Horror Char Ratein (Horror) (Completed)

Will Change With Time
Moderator
9,441
17,276
143
Update 01

Raat ke takreeban 3 baje ka waqt hoga jab meri aankh is ehsaas se khuli ke koi meri ek taang pakad kar zor se khench raha hai, main us ki grift apne takhno ke kareeb mehsoos kar raha tha.

Is se pehle keh achanak neend se uth kar main is sort e hal ko mukammal samajh pata us ne mujhe itna zor se ghaseetna shuru kia ke main bed se phisalata hua seedha zameen par gira aur phir ragadta hua aage khenchta ja raha tha. Main zoor zoor se chilla raha tha aur khud ko rokne ke lie har mumkn cheez ko pakadne ki koshish kar raha tha lekin be sudh raha. Ye sab itna achanak hua ke main khud ko sanbhaal hi nahi pa rha tha aur bed ke kinare ko pakadne ki koshish me apna hath bhi zakhmi kar betha .

Mujhe peer se pakad kar musalsal khicha ja raha tha aur me zero ke bulb ki is madham Roshni aur neend ki goliyoun ke asar me samajhne se qasir tha ke mujhe khenchne wala ye wajood dar asal kia hai aur kon hai, jaise hi main darwaze ke qareeb pohncha wo khud khul gya tha aur bahar andhera dekh kar mujhe apni mout samne nazar aa rahi thi , main paglon ki tarha hath peer chlane ki koshish kar raha tha aur marble ke floor par ragadte hue ek peer ke bal khincha ja raha tha is koshish me ke koi cheez hath aa jaye aur main khud ko rok sakun, bed se darwaze ka fasla koi 10 foot ke kareeb hoga aur is 10 foot ke safar me maine har mumkin cheez , jis ko choo sakta tha pakadne ki koshish ki aur khud ko rokne ke jatan karta raha , wo kia cheez thi aur kaise wajood than ahi dekh saka tha, albata us ki grift itni mazboot thi ke peer churwana mushkil hi nhi mere lie takreeban na mumkin tha.

"sashaa..ha..ha.., sashaa..ha..ha.., " main musalsal chekh raha tha lekin wo in sab baton se be khabar mazr se soo rahi thi . meri aawaz itni teez thi aur khofnak hoti ja rhi thi ke shayad agar aas pados keg har itne bade aur log padosiyoun se be khabar rehne wale na hote to shayad kai log sun kar aa jate.

Darwaze ke kareeb pohnch kar apni pori jido jehad se maine khud ko seene aue dono hathon ke sahare rokne me kamyab ho gya tha aur ab meri position aisi thi ke mera aadha jisam kamre ke dareaze se bahar , ej oeer us anjaan wajood ki grift me, dosra hath maine dar ke fold kia hua tha ke ye bhi us ke hath na aa jaye aur khud ko darwaze ki chokhat se kisi chote bache ki manind chimat kar zor se pakda hua tha, tab hi mujhe apne peer par us ki grift dheeli hotu mehsus hui..

Apne peer ko jhatke se khench kar maine jab mehsus kia ke wo aazad ho chuka hai to main foran apne pure wajod ko ghaset'te hue kamre ke andar ghus gaya aur darwaza band kia. Mere itni zor se chillane par bhi sasha aur hamna be sudh pade so rahe the. Mera dil bahut had darje rafter se dhadhak raha tha aur aisa maloom hota tha ke mera kaleja phat jaye ga. Main is khof ke asar me darwaza band karte hi zameen par gir pada.

Kamre me khidki se Roshni chalak kar aa rhi thi aur sath bahar lawn me parindon ki cheh'chi'ha'hat, meri aankh khuli to khud ko bed par apni jagha par ba dastoor lete hue paya, apni aam routine ke mutabik main bathroom jane ki garz se bed se uthna chah raha tha jab mujhe apni kamar par jalan aur jisam me kayi jagha takleef ka ehsaas hua.

Main ek dam thithak ke ruk gya aur raat wala manzar mere samne tha, lekin main apne bed par wapas kaise aur kab aaya?

Kamre me mojood cheezon aur bed sheet ka jaiza li to wo sab bilkul sahi jagha par thin, jisne mujhe mazed hairani me mubtla kar dia.

Doud kar washroom gya aur apni shirt utar kar dekhat to kamar par jagha jagha mamoli ragad magar wazeh Nishan nazar aa rahe the , maine trouser ka paincha upper kar ke peer ki traf dekha jis par laal Nishan moujood the , sedhe hath par badastoor takleef ka ehsaas ho rha tha.

In sab nishanat ke sath meri tawaja dusri traf kamre ki wahi mamool ke mutabiq halat par gayi jo badastoor waisi hi thi.

To kia ye ek khwab tha?

Agar khwab tha to to mere jisam par Nishan kaise hain?

Mera dimagh mukammal tor par band ho chuka tha aur main ye sab samajhne se qasir tha, na jane kitni der tha main khud ko sheshe main dekhta raha aur in sab cheezon ke bare me sochta raha.

"Ahmad ….." Sasha ki awaz par main chonka aur apne khyalon se bahar aaya .

"Han sasha kia hua.?" Maine andar se hi pucha

"kia ho gya aapko itni der washroom me? Pichle 20 mint se wait kar rahi hun aur is se pehle hi aap gaye hue hain" sasha ki awaz ayi jis par main chonk gya aur fatafat apni shirt pehn kar bahar nikla

Sasha ko ab tak maine in tmam baton se la ilm rakha hua tha jo mere sath pichle kuch dino se pesh aa rhi then.

Albata ghar me kuch gher mamoli chezein sab hi mehsoos kar rahe the jaise kichen se barton ka gaib ho jana aur bad me wapas apni purani jagah par milna, aur mez per rakhi hui cheezon ka neeche gir jana ya jagah tabdeel kar lena.

Ye sb cheezain kisi ki nazron ke samne nahi hui thi lekin jo aaj mere sath hua wo na kabile yaqeen aur na qabile bayan tha .

Ye khubsurat aur khusho khurm gharana hum teen logon par mushtamil tha , main(Ahmad) meri pyari biwi Sasha aur meri ** saala beti hamna .

Zindgi ki har mumkin aasaish mere pass moujood thi aur ye zindgi ba-dastoor aise hi khushiyon se bhara tokra lie apni choti si family ke sath chal raha tha .

