Horror Char Ratein (Horror) (Completed)

expectations
22,955
14,927
143
Update 02
Ye manzar dekh kar mera dil uchal kar halaq tak aa gya aur main takreban chekh utha tha lekin meri checkh mere halaq me ghut kar reh gayi, jald ehsaas ho gya ke main kisi badi musibat me griftar ho gya hun , ye dusri bar raat ke waqt me aise halat ka samna kar raha tha.

Mera pura wajood thar'thrahat ki zad me aa gya, main bolna chah kar bhi kuch nhi bol pa raha tha.



Aankhein achi tarha mal kar dubara kholi aur ghor se dekhne ki koshis ki , ke shayd ye mera weham ho , lekin wo meri aankhon ka dhokha nahi tha.

Wo hath kisi choti bachii ka maloom ho raha tha jo kalaiyoun se kuch upper tak ka hissa khidki ke bahar latak raha tha. Goya khidhki ke aain upper ka baqi hissa moujod ho aur kuch hissa neeche latkaya hua ho. Chand lamhon me hi main puri tarha paseene main bheeg chuka tha aur wo hath musalsal usi andaz me hil rha tha , hath ki pusht khidki ki traf aise zahir thi ke chalne wali ka rukh mere dayen traf ho.

" sasha , utho please sasha…..saa saa sasha ….utho yar…"

Main dabi hui ghabrai hui awaz me us hath ki traf dekhte hue apni biwi ko jaga raha tha jo is waqt gehri neend me thi.

"Sasha aa ….. please yar utho jaldi se " use kandhe se hilate hue main badi mushkil se bol pa raha tha ,

Sasha par neend itni hawi thi ke mere jagane ka koi asar nahi ho raha tha

" Sasha uthooooo jaldi "

Is bar unchi awaz nikal kar maine sasha ko jhinjhora jo aankhein malti hui uth bethi aur is time jagane par be yaqeeni ki halat me mujhe dekhne lagi , hamna ko utha kar maine apni goad me lia aur jaldi se seene se lga lia.

"Kia hua Ahmd , kyun jgaya hai?"

Sasha uth kar puri tarah beth chuki thi aur bilkul normal andaz me mujh sepuch rahi thi.

Ankhon ke ishare se use khidki ki traf dekhneka ishara kia jahan main ek chotii bachii ke hath ka kuch hissa dayen se bayen harkat karte hue dekh raha tha .



"Kia hua…? Kia keh rahe hain…"

Wo be zariat se ek nazar meri nazar ke ta;aqub me khidki par le gayi aur wapas puchne lagi.



" wo dekho sasha samne khidki ke upper ki traf"

Darte darte us jholte hath ki traf ishara kia aur hamna ko zor se gale laga lia tha ,

"Haan dekh to rahi hun? Kia hua khidki ko…"

Usne mutmain ho kar pucha ke main samjhe bagher nahi reh sakta tha ,

"Kia us hath ko sirf main hi dekh raha hun , " khud se keh kar main sasha ki taraf herangi se dekhne laga

Mera dil itna teez dhadhak raha tha ke main bahar tak dhahdkan mehsoos kar sakta tha

"sasha wo dekho khidki se bahar" mere lehje me ab ghussa aur be'chargi umad aayi thi.

"kia hai khidki se bahar"

Sasha bed se utar kar seedhi khidki ke janib barhi

Ye ek lamhe ka waqfa tha jab maine khidki se nazar hata kar sasha ki traf dekha tha aur us ke bed se utarne ke bad dobara khidki ki traf dekha, ab wahan kuch nahi tha.

Mujhe ek bar phir herat ka jhaka laga

"kia ho gya hai Ahmad? . kia hai idhr , aap kis cheez ki baat kar rahe hain "

Sasha khidki ke samne meri traf munh karke khari mujh se swal kar rahi thi aur meri nazar us ke sir ke upper us jagha tiki hui thi jahan chand lamhon pehle ek chotii bachii ka hath latka hua , jhulta hua nazar aa raha tha .

Aain usi lamhe mere zehan me us ladki aur bachii ki ek jhalak aayi , jise maine apni gadi se udaa dua tha wo ek jhalak jo maine accident se pehle dekhi thi.

Accident ka wo manzar meri aankhon me ek bar phir se ghoom raha tha. Sasha ab bhi wahi khari mujh se swal kar rahi thi lekin mera zehan kahin aur hi chala gya tha.

