Horror Char Ratein (Horror) (Completed)

Well-known member
1,890
5,090
145
Prince bro… once again congratulations on starting a new story… The forum was long awaiting a story from an accomplished writer like you… :superr:

Like every accomplished writer, you have chosen a rather difficult genre "horror"… Horror is one of the difficult genres… :dil2:

It is very interesting that we all grow up while listening to many horror based stories and most of us might remember our grannies introducing us to some supernatural characters… :flying:

Horror ignites human emotion "fear"… we harbor many fears in life… and fear of unknown or supernatural takes the lead… in arousing the feeling of "fear" with intense disposition either through un-explainable presence or through dreams… as happened in the case of Ahmad… a character of the story… :evilgrin:

Ahmad experienced the unexplainable phenomenon while he was asleep… here the writer has very beautifully characterized his condition and has been successful in creating a perception of fear and terror… the terror that tears apart the calmness of the night… :abuse3:
Ahmad's wife daughter could not be awakened as it all happened in his dream… 🛌
Ahmad's experiences have been minutely described… with details of entire environment of the room…

The beginning and the termination of the episodic terror appeared logical and flawless… :superb:

Next day, Ahmad witnesses marks of scratches on his body and recalls the nightmare and the writer has again very subtly created the effect that even the incident occurred while in the dream, it has real-life expanse… and the incident is going to continue and will bring bearings on the real-life… :superr:

The story moves on… and again the writer has very delicately described an event of accident… the selection of the words… narration and creation of dramatic impact is superb… :superb:

There is one thing that is intriguing for my mind as to what the "Mother and her daughter" were doing on the middle of the road… obviously they were going somewhere… but at around 2.30 am… in the middle of the night… on the road… ??? :thinking:

Ahmad's choice of not endangering his own life or the life of his wife and daughter could be justified as being primal priority of a human being but it was totally inhuman to not to check and help the injured people… :think:

The story started with a bang… and immediately connected the reader to it… till it finished the update and again at the end a hand is rocking like a pendulum over an open window… here the writer has very successfully created a connection between start of the update with ending of the update… the reader was kept hanging in between with the rope of suspense and anxiousness... :rose:

Writer's way of describing environment is also commendable… full moon night… open window… wavering drapes… :cool1:

I am confident that this story is gonna leave everlasting print on the minds and hearts of the readers…
Hats off bro… :tiger:
 
Last edited:
.
Moderator
2,376
1,840
143
Update 02
Ye manzar dekh kar mera dil uchal kar halaq tak aa gya aur main takreban chekh utha tha lekin meri checkh mere halaq me ghut kar reh gayi, jald ehsaas ho gya ke main kisi badi musibat me griftar ho gya hun , ye dusri bar raat ke waqt me aise halat ka samna kar raha tha.

Mera pura wajood thar'thrahat ki zad me aa gya, main bolna chah kar bhi kuch nhi bol pa raha tha.



Aankhein achi tarha mal kar dubara kholi aur ghor se dekhne ki koshis ki , ke shayd ye mera weham ho , lekin wo meri aankhon ka dhokha nahi tha.

Wo hath kisi choti bachii ka maloom ho raha tha jo kalaiyoun se kuch upper tak ka hissa khidki ke bahar latak raha tha. Goya khidhki ke aain upper ka baqi hissa moujod ho aur kuch hissa neeche latkaya hua ho. Chand lamhon me hi main puri tarha paseene main bheeg chuka tha aur wo hath musalsal usi andaz me hil rha tha , hath ki pusht khidki ki traf aise zahir thi ke chalne wali ka rukh mere dayen traf ho.

" sasha , utho please sasha…..saa saa sasha ….utho yar…"

Main dabi hui ghabrai hui awaz me us hath ki traf dekhte hue apni biwi ko jaga raha tha jo is waqt gehri neend me thi.

"Sasha aa ….. please yar utho jaldi se " use kandhe se hilate hue main badi mushkil se bol pa raha tha ,

Sasha par neend itni hawi thi ke mere jagane ka koi asar nahi ho raha tha

" Sasha uthooooo jaldi "

Is bar unchi awaz nikal kar maine sasha ko jhinjhora jo aankhein malti hui uth bethi aur is time jagane par be yaqeeni ki halat me mujhe dekhne lagi , hamna ko utha kar maine apni goad me lia aur jaldi se seene se lga lia.