Mera ghar sehar se kuch door ek pur sakoon rihaishi elaaqe me rehta tha jahan zyada tar hakumti afsran aur govt. se ta'auluq rakhne wale afrad rehte the.

Raat 2:30 baje ka waqt tha jab main ek dost ke ghar shadi ke function se wapas aa raha tha k eek sunsaan si sadak par gadi ke samne achanak ek aurat bachi ka hath pakad kar road cross karti nazar aayi , wo achanak sarak ke kinare ke sath road ke us paar jane lagi, lekin aise achanak us ke samne aa jane se main bokhla sa gya aur gadi ko foran apne ulte hath par ghumaya jis se wo bach sakte the lekin agle hi lamhe mujhe ehsaas hua ke gadi ji simt ja mud rahi hai , jald hi darakhton me ja takraye gi ya kam az kam road se utar kar be kaboo ho sakti hai.

Maine asteering wapas teezi se sedhi taraf ghumaya ye jante hue bhi ke wo aurat abhi adhe road par hi mojood hai, main apni biwi aur bachi ke sath darakhton me aur road se neeche utarne ka risk nahi le sakta tha .

Agle hi lamhe wo dono meri gadi ki zad me the aur takra kar seedhe hath par moujood darakhton me taqreeban urte hue ja gire the. Main gadi ki speed is tmam surte haal me kam karne ki jaga barhata ja raha tha aur ek lamhe pehle jo takrao meri gadi ke sath hua wo ruk kar dekhne aur madad karne ki himmat bhi kho chuka tha. Main itna khud garz kabhi na tha lekin aisa kyun kia is ka jawab main kabhi khud ko nahi de paya … sab itna achanak hua ke us ladki jo ek jhalak dekhne se mujhe koi 28-29 saal ki maloom hoti thi aur bachi ki umar saat ya aath saal se zyada nahi hogi , unko main bachane ki koi tadbeer nahi kar paya tha, albata ruk kar inhein dekhna mere hath me tha lekin mere zehan me police case aur qareebi basti ke logon ka dar achanak umad aaya aur maine gadi ki raftaar aur teez kar di.

" Kia hua Ahmad,,, ye achanak kaisa jhatka laga tha?... " sasha ne harbara kar uthte hue pocha jo gadi ki takar se jaag chuki thi , lekin wo manzar na dekh payi. Hamna uski goad me neem draz ho kar leti hui soo rahi thi ,

Us ke swal par maine herangi se us ki traf dekha jaise us se puch rha hun tum ne nahi dekha ,kia hua?.

Wo ab bhi herat se meri traf dekh rahi thi aur meri pareshani bhanp gayi thi

"Ahmad kia hua tha , achanak koi jhatka laga tha, gadi ko kuch takraya hai?, " us ki matlashi nazrein back mirror aur side mirror se peeche road ka jaiza lene kii koshish kar rahi then, lekin jo cheez road par aayi thi use to maine gadi ki takkar se door uda kar phenk dia tha.

Us ke swal par maine tasalli kar li ke wo be khabar hai aur bahana kar ke use taal dia.

"kuch nhi yar yahan basti ke log pata nahi kia kia daal dete hain , road par achanak ek drum type ki koi cheez aa gayi thi samne , us se takrai hai gadi thodi si "

Maine ba mushkil alfaz jama kar ke baat bnayi aur hamna ki traf dekha jo ab bhi soo rahi thi .

" soo jao sasha tum bhi, " maine jhuti muskurahat saja ke khud ko normal zahir karne ki koshish ki aur sasha ke balon me ungli pher kar use sone ka kaha,

Sadak pa ab bhi pehle ki tarha sannata aur andhera tha aise me sirf wo cheezain hi nazar aa rahi the jin par meri gadi ki light pad rahi thi.

Mujhe har lamhe mehsoos ho raha tha ke ab koi achanak samne aa jaye ga , dil buri tarah se dhadak raha tha jaise abhi nikal ke bahar aa jaye ga aur aur gadi chalana mushkil ho raha tha , main sasha ke samne khud ko pareshan zahir nahi karna chahta tha is lie baat shuru ki.

Wo ab tak mujhe hi dekh rahi thi jaise mere jawab se mutmain na hui ho

"yaar aaj maza bahut aaya lekin bahut deer ho gayi na, " maine apne oosan bahal karte hue vaat shuru ki.

" Ji aur main to shukar kar rahi hun ye takreebat khatam hui, aakhir rozana der ho jati hai aur hamna subah school ke lie uthne me nakhre karti hai "

Sasha ke sath baton ka ye silsila shuru hua aur kuch der me gadi ek khuli aur pur ronak ilaqe se guzar rahi thi , ab jahan ek do dukane ab bhi khuli thin aur us sunsan ilaqe se guzar jane ka itmenan bhi tha . kuch der me hum ghar pohnch gaye..

Wo manzar meri aankhon me bar bar aa raha tha aur main use zehn se jhatakne ki har mumkin koshish kar raha tha . bister per leet kar main taqreeban puri raat karwatein badalta raha , lekin wo chand lamhe main bhula nahi paya tha. Sasha aur hamna kab ki soo chuki thin aur neend meri aankhon se koson door thi .

Us waqie ko guzre ek hafta guzar gya tha aur ye baat maine kisi se bhi share nahi kit thi, yahan tak ke sasha se bhi nahi . main nahi chahta tha wo is baat ko jaan kar kisi pareshane me mubtla ho . ya mujhe wahan ja kar dekhne aur un logon ki koi kher khabar lene ka kahe ,

Apne aane jane ke lie maine dusra rasta ikhtyar karna shuru kar dia tha aur us raste ko din ya raat kisi waqt bhi ikhtyar nahi karta tha , halan'kii wo mera mustakil rasta tha aur dusre raste ke muqable kafi kam bhi tha. Us raat ke baad wahan se guzarne ki meri himmat nahi hui……

Nashte ki meez par mujhe sochon me gum dekh kar sasha ne pucha

"Kia baat hai , aap kin khyalon me khoye hue hain.?"

Wo chaye ka ghont pi rahi thi jab us ki baat par maine uski traf dekha aur apni chaye ka khyal aaya.