Wo wapas apni jagha par aa gyi, hamna ko mujh se wapas lia aur bed par lita kar khud bhi dusri traf rukh kar ke leet gayi,,,

"so jayen Ahmad , aap ne koi khwab dekha hai"

Main kitni hi der tak khidki ko ek tak dekhta raha, use apna weham aur khwab samajh kar khud ko tasalli deta raha. Dhadkan ab kisi kadar normal ho chuki thi aur sansein bahaal thin.

Har lamhe mujhe aise mehsoos hota jaise wo hath dubara aa kar latak jaye ga.



Subah ke 5 baj gaye the aur halki Roshni photna shuru ho gayi thi , mera zehan un tamam waqiat ko le kar khyalat ka ek majmoaa ban chuka tha. Sone ki lakh koshish ke bawajod main khud ko un khyalat se churane me na kam tha.



Pyaas ke ehsaas ne tawajja hatayi aur maine pass rakhi pani ki bottle uthai lekin wo khali thi , main uth kar kamre se nikalne hi laga tha ke ek bar phir mere zehan me raat ka wo manzar ghoom gya.

Us khyal ko jhatak kar kichen ki taraf barha , har lamhe mujhe anjana sa dar aur khoof ka ehsaas ghere hue tha . apne room se nikal kar har guzarne wali jagha ki light on karta ja rha tha aur kichen me pohnch kar sab se pehle light on ki.

Glass dhondh kar fridge ki traf barha aur use kholne ki garz se jaise hi khecha wo lock tha.

Har mamooli cheez be mujhe ab ek khatra mehsoos ho rahi thi, fridge ka darwaza aise gher mamooli tor par band hona ek bar phir mere lie ghabrahat aur dar ka sabab ban gya tha.,



Aisa kabhi nahi hua tha ke fridge ka darwaza lock hua ho , is par koi lock mojood hi nahi tha , albata kabhi kabhar fridge ek bar kholne aur foran band karne me aisi surat paida ho jati hai ke pressure se darwaza jam ho jata hai , albata kuch der thehar kar khul jata hai , jo ek aam si baat hai lekin is waqt main bahut zor laga kar bhi fridge kholne se qasir tha ,



Herangi ki baat ye thi ke fridge ko akhri dafa khole hue bhi kayi ghanta guzar chuke the aur main jitni taqat aazmai kar raha tha , fridge ko asani se khul jana chahiye tha.

Ab ki baar main glass ek traf rakh kar bahut zoor se fridge door kholne ki koshish kar raha tha , ek paun pichle hisse par tika kar peer ka zor bhi laga liya lekin darwaza na khula m mujhe dar tha ke mazeed zor lagaya to wo apni jagha se hill jaye gay a gir jaye ga.

Pareshani barh chuki thi aur me is nayi aftad(musibat) ke lie tyar nahi tha , jisam ek bar phir paseene me dobna shuru ho gya tha aur mere aisab jwab de chuke the.

Majboran thande pani ka irada tark kar ke maine jaldi se glass uthaya aur sink se pani bhar kar pe lia. Glass wapas rakh kar main kichen se bahar nikalne ko tha k eek bar phir fridge samne dekh kar us ke darwaze ke handle ko pakda, '

Darwaza is bar mamoli hath lagne se itni zor se mukammal tor par khul gya jaise kisi ne andar se bahut zoor dar dhakka dia ho, mujhe darwaza khul ke itni zor se laga ke main peeche dewar ke paas ja kar gira,

Fridge me moujood har cheez yahan tak ke darwaze par rakhi botlein bhi bilkul sahi apni jagha par then , aur itni zor se darwaza khulne se andar ki cheezein bahar nikal kar girna yaqeeni tha,

Aao dekha na taao main kichen se bahar ki traf bhaga , na light band kar saka aur na hi fridge ka darwaza aur seedha apne kamre ki traf doud lgayi.

Kamre ke darwaze par pohanch kar maine jaise hi lock ki taraf hath barhaya, main do teen kadam peeche kheench gya ,

Mujhe kisi ne nahi pakda than a hi kisi ne mujhe peeche dhakela tha

Ab ki baar main apne pure hosh o hawaas me ye khichao mehsoos kar raha tha, aur mujhe pora yaqeen ho gya tha ke mere sath koi anjaan taqat moujood hai jo sirf meri had tak ki hi mehdood hai, jo sirf mujhe hi dikh ya mehsoos ho rahi hai,



Dobara teezi se kadam barha kar lock ko thama aur jaldi se ghuma kar kamre me dakhil ho gya. Ye sab kuch itna aanan fanan hua ke main kichen se paglon ki tarha bhaga tha aur koi light bager band kiye seedha kamre me ghus gya,



Bed par meri biwi aur beti pur sakoon andaaz me soye hue the aur main ek qurb aur aazab se guzar raha tha .



