Thriller DARD

LEGEND NEVER DIES................................
Moderator
17,457
28,958
173
UPDATE - 7

Mai ye sun raha tha meri aakh me aasoon the oar maine unhe rok liya kyuki kasam khai thi. Mai bhi sochne laga kal dekh hi leta hu ki ye log kitna niche gir sakte hai..

Abb ageee............

Mai waha se apne room me aa gya aur soch raha tha ki pichle janam me maine aise kaunse paap kiye jo aise maa baap mile hai .
Phir socha aaj saimaa maa aur Swara se jee bhar kar baat kar leta hu pata nhi kal ke baad rahu na rahu kyuki mujhe yakin hai ki kal wo log mujhe zeher khila hi denge. Phir mai utha aur saima maa ke pass chala gya aur jate hi unhe gale laga liya. Wo iss tarah achanak aate hi mere gale laga ne se chintit ho gyi aur pucha
Saima maa : kya hua beta. Kisine kuch kaha kya.
Mai : nhi maa.
Saima maa : phir aaise kyu gala laga hai
Mai : lag lene do maa kal kisne dekha hai kya pata hum rahe na rahe.
Saimaa maa : pagal kuch bhi bolta hai bhagwan kare tujhe meri bhi umar lag jaye.
Mai chup ho gya phir thodi der unse baat karke Swara ke room me chala gya.
Mai waha pocha aur darwaja khat khataya. Unsne darwaja khola aur mujhe dekh ke boli
Swara : aaj suraj kaha se nikla hai jo raja ji iss garib ke yaha padhare.
Mai : aree rani sahiba hum to aapke gulam hai aur aap aisi baate kar rhi hai.
Swara : anadar ayenge yaa darwaje par hi baat karenge.
Phir mai andar aa gya aur niche jamin pe baith gaya.
Swara : aree niche kyu baith gye
Mai : wo mujhe sofe pe ya bed pe baith ne ki adat nhi hai iss liye .
Ye sunke wo udas ho gayi par agle hi pal meri god me aake baith gayi
Mai : arree mere godh me kyu bith gayi
Swara : (ghur ke) meri marji .
Mai : achcha , mujh se promise kar mai tere pass rahu na rahu par tu aise hi khush rahegi.

Ye sunke use gussa aur aakhn me pani aa gya . Wo mera collar pakad kar mera muh apne paas le aayi aur meri aakhon me dekhte hue boli.
Swara : ye apne bola bhi kaise ki mai apke bina khush rahu. Jis din aap na rahe samaj lena ki maine bhi apna nata iss jindagi se tod liya.
Mai usse dur hua aur mahol halka karne ke liye bola.
Mai : kuch bhi bolti hai. Mujhe to dar lagta hai ke lahi to physco to nhi ho gyi.
Swara : aapne mujhe physco kaha

Aise hi kuch der halki fhulki baate hui phir mai apne kamre me aake let gaya aur kal ke baare me sochne laga. Kush tha agar kal mar gaya to kamse kam 2 log to yaad karenge hi.
Aise hi nind aagyi. Sabere utha to dekha ghar me sab taiyari kar rahe the aur aaj saima maa bhi nhi aayi thi. Mai naha do ke taiyaar ho gaya or bahar aa gya . Mujhe Swara dikhai nhi di wo dost ke yaha gyi thi.

Mai abhi bahar aya hi tha ki aaj pehli baar maa (shikha Rajput) ne mujhe awaj di.

Mom : Reyansh..
Mai : ji kahiye kya kaam hai
Mom : hum sab bahar ja rahe hai hamare jane se pehle ye khir kha lo..
(mai man me : chalo kuch bura hi sochkar aapne naam to liya mera)
Mai jaan gaya tha ki is khir me jahar milaya gaya hai phir bhi maine keh diya
Mai : thik hai

Mom waha se jaa hi rahi thi ki mai bola.
Mai : kya pehla niwala aap khila dengi.
Mom ke muh se koi shabd nhi nikal rahe the wo waha se apne room me chali gyi chachi bhi unke piche ho li.