"Kia hua Ahmd , kyun jgaya hai?"

Sasha uth kar puri tarah beth chuki thi aur bilkul normal andaz me mujh sepuch rahi thi.

Ankhon ke ishare se use khidki ki traf dekhneka ishara kia jahan main ek chotii bachii ke hath ka kuch hissa dayen se bayen harkat karte hue dekh raha tha .



"Kia hua…? Kia keh rahe hain…"

Wo be zariat se ek nazar meri nazar ke ta;aqub me khidki par le gayi aur wapas puchne lagi.



" wo dekho sasha samne khidki ke upper ki traf"

Darte darte us jholte hath ki traf ishara kia aur hamna ko zor se gale laga lia tha ,

"Haan dekh to rahi hun? Kia hua khidki ko…"

Usne mutmain ho kar pucha ke main samjhe bagher nahi reh sakta tha ,

"Kia us hath ko sirf main hi dekh raha hun , " khud se keh kar main sasha ki taraf herangi se dekhne laga

Mera dil itna teez dhadhak raha tha ke main bahar tak dhahdkan mehsoos kar sakta tha

"sasha wo dekho khidki se bahar" mere lehje me ab ghussa aur be'chargi umad aayi thi.

"kia hai khidki se bahar"

Sasha bed se utar kar seedhi khidki ke janib barhi

Ye ek lamhe ka waqfa tha jab maine khidki se nazar hata kar sasha ki traf dekha tha aur us ke bed se utarne ke bad dobara khidki ki traf dekha, ab wahan kuch nahi tha.

Mujhe ek bar phir herat ka jhaka laga

"kia ho gya hai Ahmad? . kia hai idhr , aap kis cheez ki baat kar rahe hain "

Sasha khidki ke samne meri traf munh karke khari mujh se swal kar rahi thi aur meri nazar us ke sir ke upper us jagha tiki hui thi jahan chand lamhon pehle ek chotii bachii ka hath latka hua , jhulta hua nazar aa raha tha .

Aain usi lamhe mere zehan me us ladki aur bachii ki ek jhalak aayi , jise maine apni gadi se udaa dua tha wo ek jhalak jo maine accident se pehle dekhi thi.

Accident ka wo manzar meri aankhon me ek bar phir se ghoom raha tha. Sasha ab bhi wahi khari mujh se swal kar rahi thi lekin mera zehan kahin aur hi chala gya tha.

Wo wapas apni jagha par aa gyi, hamna ko mujh se wapas lia aur bed par lita kar khud bhi dusri traf rukh kar ke leet gayi,,,

"so jayen Ahmad , aap ne koi khwab dekha hai"

Main kitni hi der tak khidki ko ek tak dekhta raha, use apna weham aur khwab samajh kar khud ko tasalli deta raha. Dhadkan ab kisi kadar normal ho chuki thi aur sansein bahaal thin.

Har lamhe mujhe aise mehsoos hota jaise wo hath dubara aa kar latak jaye ga.



Subah ke 5 baj gaye the aur halki Roshni photna shuru ho gayi thi , mera zehan un tamam waqiat ko le kar khyalat ka ek majmoaa ban chuka tha. Sone ki lakh koshish ke bawajod main khud ko un khyalat se churane me na kam tha.



Pyaas ke ehsaas ne tawajja hatayi aur maine pass rakhi pani ki bottle uthai lekin wo khali thi , main uth kar kamre se nikalne hi laga tha ke ek bar phir mere zehan me raat ka wo manzar ghoom gya.

Us khyal ko jhatak kar kichen ki taraf barha , har lamhe mujhe anjana sa dar aur khoof ka ehsaas ghere hue tha . apne room se nikal kar har guzarne wali jagha ki light on karta ja rha tha aur kichen me pohnch kar sab se pehle light on ki.

Glass dhondh kar fridge ki traf barha aur use kholne ki garz se jaise hi khecha wo lock tha.