Main bed par leet kar ek baar phir un khyalate ki nazar ho gya tha. Accident se lekar kadam peeche khicnh jane tak aur pichle dinoo ke gher mamooli waqiat sab mujhe usi accident ki wajah mehsoos ho rahe the lekin ab kia ho sakta hai, kaise main in khyalat par kaboo paaun, kaise main khud ko aru apne ghar ko in cheezon se bachaun, bahut deer tak yahi sab sochte hue najane kis waqt meri aankh lag gayi thi.



Qareeban subah 11:00 baje ke waqt mere mobile par musalsal bajti bell se meri aankh khuli.

Dusri traf mera office collegue shayan tha jo ab tak office na pohnchne ki wajah poch rha tha

"yar aaj main nahi aa sakun ga , tabiyat thek nahi hai "ye keh kar maine jaan churani chahi.

"kia hua tujhe bhai aaj kal tu kuch ajeeb hi behave kar raha hai pehle to maine hi ye baat mehsoos ki thi lekin abhi tera zikar hua to eek do aur logon ne bhi aisa hi kaha hai"

Wo meri pareshani ki wajah janna'na chahta tha,

Shayan mera purana dost aur office me bhi sath kam karta tha aur main apni har baat hi us se share karta tha , lekin na jane kyun ab tak ye baat main us se share nahi kar saka tha

"yaar tu aaj office ke baad mere pass chakkar laga , kuch baat karni hai zaruri"

Meri awaz neend me doobi hui thi , shayan ne bhi zyada swal nahi kie aur aane ka keh kar phone band kar dia.

***********************************

Dopeher ka time tha main room me betha laptop par office ki emails check kar raha tha , achanak ek zoor dar awaz se main chonk kar reh gya , awaz bahar ki traf se aayi thi aur kisi lohe ki cheez se takrane ki maloom hoti thi , main harbara kar uth betha aur andaze ke mutabiq bayen traf khidki ki janib barha , awaz chonke bayen traf se aayi thi aur mojoda kamre se bahar ka darwaza bayen traf wali khidki se nazar aata tha , kamre me mojood khidki se bahar ka jaiza lene ki koshis karne laga lekin bahar khidki se bahar peed ki wajah se mukammal tor par nahi dekh pa rha tha.

Qareebi table ko pass khech kar is pr khade hokar khidki k eek kinare se dekhne ki koshish ki, meri nazar bahar ke gate par padi, to jaise ek dhachka sa laga ho ,



Meri gadi jo ghar ke andruni hisse me park hoti thi , gate ke sath bahar se takrayi hui thi aur darwaza kisi had tak andar ki traf juk gya tha , wo lohe ka ek bada aur mazboot gate tha jo bina kisi badi cheez ke takrane se aise nahi toot sakta tha , darwaza andar jhukaa hua aur gadi bahar us se lagi hui dekh kar mujhe andaza hua ke gadi bahar ki traf se gate se takrai hai hai. Main table par uchak kar dekhte hue surte haal ko samajhne ki koshish kar raha tha aur neeche ja kar dekhne ka irada kia hi tha ke apne peeche kisi ki aahat mehsoos hui, be sakhta palat kar dekha to koi bhi mojood na tha.



Jaldi se table se utarne ki garz se neeche nigah ki to mere lie dusra jhatka tha, main hawa me khara tha aur table apni wahi purani jagha par mojood thi , is se pehle ke main sambhal pata aur us table se utarne ki koshis karta jis par main tha hi nahi, chalang lagani chahi lekin

Kadam zameen par lagte hi larkhara gaye aur main sambhal na saka , munh ke bal zameen par gira ji ski wajah se sir zoor se zameen se takraya tha aur naak se khoon nikalne laga.

Mere lie ab in halat ka muqabla karna na mumkin ho gya tha , shayan ne sham ko aana tha aue main ghar se abhi hi bhaag jana chahta tha …….



"sasha…..sashaa."