Cup utha kar ek ghont bharte hue maine sasha ki aankhon me jhankte hue kaha

"raat ko pata nhi kahan se bahut shor ki aawazein aa rhi thin ,"

Main sasha ki traf dekh kar jawab talab nazron se dekh raha tha

"acha? Kis time ? kaise shor ki aawazein ?"

Sasha ne mukammal la ilmi ka izhar karte hue kaha , ye mere lie ek bahut hi heran kun baat thi ke wo dono meri itni zor dar chekhon se be khabar so sakte hain .

"yahi koi shayad raat ke do ya teen baje hon ge , kahin se bahout zoor se chillane ki awazein aa rhi thin"

"phir aap ne dekha nahi kahan se aa rahi hain aur kis ki awazein hain"

Sasha ne tajasaus se pucha , jis par main jhijhak kar reh gya.

Kya waqai in logon ne wo awazein nahi suni hain? Maine khud se pucha

"pata nhi kahan se aa rhi thin shayad aas pados se aa rhi hon"

Keh kar main chaye me masroof hogya

Moqa milne par maine hamna se bhi alag se pucha lekin wo bhi is baat se bekhabar thi

Mujhe pura yakeen ho gya ke inhein is baat ka ilm nhi hai, phir ye Nishan kaise aa gye agar wo mera khwab tha….

Dopehr me ek bar phir maine apni shirt utar kar apni kamar par wo Nishan check kiye sath hi hath me takleef jari thi jo bed pakadne ki koshish me ragad lagne se ho rhi thi aur albata peer par mojoud wo Nishan kisi kadar halka ho gya tha , taqreeban mit jane ke, jis par mujhe herangi thi.

Main takleef aur pareshani me dusri kayi ratein theek se soon nahi saka tha aur raton ko uth uth kar dark e mare beth jaya karta tha , biwi bachii ke chehre par wahi itmenan tha aur wo meri andruni pareshani se bekhabar maze se thee. Us waqiye ke bad maine kabhi sasha aur hamna se kisi cheez ke gum hone ya jagha badalne ki shikayat nahi suni….

Raat ke takreeban sadhe teen baje ka waqt tha jab meri aankh samne mojoud khidki par padi, chand ki Roshni kamre me dakhil ho rahi thi aur parde dono taraf se khule hue the , aur khdiki ke upar wale hisse par ek hath jo dekhne me kisi bachii ka lagta tha latak kar aise hil raha tha jaise chalet hue hathon me khud ek harkat paida ho jati hai aur wo aage aur peeche hota hai,

Uska hath aik pendulum ki tarah jhul raha tha.

Drissy badaa hi khufnak thaa sote huye ahmd ke nind me khalal dal koyi itna ghasita itnaa ghasitaa ki vichra chotil ho gaya.chikhe besumar nekla par na bibi ko pata chla na hi beti ko pata chla. Dono besud hokar aise sote rahe aaaagar koyi boom bhi fhod de to unhe fark bhi na pade.

Jab ahmad se do inshan takraya tab ahmad ko car rokar dekhna chaiye tha barhal us waqt sabhi ke jehan me ek hi baat aata hai ki mai kya si pachede me fhas na jau kyuki aise mamlo me bhid sahi galt nehi dekhte bas prthm dristya jo apradhi dikhta hai us par dana panee liye chad jate aur pit pit kar rahi ke fhakir bana dete.

Adbhut atulniya lekhan kaushal:cooldoge::clapclap::clapclap::clapclap:
 
Will Change With Time
Moderator
9,441
17,276
143
Update 02
Ye manzar dekh kar mera dil uchal kar halaq tak aa gya aur main takreban chekh utha tha lekin meri checkh mere halaq me ghut kar reh gayi, jald ehsaas ho gya ke main kisi badi musibat me griftar ho gya hun , ye dusri bar raat ke waqt me aise halat ka samna kar raha tha.

Mera pura wajood thar'thrahat ki zad me aa gya, main bolna chah kar bhi kuch nhi bol pa raha tha.

Aankhein achi tarha mal kar dubara kholi aur ghor se dekhne ki koshis ki , ke shayd ye mera weham ho , lekin wo meri aankhon ka dhokha nahi tha.

Wo hath kisi choti bachii ka maloom ho raha tha jo kalaiyoun se kuch upper tak ka hissa khidki ke bahar latak raha tha. Goya khidhki ke aain upper ka baqi hissa moujod ho aur kuch hissa neeche latkaya hua ho. Chand lamhon me hi main puri tarha paseene main bheeg chuka tha aur wo hath musalsal usi andaz me hil rha tha , hath ki pusht khidki ki traf aise zahir thi ke chalne wali ka rukh mere dayen traf ho.

" sasha , utho please sasha…..saa saa sasha ….utho yar…"

Main dabi hui ghabrai hui awaz me us hath ki traf dekhte hue apni biwi ko jaga raha tha jo is waqt gehri neend me thi.

"Sasha aa ….. please yar utho jaldi se " use kandhe se hilate hue main badi mushkil se bol pa raha tha ,

Sasha par neend itni hawi thi ke mere jagane ka koi asar nahi ho raha tha

" Sasha uthooooo jaldi "

Is bar unchi awaz nikal kar maine sasha ko jhinjhora jo aankhein malti hui uth bethi aur is time jagane par be yaqeeni ki halat me mujhe dekhne lagi , hamna ko utha kar maine apni goad me lia aur jaldi se seene se lga lia.

"Kia hua Ahmd , kyun jgaya hai?"

Sasha uth kar puri tarah beth chuki thi aur bilkul normal andaz me mujh sepuch rahi thi.

Ankhon ke ishare se use khidki ki traf dekhneka ishara kia jahan main ek chotii bachii ke hath ka kuch hissa dayen se bayen harkat karte hue dekh raha tha .

"Kia hua…? Kia keh rahe hain…"

Wo be zariat se ek nazar meri nazar ke ta;aqub me khidki par le gayi aur wapas puchne lagi.

" wo dekho sasha samne khidki ke upper ki traf"

Darte darte us jholte hath ki traf ishara kia aur hamna ko zor se gale laga lia tha ,

"Haan dekh to rahi hun? Kia hua khidki ko…"

Usne mutmain ho kar pucha ke main samjhe bagher nahi reh sakta tha ,

"Kia us hath ko sirf main hi dekh raha hun , " khud se keh kar main sasha ki taraf herangi se dekhne laga

Mera dil itna teez dhadhak raha tha ke main bahar tak dhahdkan mehsoos kar sakta tha

"sasha wo dekho khidki se bahar" mere lehje me ab ghussa aur be'chargi umad aayi thi.