Har mamooli cheez be mujhe ab ek khatra mehsoos ho rahi thi, fridge ka darwaza aise gher mamooli tor par band hona ek bar phir mere lie ghabrahat aur dar ka sabab ban gya tha.,



Aisa kabhi nahi hua tha ke fridge ka darwaza lock hua ho , is par koi lock mojood hi nahi tha , albata kabhi kabhar fridge ek bar kholne aur foran band karne me aisi surat paida ho jati hai ke pressure se darwaza jam ho jata hai , albata kuch der thehar kar khul jata hai , jo ek aam si baat hai lekin is waqt main bahut zor laga kar bhi fridge kholne se qasir tha ,



Herangi ki baat ye thi ke fridge ko akhri dafa khole hue bhi kayi ghanta guzar chuke the aur main jitni taqat aazmai kar raha tha , fridge ko asani se khul jana chahiye tha.

Ab ki baar main glass ek traf rakh kar bahut zoor se fridge door kholne ki koshish kar raha tha , ek paun pichle hisse par tika kar peer ka zor bhi laga liya lekin darwaza na khula m mujhe dar tha ke mazeed zor lagaya to wo apni jagha se hill jaye gay a gir jaye ga.

Pareshani barh chuki thi aur me is nayi aftad(musibat) ke lie tyar nahi tha , jisam ek bar phir paseene me dobna shuru ho gya tha aur mere aisab jwab de chuke the.

Majboran thande pani ka irada tark kar ke maine jaldi se glass uthaya aur sink se pani bhar kar pe lia. Glass wapas rakh kar main kichen se bahar nikalne ko tha k eek bar phir fridge samne dekh kar us ke darwaze ke handle ko pakda, '

Darwaza is bar mamoli hath lagne se itni zor se mukammal tor par khul gya jaise kisi ne andar se bahut zoor dar dhakka dia ho, mujhe darwaza khul ke itni zor se laga ke main peeche dewar ke paas ja kar gira,

Fridge me moujood har cheez yahan tak ke darwaze par rakhi botlein bhi bilkul sahi apni jagha par then , aur itni zor se darwaza khulne se andar ki cheezein bahar nikal kar girna yaqeeni tha,

Aao dekha na taao main kichen se bahar ki traf bhaga , na light band kar saka aur na hi fridge ka darwaza aur seedha apne kamre ki traf doud lgayi.

Kamre ke darwaze par pohanch kar maine jaise hi lock ki taraf hath barhaya, main do teen kadam peeche kheench gya ,

Mujhe kisi ne nahi pakda than a hi kisi ne mujhe peeche dhakela tha

Ab ki baar main apne pure hosh o hawaas me ye khichao mehsoos kar raha tha, aur mujhe pora yaqeen ho gya tha ke mere sath koi anjaan taqat moujood hai jo sirf meri had tak ki hi mehdood hai, jo sirf mujhe hi dikh ya mehsoos ho rahi hai,



Dobara teezi se kadam barha kar lock ko thama aur jaldi se ghuma kar kamre me dakhil ho gya. Ye sab kuch itna aanan fanan hua ke main kichen se paglon ki tarha bhaga tha aur koi light bager band kiye seedha kamre me ghus gya,



Bed par meri biwi aur beti pur sakoon andaaz me soye hue the aur main ek qurb aur aazab se guzar raha tha .



Main bed par leet kar ek baar phir un khyalate ki nazar ho gya tha. Accident se lekar kadam peeche khicnh jane tak aur pichle dinoo ke gher mamooli waqiat sab mujhe usi accident ki wajah mehsoos ho rahe the lekin ab kia ho sakta hai, kaise main in khyalat par kaboo paaun, kaise main khud ko aru apne ghar ko in cheezon se bachaun, bahut deer tak yahi sab sochte hue najane kis waqt meri aankh lag gayi thi.



Qareeban subah 11:00 baje ke waqt mere mobile par musalsal bajti bell se meri aankh khuli.

