, chubte kante aur kapdon ko chalni karti hui jahriyan unhein ek pal ke lie mehsoos nahi hui…

Bil akhir shayan ke chand lamhon baad ahmad bhi gadi tak pohnchne me kamyab ho gya ,shayan gadi start kiye hue tha

Dono ke peer kafi had tak zakhmi the

Sare raste dono ne bar bar back mirror me piche dekhte rahe , ghar se us jagha ka fasla kuch der pehle inhone 20 mint me teeh kia tha lekin shayan ki gadi ab ki bar 10 mint me ahmad keg har ke bahar mojood thi, raste bhar wo dono nae k lafz keh sake aur na koi baat ki

"yaar main tujh se phone par baat karta hun" ahmad ke gadi se utarte hi shayan ne ye keh kar gadi aage barha di

Ahmad kichen me dakhil hua jahan sasha pehle se kuch kaam me masroof thi, wo mushkil se chal pa raha tha

"sasha" ahmad ne ghabrai hui dheemi si awaz me sasha ko awaz lagai , jo chulhe par kuch paka rahi thi aur peth ahmad ki taraf thi , ahmad larkhrata hua us ki tara barh raha tha aur nazrein bar bar apne zakhmi peeron ki taraf ja rahi thi

"sasha , yaar idhr baat suno" wo kehta hua sasha ke qareeb pohncha hi tha ke use ek bar phir wahi lehja aur aawaz apni peth peche se sunai di

"tum chahte to bacha sakte the"

Wo ghabra kar ek dam se peche palta aur peeron par zakham ki wajah se apna balance na rakh saka aur sasha se takrata hua neeche gir kar beth gya

Sasha ne foran palat kar use ba'mushkil sambhala aur us ki aisi halat dekh kar saktee me aa gayi

"ahmad ye kia hua ahmad ?ye sab kia hai ? " us ke peeron se ghutno tak jagha jagha chilla hua tha aur zakhmon se khoon beh raha tha jise dekh kar sasha ne pareshani me pucha

"room me chalo" ahmad ne itna keh kar ankhein band kar lein

Sasha ne badi mushkil se use sahara de kar kamre tak pohnchaya aur bed par litaa dia

"aap yahan leten , main first aid box le kar aati hun" sasha ne ahmad ko bed par thek se lita kar jate hue kaha

"nahi , sasha nahi , ruko, meri baat suno" ahmad ne ghabra kar teez aawaz me kaha jis par sasha ke qadam herat se wahin ruk gaye

"are kia hua ? main kuch le kar aati hun aap ke zakham saaf karne hain, phir aap change kar len " sasha ne fikar mandi ka izhar karte hue kaha

"wo samne toliya hai na, use geela kar yahin washroom se aur usi se saaf kardo" ahmad ne hukam dete hue kamre me mojood toliye ki traf ishara kia

Sasha kuch na samajhte hue toliya le kar use geela karne chali gayi, ahmad kin azar musal'sal us par tiki hui thi jo bathroom me ghusi thi , aur chand lamhon me geela toliya le kar wapas aa gayi

Ahmad ghor se sasha ko dekh raha tha aur us har andaaz note kar raha tha us ke zehan me wahi manzar jo wo dekh kar aaya tha aur wahi aawaz jo abhi kichen me dusri baar suni thi, goonj rahi thi

Sasha se bhi use dar mehsoos hone laga tha , lekin ye baat us ne sasha ke samne zahir nahi hone di

Sasha pent ke painche upper karke toliye se khoon saaf kar rahi thi us ka chehra neeche ko jhuka huaa tha aur mathe par lehrate baal chehre ko kisi had tak dhanpe hue the

Ahmad ko ek anjana sa khoof tha ke kahin sasha phir se gehra zakham na mar de lekin aisa kuch nahihua , sasha bahut narmi aur aaram se achi tarha dono peeron se khoon saaf kar rahi thi

"ahmad ye hua kia hai? Aap shayan ke sath kahan gaye the? Sasha ne khamosi ki dewaar girayi aur ahmad se is sab ki wajah puchi