"kia hai khidki se bahar"

Sasha bed se utar kar seedhi khidki ke janib barhi

Ye ek lamhe ka waqfa tha jab maine khidki se nazar hata kar sasha ki traf dekha tha aur us ke bed se utarne ke bad dobara khidki ki traf dekha, ab wahan kuch nahi tha.

Mujhe ek bar phir herat ka jhaka laga

"kia ho gya hai Ahmad? . kia hai idhr , aap kis cheez ki baat kar rahe hain "

Sasha khidki ke samne meri traf munh karke khari mujh se swal kar rahi thi aur meri nazar us ke sir ke upper us jagha tiki hui thi jahan chand lamhon pehle ek chotii bachii ka hath latka hua , jhulta hua nazar aa raha tha .

Aain usi lamhe mere zehan me us ladki aur bachii ki ek jhalak aayi , jise maine apni gadi se udaa dua tha wo ek jhalak jo maine accident se pehle dekhi thi.

Accident ka wo manzar meri aankhon me ek bar phir se ghoom raha tha. Sasha ab bhi wahi khari mujh se swal kar rahi thi lekin mera zehan kahin aur hi chala gya tha.

Wo wapas apni jagha par aa gyi, hamna ko mujh se wapas lia aur bed par lita kar khud bhi dusri traf rukh kar ke leet gayi,,,

"so jayen Ahmad , aap ne koi khwab dekha hai"

Main kitni hi der tak khidki ko ek tak dekhta raha, use apna weham aur khwab samajh kar khud ko tasalli deta raha. Dhadkan ab kisi kadar normal ho chuki thi aur sansein bahaal thin.

Har lamhe mujhe aise mehsoos hota jaise wo hath dubara aa kar latak jaye ga.

Subah ke 5 baj gaye the aur halki Roshni photna shuru ho gayi thi , mera zehan un tamam waqiat ko le kar khyalat ka ek majmoaa ban chuka tha. Sone ki lakh koshish ke bawajod main khud ko un khyalat se churane me na kam tha.

Pyaas ke ehsaas ne tawajja hatayi aur maine pass rakhi pani ki bottle uthai lekin wo khali thi , main uth kar kamre se nikalne hi laga tha ke ek bar phir mere zehan me raat ka wo manzar ghoom gya.

Us khyal ko jhatak kar kichen ki taraf barha , har lamhe mujhe anjana sa dar aur khoof ka ehsaas ghere hue tha . apne room se nikal kar har guzarne wali jagha ki light on karta ja rha tha aur kichen me pohnch kar sab se pehle light on ki.

Glass dhondh kar fridge ki traf barha aur use kholne ki garz se jaise hi khecha wo lock tha.

Har mamooli cheez be mujhe ab ek khatra mehsoos ho rahi thi, fridge ka darwaza aise gher mamooli tor par band hona ek bar phir mere lie ghabrahat aur dar ka sabab ban gya tha.,

Aisa kabhi nahi hua tha ke fridge ka darwaza lock hua ho , is par koi lock mojood hi nahi tha , albata kabhi kabhar fridge ek bar kholne aur foran band karne me aisi surat paida ho jati hai ke pressure se darwaza jam ho jata hai , albata kuch der thehar kar khul jata hai , jo ek aam si baat hai lekin is waqt main bahut zor laga kar bhi fridge kholne se qasir tha ,

Herangi ki baat ye thi ke fridge ko akhri dafa khole hue bhi kayi ghanta guzar chuke the aur main jitni taqat aazmai kar raha tha , fridge ko asani se khul jana chahiye tha.

Ab ki baar main glass ek traf rakh kar bahut zoor se fridge door kholne ki koshish kar raha tha , ek paun pichle hisse par tika kar peer ka zor bhi laga liya lekin darwaza na khula m mujhe dar tha ke mazeed zor lagaya to wo apni jagha se hill jaye gay a gir jaye ga.

Pareshani barh chuki thi aur me is nayi aftad(musibat) ke lie tyar nahi tha , jisam ek bar phir paseene me dobna shuru ho gya tha aur mere aisab jwab de chuke the.

Majboran thande pani ka irada tark kar ke maine jaldi se glass uthaya aur sink se pani bhar kar pe lia. Glass wapas rakh kar main kichen se bahar nikalne ko tha k eek bar phir fridge samne dekh kar us ke darwaze ke handle ko pakda, '

Darwaza is bar mamoli hath lagne se itni zor se mukammal tor par khul gya jaise kisi ne andar se bahut zoor dar dhakka dia ho, mujhe darwaza khul ke itni zor se laga ke main peeche dewar ke paas ja kar gira,

Fridge me moujood har cheez yahan tak ke darwaze par rakhi botlein bhi bilkul sahi apni jagha par then , aur itni zor se darwaza khulne se andar ki cheezein bahar nikal kar girna yaqeeni tha,

Aao dekha na taao main kichen se bahar ki traf bhaga , na light band kar saka aur na hi fridge ka darwaza aur seedha apne kamre ki traf doud lgayi.

Kamre ke darwaze par pohanch kar maine jaise hi lock ki taraf hath barhaya, main do teen kadam peeche kheench gya ,

Mujhe kisi ne nahi pakda than a hi kisi ne mujhe peeche dhakela tha

Ab ki baar main apne pure hosh o hawaas me ye khichao mehsoos kar raha tha, aur mujhe pora yaqeen ho gya tha ke mere sath koi anjaan taqat moujood hai jo sirf meri had tak ki hi mehdood hai, jo sirf mujhe hi dikh ya mehsoos ho rahi hai,

Dobara teezi se kadam barha kar lock ko thama aur jaldi se ghuma kar kamre me dakhil ho gya. Ye sab kuch itna aanan fanan hua ke main kichen se paglon ki tarha bhaga tha aur koi light bager band kiye seedha kamre me ghus gya,

Bed par meri biwi aur beti pur sakoon andaaz me soye hue the aur main ek qurb aur aazab se guzar raha tha .

