Bhut bdia update Bhai...
Ye to ajib Chakkar me fansa diya aapne.. Payal-sanjana...Rajvardhan.. Raj or RAj ka judwa... Sheetal-sadhna..matlab ki ye sab log Usi kabile ke hain.. Kyuki Whi sab judwa paida Hote hai..mujhe to lagta hai sala pardada ka bhi koi judwa hoga.. Or Whi black star hoga... Usi Tarah is Samay RAj ka judwa Bhai hi black star hoga Sayad...
Sach hi hai ki duniya Gol hai.. Hum ek jagah se Chalna shuru Kare... To ant me whi rukenge aakar.... Usi Tarah se yha kahani bhi Khud ko dohra rhi hai.... Jis Tarah se Raj or black star(avinash rathod) ki final fight me black star Mar jata hai.. Or raj sheetal ghayal hokar Mar jate hai or sadhana khi gayab ho jati hai... Usi Tarah pardada ke time bhi black star(us Samay ka) or rajvardhan... Payal Mar jate hai.. Or sanjana khi gayab ho jati hai....
Pata nhi kya hua tha tab... Jungle ka rahasya kya hai.. Main bat ye ki us wasiyat me kya tha... Sala Dimag sunn Ho gya... Ye Wala update pad Kar... Umeed hai next update me Kuch zabardast suspense open hoga... Bhai next update Jaldi Dena... Wait na krana.. Aapko 5 ko company work se out of city Jana hai... To bhai Aaj ya kal me update de dena ..