"sasha idhr aao jaldi se" zoor se awaz laga kar sasha ko bulaya

Sasha meri awaz sun kar jaldi se kamre me aayi " aree ye kia hua hai? Aap ki naak se khoon kyun beh rha hai" sasha ne mujhe zameen par is halat me dekhte hi pucha



"gir gya tha yaar" maine bebasi ke andaaz me kahaa

"bahar dekho zara ghar ke gate ko" khidki ki traf ishara karte hue sasha se kaha jo apna dupatta lie meri naak se khoon saaf kar rahi thi.



"Kia hua bahar ke gate ko?" sasha khidki se bahar khank kar boli

"kia matlab tumhara? Gate ko dekho bahar ke aur meri gadi ko "

Maine gadi aur gate par zoor dete hue kaha

Wo ek baar phir jhank kar meri traf swaliya nazron se dekhne lagi.


Pata nahi meri aankhon par khof ki patti bandhi thi jo mujhe ye sab hote hue nazar aa raha tha ya phir kuch ho hi nahi raha tha aur ye sirf mera khyalat hon jo mujhe aisa dekhne par majbooor kar rahe hon ya phir sasha ki aankhon par patti bandhi thi jo use na to kuch dikhayi de raha tha aur na hi usne wo shor ki awazein suni thi aur na gadi ka gate se takrane ki aawaz…………….

Continued.......

please Give your review here. :thankyou:
Badhiya update mai sonch raha hun ki car salamat hogi sab theek hoga lekin usko Jo dikh raha wo akhir hai kya
 
.
Moderator
2,376
1,840
143
Update 03
Main ghusse me apni jagha se utha aur sasha ke pass aa kar use khidki se bahar ki traf ishara kia, wo dekho bahar ka darwaza!!

Sasha be yaqeeni ki kaifiat me us traf dekhne lagi, meri nazar ne uski nazar ka ta'aqub(peecha) kia aur darwaze ki traf dekh kar mujhe herat ka ek aur jhatka laga

" are kia dikha rahe hain Ahmad?"

Sasha ne pucha

"Kuch nahi yar mujhe laga darwaza khula reh gya hai " bahana bana kar khud ko mutmain zahir karne ki koshis karne laga

"ufff Ahmad aap ki naak se khoon beh raha hai ab bhi, ise wash karein main dawai laga deti hun " sasha ne qareeb se dekh kar pareshan kun lehje me kaha aur khud dawa lene ke lie doudi.

Main jaldi se room me mojood washroom ki traf gya aur darwaza aadh khula chor kar wash besin ke upper aayene me apne apna chehrea dekhne laga

Mere uqab me washroom ka darwaza mojood tha jo aayene se meri nazar ke hisar me tha.

Apni naak me pani daal kar maine nigah aayene par uthai aain usi lamhe darwaza ek jhatke se band hua tha . qareeb tha ke main is achanak awaz se behosh ho kar gir jata

Mere oosan khata ho chuke the , main aoni jagha se na hila , dil dheh sa gya tha , maine ankhein band karke wash basin par apna sir jhuka lia, kisi hare hue insaan ki tarha

Main khud me itni sakkat(taqat) mehsoos nahi kar raha tha ke ab is jang ka samna kar sakun

Ek ghari sans chor kar maine sir uthaya aur sheshe me apne peeche kisi ko dekh kar dehel gaya, pehli jhalak me mujhe yun mehsoos hua jaise meri biwi nahi koi aur aurat hai. Mera guman tha ke shayad ye wo ladki hai jise maine kuchal dia hai.

Main foran peche palta , ubharti sans ek dam sakin(ruki) hui thi , sasha ko samne dekh kar kuch chain mila

"tum andar kab aayi aur kaise??" mere hath abhi bhi laraz rahe the

Muh par herat ke pahad toot rahe the au sasha nihayat pur sakoon andaaz me hath me dawai aur ruuiii lie lagane ki tyari kar rahi thi

Main herat se use dekhta raha aur wo meri naak sekhoon saaf karke dawai lagane lagi,

Wo dheere dheere mujhe mohabbat paash nazron se dekhte hue mere naak ko saaf kar rahi thi

Mujhe apne wajood ki sari takleef , khof aur sari thakawat dur hoti hui mehsoos ho rahi thi.

Meri biwi ka shumar dunya ki khoobsurat aurton me hota tha , khosurat naak , Chandan roop , bhare bhare lab , muri hui palkon ke neeche dhaki hui lambi aankhein

Thori deer ke lie jaise main apne dar ko bhool kar is dilkash chehre me apna sakoon talash karne laga tha.