In room

Chachi : kya hua bhabhi usne khir khayi ya nhi?
Mom : wo chahta hai ki mai use apne hath se khir hilau.
Chachi : to khila dijiye na konsi badi baat hai.
Mom: nhi ye mujhse nhi hoga mai apne haath se use zeher nhi de sakti
Chachi : agar aapne aisaa nhi kiya to plan fail ho jayega aur bhaisahab aap pe hi gussa honge.
Mom kuch nhi boli aur mere paas aakar chair pe baith gayi aur boli.
Mom : chola mai khila deti hu.
Mai : ji.
Mom ne khir se bhara chamach apne kapte hue hath se uthaya aur mujhe khilane lagi.
Mere aakhon me nami aa gyi kyuki aaj pehli baa mom mujhe apne hath se khila rahi thi zeher hi sahi par khila rahi thi. Mai ne asoon ko chalakne nhi diya aur khir khatam kar di phir sab jaldi se kahi bahar chale gaye.

Mai chupchap dadaji ke khursi ke paas jakar baith gaya aur ab apni maut ka intajar karne laga. Mujhe khushi thi kamse kam abb iss narak se azadi milegi aur mai apne dadaji se mil sakunga.
Thodi der baad mujhe pet me dard hone laga aur aakhon ke saamne andhera chane laga mai wahi zamin pe gir gaya mere muh se jhaag aane laga.
Tabhi Swara jo abhi dost ke yaha se lauti thi abhi upar apne room me hi jaa rhi thi uski najar mujhpe padi. Wo daudte hue mere paas aayi aur boli.
Swara : bhaiya kya ho gya aapko uthiye.... Uthiye na
Mai uth nhi rha tha ye dekh kar wo dar gyi aur jor jor se rone lagi. Achanak use kuch dhayan aya aur usne meri saans check ki saans abhi bhi chal rahi thi.
Usne jaldi se ambulance ko phone kiya. Thodi der me ambulance aagyi aur usme mujhe le jaya gaya sawara bhi sath hi aayi . raste bhar wo roye ja rahi thi aur bhagwaan se dua maang rhi thi ki mai bach jau.
Swara : aap mujhe chod ke nhi jaa sakte....
Aur rone lagi. Phir mujhe operation theater me le jaya gaya. 2 ghante ke baad doctor aaye aur bole
Doctor : shukr hai aap inhe sahi time pe le aaye nhi to ye bach nhi pate kyuki inhe bohot poisonous zeher diya gya tha.
Swara ye sunkar shock ho gyi phir boli
Swara mai kabtak unse mil sakti hu.
Doctor : Aap unse 2 ghate me mil sakti hai .
Swara : thank you Doctor so much.
Doctor : koi baat nhi ye to hamara kaam hai par inhe poison diya kaise gaya aur kisne diya.
Swara : pata nhi doctor
Swara ne bhi iss baat per abhi dhyaan nhi diaya tha phir wo kuch sochne lagi...


Dekhte hai aage kya hota haiii......
wow nice update
 
expectations
22,435
14,670
143
UPDATE - 15
(MEGA UPDATE)

Hum baithe hi the ke tabhi waha kuch logo ka group enter hua unme wo gangster pushkar bhi tha.

Aabbb aaagggeee......

Humne jaise hi pushkar ko dekha waise ki chaukkanna ho gye. Samira ne mujhe ishare se darwaje ko lock karne ko kaha. Maine waisa hi kiya phir samira aage jaane lagi par maine use roka aur bola.
Mai : mai handle karta hu tum gadi ready rakho.
Samira : tum kar to loge na.
Mai : hmmmm

Ye bol mai waha chala gya jaha pushkar dance kar rha tha. Mai usse easily power ki madad se padak sakta tha par mai apni power use nhi karna chahta tha. Kyuki abhi tak mai use control nhi kar paya tha jo bhi tha mere andar bohot powerful tha aur use control karna lag bhag na munkin tha.

Mai pushkar ke piche ja ker jeb se gun nikali aur chupke se uski kamar pe tika di aur dhire se uske kaan me bola.
Mai : agar jara sa bhi chillaya ya hoshiyari dikhayi to isi ghode se teri maa chod dunga.