Main bed par leet kar ek baar phir un khyalate ki nazar ho gya tha. Accident se lekar kadam peeche khicnh jane tak aur pichle dinoo ke gher mamooli waqiat sab mujhe usi accident ki wajah mehsoos ho rahe the lekin ab kia ho sakta hai, kaise main in khyalat par kaboo paaun, kaise main khud ko aru apne ghar ko in cheezon se bachaun, bahut deer tak yahi sab sochte hue najane kis waqt meri aankh lag gayi thi.

Qareeban subah 11:00 baje ke waqt mere mobile par musalsal bajti bell se meri aankh khuli.

Dusri traf mera office collegue shayan tha jo ab tak office na pohnchne ki wajah poch rha tha

"yar aaj main nahi aa sakun ga , tabiyat thek nahi hai "ye keh kar maine jaan churani chahi.

"kia hua tujhe bhai aaj kal tu kuch ajeeb hi behave kar raha hai pehle to maine hi ye baat mehsoos ki thi lekin abhi tera zikar hua to eek do aur logon ne bhi aisa hi kaha hai"

Wo meri pareshani ki wajah janna'na chahta tha,

Shayan mera purana dost aur office me bhi sath kam karta tha aur main apni har baat hi us se share karta tha , lekin na jane kyun ab tak ye baat main us se share nahi kar saka tha

"yaar tu aaj office ke baad mere pass chakkar laga , kuch baat karni hai zaruri"

Meri awaz neend me doobi hui thi , shayan ne bhi zyada swal nahi kie aur aane ka keh kar phone band kar dia.

***********************************

Dopeher ka time tha main room me betha laptop par office ki emails check kar raha tha , achanak ek zoor dar awaz se main chonk kar reh gya , awaz bahar ki traf se aayi thi aur kisi lohe ki cheez se takrane ki maloom hoti thi , main harbara kar uth betha aur andaze ke mutabiq bayen traf khidki ki janib barha , awaz chonke bayen traf se aayi thi aur mojoda kamre se bahar ka darwaza bayen traf wali khidki se nazar aata tha , kamre me mojood khidki se bahar ka jaiza lene ki koshis karne laga lekin bahar khidki se bahar peed ki wajah se mukammal tor par nahi dekh pa rha tha.

Qareebi table ko pass khech kar is pr khade hokar khidki k eek kinare se dekhne ki koshish ki, meri nazar bahar ke gate par padi, to jaise ek dhachka sa laga ho ,

Meri gadi jo ghar ke andruni hisse me park hoti thi , gate ke sath bahar se takrayi hui thi aur darwaza kisi had tak andar ki traf juk gya tha , wo lohe ka ek bada aur mazboot gate tha jo bina kisi badi cheez ke takrane se aise nahi toot sakta tha , darwaza andar jhukaa hua aur gadi bahar us se lagi hui dekh kar mujhe andaza hua ke gadi bahar ki traf se gate se takrai hai hai. Main table par uchak kar dekhte hue surte haal ko samajhne ki koshish kar raha tha aur neeche ja kar dekhne ka irada kia hi tha ke apne peeche kisi ki aahat mehsoos hui, be sakhta palat kar dekha to koi bhi mojood na tha.

Jaldi se table se utarne ki garz se neeche nigah ki to mere lie dusra jhatka tha, main hawa me khara tha aur table apni wahi purani jagha par mojood thi , is se pehle ke main sambhal pata aur us table se utarne ki koshis karta jis par main tha hi nahi, chalang lagani chahi lekin

Kadam zameen par lagte hi larkhara gaye aur main sambhal na saka , munh ke bal zameen par gira ji ski wajah se sir zoor se zameen se takraya tha aur naak se khoon nikalne laga.

Mere lie ab in halat ka muqabla karna na mumkin ho gya tha , shayan ne sham ko aana tha aue main ghar se abhi hi bhaag jana chahta tha …….

"sasha…..sashaa."

"sasha idhr aao jaldi se" zoor se awaz laga kar sasha ko bulaya

Sasha meri awaz sun kar jaldi se kamre me aayi " aree ye kia hua hai? Aap ki naak se khoon kyun beh rha hai" sasha ne mujhe zameen par is halat me dekhte hi pucha

"gir gya tha yaar" maine bebasi ke andaaz me kahaa

"bahar dekho zara ghar ke gate ko" khidki ki traf ishara karte hue sasha se kaha jo apna dupatta lie meri naak se khoon saaf kar rahi thi.

"Kia hua bahar ke gate ko?" sasha khidki se bahar khank kar boli

"kia matlab tumhara? Gate ko dekho bahar ke aur meri gadi ko "

Maine gadi aur gate par zoor dete hue kaha

Wo ek baar phir jhank kar meri traf swaliya nazron se dekhne lagi.

Pata nahi meri aankhon par khof ki patti bandhi thi jo mujhe ye sab hote hue nazar aa raha tha ya phir kuch ho hi nahi raha tha aur ye sirf mera khyalat hon jo mujhe aisa dekhne par majbooor kar rahe hon ya phir sasha ki aankhon par patti bandhi thi jo use na to kuch dikhayi de raha tha aur na hi usne wo shor ki awazein suni thi aur na gadi ka gate se takrane ki aawaz…………….

Continued.......

please Give your review here. :thankyou:
Amzad babu to ghir chuke hai. Baar baar pareshan kiya ja raha hai. Ghatnaye ek ke bad ek drvna hota ja raha hai. Bich rat achanka kuch hanhoni ho jiski hone ki koyi ummid na aor vo ho raha bas kudh ke alava kisi aor ko na dikhe to aise me inshani jehan bhay he bhar jata hai lekin yaha to madhy ratri me jo ho rha hai so ho rha hai deen dohpayri me bhi have me latka diya ja raha hai.

Bada hi daravna manjar pesh kiya ja raha hai HAKIMHAKIM's icon bhai aapki story din me hi read karna padega nehi pata chla rat me bistar khair chodo tohmat wali bat ho gayega.

Adbhut atulniya lekhan kaushal:clapclap::clapclap::clapclap:
 
Eaten Alive
4,118
4,183
143
Ahmad be like - Abhi kuch dino se lag raha hai usko, badla badla sa wo hai....
Wo baitha baitha din mein sapne

Dekta neendein bhi kam hai......