"sasha me tumhein sab kuch bataun ga lekin mujhe is se pehle kuch cheezein jaan'ni hain , jin ke intezar me main hun, please tum tab tak is bare me baat nahi karo gi"

Ahmad ne sasha ko yaqeen dilate hua kaha

"lekin…….. ahmad main aap me kuch din se ajeeb tabdeeli dekh rahi hun , please mujhe batayen aakhir baat kia hai, aap kin masloon me phanse hue hain,main apni har mumkin koshish karke aap ko khush rakhna chahti hun aur itne din se aap ke badle hue rawaye ko dekh rahi hun lekin kuch keh nahi rahi , lekin ab rooz rooz aapke kahein na kahein zakham aur nidhal nazar aate hain , ye sab kia hai , aap thek to hain na?."sasha ko jaise apne dil ki baat kehne ka moka mil gya tha , wo phat padi thi aur apni pareshani zahir kar dali .

"main thek hun sasha bas thora ek masla chal raha hai, jo main tum se zaroor share karon ga lekin abhi nahi , please……." Ahmad ke samjhane par sasha maan gayi aur dheemi si muskurahat us ke chehre par umad aayi..

"chalein aap change kar lein , ye kapde, main khana tyar kar loon, chulha band karke aayi thi"sasha ne uthte hue kaha

Pichle kuch dino se ahmad note kar raha tha ke sasha chup chup hai aur uske table se girne ki wajah se naak par chot lagne par bhi koi khaas herat zahir nahi ki, na us ki pichle kuch dono ki baton par herat ka izhar kia, aur phir bathroom me hone wala waqiya…..kia ye sasha hi hai……………

Ab use yaqeen ho gya tha ke ye us ki biwi sasha hi hai jo us ka khyal rakhne ki garz se aur use zehni uljhan se door rakhne ke lie ye sab batein ignore kar rahi thi

"magar bathroom me jis ne mari naak se khoon saaf kia wo……"

Ahmad ye soch kar dehel kar reh gya , us ke jisam me ek dar ki leher doud gayi, wo uth kar kapde change karne chala gya

"chalein aaj chat(roof/teracee) par chaye peete hain aur walk karte hain" sasha ne khane ki table par ahmad ko khamosh dekh kar baat shuru ki

"nahi yaar mera mood nahi hai aaaj, phir kisi din ….. " ahmad ne nazrein utha kar us ki traf dekhte hue kaha aur dobara apne khane me masroof ho gya

"chalein na kafi din ho gaye hain , humne chat par chaye nahi pee, aura ap ka dipression bhi door hoga" sasha ne ab israar kia, jispar ahmad mana nahi kar saka aur garden hila kar hami bhar li.

Ahmad khane se farigh ho kar chat par ja chuka tha aur sasha kichen me chaye bnane me masroof thi , ahmad ki aadat thi ke wo khane ke foran baad chala jata tha aur jab tak sasha na aa jaye wo walk kar aur mobile use karta tha , phir sasha ke aane par dono sath chaye peete aur walk karte hue batein karte ,,,,

Ahmad ko aaj na jaane kaise kaise khyalaat aa rahe the aur apne hi ghar ki chat par khof mehsoos ho raha tha, ghar ki chat bahut khuli thi jism eek traf kayi kisam ke gamle rakhe hue the aur Khushboo dar phool bhi,

Char soo andhere ka raaj tha jabke ikka dukka gharon ki lights on nazar aa rahi then, ahmad mobile istemal karne ki jagha aaj bechaini se sasha ka intezar kar raha tha aur us ki nazrein ek anjaane khoof ko samoye hue aas paas har jagha bhatak rahi then

Kuch der me sasha hath me tray lie hue serhiyoun se upper aati nazar aayi jis par ahmad ne sakoon ka sans lia aur kursi le kar beth gya