Us ki kamar ke gird narmi se bazoo haa'il kar ke maine use apne qareeb kia tha , us ke wajood ki narmahat aaj bhi mere andar waisa hi sakoon utar rahi thi jaise hamesha se tha .

Maine use apne seene me sameeta tha, aur bazuoun ki grift mazboot kar li thi, main us se bahot mohabbat karta tha.

Dheere se us ke hath tham kar chehre se hata kar syed par kia , hamare beech se hawa ka guzar rok dia tha , jazab ke aalam me use seene se lagaye aankhein band kar li thien dheere se us ke garadan ke dayen taraf lab rakhe the aur meri naak us ki gardan ko choo rahi thi m main sab kuch bholne ki koshish me laga tha ,

Mere dil me har lamha kuch bura ho jane ke khayalat janam le rahe the , kitne hi lamhe main ek sehme hue bachee ki tarah us ke sath chipka raha tha..

Sasha mujh se alehda hui aur muskura di ,dil ko kuch dharas bandhi thi.

Wo muskura kar ek bar phir meri naak se riste khoon ke qatree saaf karne lagi

Maine sir upper ki janib kar ke aankhein mond lein , ke achanak us ke hath ka nakhun ya koi bahot nokili cheez meri naak me lag gayi, main chilla utha aur dard se kar'rahne wo khoon dekh kar darwaze ki traf lapki aur kuch lene ki gharz se bahar ki janib doud lga di…main takleef se karrahne laga , wo nokili cheez meri naak ki haddi par chubhi thi aur khoon tezi se riste hue meri shirt par tapak raha tha , main dobara wash besin ki taraf jhuk gya aur naak par pani marne laga , khoon rukne ka naam hi nahi le raha tha, main foran palta aur toliya utha kar naak par rakh ke bahar ki taraf doura , washroom se bahar nikla hi tha ke sasha kamre ka darwaza kho kar andar dakhil hui

Khoon tezi se behta ja raha tha aur gulabi toliya laal ho raha tha, sasha mujhe dekh kar pareshan ho gayi , us ke hath me first aid box tha

" ye kia lag gya, kya kia tha tumne ?" maine use dekhte hi be saktha swal kia

Meri nazar us ke hath par padi aur us ke nakhun hamesha ki tarha chotte the , main be yaqeeni ke andaz me kabhi us ki traf jwab talab nazron se dekhta to kabhi us ke hath ki traf

"Kia matlab? Maine kia kar dia? Aur ye itna sara khoon kaise behne laga? Wo tezi se behta aur laal toliya dekh kar pareshan ho gayi thi, aur meri naak ka jaiza lene ki garz se use chonaa chahti thi

Maine jhatke se us ka hath hataya , sasha ki baat sun kar mujhe chakkar aane lage aur mere hossh jate rahe

*****************************************



Ahmad ne apne sath hone wali har baat ko shuru se lekar ab tak shayan ko bta di thi, shayan ye sab batein sun kar gehri soch me doob gya , wo dono is waqt Ahmad ke room me mojoud they.



Ahmad ki behoshi ke kuch der baad hi shayan wahan pohncha tha aur shayan ne sasha ki hi madad se use utha kar room me bed par lita dia tha.

"yar tujhe pata hai jab main tujh se milne tere ghar aaya to sasha ne kia kaha mujh se " shayan ne nazrein utha kar kaha

"kia kaha " Ahmad ne jawab talab nazron se puchaa

"sasha ne btaya ke ye kuch din se ajjeeb batein kar rahe hain aur in ka rawayya bhi kuch na samajh aane wala hai , mujhe dare dare se lagte hain aur hum dono se bhi zyada batein nahi kar rahe m ek do bar mujhe kamar par choot ke Nishan dikhaye lekin kuch bhi nahi tha , phir abhi aap ke aane se pehle bhi bahar gate ki taraf kuch dikha rahe the lekin wahan kuch nahi tha , aur phir in ka aise table se gir jana aur khoon ka itna zyada barh jana kuch samajh nahi aa raha"

Shayan ne wo tamam batein Ahmad ko bta dein jo sasha ne us se kahein thien

"lekin ek mint " shayan ne kuch soch kar ek dam ruka tha aur ungli apni thodi par rakhte hue bola

"kia hua" Ahmad ne pucha

"tumhare mutabiq pehli raat ko jab tumhein kisi ne kamre se bahar khenchne ki koshish ki to tumhare chekhne chillane par sasha aur hamna nahi uthi? Right" shayan ne wazahat talab ki