Dusri traf mera office collegue shayan tha jo ab tak office na pohnchne ki wajah poch rha tha

"yar aaj main nahi aa sakun ga , tabiyat thek nahi hai "ye keh kar maine jaan churani chahi.

"kia hua tujhe bhai aaj kal tu kuch ajeeb hi behave kar raha hai pehle to maine hi ye baat mehsoos ki thi lekin abhi tera zikar hua to eek do aur logon ne bhi aisa hi kaha hai"

Wo meri pareshani ki wajah janna'na chahta tha,

Shayan mera purana dost aur office me bhi sath kam karta tha aur main apni har baat hi us se share karta tha , lekin na jane kyun ab tak ye baat main us se share nahi kar saka tha

"yaar tu aaj office ke baad mere pass chakkar laga , kuch baat karni hai zaruri"

Meri awaz neend me doobi hui thi , shayan ne bhi zyada swal nahi kie aur aane ka keh kar phone band kar dia.

***********************************

Dopeher ka time tha main room me betha laptop par office ki emails check kar raha tha , achanak ek zoor dar awaz se main chonk kar reh gya , awaz bahar ki traf se aayi thi aur kisi lohe ki cheez se takrane ki maloom hoti thi , main harbara kar uth betha aur andaze ke mutabiq bayen traf khidki ki janib barha , awaz chonke bayen traf se aayi thi aur mojoda kamre se bahar ka darwaza bayen traf wali khidki se nazar aata tha , kamre me mojood khidki se bahar ka jaiza lene ki koshis karne laga lekin bahar khidki se bahar peed ki wajah se mukammal tor par nahi dekh pa rha tha.

Qareebi table ko pass khech kar is pr khade hokar khidki k eek kinare se dekhne ki koshish ki, meri nazar bahar ke gate par padi, to jaise ek dhachka sa laga ho ,



Meri gadi jo ghar ke andruni hisse me park hoti thi , gate ke sath bahar se takrayi hui thi aur darwaza kisi had tak andar ki traf juk gya tha , wo lohe ka ek bada aur mazboot gate tha jo bina kisi badi cheez ke takrane se aise nahi toot sakta tha , darwaza andar jhukaa hua aur gadi bahar us se lagi hui dekh kar mujhe andaza hua ke gadi bahar ki traf se gate se takrai hai hai. Main table par uchak kar dekhte hue surte haal ko samajhne ki koshish kar raha tha aur neeche ja kar dekhne ka irada kia hi tha ke apne peeche kisi ki aahat mehsoos hui, be sakhta palat kar dekha to koi bhi mojood na tha.



Jaldi se table se utarne ki garz se neeche nigah ki to mere lie dusra jhatka tha, main hawa me khara tha aur table apni wahi purani jagha par mojood thi , is se pehle ke main sambhal pata aur us table se utarne ki koshis karta jis par main tha hi nahi, chalang lagani chahi lekin

Kadam zameen par lagte hi larkhara gaye aur main sambhal na saka , munh ke bal zameen par gira ji ski wajah se sir zoor se zameen se takraya tha aur naak se khoon nikalne laga.

Mere lie ab in halat ka muqabla karna na mumkin ho gya tha , shayan ne sham ko aana tha aue main ghar se abhi hi bhaag jana chahta tha …….



"sasha…..sashaa."

"sasha idhr aao jaldi se" zoor se awaz laga kar sasha ko bulaya

Sasha meri awaz sun kar jaldi se kamre me aayi " aree ye kia hua hai? Aap ki naak se khoon kyun beh rha hai" sasha ne mujhe zameen par is halat me dekhte hi pucha



"gir gya tha yaar" maine bebasi ke andaaz me kahaa

"bahar dekho zara ghar ke gate ko" khidki ki traf ishara karte hue sasha se kaha jo apna dupatta lie meri naak se khoon saaf kar rahi thi.



"Kia hua bahar ke gate ko?" sasha khidki se bahar khank kar boli

"kia matlab tumhara? Gate ko dekho bahar ke aur meri gadi ko "

Maine gadi aur gate par zoor dete hue kaha

Wo ek baar phir jhank kar meri traf swaliya nazron se dekhne lagi.