Abhi kuch dino se Ahmad ne suna hai dil ka
Roj hi kuch naya hai,, Koi raaz kambakht hai chupaye, rab hi jaane ki kya hai uske dil mein, jispe ab shaq uska...... Kahi uske dil ko pyaar to nahi ho gaya....
:laugh1:

Bhootni be like - ahmad bekhabar , Ya usko sab khabar....
Ek din liye sahi par zara bhootni ke masoom dil pe gaur kar....
Palko mein wo rakh le ahmad ko
Ki dil ahmad ka aa na jaaye kahin gair par :roflol:

Ooo ma go turu lob :rolrun:
 
LEGEND NEVER DIES................................
Moderator
17,457
29,376
173
Update 02
Ye manzar dekh kar mera dil uchal kar halaq tak aa gya aur main takreban chekh utha tha lekin meri checkh mere halaq me ghut kar reh gayi, jald ehsaas ho gya ke main kisi badi musibat me griftar ho gya hun , ye dusri bar raat ke waqt me aise halat ka samna kar raha tha.

Mera pura wajood thar'thrahat ki zad me aa gya, main bolna chah kar bhi kuch nhi bol pa raha tha.

Aankhein achi tarha mal kar dubara kholi aur ghor se dekhne ki koshis ki , ke shayd ye mera weham ho , lekin wo meri aankhon ka dhokha nahi tha.

Wo hath kisi choti bachii ka maloom ho raha tha jo kalaiyoun se kuch upper tak ka hissa khidki ke bahar latak raha tha. Goya khidhki ke aain upper ka baqi hissa moujod ho aur kuch hissa neeche latkaya hua ho. Chand lamhon me hi main puri tarha paseene main bheeg chuka tha aur wo hath musalsal usi andaz me hil rha tha , hath ki pusht khidki ki traf aise zahir thi ke chalne wali ka rukh mere dayen traf ho.

" sasha , utho please sasha…..saa saa sasha ….utho yar…"

Main dabi hui ghabrai hui awaz me us hath ki traf dekhte hue apni biwi ko jaga raha tha jo is waqt gehri neend me thi.

"Sasha aa ….. please yar utho jaldi se " use kandhe se hilate hue main badi mushkil se bol pa raha tha ,

Sasha par neend itni hawi thi ke mere jagane ka koi asar nahi ho raha tha

" Sasha uthooooo jaldi "

Is bar unchi awaz nikal kar maine sasha ko jhinjhora jo aankhein malti hui uth bethi aur is time jagane par be yaqeeni ki halat me mujhe dekhne lagi , hamna ko utha kar maine apni goad me lia aur jaldi se seene se lga lia.

"Kia hua Ahmd , kyun jgaya hai?"

Sasha uth kar puri tarah beth chuki thi aur bilkul normal andaz me mujh sepuch rahi thi.

Ankhon ke ishare se use khidki ki traf dekhneka ishara kia jahan main ek chotii bachii ke hath ka kuch hissa dayen se bayen harkat karte hue dekh raha tha .

"Kia hua…? Kia keh rahe hain…"

Wo be zariat se ek nazar meri nazar ke ta;aqub me khidki par le gayi aur wapas puchne lagi.

" wo dekho sasha samne khidki ke upper ki traf"

Darte darte us jholte hath ki traf ishara kia aur hamna ko zor se gale laga lia tha ,

"Haan dekh to rahi hun? Kia hua khidki ko…"

Usne mutmain ho kar pucha ke main samjhe bagher nahi reh sakta tha ,

"Kia us hath ko sirf main hi dekh raha hun , " khud se keh kar main sasha ki taraf herangi se dekhne laga

Mera dil itna teez dhadhak raha tha ke main bahar tak dhahdkan mehsoos kar sakta tha

"sasha wo dekho khidki se bahar" mere lehje me ab ghussa aur be'chargi umad aayi thi.

"kia hai khidki se bahar"

Sasha bed se utar kar seedhi khidki ke janib barhi

Ye ek lamhe ka waqfa tha jab maine khidki se nazar hata kar sasha ki traf dekha tha aur us ke bed se utarne ke bad dobara khidki ki traf dekha, ab wahan kuch nahi tha.

Mujhe ek bar phir herat ka jhaka laga

"kia ho gya hai Ahmad? . kia hai idhr , aap kis cheez ki baat kar rahe hain "

Sasha khidki ke samne meri traf munh karke khari mujh se swal kar rahi thi aur meri nazar us ke sir ke upper us jagha tiki hui thi jahan chand lamhon pehle ek chotii bachii ka hath latka hua , jhulta hua nazar aa raha tha .

Aain usi lamhe mere zehan me us ladki aur bachii ki ek jhalak aayi , jise maine apni gadi se udaa dua tha wo ek jhalak jo maine accident se pehle dekhi thi.

Accident ka wo manzar meri aankhon me ek bar phir se ghoom raha tha. Sasha ab bhi wahi khari mujh se swal kar rahi thi lekin mera zehan kahin aur hi chala gya tha.

Wo wapas apni jagha par aa gyi, hamna ko mujh se wapas lia aur bed par lita kar khud bhi dusri traf rukh kar ke leet gayi,,,

"so jayen Ahmad , aap ne koi khwab dekha hai"

Main kitni hi der tak khidki ko ek tak dekhta raha, use apna weham aur khwab samajh kar khud ko tasalli deta raha. Dhadkan ab kisi kadar normal ho chuki thi aur sansein bahaal thin.

Har lamhe mujhe aise mehsoos hota jaise wo hath dubara aa kar latak jaye ga.

Subah ke 5 baj gaye the aur halki Roshni photna shuru ho gayi thi , mera zehan un tamam waqiat ko le kar khyalat ka ek majmoaa ban chuka tha. Sone ki lakh koshish ke bawajod main khud ko un khyalat se churane me na kam tha.

Pyaas ke ehsaas ne tawajja hatayi aur maine pass rakhi pani ki bottle uthai lekin wo khali thi , main uth kar kamre se nikalne hi laga tha ke ek bar phir mere zehan me raat ka wo manzar ghoom gya.

Us khyal ko jhatak kar kichen ki taraf barha , har lamhe mujhe anjana sa dar aur khoof ka ehsaas ghere hue tha . apne room se nikal kar har guzarne wali jagha ki light on karta ja rha tha aur kichen me pohnch kar sab se pehle light on ki.