Pushkar bhi samajh gaya ki baat ab uske paksh se bahar hai iss liye chup rehene me hi usne apni bhalayi samjhi. Mai use leke phir darwaje tak gaya jaha samira khadi thi.
Samira ne pushkar ko dekha aur muskurayi aur mere taraf dekh ke boli.
Samira : good job. Ab ise bahar car me le chalo.
Mai ne bhi waisa hi kiya. Humne use bandh ke dikki me dala aur nikal gye wapas delhi ke liye. Phir hum delhi pahuche aur Pushkar ko police ke hawale kiya. Aur apne bounty hunting ke paise liye aur nikal liye waha se.
Samira : Reyansh tumhe pata hai tum sab chize badi jaldi seekh jate ho.
Mai : (smile)☺
Samira : tum chaho to mere sath shift ho skte ho waise bhi mai akele hi rahti hu.
Mai : nhi mai aise hi thik hu.
Samira : oh come on now we are friends.
Mai : thanks but nope.
Samira : as you wish.
(3rd person's perspective)
Aise hi 1 saal 5 mahine bit gye reyansh ki bounty hunting chalti rahi usne pehele ho ek open college me admission le liya tha to bas exam dene jata tha. Inhi bich samira aur reyansh kafi close ho gye par dono ne abhi tak ek dusre se kuch kaha nhi tha.

Mr. Raghuveer ke yaha

Raghuveer ne apni puri takat jhounk di par abhi tak reyansh ko dhundh nhi paya tha.
Swara ka apne bhai ke liye pyaar ab bhai behen se kafi aaage nikal gaya tha ab uska pyaar junoon me badal gaya tha ab reyansh se juda hoke wo pagalsi ho gyi thi wo reyansh ko iss kadar chahne lagi thi ke agar use reyansh na mila to wo apni jaan dede. Wahi janvi ki mano dasha bhi kuch thik nhi thi wo har wakt apne aap ko reyansh ka gunhegaar manti thi bas ab wo reyansh ka intezaar kar rhi thi ki kab reyansh aaye aur wo use pairo me gir ke maafi mange par shayad bhagwan abhi use ye bhi nasib nhi hone dena chahta tha. Wahi Mrs Shikha ko bhi pachtawa ho rha tha par unhe umid thi ki reyansh sab kuch bhula ke unhe maaf kar dega. Mrs. Kamya (chachi ) ki toh lafi bade maze aur aisho aram me kat rahi thi unhe na koi pachtawa tha na koi dukh. Mr. Yash (chacha) kafi dukhi rehte the par unhe afsos tha ke unhone samay rehte awaj kyo nhi uthayi yahi baat unhe sataati thi. Divya (chacha ki beti) ko koi matlab nhi tha wo to bas party aur friends me busy rehti thi use reyansh ke jane se bas ek hi baat ka gum tha wo ye tha ke uske ghar se ek naukar kam ho gya. Avni ne to Reyansh ko apne man mandir me basa liya tha balki wo to abhi se khud ko reyansh ki suhagan samajhti thi Reyansh ke liye sare warat karti thi use bas reyansh ke aane ke deri thi taki wo use apna bana sake aur apna sara pyaar uspe luta de.

Saima to reyansh ke jane ke baad khaamosh se ho gyi thi wo apne bete ki judayi sehen nhi kar pa rhi thi. Uske liye to reyansh use sage bete se bhi jada tha akhir usne reyansh ko apni chati se jo doodh pilaya tha. Wo din bhar bas bhagwan se ye dua karti ke reyansh uake paas lout aaye.

Khair aab chalte hai Reyansh ke paas.
Aaj reyansh jaldi utha tha aur taiyaar hoke office nikal gaya. Waha jaldi pohoch gaya tha abhi koyi nhi aya tha waha. Wo apne cabin me baith gaya abhi use baith kuch der hi hui thi ke samira uske cabin me aa gyi.
Samira : good morning sweetie
Mai : good morning samira lagta hai aaj kafi ache mood me ho koi khaas baat
Smira : khaas baat to hai .guess what ?
Mai : aaj tumhara birthday hai.
Samira : nope
Mai : to phir.
Samira : aaj mai apne lover ko propose karne karne wali hu.

Ye baat sunke to mujhe aisa laga jaise meri aatma mera saharir chod kar ja rha hai. Mai apne emotions ko kaabo hai sari himmat juta ke kaha.