Wo dono chaye peene me masroof ho gaye aur sath sath batein bhi karne lage , "chalein walk karte hain" sasha ne kuch der me walk karne ka irada zahir kia , jis par dono apni jagha se khare ho kar walk karne lage, wo dono kursiyoun par ek dusre ke samne bethe hue the aur beech me table par pani ka jag aur ek glass para tha

"sasha ek baat btao mujhe " ahmad ne ek jagha par nigah jamate hue chaye ka ghont bhar kar kaha

"ji pochen " wo jo ahmad ke sath kadams se kadam mila kar chat par ek taraf se dursri taraf walk kar rahi thi swaliya nazrein uthate hue pocha

"us rooz jab meri naak se khoon beh raha tha aur tum mere lie dawa lene gayi thi to tumhein itni deer kyun lag gayi thi aate hue" ahmad ka kadam apne sawal ke sath ruk gaye the aur wo sasha ki traf munh karke mutwajja ho gya tha

"are haan , main jab neeche first aid boz lene gayi to wo apni jagha par tha hi nai,mujhe dhondhne me bahot time lag gya tha , phir wo mujhe kafi deer baad dining table par samne hi rakha hua nazar aaya" sasha ne tasalli se jawab dia jis par ahmad "hmmm" karke reh gya

Ahmad apni biwi ki traf se tasalli aur dusri taraf se khoof dono ke saye me tha jis se wo ajeeb si kashmakash ki shikar tha , kabhi to wo bahot dara hua aur kabhi bilkul pur sakoon ho jata tha.. use yaqeen tha ke uski biwi us ke sath mojood hai aur bathroom me jise usne gale lagaya tha wo uski biwi nahi thi

"kia hua ahmad? Kia soch rahe hain?" sasha ke swal par wo ek dam sochon se bahar aaya aur zehan jhatak kar sasha ki traf dekha , na jane kyun use chand ki madham si chamak apni biwi ke chehre par parte hue kuch khoof sa mehsoos ho raha tha.

"kuch nahi yaar ……. Bas…….." wo itna keh kar chup ho gya

Sasha bhi uski khamoshi par kuch na keh saki aur ahmad ke hamrah ek bar phir qadam uthne lage.

Ahmad, sasha ke sath chat ke ek kone par tha , jab wo palat kar dusri janib chalne laga use mehsoos hua , uski kursi ab us jagha nahi hai, jahan wo pichle 15 mint se walk karte hue dekh raha tha.

Pehle pehal use apna weham mehsoos hua kyuki us ne walk karte hue kursiyoun ki position par kuch khas ghor nahi kia tha lakin ab us ne ghor karna shuru kia to use yaqeen ho gya….

"uthte waqt main sasha ke samne betha hua tha aur meri kursi samne thi ab table ki dusri side par….." ahmad ne khud se swal kia , us ka zehan ulajh kar reh gya tha , wo ek baar phir chat ke beech me mojood un kursi table ke pass se guzar kar dusru taraf gya tha, ke ab ki bar use kursi sirakne ki awaz aayi, palat kar dekha to wo kursi pehle wali kagha par thi jahan us ke andaze ke mutabiq honi chahiye thi

"sasha chalo neeche.."wo sasha ka hath pakad kar teezi se serhiyoun ki taraf barha aur serhiyan utarne laga..

"kia hua ahmad?...." sasha us ke achanak badalte hue rawaye par heran 'o' pareshan reh gyi, ahmad bagher kisi jawab ke uska hath thame tezi se neeche utar raha tha

Abhi mushkil se char panch serhiyan hi utre the ke ek zor dar awaaz aayi jis ke baad kursiyoun ke girne aur kanch ke jag ke tootne ki awaz sunayi di..

Ahmad ne apni raftar teez kar di aur wo dono kareeban bhaag kar neeche floor par pohnche , ahmad use lekar seedha kamre me ghus gyaa…

"ahmad , ahmad hua kia hai , akhir aap kyun bhaage hain chat se" sasha ki herat tamam bulandiyoun ko choo rahi thi

Ahmad ne kamre me mojood intercom uthaya aur ghar ke chowkidar ko upper aane ka hukam dia……..