Pata nahi meri aankhon par khof ki patti bandhi thi jo mujhe ye sab hote hue nazar aa raha tha ya phir kuch ho hi nahi raha tha aur ye sirf mera khyalat hon jo mujhe aisa dekhne par majbooor kar rahe hon ya phir sasha ki aankhon par patti bandhi thi jo use na to kuch dikhayi de raha tha aur na hi usne wo shor ki awazein suni thi aur na gadi ka gate se takrane ki aawaz…………….

Continued.......

please Give your review here. :thankyou:
 
Last edited:
Well-known member
1,890
5,090
145
Update 1

bahot hi khatarnaak twist ke sath suru huyi hai kahani.... jaha horror ka pura tadka lagaya gaya hai... I think ye ek kahani mistake, crime, vengeance aur retaliation pe adhaarit hogi....
Well...wo kahawat hai na ki jaise insaan ko achhe karmo ka inaam aur apne bure karmo ki saza isi duniya mein bhugatna padta hai. ..
ahmad jo ki ek kaafi amir aadmi hai, apni family ke sath rihayeshi ilake mein rehta tha, achhi khasi samapti bhi thi aur society mein rasookh bhi tha.... Ek khush haal jindagi, lekin uske jindagi mein ab ek mod aane wala tha ... Jiska ushe ilm tak nahi tha...
haalaki ahmad bura insaan na tha, na kabhi koi bura kaam kiya ho...
Lekin kehte hai na ki jindagi aapse pariksha leti hai....
wo pariksha ka lamha ahmad ki jindagi mein bhi aaya.... lekin usne yahin pe bahot badi galti kar baitha ... Ek nahi balki kayi galtiyaan kahi jaaye to behtar hoga...
Pehli galti Usne us aurat ko uski bachhi sahit car se uda diya,
dusri galti un dono aurat aur bachhi ko wohi usi jagah marne ke chhod ke waha chala gaya...
Teesri galti sasha ke itne baar puchne par usne sasha ko kuch bhi nahi bataya.... agar sasha asal baat jaan jaati to wo jarur madad karti us aurat aur us bachhi ko...

Actually Ahmad ne jo kiya pehle to galti thi, lekin uske baad jis tarah us aurat aur bachhi ko ignore kar kisi behad swarthi insaan ke tarah waha se chala gaya tha, wo bahot bada gunaah tha....
usse bhi bada gunah, is baat ko apni biwi se chupake kiya... shayad sasha un dono ko bacha leti... Lekin us Ahmad ki chhupi ne do maasoom logo ki jaan le li...
Ab gunaah kiya hai to saza mileni hi thi... Police ya sasha ko pata nahi tha is bare mein lekin upar wale ko to pata tha ..
maybe uski saza tay bhi ho chuki hai.. wo aurat aur wo bachhi laut aayi hai badla lene ...lekin ab dono insaani roop mein nahi balki ruh banke lauti hai ...kyuki un dono ke insaani roop ko to khud Ahmad ne hi khatm kar diya tha ,...lagta hai dono hi pratishodh ki aag mein jal rahi hai...
btw Ahmad ek confusion mein hai ki ye raat ke 3 baje wala kaand sach hai ki sapna,, waise jakhm ke sare nisaan to chikh chikh kar yehi kahe ki jo bhi hua tha uske sath sab bilkul sach tha ....

so aakhir mein kul milake baat ye hai ki Ahmad to giyo :roflol: lo us bachi ki hath bhi aa gaya latak ke hil dul ke, ab wo bachi bhi aayegi aur uski maa bhi... Ya ye kahi jaaye ki dono ki ruh bhi :D

waise ye cheeje koun gayab kar raha hai :lol1: bhoot to churane se rahe... To phir? :roflol:

Is update mein do best se scenes the :D

Ek to jab usko ghasitkar le gayi thi us ruh ne....nind se uth te uske chehre ka expression kaisa raha hoga :laugh1:
Aur Dusra scene .... Ye sasha aur hamna to kumbhkarn ki nind soti hai.... ek baar nind mein gayi to samajh liyo ki kan ke paas lohe pe hathoda bhi maar do phir bhi nahi jaagne wale dono ke dono :lol1: us accident wali raat ho ya phir Ahmad ko ghasitne wali raat ho ,, dono ma beti mast soyi huyi thi wo bhi hathi ghoda gadha tabela bech ke :lol1:
Bhala aise bhi koi sota hai kya :D

Khair....
Shaandaar update, shaandaar lekhni aur shaandaar shabdon ka chayan...

Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :clapping: :clapping:
like always!!! outclass and excelling "REBOS"... :clapclap:
 
Eaten Alive
4,118
4,183
143
, wo shayad bhool gya tha jo usne kuch din pehle kia thaa is lie chain ki neend so raha tha , expression kaise ho sakte hain jab kisi ko achi khasi neend se you ghassette hue uthaya jaye
:roflol: maybe ahmad ke liye wo wtf moment tha ... :lol: btw mujhe na horror movies ho ya novels ya stories.. sabse zyada hansi aise moments pe hi aati hai...
waise ahmad ka chehra dekhne layak hoga :lol1:
 
Eaten Alive
4,118
4,183
143
Ye manzar dekh kar mera dil uchal kar halaq tak aa gya aue main takreban chekh utha tha lekin meri checkh mere halaq me ghut kar reh gayi, jald ehsaas ho gya ke main kisi basi musibat me griftar ho gya hun , ye dusri bar raat ke waqt me aise halat ka samna kar raha tha.
Ye ahmad to hansa hansa ke pet mein dard karwa dega :roflol:
Waise agar uska dil halak mein aa gaya tha to dil ki jagah kisne liya...
HAKIMHAKIM's icon sahab ye bhi gaur karne wali baat hai :D
 
Eaten Alive
4,118
4,183
143
Update 2

Ahmad samajh chuka hai ki ye jo bhi bhayank ghatanaayen ho rahi hai uske sath ,, jo bhi saanse ruk jaane wali paranormal activities wo dekh raha tha ye sabhi ho na ho us accident se hi related hai ...
aur ye sabhi gatividhiya kam hone ki jagah aur hi zyada badh gaye har pal ke sath....
Yaha gaur karne wali baat ye hai ki jo bhi paranormal activities ahmad ke sath ho raha hai , us sabhi activities ko sirf aur sirf wo hi mehsoos kar sakta ya dekh sakta hai...
Ab us aurat aur uski bachhi ki maut ke jimmedaar to ahmad hi tha na, to bhala sasha ya koi aur kyun saza milne lagi bhala.... saza to sirf ushe milegi jisne galti ki hai, jisne gunah ki hai...
pal pal tadapna kise kehte hai, har lamha dar ke saaye mein rehna kise kehte ye baat ab puri tarah samajh chuka hai ahmad, ..... Jis taraf wo aurat ya uski bachhi ki tadap tadap ke raste mein maut huyi thi, thik waise hi maut se pehle hazar baar maut ke ehsaas ko feel karne wala hai ahmad....
Jis tarah se us raat madad na ki dono ki, thik usi tarah ab ahmad ko bhi koi madad nahi milegi...
ab to dar ke mare ahmad ko khud ka ghar kaatne ko uske piche daude jaise...

Waise ushne apne dost shayan ko bulaya hai... lekin kya shayan puri sachhayi bata sakega wo...
aur socne wali baat ye hai ki kya puri sachhayi jaanne ke baad shayan ahmad ki madad karne aage aayega... Kyunki saamna kisi jinda insaan se nahi balki badle ki aag mein tadapti do ruh se karna hai...

Khair.....
kahani mein kayi scenes create huye hai, sabmein horror ke sath thrill ka ek anokha sangam hai... specially kirdaar ka expressions...
Ghat rahi ghatano mein Kirdaar ke emotions ko,uske dar ko bahot hi kaabile tarif tarike se pesh kiya hai.. jisse padhne mein aur dilchasp ho gayi hai kahani.... aur sath hi iske har ek pehlu...
Btw inme se best scene wo latakte hath wala scene.. :perfect:
fear aur thrill ka mila jhula mahol taiyar ho gaya tha...

Well let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :clapping: :clapping:
 

Top