Mai : congrats. K...kon hai wo khushnasib.
Samira : hai mera koi chahne wala.
Mai :(dard bhari smile)

Mai apne khayalo me khoya hua tha tabhi samira apne ghutno pe baith gyi aur mujhe hosh me late hue boli.
Samira : I love youuu.. Mr Reyansh
Yes reyansh you are the love of my life.
Will you accept me.

Mai :( chekhte hue) off course yes mai ye sunne ke liye tadap gaya tha samira.
Maine bhi ye uske sath ghutno pe baith te hue kaha.
Samira : mai bhi reyansh isi waqt ka inte jaar kar rhi thi.
itna bol wo seedhe Reyansh pe toot padti hai aur ek hi jhatke me uske honth apne hontho me bhar leti hai. 'Mmmmmmmmmmmmm'
Dono passionate kiss me doobe hue the.
Samira ne apni jeebh reyansh ke muh me dal di usne bhi koi virodh nhi kiya. Dono ek dusre ko chum chaat rhe the dono ka muh thuk se san gaya tha . dono to ek dusre ka thook pi rhe the 5 min baad jab wo alag hue to dono ke beech ek thook ka tar ban gaya tha. Dono
Apni saase kaaboo me kar rhe the phir ek doosre ki aakhon me dekhne lage aur phir kiss start kar di. Phir thodi der baad reyansh use apne aap alag kar bolta.
Mai : hai control karo ye office hai koi bhi aa skta hai .
Samira : ji mister lover.
Mai : hehehehe..

(Reyansh ke view se)
Aise hi waqt bit rha tha par mai aur samira physical nhi hue the mai chahta tha ki hum shadi tak ruke. Mai second year complete kar chuka tha. Mai apni takat ko lagbhag kaaboo kar chuka tha meri powers kafi bad chuki thi mujhe goli nhi lagti thi, mai andhere ko kaaboo kar skta tha, ab mai bohot jada handsome dikhne laga tha ke har mahine kam se kam 15-20 proposal aate the, mera jism to jaise faulad ban gaya tha, par powers ke side effects bhi the mujhe gussa jaldi ata tha aur gusse me mai to kisi ki jaan bhi le sakta tha halaki abhi tak aaisa kabhi hua nhi tha . Sab sahi chal raha tha par meri kismat ko shayad ye hazam nhi hua phir aa gya wo din jis din maine apna astitwa hi kho diya.
Aaj mai aur samira date par jaa rahe the mai use pick karne use uske ghar gaya mai abhi darwaje tak pohochke darwaja khat khata rha tha par koi response nhi aya to maine darwaje ko push kiya to wo khul gaya.
Mai : kitni careless ho gyi hai dawaja bhi khula chod rakha hai agar meri jagah koyi chor aa jata to. Abhi class leta hu iski jake.

Mai bina awaj kiye samira ke room ki aur chal diya abhi mai waha pohcha hi tha ke mujhe siskne ki awaj aane lagi par ye rone wala siskna nhi tha par mera dil ye maan ne ko taiyaar nhi tha maine darwaja halka khola aur jo andar dekha use dekhne ke baad man kiya ki abhi aatmahatya kar loon.
Andar samira sirf bra aur panty mera kisi ke godh me baithke use kiss kar rahi thi.


Ye dekh mera dil hazar baar toota par uski awaz kisi ko sunayi nhi di. Aur mai hazar moute mar chuka tha meri aakhon me aasoon jama ho gye the par mai apne dadaji ki kasam ke karan use baha bhi nhi sakta tha. Andar wo dono baate kar rhe the jo mai sun sakta tha.


Samira : chodo bhi mujhe jana bhi hai wo ata hi hoga.
Aadmi : kon wo reyansh.
Samira : haa wahi aur kon.

Aadmi : mujhe samajh nhi ata aakhir tum use chod kyu nhi deti pyaar to tum use waise bhi nhi karti agar karti to mujhse naa Woh Karti

Samira : paisa darling paisa jabse wo aya hai tabse itna profit ho rha hai. Mai use yaha se jane nhi dena chahti thi is liye pyaar ka natak kiya