Glass dhondh kar fridge ki traf barha aur use kholne ki garz se jaise hi khecha wo lock tha.

Har mamooli cheez be mujhe ab ek khatra mehsoos ho rahi thi, fridge ka darwaza aise gher mamooli tor par band hona ek bar phir mere lie ghabrahat aur dar ka sabab ban gya tha.,

Aisa kabhi nahi hua tha ke fridge ka darwaza lock hua ho , is par koi lock mojood hi nahi tha , albata kabhi kabhar fridge ek bar kholne aur foran band karne me aisi surat paida ho jati hai ke pressure se darwaza jam ho jata hai , albata kuch der thehar kar khul jata hai , jo ek aam si baat hai lekin is waqt main bahut zor laga kar bhi fridge kholne se qasir tha ,

Herangi ki baat ye thi ke fridge ko akhri dafa khole hue bhi kayi ghanta guzar chuke the aur main jitni taqat aazmai kar raha tha , fridge ko asani se khul jana chahiye tha.

Ab ki baar main glass ek traf rakh kar bahut zoor se fridge door kholne ki koshish kar raha tha , ek paun pichle hisse par tika kar peer ka zor bhi laga liya lekin darwaza na khula m mujhe dar tha ke mazeed zor lagaya to wo apni jagha se hill jaye gay a gir jaye ga.

Pareshani barh chuki thi aur me is nayi aftad(musibat) ke lie tyar nahi tha , jisam ek bar phir paseene me dobna shuru ho gya tha aur mere aisab jwab de chuke the.

Majboran thande pani ka irada tark kar ke maine jaldi se glass uthaya aur sink se pani bhar kar pe lia. Glass wapas rakh kar main kichen se bahar nikalne ko tha k eek bar phir fridge samne dekh kar us ke darwaze ke handle ko pakda, '

Darwaza is bar mamoli hath lagne se itni zor se mukammal tor par khul gya jaise kisi ne andar se bahut zoor dar dhakka dia ho, mujhe darwaza khul ke itni zor se laga ke main peeche dewar ke paas ja kar gira,

Fridge me moujood har cheez yahan tak ke darwaze par rakhi botlein bhi bilkul sahi apni jagha par then , aur itni zor se darwaza khulne se andar ki cheezein bahar nikal kar girna yaqeeni tha,

Aao dekha na taao main kichen se bahar ki traf bhaga , na light band kar saka aur na hi fridge ka darwaza aur seedha apne kamre ki traf doud lgayi.

Kamre ke darwaze par pohanch kar maine jaise hi lock ki taraf hath barhaya, main do teen kadam peeche kheench gya ,

Mujhe kisi ne nahi pakda than a hi kisi ne mujhe peeche dhakela tha

Ab ki baar main apne pure hosh o hawaas me ye khichao mehsoos kar raha tha, aur mujhe pora yaqeen ho gya tha ke mere sath koi anjaan taqat moujood hai jo sirf meri had tak ki hi mehdood hai, jo sirf mujhe hi dikh ya mehsoos ho rahi hai,

Dobara teezi se kadam barha kar lock ko thama aur jaldi se ghuma kar kamre me dakhil ho gya. Ye sab kuch itna aanan fanan hua ke main kichen se paglon ki tarha bhaga tha aur koi light bager band kiye seedha kamre me ghus gya,

Bed par meri biwi aur beti pur sakoon andaaz me soye hue the aur main ek qurb aur aazab se guzar raha tha .

Main bed par leet kar ek baar phir un khyalate ki nazar ho gya tha. Accident se lekar kadam peeche khicnh jane tak aur pichle dinoo ke gher mamooli waqiat sab mujhe usi accident ki wajah mehsoos ho rahe the lekin ab kia ho sakta hai, kaise main in khyalat par kaboo paaun, kaise main khud ko aru apne ghar ko in cheezon se bachaun, bahut deer tak yahi sab sochte hue najane kis waqt meri aankh lag gayi thi.

Qareeban subah 11:00 baje ke waqt mere mobile par musalsal bajti bell se meri aankh khuli.

Dusri traf mera office collegue shayan tha jo ab tak office na pohnchne ki wajah poch rha tha

"yar aaj main nahi aa sakun ga , tabiyat thek nahi hai "ye keh kar maine jaan churani chahi.

"kia hua tujhe bhai aaj kal tu kuch ajeeb hi behave kar raha hai pehle to maine hi ye baat mehsoos ki thi lekin abhi tera zikar hua to eek do aur logon ne bhi aisa hi kaha hai"

Wo meri pareshani ki wajah janna'na chahta tha,

Shayan mera purana dost aur office me bhi sath kam karta tha aur main apni har baat hi us se share karta tha , lekin na jane kyun ab tak ye baat main us se share nahi kar saka tha

"yaar tu aaj office ke baad mere pass chakkar laga , kuch baat karni hai zaruri"

Meri awaz neend me doobi hui thi , shayan ne bhi zyada swal nahi kie aur aane ka keh kar phone band kar dia.

***********************************

Dopeher ka time tha main room me betha laptop par office ki emails check kar raha tha , achanak ek zoor dar awaz se main chonk kar reh gya , awaz bahar ki traf se aayi thi aur kisi lohe ki cheez se takrane ki maloom hoti thi , main harbara kar uth betha aur andaze ke mutabiq bayen traf khidki ki janib barha , awaz chonke bayen traf se aayi thi aur mojoda kamre se bahar ka darwaza bayen traf wali khidki se nazar aata tha , kamre me mojood khidki se bahar ka jaiza lene ki koshis karne laga lekin bahar khidki se bahar peed ki wajah se mukammal tor par nahi dekh pa rha tha.

Qareebi table ko pass khech kar is pr khade hokar khidki k eek kinare se dekhne ki koshish ki, meri nazar bahar ke gate par padi, to jaise ek dhachka sa laga ho ,

Meri gadi jo ghar ke andruni hisse me park hoti thi , gate ke sath bahar se takrayi hui thi aur darwaza kisi had tak andar ki traf juk gya tha , wo lohe ka ek bada aur mazboot gate tha jo bina kisi badi cheez ke takrane se aise nahi toot sakta tha , darwaza andar jhukaa hua aur gadi bahar us se lagi hui dekh kar mujhe andaza hua ke gadi bahar ki traf se gate se takrai hai hai. Main table par uchak kar dekhte hue surte haal ko samajhne ki koshish kar raha tha aur neeche ja kar dekhne ka irada kia hi tha ke apne peeche kisi ki aahat mehsoos hui, be sakhta palat kar dekha to koi bhi mojood na tha.