Ahmad ki sans ukhri hui thi aur wo sasha ki kisi baat ka jawaab die bagher be'chaini se kamre me chakkar lagane laga.

Kamre ka darwaza baja tha, jab uske kadam yak dam ruke …."kon hai" andar se hi puchaa

"sahib aap ne bulaya tha , salah din hun" bahar se awaz aayi

Ahmad ne thora sa darwaza khol kar tasalli ki , ke bahar uska chowkidar hi hai ……..

"baba upper se abhi kuch girne aur tutne ki aawaz aayi hai,zara chat par ja kar dekho kia girah hai" ahmad ne use hukam de kar darwaza wapas band kar dia

"ahmad kia hua? Kuch to btayen , kaisi awaz aayi hai aap ko? Please ab bahot ho gya , ab mujhe batayen aakhir chal kia raha hai ye sab" sasha ne pareshani me ghussa apnate hue pucha

"ruk jaaao" ahmad ne roub dar awaz me jawab dia aur ungli se chup rehne ka ishara kia

Mobile ki bell baji aur ahmad ne ruk kar charging par laga mobile nikal kar kaan se lga lia, dusri traf shayan line par tha,,,,,

"ahmad tujhe yaad hai na , kia kaha tha maine? Kia karna hai aaj tune….." shayan ki awaz aayi

"haan yaar yaad to hai lekin main sasha ko in sab cheezon ki kia wajah btaun ga , use maine abhi tak kuch nhi btaya" ahmad ne tehlte hue kamre se bahar nikal kar dheemi awaaz me jawab dia……

Yaar tu bol de kuch bhi, use sambhal le kisi tarah bhi , lekin aaj karke zarur dekh, maine jab se us ladki aur bachi ko dekha hai , yaqeen maan meri haalat abtar ho gyi hai , us ki wo awaaz mere kanoon me reh reh kar goonj rahi hai" shayan ne apne khoof ka izhar kia jispar ahmad ke bhi paseene chotne lage

"bol raha tha , tujhe main, mat chal us taraf , tun ahi mana , aur soch main kaise ye sab jheel raha hun … meri kia halat hogi, abhi abhi phir ek masla hua hai" ahmad ne mooka pate hi apne dil ki bhadas nikali aur sara ilzaam shayan ki taraf thop dia.

"kia matlab? Ab kia hua hai?." Shayan ne chonkte hue sawal kia

"kuch nahi baad me btaun ga " ahmad bechaini se kamre ke bahar tehlte hue baba ke wapas aane ka intezar kar raha tha , us ki nazrein bar bar upper jane wali serhiyoun ki taraf thin

"achaa yaar baat sun , ye bata hum ne jo ladki aur bachii jhariyoun me dekhi then ye wahi thin a? " shayan ne darte darte sawal kia

"bhai 100 percent wahi dono then, aur main yaqeen se keh sakta hun , humne jinhein dekha ha wo ………" ahmad itna keh kar chup ho gya

"haan yaar tu sahi keh raha hai , usne puri gardan ghuma kar kaha tha " , "tum chahte to bacha sakte they" aur ye kisi insaan ke lie mumkin nahi, na wo dehshatnak awaz kisi insaan ki thi , dosri baat wo bilkul aise lag rahi thi jaise abhi abhi accident hua hoo…… yar kaise ho sakta hai yee……. Main……….." shayan ne apna shak zahir kia aur dono taraf ek lamhe ke lie khamoshi chaa gayi.

"chal yaar main phone rakh raha hun, tu aaj zarur camra ke mojoudgi me sona aur jaise maine btaya hai wo sab zarur karna"

"chal thek hai yaar, duaa kar, kuch ulta seedha na hoo" ahmad ne iltaja ki aur phone band kar dia

Us ki nazrein serhiyoun ki janib lagi hui then jahan se achanak ek cheekh sunayi di , us aawaz ko sun kar ahmad ko aisa laga jaise us ka dil pasliyan tod kar bahar aa jaye ga……




Continued……………..


==============================



Give your Reviews here …………………………
 

Top