Ab mujhse aur nhi saha ja rha tha meri aakhen poori kaaali ho chuki thi chehre pe haivaniyat cha chuki thi mai darwaja dhakka de kar pura khol diya jaise hi samira ki najar maujh par aur meri aakhon pe padi wo sehem uthi kyuki itne samay me maine use apni takat ke bare me bata diya tha. Mai aage badh rha tha.
Samira : wo.. wo R.. Reyansh jo tum samajh rahe ho aisa kuch nhi hai. M...meri baat to suno.
Mai jake ke us aadmi ke saamne khada ho gya.
Aadmi : abe londe sidhe sidhe bahar nikal ja aur maine choda teri mehbuba ko ja jo karna hai kar le.
Mai bina koyi reaction diye speed me uski gardan pakad ke hawa me utha diya. Samira ye dekh ghabra gyi.
Samira : use chod do reyansh wo mar jayega.
Aadmi : bhai mujhe chod do mai kabhi bhi yaha nhi aaunga .chaho to badle me meri biwi chod lo par chod do.
Maine bina samira aur us aadmi ki baat sune us aadmi ki gardan dhire se dabayi jisse uska sar use jism se juda ho gya. Maine uske sar ko side me phek diya. Aur samira ki taraf dekha jo dar ke mare kamp rahi thi aur bola.
Mai : (sard lehje me) kyu ?
Samira : m.. Mujhe maaf kardo mai jism ki aag me behek gyi thi.

Maine apne gusse ko kabu kar apni aakhen normal ki aur samira ki taraf dekh ke kaha.
Mai : kya kami reh gyi thi mere pyaar me agar itni hi aag lagi thi to keh kar to dekhti.
Samira : mujhe maaf kardo .mai tumse sach me pyaar karti hu.
Mai : hahahahaha..payaar thu hai tum par ab to sach bol do. You know what you are just a bloody whore . Ye hamari aakhri mulakat hai.
Samira : (rote bilakhte hue) aisa mat kaho reyansh bas ek baar mujhe maaf kardo.
Mai : Suna hai ek sachche aashik ka dil kabhi nhi dukhate uski bad dua kabhi khali nhi jati to aaj mai tumhe dil se bad dua deta hu tum kabhi kush nhi reh paaogi , har pal tadpogi par tumhe kabhi pyaar nasib nhi hoga.
Samira : nhi reyansh mat jao maaf kardo mujhe.
Mai : agar mera pyaar sachcha tha na to aisa hi hoga tum jindagi bhar tarsogi pyaar ke liye.

Mai : aur is lash ki fikr mat karo.
Itna bol maine apna hath aage kiya aur us aadmi ka sharir aur sar kale dhue me badal ke ud gya ab mujhse waha ruka nhi gaya. Mai bas samira ko itna bola
Mai : (dard bharihasi ke sath) "ISHQ" mubarakh meri bewafa mehbuba .

Aur itna bol waha se nikal gaya .mai wapas ja rha tha ke raste me ek dargah per ruk gaya aur andar jake anpa sar niche tika ke roni si awaj me.
" mere DARD ki nhi dawa maula madad kar tera aasra to kisi se na lage darr"
Mai : pta hai aaj mera aap pe se vishwas uth gaya hai. Maine har dharm ki mana, har bhagwan ke dar pe sar tikaya par mujhe kya mila har baar dhoka fareb. Maine to kabhi kuch jada nhi manga tha aapse bachpan me chahta tha ki bas maa baap ka thoda sa pyaar mil jaye par nhi mila. Baad me chaha ki dadaji ji ka sath mahesha rahe aapne unhe bhi cheen liya. Ab to jeene ki aakhri umeed bhi aapne mujhse cheen li, mai marna chahta hu par aap marne bhi nhi dete .koi hathiyar asar nhi karta kitni bar jan dene ki koshish ki par har bar kuch nhi hota... Kyu.. Kyu kar rahe ho mere sath aisa.
1 ghante baad mai dargah se bahar aya aur maine faisla kiya ki ab yaha nhi rahunga. Mai gadi leke ghar gaya zaroori saman pack kiya aur flight book karne laga par pata nhi tha ki kaha jau. Phir maine socha ab waise bhi mere paas ab apna kehene wala koi raha nhi ab khood ko majboot banaunga. Phir maine decided kiya ki mai Russia jaunga kyuki waha ki special forces ko di jane wali training duniya ki sabse tough training kahalai jati thi aur log kwhete the ye training lene ke baad aadmi ke emotions khatam ho jate hai iss liye maine Russia ko chuna. Flight book karne ke baad mai bahar jungle ki aur nikal gaya shanti ki talash me kyuki meri flight kal ki thi. Mai ek sunaaan park me jake ke ek bench pe biath gaya aur us bewafa ke bare me sochne laga jiae mai pyaar karta tha.