"haan exactly main chekhta raha aur wo dono nahi uthi , aur subah us ne btaya ke meri koi aawaz us ne suni hi nahi" Ahmad ne dimagh par zor dete hue btaya

"aur phir ek bar aur jab raat me tum kichen me gaye tab bhi tumhare sath jo kuch hua , fridge ka achanak Khulna aur tumhein lagna aur in sab baton ka shoor wagheraa , sasha ne kuch nahi suna ?" shayan ne guthi suljhane ki koshish karte hue pucha

"haan yar us roz bhi mere sath jo hua inhein kuch pata nhi aur na hi maine btaya, main use pareshan nahi karna chahta tha" … Ahmad ne tafseel se btaya

"lekin" Ahmad kuch soch kar mathe par gehre bal dalte hue bola

"kia hua" shayan ne pucha

"yar us roz maine sari lights on ki then aur wapas jate hue band nahi ki to kia jab sasha ne subah dekha hoga to note nahi kia hoga , ke kafi lights on hain jo wo khud raat ko sone se pehle band karti hai"

Ahmad ne shayan ke samne khud se swal kia

"agar to subah sasha ke uthne tak sari lights on rahi hain to wo zarur pochti tum se , kia khyal hai " shyan ne kaha

"mera khayal hai ….. tu ek kam kar " shayan ne ab ki bar kuch soch kar mashwra kun andaz me alfaz jorte hue kaha

"tere sath do bar raat me ye ajeeb waqiya pesh aaya hai, aur din me to kuch aisa khaas nahi hota na" shayan ne swal kar ke jawab talab nazron se Ahmad ki taraf dekha

"han" Ahmad ne bujhe hue lehje me jawab dia , jaise in waqiat ko soch kar us ki rooh chalni ho gayi ho,

" to phir tere ghar me common room me ya jis bhi jaghe cctv camera laga hua hai tu raat ko usi jagha per sona shuru kar de , aur khuda na kare aisa kuch waqiaya pesh aata hai to hum check kar sakte hain ke wo kia cheez hai jo tujhe tang kar rahi hai , itna to mujhe andaza ho gya hai ke wo jis ladki ko tune mara tha in sab cheezon ka us se zaroor koi taaluq hai"

Shayan ne qareeb ho kar Ahmad ko cctv ke alawa kuch cheezon ka mashwra dia

"waise tune bahot hi ghalat kia yaar, tune logon ke dar se aur police case se bachne ke lie us aurat aur bachii ke bare me dobara kuch jaan'ne ki koshish bhi nahi ki …"shayan ne afsoos ka izhar karte hue kaha



"chal ek kaam karte hain, dono wahan chalte hain aur wahan ka jaiza lete hain aur agar koi us ilaqe me nazar aaya to un se pata karne ki koshis karte hain" shayan ne maini'khez nigahein Ahmad ki traf uthate hue kaha

"nahi nahi , waha nahi jana , ek to kisi se puchen ge to ulta hum par shak kare ga, dusta us jagha se mujhe waise hi dar lagne laga hai" Ahmad ne saaf inkar karte hue kaha

"ooh yaar kuch nahi hota, to chal to sahi ,mere sath , mujhe asal jagha maloom hoti to main akela hi ja kar dekh aata , lekin tera sath aana zaruri hai , abhi waise bhi shaam ka waqt hai, hum ja kar dekhte hain"

Shayan ne zoor dete hue kaha , jis per Ahmad kisi had tak razi ho gya tha.

"chal to phir jaldi kar ' maghrib(shaam) se pehle wahan dekh kar aate hain " Ahmad ne fori tor per apna dar zahir karte hue kaha

Kuch der me dono gadi me mojood the aur gadi us sadak ki traf doud rahi thi

Ahmad ke zehan me ek baar phir se wahi manzar ghumne laga, uske chehre per khoof aata ja raha tha , aur paseena uske mathe se sarakne laga tha

Aain usi jagha per ahmad ne apne andaze aur aas pass ke darakht dekh kar gadi rukwai aur wo dono us jagha ki traf barhne lage jahan Ahmad ke andaze ke mutabiq wo aurat aur bachii us ki gadi ki takkar se ja kar gire the. Ahmad ke chehre par ab bhi khoof ke badal nazar aa rahe the aur dil ki dhadhkan be kaboo ho chuki thi ……………….



Continued………….

Give your reviews here.......
 

Top