Jaldi se table se utarne ki garz se neeche nigah ki to mere lie dusra jhatka tha, main hawa me khara tha aur table apni wahi purani jagha par mojood thi , is se pehle ke main sambhal pata aur us table se utarne ki koshis karta jis par main tha hi nahi, chalang lagani chahi lekin

Kadam zameen par lagte hi larkhara gaye aur main sambhal na saka , munh ke bal zameen par gira ji ski wajah se sir zoor se zameen se takraya tha aur naak se khoon nikalne laga.

Mere lie ab in halat ka muqabla karna na mumkin ho gya tha , shayan ne sham ko aana tha aue main ghar se abhi hi bhaag jana chahta tha …….

"sasha…..sashaa."

"sasha idhr aao jaldi se" zoor se awaz laga kar sasha ko bulaya

Sasha meri awaz sun kar jaldi se kamre me aayi " aree ye kia hua hai? Aap ki naak se khoon kyun beh rha hai" sasha ne mujhe zameen par is halat me dekhte hi pucha

"gir gya tha yaar" maine bebasi ke andaaz me kahaa

"bahar dekho zara ghar ke gate ko" khidki ki traf ishara karte hue sasha se kaha jo apna dupatta lie meri naak se khoon saaf kar rahi thi.

"Kia hua bahar ke gate ko?" sasha khidki se bahar khank kar boli

"kia matlab tumhara? Gate ko dekho bahar ke aur meri gadi ko "

Maine gadi aur gate par zoor dete hue kaha

Wo ek baar phir jhank kar meri traf swaliya nazron se dekhne lagi.

Pata nahi meri aankhon par khof ki patti bandhi thi jo mujhe ye sab hote hue nazar aa raha tha ya phir kuch ho hi nahi raha tha aur ye sirf mera khyalat hon jo mujhe aisa dekhne par majbooor kar rahe hon ya phir sasha ki aankhon par patti bandhi thi jo use na to kuch dikhayi de raha tha aur na hi usne wo shor ki awazein suni thi aur na gadi ka gate se takrane ki aawaz…………….

Continued.......

please Give your review here. :thankyou:
bhai jese ki aapke 1st update se hi maloom pad gya ki dar kya hai wahi aapne 2nd update mein bhi usi dar ko kayam rakha hai mujhe sabse achhi baat ye lagi ki ismein kahi bhi or kuchh bhi befaltu jesa nahi baki bhai complete review baad mein dunga abhi ke liye to bas ye
hqdefault.jpg
 
expectations
22,955
14,925

:reading:
 
Newbie
43
21
8
Do raton me hawa tight hui gayi hai baki ki do raat me Jane kya hoga ye Anjane me hua gunaah iski mafi hogi ya saza milegi waise saza to milni suru bhi ho gayi hai
 
.
Moderator
2,376
1,840
143
Ye ahmad to hansa hansa ke pet mein dard karwa dega :roflol:
Waise agar uska dil halak mein aa gaya tha to dil ki jagah kisne liya...
HAKIMHAKIM's icon sahab ye bhi gaur karne wali baat hai :D
dil halaq me aana matlab kuch bol na pana, :D
meri proble hai ke mujhe urdu aur pashto ke alawa kuch nahi aata, haan hindi ke kuch common words aate hain to urdu hi likhni parti hai :D
 
.
Moderator
2,376
1,840
143
Update 2

Ahmad samajh chuka hai ki ye jo bhi bhayank ghatanaayen ho rahi hai uske sath ,, jo bhi saanse ruk jaane wali paranormal activities wo dekh raha tha ye sabhi ho na ho us accident se hi related hai ...
aur ye sabhi gatividhiya kam hone ki jagah aur hi zyada badh gaye har pal ke sath....
Yaha gaur karne wali baat ye hai ki jo bhi paranormal activities ahmad ke sath ho raha hai , us sabhi activities ko sirf aur sirf wo hi mehsoos kar sakta ya dekh sakta hai...
Ab us aurat aur uski bachhi ki maut ke jimmedaar to ahmad hi tha na, to bhala sasha ya koi aur kyun saza milne lagi bhala.... saza to sirf ushe milegi jisne galti ki hai, jisne gunah ki hai...
pal pal tadapna kise kehte hai, har lamha dar ke saaye mein rehna kise kehte ye baat ab puri tarah samajh chuka hai ahmad, ..... Jis taraf wo aurat ya uski bachhi ki tadap tadap ke raste mein maut huyi thi, thik waise hi maut se pehle hazar baar maut ke ehsaas ko feel karne wala hai ahmad....
Jis tarah se us raat madad na ki dono ki, thik usi tarah ab ahmad ko bhi koi madad nahi milegi...
ab to dar ke mare ahmad ko khud ka ghar kaatne ko uske piche daude jaise...

Waise ushne apne dost shayan ko bulaya hai... lekin kya shayan puri sachhayi bata sakega wo...
aur socne wali baat ye hai ki kya puri sachhayi jaanne ke baad shayan ahmad ki madad karne aage aayega... Kyunki saamna kisi jinda insaan se nahi balki badle ki aag mein tadapti do ruh se karna hai...

Khair.....
kahani mein kayi scenes create huye hai, sabmein horror ke sath thrill ka ek anokha sangam hai... specially kirdaar ka expressions...
Ghat rahi ghatano mein Kirdaar ke emotions ko,uske dar ko bahot hi kaabile tarif tarike se pesh kiya hai.. jisse padhne mein aur dilchasp ho gayi hai kahani.... aur sath hi iske har ek pehlu...
Btw inme se best scene wo latakte hath wala scene.. :perfect:
fear aur thrill ka mila jhula mahol taiyar ho gaya tha...

Well let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :clapping: :clapping:
:thanks: for your wonderful review, next update me shayad apke kuch swalon ke jawab mil jayen ge, sath bane rahiye
 
Top