Tabhi dimaag me awaj gunji
Awaj : aagya swaad bhala banke.
Mai : bolo kyaa kehena chahte ho
Awaj : yahi ki ye pyaar hum jaiso ke liye nhi hai.
Mai : tum aur mai alag alag hai.
Awaj : hum alag nhi hai hum ek hai. Mai bas tumhari fikar karta hu kyuki kisine tumhe tut te hue nhi dekha maine dekha hai tumhara dard mehsus kiya hai. Logo dhutkar dekhi hai, kaise wo hume zalil karte the. Iss liye kehta hu ye duniya tumhe kha jayegi aur agar jina hai to kudh ko us kabil banao ki puri duniya ko jhuka sako.
Mai : tum thik kehte ho. Ab badalne ka waqt aa gya hai.
(chillate hue) abbb badalne kaa waqt aa gyaa haiiii...
Tabhi meri aakhen kali ho gyi aur pith me dard uthne laga aur dekhte hi dekhte meri pith mese pankh nikal aaye.


image

Mera koi reaction nhi tha iss baat par maine wapas kudko normal karne laga phir pankh gayab kiye aur wapas ghar nikal pada apna saman uthaya aur hotel nikal pada kyuki mujhe pata tha samira wapas mafi mangne aaegi aur mai ab mai use apne samne bardasht nhi kar skta tha iss liye nikal gaya hotel aur apne naye safar ki aur.......

Aab aaaggee dekhte hai kya hota hai.


Review ka intezaar rahega.

Itz Anjum
supreb update
 
i ÃM ŸöÜř Đãď
492
247
43
UPDATE - 16

hotel nikal pada kyuki mujhe pata tha samira wapas mafi mangne aaegi aur mai ab mai use apne samne bardasht nhi kar skta tha iss liye nikal gaya hotel aur apne naye safar ki aur.......

Aabb aagggeee..........

Hotel pohochne ke baad mai ek room book kar kuch hard drinks kharid kar room me chala gya. Room me aa kar seedha sharab ki bottle ko muh se laga kar ek hi baar me khatam kar diya (nasha hona na hona ye mere uper tha powers ke karan mai jab chahu tab hi mujhe nasha hoga otherwise nhi hoga). Phir dusri bottle khatam ki aur bed pe let gaya aur aakhen band kar liya par jaise hi aaakhen band ki Samira ka chehra saamne aa gya phir agle hi pal uska wo ganda sach yaad aa gya aur itna gussa ane laga ki body se dhua nikalne laga. Mai uth ke sidha shower on krke uske niche khada ho gya. Kuch der baad mai sahi ho gya par aaj ek baat mai samajh gaya tha ke mai ab wapas pyaar nhi kar paunga kyuki ab koi aur dhoka jhelne ki takat nhi thi mujhme.
Agli din mai flight se aidha Russia ke liye nikal gaya. Mai ne apne sources se sabse hard training dene wale Russian mafia camp ke bare me pata lagaya tha aur mai wahi jane wala tha apni practice ke liye.
Mai aeroplane me baitha apne life ke experience ke bare me soch rha tga waise uae experience kehna galat tha kyuki abhi tak mujhe sirf gum dard dukh aur dhoke hi mile the . Mai soch hi rha tha ki mere bagal wali seat pe ek mid aged aadmi aake baith gaya. Usne meri tarf dekha aur kaha.
Aadmi : myself Aanand Mehta. Mai ek poet hu.
Mai : (cold tone me) to mai kya kru.
Aanand : tum to kaafi rude ho yaar.
Mai : (no answer)
Aanand : agar tum aise hi shant baithe rahoge to mai to bore ho jaunga. Chalo mai tumhe apni poetry sunata hu.

"Mohabbat ki inteha na puchhiye,
is pyaar kee vajah na puchhiye,
har saans me samaye rahte ho..
kahan base ho tum jagah na puchhiye."

(third person perspective)
Ye shayari sunne ke baad Reyansh ke expression change ho gye use samira ka chehra yaad ane laga aur wo udaas hone laga tabhi aanand bola.

Aanand : lagta hai dil tute aashik ho. Tumhara chera to yahi bata rha hai.
Reyansh : (emotionless hasi ke sath) aisa hi samajh lijiye.
Anand : to ab tum bhi kuch suna hi do suna hai dil tute aashik ki bate sidha dil se nikalti hai.
Reyansh :
" tu likhe DARD to mai aage behisab likhu,
tu likhe Sham to mai gum gile aur sharab
likhu."
Anand : wah ! Mai jo suna tha wo to sach nikla.
Reyansh :
'Ye ankh jab khule to chehra tumhara ho,
Ye ankh jab band ho to sapna tumhara ho….
Mout bhi aa jaye to gum nahi iska,
Kafan bhi ho to vo daman tumhara ho'……

Anand : wah ji wah aap to khud bade ghalib nikale . Waise kya mai iss bade Faiz ka naam jaan sakta hu.
Reyansh : REYANSH.

Aise hi reyansh ka safar kat gaya .plane rusaia land kar chuka tha. Reyansh airport se chalte hue bahar aya aur aasman ki taraf dekh kar anpa hath upar karke pehle apni powers seal ki kyuki abhi iss training ko bina kisi powers ka use kiye bina pura karna chahta tha.
Phir Reyansh nikal pada Russian mafia base ki taraf. Russian mafia ki training duniya ki sabse extreme training mani jati hai. Bohot se logo ki training ke dauran hi maut ho jati hai.
(reyanshs perspective)
Mai base pe pohoch gaya car se utrne ke baad mai base ke andar gaya command office me jaha ek old person baitha hua tha.
Usne mujhe dekhte hue kaha.
Old person : nice to see you mr. Reyansh again.
Mai : same here Michael sir.
Michael : are you sure you want to take this training ?? . Its extremely hard beyond your expectations so think twice before answering.
Mai : i am absolutely sure about it.
Michael : ok then we will start your training from tomorrow morning.
Mai : thanks sir for this favor.

Ye bol mai waha se nikal apne assigned room me aa gya. Aise hi aaj ka din nit gaya.

Wahi kahi ek andhere jungle me kafi lightning bolts strike ho rhi thi. Suddenly aasman se ek asteroid ki tarah dikhne wali chiz forest me aa giri, sab taraf uske karan dhua dhua ho gaya . Jab waha sab shaant hua tab us dhue me se ek shadow nikalti nazar aayi uske baal aur figure dekh ke koi bhi bata sakta tha ki wo ek ladki hai. Jab wo bahar aayi tab wo kuch aaisi dikh rahi thi.


Leatherlover89-on-Twitter

All-Black-Leather-Outfit
Usne pure black kapde pehene hue the. Uski khubsurti iss jahan ki lag hi nhi rahi thi aisa lag raha tha uski beauti , cuteness aur figure
Ka koi compition hi nhi hai.
Wo ab asman ki taraf dekh ke kehti hai.

Ladki : mai wapas aa gyi mere prince iss bar hum dono ko koi juda nhi kar sakta . Mai aa rahi hu Reyansh. ISS BAAR REYANSH AAHANA KA HO KAR HI RAHEGA....

Iss ke sath us ladki ki aakhen bhi kali ho gyi aur suddenly ek bijli chamki aur iss ke sath hi wo ladki bhi waha se gayab ho gyi.

Idehar reyansh ki taraf.

Reyansh savere 4 baje uth kar fresh hoke training area me pohoch gaya. Waha uske teachers already available the .
(trainer English me bol rha hai par mai hindi me likhunga)
Teacher : so tum ho wo jo ye try karna chahta hai. Bache mai abhi bhi keh rha hu wapas chale jao ye tumhare bas ki baat nhi hai.

Mai : ye aap decide nhi kar sakte kya mere bas ka hai aur kya nhi.
Teacher : kaafi arrogant ho koi baat nhi kuch hi din me tumhari saari arrogance nikal jayegi. Jao pehele jake warmp ke liye iss ground ke 100 chakkar lagao phir tumhari baaki training shuru karte hai.


Aage dekhte hai kya hota hai.......
Sorry short update ke liye but jaldi jaldi me likha hai agla update kal subah mil jayega.
 

Top